- 14,066
- 99,721
- 259
Last edited:
Hand break (Aage ki break) mari isliye tu gira par most of time sab yahi galti karte hai.Maine khud ki hai.Get well soon wahlaYes! So about what happened yesterday!?
Kal shaam 7-8 baje hua ye. Mein market se ghar laut raha tha. I was on my bike. 40-45 ki speed thi. Aur mein main road ke jo side me alternate roads rehti hai, usme tha. Achanak hi saamne chal rahe ek aged Uncle ne apni scooty on the spot rok dii thi. He was with his little granddaughter. Sab kuch suddenly hua. So, I applied brakes but my bike slid off. Mein gira aur haath perr me kaafi chot aayi. Chhil gaye haath aur perr.
At that time, mera left arm straight nahi ho raha tha. I thought ki shayad dard ki wajah se aisa tha. So, Mein jese tese ghar aaya. But like 1-1:30 ghante aur guzar gaye but arm straight hi nahi ho raha tha. Tab meri thodi fati. Aur laga ki elbow ki bone shayad toot chuki hai. Kam se kam fracture toh hua hi hoga. Raat ko immediately mein hospital gaya. They did the x-ray aur fortunately, nothing was there. Koi fracture nahi tha.
He gave me some pain killers, jinhe mein raat me leke soya aur subah aaj thoda baaya haath straight ho raha hai.
Now, about update...! Update 83 half completed tha. Abhi bhi utna hi likha pada hua hai. Since, mein phone se hi type karta hu. I'll try with my right hand. Aise hi baithe baithe. I hope probably mein 12 ke pehle hi update deliver kar dunga. Anyways, sorry for the wait guys.
Things happened suddenly. 2 din ke gap liya hu job se bhi. Wounds minor hai. Scratches wagarah. Pattiya hai halki fulki jo 2-3 din me khul jaengi.
Keep supporting!!!
Nice updateUpdate - 83 ~ Homecoming!Ab tak...
Sir George : You....!!!
Veer : Huh???
Sir George : Tell me! What do you think about this?
Veer : Well...
[Do it master~]
Aur...
*Ding*
Veer ke saamne uss mummy ki saari details aa gayi.
Ab aage...
2 din guzar chuke the.
Aur inn beete 2 dino me, Veer ne koi kasar nahi chorri thi apni Maa se ek gehra rishta jodne me.
Par sadly, usse kuch zyaada safalta nahi mili.
Bhavna, baat toh khul ke karti thi. Par jab bhi sawaal uske ateet se juda hua aata tha toh wo unn sawaalo se khud ko bacha leti thi. Aur conversation ko kahi aur shift kar deti thi.
Inn beete dino Arohi se Veer ki firse baat hui. Aur jo khabar Arohi ne usse waha Mumbai ki sunaayi, usse sunn Veer ke hosh hi udd chuke the.
Veer ko yakeen hi nahi ho raha tha ki wo haraami Pranjal itni jaldi sab kuch kar dega.
Veer, chaahta toh tha ki ussi waqt wo Mumbai laut jaaye. Par usne aisa keval ek hi kaaran se nahi kiya.
Sabse bada kaaran ye tha ki, Pranjal jo bhi kar raha tha, wo Shweta ke saath kar raha tha. Shweta! Yaani ki uski stepmom. Wo stepmom jisne Veer ko kabhi ek bete ke roop me accept kiya hi nahi tha.
Wahi stepmom jo Pranjal, Vivek ke shadiyantro me shaamil rehti thi. Toh bhala Veer waapas laut ke kyu jaaye?
As long as, Kavya, Arohi aur uske Dada jii kisi potential danger me nahi the, Veer ka lautne ka sawaal hi nahi banta tha.
So, he decided to stay for 2-3 days more.
Pranjal ka patta toh wo laut ke saaf karne hi waala tha. Bas yaha se ghar pohuchte hi.
Aur aaj hi uska yaha akhiri din tha. Usne mummy ki zyaada kuch details nahi dii thi Sir George ko. Zaroorat se zyaada yadi Veer bataane lagta toh logo ko shaq ho sakta tha. Ki ek bande ko itna sab kuch kese pata hai? Aur wo bhi itni jaldi uttar kese de paa raha hai?
Isliye Veer ne vague answers diye. Jis kaaran se unhe bhi yakeen ho gaya ki Veer bhi ek insaan hi hai aur aisi bhi cheezein hai jinke baare me usse kuch nahi pata.
Veer ne yaha kuch boht hi acche pal guzaare apni Maa aur behan ke sang.
But unfortunately, ab samay aa gaya tha ki yaha se waapas jaaya jaaye.
Par...
Uske pehle...
Veer ko ek kaam karna tha. Wo Bhavna ke muh se kuch baatein toh nahi nikalwa paaya. Isliye, ab uske paas akhiri upaay yahi bacha hua tha.
Cairo ke airport me jab Veer apne desh ke liye rawaana hone waala tha.
Toh usse chorrne keval Bhavna hi aayi hui thi. Baaki sabhi abhi bhi site par the.
Bhavna~
Bhavna : Thode din aur rukk jaate Vikram!?
Veer : Jii nahi! Ab lautna hoga mujhe.
Bhavna : Wo... Toh waha M-Mumbai me kaun kaun rehta hai tumhaare saath!?
Bhavna ne pucha. Kyuki, Veer ne apne ghar se related koi bhi info Bhavna ko nahi bataayi thi siwae ye ki wo Mumbai me rehta tha.
Mumbai shabd sunn ke hi tab Bhavna ka reaction dekhne laayak tha. Lekin, Yaha Jab uski Maa uss se apne ateet ko chhipa ke mystery rakhna chaahti thi toh Veer ne bhi wahi kiya fir. Mystery hi sahi. Usne aage kuch nahi bataaya.
Par ab sahi mauka tha. Kuch aisi details chorrne ka jis se Bhavna hil ke reh jaaye.
Veer (smiles) : Ghar!? Haha~ Mujhe toh ghar se hi nikaal diya gaya tha.
Bhavna : !!!???
Aur Bhavna ko ye sunn thoda jhatka sa laga.
Vikram ki baat ka matlab kya tha?
Bhavna : K-Kya matlab?
Veer : Matlab ki ye Miss Geeta... I... Mujhe mere Ghar walo ne apne ghar se nikaal diya hai.
Bhavna : K-Kyaaaaa!!???
Wo aankhein phaade Veer ko dekhti rahi.
Veer : Jii haan!
Bhavna : P-Par kyuuuu??
Veer : Hahaha~ Well! Inn baato ka rehesya tab hi pata lagega jab aap apni kuch baatein bataogi. Dost hone ke bawajood aapne mujhse ab tak kuch bhi share na kiya. Toh badle me aap mujhse kese expect kar sakti ho ki mein apne baare me sab kuch aapko yu hi bata dunga? Hmm?
Bhavna : I... I...
Aur Bhavna ki nazre guilt ke maare neeche jhuk gayi.
Bhavna (looks away) : M-Mein majboor hu.
Veer (smiles) : And So am I... Anyways! Chalta hu... Fir milenge...
Bhavna : Ahh! Wo...
Veer : Hmm?
Bhavna : M-Mein... I mean... How can we come into contact again?
Veer apni Maa ko dekh muskuraaya aur usne apne jeb se koi puraani receipt nikali aur usme apna number likh ke de diya.
Veer : That's my number!!!
Bhavna : Thank you~ I hope hum firse kahi mil payenge. You have a very keen eye. Kabhi India me jab exploration pe mein jaungi then we can go there. How about it?
Veer (smiles) : Sure! Alright! I should leave now!
Bhavna (nods) : Y-Yes!!!
[Time for the last move Master~]
'Yup!!! Here wo go now...!'
Veer fir apna samaan uthaane ke liye neevhe jhuka. Wo jese hi neeche ko hua...
'Ohhh Fuccckkkk!!! Atak gaya kya?'
[Arre jhuko na master!!! Acche se. Baahar aaega. Aur jhuko, thoda hilao dilao. It will come out!!!]
'Wh-What??? Pari!!? Wordings sahi rakho apni.'
[Ahhh!!! Y-You... You are so mean master! What were you even thinking...!? ]
Aur agle hi pal...
Veer ki shirt se andar se uska pendant...
Jhukne ke kaaran baahar aa nikla.
Bhavna jo ab tak usse hi dekh rahi thi. Uski nazre achanak se hi uss pendant par padi. Pehle toh usse kuch bhi alag nahi laga. Wo kuch derr aur dekhi...
Aur shan bhar baad hi, uska jese dimaag hi ghoom gaya.
Andar mann me hi jese ek visfot hua. Sochne samajhne ki shakti wo kuch derr ke liye kho chuki thi. Uski aankhein phati ki phati uss pendant par tiki hui thi.
Veer samaan leke utha aur usne apni Maa ko dekha. Dekha ki pal bhar me uski Maa ka chehra kese hairaani ke maare badal gaya.
Par ab yaha rukne ka samay nahi tha. Jald se jald yaha se nikalna tha. Bhavna ki koi bhi baat sune bina hi.
Wo muda aur jaane laga. Bhavna abhi bhi stabdh wahi khadi hoke Veer ki peeth ko dekh rahi thi. Jese jese wo dur jaata jaa raha tha Bhavna ki dhadkane tezz hoti jaa rahi thi.
Wo itna shocked thi ki uske muh se ek shabd na nikla aur na hi wo koi harqat kar paayi.
Bas... Veer ko jaata hua dekhti rahi. Jab tak ki wo uski nazro se ojhal nahi ho gaya.
Aur fir usse hosh aaya. Saasein tezz liye wo haaf kar aage badhi par ek kadam aage rakhte hi uske perr wahi kamzor pad gaye aur jawaab de gaye.
"Haaahhhh!!!"
Perro me kampan hua aur haafte hue wo wahi gir padi.
'N-Nahiiiii!!!!!! Y-Ye kese...!?????'
Usse girta hua dekhte hi, waha maujood security uske paas aayi.
"Security!!!! Yes!!! Ma'am are you okay??"
Ek naujavaan uske qareeb aaya aur usse uthwa ke security ke paas le gaya.
Bhavna wahi kuch derr baithi rahi. Wo kisi bhi baat ka koi response hi nahi de rahi thi. Jis kaaran se security ne usse apne paas hi baitha liya.
Wo toh jese alag hi duniya me jaa chuki thi.
'N-Nahiiiii!!! Wo... Wo locket...!!!! W-Wo toh wahi locket hai... H-Haan!!! Mein galat nahi ho sakti. W-Wo toh wahi tha. P-Par... Uss Vikram ke paas wo locket kese aaya!?? Huh?'
Locket toh wahi tha jo Bhavna ne apne bete ko pehnaaya tha. 20 saal pehle. Aur iss waqt wo apne aap me joojh rahi thi ki wo locket iss Vikram ke paas kese aaya. Aur agle hi pal...
Ek boht hi hairat-angez possibility uske dimaag se hoke guzri. Jis kaaran wo wahi jamm ke reh gayi.
'N-Nahi!!! T-Toh jo... Vikram mere saath itne din raha, mujhse baatein kiya... W-Wo... Kahi wo... Wo mera apna... N-Nahiiiii!!!!'
Sochte hi uske raungte khade ho gaye.
Aur uski aankho se aasu jhar jhar kar ke behne lage. Wo apne dono haatho se apne khule muh ko dhakk sisakte hue rone lagi.
Jis bete se wo itne saalo se dur thi. Wo yaha itno dino tak uske paas tha??? Uske itne qareeb?? Aur usse pata tak nahi chala????
Glaani, dukh, dard, peeda, maayusi, bechaini, sab kuch Bhavna iss waqt ek hi saath mehsoos kar rahi thi.
Ek baar wo apne gale tak se nahi laga paayi usse. Apne kaleje ko. Kesa mehsoos hota hai ek Maa ko jab uska apna laal saalo se bichadne ke baad uske itne paas ho aur woh ek baar bhi usse apne seene se na laga paaye!?
Bhavna abhi ussi peeda se guzar rahi thi.
Still, ye ek possibility hi thi. Iska matlab abhi 100% ye nahi tha ki Vikram hi uska beta tha. Chances 50-50% the.
Aisa bhi ho sakta tha ki Vikram ko woh locket kahi se mila ho? Ho sakta hai uske bete ke gale se wo Locket ghum gaya ho aur Vikram ko mila ho!? Ye bhi ek possibility thi.
Ho na ho, par Bhavna ke mann me jese ek nayi umang jaag chuki thi. Pata lagaane ki...
Ki woh locket pehna vyakti... Kya!??
Kya uska apna... Wahi khoon tha? Uska apna baccha? Uska apna laal?
Aur ek khayaal aur aaya uske mann me,
"Matlab ki ye Miss Geeta... I... Mujhe mere Ghar walo ne apne ghar se nikaal diya hai."
Uske mann me Veer ki awaaz gunji.
'M-Mera baccha!??? U-Usse ghar se baahar nikaal diya hai?? N-Nahiii! Pehle mujhe... Pehle mujhe ye pata karna hoga ki wo mera hi beta hai ya nahi!? P-Par yadi wo mera hi beta nikla... T-Toh...!!!!'
Aur ek baar fir, Veer ke saath itne beete hue din, guzaare gaye pal, wo saare lamhe uske dimaag me mandraane lage. Unki pehli mulaqaat.
Aur uske dil par punaah ek pahaad sa toot pada.
Aankhein fir bheeg chali. Andar hi andar glaani usse kachotne lagi.
Itna paas reh ke bhi... Wo ek baar bhi...
Ek baar bhi apne kaleje ko pehchaan na paayi. Kaash usse pehle hi wo pendant dikh jaata. Bahaane se hi sahi...
Par Kam se kam... Kam se kam apne bacche ko bas ek baar seene se laga ke usse acche se mehsoos toh kar sakti thi. Lekin ab toh Veer jaa chuka tha.
'Nooooo~ Haan!!! I'll... I'll find out!!! Mere paas ye hai abhi!!! I'll find out!!!!'
Usne apne haatho me uss sikudi hui reciept ko dekha jisme Veer ka number tha. Aur forun hi usne wo number save kar liya.
Aur save me naam rakh diya ~ Vikram!!!!
***
Mumbai...
Veer waapas se apne sheher me aa chuka tha.
Aur darwaaze par aate hi...
"Veeeeeeeerrrrrr!!!!!"
Ragini bhaagte hue aayi aur uski baaho me sama gayi. Uske ubhre hue stan uski chhathi me samaane ki poori koshish kar rahe the. Veer ko wo nipples saaf saaf mehsoos hue.
'What the...!?'
[Looks like she missed you. Haha~]
Pari ki baat sach thi. Aisa ek din bhi nahi gaya tha jis din Ragini ne usse call na kiya ho. Harr ek din wo usse phone laga ke kaafi derr tak baat karti thi.
Peeche khadi Suman aur baaki sabhi iss drishya ko hairaani se dekh rahi thi.
Veer : Umm... Ahem... Bh-Bhabhi?
Ragini : I missed you a lot~ ♡
Veer : M-Mein bas kuch hi dino ke liye toh gaya tha. Bh-Bhabhi!!! Sab dekh rahe hai!!!
Ragini : Toh kya? Kya tumhe pasand nahi Veer? Kya tumhe accha nahi laga mera yu tumhe hug karna?
Veer : Ah! Nahi! Baat woh nahi hai... Lijiye!!!
Kehte hue Veer ne apne haath aage badhaaye aur Ragini ko firse apne seene se chipka liya. Iss baar Veer uski nangi kamar par haath rakh dabaav banaane me peeche nahi hata.
Aur uske iss action se Ragini ke hontho par forun hi muskaan fel gayi. Jaise maano wo jis kaam ke liye aayi thi, usme wo jeet gayi ho.
Ragini : Chalo andar~ ♡
Andar aate hi usse accha accha khaana parosa gaya, jisse wo waqai boht miss kar raha tha. Aur uske baad Veer ne apni Maa se milne ki kaafi kuch details Ragini se share kii, jinhe sunn wo behad khushi me ek baar fir issi bahaane Veer se chipak gayi.
Par Veer ki sabse badi samasya thi abhi...
Pranjal!!!!
'That bitch is getting out of hands huh!?'
[Well! Aapko hi ab interfere karna hoga Master.]
'I thought System mujhe iske liye koi mission dega. Isliye bhi mein ruka hua tha ab tak. What do you think Pari? Kya mein uss harami Pranjal pe apne haath saaf karu? Ya fir system ke mission ke liye ruka rahu?'
[I don't think aapko ab aur wait karna chahiye Master. Khaaskar ki jab itna kuch usne kar diya ho. Aapke puraane ghar me abhi kya haalat hogi waha logo ki ye mein bata bhi nahi sakti.]
'Yeah!!!! Then, fine!!! Pari!!! Limit break karo.'
[Kis stat ki Master?]
'Intelligence!!!'
[Alright Master!]
*Ding*
[2000 Points have been used to break the limit of Intelligence.]
*Ding*
[Intelligence limit has now reached 200.]
*Ding*
[Intelligence : 100/200]
'Good!!! Kitne points bache hai ab Pari?'
[You are now left with 1092 Points Master!]
'Hmm~ aur tumne kaha tha ki...'
[10 points 1 point ke baraabar hoga Master. (・_・]
'Fuckkk! It hurts!!! Sunte hue hi... Dil me dard ho raha hai Pari! 10 points 1 ke barabar!? Aise toh mein lutt jaunga Pari. Mere dil ka kuch toh khayaal rakho.'
[I know Master. (。•́︿•̀。) But I cannot help it. Do you want to...!?]
'Ahh! Yes! Intelligence ko 120 par le aao.'
[As you wish Master~ ]
*Ding*
[200 Points have been invested into Intelligence.]
*Ding*
[Intelligence : 120/200]
[Points Remaining : 892]
'It fucking hurts. But koi nahi! I'll earn more points soon. Alright then!!!!'
***
Day before yesterday...
Beete dino kuch gadbad hui thi. Yaha Veer ke puraane ghar me. Ye kehna galat nahi tha ki poore ghar me uthal puthal machi hui thi.
Jis raat Shweta nashe me waapas ghar aayi thi. Agli subah uthne ke baad, usse filhaal toh kuch bhi gadbad mehsoos nahi hui thi.
Usse yaad hi nahi tha ki kal raat usne kinn papers par sign kiye the. Wo toh yahi soch rahi thi ki Pranjal ke saath usne acche se dinner kiya aur fir wo ghar aa gayi.
Acche mann ke saath wo subah apni hotel gayi.
Sab kuch normal hi tha. Par kuch samay baad hi...
Pranjal uski hotel me enter hua...
Aur jaake seedha owner ki seat par baith gaya.
Shweta ne mazaak samajh uss se jab baat kii toh usse apni zindagi ka sabse bada jhatka praapt hua.
Shweta : Tum yaha firse?
Pranjal : Hmm? Kyu nahi? Ye meri hi toh hotel hai na?
Shweta : Haha~ Of course! Ye tumhari bhi hotel hai.
Pranjal (smiles) : Na na na na~ Correction! Tai jii, Correction! Meri BHI hotel nahi... Sirf meri hotel hai.
Shweta (bauhe sikodte hue) : Mein... Kuch samjhi nahi!?
Pranjal ne apne bag se fir kuch nikaala. Ye wahi kaagzaat the. Aur unhe table par Shweta ke saamne patak diya.
Jese hi Shweta ne unn papers ko padha. Uske perro tale zameen khisak chuki thi.
Shweta : Y-Ye.... Ye... Ye sab kya hai!??? Ye kesa mazaak hai? Haan? Wh-What is this?
Pranjal : Ohh~ Nothing! Bas... Starting from today... I'll be the owner of this hotel. Haha~ Jaiye ghar jaiye Tai jii! Araam kijiye!!!
Shweta (cheekhte hue) : What do you mean by thissss??? Haaaaannn??? Mein kuch tumse puch rahi hu. Y-Ye papers!!! Ye kaha se aaye tumhaare paas??
Usse boht bada jhatka laga tha. Ye papers toh uski hotel ki ownership ke hi the. Real ekdum. Ye Pranjal ke haath kese lage bhala? Aur sign? Sign bhi ussi ke the. Uska sarr chakra gaya tha.
Ye sab kya ho raha tha!?
Papers me saaf saaf ye baat likhi thi. Ki Shweta ye hotel kaafi samay se ghar ke kisi candidate ko saupna chaahti thi. Aur Pranjal se behtar uske liye koi nahi tha. Usme likha tha ki Wo apni poori iccha se ye hotel Pranjal ke naam kar rahi hai.
She was baffled to the core.
Aur fir shuru hua behas ka silsila.
Baat itni badh gayi thi ki Shweta haathapaayi par utar aayi thi.
Aur Pranjal bhi aggressive ho chuka tha.
Pranjal ne ye dhamki de dii ki yadi Shweta shaant nahi hui toh wo Police ko bulaega seedha.
Akhir himmat kese hui iss Pranjal ki uske saath aisa karne ki? Wo sochi.
Aur fir jese kal ki dhundhli baatein uske dimaag me saaf hone lagi. Jese hi usse maajra samajh aaya. Wo thithur kar zameen par gir padi.
Aur Pranjal uski iss dasha par bas hassta raha.
"Hahahaha~ Jaiye ab!!! There's nothing you can do."
Lekin Shweta fir bhadki...
Uthate hue wo cheekh kar apni baatein zorr se kehne lagi,
"Haraam khor!!!! Nirlaj!!! Tu itna kapti insaan niklega, mene kabhi socha tak nahi tha!!!! Kyu kiya tumne mere saath aisa??? Nahi!! Tumhari himmat bhi kese hui mere saath aisa karne kii? Haan!!! M-Mein... Mein abhi ghar me teri ye ghinoni harqato ke baare me bataati hu. Tu bachega nahi... Tera saara sach mein saamne khol ke rakhungi. Rukk tu bas...!"
Usne dhamkaate hue kaha. Par Pranjal kaun tha? Kya usse inn dhamkiyo se koi farq padne waala tha? Ghanta!!!
Pranjal : Hahahaha~ Ohh Tai jii!!! Toh jaiye! Bataiye!!! Bataiye! Hahahaha~ Kaun vishvaash karega aapka? Haan? Boliye? Kaun karega yakeen? Aur bhuliye mat...
Shweta : !!!???
Pranjal (smiles) : Ki... Veer ko ghar se baahar karwaane me aap Vivek bhaiya ke saath thi.
*Boooooommmm*
Ek aur dhamaka Shweta ke mann me hua.
Pranjal ne apni ek aur ghinauni chaal chal dii.
Shweta sirf yahi jaanti thi ki Veer ko bhagaane ka plan Vivek ne banaaya tha. Usse ye nahi pata tha ki uss plan ke peeche Pranjal ka haath tha. Aur apna naam aate hi, Shweta ke chehre se uska rang udd chuka tha.
Shweta : Y-YOUUU!!!! YOU!!! YOU WILL ROT IN HELL!!!! I'LL SUE YOU!!! HARAAM KHOR KAHI KE....
Aur wo bhaag ke nikal gayi.
Yadi wo Parivaar walo ko convince nahi kar sakti thi toh...
Kuch aur toh kar hi sakti thi na?
Aur Shweta ne wahi kiya. Shweta ne desperation me aa kar. Seedha court case hi thok diya Pranjal par.
Jesa ki expected tha, gharwalo ko ye baat pata lag hi gayi, obviously.
Aur Shweta ki image jo pehle hi batwaare ke samay kharaab ho chuki thi wo aur bhi kharaab ho gayi.
Shweta!? Usne apne hi ghar ke sadasya par case kiya? Aur wo bhi tab jab usne hi hotel Pranjal ke naam kii ho? Kya chal raha tha ye sab?? Saari baat ka pata unhe court me laga acche se.
Shweta ne ek accha sa vakeel hire kiya hua tha. Kuch bhi ho jaaye, ye hotel uske haatho se nahi jaani chahiye thi.
Aur yaha Pranjal ne bhi ek jaane maane vakeel ko hire kiya tha.
And guess who it was??
Kaun ho sakta tha??? Of course... None other than...
RAJAT!!!! Nidhi's Husband!!!!
Wo kehte hai na, birds of the same feather flock together.
Dono hi kapti insaan the. Toh dono ki hi patni thi aapas me. Ittefaaq bhi dekho.
Rajat : Tension not! Mein ye case asaani se tumhe jitwa dunga...
Pranjal (smiles) : Of course~
Aur fir shuru hui, Court me Pranjal ki award winning performance.
Jisne poora paasa hi palat ke rakh diya tha.
Shweta ki haalat itni kharaab thi ki usse dekh ke hi taras aa raha tha.
Shweta (screams) : HE'S A LIAR!!!! YE JHOOTH BOL RAHA HAI!! ISNE CHHAL SE MERI HOTEL APNE NAAM KII. MUJHSE NASHE ME SIGN KARWAAYE HAI!!!!
Rajat : Your honour!!! Mere paas uss hotel ki cctv recording hai. Jisse mein sab ke saamne prastut karna chaahunga.
Judge (nods) : Permission granted.
Aur agle hi pal, ek recording play kii gayi.
Ji haan! Hotel ki wahi recording. Jis waqt, Pranjal aur Shweta bar me baithe hue the.
Rajat : Dekhiye my lord!!! Ye recording uss waqt ki hai jab mere client Miss Shweta ko unke mental state ko thoda relax karwaane unhe dinner karwaane ke liye leke gaye hue the.
Shweta (screams) : That's a fucking lie...!!!!
Judge : Apni bhaasha ka sahi prayog kijiye Miss. Please, resume the recording.
Majbooran, Shweta ko shaant hona hi pada.
Recording fir play hui. Ye CCTV footage thi. Isme audio nahi tha par video quality acchi thi.
Aur agle hi pal ek scene aaya.
Shweta ne apna order diya, a pint of shiraz.
Rajat : Ye dekhiye! My lord! Miss Shweta wine ka order dete hue.
Fir ek scene aaya jaha Shweta ne uske baad apni hi taraf se kayi baar glasses bharwaayi.
Aur ye dekhte hi Shweta ka dimaag kaam karna band ho chuka tha.
'It was himm!!!! This bastard!!! Sab kuch isne karwaya tha mujhse... *Sobs*'
Yahi kaaran tha ki Pranjal ne uss se kaha tha~
"Yahi aapko himmat degi Tai jii! Trust me! Yahi aapko himmat degi. Kyuki, aap aage sunn'ne ke liye ready nahi ho."
Yahi shabd toh kahe the Pranjal ne. Jab wo usse aur wine mangwaane ke liye keh raha tha. Sab kuch pehle se hi calculated tha. Shweta apni hi qabr khod rahi thi uss waqt.
Rajat : Dekha na aapne? Kese Miss Shweta ek ke baad ek wine ke glasses leti jaa rahi hai.
Aur fir ek aur scene aaya, jisme Shweta ne apne purse se wo kaagazaat nikaale.
Rajat : Ye dekhiye my lord!!! Miss Shweta ke paas wo papers pehle se hi maujood the. Yaani ki saaf hai, wo pehle se hi mann bana ke aayi thi mere client ko hotel saupne ka.
Shweta (screams) : WHY WOULD I???? KYU APNI HI HOTEL MEIN KISI AUR KE HAWAALE KARUNGI? HE'S LYING!!? YE PAPERS ISSI NE MUJHE RAKHNE KO DIYE THE!! MERI HI HOTEL ME!!!
Par kaun believe karne waala tha uska? Court keval evidence dekhta tha. Logo ki bhaavnaaye nahi.
Shweta ke paas koi evidence nahi tha ki wo ye baat sach saabit kar sake.
Aur recording me fir wo scene bhi aaya jidhar Shweta ne sign kiye. Aur Pranjal usse mana karne laga.
Rajat : Ye dekhiye!! My lord! Aap dekh rahe hai na?? Ye wahi samay tha jab Miss Shweta ne sign kiye papers par. Apni marzi se. Aur aap dekh hi sakte hai, kese mere client iss baat ka virodh kar rahe hai. Aap ne dekha na? Mere client jaante hai isliye unka virodh kar rahe the. Aur next segment me sab saaf ho gaya hai my lord.
Aur fir aaya recording ka akhiri scene. Jidhar Shweta Pranjal ko zabardasti papers thama rahi thi. Aur ant me usne uska haath pakad apne sarr par rakhwa liya.
Rajat : Mister Pranjal... Please bataiye iss context ke baare me.
Pranal (banaawti aasuo se) : Y-Ye... *sniff* Ye wahi time tha... Jab... *sniff* Jab Tai jii ne mujhe apne sarr par rakh kasam khilwayi ki mein unki hotel apne naam karne ke liye raazi ho jau. *sniff* Badle me wo Dada jii ki... Mujhse kuch property maangne ki maang rakhi thi. Keh rahi thi ki... *sniff* Mein apni saari property unke hawaale kar du. *sniff* Mujhe nahi pata tha ki wo aisa kuch kar dengi...*sniff*
*Boooommmmm*
Ek aur bam phata Shweta ke liye iss statement ke baad.
Sab kuch bikhar raha tha. Uski sthiti iss waqt, aisi thi ki wo jese khaayi me ek rassi se latki hui thi jo harr guzarte pal tootati jaa rahi thi.
Shweta (screams) : YOU FUCKING BASTARD!!!!!!
Judge : SILENCEEE!!!!
Rajat : Kya wo sign aapke hai papers me?
Shweta (gusse me) : THEY... THEY ARE!!!
Rajat : Kya aap pichle kuch samay se mentally exhausted thi!?
Shweta : I... I WAS...
Rajat : Kya aap batwaare me kuch hissa paana chaahti thi?
Shweta : I... Y-YESSS!!!
Rajat : There you have it my lord! Miss Shweta, ek mentally unstable state me thi property ko hathiyaane ke liye. Mere client jinhe inn sab ke baare me kuch nahi pata tha wo ek good intention ke saath Miss, Shweta ko relax karwaane unhe dinner par leke gaye, jiski testimony unki khud ki beti Miss Bhumika ne hume dii kuch derr pehle, saath hi unki hotel ki manager ne bhi dii.
Judge : *nods*
Rajat : Par mere client ko koi bhi idea nahi tha. Miss Shweta came prepared. Unhone apni saari hotel mere client ke naam kari. Aur badle me unka haq unse chhen'na chaah rahi thi. In other words, mere client ki property. Hume ye bhi pata chala ki ghar me property ko lekar pehle bhi vivaad ho chuka hai. So, desperation me aakar Miss Shweta iss hadd par utar aayi.
Judge : *nods*
Rajat : Aur fir unhone apni kasam bhi khilwayi ki mere client wo hotel apne paas hi rakhe. Par badle me saari property unke naam kar de? Ye sarasar ek chaal hai. Na keval unhone mere client ke good will ko nazar andaaz kiya. Balki, unse unka haq chheen'ne ka prayaas bhi kiya. Aur saath hi saath itna bada aarop laga ke, unke apne parivaar aur dosto me unki chhavi par laanchhan lagaaya hai. Please! Meri aap se darkhaast hai ki aap iski jadd tak jaa ke faisla le.
Shweta (screams) : I fucking didn't!!!!
Rajat : See!? She also has some anger issues. I rest my case my lord!
Aur khatam! Sab kuch khatam ho chuka tha.
Boht derr tak... Ye sab chalta raha. Par...
Shweta ke paas koi evidence hi nahi tha siwae kehne ke. Na hi koi witness.
Wahi Pranjal ke liye sabhi ne acchi baatein hi kahi thi.
Thanks to Ragini, jo wo ab iss parivaar ka hissa nahi thi. Warna Pranjal ke khilaaf hi bolti woh. Aur uske liye ek mushqil khadi kar deti.
Vivek inn maamlo se dur rehna chaahta tha toh wo chup raha. Arohi kehne waali thi par Veer ne usse phone par mana kar ke rakha hua tha. So usne kuch na kaha.
Baaki sabhi ne Pranjal ke liye acche shabd kahe the.
Itne dino se wo apni image jo banaane me laga tha. It paid off very well. Sab kuch usne itna precisely calculate kar ke kiya tha.
Ghar pe Manorath apne room me rehte the. Arohi aur Kavya apne kaamo me. Vivek apni company me. Karunesh aur Brijesh apne business me. Bhumika aur Shweta hotel me. Aur uski Maa Sumitra aksar kitchen me.
Shweta ke room me ghuskar almaari se unn papers ko dhundna uske liye koi boht badi baat nahi thi.
Shweta ke liye sab kuch ujad chuka tha.
Kyuki, jab faisla aaya.
Toh uski wo akhiri umeed bhi toot chuki thi.
Hotel...
Pranjal ke naam ho chuki thi.
CASE DISMISSED!!!
Uske andar se jese uski aatma ne dam tod diya tha.
Bhumika bechaari se apni Maa ki ye haalat dekhi hi nahi jaa rahi thi.
Aur ghar aate hi, Shweta forun hi car me baithi, car start kii...
Aur kahi jaane ke liye hui ...
"M-Maaaaaa~"
Par jab tak Bhumika apni maa ko kahi jaane se rok paati, Shweta nikal chuki thi.
***
Idhar Veer jo agli raat Arohi se milke vistaar se baat jaan'ne ke liye uss se jab milne ke liye ready ho raha tha. Tab hi...
*Ding*
[Mission : Rescue Shweta before she dies.
Rewards : ???? Points.
Time Limit : 30 minutes.
Mission Failure Penalty : 20,000 Points Deduction.]
'Ahhh! Shittt!!! Here wo go again~'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Thanks a lot! Itna sabr rakhne ke liye. I'm doing well. Minor wounds hai. I was lucky haha~ Anyways, Like thokne ka aur revos rakhne ka yaara.
Keep supporting!
Dhanyavaad!
Zaberdast shaandaar mazedaarMega UpdateAb tak...
[Yes! One more! I think I'm getting too kind. Right?]
Update - 75 ~ I'm Coming for you!!!
[Contains gore related scenes. Proceed accordingly!]
Aur rasta aisa tha ki chaah ke bhi Veer aur Karan uski gaadi ko overtake kar usse rok nahi sakte the.
Par Veer ke hontho par muskaan thi. Wo confident tha.
Kitna bhi kyu na bhaag le Slogan, aaj uska ant nishchit tha. Wo isliye kyuki...
Upar halke ghane badlo me jo chamak kar apni roshni bikher raha tha. Wo tha...
FULL MOON!!!
Ab aage...
"Nahiiii!!! Nahiiiii!!! M-Mein... Mein yaha nahi marr sakta. Who can kill me? Mein SLOGAN hu. SLOGAN!!!! Mujhe jald se jald udhar pohuchna hoga."
Slogan ke haath iss waqt bhay ke maare kaanp rahe the. Aaj kya din aa gaya tha uska. Peeche baithe uske do chele cross firing kar ke usse bachaane ka prayaas toh zaroor kar rahe the. Par unki guns ki magazine me bullets limited hi thi. Isliye harr bullet wo soch samajh ke hi fire kar rahe the. Ek bhi bullet bekaar na jaani paaye. Warna iska nateeja boht hi ghaatak ho sakta tha unke liye.
Raasta idhar thoda sakra tha, aur Slogan ki car ke peeche kareeb kareeb 20 se 25 gaadiya lagi hui thi.
*BAAANGGGG*
*BAAANGGG*
Issi chase me beech beech me dono taraf se firing chaalu thi. Bas dikkat ye thi, ki Karan ki hi car ki tarah Slogan ki car bhi sturdy thi. Warna ab tak toh dhamaaka ho jaana tha usme. Of course, car me damage ho raha tha, par uss hadd tak nahi ki Slogan ko roka jaa sake. Not to mention ki Slogan ke saathi bhi firing kar rahe the. Isliye, car ko ekdum paas le jaana khatarnak tha aur jaanlewa bhi.
Wahi, Steve ki ye badqismati thi jo usse SNIPER ka shikaar hona pada. Ek sniper ki firing range athwa firing power, dono hi normal guns se zyaada hoti hai. Yahi kaaran tha ki car sturdy hone ke bawajood, Steve ke liye wo Sniper ki bullet nahi rok paayi. Aur nateeja!??
Uski dardnaak maut!!!
Uska sarr kisi tarbooj ke maafiq phata tha. Harr jagah laal laal khoon bikhar gaya tha andar car me.
Yaha tak ki Slogan ke khud ke chehre aur uske kapdo me Steve ka khoon abhi bhi laga hua tha. Uske paas zara bhi samay nahi tha ki wo driving seat se hatt ke passenger seat par aa sake.
HE WAS GETTING CHASED!!!
Aaj ye din dekhna pad raha tha usse.
'Shaant Sanjeev!!! Shaant!!! Abhi tera poora lakshya baaki hai. Aaj tu yaha nahi marr sakta. Wo bhi inn jaiso ke haatho? Tch!!! Bas... Kese bhi kar ke ek baar waha tak sahi salaamat pohuch jau. Fir dikhaata hu inko. Kaun hai asli boss!!!'
Usne sochte hue car ki speed aur badha dii.
*VROOOOOOOMMMMMM*
Wahi dusri orr,
"Shit!!! Ye road kesi hai? Overtake bhi nahi kar sakte. Aur zyaada speed me gaye toh uss se bhid jaenge. Oye! Jassi!!! Kuch bol!!!"
Raghu ne yaha kheejte hue Jassi se bola, jo drive kar raha tha.
Jassi : Hmm~ Hamaare paas aur koi chaara bhi toh nahi hai. Peeche se hum fire hi kar sakte hai. Par hum apni bullets barbaad bhi nahi kar sakte zyaada. Mujhe yakeen hai Slogan ne kuch plan bana ke rakha hai. Wo careless insaan hargiz nahi hai. Zaroor wo hume apni territory ke andar le jaana chaahta hai. Usne jaal biccha ke rakha hoga.
Raghu : Toh aise me toh hum uske bicchaaye jaal me fassne jaa rahe hai. Hume kuch karna hoga na?
Jassi : Kya kar sakte hai hum? Kya hamaare paas follow karne ke alaawa aur koi option hai?
Raghu : Damnn ittt!!!
Raghu jaanta tha ki wo iske alaawa aur kuch nahi kar sakte the. Lead Slogan ne leke rakhi hui thi aur wo hargiz bhi kisi bhi car ko apne nazdeek aane nahi dene waala tha.
Jassi (frowns) : Par...
Raghu : Par kya? Bol Jassi!!
Jassi : Par mujhe kuch theek nahi lag raha hai. Meri gut feeling keh rahi hai ki kuch boht hi khatarnaak plan kar ke rakha hai uss Slogan ne.
Raghu : Toh hume jald hi aur help bulaani chaahiye.
Jassi : Hmm~ Tumne sahi kaha. Security team ko message bhejo ki hume copter aur zyaada se zyaada aadmiyo ki zaroorat hai. Jitne zyaada ho utna behtar hai. Hum yaha risk nahi le sakte. Aur... Hamaari location bhi bhej do. Unse kehna track karte rahe. GPS ON hai. Wo copter team ko hamaari location share kar denge.
Raghu (nods) : Hmm!
Raghu ne wesa hi kiya jesa Jassi ne kaha.
Wahi idhar Veer aur Karan ekdum sabse peeche the apni car me. Jassi aur team ke aa jaane ke baad, unki car majbooran sabse peeche reh gayi thi. Aur ab wo chaah kar bhi aage nahi jaa paa rahe the.
Karan : What the fuck is wrong with that guy? Akhir wo hume le kaha jaa raha hai??? Ye road mujhe bilkul bhi nahi lagta ki cars ke liye hai. Itni sunsaan aur upar se dusri side se ek gaadi tak nahi aa rahi hai. Bas abhi tak chuninda 2 se 3 hi nikli hai dusri orr se.
Karan kaafi derr se apna gussa dikhaaye jaa raha tha. Aur uska gussa jaayaz bhi tha. Wahi dusri orr iss baar Veer shaant tha. Aur uske hontho par muskaan thi.
Upar aasmaan me Full Moon chamak raha tha. Aur, Veer se behtar bhala uss sanket ko kaun pehchaan sakta tha?
Veer ke muskuraane ke peeche ka ek hi kaaran tha.
BEOWULF'S BLESSINGS!!!!
Quest Hunt ka Legendary card.
Par ye khaas baat nahi thi. Khaas baat thi, uske description me dii gayi aakhiri ki do lines.
Percentage will get doubled.
DOUBLED!!!!
Yaani ki Veer jo Slogan se pichli baar bhida tha. Tab uske senses 60% badhe hue the. Aur 50% badhottri, Agility, Healing, Speed, aur Reflexes me thi.
Par...!
Iss baar? Iss baar wahi percentage double hone waale the. Matlab ki...
120% increase in senses. 100% increase in Agility, Speed, Healing, and Reflexes.
Aur ye sab... Upar aasmaan me chamak rahe uss Full Moon ke kaaran tha. What a fucking Legendary Card!!! Aaj Beowulf's Blessings apni poori capability dikhaane waala tha. Dikhaane waala tha ki wo aise hi nahi Legendary card tha. Veer aaj darr nahi raha tha. Nope! Instead, he was excited. Uske andar ka adrenaline usse aaj garda machaane ke liye uksaa raha tha.
Na jaane kitne dino se usne kisi se ladaayi nahi kii thi. Uske haath kulbula rahe the. Waapas se usse wahi josh aur rush feel karna tha. Jab tak saamne waala strong na ho, toh mazza kesa?
Apne haath me wo knife ka stab, kayi saare gundo se uski pitaayi, aur Kaera ka rota hua chehra. Inn sab ka badla bhi toh lena tha aaj Veer ko. Chun chun ke, ek ek paayi ka hisaab chukta karna tha aaj usse.
AN EYE FOR AN EYE!
A TOOTH FOR A TOOTH!
***
Chase abhi bhi chaalu thi. Aur mod aise aise aa rahe the ki cars drift maarne aur skid hone par majboor ho rahi thi.
Karan : Shhhiiiittttt!!!!! Yadi ek bhi car ko beech me kuch hua. Then... That will be troublesome.
Veer ke mann me pal bhar ke liye aaya ki wo yaha se hi gun se ek aim lagaaye aur Slogan ki car ke essential part ko uda de.
Akhir uske paas wo bhi toh thi...
HAWKEYE!!!
Aim bigadne ka koi sawaal hi nahi tha. But then again, uske saamne 20 se 25 cars thi. Aur Slogan ki car toh usse dur dur tak theek se nazar bhi nahi aa rahi thi. Kaash, wo uske just peeche hota. Yadi aisa hota, toh Slogan toh bas gaya tha fir.
Veer ne apni kamar par haath ferra aur uss cheez ko mehsoos kiya.
GLOCK 19!!!!
Usse apni kamar par mehsoos karte hi Veer ko uss shaks ka dhyaan aaya jisne usse ye gun dii thi.
"Ye lo! Tumhaare kaam aaegi!!"
"Huh? Y-Ye!!?"
"Aise kya dekh rahe ho? Kya pehle kabhi asli gun dekhi nahi? Mein tumhe ye sirf ek raat ke liye hi de rahi hu. You MUST return this after your hunt."
"I see~"
"I won't give any magazines. It's already loaded. Sirf self defence ke liye hi de rahi hu. Aur dhyaan rahe, bhul ke bhi ye tumhaare haatho se ghumni nahi chaahiye. I have the licence. You don't!! Yadi ye sahi salaamat kal mere haatho me nahi mili na. Toh mujhse bura koi nahi hoga. You got it?"
" *Smiles* Got it!!! Thanks!"
"Go now!!! And..."
"Hmm?"
"B-Be safe..."
" *smiles* Yeah!!"
Do raat pehle hue iss conversation ko yaad kar, Veer ke chehre par muskaan apne aap aa gayi.
Of course, ye gun ussi ne toh dii thi.
SUHANA!!!
Who else if not for her???
Uske alaawa aur kaun ho sakta tha? Aur ab Veer ko poora yakeen ho chuka tha. Ki, Suhana has killed someone in the past. Warna uske paas ye gun na hoti. Keval self defence ke liye Suhana gun rakhti hai?
Of course, It was a lie!
***
20 se 25 minute guzar chuke the par Slogan ko wo sabhi na rok paaye. Kaaran tha route. Slogan shayad iss route se familiar tha. Usse harr jagah par kese gaadi ko nikaalna hai aur kitni speed me nikaalna hai, bakhubi rata hua tha jese.
'Hahahahaha~ Apni maut ko khud anjaam dene waale ho tumlog aaj. Khaas kar tum... Veeeerrr!!! Tujhe toh mein apne haatho se maarunga aaj. Aur aaj wahi pe... Ussi jagah par... Tere haath se aaj firse Kaera mere changul se nikal gayi. Warna aaj toh mein.... Shiiitttt!!!! Bas... Bas mein pohuch gaya...!!'
Slogan ne apne aap ko mushqil se adjust kar jeb se phone nikaala aur kisi ko phone lagaaya.
*On call*
Slogan : Sab... Tum sab taiyaar raho. Mere peeche kareeban 20 se 25 gaadiya lagi hui hai. Ek ek ko bhoon dena. Sabse aage mein hu. Dhyaan rahe, mere nikal jaane ke baad hi firing start karna. Positions le lo. Plan me changes hai.
Recieving end se : Jii Dada!!! Abhi sachet kar deta hu sabhi ko...
*Call ends*
Aur Slogan ki car achaanak hi aisi jagah se guzri jaha ghapp andhera tha.
Road ke daayi taraf jaha poora ghana jungle tha toh wahi baayi taraf halki halki uchi chotiyaa. Aise time par bas yahi dua thi ki inn chotiyo par landslide na hoye.
Jese hi Slogan ki car andhere me gaayab hui. Jassi ke aage chal rahi car bhi peeche peeche gayi.
Par, isse ab jassi ka tajurba kahe, ya antargyaan!? Usne agle hi pal apne peeche aa rahi sabhi cars ko rokne ke liye apna haath baahar nikaal ke ishaara kar diya. Kuch gadbad thi.
*Scrrrreeeeeeeccccccchhhhh*
Skid maarte hue ek ek car sabhi cars rukne lagi.
Aur tabhi...
*Booooooooooooooommmmm*
Jassi : Huhhhh???
Raghu : !!!!!!!!!!??
Jo car Jassi ke aage chalte hue Slogan ko follow karte hue gayi thi wo agle hi pal...
Ek tezz dhamaake me udd chuki thi.
Itna zorr ka blast hua, ki peeche car me maujood Jassi aur Raghu samet baaki sabhi ki pal bhar ke liye rooh kaanp gayi.
Raghu ne ek nazar Jassi par daali aur mann me hi usse shukriya adaa kiya.
Yadi Jassi ne sabhi ko roka na hota toh? Unka bhi shayad yahi hashr hota. Soch ke uske poore shareer me goosebumps aa gaye.
Par unke do saathi maare gaye.
Raghu : That Bastardddd....
Jassi aur Raghu aur baaki sab kaafi peeche the. Isliye unhe surety nahi thi ki ye blast firing se hua tha ya fir...!?
Jassi (frowns) : Ye ya toh firing se hua hoga, ya fir...
Raghu : Huh? Ye mat kehna ki... *gulps*
Jassi (nods) : LANDMINE!!!
Raghu : Haaaahhh???? P-Par... Par Slogan bhi toh wahi se guzra...
Jassi : Bhulo mat Raghu ki ye uski hi territory hai. Woh yaha ke poore geographical terrain se waaqif hai. Hum nahi!!! Usne jaan boojh ke wo mine set karwa ke rakhi hogi.
'Tch!!! Pehle rocket launcher! Aur ab landmine... Slogan ko inn weapons ki access kaha se mili??' Jassi ne mann me socha.
Raghu : Par... Par kese!? Road itni bhi chaudi nahi hai kii... Usne ye bhi nahi kiya hoga ki tyres ke beech me se hoke wo mine ko paar kar jaaye. Itna calculated risk nahi lega... Fir... Kese...
Tabhi Jassi ki nazar daayi taraf maujood jungle ki orr gayi. Aur uske dimaag me kuch click hua.
Jassi : Tum sahi ho!
Raghu : Huh?
Jassi : Wo uss andhere ka fayda utha ke, seedha nahi gaya... Balki...
Raghu : !??
Jassi : Balki usne gaadi ghuma dii. Apni daayi taraf dekho...
Raghu : Iska matlab!???
Jassi : Hmm~ Jungle ke andar car ghused dii usne. Aur kyuki, hamaare saathi ne andhere me ekdum se car seedhi badhaayi, badqismati se uski car ka tyre mine par aa gaya.
Raghu : Wo... Haramkhor.....!!!!! Damn ittt!!!
Jassi : Car se utro!!
Raghu : Huh? Par...
Jassi : I'm sure ki waha jungle ki orr dherr saare aadmi maujood hai. Yadi hum aage jaate, toh ho sakta tha ki aur bhi mines hoti. Aur yadi nahi bhi hoti toh... Hume goliyo se bhoon diya jaata.
Raghu : Toh hume ab gang fight leni hogi. Right? Car ko cover ki tarah use karte hue hume aage badhna hai. Hai na?
Jassi : Hmm~ Slogan andar gaya hai jungle me. I'm sure, yadi yaha aadmi hai dherr saare, toh usne andar camps bhi banaaye honge. Hume ek path banaana padega. Safe path! Hum Slogan ko aaj kisi bhi haalat me bach ke jaane nahi de sakte.
Raghu : Of course~
Jassi : TEAM!!!! Baahar aao! Hume yahi se aage badhna hai. Dhyaan rahe. Bina cover ke fight nahi leni hai. Hamaare dushman ujaale me hai aur hum andhere me. Dusre shabdo me... Unhe hamaari postion pata hai. Par hume unke baare me kuch nahi pata. Kya hathiyaar hai unke paas, kitne log hai aur kaha par hai. Hum kuch nahi jaante... Par...
Car se utre sabhi aadmi Jassi ki baat dhyaan se sunn rahe the. Par unhe Jassi par bharosa bhi tha. Kyuki, wo ek qaabil gang leader tha.
Jassi : Par... Just follow me!
"Yessss Siiirrrr!!!!" Aur sabhi ne eksaath jawaab diya.
Jassi : Let's move!!!
***
Wahi Veer aur Karan jese hi peeche se sabhi ke paas pohuche toh unhone paaya ki saari gaadiya ruki hui thi. Karan ne confuse hote hue car slow kar dii. Par Veer ko already sab pata tha.
Steve marr gaya tha toh kya? Slogan ke peeche baithe wo do haraami toh maujood the na car me?
Veer ke chehre par qaatilaana muskaan thi.
BASIC ENEMY TRACKER!!!
*Beep* *Beep* *Beep* *Beep*
Laal bindu uske mann me map me chamakte hue SLOGAN ki poori location bayaa kar raha tha. Ya yu kahe ki Slogan ki nahi, uske saath peeche baitho unn do lafango ki. Par, ultimately Slogan tha toh unn do chutiyo ke saath hi.
'So he went inside that forest huh?'
[Yeah!!! Looks like it! Sambhal kar badhna!]
'Hmm~'
[There might be many inside.]
'Yeah!!!'
Aur tabhi,
*BANNNGGGGGG*
*BAAAAANGGGG* *BAAAAAANGGG*
*BAAAAANGGG*
Karan : What the~!? Don't tell me... Raghu aur Jassi fight le liye...!
Veer : Karan!
Karan : Huh?
Veer : Gaadi mujhe do. Tum baahar utro!
Karan : Wh-What??
Veer : Hmm~ Mujhe andar jaana hoga. Andar jungle me. Slogan wahi hai.
Karan : Whaaattt? Wait wait!! T-Tumhe kese pata? N-Nahi...! Wo chorro! Mein tumhe akele andar jaane kese de sakta hu? It's too risky. Hum milke yahi Raghu aur Jassi ka wait...
Veer : Karan!!!
Karan : Huh???
Veer (smiles) : Trust me!!!
Karan : ....
Veer (smiles) : I'll come back!!!
Kehte hue Veer ne apni fist aage kar dii!!
Fist bump ke liye.
Karan : Ehh? Nahiiiii! Wh-What the~!? Tumhe iski padi hai? No way! Mein aise kese...? Aur aise tum kisi action film ke hero ki tarah mujhe kyu dekh rahe ho jo ending scene me apni jaan dene jaa raha hai? Haan? Fuck! I can't...
Veer : You want us to be friends right?
Karan : I...I...
Veer : Then trust me... I'll come back! After all, I promised. Didn't I? Ki Miss Kaera ki help karunga.
Karan : That... *sigh*
Aur haar maante hue Karan ne Veer ki fist se apni fist bump kii.
Karan : Fine... Par... Meri baby ka dhyaan rakhna.
Veer : Huh?
Karan ne apni blue mulsanne ki orr ishaara kiya.
Veer : Ohh! You mean ye car... Alright! Don't worry! Now... I need to go!
Karan (nods) : Take care...!!!
*Vrrrrrroooooooommmmmm*
Par Karan ka jawaab ab aur dene ke liye Veer ke paas samay nahi tha. Usne forun hi gaadi ko race diya aur gaadi daayi aur modte hue ghumaa dii aur seedha car ko andar uss jungle me ghused diya.
Karan ko saath na laane ke do hi kaaran the. Pehla toh yahi ki Veer ko uski jaan ki parvaah thi. Wo firse apna naya dost nahi khona chaahta tha. Aur dusra yahi ki...
Karan Kishor ka ekmaatr beta tha!!!
Jo aadmi copter se leke, hathiyaar, aur itne aadmi bhej de. Jiski Kaera jaisi ladki ho. Usse yadi pata chalega ki uska beta maara gaya toh woh kya karega? Veer sochna bhi nahi chaahta tha abhi.
Aur car ko unn do laal binduo ki taraf badha diya usne.
Jungle toh jungle tha. Jaha se ghus jao waha se andar jaa sakta tha aadmi. Saamne road se lage hue hi Raghu aur Jassi fight le rahe the. Par idhar Veer unn sab ki nazro se bach ke peeche se hi andar ghus chuka tha.
Idhar andar...
Jagah jagah camps lage hue the. Saaf zaahir tha ki Slogan ne aadmiyo ko iss raat ke pehle hi yaha shift karwaa diya tha. Kaafi lambi planning thi. Yadi, Balhaar ne Veer ka saath deke plan flop nahi karwaaya hota toh aaj Kaera...
'Today!!! I'll take him down!!!'
Sochte hue Veer ne apni mutthi kass lii.
Slogan aur uske do chutiye jaise hi car me camps ke nazdeek pohuche, unhone dekha ki,
Chaaro taraf andhera hi andhera tha. Yadi kuch dikhaayi de raha tha toh bas chaand ki roshni me hi de raha tha. Camp ke nazdeek aag pehle se jal rahi thi shayad. Kyuki, halka halka dhuaa ab bhi usme se nikalta nazar aa raha tha. Shayad issi jagah par aadmiyo ne khaana paka ke bhi khaaya tha.
Par abhi wo zaroori nahi tha.
*THUD*
Car ka door gusse me band karte hue Slogan camp ke paas baithe ek vyakti ke paas jaane laga.
Aur poore camp me keval yahi ekmaatr vyakti tha jo yaha maujood tha. Wo tha...
MATTHEW!!!!
SLOGAN dwaara baahar se mangaaya gaya teesra Assassin!!!!
Dexter aur ek anya Assassin ko pehle hi Slogan tasks de chuka tha. Mirror gallery ke waqt. Jo ki ek failure tha. Par ab tak Matthew ko nahi. Kyuki, Matthew unn teeno me se sabse mehnga aur sabse skilled Assassin tha. Yahi kaaran tha, ki Matthew ko Slogan baahar nahi bhejta tha. Apni safety ke liye rakhta tha.
Slogan : *huff* *huff* *huff* Plans... Plans have changed.
Matthew : What is it? You are here?
Slogan : Yes!!! THOSE MOTHERFUCKERSSS~!!!!
Matthew : So? Fight has started?
Slogan : Already!!!! F-For now... I'll be here!!! It's... It's safe here...!!!
Aur abhi usne itna hi bola tha ki...
*Vrrrrrrrooooommmmmmmm*
Slogan : !!!!!?????
Kuch hi duri par ek car seedha andar aake ruki. Jo kiski thi, ye toh andaaza lagaana mushqil nahi tha. Slogan ke liye par bhalaayi raha ho.
Car me Veer ki smile distorted ho chuki thi. Kitna hi kyu na bhaag le Slogan. Jab tak wo unn do namuno ke saath tha...
HIS DEATH WAS FOLLOWING HIM!!
'Hehehehe~ Run all you want!!! I will come for you!!!'
[Y-You sound scary!!! T-Tum theek toh ho na?]
Par Pari ke prashn ka jawaab na mila usse. Aaj Veer abnormally excited tha. Isliye Pari ko chinta ho rahi thi. Kahi Veer ko khoon karne ka nasha toh nahi chadh gaya, Aatish ko maarne ke baad se? Aisa bhi ho sakta hai ki Alpha trait function ke kuch asar ho?
Pari ne soch liya tha ki wo jald hi Veer se iss matter par baat karegi. Par... Wo jaanti thi ki baat karne ka mauka shayad abhi lambe antraal ke liye nahi aane waala tha. 120 EXP more to go. Usse yaad tha ki bas itni hi EXP aur needed thi. System ko level up hone ke liye. Aur shayad, aaj ke iss mission ke baad. Ye complete hone waali thi.
Aur tabhi Veer yaha car se nikla...
*THUD*
Slogan ko ab yaha tak ki uss car ke door band hone ki awaaz bhi sunaayi dii. Par...
Car ki headlights band hote hi, Slogan ki samajh me nahi aa raha tha ki kaun hai woh insaan.
Uske khatre ki ghanti baji aur wo forun chillaaya,
Slogan : Guard me!! Guard me nowwwww!!!
Uski guhaar sunte hi, Matthew aage aake saamne aa gaya. Usne achanak hi apni kamar par tange night vision goggles nikaale aur apni aankho par chadha liye.
Assassin tha woh. Harr samay taiyaar rehta tha. Uske saare hathiyaar ekdum taiyaar the. Aur wo, car se nikle dur khade uss shaks ko hi dekh raha tha apne googles se, jo raat me dekhne ke liye uske kaam me aa raha tha.
Matthew : Show yourself!!!!
*CLICK*
Bolte hue usne apni handgun bhi cover se baahar nikaal ke apne haatho me le lii, jo ki already fully loaded thi. Uska aim Veer ke direction ki orr hi tha. Par, Veer kahi nazar nahi aa raha tha. Kisi ek ped ke peeche shayad chhupa hua tha.
Aur Matthew sahi tha. Veer car se nikalte hi ped ke peeche chhipa hua tha. Yadi fight leni hai, toh area ka jayza lena zaroori tha. Pari ne usse abhi raaste me samjhaaya tha.
Veer, ek scanner ki tarah area scan kar raha tha. Kahi aisa toh nahi koi aadmi chhup ke aim laga ke baitha ho? Yadi aisa hua toh ye deadly ho sakta tha. Isliye, area ko scan karna zaroori tha.
Veer ko khud ab dekhne me taqleef ho rahi thi. Isliye...
'PARIIII!'
[Got it!!!!]
*Ding*
[Beowulf's Blessings has been Turned On!]
Aur agle hi pal, pehle ke hi bhaati, Veer ki saasein tezz ho gayi. Seena zorro se upar neeche hone laga. Wo bhaari maatra me saas andar baahar kheechne laga. Aankho me laali chhaane lagi.
Dil ki dhadkan tezz ho gayi, pulse badh gayi aur usse aas paas ka harr ek sound boht hi clearly sunaayi dene laga. Yaha tak ki camp ke paas bhuji wo aag... Uski mehak bhi, Veer itni dur se smell kar paa raha tha.
Uske senses 120% badh chuke the.
INCLUDING HIS VISION!!!!
Iss se pehle Veer ko raat me itna clear nahi dikha tha. Aisa lag raha tha wo koi ullu ban gaya hai. Usse sab kuch itna saaf nazar aa raha tha.
Aur sabse khaas baat. Veer ekdum fit tha. Iska matlab iss baar...
Wo Beowulf's Blessings ko aadhe ghante se bhi zyaada derr tak maintain kar sakta tha.
Wo dheere dheere aage badha... Pedo ke sahaare khud ko chhipaate hue.
Uska haath kamar par apni gun par gaya. Yadi ye pehli baar hota toh Veer gun par dhyaan hi nahi deta. Aur seedha rush maar deta. Par, wo iske pehle hi ek baar Beowulf's Blessings ko use kar chuka tha. Iss baar isliye kaafi hadd tak wo controlled tha pehle ke muqaable. Par, still... Poora controlled hargiz nahi.
*Scruuuncccchhhh*
Zameen par bikhre pattjhad ki sookhi pattiyo par jab Veer ke kadam pade, toh awaaz huyi. Aur awaaz ko follow karte hue jese hi Matthew ne dekha toh usne paaya ki Veer kamar se gun nikaal raha tha.
Matthew (shouts) : HE HAS THE GUN!!! TAKE COVER!!!
Par usse bolne me thodi derr ho gayi...
*Ding*
HAWKEYE
*BAAAAAAANGGGGGGG*
*BAAAAAAAAAANGGGGG*
Ek jhatke me Veer ke haath me maujood uss gun se do shots nikle aur...
*SPLUUURTTT*
*SPLUUURTTTTTT*
Wo do aadmi, jo open me khade the. Unka bheja khul chuka tha. Bullet seedha jaake maathe ke beecho beech skin ko phaadte hue ghus gayi!!!
Aur dono hi dhadaam se zameen par agle hi pal laash ban gaye.
Slogan jo Matthew ki baat sunn forun hi ped ke peeche chhup gaya tha. Uske chehre se rang udd chuka tha.
Par wo do aadmi, open me the. Nateeja? Unki maut!!!
Yadi Veer iss state me na hota. Toh wo definitely unhe jaan se nahi maarta. Par...
Iss state me toh jese, Veer koi alag hi insaan tha. Hontho par se uske wo muskaan jaa hi nahi rahi thi.
Unn dono ko ek baar me usne maar diya. Kya galti thi unki? Of course, thi na galti.
THEY WERE STANDING BESIDE SLOGAN!!!!!
Matthew : Run away! Get to a safe location. He seems dangerous. I'll deal with him.
Slogan : A-Alright!!!!
Aur Slogan agle hi pal kuch soch ke jungle ke aur andar bhaagne laga. Baahar jaana toh khatre se khaali nahi tha. Goliyo ki halki halki aati awaaz hi bata rahi thi ki waha jung chal rahi thi.
Fir kaha jaaya jaaye? Ek hi option tha. Andar ki orr!
Wese bhi wo iss jungle se boht acche se waaqif tha. Itna ki uss se behtar shayad hi koi iss area ko jaanta ho. Aur ho sakta hai, uske andar jaane se, jo koi bhi uska peecha kar raha tha wo darr ke maare andar na aaye. Isliye yahi best choice thi.
Slogan ko bhaagta dekh, Veer ne usse maarne ke liye aim kiya. Aur,
*Ding*
HAWKEYE
*BAAAANGGGGGG*
Aur ek bullet jaake seedha uske haath par lagi.
"Aaarrghhhhh!!!!!" Wo chillaaya par ruka nahi.
Veer ne firse aim liya. Par iss baar Matthew ne cover fire dete hue Veer ko aisa karne na diya.
Uske baad bas firing ka silsila shuru ho gaya. Veer yaha se fire karta toh jawaab me Matthew waha se. Aur dono hi cover liye hue the.
Bas intezaar tha dono ko. Kiski magazine pehle khatam hoti hai.
Matthew ke paas kuch magazines extra thi. Par Veer ke paas nahi. Glock 19 me 15 bullets aati thi. Aur ek uske chamber me rehti thi. Yaani ki total 16 bullets. Jisme se 2 toh pehle hi khaali ho chuki thi. 1 Slogan ko abhi maari, Aur Veer ne ab 9 Matthew par fire kar dii thi.
Now... He was left with only 4!!!
HAWKEYE ke istemaal se ab tak Matthew ko bullet lag jaani chahiye thi. Baat ye nahi thi ki HAWKEYE me kuch fault tha. Baat ye thi ki jese hi bullet muzzle se nikalne waali hoti thi, Matthew duck kar leta tha. Aur nateeja... Wo bullet waste chali jaati thi.
Veer ne gun andar rakhi. Yadi aise hi chalta raha. Toh uske Beowulf's Blessings ka samay khatam ho jaane waala tha.
It was time for a bloody physical fight!!!
Aur agle hi pal...
*Swwwooooooossshhhhh*
Matthew : HUH???
Veer ek jhatke me hawa ke jhoke ki tarah apni position se gaayab ho gaya.
Wo seedha side se Matthew ki orr badha. Aur matthew ko ye abhaas hote hi uske poore shareer ke raungte khade ho gaye.
SOMETHING WAS COMING AT HIS WAY!!!
*Schhliiingggg*
Matthew ne apni knife nikaali. Aur night vision goggles ke sahaare wo harr jagah dekhne laga. Close combat me... Knife was better than a gun!!!
Aur tabhi...
Apne peeche se usse zorr se kisi ke aane ki awaaz aayi. Unn bikhre hue patto ke kuchle jaane ki...
Wo palta aur...
*BAAAAAAAAAMMMMMMM*
Ek kick seedha aake uske torso par lagi...
"Gwaaakkkhhhhh...!!!" Muh se thook nikla uske aur wo hawa me udte hue peeche jaa gira.
Veer ki agility itni zyaada thi ki wo defend karne me late ho gaya.
Wo utha usne gun se aim kiya...
*Whooooossshhhh*
"H-Huh!???"
Par ek baar fir Veer apni jagah se gaayab ho gaya.
Matthew harr taraf dekhta raha. Par kahi bhi Veer ka nishaan na mila. Sab kuch shaant sa ho gaya jese.
Matthew : Shitttt!! Show yourself!!!!
Uske chillate hi...
Achanak hi usse jese ek kampan mehsoos hua. Aur agle hi pal usne apne upar dekha. Upar dekhte hi uske chehre se uska rang udd chuka tha.
Veer ped ki daali par ulta latka hua tha. Aur usse hi ghoor raha tha. Uski bloodshot eyes... Matthew par hi focused thi. Aur hontho par wahi muskaan saji hui thi.
Matthew : Y-Youuuu!!!
*BAAAANGGGGGG*
Usne fire kiya par target miss ho gaya. Veer seedha neeche ek jhatke me aaya aur ek tezz tarraar laat Matthew ke face ki orr aayi.
Matthew : You think I don't know how to fight a close combat??? Hmph~
Matthew ne block kiya, Veer ke perr ko pakda aur usse kheech usne ek zordaar force se uske chehre par punch land karna chaaha.
Par ye dekhte hi Veer ka sarr apne aap uske badhe hue reflexes ke chalte hawa me hi, jhatke se neeche ho gaya.
*Whooooossssshhhhh*
Matthew ka ghusa, uske face ke just upar se nikla aur apne dono haatho se uske haath ko pakad, Veer ne jo ek taang neeche zameen par tikaayi hui thi uss par force deke khud ko hawa me uchhaal diya.
Aur uski wahi taang sansanaate hue hawa ko cheerte hue Matthew ke baaye kaan ki orr aayi.
'Shiitttt!!!'
Usne apna baaya haath uthaate hue forun hi apne aap ko bachaana chaaha par aisa karna se, apna baaya haath apni baayi aankh ki taraf karne se uska left side ka field of vision poora block ho gaya.
Usse pata tha ki uski orr kick aa rahi hai isliye usne apna haath raise kiya bachne ke liye. Par aisa karne se ab usse uss orr ka kuch dikhaayi nahi de raha tha.
It was an opening!!!
Veer ke chehre ki muskaan aur fel gayi. Aur ek jhatke me jo perr uska pehle hawa me Matthew ke kaan ki orr badh raha tha wo hawa me hi apna direction badla aur seedha neeche chala gaya.
*BAAAAAAAAMMMMM*
"Aaaaaaaaaarrrgghhhhhhhh!!!" Wo kick seedha aake Matthew ki left pasli par padi. Aur ek tezz dard fel gaya uske shareer me.
Veer ne agle hi pal kamar se gun nikaali...
Matthew : !!!!????
Aur jese hi matthew ke maathe par rakh usne shoot kiya.
*BAAANNGG*
Matthew ne peeche girte hue duck kar liya. Ab Veer ke paas keval 3 bullets hi thi.
Idhar Matthew ke haath tezzi se gun ko unholster kiye aur...
*BAAAANGGGGGG*
Usne bhi shoot kiya par Veer ke reflexes jese uske liye aaj bhagwan ki den the. 100% increase in reflexes.
Khud ke shareer ko apne right side karte hue usne dodge kiya aur tezz raftaar me bhaagte hue Matthew ki orr aaya.
Matthew ke girte shareer ke paas aate hi usne seedha ek punch maara aur wo punch apni aankho ke saamne nazdeek aate dekh Matthew ne apni dono hatheliyaa upar kari.
*Baaaaaaaammmmm*
Punch rok toh bhalaayi liya usne par Veer ki strength aur uss force ke chalte fir bhi wo punch pad gaya.
"Uughhhhh!!!" Zameen par uska shareer dhadaam se gira.
Tabhi Veer ne uska ek haath thaama aur...
It was time for...
LIMBO!!!!
Veer ne jese hi uska haath marodna chaaha, Matthew ne ek jhatke me khud ko uski pakad se churraaya.
[Limbo won't work!!!! Limbo ki apni khaamiya hai. Last time tum Balhaar par isliye use kar paaye the kyuki wo guard par nahi tha apne. You caught him off guard. Tumne usse peeche se pehle hi grip bana ke pakad liya tha. Par yaha ye work nahi karega. Wo aadmi poora guard raise kiye hue hai tumhaare liye. Limbo is useless here!!!!]
Pari ne jese hi Limbo ka disadvantage bataaya, Veer ne Matthew se forun hi distance le liya.
Pari ne ek raahat ki saas lii. Atleast aaj Veer iss state me hone ke bawajood bhi uski baat toh sunn raha tha.
[Don't waste more than one bullet on him now. Keval 3 hi bachi hai. Try to finish him in one bullet. Use distractions.]
Veer kuch na bola, aur fir se wo pedo ka sahaara lete hue chhup chhup ke aage badhne laga.
Matthew : Damnnn youuuuu!!!! Ughhh!!
Aur palak jhapakte hi Veer firse kahi gaayab ho chuka tha uss andhere me.
*Baaaangggg*
*Baaaangggg*
*Baaaangggg*
Matthew apna aapa khote hue iss baar kayi bullets gusse me fire karne laga.
*Scrunccchhhhhh*
Tabhi uske peeche kuch halchal hui, wo achanak hi palta aur usne agle hi pal....
*Baaaaanggggggg*
Fire kar diya. Lekin...
Peeche koi na tha!!!!
Matthew : H-Huhhh??
Aur tabhi iss baar, iss baar peeche se awaaz aayi. Firse... Wo fir muda...
Par uske mudte hi, achanak hi koi cheez aayi aur uske muh me ghus gayi.
Matthew : Uuummmphhhh~!??
Veer ki Glock 19!!!!
Matthew ne apni gun seedha Veer ke maathe par taani aur shoot kiya.
*Click*
*Click*
*Click*
Matthew : !!!!?????
Uski magazine ke rounds khatam ho chuke the. Wahi Veer ke paas 3 bullets baaki thi.
Aur tabhi, Matthew ne Veer ke hontho ki woh haiwaano waali muskaan dekhi.
Aisa laga jese devil khud hell se aake aaj uski maut bann'ne aaya tha.
Aur...
*BAAAAAAANNNNNNGGGGGGGG*
Bullet Matthew ke muh ko cheerte hue uske palate ko phaadte hue uske sarr ke peeche se nikal gayi.
*Thud*
Matthew ka shareer bejaan zameen par gir pada. Jo awaaz Matthew ne pehle suni thi aur wo peeche muda tha, wo kuch aur nahi tha. Veer ne patthar feka tha peeche. Jis kaaran se Matthew peeche mud gaya aur usne apni aakhiri bullet hawa me waste kar dii. A fucking distraction. As Pari said.
Aur Veer waha ek pal na ruka.
Wo seedha andar kii orr bhaaga. It was time for his main enemy. SLOGAN!!!!
Kahi bhi kyu na bhaag jaaye Slogan. Veer uska pata laga lene waala tha. Kyuki usse pata tha ki usse kese dhudna hai Slogan ko.
'I'm coming for you... *smiles* "
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye update boht mehnat se likha hai. Update ka size more than 5.5k words hai. Raat me jagte hue. So, Like thok ke jaane ka. Aur revos rakhne ka. Also, as I said ki jese jese story aage badhegi, fights intense hoti jaengi. Aaj aapne dekh liye hoga. Well, filhaal itna hi.
Dhanyavaad!
Wakai (sanjiv) Slogan ki past ki kahani badi dukh bhari thi pakhandi baba ki wajah se yeh sab huwa Slogan n sahi kia uss pakhandi baba ko maar kerMega UpdateAb tak...
[Koi itna diler ho sakta hai? Batao?]
Update - 76 ~ SLOGAN!!!
[This update contains gore as well as some disturbing scenes. Please, proceed accordingly.]
Bullet Matthew ke muh ko cheerte hue uske palate ko phaadte hue uske sarr ke peeche se nikal gayi.
*Thud*
Matthew ka shareer bejaan zameen par gir pada. Aur Veer waha ek pal na ruka.
Wo seedha andar kii orr bhaaga. It was time for his main enemy. SLOGAN!!!!
Kahi bui kyu na bhaag jaaye Slogan. Veer uska pata laga lene waala tha. Kyuki usse pata tha ki usse kese dhudna hai Slogan ko.
'I'm coming for you... *smiles* "
Ab aage...
Laal....! Laal rang...!
Khoon!!!
Apne kaanpte hue khoon se sane haanth par rumaal baandhte hue Slogan jungle ke beecho beech andar aa chuka tha. Uska laal laal khoon, haath se raaste me boond boond tapakte jaa raha tha.
Aur yaha aate hi uske saamne gehri khaayi thi. Behad gehri khaayi. Jo jungle ko do bhaago me baate huye thi. Par badqismati se, doosre chorr par jaane ka koi raasta nahi tha.
*Huff* *Huff* *Huff*
Haafte hue wo thakaan ke maare ek bade se patthar par tik ke baith gaya jo zameen me hi dhassa hua tha. Uski saasein boht tezz ho chuki thi.
Unhe durust karne wo yahi baitha aur saamne khaayi ki orr dekhne laga.
Pehle, yaha ek lakdi ka pul hua karta tha. Ek bridge. Jo jungle ke dono bhaago ko jodta tha. Par ab uss pul ka koi naam-o-nishaan nahi tha. Harr jagah bas ghaas, ped aur paudho se hi bhara hua tha jungle. Badi badi bel jo kaafi lambaayi tak bikhri hui thi.
Ye sab dekh Slogan ki aankho me achaanak hi aasu aa gaye. Ye wahi jagah thi. Wahi jagah!!!!
***
20 years ago...
Ye samay tha varsha ritu ke baad ke mausam ka. July, August ke maah me jab zorro se baarish hoti thi, uske baad vataavaran me halki thand sii fel jaati thi.
"Aaahhh~" Mitti par jab bhi baarish ki boonde padti thi, toh woh saundhi saundhi, mehek poore vataavaran ko sugandhit kar deti thi.
Aaj mein ek talaash me nikla tha. Kisi ko dhundne. Boht suna tha inn mahaan vyakti ke baare me. Aur ussi suna suni me mein apne mann ki jigyaasa ko khatam karne ke liye aaj ravaana ho raha tha.
"Sambhal kar jaiyega! Samajh gaye?"
Mein jab apni pant ki button laga raha tha toh meri pyaari patni, Sudha ne aakar mujhse kaha.
"Arre tum chinta kyu karti ho? Kal tak aa jaunga! Aur kal nahi aa paaya toh parso toh kisi bhi haal me aa jaunga."
"F-Fir bhi, a-aap sambhal kar jaana. Aur jitna jaldi ho sake. Ghar laut aana."
Sudha ki chinta dekh mene usse apne seene se laga liya. Mera parivaar ek madhyam vargeeya parivaar tha. Ek middle class family. Uss zamaane me.
Kapdo ka vyapaar shuru kiya tha naya naya. Toh saara paisa vyapaar me laga diya tha. Jis kaaran se ghar ki aarthik sthiti thodi tang chal rahi thi iss waqt. Aur dikkat yahi thi ki mera vyapaar sahi nahi chal raha tha.
Ussi ke nivaaran ke liye mein iss mahaan vyakti se milne jaa raha tha. Aur ek kaaran aur bhi tha.
Mene apni nazre ferr, meri bacchi ki orr dekha. Meri ekmaatr bacchi.
Swati!!! Meri laadli!!!
"Swati~ Pita jii jaa rahe hai tumhaare." Sudha mere seene se alag hote hue Swati ko dekh boli.
Toh Swati, jo kaagaz me chitr bana rahi thi wo langdaate langdaate mere paas aayi aur mujhse chipak gayi.
"Pita jii~ Jaldi aana!!!" Mene Swati ko muskura ke dekha aur pyaar se apni bacchi ke sarr par haath fera.
Kaash meri bacchi pehle jaisi hoti. Sadak haadse ke baad se uska ek perr bilkul hi mud chuka tha. Isliye, wo sadhaaran roop se nahi chal paati thi. Thoda langdaati thi. Meri phool jaisi pyaari bacchi ke liye mein kuch bhi karne ko taiyaar tha.
Phool se yaad aaya, meri bacchi Chitrakala me boht maahir thi. Usse sabse zyaada phool pasand the. Aksar kaagaz me alag alag sundar phulo ke chitr banaaya karti thi. Aur mein usse aksar naye naye rang laake deta tha.
Uske gaalo ko choom kar mein ghar se baahar nikla. Kitne doctors ko nahi dikhaaya tha mene Swati ko. Par sab ka jawaab yahi rehta, ki ab bacchi ke perr ka kuch nahi ho sakta. Saari zindagi wo aisi hi rahegi.
Par mein aisa nahi hone dena chaahta tha. Meri bacchi saari zindagi langda ke chalegi? Bilkul nahi! Kuch bhi ho jaaye, mein usse uska puraana jeevan lauta ke rahunga.
Aur mein nikal pada...
Sheher se dur, kaafi dur aane ke baad, raah chalte logo se kayi baar puchne ke baad mein uss jungle me gaya. Thoda bhatka beech beech me, par baad me mujhe wo mil hi gaya.
Lakdi ka wo jarjar pul. Jo khaayi ke upar bana hua tha. Aur jungle ke dono bhaago ko jodta tha.
'Ye pul toh boht hi kamzor prateet hota hai. Kahi gir vir gaya toh kya hoga?'
Sochte hue mein sambhalte hue aage badha aur pul ki rassi ko pakad pakad dheere dheere kadam badhaaye mene.
Par, kuch bhi nahi hua. Hahaha~
Mein toh khamakha ghabra raha tha. Ye pul toh boht bhaar seh sakta tha. Bilkul! Yaha se log nikalte hi honge praayah toh isme koi shaq hi nahi ki ye jarjar hoga.
Jungle ke dusre chorr par aate hi mein nikal pada apni talaash me. Par aashcharya ki baat thi ki mujhe koi taqleef nahi gayi. Jagah jagah lakdi ke board lage hue the jo mudne ki disha bata rahe the.
Aur jese hi mein ant tak pohucha. Mene dekha ki,
Jagah jagah kuttiya bani hui thi rehne kii. Aur aisa lag raha tha ki jungle me hi kayi log basne aa gaye hai.
"Y-Ye sab??" Mein toh mantramugdh hoke reh gaya tha.
"Kya kaam hai baccha? Mein dekh sakta hu. Tum meri hi talaash me aaye ho. Hai na?"
Tabhi, mere kaano me ek aadmi ki awaaz padi jisse sunn ke mere raungte khade ho gaye. Saamne ek bade se patthar par ek kareeb 55-60 saal ke buzurg aadmi baithe hue the. Bilkul, saaf safed dhoti kapda pehne hue.
"J-Jii! A-Aapko kese pata chala?" Mene pucha.
Unke agal bagal neeche sab haath jod ke baithe hue the. Aur kuttiya ke paas, kuch bacche the jo aapas me khel rahe the. Kuch phal khaa rahe the, toh kuch andar hi so rahe the.
"Mujhe harr baat ka gyaan rehta hai putr! Tum batao! Mein jaanta hu tum samasya me ho. Par fir bhi, mein tumhaare muh se sunn'na chaahta hu."
Mere toh harr pal shareer me ruye khade hote jaa rahe the. Inn sajjan purush ko toh sab pata tha. Inhi ki toh talaash me mein aaya tha yaha. Aakhir mil hi gaye wo mujhe.
Mein haath jod ke unke perro ke paas aaya,
"Guru jii!!! Aap se kya chhupaana. Aur aap toh sab jaante hi honge. Aapko toh ye bhi pata tha ki mein aapko dhundne aaya tha. Meri samasya ka nivaaran bataiye guru jii! Mein aapke perr padta hu. Meri madad kariye... Meri madad kariye..."
Aur mein bebas ho utha.
"Arre baccha!!!" Unhone mujhe pakad ke uthaaya, "Ye kya karte ho? Shaant! Sab samasya ka hal bataunga. Par pehle shaant. Aur ab vistaar me batao."
"J-Jii!" Mein shaant hua aur bolna shuru kiya.
Mene jab apni poori baat guru jii ko bataayi toh wo kuch derr soch me pad gaye. Mein thoda ghabraane laga. Kya wo meri madad kar toh paenge na? Mene boht suna tha ki guru jii ne bade se bade chamatkar kar ke dikhaaye the. Toh meri bacchi ki taang toh wo chutkiyo me sudhaar denge. Hai na? Aur mere girte vyapaar ka bhi hal bata denge.
"Hmm~ Mein toh jaanta tha ye hoga. Baccha! Tumhaare vyapaar me tumhaari galti hai."
"H-Huh?? M-Meri galti? Meri kya galti guru jii!?"
"Tum mann se dhandha nahi kar rahe ho. Harr waqt chinta me doobe rehto ho. Apne graahako se namr vyavhaar me baatein karo. Aur hamesha khush raho. Fir dekhna tumhaare vyavhaar me kitni tarakki aati hai."
Kehte hue unhone mujhe ek phool de diya. Mene bade hi sambhaal kar usse apne rumaal me rakh liya.
"Aur meri bacchi, Swati ka kya guru jii?"
"Hmm! Bacchi ko tumhe yaha laana hoga. Kyuki mein keval kudrat me hi rehta hu baccha! Shehri hawa mujhe pasand nahi. Usse yaha leke aao. Uska perr mein sahi kar dunga."
Ye baat sunn jese mein wahi jamm ke reh gaya. Ek aas! Ek aas jo mere andar ab tak bachi hui thi wo jese guru jii ki baat sunn yakeen me badal gayi.
Meri Swati firse theek ho sakti thi. Jo kaam doctor na kar sake wo guru jii karne waale the.
"Guruuuu jiiiiiiii!!!!!" Mein unke perro par gir pada.
Mein bhaavuk ho gaya. Aur wahi baithe kuch derr baith guru jii ke saath samay guzaara. Jese jese mein unse baatein karta jaa raha tha. Mein jese naya gyaan praapt kar raha tha.
Unki baat maan mein waha se nikla. Aur ghar pohuchne me mujhe poora ek din beet gaya.
Mene unki dakshina me jitna mein de sakta tha utna de diya. Unka kehna tha ki wo paiso ka ek rupaya nahi lete. Jo ki sach tha. Saare paise unn gareeb anaath baccho ki dekhbhaal aur khaan paan me jaate the. Aur ussi me wo sabhi bhi khaate the aur apna jeevan jeete the.
Guru jii ki baat maan, mene wahi kiya. Dhandhe par dhyaan diya. Aur chamatkar hi ho gaya. Mera dhandha jo rukk sa gaya tha wo ekdum se dhadalle se upar uth gaya. Bikri chaugana ho gayi thi.
Aur tabhi, ek din...
Jab mein apni godaam se shutter band kar baahar nikla tabhi ek Cielo mere paas aakar ruki.
Mein bas usse hi dekhta raha. Kam se kam 5-6 lakh ki toh hogi hi. Aur tabhi sheesha neeche hua aur mein andar kya dekhta hu??
"Arreeee???? K-Kishor??? Tum????"
Kishor! Mere school me saath me padha hua tha. Hum school khatam hone ke baad se boht hi kam milte the. Uski apni alag duniya thi. Uska vyapaar itna bada tha ki kehne ke kiye mere paas shabd nahi the.
Andar suit pehne baitha hua tha woh. Kitna bada aadmi bann chuka tha woh. Aaj tak mein uske bangle ke andar bhi nahi gaya tha kabhi. Bas baahar se dekha hua tha.
"Sanjeev!!!" Wo muskuraya aur bola, "Kaafi dino baad mil rahe hai hum. Kaisa chal raha hai dhandha?"
Usne andar se hi pucha. Mene bura nahi maana. Wo mujhse baat kar raha tha itna sab hone ke bawajood, wahi kaafi tha. Kam se kam wo mujhe pehchaan'ne se katra toh nahi raha tha. Warna aaj kal ke raees log apne hi kal ko bhul jaate the.
"Dhandhe me ekdum se munaafa dekhne ko mil raha hai. Sab kuch Guru jii ki den hai!" Mene kaha.
"Guru jii?"
"Haan! Guru jii! Boht hi siddh purush hai. Mahaan vyakti. Chamatkaar karte hai woh. Mera dhandha ruka hua tha. Unke ek upaay se sab kuch jaise badal gaya. Haha~"
Meri baat sunn mene pal bhar ke liye uski aankho me chamak dekhi.
"Toh... Ye... Ye kaha rehte hai Guru jii? Kaha milenge? Kya naam hai inka?"
"Mein bata nahi sakta. Tumhe khud jaana padega Kishor unse milne yadi milna hai toh. Kya baat hai? Kya tumhe bhi koi samasya hai kya? Mujhe toh nahi lagta tum kisi pareshani me hoge. Bhagwan ka diya sab kuch hai tumhaare paas."
"N-Nahii! Mujhe... Darasal! Mujhe apni beti ke baare me... Uska bhavishya jaan'na tha."
"Ohhh! Matlab Kaera bitiya ke baare me? Arre ye kaam toh Guru jii chutkiyo me karte hai."
"Sach me?"
"Haan haan! Mene khud aankho se dekha hai Kishor! Tum mere saath padhe likhe ho isliye tumse ye baat saajha kar diya. Warna, Guru jii ke kaarnaamo ki baatein boht hi kam log bataate hai. Kyuki, Guru jii ne mana kar ke rakha hua hai. Unhe shehri hawa pasand nahi. Isliye wo inn sab se dur rehte hai."
"Ohhh!" Wo kuch derr socha aur fir bola, "Kya tum mujhe inn guru jii se milwaane le chaloge? Badle me meri taraf se ek offer hai tumhaare liye."
"Huh?"
"Tum mere dost ho Sanjeev. Hum dono pehle se ek dusre ko jaante hai. Tumhaare mann me bhi aage badhne ki iccha hogi. Apna vyapaar bada karne ki?"
Usne mujhse pucha. Aur firse bola,
"Mein kya kehta hu? Mene haal hi me ek factory khareedi hai. Wo factory karz ke maare band ho gayi thi. Mein apna paisa lagaunga aur kapde ke liye machines lagwa dunga. Tum ye jo thok me dukaano me kapde bhejte ho. Iss se accha ye nahi ki tum khud ki ek pehchaan banao? Ek brand!!! Fir tum aise me kuch dukaano me nahi, balki alag alag shehro me apne kapde bhej paoge. Kya kehte ho? Usme se 30% mera. Baaki poora 70% tumhaara rahega. Aur jo investment mein abhi karunga. Usse tum samay rehte dheere dheere chuka dena. Koi byaaj nahi lunga."
Kishor ka diya gaya offer sunn mein toh sann reh gaya tha. Guru jii se ek baar mil ke hi aaya tha aur karishma dekho. Kishor khud aake mujhe offer de raha tha.
"Ahahaha~ K-Kyu nahi? B-Bilkul! Mujhe manzoor hai Kishor! Aur tumhe Guru jii se milna hai na? Tum chalo mere saath. Mein issi shanivaar ko nikalne waala hu, apni bitiya Swati ko lekar. Bolo? Kya tum chaloge?"
"Toh theek hai. Toh meri beti Kaera... Kya usse bhi leke chalna hoga?"
"Bilkul! Aur chinta mat karo. Swati bhi rahegi toh Kaera beti bore nahi hoegi. Haha~"
Wo muskuraaya, mera haath milaaya aur usne mujhe shanivaar ko apne ghar par bulaaya saath chalne ke liye.
Aaj mein khushi se fula nahi sama raha tha. Ek ke baad ek khushkhabri mujhe milti hi jaa rahi thi. Aur jald hi ek aur milne waali thi shayad. Meri bacchi Swati firse sahi dhang se chalne waali thi.
Mein ghar pohucha aur jaate se hi mene Sudha ko pakad ke usse gol gol ghumaane laga.
"Hahahaha~"
"Arre arre?? Ye... Ye kya kar rahe ho aap? Mein gir jaungi. Aur kya hua? Kuch bataiye toh sahi?"
Jese hi mene Sudha ko saari baat bataayi wo bhi khushi me mere saath jhoomne lagi. Hamaara parivaar ab se bas khush-haal jeevan jeene waala tha. Mein, Sudha aur Swati!
Sudha meri sab kuch thi. Aur Swati bhi. Ye dono hi meri jaan thi. Ek ke bina bhi mein jee nahi sakta tha.
Dekhte hi dekhte, shanivaar aaya aur mein Swati ko leke nikal gaya. Kishor ke ghar pohuchte hi mein toh dang reh gaya. Jitna bangla baahar se bhavya dikhta tha. Andar se toh aur hi gajab ka tha.
Sofe par baithe the mein aur Swati. Aur fir...
Kishor, ek shirt pant me baahar aaya aur uski beti Kaera ek pyaari sii frock pehne.
Thodi boht baatein hui aur fir Kishor ne Madhav, jo uske ghar me kaam karta tha usse kuch samjhaaya kaam ke baare me aur hum sabhi nikal pade.
Jungle tak baahri road tak ka safar humne Kishor ki gaadi me kiya. Swati itna khush thi car me baithne par ki mene waada kar liya ki mein bhi ek din car lunga. Usme Sudha aur Swati ko sang baitha ke yu ghumunga.
Hum sabhi jab utre toh andar ki orr mein unhe le jaane laga.
"Sambhal kar aana theek? Wo darasal, Guru jii rehte hi aisi jagah hai ki kya kare." Mene kaha.
Aur akhir hum uss pul par pohuche. Dheere dheere ahista ahista hum aage badhe. Jesa ki mene kaha tha. Pul mazboot tha. Bas dikhne me jarjar lagta tha. Haha~
Hum sahi salaamat andar pohuch gaye. Thodi derr araam karne kuch neeche lage pattharo par baith gaye. Beech beech me mein aur Kishor apni apni betiyo ko goad me le lete the.
"Swati Didi? Ye aap kya bana rahi ho?"
Kaera ne meri bacchi se pucha jo lakdi se zameen par kuch bana rahi thi.
"Mein? Mein ye phool bana rahi hu. Kesa hai?"
"Boht sundar hai!!!" Kaera muskuraayi toh Swati bhi khilkhilaate hue uske sang aur khul ke baat karne lagi.
Aur idhar Kishor...
*huff* *huff* *huff*
Haaf raha tha. Toh meri hassi chooth gayi, "Hahaha~ Kyu businessman jii? Itne me hi thak gaye? Kaha gaya wo school ke zamaane ka josh? Isliye zyaada car me nahi ghumna chaahiye. Warna shareer ko chalaane ki aadat khatam ho jaati hai." Mene kaha.
"Aisa... Aisa nahi hai! *huff* Wo toh bas... Kaafi din baad... Aise... Aise aaya hua na. Isliye!"
"Hahaha~" mein fir hassa aur sarr hilaate hue hum sabhi ek baar fir uthe aur andar jaane lage.
Jese hi hum waha pohuche toh waha kayi log maujood the.
"Ye lijiye paise! Ye toh aapko rakhne hi honge mein kuch bhi nahi jaanta. Warna mein kabhi dobaara Guru jii se milne nahi aaunga."
Kehte hue ek aadmi ne noto ki gaddi se bhara ek chota suitcase Guru jii ke chele ke saamne kar diya.
"Par... Par Guru jii ko paisa nahi chahiye."
"Arre mein jaanta hu. Par yaha inn baccho ke liye toh mein kuch kar hi sakta hu na?"
Aur itna bol wo na jaane kitne paise the usme par poora suitcase wo Guru jii ke chele Raman ko thama gaya. Aur waha se haath jod ke nikal gaya.
Mein toh dang reh gaya tha. Itna paisa de gaya woh ek jhatke me? Jaise paisa nahi, haath ka mel ho.
Raman ne hume dekha aur usne fir maayusi bhara chehra banaaya aur bola,
"Maaf kariyega! Par aaj aap log Guru jii se nahi mil sakte."
"Huh? N-Nahi mil sakte se kya matlab hai? Hum boht dur se aaye hai." Mene bola.
"Baat woh nahi hai. Guru jii kisi ka ilaaj kar rahe hai. Aur ye boht hi gambheer ilaaj hai. Unhe aaj poori raat lag jaegi."
"H-Huhhh??? A-Aisa k-kya?? Fir..."
"Maaf karna! Aapko taqleef hui. Par harr ek Zindagi zaroori hai."
Uski baat sunn mujhe andaaza laga ki kisi ki Zindagi ka sawaal tha. Guru jii ilaaj me vyast the. Par... Par meri Swati ka kya?
"Toh? Toh hum yahi ruk jaate hai. Guru jii kal toh Swati ka ilaaj kar paenge na?"
"Dekhiye! Aap khamakha taqleef le rahe hai. Aap jaaiye! Aisa kijiye, aaj ki raat jungle ke baahar jaake kisi hotel ya baahar road me budhi mahila ke ghar me guzaar lijiye. Aur subah aa jaaiyega?"
Mera mann toh nahi tha par uski baat maan'ne ke alaawa aur koi chaara nahi tha.
Tabhi achanak hi kuttiya ka darwaza khula aur Guru jii ne andar se hi jhaaka.
"G-Guruuu jiii!!!" Mein apni jagah se chillaaya.
"Ssshhh~" unhone shaant rehne ke liye kaha. Unhone sirf mujhe dekha aur Kishor ko.
Kyuki, Kaera aur Swati dono hi dusri kuttiya ke paas baithi hui thi.
"Mein jaanta hu tum boht besabar ho Sanjeev!! Aur mein tumhe bhi jaanta hu. Kishor!!!"
Ek baar fir, Kishor ke saath saath mein dang reh gaya. Guru jii ko sab pata rehta tha.
"Par sthiti boht hi naazuk hai idhar. Tum dono abhi waapas laut jao. Kishor!!!"
"Guru jii! Meri beti Kaera! Uska bhavishya... Yadi aap aaj nahi bata sakte toh kya? Mere ghar par... Aap aaenge? Kabhi baad me?"
"Hmm! Theek hai! Mein aaunga. Aaj tum dono mere yaha se khaali haath jaa rahe ho isliye... Mein sheher aaunga. Aur Sanjeev, tumhari beti ka ilaaj bhi tabhi karunga."
Aur itna bol wo andar chale gaye. Idhar Raman ne meri beti ko bula ke usse ek phool thaamaaya aur hum sabhi bemann waapas lautne lage.
Par ek baat ki khushi thi. Wo ye ki, Guru jii sheher aane waale the.
Hum dekhte hi dekhte pul ke paas pohuche. Swati kaafi thak chuki thi. Kaera bhi.
"A-Arree?? P-Pita jiiii!!!" Wo chillaayi.
"Kya huaaa?"
"Pita jii! Unka diya hua phool!!! Kahi... Kahi gir gaya shayad. Mene frock ke jeb me hi rakha tha."
"Ohh hooo~ Tum bhi na... Tum chalo. Mein dekh ke aata hu. Nahi mila toh unse ek dusra maang launga."
Mene Kishor ko Swati ko le jaane diya aur mein daudata bhaagta hua uss phool ko raaste me dhundne laga.
Aur beshaq, kuch hi duri par mujhe wo zameen par pada hua mil gaya. Uska acche se saaf kar uske perr pad mene usse haath me thaama aur waapas aaya.
Waapas aaya hi tha ki mene dekha Swati aur baaki sabhi pul ke dusre side bas pohuchne hi waale the.
Mein aage badha aur tabhi...
*Khaaaaaacchhhhhhhhhhh*
"H-Huhhh???"
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa........!!!!!!"
"Eaaaaarrrrrrggghhhhhhhhh......!!!!!!"
"N-Nahi!"
Kishor, Kaera aur Swati jis pul se jaa rahe the. Wo...
Uska chorr unki taraf se jo kassa hua tha. Wo toot gaya!!!!
Kishor sabse aage tha. Uske side se Kaera aur Swati peeche.
Pul ek jhatke me neeche gaya aur Kishor samet Kaera aur Swati bhi...
"Swaaaaatiiiiiiiiiiiii!!!!!!" Mein chillaaya...
Perro tale zameen khisak gayi thi mere. Kaleja baahar aane ko ho raha tha. Dil aise dhadak raha tha jese abhi phat ke baahar aa jaega. Saas atak gayi thi pal bhar ke liye meri...
Par...
Par shayad ye kismat thi.
Kyuki...
Kishor aage tha aur girte waqt wo bach gaya. Par Kaera aur Swati nahi. Kishor aadha hawa me neeche latka hua tha. Aur usne ek haath se Kaera ko thaame hue tha. Aur dusre se... Meri Swati ko.
"Maaaaaaaaaaaaa..... Pitaaaaaaa jiiiiiiiiii~" Swati chillaayi.
"Swaaaaaaaaatttiiiiiiii!!!!!" Mein apne ghutno par gir pada.
"P-Papaaaaaaa~" Kaera aasu bahaate hue jese hi neeche ki orr khaayi me dekhi. Wo behosh ho gayi.
"Ugggghhhhhh!!!!" Kishor bolne ki haalat me nahi tha. Uska poora chehra laal hua jaa raha tha.
Uske dono baazuo me itni taaqat nahi thi ki wo ek baar me dono ko upar kheech sake. Kyuki, wo khud bhi aadha latka hua tha.
"N-Nahiiii~" Mere shareer me raungte khade ho gaye. Meri bacchi!!!
M-Mein mein... Kya karu?? Kya karu?? Kya kar sakta tha mein? Pul toot chuka tha. Dusri orr kese jaata?
Nahiiiiii!!!
"K-Kishoooorrrrrr!!!!! Upar... Upar kheecho... Jaldi... Meri bacchi ko... Kaera ko... Jaldiiii!!!!" Mein bas chilla hi sakta tha.
Apna poora gala phaad ke mein chillaata raha. Apne aap aasu behne lage meri aankho se. Aisa lag raha tha kisi bhi waqt behosh ho jaunga. Meri bacchi!!! Swati!!!
Samay, ret ki tarah phisalta jaa raha tha. Aur wese hi Kishor ke haatho se Kaera aur Swati bhi.
"N-Nahiiii!!! Kishorrrrr!!! Unn dono ko upar kheech haramkhor.... Kya kar raha hai tuuuu????" Mein iss baar gusse me chillaaya.
Aur tabhi...
"Huh??? Ye Kishor kya bol raha hai? Nahi!!! N-Nahiii!!! Nahiiiiiiiiiiiiiiii"
Dusri orr se Kishor meri orr dekha. Uski aankho me aasu the. Aur wo kuch bol raha tha. Boht dheere.
Par jese mein uske chehre haav bhaav aur uski harqat se padh paa raha tha ki wo kya keh raha tha.
"M-Mujhe maaf kar dena Sanjeev!!!"
'Nahi!!! Ye nahi ho sakta. Ye Kishor aise samay par mazaak kyu kar raha hai? Ye paagal hai kya? Isse toh dono bacchiyo ko upar kheechna chaahiye. Y-Ye meri taraf dekh ke ro kyu raha hai? Y-Ye pagal ho gaya hai.'
Kishor ka toh nahi pata. Par mein zaroor paagal ho raha tha. Mera dimaag kaam karna band karne laga tha.
Aur tabhi...
"Eaaaaaaarrrrrrrrrrggghhhhhhhhhhh.."
"Huh!!!!"
Ek goonj poore jungle me fel gayi. Aas paas ke pakshi pedo se udd ke bhaag gaye. Mere shareer se jaise praan nikal chuke the.
Khatam! Sab kuch khatam!!!
Mein andar se marr chuka tha. Aur mein wahi aankhein khole bas ghutno ke bal baitha raha. Kishor kya bol raha tha mujhe kuch sunaayi nahi de raha tha.
Meri bacchi Swati!!!!
Kishor ne apna haath... Jo usse pakde hue tha...
Chorr diya tha....
Swati ki cheenkh... Wo aakhiri cheenkh thi...
Kishor!!!! Usne apne dusre haath se Kaera ko pakda aur dono haath se pakad usse upar kheecha. Apni peeth par laada aur waha se bhaagte hue nikal gaya.
Mein... Mujhe pata nahi, ye kya anubhuti thi. Aisa lag raha tha mein sab kuch kho chuka hu. Mein zinda bhi nahi hu. Murda laash ban chuka tha jese mein.
Swati... Swati... Meri bacchi... Gayi!!! K-Khaayi me...
"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaarrrrghhh~"
Meri cheenkh jungle me goonj gayi. Mein waapas andar ki orr bhaaga. Guru jii ke paas. Andar pohucha toh...
Waha koi nahi tha. Ek shaks ka naam-o-nishaan nahi tha.
'Y-Ye kya ho gaya???? K-Kaha gaye s-sab??? S-Sab toh idhar... idhar hi the...!! K-Kaha gaye sab????'
"Gurrruuu jiiiii!!!!" Mein chillaata raha. Par mujhe koi na mile. Sab ke sab gaayab ho chuke the.
Mein paagal ho raha tha. Paseene se poore kapde bheege hue the. Kisi bhi waqt mujhe dil ka daura bhi aa sakta tha.
Meri bacchi!!!! Swati ke baare me soch mein raasta dhundne laga. Neeche jaane ke liye.
Kahi na kahi se toh koi raasta milega hi. Raat hone ko aa gayi thi.
Mein dhundta raha. Girta raha, bhidta raha. Kharoche mere shareer par bikhar gayi. Par mein ruka nahi. Bhaagta raha.
Jese tese kar, mein latak latak ke, jaanleva raasto se neeche pohucha. Aur Swati ko dhundne laga. Mein jaanta tha ki upar itni uchaayi se girne par kya hota tha. Fir bhi, mein praarthna karta raha.
'Hey bhagwaan! Meri bacchi... Meri bacchi ko bacha lena. Usse kuch na hua ho. Usse bacha lena... Usse bacha lena... Usse bacha lena...'
Iski ratt lagaaye, mein badhta raha. Raat ho chuki thi. Theek se kuch nazar nahi aa raha tha. Aur tabhi... Mujhe kuch awaazein sunaayi dii.
*Crrrrunnnchhhhh*
*Muuuunnncccchhhh*
"H-Huhhhh??" Mene jhaak ke dur dekha toh...
Meri rooh kaanp gayi. Aur mera vishvaash, ussi pal bhagwaan par se uth gaya.
Mein kisi murde ke bhaati wahi jamm gaya tha. Mujhe itna bada jhatka laga tha ki mujhe taajub ho raha tha ki mein hosh me kese tha ab tak?
Saamne... Dur...
Lakadbagghe... W-Wo... Wo... Wo kuch khaa rahe the.
M-Meri nazre jese hi neeche gayi.
*Badump* *Badump*
Mera dil baahar aane ko ho gaya. W-Wo...
Swati!!!
Meri aankho ke saamne meri zindagi ujad chuki thi. Meri bacchi!!!! Uski itni dardnaak maut dekh mein paagal ho chala.
Mann kiya ki unke beech jau aur unn lakadbaggho se bhid uthu aur marr jau saath me.
M-Mujhse kuch bhi dekha na gaya. Mere perr kaanpne lage. Par mein Behosh nahi hua. Mein jaanta tha yadi yaha mein gira, toh... Toh ghar par Sudha ka kya hoga?
Mein bhaaga!!! Sudha!!! Usko kaun sambhaalega? Girte padte chot khaate mein jese tese pohucha. Mein hairaan tha ki abhi tak mera maansik swaasth theek kese tha?
Mene darwaaza peeta. Par Sudha ne nahi khola.
Mene fir peet peet ke darwaaza tod diya. Aur todte hi jhatke se mein andar aaya.
Par andar aate hi mera chehra kisi cheez se takraaya.
Aankhein khol mene dekha toh...
'Huh?? P-Perr???'
Meri nazre upar gayi aur...
'N-Nahiiiiii! Nahiii! Nahi nahi nahi nahi... Nahiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii!!!!!!!!'
Sudha... Wo...
Wo upar pankhe se latak rahi thi.
Kishor ke ghar se... Kisi ne saari baat usse bata dii thi.
Aur bas... Mera insaani shareer itna hi jhel sakta tha. Mein ussi waqt behosh ho gaya.
Mein mahino tak aspataal me bharti raha. Iss haadse ko mahino guzar chuke the.
Mein na kuch bolta tha na kuch karta tha. Meri do jaan jaa chuki thi. Sudha Swati ke jaane ka gham seh na paayi aur mujhe chorr chali gayi.
Yaha mein sapne sajaata tha. Car me unhe ghumaane ke. Dhandha badhaane ke.
"Kyu Sudha?? Kyu chali gayi mujhe chorr ke??? Kyuuuuu???" Mein subukta raha.
Wahi dusri orr... Mein kyu zinda tha?
Haan! Mein bhi marr jaata hu. Haan! Yahi sahi rahega! Mein zeher kha leta hu. Nahi nahi! Mein phaasi laga leta hu. Nahi!!! Khud ko jala lu? Nahi!!! Haan! Mein bhi uss pul se kood ke marr jaata hu. Hmm~
Par tabhi... Mujhe uska khayaal aaya.
KISHOR!!!!
Aur kuch hi hafto ke baad, mein uske bangle ke baahar maujood tha.
Sab kuch issi ke kaaran hua tha. Na wo meri bacchi ke haath ko chorrta na meri Swati mujhse juda hoti. Aur na hi meri pyaari Sudha... Mujhe chorr kar jaati. Badi mushqil se apni himmat baandh paaya tha mein. Apna badla lene ki. Warna mein khudkhushi kar chuka hota.
Mere paas itni haisiyat nahi thi abhi aur na hi itni aukaat thi ki mein Kishor ko maar saku. Par...
Usse ek jhatka toh de hi sakta tha.
Mein andar ghusa. Uske ghar se mein ab parichit tha. Baahar ek maali gamlo me rang laga raha tha.
Apne jeb me chhupi hui chhuri ko mene nikaala aur apne peeche kar liya.
Mein deewaar phaand ke andar aa gaya. Maali gaana gunguna raha tha. Meri Swati... Usse phool kitne pasand the. Chali gayi woh. Chali gayi...
'Nahi!!! Mein iss waqt bhaavuk nahi ho sakta.'
Soch mein aage badha aur uss maali ke muh ko thaam...
"Mmmphhhh????"
Mene uski awaaz dabaayi aur...
*Spllluuuuuurrrttttttttt*
Churri uske seene me ghused dii.
Firse nikaali aur fir ghused dii. Usse ek pal na diya mene virodh karne ka.
Rang jo neeche pada tha brush ke saath. Mene uthaaya aur tabhi meri nazar wahi pade ek angrezi newspaper par padi.
Jiski headlines me kuch shabd likhe hue the.
"Protesters jailed due to inappropriate Slogans."
Aur mujhe jaise naam mil chuka tha.
Mein baahar nikla. Aur wahi rukk gaya. Andar Kaera ki chillaane ki awaaz mujhe kuch derr me hi sunaayi de gayi.
Mene apni jagah badli aur deewar ke upar chadh jhaak ke andar dekha toh paaya ki...
"Huh!???"
'Guru jii?? W-Wo yaha kya kar rahe the? Aur uss din wo achanak gaayab kese ho gaye the sab ke sab jungle me.' Mere mann me sawaal mandra rahe the. Aur mene tay kar liya, ki mein unka peecha karunga.
Andar Kishor ki haalat kharaab thi. Andar deewaar par ek hi cheez likhi hui thi...
"Killed By Slogan!!!"
Aur mein waha se nikal ek mod pe chhip gaya.
Ye mere badle ki pehli shuruaat thi. Jab tak mein Kishor ko wahi dard, wahi peeda usse nahi de dunga. Tab tak mera gussa shaant nahi hoga.
Kuch derr baad Guru jii aur wo Raman baahar nikle, mein chehre par gamcha baandh unka peecha kiya.
Bus me wo chadhe toh mein bhi chadh gaya. Na jaane kidhar jaa rahe the. Par sheher se thodi dur ek jagah bus aa kar ruki.
Mein unse chhip kar unka peecha karta raha aur fir ek jagah jaa kar wo baith gaye. Deewaar se chhip kar mein unki baatein sunn'ne laga.
"Gajab ho gaya Guru jii! Maan gaye aap ko. Uss Kaera ke chakkar me kitne paise aith liye aapne hahaha~"
"Hmm!"
"Par uska kya hua Guru jii?"
"Kiska?"
"Wo ek Sanjeev naam ka tha na?"
"Kya pata? Mujhe kya karna? Paise se matlab hai hume."
"Wo apni beti ko leke aaya tha na uss din!? Guru ji?"
"Hmm! Usse waha se uss din bhagaana zaroori tha. Saala itne paise aaye the uss din. Mein baith ke andar ginn raha tha aur ye namune ussi samay aa gaye. Hume wo ilaaka jald se jald khaali karna hi tha. Isliye usko ye bol diya tha mene ki mein sheher aaunga. Aur wo toh mein aaya hi... Hahaha~ Uss din mene jhaak ke jab Kishor ko dekha tha. Tab hi samajh gaya tha ki ye raees hai. Haatho me mehngi ghadi, mehnge joote, pant shirt. Toh usko toh lootna banta hi tha na."
"Hmm! Kya baat hai! Unn baccho ka kya?"
"Baccho ka kya?"
"Hum unke naam pe hi paise lete hai na..."
"Haan toh? Wo toh anaath waale hai. Unhe kuch derr ke liye mein apne ilaake me le aata hu. Bas! Baat khatam! Unko saare de baithunga toh mere paas kya bachega? Hahahaha~"
"Hahahaha~"
'Keh do ki ye jhooth hai. Keh do koi ki ye jhooth tha jo mene suna tha.' Mein unn dono ki baat sunn ke sann reh gaya tha.
Na jaane kitne aur jhatke mujhe lagne baaki the.
Mere haath perr kaanp rahe the. Iss baar darr se nahi. Gusse se.
"Accha tum suno! Mein andar ghar me hu. Ye kuch paise leke jao. Waha wo anaath aashram ka jo pradhaan hai. Usse de dena. Theek hai."
"Theek hai Guru jii!"
Raman gaya. Aur Guru jii andar gaye. Aur mein...
Mein apni churri nikaal ke andar chal diya Guru jii ke ghar ki orr...
Wo meri aahat se pare apne kaam me lage hue the. Aur mein dheere dheere badhta raha.
Unhe jhatke se dabocha aur...
"Maar daalunga tujhe aaj meinnn... Haraaam khorrrrrr!!! Aaaaaaaaa~"
Aur...
*Spluuuurrrtttttttt*
*Splurrrrttttttt*
*Ssssspppplluuurrrttttt*
Chaaku pe chaaku maarta raha mein. Gusse me uske seene me. Ye koi Guru jii nahi tha. Ye toh dhongi tha. Isne mera sab kuch loot liya tha.
Tab tak maarta raha mein usse jab tak mere chehre par uske seene se uchle khoon ke daag na chadh gaye.
Aur mein... Apne andar badle ki aag liye. Waha se faraar ho gaya.
Ek saal baad jab mein lauta toh meri mulaqaat uss se hui.
"Kya naam hai tumhara?"
"A-Aashu!!!"
Mein muskuraaya, "Aaj se tum mere saath kaam karoge."
"Mujhe badla lena hai."
"Mujhe bhi... Tum chinta mat karo bacche. Mein tumhe tumhara badla dilwaunga."
Aur mene ek baat seekhi apne iss mukaam ko banaate banaate.
TUM KHUD HI, KHUD KE BHAGWAAN HOTE HO. KOI AUR NAHI!!!!!!
'Kishor!!!! Jaise tumne mujhe dard diya. Mujhse mera sab kuch chheen liya. Wese hi... Wese hi mein bhi tumhaare saath wahi karunga. Wahiii!!!'
***
20 years later...
Kuch aisi thi Slogan ki daastaan...
Haath ko dabaaye wo khoon band karne ki koshish kar raha tha par koi fayda nahi ho raha tha.
'Mujhe yaha se jald se jald... Huh????'
Wo soch hi raha tha jab usse ped paudho me kuch halchal sii hoti nazar aayi aur uski awaaz aayi.
Slogan : K-Kaun hai????
Wo uth ke khada ho gaya. Aur abhi wo aage badh paata tabhi...
*Poooooooooooooowwwww*
"Aaaaarrrghhhhhhhh"
Ek punch right side se achanak hi aake uske gaal par pada. Aur wo seedha zameen par jaa gira.
Upar uth usne dekha toh...
VEER!!!!!!
Slogan : T-Tuuuuu????? Tu idhar....!!!!!
Veer (smiles) : Haan mein!!!
Slogan ne apna jeb tatol revolver nikaala aur bina kuch kahe seedhe Veer ko shoot kar diya.
*BAAAAANNNGGGGGGGG*
Par...
*Whoooooooosssshhhhh*
Slogan : Huhhhhhh???????
Veer ek jhatke me apni position se hatt gaya.
Slogan (screams) : Kaha gaya Veeer??? Saaaamne aaaa!!!!! Aaj mein kisi se nahi darrne wala.... Baahar nikal!!!!
Aur uski khwaaish jese veer ne sunn lii, peeche se ek zordaar kick aayi aur uski back par padi.
"Ugggghhhhhnnnn"
Wo firse gira.
Veer : Aaj tu... Kutte ki maut marega!!!
Slogan (uthate hue) : Ek baat yaad rakhna Veer!!!!!! Underworld me... Insaan ki jaan ek macchar ki jaan ke samaan hoti hai. Tu mera kuch...
*BAAAANGGGGGG*
Slogan : Haaaaahhhh??!? Gwaaakkkkkhhhhhh....
Wo bol raha tha par...
Veer ne fire kar diya tha. Bullet Slogan ke pait ko cheerte hue andar sama gayi.
Uske haath se gun chhitak kar gir gayi aur wo khud ladkhadaate hue uss khaayi ki orr jaane laga.
*BAAAANGGGGGG*
"Haaaaaahhhh huuuuuu~"
Peeche se ek aur bullet jo ki Veer ki akhiri bullet thi wo aake uske shareer me ghus gayi.
Wo ladkhadaate hue fir bhi badhta raha. Bilkul wese hi... Jese uski pyaari Swati ladkhadaaya karti thi.
"Swaaatiiii... Haaaahh haaahhh haaahh S-Sudhaaa..."
Slogan ka plan Kaera ko issi tarah pul se giraane ka tha. Apna badla lene ke liye. Par... Ye uski badqismati thi jo uska paala Veer se pad gaya.
Wo lambi lambi saas lete hue badhta raha. Chorr par pohuchte hi usne apni shirt ki jeb se ek brush nikaala.
Ye wahi brush tha, jis se uski Swati chitra banaaya karti thi. Aur yahi kaaran tha ki Slogan floral shirts pehna karta tha. Phulo waali. Kyuki Swati ko wo pasand the.
Chorr tak aate hi uska perr phisla...
Veer aage badha par tab tak...
"S-Swatiii~" Slogan ka shareer ussi gehri khaayi me gir gaya.
Veer daudate hue aake neeche jhaaka. Toh usse bas, Slogan ka shareer, gehre andhere me gaayab hota hua nazar aaya.
*Ding*
[Mission : Kill Slogan at all cost has been completed.]
[3000 points have been rewarded.]
*Ding*
[System has reached level 6.]
*Ding*
[System's layout has been upgraded]
[Shop prices and Quest hunt prices has been increased.]
*Ding*
[Past illustration has been upgraded.
Bio - You can now see the past. No need to read it.]
[Past illustration function is invoked.]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya. Veer keval maun raha. Par uski aankho se aasu, apne aap nikal rahe the.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha halki uchi chotiyaan thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Ye 6k words ke upar tha. Aur poora past dikha diya hai. Hope kaafi cheeze clear ho gayi hongi.
Toh, like thokne ka yaara aur revos rakhne ka. Bhulne ka nahi. Aur yahi pe samaapt hota hai Slogan Arc. Famiglia arc chalega ab. Aur kuch updates ke baad House of Killers arc shuru hoega.
Bane rahiyega.
Dhanyavaad!
Behtrin aur umda updateUpdate - 83 ~ Homecoming!Ab tak...
Sir George : You....!!!
Veer : Huh???
Sir George : Tell me! What do you think about this?
Veer : Well...
[Do it master~]
Aur...
*Ding*
Veer ke saamne uss mummy ki saari details aa gayi.
Ab aage...
2 din guzar chuke the.
Aur inn beete 2 dino me, Veer ne koi kasar nahi chorri thi apni Maa se ek gehra rishta jodne me.
Par sadly, usse kuch zyaada safalta nahi mili.
Bhavna, baat toh khul ke karti thi. Par jab bhi sawaal uske ateet se juda hua aata tha toh wo unn sawaalo se khud ko bacha leti thi. Aur conversation ko kahi aur shift kar deti thi.
Inn beete dino Arohi se Veer ki firse baat hui. Aur jo khabar Arohi ne usse waha Mumbai ki sunaayi, usse sunn Veer ke hosh hi udd chuke the.
Veer ko yakeen hi nahi ho raha tha ki wo haraami Pranjal itni jaldi sab kuch kar dega.
Veer, chaahta toh tha ki ussi waqt wo Mumbai laut jaaye. Par usne aisa keval ek hi kaaran se nahi kiya.
Sabse bada kaaran ye tha ki, Pranjal jo bhi kar raha tha, wo Shweta ke saath kar raha tha. Shweta! Yaani ki uski stepmom. Wo stepmom jisne Veer ko kabhi ek bete ke roop me accept kiya hi nahi tha.
Wahi stepmom jo Pranjal, Vivek ke shadiyantro me shaamil rehti thi. Toh bhala Veer waapas laut ke kyu jaaye?
As long as, Kavya, Arohi aur uske Dada jii kisi potential danger me nahi the, Veer ka lautne ka sawaal hi nahi banta tha.
So, he decided to stay for 2-3 days more.
Pranjal ka patta toh wo laut ke saaf karne hi waala tha. Bas yaha se ghar pohuchte hi.
Aur aaj hi uska yaha akhiri din tha. Usne mummy ki zyaada kuch details nahi dii thi Sir George ko. Zaroorat se zyaada yadi Veer bataane lagta toh logo ko shaq ho sakta tha. Ki ek bande ko itna sab kuch kese pata hai? Aur wo bhi itni jaldi uttar kese de paa raha hai?
Isliye Veer ne vague answers diye. Jis kaaran se unhe bhi yakeen ho gaya ki Veer bhi ek insaan hi hai aur aisi bhi cheezein hai jinke baare me usse kuch nahi pata.
Veer ne yaha kuch boht hi acche pal guzaare apni Maa aur behan ke sang.
But unfortunately, ab samay aa gaya tha ki yaha se waapas jaaya jaaye.
Par...
Uske pehle...
Veer ko ek kaam karna tha. Wo Bhavna ke muh se kuch baatein toh nahi nikalwa paaya. Isliye, ab uske paas akhiri upaay yahi bacha hua tha.
Cairo ke airport me jab Veer apne desh ke liye rawaana hone waala tha.
Toh usse chorrne keval Bhavna hi aayi hui thi. Baaki sabhi abhi bhi site par the.
Bhavna~
Bhavna : Thode din aur rukk jaate Vikram!?
Veer : Jii nahi! Ab lautna hoga mujhe.
Bhavna : Wo... Toh waha M-Mumbai me kaun kaun rehta hai tumhaare saath!?
Bhavna ne pucha. Kyuki, Veer ne apne ghar se related koi bhi info Bhavna ko nahi bataayi thi siwae ye ki wo Mumbai me rehta tha.
Mumbai shabd sunn ke hi tab Bhavna ka reaction dekhne laayak tha. Lekin, Yaha Jab uski Maa uss se apne ateet ko chhipa ke mystery rakhna chaahti thi toh Veer ne bhi wahi kiya fir. Mystery hi sahi. Usne aage kuch nahi bataaya.
Par ab sahi mauka tha. Kuch aisi details chorrne ka jis se Bhavna hil ke reh jaaye.
Veer (smiles) : Ghar!? Haha~ Mujhe toh ghar se hi nikaal diya gaya tha.
Bhavna : !!!???
Aur Bhavna ko ye sunn thoda jhatka sa laga.
Vikram ki baat ka matlab kya tha?
Bhavna : K-Kya matlab?
Veer : Matlab ki ye Miss Geeta... I... Mujhe mere Ghar walo ne apne ghar se nikaal diya hai.
Bhavna : K-Kyaaaaa!!???
Wo aankhein phaade Veer ko dekhti rahi.
Veer : Jii haan!
Bhavna : P-Par kyuuuu??
Veer : Hahaha~ Well! Inn baato ka rehesya tab hi pata lagega jab aap apni kuch baatein bataogi. Dost hone ke bawajood aapne mujhse ab tak kuch bhi share na kiya. Toh badle me aap mujhse kese expect kar sakti ho ki mein apne baare me sab kuch aapko yu hi bata dunga? Hmm?
Bhavna : I... I...
Aur Bhavna ki nazre guilt ke maare neeche jhuk gayi.
Bhavna (looks away) : M-Mein majboor hu.
Veer (smiles) : And So am I... Anyways! Chalta hu... Fir milenge...
Bhavna : Ahh! Wo...
Veer : Hmm?
Bhavna : M-Mein... I mean... How can we come into contact again?
Veer apni Maa ko dekh muskuraaya aur usne apne jeb se koi puraani receipt nikali aur usme apna number likh ke de diya.
Veer : That's my number!!!
Bhavna : Thank you~ I hope hum firse kahi mil payenge. You have a very keen eye. Kabhi India me jab exploration pe mein jaungi then we can go there. How about it?
Veer (smiles) : Sure! Alright! I should leave now!
Bhavna (nods) : Y-Yes!!!
[Time for the last move Master~]
'Yup!!! Here wo go now...!'
Veer fir apna samaan uthaane ke liye neevhe jhuka. Wo jese hi neeche ko hua...
'Ohhh Fuccckkkk!!! Atak gaya kya?'
[Arre jhuko na master!!! Acche se. Baahar aaega. Aur jhuko, thoda hilao dilao. It will come out!!!]
'Wh-What??? Pari!!? Wordings sahi rakho apni.'
[Ahhh!!! Y-You... You are so mean master! What were you even thinking...!? ]
Aur agle hi pal...
Veer ki shirt se andar se uska pendant...
Jhukne ke kaaran baahar aa nikla.
Bhavna jo ab tak usse hi dekh rahi thi. Uski nazre achanak se hi uss pendant par padi. Pehle toh usse kuch bhi alag nahi laga. Wo kuch derr aur dekhi...
Aur shan bhar baad hi, uska jese dimaag hi ghoom gaya.
Andar mann me hi jese ek visfot hua. Sochne samajhne ki shakti wo kuch derr ke liye kho chuki thi. Uski aankhein phati ki phati uss pendant par tiki hui thi.
Veer samaan leke utha aur usne apni Maa ko dekha. Dekha ki pal bhar me uski Maa ka chehra kese hairaani ke maare badal gaya.
Par ab yaha rukne ka samay nahi tha. Jald se jald yaha se nikalna tha. Bhavna ki koi bhi baat sune bina hi.
Wo muda aur jaane laga. Bhavna abhi bhi stabdh wahi khadi hoke Veer ki peeth ko dekh rahi thi. Jese jese wo dur jaata jaa raha tha Bhavna ki dhadkane tezz hoti jaa rahi thi.
Wo itna shocked thi ki uske muh se ek shabd na nikla aur na hi wo koi harqat kar paayi.
Bas... Veer ko jaata hua dekhti rahi. Jab tak ki wo uski nazro se ojhal nahi ho gaya.
Aur fir usse hosh aaya. Saasein tezz liye wo haaf kar aage badhi par ek kadam aage rakhte hi uske perr wahi kamzor pad gaye aur jawaab de gaye.
"Haaahhhh!!!"
Perro me kampan hua aur haafte hue wo wahi gir padi.
'N-Nahiiiii!!!!!! Y-Ye kese...!?????'
Usse girta hua dekhte hi, waha maujood security uske paas aayi.
"Security!!!! Yes!!! Ma'am are you okay??"
Ek naujavaan uske qareeb aaya aur usse uthwa ke security ke paas le gaya.
Bhavna wahi kuch derr baithi rahi. Wo kisi bhi baat ka koi response hi nahi de rahi thi. Jis kaaran se security ne usse apne paas hi baitha liya.
Wo toh jese alag hi duniya me jaa chuki thi.
'N-Nahiiiii!!! Wo... Wo locket...!!!! W-Wo toh wahi locket hai... H-Haan!!! Mein galat nahi ho sakti. W-Wo toh wahi tha. P-Par... Uss Vikram ke paas wo locket kese aaya!?? Huh?'
Locket toh wahi tha jo Bhavna ne apne bete ko pehnaaya tha. 20 saal pehle. Aur iss waqt wo apne aap me joojh rahi thi ki wo locket iss Vikram ke paas kese aaya. Aur agle hi pal...
Ek boht hi hairat-angez possibility uske dimaag se hoke guzri. Jis kaaran wo wahi jamm ke reh gayi.
'N-Nahi!!! T-Toh jo... Vikram mere saath itne din raha, mujhse baatein kiya... W-Wo... Kahi wo... Wo mera apna... N-Nahiiiii!!!!'
Sochte hi uske raungte khade ho gaye.
Aur uski aankho se aasu jhar jhar kar ke behne lage. Wo apne dono haatho se apne khule muh ko dhakk sisakte hue rone lagi.
Jis bete se wo itne saalo se dur thi. Wo yaha itno dino tak uske paas tha??? Uske itne qareeb?? Aur usse pata tak nahi chala????
Glaani, dukh, dard, peeda, maayusi, bechaini, sab kuch Bhavna iss waqt ek hi saath mehsoos kar rahi thi.
Ek baar wo apne gale tak se nahi laga paayi usse. Apne kaleje ko. Kesa mehsoos hota hai ek Maa ko jab uska apna laal saalo se bichadne ke baad uske itne paas ho aur woh ek baar bhi usse apne seene se na laga paaye!?
Bhavna abhi ussi peeda se guzar rahi thi.
Still, ye ek possibility hi thi. Iska matlab abhi 100% ye nahi tha ki Vikram hi uska beta tha. Chances 50-50% the.
Aisa bhi ho sakta tha ki Vikram ko woh locket kahi se mila ho? Ho sakta hai uske bete ke gale se wo Locket ghum gaya ho aur Vikram ko mila ho!? Ye bhi ek possibility thi.
Ho na ho, par Bhavna ke mann me jese ek nayi umang jaag chuki thi. Pata lagaane ki...
Ki woh locket pehna vyakti... Kya!??
Kya uska apna... Wahi khoon tha? Uska apna baccha? Uska apna laal?
Aur ek khayaal aur aaya uske mann me,
"Matlab ki ye Miss Geeta... I... Mujhe mere Ghar walo ne apne ghar se nikaal diya hai."
Uske mann me Veer ki awaaz gunji.
'M-Mera baccha!??? U-Usse ghar se baahar nikaal diya hai?? N-Nahiii! Pehle mujhe... Pehle mujhe ye pata karna hoga ki wo mera hi beta hai ya nahi!? P-Par yadi wo mera hi beta nikla... T-Toh...!!!!'
Aur ek baar fir, Veer ke saath itne beete hue din, guzaare gaye pal, wo saare lamhe uske dimaag me mandraane lage. Unki pehli mulaqaat.
Aur uske dil par punaah ek pahaad sa toot pada.
Aankhein fir bheeg chali. Andar hi andar glaani usse kachotne lagi.
Itna paas reh ke bhi... Wo ek baar bhi...
Ek baar bhi apne kaleje ko pehchaan na paayi. Kaash usse pehle hi wo pendant dikh jaata. Bahaane se hi sahi...
Par Kam se kam... Kam se kam apne bacche ko bas ek baar seene se laga ke usse acche se mehsoos toh kar sakti thi. Lekin ab toh Veer jaa chuka tha.
'Nooooo~ Haan!!! I'll... I'll find out!!! Mere paas ye hai abhi!!! I'll find out!!!!'
Usne apne haatho me uss sikudi hui reciept ko dekha jisme Veer ka number tha. Aur forun hi usne wo number save kar liya.
Aur save me naam rakh diya ~ Vikram!!!!
***
Mumbai...
Veer waapas se apne sheher me aa chuka tha.
Aur darwaaze par aate hi...
"Veeeeeeeerrrrrr!!!!!"
Ragini bhaagte hue aayi aur uski baaho me sama gayi. Uske ubhre hue stan uski chhathi me samaane ki poori koshish kar rahe the. Veer ko wo nipples saaf saaf mehsoos hue.
'What the...!?'
[Looks like she missed you. Haha~]
Pari ki baat sach thi. Aisa ek din bhi nahi gaya tha jis din Ragini ne usse call na kiya ho. Harr ek din wo usse phone laga ke kaafi derr tak baat karti thi.
Peeche khadi Suman aur baaki sabhi iss drishya ko hairaani se dekh rahi thi.
Veer : Umm... Ahem... Bh-Bhabhi?
Ragini : I missed you a lot~ ♡
Veer : M-Mein bas kuch hi dino ke liye toh gaya tha. Bh-Bhabhi!!! Sab dekh rahe hai!!!
Ragini : Toh kya? Kya tumhe pasand nahi Veer? Kya tumhe accha nahi laga mera yu tumhe hug karna?
Veer : Ah! Nahi! Baat woh nahi hai... Lijiye!!!
Kehte hue Veer ne apne haath aage badhaaye aur Ragini ko firse apne seene se chipka liya. Iss baar Veer uski nangi kamar par haath rakh dabaav banaane me peeche nahi hata.
Aur uske iss action se Ragini ke hontho par forun hi muskaan fel gayi. Jaise maano wo jis kaam ke liye aayi thi, usme wo jeet gayi ho.
Ragini : Chalo andar~ ♡
Andar aate hi usse accha accha khaana parosa gaya, jisse wo waqai boht miss kar raha tha. Aur uske baad Veer ne apni Maa se milne ki kaafi kuch details Ragini se share kii, jinhe sunn wo behad khushi me ek baar fir issi bahaane Veer se chipak gayi.
Par Veer ki sabse badi samasya thi abhi...
Pranjal!!!!
'That bitch is getting out of hands huh!?'
[Well! Aapko hi ab interfere karna hoga Master.]
'I thought System mujhe iske liye koi mission dega. Isliye bhi mein ruka hua tha ab tak. What do you think Pari? Kya mein uss harami Pranjal pe apne haath saaf karu? Ya fir system ke mission ke liye ruka rahu?'
[I don't think aapko ab aur wait karna chahiye Master. Khaaskar ki jab itna kuch usne kar diya ho. Aapke puraane ghar me abhi kya haalat hogi waha logo ki ye mein bata bhi nahi sakti.]
'Yeah!!!! Then, fine!!! Pari!!! Limit break karo.'
[Kis stat ki Master?]
'Intelligence!!!'
[Alright Master!]
*Ding*
[2000 Points have been used to break the limit of Intelligence.]
*Ding*
[Intelligence limit has now reached 200.]
*Ding*
[Intelligence : 100/200]
'Good!!! Kitne points bache hai ab Pari?'
[You are now left with 1092 Points Master!]
'Hmm~ aur tumne kaha tha ki...'
[10 points 1 point ke baraabar hoga Master. (・_・]
'Fuckkk! It hurts!!! Sunte hue hi... Dil me dard ho raha hai Pari! 10 points 1 ke barabar!? Aise toh mein lutt jaunga Pari. Mere dil ka kuch toh khayaal rakho.'
[I know Master. (。•́︿•̀。) But I cannot help it. Do you want to...!?]
'Ahh! Yes! Intelligence ko 120 par le aao.'
[As you wish Master~ ]
*Ding*
[200 Points have been invested into Intelligence.]
*Ding*
[Intelligence : 120/200]
[Points Remaining : 892]
'It fucking hurts. But koi nahi! I'll earn more points soon. Alright then!!!!'
***
Day before yesterday...
Beete dino kuch gadbad hui thi. Yaha Veer ke puraane ghar me. Ye kehna galat nahi tha ki poore ghar me uthal puthal machi hui thi.
Jis raat Shweta nashe me waapas ghar aayi thi. Agli subah uthne ke baad, usse filhaal toh kuch bhi gadbad mehsoos nahi hui thi.
Usse yaad hi nahi tha ki kal raat usne kinn papers par sign kiye the. Wo toh yahi soch rahi thi ki Pranjal ke saath usne acche se dinner kiya aur fir wo ghar aa gayi.
Acche mann ke saath wo subah apni hotel gayi.
Sab kuch normal hi tha. Par kuch samay baad hi...
Pranjal uski hotel me enter hua...
Aur jaake seedha owner ki seat par baith gaya.
Shweta ne mazaak samajh uss se jab baat kii toh usse apni zindagi ka sabse bada jhatka praapt hua.
Shweta : Tum yaha firse?
Pranjal : Hmm? Kyu nahi? Ye meri hi toh hotel hai na?
Shweta : Haha~ Of course! Ye tumhari bhi hotel hai.
Pranjal (smiles) : Na na na na~ Correction! Tai jii, Correction! Meri BHI hotel nahi... Sirf meri hotel hai.
Shweta (bauhe sikodte hue) : Mein... Kuch samjhi nahi!?
Pranjal ne apne bag se fir kuch nikaala. Ye wahi kaagzaat the. Aur unhe table par Shweta ke saamne patak diya.
Jese hi Shweta ne unn papers ko padha. Uske perro tale zameen khisak chuki thi.
Shweta : Y-Ye.... Ye... Ye sab kya hai!??? Ye kesa mazaak hai? Haan? Wh-What is this?
Pranjal : Ohh~ Nothing! Bas... Starting from today... I'll be the owner of this hotel. Haha~ Jaiye ghar jaiye Tai jii! Araam kijiye!!!
Shweta (cheekhte hue) : What do you mean by thissss??? Haaaaannn??? Mein kuch tumse puch rahi hu. Y-Ye papers!!! Ye kaha se aaye tumhaare paas??
Usse boht bada jhatka laga tha. Ye papers toh uski hotel ki ownership ke hi the. Real ekdum. Ye Pranjal ke haath kese lage bhala? Aur sign? Sign bhi ussi ke the. Uska sarr chakra gaya tha.
Ye sab kya ho raha tha!?
Papers me saaf saaf ye baat likhi thi. Ki Shweta ye hotel kaafi samay se ghar ke kisi candidate ko saupna chaahti thi. Aur Pranjal se behtar uske liye koi nahi tha. Usme likha tha ki Wo apni poori iccha se ye hotel Pranjal ke naam kar rahi hai.
She was baffled to the core.
Aur fir shuru hua behas ka silsila.
Baat itni badh gayi thi ki Shweta haathapaayi par utar aayi thi.
Aur Pranjal bhi aggressive ho chuka tha.
Pranjal ne ye dhamki de dii ki yadi Shweta shaant nahi hui toh wo Police ko bulaega seedha.
Akhir himmat kese hui iss Pranjal ki uske saath aisa karne ki? Wo sochi.
Aur fir jese kal ki dhundhli baatein uske dimaag me saaf hone lagi. Jese hi usse maajra samajh aaya. Wo thithur kar zameen par gir padi.
Aur Pranjal uski iss dasha par bas hassta raha.
"Hahahaha~ Jaiye ab!!! There's nothing you can do."
Lekin Shweta fir bhadki...
Uthate hue wo cheekh kar apni baatein zorr se kehne lagi,
"Haraam khor!!!! Nirlaj!!! Tu itna kapti insaan niklega, mene kabhi socha tak nahi tha!!!! Kyu kiya tumne mere saath aisa??? Nahi!! Tumhari himmat bhi kese hui mere saath aisa karne kii? Haan!!! M-Mein... Mein abhi ghar me teri ye ghinoni harqato ke baare me bataati hu. Tu bachega nahi... Tera saara sach mein saamne khol ke rakhungi. Rukk tu bas...!"
Usne dhamkaate hue kaha. Par Pranjal kaun tha? Kya usse inn dhamkiyo se koi farq padne waala tha? Ghanta!!!
Pranjal : Hahahaha~ Ohh Tai jii!!! Toh jaiye! Bataiye!!! Bataiye! Hahahaha~ Kaun vishvaash karega aapka? Haan? Boliye? Kaun karega yakeen? Aur bhuliye mat...
Shweta : !!!???
Pranjal (smiles) : Ki... Veer ko ghar se baahar karwaane me aap Vivek bhaiya ke saath thi.
*Boooooommmm*
Ek aur dhamaka Shweta ke mann me hua.
Pranjal ne apni ek aur ghinauni chaal chal dii.
Shweta sirf yahi jaanti thi ki Veer ko bhagaane ka plan Vivek ne banaaya tha. Usse ye nahi pata tha ki uss plan ke peeche Pranjal ka haath tha. Aur apna naam aate hi, Shweta ke chehre se uska rang udd chuka tha.
Shweta : Y-YOUUU!!!! YOU!!! YOU WILL ROT IN HELL!!!! I'LL SUE YOU!!! HARAAM KHOR KAHI KE....
Aur wo bhaag ke nikal gayi.
Yadi wo Parivaar walo ko convince nahi kar sakti thi toh...
Kuch aur toh kar hi sakti thi na?
Aur Shweta ne wahi kiya. Shweta ne desperation me aa kar. Seedha court case hi thok diya Pranjal par.
Jesa ki expected tha, gharwalo ko ye baat pata lag hi gayi, obviously.
Aur Shweta ki image jo pehle hi batwaare ke samay kharaab ho chuki thi wo aur bhi kharaab ho gayi.
Shweta!? Usne apne hi ghar ke sadasya par case kiya? Aur wo bhi tab jab usne hi hotel Pranjal ke naam kii ho? Kya chal raha tha ye sab?? Saari baat ka pata unhe court me laga acche se.
Shweta ne ek accha sa vakeel hire kiya hua tha. Kuch bhi ho jaaye, ye hotel uske haatho se nahi jaani chahiye thi.
Aur yaha Pranjal ne bhi ek jaane maane vakeel ko hire kiya tha.
And guess who it was??
Kaun ho sakta tha??? Of course... None other than...
RAJAT!!!! Nidhi's Husband!!!!
Wo kehte hai na, birds of the same feather flock together.
Dono hi kapti insaan the. Toh dono ki hi patni thi aapas me. Ittefaaq bhi dekho.
Rajat : Tension not! Mein ye case asaani se tumhe jitwa dunga...
Pranjal (smiles) : Of course~
Aur fir shuru hui, Court me Pranjal ki award winning performance.
Jisne poora paasa hi palat ke rakh diya tha.
Shweta ki haalat itni kharaab thi ki usse dekh ke hi taras aa raha tha.
Shweta (screams) : HE'S A LIAR!!!! YE JHOOTH BOL RAHA HAI!! ISNE CHHAL SE MERI HOTEL APNE NAAM KII. MUJHSE NASHE ME SIGN KARWAAYE HAI!!!!
Rajat : Your honour!!! Mere paas uss hotel ki cctv recording hai. Jisse mein sab ke saamne prastut karna chaahunga.
Judge (nods) : Permission granted.
Aur agle hi pal, ek recording play kii gayi.
Ji haan! Hotel ki wahi recording. Jis waqt, Pranjal aur Shweta bar me baithe hue the.
Rajat : Dekhiye my lord!!! Ye recording uss waqt ki hai jab mere client Miss Shweta ko unke mental state ko thoda relax karwaane unhe dinner karwaane ke liye leke gaye hue the.
Shweta (screams) : That's a fucking lie...!!!!
Judge : Apni bhaasha ka sahi prayog kijiye Miss. Please, resume the recording.
Majbooran, Shweta ko shaant hona hi pada.
Recording fir play hui. Ye CCTV footage thi. Isme audio nahi tha par video quality acchi thi.
Aur agle hi pal ek scene aaya.
Shweta ne apna order diya, a pint of shiraz.
Rajat : Ye dekhiye! My lord! Miss Shweta wine ka order dete hue.
Fir ek scene aaya jaha Shweta ne uske baad apni hi taraf se kayi baar glasses bharwaayi.
Aur ye dekhte hi Shweta ka dimaag kaam karna band ho chuka tha.
'It was himm!!!! This bastard!!! Sab kuch isne karwaya tha mujhse... *Sobs*'
Yahi kaaran tha ki Pranjal ne uss se kaha tha~
"Yahi aapko himmat degi Tai jii! Trust me! Yahi aapko himmat degi. Kyuki, aap aage sunn'ne ke liye ready nahi ho."
Yahi shabd toh kahe the Pranjal ne. Jab wo usse aur wine mangwaane ke liye keh raha tha. Sab kuch pehle se hi calculated tha. Shweta apni hi qabr khod rahi thi uss waqt.
Rajat : Dekha na aapne? Kese Miss Shweta ek ke baad ek wine ke glasses leti jaa rahi hai.
Aur fir ek aur scene aaya, jisme Shweta ne apne purse se wo kaagazaat nikaale.
Rajat : Ye dekhiye my lord!!! Miss Shweta ke paas wo papers pehle se hi maujood the. Yaani ki saaf hai, wo pehle se hi mann bana ke aayi thi mere client ko hotel saupne ka.
Shweta (screams) : WHY WOULD I???? KYU APNI HI HOTEL MEIN KISI AUR KE HAWAALE KARUNGI? HE'S LYING!!? YE PAPERS ISSI NE MUJHE RAKHNE KO DIYE THE!! MERI HI HOTEL ME!!!
Par kaun believe karne waala tha uska? Court keval evidence dekhta tha. Logo ki bhaavnaaye nahi.
Shweta ke paas koi evidence nahi tha ki wo ye baat sach saabit kar sake.
Aur recording me fir wo scene bhi aaya jidhar Shweta ne sign kiye. Aur Pranjal usse mana karne laga.
Rajat : Ye dekhiye!! My lord! Aap dekh rahe hai na?? Ye wahi samay tha jab Miss Shweta ne sign kiye papers par. Apni marzi se. Aur aap dekh hi sakte hai, kese mere client iss baat ka virodh kar rahe hai. Aap ne dekha na? Mere client jaante hai isliye unka virodh kar rahe the. Aur next segment me sab saaf ho gaya hai my lord.
Aur fir aaya recording ka akhiri scene. Jidhar Shweta Pranjal ko zabardasti papers thama rahi thi. Aur ant me usne uska haath pakad apne sarr par rakhwa liya.
Rajat : Mister Pranjal... Please bataiye iss context ke baare me.
Pranal (banaawti aasuo se) : Y-Ye... *sniff* Ye wahi time tha... Jab... *sniff* Jab Tai jii ne mujhe apne sarr par rakh kasam khilwayi ki mein unki hotel apne naam karne ke liye raazi ho jau. *sniff* Badle me wo Dada jii ki... Mujhse kuch property maangne ki maang rakhi thi. Keh rahi thi ki... *sniff* Mein apni saari property unke hawaale kar du. *sniff* Mujhe nahi pata tha ki wo aisa kuch kar dengi...*sniff*
*Boooommmmm*
Ek aur bam phata Shweta ke liye iss statement ke baad.
Sab kuch bikhar raha tha. Uski sthiti iss waqt, aisi thi ki wo jese khaayi me ek rassi se latki hui thi jo harr guzarte pal tootati jaa rahi thi.
Shweta (screams) : YOU FUCKING BASTARD!!!!!!
Judge : SILENCEEE!!!!
Rajat : Kya wo sign aapke hai papers me?
Shweta (gusse me) : THEY... THEY ARE!!!
Rajat : Kya aap pichle kuch samay se mentally exhausted thi!?
Shweta : I... I WAS...
Rajat : Kya aap batwaare me kuch hissa paana chaahti thi?
Shweta : I... Y-YESSS!!!
Rajat : There you have it my lord! Miss Shweta, ek mentally unstable state me thi property ko hathiyaane ke liye. Mere client jinhe inn sab ke baare me kuch nahi pata tha wo ek good intention ke saath Miss, Shweta ko relax karwaane unhe dinner par leke gaye, jiski testimony unki khud ki beti Miss Bhumika ne hume dii kuch derr pehle, saath hi unki hotel ki manager ne bhi dii.
Judge : *nods*
Rajat : Par mere client ko koi bhi idea nahi tha. Miss Shweta came prepared. Unhone apni saari hotel mere client ke naam kari. Aur badle me unka haq unse chhen'na chaah rahi thi. In other words, mere client ki property. Hume ye bhi pata chala ki ghar me property ko lekar pehle bhi vivaad ho chuka hai. So, desperation me aakar Miss Shweta iss hadd par utar aayi.
Judge : *nods*
Rajat : Aur fir unhone apni kasam bhi khilwayi ki mere client wo hotel apne paas hi rakhe. Par badle me saari property unke naam kar de? Ye sarasar ek chaal hai. Na keval unhone mere client ke good will ko nazar andaaz kiya. Balki, unse unka haq chheen'ne ka prayaas bhi kiya. Aur saath hi saath itna bada aarop laga ke, unke apne parivaar aur dosto me unki chhavi par laanchhan lagaaya hai. Please! Meri aap se darkhaast hai ki aap iski jadd tak jaa ke faisla le.
Shweta (screams) : I fucking didn't!!!!
Rajat : See!? She also has some anger issues. I rest my case my lord!
Aur khatam! Sab kuch khatam ho chuka tha.
Boht derr tak... Ye sab chalta raha. Par...
Shweta ke paas koi evidence hi nahi tha siwae kehne ke. Na hi koi witness.
Wahi Pranjal ke liye sabhi ne acchi baatein hi kahi thi.
Thanks to Ragini, jo wo ab iss parivaar ka hissa nahi thi. Warna Pranjal ke khilaaf hi bolti woh. Aur uske liye ek mushqil khadi kar deti.
Vivek inn maamlo se dur rehna chaahta tha toh wo chup raha. Arohi kehne waali thi par Veer ne usse phone par mana kar ke rakha hua tha. So usne kuch na kaha.
Baaki sabhi ne Pranjal ke liye acche shabd kahe the.
Itne dino se wo apni image jo banaane me laga tha. It paid off very well. Sab kuch usne itna precisely calculate kar ke kiya tha.
Ghar pe Manorath apne room me rehte the. Arohi aur Kavya apne kaamo me. Vivek apni company me. Karunesh aur Brijesh apne business me. Bhumika aur Shweta hotel me. Aur uski Maa Sumitra aksar kitchen me.
Shweta ke room me ghuskar almaari se unn papers ko dhundna uske liye koi boht badi baat nahi thi.
Shweta ke liye sab kuch ujad chuka tha.
Kyuki, jab faisla aaya.
Toh uski wo akhiri umeed bhi toot chuki thi.
Hotel...
Pranjal ke naam ho chuki thi.
CASE DISMISSED!!!
Uske andar se jese uski aatma ne dam tod diya tha.
Bhumika bechaari se apni Maa ki ye haalat dekhi hi nahi jaa rahi thi.
Aur ghar aate hi, Shweta forun hi car me baithi, car start kii...
Aur kahi jaane ke liye hui ...
"M-Maaaaaa~"
Par jab tak Bhumika apni maa ko kahi jaane se rok paati, Shweta nikal chuki thi.
***
Idhar Veer jo agli raat Arohi se milke vistaar se baat jaan'ne ke liye uss se jab milne ke liye ready ho raha tha. Tab hi...
*Ding*
[Mission : Rescue Shweta before she dies.
Rewards : ???? Points.
Time Limit : 30 minutes.
Mission Failure Penalty : 20,000 Points Deduction.]
'Ahhh! Shittt!!! Here wo go again~'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
Thanks a lot! Itna sabr rakhne ke liye. I'm doing well. Minor wounds hai. I was lucky haha~ Anyways, Like thokne ka aur revos rakhne ka yaara.
Keep supporting!
Dhanyavaad!
Badhiya shaandaar update bhaiUpdate - 77 ~ Preparations!Ab tak...
[Harr baar thodi mega update dunga bhai! ]
[Do you want to see Slogan's past???]
Bina koi derr kiye Veer ne Yes ko select kar diya.
Aur ek ke baad ek, Slogan ki saari memories, uska past system ne sab dikha diya.
[It's been quite a bit time... Master!!!?]
Wahi dusri orr... Jungle ki road waale ilaake par. Jaha chootiyaa thi dusri side par ussi ke upri ilaake par...
Ek ladki khadi hui thi. Hawa me lehraate baal aur agle hi pal...
Wo andhere me wahi mudte hue lupt ho gayi.
Ab aage...
Akhir ant ho gaya. Uss shaks ka, jisne Veer ko itna pareshaan kar ke rakha tha, jo uski jaan ke peeche pada hua tha. Wo, ab iss duniya se chal basa.
Aur ye sab kisne kiya? Veer ne, khud ne.
Itni mashaqqat ke baad, akhir wo Slogan ko outsmart karne me safal ho hi gaya. Aur uss se uska peecha chooth saka. Kya hi baat thi. Slogan ki maut bilkul ussi tarah hui jis tarah uski beti ki hui thi. Dono hi ussi khaayi me jaa gire. Shayad ab wo afterlife me ek dusre ke saath honge!?
Idhar Veer ek udaasi me iss waqt apne kamre me laita hua tha.
Uska mann boht hi maayus tha. Slogan ko jungle me dhund ke usne uska ant toh kar diya tha. Par sawaal tha ki wo Slogan ko jungle me dhund kese paaya?
Simple sii baat thi. Jab Veer ne Slogan ko goli maari thi, toh Slogan ke haath se khoon behna shuru ho chuka tha. Fir jidhar jidhar wo bhaagte hue gaya. Khoon ki ek trail banaata gaya.
Bhale hi wo khoon andhere me na nazar aaye. Par vatavaaran me khoon ki gandh toh fel hi gayi thi. Khoon me iron ki maatra toh hoti hi hai. Aur uss gandh ko harr koi jaanta hai ki wo kesi rehti hai. Veer ke senses already 120% par the. Including his sense of smell. Bhala aisa kese ho sakta tha ki usse khoon ki gandh na aaye!?
Yahi kaaaran tha ki Veer ne badi hi asaani se Slogan ko locate kar liya tha. Beowulf's Blessings ke samay samaapt hone se pehle hi.
Uss raat Veer ne Beowulf's Blessings ka istemaal poore 35 minutes ke liye kiya tha. Chaahe wo Matthew se ladaayi ho, ya chaahe Slogan se. Sab kuch inhi 35 minutes ke andar hua tha.
Bhale hi usne iss baar thode control me fight kii thi. Par fir bhi, uske istemaal ke baad Veer poora exhausted ho chuka tha. Wo kaafi derr tak ussi khaayi ke paas laita raha. Jab Jassi aur uski team andar aayi tab jaa ke unn logo ne Veer ko uthaaya tha.
Thanks to Karan, jisne ye bata diya tha ki Veer akele andar gaya hua tha. Aur wo fir usse dhundne andar aa paaye.
Jassi aur baaki sabhi ne uss raat Veer ko ek alag hi nazariye se dekhna shuru kar diya tha. Kyu? After all, Veer ne Slogan jese vyakti ka ant kiya tha. Aur ye koi sadhaaran baat nahi thi. Uss raat hui unke beech conversation, Veer ko acche se yaad thi.
Jassi : Tum theek toh ho?
Jassi ne Veer ko uthaaya aur usse sahaara diya.
Veer : Hmm! Par mujhse chala nahi jaa raha hai. I don't know why... Shareer ki poori energy jese gaayab sii ho gayi hai.
Jassi : Don't worry! Mein tumhe carry kar lunga. Aur Slogan? Wo kaha hai?
Veer : I killed him.
Jassi : Huhhhh???
Raghu : K-Kyaaa??
Veer : I killed him! Aur... Wo uss khaayi me jaake gir gaya.
Jassi : T-Tumne usse maara? Tumne?
Veer : Hmm!
Jassi : Y-Ye...
Veer : What? You guys... Tum sab meri complaint toh nahi karne waale na police me? Haan?
Jassi : Ehhh?? Of course not!!! Balki, hum toh tumhaare shukrguzaar hai. No! Infact, yadi tumhara zikr hota bhi hai kisi investigation me toh hum tumhara naam aane hi nahi denge.
Veer (sighs) : Thanks!
Jassi : Tumhe rest ki zaroorat hai. Team! Waapas chalo! Yaha se nikalne ka time aa gaya.
Jassi ne Veer ko Karan ko thamaaya aur usse le jaane ke liye kaha.
Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?
Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!
'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi mann me hi liye aage badha.
Aur kuch issi prakaar Veer apne ghar laut paaya tha. Sawaal toh kayi puche the Ragini ne uss se ghar me. Par Karan ne matter sambhaal liya tha. Usne na jaane kaha ki kahaani banaayi on the spot aur Veer ko sawaalo se bacha liya tha. Par fir bhi, kal baal baal bacha tha Veer Ragini ke haatho se. Warna pakda jaata. Usse yaad hai Karan ne kese almost uski gaand marwa hi dii thi.
Car se utarte hi, Karan usse sambhaal ke ghar ke andar laaya tha aur laate hi Ragini ke sawaal shuru ho chuke the.
Ragini : Veeeeerrr??? Kaha the tum? Kab se phone laga rahi hu. Aur time dekha hai? Raat ke 2 baj rahe hai Veer. Tumhe pata hai yaha sab kitni chinta me the? Ek phone toh kar dete Veer? Mein thodi tumhe mana kar deti. It's just... Ghabraahat hone lagti hai idhar. Aur aap mahashay??? Aap toh Karan ho na? Veer ke naye dost? Fir aap ne Veer ko kyu nahi samjhaaya? Aur ek minute? Aap kya kar rahe ho idhar? Veer toh akele ghar se nikla tha. Huh??
Karan : Ahahahaha~ Bhabhi jii! Darasal... Wo hua ye tha ki...
'Fucccckkkk!!! Kya hua tha?? Kya hua tha? Poora full scale attack hua tha. But I cannot tell her that. Fuckkkk! Kuch soch Karan!!!' Karan mann me khud se socha. Bahaana toh dena tha kuch na kuch.
Karan : Bhabhi jii! Mein hi Veer ko le gaya tha actually. Ahem! Mere friend ki party thi ek. Toh mene socha akele kya karunga? Toh mein Veer ko le gaya tha. Ahahaha~
Ragini : Kya? Par Veer toh keh ke gaya tha ki business related matter se jaa raha hai woh.
Karan (Veer ko dekhte hue) : Hein? Tum business ki baat karne nikle the?
Veer :
[ ]
Veer ne agle hi pal apni kohni Karan ki pasli me de maari.
Karan : Gwaakhhh!! Arre! Haha! Haan wo sahi hi toh keh raha tha Bhabhi jii! Darasal jis friend ki party me gaye the uski business me acchi pakad hai. Toh... Aisa...
Ragini : Accha! Ek minute! Veer? Tum aise Karan ka sahaara kyu le rahe ho? K-Kya hua Veer?
Aur wo aage badh ke aayi aur Veer ko Karan ke haatho se pakad apni orr kheechi.
Karan : Bhabhi jii! Aaj toh Veer ne kamaal hi kar diya. Party me thodi ladaayi ho gayi thi. Ek aadmi ek ladki ko pareshaan kar raha tha. Bas! Veer kood pade. Ladayi badh gayi. Aur do isne maare toh do usne maare. Isliye, Veer ki abhi ye haalat hai. Hahaha~
Ragini : V-Veeeerrr??? Kyu ladaayi me padte ho? Tum theek toh ho na? Kaha lagi tumhe batao?
Wo kehte hue Veer ko check karne lagi aur idhar Veer muskura ke Karan ko dekh raha tha. Jese kehna chaah raha ho ki saale kal mil, bataata hu tujhe.
Karan Veer ki muskaan ko bhaanp liya aur forun hi usne waha se nikalne me hi bhalaayi samjhi.
Karan : M-Mein chalta hu. Bhabhi jii! Veer ka khayaal rakhna. Aaj kaafi mehnat kari hai usne. Ahahaha~ Goodbye Veer! Fir milte hai.
Aur bas, kal kuch iss tarah hi Veer ki raat guzri.
Aaj toh usne poore din araam kiya aur wo abhi bhi laita hi hua tha. Udaasi me.
[You are sad master!!!] Pari ki awaaz uske mann me gunji.
Pari!!! Jo uss raat sytem levelling ke tehet apni personality ek baar fir badal chuki thi. Veer kahi na kahi, iss Pari ko miss bhi kar raha tha toh wahi uss Pari ke jaane par thoda udaas bhi tha. Par maayusi ka keval yahi kaaran nahi tha. Kaaran tha...
[Swati!!! You are sad about her! Right?]
'Hmm! Pari!'
[This is how life is Master. Uss bechaari ka ant boht hi dardnaak hua. Kya galti thi uss bechaari ki? Still, she died a gruesome death. Ye kismat hoti hai Master. Fortune... Luck... Kab kiska kesa ho jaaye, koi nahi jaanta. That's the reason, you must strive to become strong.]
'Hmm~'
[You have such a kind heart Master!]
'Huh?'
[Aap baccho ke prati kitne sensitive ho. Ye mene dekh liya. Swati bhi ek bacchi hi thi uss waqt. You were seeing her as a kid. And seeing her in pain... You were so hurt. I could feel it.]
'I...'
[Juhi ke prati bhi aap kitne sensitive ho Master. You love her so much. I can see that. Baccho ke prati aapka lagaav alag hi dikhta hai master. Even though aapne ek aadmi ki jaan lii, still... Aap ne ab tak apni sanity nahi khoyi. You are still just like before. That's why I said, you have such a kind heart Master.]
'Mein... Th-Thank you Pari!'
[No! Thank you Master! I'm lucky to have you as my Master.]
'Hmm! Ab ye system ke changes samjhaogi mujhe?'
[Right away Master!]
'Go on then!'
[Master~ You got a random skill yesterday. Let me show you...]
*Ding*
[Skill 'Stock Master' has been rewarded.
Bio : Offers a 70% chance to succeed in sharemarket.]
'Holy fucccckkkkk!!!!' Veer jo ab tak laita hua tha wo jhatke se uth ke baith gaya. Baat hi kuch aisi thi.
'I needed this. Iske zariye... I can...'
[Still! It's not really that good Master. 30% chances hai ki paise doob bhi sakte hai.]
'Pari par 70% success chances bhi toh hai. Normally logo ke liye 50-50 chances rehte hai. Still, log paise lagaate hai na? But for me... It will be 70 - 30.]
[Hmm! Ye baat bhi hai master.]
'Aur kya changes hai? I saw ki, System layout bhi upgrade hua tha. What is it?'
[Bas, cheezo ke dikhaana ka tareeqa master. Just the layout has changed. Let me show you!]
*Ding*
[Name : Veer | Age : 21 |
Status : Student / Businessman
Stats :
Strength - 96/100 | Intelligence - 95/100
Agility - 65/100 | Endurance - 65/100
Appearance - 75/100
Skills :
Sex Protection | Intermediate Martial Arts Skill |
Hawkeye | Limbo | Basic Enemy Tracker |
Absolute Chef | Basic Driving | Stock Master.
System's Internal Features :
Check | Path Tracker | Past Illustration |
Quest Hunt | Slot | Translator | Alpha Trait
Favourabilities :
Suman : 126 (Slave) | Aabha : 90 (Slave)
Sonali : 65 (Familiar) | Ragini : 75 (Close mate)
Nidhi : 40 (Mate) | Shreya : 67 (Close mate)
Juhi : 90 (Best mate) | Suhana : 64 (Close mate)
Sonia : 71 (Close mate) | Kavya : 88 (Best mate)
Shweta : 10 (Familiar) | Bhumika : 38 (Familiar)
Kaera : 75 (Close mate) | Arohi : 70 (Close mate)
Cards :
Bone Reaper | Beowulf's Blessings
Points Remaining : 3300
System Level : Level 6
(600 EXP more to reach Level 7)]
[How is it Master? Layout change ho chuka hai. Do you like it?]
'Ahhh! I see! Waqai! It looks good now. Kaafi cheeze add hui hai. Compact design. Hmm~ I like it.'
[Thank you Master!!! I'm glad you liked it.]
'Pari!!!'
[Yes Master?]
'Points add kar do. Saare stats me. Make them full. All 100.'
[As you wish Master!]
*Ding*
[All stats have reached 100.]
[Remaining Points : 3092]
[Changes kal...]
''Kal subah dekhne ko milenge. I know. Thanks Pari!'
[It's my job Master. Par, appearance ko aapne ekdum se full kar liya hai. Tomorrow! Things will be interesting. Fufufu~]
Saari cheezo ko samajhne ke baad, Veer utha aur haath muh dho ke woh neeche aaya. Neeche aate hi usse alag hi mahaul nazar aaya.
Suman, Ragini, Aabha, Sonali sab zameen par chataayi bicchaaye hue baithi thi aur kuch bana rahi thi.
Veer : Hmm?
Ragini : V-Veer? Aao na! Uth gaye? Ab kesa lag raha hai?
Veer : I'm good Bhabhi!
Ragini (smiles) : Acchi baat hai. Dekho! Mein tumhaare liye gulaab jaamun, namkeen, aur saloni bana rahi hu. Tumhe tyohaar ke pakwaan pasand hai na?
Veer : Hmm?
Ragini : Aaj Holika dehen hai. Hum jaha rehte hai, yaha aas paas koi holika nahi baithi hai. Kya tum m-mujhe leke... Raat me... Holika dehen dekhne chaloge? Yahi main road side?
Wo ek aas liye usse dekhi, wahi side me baithi Suman bhi unn dono ko hi dekh rahi thi. Na jaane kya soch rahi thi.
Veer (smiles) : Kyu nahi Bhabhi? Sure!
Ragini (smiles) : Ahh!! Thank you Veer! Bas, ye taiyaariya kar lu, fir hum dinner kar ke raat me chalte hai. Okay?
Veer (smiles) : Alright!
***
Nidhi's Apartment...
Ragini ke ghar ki hi tarah, Nidhi ke flat me bhi chahal pehel machi hui thi. Aur iss chahal pehel ka kaaran kaun tha? Of course, nanhi Juhi! Uske alawa kaun ho sakta tha?
"Do na mammaaaa!!! Do do do... Candyyyy dooo!!!"
Wo Nidhi ke gown ko kheench kheench ke zidd kar rahi thi. Toh wahi sofe par baithi Shreya uski zidd pe muskuraa rahi thi. Apne Laptop me kaam me lagi hui thi woh.
Nidhi bada sa ek packet khol rahi thi aur Juhi ke liye candy nikaal rahi thi.
Nidhi : De rahi hai na mamma. Aur suno, roz bas ek hi milegi. Okay?
Juhi : Mmm~
Nidhi : Ye lo~
Juhi (perr patakte hue) : Ummm.... Khol ke...
Nidhi : Haa baba! Ye lo...
Juhi : Ehehe~
Aur wo jhatpat apne muh me candy daal bhaag gayi apne khilauno se khelne.
Nidhi (sighs) : Ye ladki bhi...
Shreya : Kal ka kya scene hai Dii?
Nidhi : Hmm? Kal ka kya?
Shreya : Kal holi hai. Kuch socha hai aapne?
Nidhi : Holi me kya Shreya? Harr saal ki tarah, thode pakwaan banaaye hai. Ghar jaa ke Mamma papa se mil aaungi. Bas! Aur kya?
Shreya : Bas? Really? Aur Juhi ka kya? Wo holi kese khelegi?
Nidhi : Society me Juhi ki umr ke bacche boht kam hai Shreya. Aur jo hai, unhe Juhi nahi jaanti. Kal usse bas gulaal lagwa laungi wahi baccho se. Aur kya?
Shreya : What??? Really dii? Yadi aap holi celebrate nahi kar rahi ho toh kam se kam bechari Juhi ko toh karne do.
Nidhi : Mein...
Shreya : Waqai aap bhi na. Aur uss duffer ka kya?
Nidhi : Huh?
Shreya (smiles) : Mera matlab wo... Veer ka kya?
Nidhi : I... Bhala mujhe kese pata hoga uske baare me?
Shreya : Huh? Kya aapki baat nahi hoti uss se? Haan? Aap hi ne toh bataaya tha na ki wo college aaya tha tests dene. Fir? Kya baat nahi hui.
Shreya ke sawaal par Nidhi ko wahi din yaad aa gaya. Wo din jab Veer ne uss se apne dil ki baat keh dii thi. 'I like you ma'am!!!'
Isse sunn ke Nidhi ke saare din itni mushqil se guzar rahe the ki harr thodi derr me usse Veer ke khayaal aane lagte the. Aur wo jese tese khud ko koss ke, samjha ke Veer ki chavvi apne mann se hata deti thi.
Nidhi : N-Nahi!! Meri baat nahi hui. Aur tumhara kya? Aaye din toh tum uske baare me puchti rehti thi. Kya hua? Kya tumhari baat nahi hui uss se?
Shreya (blushes) : Ahh! Wh-Whaaattt? M-Mein... N-No of course not!!! Mein toh k-kaafi samay se busy hu kaam me.
Nidhi : Toh bas fir. Hum dono ko hi nahi pata uske baare me.
Shreya : I... Hey dii!? Kyu na hum usse surprise de? Hahahaha~ Yes! Ye badhiya rahega. What do you say?
Nidhi : N-Nahi! K-Koi zaroorat nahi hai jaane ki. Wo waha apni family ke saath holi manaega. It will be a disturbance for them.
Shreya : Kya dii? Kesa disturbance? Hum toh ghar jese hai na? Aur uski bhabhi bhi toh kitna hume invite karti rehti hai. Veer yaha reh ke gaya hai kitne hafto tak. Toh ye koi bahaana nahi hua.
Nidhi : N-Noooo hum waha...
Wo kuch bolti ki andar se Juhi daudati bhaagti hui aake uski goad par chadh gayi.
Juhi : Maaaamuuu ke ghar... Maaamuuu ke ghar... Mein jaungi!!!! Mammmaa~ Maaasssiii!!!
Pata nahi kese, par apne maamu ka naam sunte hi Juhi ke kaan khade ho gaye aur wo jhatpat andar se bhaag ke aa gayi.
Shreya : Dekha!? Kam se kam ab Juhi ke liye toh chaliye. Uski bhi Holi kitni acchi guzar jaegi. Waha logo se milegi usse accha lagega. Ho sakta hai Kavya bhi aaye? Akhir Juhi aur uski boht banti hai. Ab toh chalenge na hum?
Juhi : Chalna hai... Chalna hai... Maamuuuu ke ghar... Chalna hai...
Nidhi firse mana karne hi waali thi. Par jab usne Juhi ki aankho me dekha aur ye abhaas kiya ki Juhi wese hi apne chote bhai, Dhruv se bichdi hui hai. Na usse koi khelne waala milta hai aur na koi saathi. Yadi problem uski Veer se hai toh isme bechari Juhi ki khushiya kyu daav pe lagaayi jaaye? Ye ek parent hone ka kartavya tha Nidhi ka ki wo Juhi ki khushiyo ka dhyaan rakhe.
Aur ye abhaas hote hi, uski nazre glaani se jhuk gayi.
Nidhi : Sorry beta! Sorry Shreya! Hum kal chalenge.
Juhi : Yaaaaaayyyyyy~
Shreya (smiles) : It's alright!!!
***
Kaera's Villa...
Meanwhile idhar Kaera apne villa me kal ke liye planning kar rahi thi. Julia, uski maid uske makhmal gore badan se kapde utaar rahi thi aur nighty pehnaane hi wali thi jab Kaera ne usse rok diya.
Kaera : No! Not this today! Just a t-shirt and leggings. That's it.
Julia : Are you really sure Miss?
Kaera : Yes!!!
Aur Julia usse fir wahi pehnaane lagi.
Kaera ko Slogan ki maut ke baare me pata lag chuka tha. Par uss se kaafi baatein chhipaayi gayi thi.
Jese ki wo ye nahi jaanti thi ki Slogan ka khaatma Veer ne kiya tha. Usse ye bhi nahi pata tha ki uske hi resort me uss din Steve ka sarr udd gaya tha.
Usse bas itna pata tha ki Steve ki car me firing hui thi. Par iss se pehle ki wo Steve ke shareer ko car se girta dekh paati, uske agal bagal security ne usse surround kar ke andar kar diya tha. Aur wo inn sabhi baato se anibhigya thi.
Par chuki, ab Slogan jaa chuka tha. Wo kaafi relaxed thi. Aur mann me uske planning chal rahi thi. Wo light mood me bed par baithi aur sochne lagi,
'Tomorrow! Hmm~ It's Holi! I never played this. I'll go and visit him. Only he can teach me about this.'
Kaera : Julia!
Julia : Yes miss?
Kaera : W-What is this feeling? Wh-When you don't want someone to get hurt. When you don't want to see that someone getting suffer. When... When you want that person always within your sight?
Julia (smiles) : It's Love Miss!!
Kaera : L-Love?? What is Love?
Julia (smiles) : Didn't you answer me just now?
Kaera : Huh?
Julia : When you don't want to see that person getting hurt and suffer. You want that person to be around you all the time. It's Love Miss! That means you love this person.
Kaera : I... I see!!
'I'll ask Veer. Tomorrow!!!'
***
Ragini's home...
"Hum nikal rahe hai Suman jii! Par aap sab bhi chalte toh accha hota."
Ragini ne apni sandals pehente hue kaha.
Laal saree me aaj wo itni kamaal lag rahi thi ki Veer ko badi mushqil jaa rahi thi. Wo nahi chaah raha tha ki apni hi bhabhi ko taade. Par wo lag hi itni sundar rahi thi ki na chaahte hue bhi uski nazre Ragini par chali jaa rahi thi.
Aur yaha Ragini uski harr nazar pakad le rahi thi. Wo aisa dikha rahi thi jese usse Veer ki nigaaho ke baare me kuch nahi pata. Wo toh balki jaan bujh ke khud ko dikhaana chaah rahi thi. Akhir uske sajne ke peeche ka maqsad hi toh yahi tha.
Wo Veer ke liye hi toh itna saji hui thi.
'Lipstick is fine... Ummm~ Nailpolish done. Baal side me hai, they are looking hot. Bindi done, kaajal done, make-up ka halka touch bhi ho gaya. Sleeveless saree bhi pehn lii. What else? Perfume bhi laga chuki hu. Jwellery bhi ho gayi. What else now? Everything is okay I guess.'
Uske mann me abhi yahi baatein chal rahi thi. Wo nahi chaahti thi ki Suman ya koi aur bhi uske sang aaye. Wo keval Veer ke saath akele jaana chaahti thi. Aur Suman jese uske mann ki baat samajh chuki thi. Usne forun hi keh diya ki wo sabhi ghar par rahenge.
Suman : Koi baat nahi! Aap jaaiye! Hum sab hai yaha. Phone me photo le aaiyega Ragini jii. Hum yahi dekh lenge.
Ragini (smiles) : Bilkul! Video bana laungi. Chale Veer?
Veer : Hmm~
Aur wo dono hi car me baithe aur nikal gaye.
Sonali (muh fulaate hue) : Mujhe jaane kyu nahi diya aapne? Ghar ki dekh rekh ke liye aap toh thi na Maa? Fir yaha hum teen teen jann ko rukne ki zaroorat?
Suman (smiles) : Zaroorat hai. Unhe...
Sonali : Hmm?
Suman (smiles) : Kuch nahi!!!
Raaste bhar Ragini aur Veer me zyaada baatein nahi hui. Baatein hui toh keval nazro se. Veer side-eye karke Ragini ko dekhta toh kabhi Ragini usse dekhti aur usse apni orr dekhta hua paati.
Wo jab jab Veer ko apni orr dekhta hua pakadti, uska mann aur khil uthata. Yaani ki Veer ko bhi usme interest tha. Aur Veer uske saundarya ke aage haar raha tha.
Jab dono hi holika dehen ke sthaan par pohuche toh wahi utar ke Ragini ne saari vidhi se holika ke chakkar lagaaye aur darshan kiye.
Kal holi ka tyohaar tha. Ye tyohaar uske divorce ke baad pehla tyohaar hone waala tha. Aur wo isme koi bhi kami nahi hone dena chaahti thi.
Waha khade log bas Ragini aur Veer ko hi dekhe jaa rahe the. Isliye jaldi se darshan kar Ragini aur Veer car me aake baith gaye. Aur car se hi baahar holika dehen ko dekhne lage.
Tabhi achanak Veer ki nazar Ragini ke gale par gayi,
Veer : Aapka... Mangalsutra...!?
Ragini : Ab jab pati ko hi dur kar diya. Toh kis baat ka mangalsutra Veer?
Veer : No I mean... Aapka gala khaali khaali lag raha tha isliye... I just...
Veer apni nazre ferra hi tha ki Ragini ne uska haath thama aur utha ke apne stano ke theek upar seene par rakhwa liya.
Veer : B-Bhabhi!!!???
Ragini (smiles) : Khaali lag raha hai? T-Toh... Tum kuch kyu nahi laate apni iss bhabhi ke liye? Haan? Anything will do.
Veer : I...
Veer iss sudden harqat se yadi andar tak hil ke nahi reh gaya tha toh ye kehna galat tha. Ragini ke iss action ki usse zara bhi umeed nahi thi. Uske seene par haath rakh wo Ragini ke dil ki dhadkan bakhubi mehsoos kar paa raha tha. Bas thoda sa hi faasla tha. Bas thoda sa... Thoda aur neeche yadi haath galti se bhi lag jaata toh Veer ko unn raseele aamo ka ehsaas mil jaata.
Ragini : Kaho!? Kya apni iss nakaar dii gayi Bhabhi ke liye laoge kuch!?
Veer : Aisa kyu keh rahi ho aap? Kisi ne nahi nakaara hai aapko.
Ragini (smiles) : Tumne bhi nahi na!? Kyuki kisi ek ne toh apne jeevan se nakaar ke phek diya mujhe.
Veer : Aap uss baare me mat sochiye Bhabhi! Hum sab aapke saath toh hai na!?
Ragini (smiles) : What about you!?
Veer : Of course! M-Mein bhi aapke saath hu.
Ragini (smiles) : Then that's all that matters. Fufu~♡
Aur agle hi pal wo aage badhi aur uske laal laal raseele honth Veer ke gaal par the.
*Chu~♡*
*Badump*
Pal bhar ke liye Veer ki jese saans hi atak gayi. Uske gaal par Ragini ke hontho ka thappa jo lag chuka tha. Wo laal lipstick poori tareeqe se uske gaal par honth ka nishaan bann ke chadh chuki thi. Kya Ragini ne issi iraade se aaj fiery red lipstick lagaayi thi. Who knows!?
***
Suhana's home...
*THUD*
Zorr se door band hone ki awaaz aayi aur Suhana apne business outfit me ghar ke andar aayi. Uska mood kuch boht hi kharaab lag raha tha.
'Damn itt!!!!! Ye badi deal haath se nikal gayi. All because of that bastard advisor. Yadi wo beech me taang nahi adaata. Toh sab kuch smoothly ho gaya hota.'
Mann me badbadaate hue wo apne kapde change kari. Aaj uska dimaag behad kharaab tha.
*Ring Ring*
'Huhhh? Sonu ka phone?'
Suhana : Bol Sonu!!!
Sonia : Diii! Kal holi hai.
Suhana : Haan toh?
Sonia : Dii! Kal... Kal mein Veer ke ghar jaaungi. To celebrate Holi. Are you coming?
Suhana : Mein dekh rahi hu tum kaafi close hote jaa rahi ho uske? Kya maajra kya hai Madam?
Sonia (blushes) : Ahhh??? Y-Ye kya bol rahi ho aap. I'm going to give my thanks... T-That's it.
Suhana : Tumhari tarah yadi koi ladki aise ladko ko thanks dene lagi na harr baar toh wo kuch hi dino baad bacche leke ghumegi.
Sonia (blushes) : W-Whaaat?? What are you even saying diii? It's... It's nothing like that. Stop it! Are you coming are not?
Suhana : No waaayyy! Mera mood abhi kharaab hai wese bhi. I'll talk to you later.
Sonia : Huhhhh? D-Diii!!!?
*Call ends*
Suhana ne bina Sonia ke baat sune hi phone cut kar diya. Aur apne anguthe ko daato tale dabaaye soch me pad gayi.
'That idiot... He actually killed him... I knew it... Kuch gadbad hai... He hasn't even returned my gun.'
Wo soch me thi jab achanak hi darwaaza khula aur ek suit pehne aadmi andar pravesh kiya.
"Ohh! Tum aa gayi? Kesi rahi deal?"
Gaurav!!! Suhana ka pati. Usne Suhana ko dekh pucha. Kyuki, Suhana uski hi company ki taraf se deal karne gayi thi.
Suhana : Deal failed. Sab kuch uss company ke advisor ke kaaran.
Gaurav : Whaaaaaaatttttt? Deal fail ho gayi? Kya karti ho Suhana? Itna chota sa kaam nahi hua? Kese tumne aaj..!? Sab tumhari galti hai. Mujhe ye deal nahi deni chahiye thi tumhe.
Suhana : Meri galti? Meri galti????? Excuse me!!!!! Meri koi galti nahi thi samjhe Gaurav??? Wo advisor pehle se hi planning kar ke aaya tha.
Gaurav : Still... Anyways! Jo hua so hua. Jao accha! Jaake mere liye aaj kuch special banao khaane ke liye.
Suhana : Whaaaattttt? Samay dekh rahe ho Gaurav??? 12 baj rahe hai raat ke. Poore time office me thi. Waha se mathapacchi kar ke itni late lauti hu. Yaha tak ki aaj holika dehen tha toh kahi gayi bhi nahi. Aur itni thakaan ke baad tum mujhse khaana maang rahe ho? Chef bhi hai hamaare ghar me. Do you know???
Gaurav : I know! Aur mein bhi koi park me ghum ke nahi aa raha hu Miss Suhana! Din bhar mehnat karta hu. Meri ek post hai. C.E.O ki. Unlike you... Tum ghar me khana nahi banaogi toh kaun banaega? Make me something good. Mein aata hu change kar ke.
Aur wo nikal gaya upar. Idhar Suhana ki mutthi kassi hui thi gusse ke maare. She had enough!!! Mann toh kar raha tha abhi ghar se bhaag jaaye. Din bhar ki bhaag daud ke baad ab wo khaana banaaye???
Wo gusse me kapde badli aur kitchen me gayi kuch banaane bemann se.
Usne agle hi pal Sonia ko call kiya,
Sonia : Hello?? Dii?
Suhana : Tum kal Veer ke yaha jaa rahi ho na?
Sonia : Umm.. haan! yeah!!
Suhana : Count me in!!!!
Sonia : Ehhhh?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
I told you guys ki update 77 will be interesting. But see, yahi pe moderation ho gaya. Aur iss update me mene left over questions ke answers diye. Ab, sabhi Veer ke ghar par jaa rahi hai. Meanwhile Veer inn sab se anibhigya hai.
Like thokne ka and revos rakhne ka.
Dhanyavaad!