• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

sorbobhuk

Well-Known Member
2,267
5,584
158
Mega Update

Update - 109 ~ Goodbye
Ab tak...

Aur agle hi second, woh anjaan shaks Veer ko wahi akela chorr gungunaate hue waha se seedha nikal gaya jese Veer uske liye sirf hawa ke samaan tha.

Aur alley me fir ek baar shaanti chhaa gayi,

Par uske bol abhi bhi Veer ke dimaag me zorr zorr se goonj rahe the....

"YOU ARE JUST ME PREY!"

"Also..."

"System... Sirf tumhaare paas nahi hai! VEER!"

Ab aage...

*Chirp* *Chirp* *Chirp*

Pakshiyo ki cheh-chahahat ne naye sawere ko ingit kiya. Palke jhapki, aankho se dhundhlapan hata aur ek pyaari sii ladki ki neend me se aankh khul gayi.

Usse baahar se ek aurat ki awaaz sunaayi dii, "Suhana? Ooo Suhana? Uthi ki nahi abhi tak? School nahi jaana kya? Sonu uth gayi hai!!"

Apni Maa, Namrita ki subah subah awaaz sunn Suhana fauran hi bed se uth ke baith gayi aur badle me awaaz lagaate hue boli, "Haan Mamma! Uth gayi hu! Aayi bas."

Woh bina aalas dikhaaye uthi, washroom me jaa ke fresh hui aur baahar aake school ki uniform pehen ke ready hone lagi. Jab woh baahar aayi toh Namrita uske tiffin me uske liye lunch rakh rahi thi toh wahi ek maid Sonia ke bag me uska tiffin rakh rahi thi.

Sab kuch leke dono behne baahar nikli aur ek car jo pehle se hi lagi hui thi gate par uske andar jaa ke baith gayi.

Suhana ne apni choti behan Sonu ko dekha aur muskuraa ke uss se puchi, "Homework kar liya na Sonu?"

"Didi woh toh raat me hi kar liya tha!" Woh jawaab me boli.

"Good!" Aur unki car school ki orr chal dii.

Jab gaadi unke school ke gate ke baahar aake ruki toh dono baahar nikal ke apni apni saheliyo ka intezaar karne lagi.

Kuch derr baad, 2 gaadiya aur aake wahi nazdeek ruki aur dono me se behad pyaari pyaari bacchiyaa nikal ke baahar aayi. Unn dono ko dekhte hi idhar nanhi Sonia ke chehre par muskaan bikhar gayi.

"Kaeraaaa~ Avaaaa~" Haath hiilaate hue usne zorr se awaaz lagaayi toh dono ladkiya daudte hue uske paas aayi.

"Chale?" Kaera ne aate hi pucha.

"Hmm! Didi mein jau?" Sonia Suhana se puchi toh Suhana ne badle me haa me gardan hila dii.

"Hello Didi! Good morning~" dono hi Kaera aur Ava ne Suhana ko greet kiya.

"Hmm!" Suhana ne bhi haami bhari.

"Soniaaaa~" bagal me khadi Ava tabhi pukaari, "Ye dekho butterfly. Kitni sundar hai na?"

"Ohhhh wooowwww! Didi dekho! Iske pankh kitne sundar hai na?"

Sonia ne Suhana ko ek khubsoorat sii titli dikhaate hue kaha jo wahi ek phool ki patti par baithi hui thi.

"Hmm! Khubsoorat hai." Suhana boli.

Par tabhi peeche se unhe Kaera ki awaaz sunaayi dii, "Pathetic! Insignificant! Pitiful!"

"Ah!! Ye tum kya keh rahi ho Kaera? Didi dekho Kaera butterfly ke liye kya keh rahi hai."

"Titliya mujhe pasand nahi." Kaera uss titli ke nazdeek aayi, "Inki life sirf 15 se 28 days tak ki hi hoti hai. Ye jaldi marr jaati hai. I hate it."

"Ahhh!!! T-Toh ye titli bhi marr jaegi?" Ava bechain ho uthi.

"Hmm~" Kaera ne Sonia ka haath pakadte hue bola, "Isliye titliyaa bekaar hoti hai. Chalo assembly shuru hone waali hai."

Aur woh waha se Sonia aur Ava dono ko leke andar jaane lagi.

"Waaaaaa~ Didiiiii!!! Titliii~"

Suhana bas Sonia ko jaate hue dekhti rahi. Uski nigaahein fir uss phool par baithi titli par jaa ke tik gayi.

Kya uski zindagi bhi aisi hi thi? Titli bhi apni zindagi akele jeeti thi. Apni zindagi ke nirnay akele leti thi. Kab maut aa jaaye kisse pata? Chand dino ka hi jeevan rehta tha unka.

Inhi baato me woh khoyi hui thi ki woh titli agle hi pal waha se udd gayi. Aur Suhana ka dhyaan waapas se gate ke baahar sadak par gaya.

Ek van aake ruki aur uss se ek ladki utar ke Suhana ki taraf aayi,

"Roz roz itna late kyu hoti ho?" Uss ladki se Suhana ne pucha.

"Arre baba mein van se aati hu. Tumhari tarah car nahi hai mere paas personal. Aur van wala dus jagah gaadi rokta hai."

Uss ladki ne apni majboori vyakt karte hue kaha. Ye koi aur nahi, balki Suhana ki param sakha Divya thi.

Jaha Suhana 7th class me thi toh wahi Divya ka school me ye last year tha. Woh 12th me thi.

Dono ki dosti bhi badi hi ajeeb thi. Ye woh samay tha jab Suhana apni sakha ko 'aap' keh kar pukaarti thi. Chuki Divya umr me badi thi uss se.

School me saari ladkiya Suhana ko ajeeb nazro se dekhti. Ye kesi ladki hai bhala? Khud 7th me hai, par dosti 12th class ki ladki se kari hui hai?

Yahi haal Divya ka bhi rehta. Divya ki class ke log usse aise dekhte jese woh khud ek bacchi ho. Par dono saheliyo ko inn sab baato se koi matlab nahi tha.

Dono ki dosti ab aapas me ho gayi toh kya kar sakte the isme bhala? Divya ka ghar nazdeek hi tha Suhana ke ghar se jiske chalte dono me dosti ho gayi thi.

Abhi dono aage badh school ke assembly hall me ghus hi rahi thi jab peeche se ek awaaz unhe sunaayi dii, "Helloooo didi!!! Ehehe~"

Ek nadaan sa pyaara ladka daudte hue aaya.

"Pushkar? Tum aaj bhi late?" Suhana ne aankh dikhaate hue pucha.

"Hehe~ Auto late rehta hai hamara roz. Aur ye aapke liye~"

Usne apne haath se ek phool Suhana ko thama diya aur ucchalte koodate woh tata bye-bye kar bhaag gaya.

"Ye chotu bhi natkhat hai bada! Hmm? Suhana? Kaha kho gayi?"

"N-Nahi! Kuch nahi! Chaliye! Par aapne sahi kaha. Ye ladka paagal hai poora."

***

Kehte hai samay bhi ek pahiye ki tarah hota hai, jo nirantar ghoomta jaata hai. Suhana jo school me thi, dekhte hi dekhte college me aa chuki thi.

Zamana badal raha tha, duniya badal rahi thi. Parivar ka mahaul badal raha tha. Aur issi beech usne ek badlaav mehsoos kiya. Apni choti behan Sonu me aaya ek badlaav.

Aur aaj toh usne thaan lii thi iss baat ko uthaane ki, "Mein kab se dekh rahi hu tumhe! Ye sab kya chal raha hai Sonu?"

"Kya hai dii?"

"Tumhari ye harqate. Na khaane me dhyaan rehta hai tumhara, na family me kisi se baat karna hai tumhe, koi aata hai toh tum unhe greet bhi nahi karti ho aur bas poore din alag alag books leke padhne me lagi rehti ho? Kya hai ye sab? Padhna acchi baat hai par aise...!? Bolo! Kya chal raha hai ye sab?"

"Aap jaaiye dii, aap jaaiye! Aap nahi samjhengi!"

"Kya nahi samjhungi? Haan? Meri baat ka jawaab do So--!?"

Par iske pehle ki woh apni choti behan ke muh se uska jawaab sunn paati, Sonia apne kamre ke andar chali gayi.

*Thud*

Aur usne andar se darwaza bhi band kar liya.

"Sonuuuuuuu~" woh bewajah hi pukaarti reh gayi.

Daraar!

Aaj pehli baar Suhana ko ye anubhooti hui ki uske aur Sonu ke beech kuch meelo ka faasla aa chuka tha.

Aur unke beech ka ye gap samay ki tarah badhta hi gaya. Jab bhi koi family gathering hoti, dono ki tulna usme na ho aisa kahi ho sakta tha?

"Arre Shailendra Saahab! Aapki choti bitiya!! Kya kehne jii uske. Itni hoshiyaar hai. Meri beti boht tareef karti hai uski hahaha~"

"Hahaha~ Jii dhanyavaad!"

"Wese badi bitiya kya kar rahi hai apni?"

"Badi bitiya college me hai abhi. Suhana! Zara idhar toh aana!"

"Namaste uncle!"

"Arre arre namaste! Toh aap college yahi se kar rahi ho beta? Foreign se nahi!?"

"Jii nahi uncle!"

"Arre...! Aapki choti behan ka toh aim set hai abhi se. Woh baahar jaane ka plan bana rahi hai. Fir aap kyu nahi?"

"Jii nahi mein na--"

"Chalo koi baat nahi. Hahahaha~ Shailendra saahab bulaaiye zara apni choti bitiya ko. Meri bitiya bhi aayi hai dono ko company bhi mil jaegi ek dusre ki."

"Hahaha~ kyu nahi... Kyu nahi...! Sonia beta! Zara idhar aao."

Aur dekhte hi dekhte Sonia, Shailendra aur Namrita dherr saare mehmaano ke beech Sonia ki tareefo me ghum ho gaye.

Unn logo ke beech woh teeno kahi nazar bhi nahi aa rahe the. Sabhi ne unhe gher rakha tha aur sab Sonu ki tareef me lage hue the.

Suhana dekh paa rahi thi. Sonu ke bagal se Pushkar uska dost aur uski anya saheliya, uske rishtedaar kese uske ird gird sab khush the.

Toh wahi, Suhana apne aap dhakka mukki me uss bheed se baahar kar dii gayi. Uske apne uss bheed me the. Fir bhi woh unka ek hissa hone ke bawajood, nakaar dii gayi.

Lekin,

Jab uski nazre Sonu par tiki hui thi. Tab bhi uske hontho par muskaan saji hui thi.

Koi jalan nahi, koi ghrina nahi, koi tulna nahi. Apni choti behan ke prati, sirf pyaar.

Ek ashru ki boond aankh se chhalakti hui uske gaalo se fisal kar neeche jaa giri.

Tab, uske sarr par ek haath aake thama.

"??? Dada jii?"

"Hmm! Meri bachhi! Naraaz ho?"

"Nahi Dada jii!"

"Toh ye aasu kese?"

"Bas aise hi nikal aaye... Abhi band ho jaenge!"

"Meri beti...! Ek baat yaad rakhna. Samay! Ghaav ko theek nahi karta. Woh sirf hume unke sang jeena sikhaata hai."

"...."

"Aao mere saath!"

"Hmm~"

Aur apne Dada jii ke sang woh bhi uss bheed me chal dii. Sonu ki khil-khilaati muskaan dekh uske zehen me bas ek hi baat aayi,

'You will always remain my pride! Sonu!'

***

Waqt guzra aur Divya jo Suhana ki bachpan ki saheli thi woh America ki orr nikal padi thi. Usse crime studies me interest tha aur ek detective ya cyber security me kaam karna hi uska lakshya tha.

Usse waha rehte abhi kuch mahine hi hue the jab uski Zindagi bhi poori tarah se badal ke reh gayi.

*Ring* *Ring*

Suhana ka phone baja aur screen par apni puraani sakha ka naam dekh ke hi uska dil khush ho gaya,

"Hello! Bolo Divya! Kesi ho?"

"Boht badi gadbad ho gayi hai Suhana!"

"K-Kya hua??"

"Pushkar...!"

"Huh?"

"Pushkar idhar Vegas me hai. Mene khud usse dekha hai. Drugs deal karte hue."

"Kyaaaa?????"

Ghabraate hue woh uth khadi hui.

"Par... Par aisa kese ho sakta hai?"

"Tumne hi mujhe kuch hafte pehle bataya tha na Suhana? Ki Pushkar apna ghar chorr ke bhaag gaya hai?"

"Haan haan! Woh bhaaga hai. Isliye toh Sonu itni pareshaan hai. Par woh waha? Aise kese?"

"Mene apni aankho se dekha hai Suhana! Aur sach kahu toh woh uss din mere haatho pakda jaata. Par meri himmat nahi hui uss par gun taan'ne ki. I let him go. Jo mujhe nahi karna chaahiye tha. You must come here. Usse samjhana hoga. He's going into the wrong business."

"Y-Ye ladka... Why did he??? Tch!!! Sonu ko ye baat toh nahi bataayi na tumne?"

"Mein paagal nahi hu. Tum ye batao ki tum aa rahi ho ya nahi? Ya fir mein apne dhang se deal karu iss matter ko?"

"N-Nahiii! Mein aati hu. I'll come! Don't do anything stupid."

"Jaldi aao. Kal ki flight leke fauran aao. Meri mulaqaat Nicholas naam ke ek shaks se hui hai. Uski wajah se mujhe kaafi kuch access mil chuki hai department me. Par agar department ne Pushkar ko dhundh nikaala toh, mein kuch nahi kar paungi Suhana. Mein ek private detective hu. Ye Nicholas bhi. Lekin iske baad bhi iski pakad govt. investigation department me boht zyaada hai."

"No! Don't worry! Mein kal hi flight leke aati hu."

"Good! I'll wait for you!"

*Call ends*

Ek nayi chinta ne Suhana ko gherr liya. Sonia London me apni padhaayi me vyast thi aur idhar ye Pushkar...!

'Ye tum kaha aa gaye Pushkar? Just... Why??'

Sochte hue woh agle hi din flight se Vegas ki orr ravaana ho gayi.

Plane vegas ki zameen par land kiya aur Suhana apne vatan se dur pehli baar aaj yaha Vegas aayi.

Airport se baahar nikalte hi uski nazar apni sabse acchi saheli par jaa tiki.

"Finally! You are here! We don't have any time. Come! Let's go!" Divya usse dekh boli.

Aur uske haath se uska bag thaam usne apni gaadi ke peeche rakha aur dono hi ladkiya waha se chal padi.

"Kuch bataogi ab? Details me? Mera toh tension ke maare sarr fata jaa raha hai."

"Baat simple hai. Tumne kaha tha Pushkar ghar se bhaag gaya hai. You can easily connect the dots. Woh yaha par hai aur apni life me bhatak chuka hai. He's dealing drugs with mafia gangs and all. Aisa kya ho gaya uss ladke ke saath haan? Bachpan me toh... *sigh* Zindagi kab kese mod leti hai. It's tragic."

"Mujhe nahi pata Divya. Par... Par hume kese bhi kar ke usse waha se nikaalna padega. Sonu ne bataaya tha ki uske ghar waalo ne usse nikaal diya hai. Aise me hum uske ghar me bhi contact nahi kar sakte... Par usse iss haal me chorr bhi nahi sakte... Kare toh kya kare?"

"Dekhte hai hum kya kar sakte hai. Abhi ke liye tum mere ghar chalo."

"Tumne ghar bhi le liya???"

"Nicholas ka hai. Mera nahi! Par jald hi le lungi mein. Tum dekhna."

"Wait! Tum uss aadmi ke saath reh rahi ho?"

"Yeah! Apna dimaag galat jagah chalaane ki zaroorat nahi hai Suhana. I'm only living with him. Not doing any deeds with him."

"Who knows? Hmph~"

"Y-You...! Tumhe mein itni laalchi dikhti hu."

"Harr angle se."

"Urgghh!"

*Screeeeeeccccchhhh*

Gaadi ek ghar ke saamne aake ruki aur woh dono utar ke andar gayi.

Par abhi woh hall ka gate kholne hi waali thi ki woh apne aap khul gaya, aur ek aadmi unhe saamne dikhaayi diya.

"Ohhh! You are here? Divya! And she is...!?"

"She's Suhana! My friend! I told you earlier about her right?"

"Ohhh! Nice to meet you!!! Suhana! I mean Sonny!! Heh~"

"Nice to meet you! And don't call me with that name."

Dono ne ek dusre ke haath milaaye par Nicholas ki nazre Suhana ke badan par neeche se upar fir rahi thi.

"The drug dealing gang has been found. Tonight we're about to catch them red handed. You stay with your friend here. If you want, you can come with us in night. I'm leaving!"

Kehte hue woh waha se nikal gaya. Par Suhana ke maathe par shikan chhaa gayi. Divya bhi samajh chuki thi ki baat kya thi.

"I don't like him a bit." Achanak hi Suhana ne bola.

"Well! Woh aisa hi hai. Kuch kar nahi sakte. Lekin tumne suna na? Drug dealers ka pata lag chuka hai department ko. Aur hume aaj raat jaana padega. Mujhe darr hai ki kahi Pushkar...!"

"Ahh! M-Mein bhi aaungi!"

"Nahiii! Suhana! Waha jaana khatre se khaali nahi hai."

"I still want to come!"

"Fine! Par tum mere saath hi rahogi. Okay?"

"Okay!"

"Good! Fresh up ho lo. Hume evening me nikalna hoga."

Din bhar ki thakaan ke baad woh waqt bhi aaya jab dono department me pohuch gayi. Andar ka nazaara dekh Suhana hairat me thi.

"Tum yaha work karti ho? Ab tak kitna kama liya hoga tumne?"

"Tum bhi na Suhana!? Harr waqt paisa paisa paisa... Apne aap ko dekho zara. Khud toh apne Dad ke business me aise ghusi ho aur mujhe bol rahi ho."

"Anyways! Woh sab chorro. Hume yaha se kaha jaana hai?"

"Department ke saath hi move karenge hum."

"Okay!"

Jis pal ka intezaar tha, woh bhi aa gaya. Investigation team ne sheher me faile kuch drug dealers ka pata laga liya tha.

Divya department ke baahar seating area me baithi hui thi. Uske haatho me gun thi. Fully loaded.

Nik department se baahar aaya aur ek kathor awaaz me bola, "Don't roam there unnecessarily. We are leaving in 5 minutes."

Divya ne haami bharte hue Suhana par nazar daali jo behad chinta me lag rahi thi. Ab na jaane kya hone waala tha. Ye bechaini...!

*Thud* *Thud*

Team ke ready hote hi sabhi waha se nikal pade. Unke theek peeche ek police ki gaadi bhi aa rahi thi.

"Kaash wo waha na ho aaj. Kaash...!" Divya dheemi awaaz me boli.

Agar Pushkar aaj pakda gaya toh...

"Kaash tumhari team ki jagah woh hume pehle mil jaaye. Aisa kaho...!"

"R-Right! Mera matlab wahi tha Suhana."

*Screeeeeeccccchhhh*

*Thud*

Kayi saari gaadiya ruki aur darwaza band kar sab cars se baahar nikle.

"Scatter in teams. If the info is correct, we might catch a few of them tonight. Let's go!"

Team leader ne unhe nirdesh diya aur kayi saare log chhaan been ke liye nikal pade. Nik ke sang divya aur Suhana bhi chal padi.

Par aise kuch bhi kaam nahi aane waala tha. Nik ke saath hone se unhe apni chooth nahi mil paa rahi thi. Aur Divya ne wahi kiya jo karna chahiye tha.

"My friend needs to go to washroom. You continue. We'll join you in a few minutes."

Uski baat sunte hi Nik usse ankhein chaudi karte hue dekha, "Whaaatttt? At this time? Sonny? Why didn't you do it earlier?"

Suhana usse aankh dikhaate hue gurraayi, "Abe chutiye abhi aayi hai toh abhi jaungi na!"

"What is she saying?" Nik ko Hindi samajh na aayi. Par Divya ko toh bhali bhaati aa gayi thi.

"She... Ahem! She's saying she can't control it anymore."

"Uggghh!!! You!!! Alright! Go! But don't hang out anywhere else. You can head to the main road. You might find some hotels there."

Nik ne samjhaate hue kaha aur dono ladkiya usse uske haal par chorr waha se nikal gayi.

"Ye aadmi kesa chutiya hai? Aur ye tumhare peeche kyu laga hai? Usse dekh ke hi mein bata sakti hu ki woh tumhe paane ki koshish me laga hai."

Suhana ka gussa Nik par badhta jaa raha tha isliye uss se raha na gaya.

"Tum galat nahi ho. Woh waqai mere peeche hai. Par mujhe uski zaroorat hai abhi. Ek baar department mere upar completel trust karne lage toh mein uss se apna peecha churra sakti hu."

Dono ladkiya alley se nikal kar main road par aayi aur road ke paar dusri alley me ghus gayi.

"Hold onto this!" Divya ne ek handgun Suhana ko dete hue kaha.

"Y-Ye? Gun?"

"Hmm! Hume lagegi. Emergency ke liye hai. Last time mene usse issi jagah dekha tha. I hope woh yahi hoga."

"Par mene gun nahi chalaayi hai kabhi. Tum mujhe ye kese de sakti ho? Aise me...!"

"Suhana! Agar situation humaare haath se nikal jaaye. Toh dhyaan rakhna tumhe kya karna hai. Hum dono ki jaan ek dusre ke haath me hai. Now let's go~"

Aur woh Suhana ko kheechte hue uss andhere se doobi hui alley me ghus gayi.

Kismat rang laayi jab kuch derr ki mashakkat ke baad hi unhe jiski talaash thi woh mil gaya.

Suhana usse ek nazar me dekh ke hi pehchaan gayi. Ye wahi tha. Wahi Pushkar...!

Wahi Pushkar jo bachpan me uske ghar aake Sonu ke sang khelta tha. Wahi jo school me sabse badmaash tha aur apni meethi meethi baato se sabko mana leta tha. Kin paristhitiyo se woh guzra tha jo aaj zindagi ki iss kagaar par aa gaya tha?

Haatho me se do suitcases exchange kar Pushkar kisi anjaan ladke se haath mila raha tha. Unn suitcases ke andar kya tha iss baat ko batlaane ki zaroorat nahi thi.

Ajeeb sa ek dard Suhana ke zehen me utha.

'Look at you now! Sonu kya sochegi jab usse pata chalega? W-Why???'

Sochte hue uske perr apne aap aage badh gaye.

"Noooo! Suhana!!" Divya khuspusaayi par tab tak derr ho chuki thi.

"Toh tum yaha ho. Haan? Pushkar?" Suhana andhere me se baahar aate hue boli.

Pushkar aur ek aur anjaan ladka, dono hi stabdh hoke Suhana ko ghoorne lage.

"Suhana didi?" Pushkar hairat me Suhana ko dekhe jaa raha tha. Usse bilkul bhi umeed nahi thi ki Mumbai se koi pehchaan ka shaks usse yaha Vegas me dikhaayi dega.

Lekin agle hi shan uski aankho me aashcharya ki chamak gaayab ho gayi aur gusse ki laali chhaa gayi.

"Chali jaiye yaha se. Yahi aapke liye accha hoga."

"Kyu? Taaki tum apni zindagi ujaad lo? Barbaad kar lo? Haan? Sonu par kya beetegi jab woh tumhaare baare me jaanegi haa? Kya sochegi woh? Bolo! Kyu kiya tumne aisa? Aisi bhi kya majboori?"

Sonu naam sunte hi Pushkar achanak hi shaant ho utha. Uska sarr jhuk gaya, mutthi kass uthi. Suhana bas bolti gayi. Jese usse glaani se bharne ki koshish kar rahi thi. Iss umeed me ki kaash Pushkar apne kiye par pacchtayega.

Parantu,

"AAP JAANTI HI KYA HO MERE BAARE ME?"

Woh zorr se chillaaya. Suhana ka badan kaanp utha.

"Bachpan se dekhti aa rahi hu tumhe. Mein jaanti hu ki tumhari family me kuch problems hai."

Woh aage aayi par Pushkar ke bagal me khade ladke ne apni jeb se gun nikaal ke Suhana par taan ne ki koshish kii,

Parantu, Suhana uss se tezz thi. Usne apni khud ki gun nikaal uss anjaan ladke par taan dii.

"Don't even think about it. I only want to talk with him."

Woh gusse me uss ladke ko dekhte hue boli aur Pushkar ko dekh punaah aage badhi,

"Mein jaanti hu Pushkar, ki tumhare saath kuch hua hai. Par hum usse suljha sakte hai. You cannot destroy your life like this and--"

Kehte hue usne jese hi uske kandhe par haath rakha,

"YOU DON'T KNOW ANYTHING!!!"

Pushkar ne tabhi zorr se Suhana ko dhakelte hue dhakka diya aur palat ke usne apni saathi ko ishaara kiya, "RUN!!!"

*THUD*

"Aahnnn~"

Suhana bagal me jaake giri aur uska maatha jaa ke seedha ek thos cheez se bhid gaya.

"Shit!!!" Divya ye dekh andhere me se nikal ke baahar aayi aur usne apni gun seedha dono bhaagte hue ladko par taan dii aur chillaayi, "FREEZE!!!"

Dono hi ladko ke qadam wahi jamm gaye. Peeche mud unhone dekha toh paaya ki ek aur aurat unn par gun aim karke khadi hui thi.

Pushkar ek jhatke me hi Divya ko dekh pehchaan gaya, "A-Aap!?"

"Haan mein! Chup chaap idhar aao. Apne weapons drop karo."

Divya ne socha tha Pushkar uski baat maanega par usse iss baat ki bilkul bhi umeed nahi thi ki,

"Shoot her!!!"

Woh itna nirdayi ho jaega.

Pushkar ki baat sunn uss anjaan ladke ne jese hi gun ek jhatke me nikaal ke Divya par taani ki tabhi,

*Bang*

"Aaaaaaaaaaaaaaaaa~"

Divya ne goli chala dii. Bullet seedha jaa ke uss anjaan ladke ke perr me lagi aur uske haath se gun chooth ke gir gayi.

"You bittttccchhhhhh~" woh dard se bilakhte hue gurraaya.

Gun girte hi Pushkar usse paane ke liye dauda aur Divya bhi hadbadaate hue uss orr bhaagi. Gun haath me aayi hi thi uske ki Divya ki laat ne ek baar fir uske haath se gun chhatka dii.

"Y-Youuuu~"

Dono aapas me bhid gaye. Zaahir tha ki ek ladke hone ke naate Pushkar Divya par bhaari padne laga.

Suhana ne jab apni dost ko uss haal me dekha toh woh bhaag ke Pushkar ke peeche aayi aur usse pakad ke kheechne lagi.

"Chorrrooo! Chorro usse Pushkar!!!"

Bina apne maathe par lagi chot ki parvaah kiye woh ladaayi me kood gayi.

Pushkar ne gusse me aake Divya ke pait me zorr se ek laat maari aur palat ke usne Suhana ko pakad neeche gira diya.

Woh uske upar chadha aur apne haatho se uska gala jakad liya,

"Pushka-- urrghhh!!!!"

"World is cruel. I realised it. Aap jaanti hi kya ho mere baare me haan??? BOLO!!!! NO ONE CARES! YOU GET THAT?"

"That's not tru- nnnghhhhhhh!!!!"

"It's true!!! No one cares. Ek insaan sirf apne baare me hi soch sakta hai. Kisi aur ke baare me kabhi nahi."

Uski pakad Suhana ke gale me aur bhi badh gayi. Suhana ke perr chhatpatane lage, uski saans ruk rahi thi.

"S-Sonu... won't be happy... hhhaahhh"

"KAHA THI SONU TAB? WHERE THE HELL WAS SHE??? JAB MEIN AKELA THA?? NO ONE CARES!!! NO ONE!!!!"

Aur usne apne panje poori tarah se gaad diye Suhana ke gale me.

Divya jab yaha impact se khadi hoke Suhana ko bachaane jaa hi rahi thi ki tabhi wo anjaan ladka uss parr kood pada. Dono ek dusre se chheena japti kar gun hathiyaane me lage hue the.

Samay ret ki tarah fisal raha tha. Suhana ke perr chhatpata rahe the. Agar aise hi hota raha toh...!

'I have to...!'

Aur Divya ne apne daat seedha uss ladke ke kandhe par zorr se gaad diye.

"Aaaaaaaaaaarrrrghhhhhh~"

Woh chillaaya aur uska haath gun se hatt gaya. Mauke ka fayda uthate hi,

*BAAAAANGGGG* *BAAAAANNNGGG*

Uss andheri gali me zorr daar do gunshots ki awaaz fel gayi aur fir sab shaant pad gaya.

"Ahhhn???" Suhana ke gale se Pushkar ki pakad dheeli padte hi woh zameen par ludakte hue uske neeche se baahar nikli par tabhi,

Pushkar ka shareer dhadaam se neeche gir gaya. Jese hi Suhana ne Pushkar ki peeth dekhi uske chehre se uska rang udd gaya,

"N-Noooooooooo~" woh zorr ser cheenkhi.

Idhar Divya ke baal ko pakad woh ladka uske haath se gun ki muzzle ki disha badal seedha Divya ke gale ki orr hi aim kar raha tha.

"S-Suhaaaanaaaaaaa" woh chhatpatate hue chillaayi. Par Suhana toh jese sadme me jaa chuki thi.

Uske bagal se Pushkar ki laash padi hui thi. Divya ki jaan idhar mushqil me padi hui thi.

Dabi hui awaazo se woh Suhana ko pukaarti rahi. Muzzle dheere dheere uske gale ki orr palat raha tha. Bas trigger dabaane ki hi deerri thi aur Divya ka kaam tamaam.

"I urrgghh... can't...!!! S-Suhan...nnnghhhh!"

"You motherfucking bittcchhhh tsskkk die now!!!"

Muzzle ghooma aur uss ladke ka haath trigger par gaya. Usne trigger bas abhi chhiya hi tha ki,

*BAAAAANNNNGGGGG*

Ek gunshot ki awaaz goonj uthi.

Woh ladka dhadaam se Divya par gir pada. Uss shareer ke bojh ko apne upar se hataate hue Divya ne jese hi saamne dekha toh,

Suhana ke haath me gun thi. Uska haath kaanp raha tha aur uske haath se gun chhutak kar neeche gir gayi.

Woh sadme me ek jagah nazre gadaaye dekhe jaa rahi thi.

Divya gehri saas lete hue uthi hi thi ki,

"Bloody hell!!!!"

Ek awaaz ne unn dono ke badan me raungte khade kar diye.

Andhere me se aana waala shaks koi aur nahi, Nik tha.

"Y-You girls...!!!'

Usse apne saamne ka nazaara dekh yakeen hi nahi ho raha tha. Ye do ladkiya do ladko ki jaan leke baithi hui thi.

Divya fauran uthi aur usne apni saari baat bhaybheet hote hue bataayi. Jab Nik ne uski baat suni toh usse maamla samajh aaya.

"Ohhh! So you're asking me to save you from this mess? Do you even know what you girls just did?"

"P-Please!!! O-Only you can handle this."

"Ohhh!! Okay! But on one condition!"

"What is it??"

"Marry me!! Heh~"

Nik ki baat sunte hi Divya ke chehre se uska rang udd gaya. Woh bhauchakki sii hoke Nik ko ghoorne lagi.

"What? It's the finest deal. Not only you will be saved from this mess but also... We can live together just like we are living right now. I can help you achieve your goals faster. I do like you. You know! We can get familiar with ourselves more. Hehe~"

Nik ki shart saaf thi. Shaadi karlo aur iss musibat se nijaat paa lo.

Divya kabhi Suhana ko dekhti toh kabhi neeche bikhri unn laasho ko toh kabhi Nik ko. Uske maathe par paseena saaf jhalak raha tha. Ye uski zindagi ka sabse important decision jo hone waala tha.

Aur ek antim baar gehri saas lene ke baad,

"Fine! I agree! Now please!"

Woh haar gayi!!!

Nik ki toh khushi ka koi thikaana hi nahi tha. Woh toh khushi ke maare fula nahi sama raha tha. Divya idhar soch rahi thi ki usne sab sambhaal liya hai par ek bomb abhi aur fata uske sarr pe,

"But I can only vouch for you! Not for Sonny! Sorry!"

"Wh-Whaaatttt?" Divya achanak hi jhep gayi. Ye kya bakwas thi? Ek toh woh shaadi karne ke liye raazi ho gayi aur ab upar se ye aadmi uss se keh raha tha ki woh sirf usse hi bacha sakta hai? Suhana ko nahi? Toh matlab kya hua fir?

"I can only save you. She's an outsider. So I can't take risks. Now decide quickly. Others might be catching with us."

Ek baar fir Divya pareshani me phass gayi.

Woh Suhana ke paas gayi aur usse khada kar uthaayi, "Suhana? Suhaaanaaa!!! Dhyaan do!! Dekho! Nik can only save me. Call that bastard!! Uske paas zaroor koi na koi connection hoga."

Parantu Suhana toh jese apne hosh me hi nahi thi.

"Ughh! Just give me your phone!!" Divya kheejte hue uski jeb se phone nikaali aur ek number dial kar dii.

Par uss insaan se baat karte hi, usse ek aur jhatka laga. Ye vyakti koi aur nahi balki,

Gaurav tha!!!

"You bastardddd!!!" Divya zorr se phone par chillaayi,

Toh wahi phone ke dusre side se hassne ki awaaz aayi.

"Hahahahaha~ Isme ghaata kisi ka nahi hai. Aaj mein itna khush hu ki kya batau. Khush hu ki waha ka sheriff mere Dad ka dost hai. Aur aap kyu naraaz hoti ho. Suhana ko toh mein kitna chaahta hu. College me kitna manaaya usse par woh meri na maani. Aur dekho... Saccha pyaar aisa hi hota hai. Aaj khud bhagwaan ne meri jholi me Suhana ko laake rakh diya. Mein Suhana ko kese kuch hone de sakta hu? Par badle me bas ek hi cheez ki maang hai. Suhana meri ho jaaye!"

"Y-Youuu fuckerrrr!!!" Divya uspe garaj uthi.

Nik toh Nik tha hi par ye Gaurav bhi aisa niklega kisne socha tha...!?

Uske haath se phone achanak hi Suhana ne chhinaaya aur uss se baat ki aur ant me uske muh se yahi nikla,

"I agree!!!"

Jisse sunn Divya uske gale se lag gayi. Aur woh rone ki kagaar pe aa gayi.

"I'm so sorry Suhana~ I'm so sorry! Sorry sorry!!! We've gotten ourselves in such a mess. It's my fault. *sniff* I'm sorry!"

Poori zimmedaari Nik aur Gaurav ke haath me thi.

Dono ladkiya jo ab tak apna freedom enjoy karti thi. Palak jhapakte hi unka freedom unse chhin chuka tha.

Gaadi me Suhana ko Divya ne puchkaar ke samjhaaya, "I'll come within an hour okay? You go home! Aur kuch bhi mat sochna. Mein jald hi aati hu."

Gaadi ravaana hui, drive koi aur nahi Mik kar raha tha. Woh naya recruit tha.

Lekin usne gaadi ghar le jaane ki bajaaye, kisi aur jagah laa ke rok dii.

Suhana ne jab usse prashn janak nazro se dekha toh woh bola, "Taking you to the infirmary first. You are hurt."

Usne jawaab diya. Woh Suhana ke maathe par lagi chot ki baat kar raha tha.

***

Ye maamla rafa dafa tabhi hone waala tha jab Suhana apni gavaahi dene waali thi.

Car me woh kisi bhoot ki tarah bann ke baithi hui thi. Pushkar marr chuka tha. Usse ab bhi yakeen nahi ho raha tha.

Kya bolegi woh Sonu ko?

Nik ne saara ka saara dosh Divya ka apne sarr le liya tha. Uska kehna tha ki usne unn do ladko ko pakad liya tha par maamla haath se nikal gaya aur apne self defence ke chalte usne uss bande par goli chalaayi.

Toh wahi Suhana ka saara dosh Sheriff ke ek bande ne apne upar le liya tha. Uska kehna bhi yahi tha. Ab bas Divya aur Suhana ko apni apni gavaahi deni thi ki woh waha par kar kya rahi thi.

Dusre shabdo me ek kahani bana ke bolna thi.

Chuki Nik aur Sheriff ke bande ne khud hi qubool kiya tha ki unhone goliya self defence ke chalte chalaayi hai. Divya aur Suhana boht hi bhaari musibat se bach chuki thi.

Warna poori tehkiqaat hoti. Fingerprints check kiye jaate. Lekin ab toh saamne se hi qubool kar liya gaya tha ki goli kisne chalaayi hai.

"Go and say your thing. Don't mess it up!"

Peeche se Nik ne Suhana ko khuspusaate hue kaha. Woh palat ke usse dekhi.

Ye zindagi, kese achanak se badal chuki thi uski. Bilkul uss titli ki tarah.

Suhana ne gavaahi dii. Case khatam hua. Par ek nayi shuruaat hui.

Udhar Divya ko Nik se shaadi karni padi.

Aur idhar...

Shehnaaiya bajj rahi thi. Bhavya tareeqe se sab kuch sajaaya gaya tha.

Mumbai me ek badi hi khubsoorat sajavaat se poora shadi ka sthal sajaaya gaya tha.

Var vadhu dono hi ek dusre ke agal bagal khade hue the.

Jaha var ki aankho me guroor aur khushi thi toh wahi vadhu ki aankhein...

Namm thi.

Aur upar bade hi niraale tareeqe se likha hua tha.

Gaurav weds Suhana

Sonia apni badi behan ke nazdeek aayi aur usse dekh ke puchi, "Didi! Y-You are okay na?"

"Mmm~ Mujhe kya hua bhala?" Suhana jawaab dii.

"Aap... Mujhe aisa mehsoos hua ki aap sad ho. A-Are you really okay?"

"Nadaan ladki. Yes! I'm all fine!"

Sonia muskuraate hue uske gale se lag gayi. Par idhar Suhana ki aankho se aasu behna band na hue. Aur gale lage lage hi uski nazre Divya par tiki jo dur khade usse hi dekh ke ro rahi thi.

Dono ka haal ek jaisa tha. Udhar Nik wine pee ke apne maze le raha raha tha aur idhar dono saheliya andar hi andar apne dukh aur glaani se ladne me lagi hui thi.

Jo dono nahi chaahti thi. Woh ho gaya.

Suhana aur Gaurav ki shaadi bhi sampann ho gayi.

***

"Dekhiye aapko DID hua hai."

Ek female doctor ne Suhana ki taraf dekhte hue kaha. Vegas ki traasdi se ubhre abhi kuch din hi hue the ki Suhana ko apne aap me ehsaas hua ki woh aksar badla badla sa mehsoos kar rahi thi.

"DID matlab?" Usne pucha.

"Dissociative Identify Disorder! Dusre shabdo me split personality. Aksar ye childhood abuse ya sexual abuse me active hoti hai. Par kabhi kabhi kisi mental trauma me bhi ye janm le leti hai."

"Th-Then...!?"

"Ye ek tareeqa hota hai jo brain aapse aapko uss trauma se dur rakhne ke kiye karwaata hai."

"Toh iska koi solution...!?"

"Ye aurto me zyaada hota hai purusho ke muqaable. Solution se pehle mujhe bataaiye ki kya aapko kahi koi memory loss ki dikkatein toh nahi aa rahi abhi kuch dino se? Ya fir delusions hona? Ya anxiety? Depression? Khud ko chot pohuchaane ke vichaar? Drugs ya alcohol ka zyaada consumption? Kya inme se kuch bhi ho raha hai?"

"N-Nahi! Pr anxiety zaroor hoti hai."

"Hmm! Accha hua maamla itna gambheer nahi hai. Dekhiye, anxiety ke liye mein medications de sakti hu. Lekin sabse accha treatment psychotherapy hi hai."

"S-So!?"

"Iske zariye hum aapki dusri personality se familiar ho sakte hai."

"N-Nooo! Mujhe solution bataaiye iska. I... I can't live like this...! Mujhe pata hi nahi chalta mein kab weird behave karna shuru kar deti hu."

"Dekhiye mein samajh sakti hu. Par iska koi instant solution nahi hai. Ek hi tareeqa hai aur woh hai aapki dono personalities ko merge karke ek personality me form karna. Aur aisa karne me kitna samay lag jaega, ye koi nahi bata sakta."

"It... It cant be...!"

Suhana ka toh jeevan jese ujadte hi jaa raha tha. DID ki shikaar ho chuki thi ab woh.

Kese jeeyegi ab?

Lekin usne haar na maani. Woh datti rahi. Khud se usne apni dusri personality ke trigger hone ke reasons dhundhe. Jisme gussa ek aham reason tha.

Woh dheere dheere apni zindagi vyateet karne lagi. Gaurav ke sang rehke woh uski company me bhi uska kaam sambhaalti toh saath hi apne Pita Shailendra ke business me bhi Sonia ke saath haath bataati.

Andar se kitna toh tooti hui thi woh. Fir bhi ussi titli ki tarah woh abhi bhi pankh felaaye udd rahi thi. Jitna udd sakti thi.

Koi pyaar nahi. Shaadi toh bas ek samjhauta thi. Gaurav ko jo chahiye tha woh usse mil chuka tha. Jis ladki ko woh paana chaahta tha woh khud-ba-khud kismat ke maare uske haatho me aa gayi.

Raat ko woh dhakke lagaata aur din me apna guroor darshaata. Uski zindagi set ho chuki thi. Par Suhana ko majboori ke chalte jhukna pada. Aur Divya ka bhi yahi haal hua.

Jab Suhana apni boring life se thak chuki thi. Tab uske jeevan me ek shaks ki entry hui.

"Bolo!? Kabhi dekhi hai aisi ring? Ring chorro kabhi zindagi me 1.57 crores rupaye sune hai kisi ke muh se? Kabhi itna mehnga samaan dekha hai?"

Kuch issi tarah usne uski beizzati kii thi. Aur badle me,

"Remember! Paiso ka ghamand hamesha le doobta hai."

Usse apni galti ka ehsaas karwaya tha usne.

"You have killed someone before...Right?"

Kisse pata tha ki wahi ek maatr aisa hoga jo uske raaz ko khol payega!?

Yaha tak ki uski split personality ka raaz bhi. Jab se woh uski zindagi me aaya tha.

Usse sab kuch ab yaad aa raha tha.

Udti hui titli ke pankh, ab chotil ho chuke the. Mrityu saamne khadi hui thi.

"Titliya mujhe pasand nahi. Ye jaldi marr jaati hai."

Aaj usse uske zehen me baithi saari baatein ek ek karkje yaad aa rahi thi. Aur aaj usse ye bhi ehsaas ho gaya ki woh bhi...

Ek titli hi thi.

"Didiiiii~ Mein first aayi. Ehehehe~"

Harr ek yaad... Harr ek khushi ke pal...

Ek ke baad ek apne parivaar waalo ki chhavi uske mann me aa rahi thi.

Khaas kar apni choti behan Sonu ki...

'Mamma Papa... Sonu... Everyone else...!'

'I guess this was it.'

'Sonu...! I wanted to see you getting married...!'

'Kaera, Ava... Sonu... Tum teeno ko ek baar firse saath dekhna chaahti thi mein. Par harr khwaaish poori kabhi nahi hoti. I realized it now.'

'Aur tum....! Veer!!!'

'You were such a lovely person. Tumhe peehchaan na saki mein pehli mulaqaat me.'

'It was my fault. But I don't regret it. It was a happy journey with you...'

Usse beete dino bitaaye gaye pal yaad aane lage. Kese Veer ne usse ice cream deke shaant kiya tha. Kese woh inn killers ke beech survive kiye. Kese woh dono saath me dinner aur shopping par gaye the.

'Those moments were really beautiful...!'

'I don't regret anything now. Siwae... Sonu ki marriage... Aur tumhe grow karta dekhne ke... Still... A journey must come to an end. I think mine... was shorter...!'

'Goodbye~ everyone!!!'

Jo jo chhavi uske mann me aa rahi thi. Dheere dheere andhkaar unko gherr kar apne andar samaane laga.

Woh andhera sab kuch dhakte jaa raha tha. Woh titli rakh ki tarah hawa me udd ke fel rahi thi. Aur sab kuch ussd andhkaar me samaahit ho gaya.

Jab akhir me...

"Wake up!!!!"

Ek jaani pehchaani awaaz uske mann me aayi. Andhkaar ke beech ek roshni ki bindu usse dikhaayi dii.

Aur achanak hi,

Woh bindu fel ke poore andhkaar ko roshni se gaayab karti chali gayi. Kona kona raushan ho utha. Aur ek haath aake uski kalaayi ko thaama aur kheechte hue....

"Nnghhh!?"

"Aahhhh! Diiiiii!!!!!!"

Zorr se ek awaaz uske kaano me aayi.

"Dad!! Mom!!!! Didi... Dii ko hosh aa gaya. *sniff*"

"K-Kya kaha? M-Meri bacchi!!! Meri bacchi!"

"S-Suhanaaaa~"

"Ohhh thank god idiot! You are okay!!! You scared me to the death."

"Meri Suhana!!! Babyyyy!!! I'm here look!!!"

Usse saari parichit awaazein sunaayi dii. Aankhein jab khuli toh nazaara nazar aaya.

Fir harr ek shaks usse dikhaayi diya.

Shailendra, Namrita, Sonu... Divya, Nik, Gaurav...

Sab ke sab wahi khade hue the.

Par...

'Where is he?'

Veer kahi bhi usse nazar nahi aaya.

Sonia : Ohhh thank god dii! *sniff* thank god!!! Agar aapko kuch ho jaata toh... I couldn't... *sniff*

Woh uss se chipak ke rone lagi.

Sonia : Agar Veer na hota toh...! *sniff*

Baato hi baato me usse sab kuch bataaya gaya.

Bullet behad choti thi. Aur direct impact nahi tha. Bullet ricochet hui thi jis wajah se Suhana ki jaan bach gayi.

Aksar bullet shareer ke andar jaake shrapnels me toot kar bikhar jaati hai jo andhruni ango ko aur ghaayal kar deti hai.

Par, Suhana lucky thi jo bullet na hi uski bone ya artery ko chot pohucha paayi aur na hi toot ke bikhar paayi.

Aur toh aur... Samay rehte Veer usse yaha le aaya tha.

Usse ye bhi pata chala ki department me ek black sheep tha. Jo andar ki intel house of the killers ko pohucha raha tha.

Usse bhi Custody me le liya gaya tha. Veer ke kehne par Suhana ki security ke liye 15 se bhi zyaada log maujood the.

Par...

Woh tha kaha?

Sonia se usse pata chala ki woh jaa chuka tha. Usne ye bhi bataaya ki veer ka ek message uske phone me pada hua tha.

Jab Suhana ne usse dikhaane ke liye bola toh Sonia ne message khol ke screen Suhaana ke saamne kar dii.

Aur usme bas kuch hi shabd likhe hue the.

'I couldn't save you. It was my fault! Sorry! Jab aap ye padh rahi houngi, mein waha se jaa chuka hounga. I wish you recover soon. Once again, I'm sorry. Till then... Goodbye!'

Usse padhte hi Suhana ki aankho se apne aap aasu nikal aaye. Usne apni aankhein band kar lii aur zehen me ek hi baat goonji,

'You did save me...! Idiot...!'
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This marks the end of the House of the killers arc. Agle update se village arc shuru ho jaega. Lekin uske path ko banaane me mujhe samay lagega. So, I might take a week's break. Baaki, like thok ke jaane ka aur revos rakhne ka.

Dhanyavaad! ✨
Bahut badhiya update hai bhai..... Akir kar the house of the killer arc khatam hua.... Or kya sachhhi veer ke peyar padh geyi.....or divya or suhana ka shadi wakai me bahut gehra aaghat kiya dono pe....dekhte hai aage kya suhana gourav ke sath erehna chahti hai ya nhi.....or mujhe lagta haisuhana ko uske maan pachand ladka mil geya sathe divya ko.. Bhi
Or wakai sab ki jeevan bhi ek titli kk tarah hi to hota hai...kab koun mar jaye kisko pata chalta hai yaar...
Waiting for next update... Very soon
 
Alex Xender

Member
271
977
93

Thank You So Much GIF by euphoria
 
431
1,868
123

Nice mast update bro and awesome update
 
Bhupinder Singh

Active Member
1,994
4,966

Nice update
 
Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,764
98,352
259
Awesome update Werewolf bhai.
Ghumne firne ke din kya se kya ho gaya. Kuch dino se cases solve kar rahe the sab uske Baad ek din enjoy karne ko mila jaha veer aur suhana ke bich kuch ho sakta tha idhar ye kaand ho gaya.
Divya bhi veer se bahut se sawal Karna chahti he par jawab nahi milne wale. Aur jawab ke badle jo dhakke milte he bistar pe usse wo khush he. To bas jitne din ho sake masti karlo veer ke sath. Vese lagta he divya Mumbai aayegi aage chalke.
Ab idhar apni payment lene aayi he Divya aur Nat ne bhi nirash nahi kiya usko. System is ye feature bahut badhiya lag raha he jidhar kuch khaas mouke pe kuch khaas harkat karke veer ko aage chalke profit hoga. Well ye feature veer ke bank account ke liye bahut badhiya he aur juhi ki chocolate factory ke liye bhi😁.
Suhana ko Nat ka ye attitude nahi pasand. Kyuki bachpan me wo uske ghar aake khelti thi, Sonia ke sath gehri dosti, par itne saal ho gaye he to change to aana hi tha. Nat aur Veer ke bich jarur aage chalke bahut kuch hoga aur uska impact Sonia aur kaera pe bhi padega. Sonia wapis khud ko 2nd (maybe 3rd😂) fiddle manegi shayad aur wahi kaera ke andar jealousy ki feelings janam le sakti he agar Nat Veer ko wo dono close dekhte he.
Divya ne aadhi amount veer ko de di Vese 75% milni chahiye kyuki sara kaam to usne hi kiya he par ye baat bhi nahi bhul sakte ki Nat ne Divya ko contact kiya tha veer ko nahi. Divya na hoti to Nat se milna bhi na hota veer ka.
Nat ne bhi veer se wapis milne ki hope ki he aur jab milenge tab majha aayega. Imagine wo scene jab veer Sonia, Kaera, Nat ke bich betha hoga aur Nidhi ke ek call pe waha se sidha ghar 😂😂 teeno shocked, Nidhi rocks.
Chalo 4 crore to mile itna kaam karke, jaan khatre me daal ke.
Suhana ab Veer ke sath jyada time spend Karna chahti he. Kyuki veer ke samne wo jhijhak me nahi rehti. Veer ne already uski dusri personality dekhi he to suhana ko bhi koi chinta nahi.
Par ab yaha veer ke samne ek aur nayi musibat. Check karte hi no information aa gaya. Matlab banda jo bhi he bahut powerful hi hoga aur aage pata bhi chal gaya veer ko. Suhana ko leke bhaga par piche aur aage uss aadmi ke hi log he. To suhana ko pehle safe Karna tha usko. Par idhar suhana ne veer ko bachane ke liye khud bullet kha li. Aur veer bhi soch me he ki ye sab kya ho gaya achanak.
Suhana ne bhi yahi kaha ki uske pair apne aap chal pade. Ab yaha suhana veer ko ek close friend of jese dekhti he. Suhana ne khud ki chinta na karte hue veer ko bachaya aur uske baad apne 2 favours maang liye. Baat bhi suhana ese kar rahi thi jese uska aakhiri samay aa chuka he. Veer esa nahi hone de sakta. Suhana ko bachane ke liye wo kuch bhi kar sakta he ye dekh rahe he.
Suhana ki apni behan ke liye chinta saaf dikh rahi he. Aur 2nd favour me pata nahi wo kya boli par shayad confession jesa hi kuch hoga aur uske baad kiss. Veer to ye sab dekh kar hi soch me he.
Abhi aur aage veer kuch kar pata usse pehle hi wo aadmi aa gaya samne. Aur bomb fod diya usne. Ye baat sunn ke hi veer thanda padd gaya. Suhana ko pehle bachao fir inn sab baato pe dhyaan dena.
Ye andaja to tha hi ki veer akele ke paas system nahi hoga. Par Veer ke paas jo system he wo kuch khaas hoga ya alag baki systems se.
Ab suhana behos padi hui he aur Veer blank hue khada hua he Udhar. Aage kya hoga dekhte he.
Iss aadmi ke siwa bhi bahut se logo ke paas system hoga/hogi. Aur jab slogan ko mara tha tab wo ladki ki parchai dikhi thi. Ho sakta he uske paas bhi system ho.
Iss arc me suhana ka character bahut grow hua he. Uske vichar badal gaye he veer ko leke. Aur jab suhana ka character itna change aur grow kar sakta he to Kaera, Sonia, Nidhi, Tejal, inn sab ke characters bahut impact karenge veer ki life me. Abhi to aarohi ne apne moves nahi chale veer ko paane ke liye.
Ab agla update bahut badhiya hone wala he.
Waiting for next update.
Thanks a lot bhai.
Beshaq, abhi Suhana ka character kaafi grow kiya hai. Par iska matlab ye nahi ki baaki characters ki value ghat gayi hai. Abhi toh hume unki growth bhi dekhni baaki hai aur unki growth ke updates bhi romanchak hi rahenge.
Rahi baat system ki toh abhi uss naye bande ke system ke baare me hum sirf anumaan laga sakte hai. Kisi ek nirnay par nahi aa sakte. Par ye baat toh spasht hai ki woh takatwar hai. Aur yaha taaqat group ki nahi ho rahi balki individually bhi dekha jaaye toh hum itna anumaan laga sakte hai ki woh banda Veer se kaafi strong hai. Uska confidence hi sab batla raha hai hume.
Jis din teeno hasinaaye, Nat, Kaera aur Sonia Veer ke sang hogi toh zaahir hai bawaal machna hi hai. :laughing: Aur bawaal toh aur zyada tab ho jaega jab teeno ke dil me Veer bana chuka hoga. War hi hona hai fir toh. Rip Veer in advance. XD
Aise hi bane rehna man!
Keep supporting! ✨
 
9,985
41,782
218
दुआओं में काफी ताकत होती है । सैकड़ों लोगों की दुआएं सुहाना के लिए संजीवनी बूटी का काम कर गई । वेयरवोल्भ भाई ने कोई कसर बाकी नहीं रखी थी सुहाना को शमशान पहुंचाने में लेकिन वो भुल गए कि रीडर्स की संवेदना और सहानुभूति सुहाना के साथ थी । इमोशनल अटैचमेंट हो गया था सुहाना के साथ हम रीडर्स का ।
मैं शुक्रगुजार हूं -
G. O. D. ( Leon bro ) , Xabhi , kala Nag , The Angry Man , Nayak 4118 , Lib Am ( Amit ) , Hyper king , Ajay Chauhan , Dobahua , Anky 123 , Velentine rider , Krishdude , Mana6262 , A. B. King , Hiakarji , Gumnaam Singh , Charles William , Nayak 4118 , XYZ2423 , Sanki Rajput jaise sabhi bhaiyo ka aur sabhi ki chaheti Rihanna ji ka. :hehe:

कुछ और भी रीडर्स की फरियाद काम कर गई जो या तो साइलेंट रहकर पढ़ते हैं या जो बिना सदस्यता लिए हुए । :mad:

हमने देखा है जब अमिताभ बच्चन साहब को प्रशंसकों की दुआओं ने उन्हें मौत के दरवाजे से कैसे वापस खींच लिया था । :love:

यह कथन मेरा नहीं , गुरू नानक जी का है - " नानक दुखिया सब संसार " ।‌‌ इस संसार में सभी इंसान दुखी हैं ।
गरीब - अमीर , स्वस्थ्य -बीमार , राजा -रंक सभी किसी न किसी वजह से दुखी हैं ।
सुहाना और दिव्या की कहानी भी कोई जुदा नहीं थी । एक ऐसे लड़के के लिए ये अपनी जीवन तबाह कर दी जो सोनिया का मात्र दोस्त भर ही था । जो ड्रग्स का कारोबार कर रहा था । जिससे उसके परिवार वाले भी दुखी थे ।
सुहाना का पुष्कर के बारे में सुनकर तुरंत अमेरिका पहुंच जाना निहायत ही बचपना से भरा हुआ फैसला था । उसके लिए अच्छा होता कि वो सारी जानकारी सोनिया को देती । आखिर वो सोनिया का कभी बेस्ट फ्रेंड हुआ करता था ।
एक गलत फैसला और उसके सपनों का धाराशाई होना ।

सुहाना की जान है उसकी छोटी बहन सोनिया । बड़ी बहन होने का हमेशा ही फर्ज निभाया ।
बचपन के दिनों में एक तितली को देखकर काइरा की कही बातों को उसने काफी गंभीरता से ले लिया । तितली की उम्र बहुत कम होती है लेकिन जितना भी होती है इंसान को एक सीख देकर जाती है ।
हमेशा तितली की तरह उड़ान भरते रहो । उसके रंग बिरंगी पंखों के समान दुनिया में खुशियों के रंग फैलाते रहो । सभी जीवों में सबसे अधिक पाॅजीटिव जीव होती है तितली ।
सुहाना को तितली की उम्र नहीं बल्कि उसके सीख से प्रेरित होना चाहिए ।

गौरव के साथ सुहाना का विवाह एक विवशता थी । जैसे कि निकोलस के साथ दिव्या की ।
शायद यही कारण था जिससे वो डिसोसिएटिव आइडेंटिटी डिसआर्डर जैसी बिमारी का शिकार हो गई । अगर वो मानसिक रूप से प्रसन्न और संतुष्ट रहती है तो यह बिमारी कोई खास नुकसान नहीं कर सकती । जरूरत है उसे वीर की । जरूरत है उसे वीर के प्यार की ओर जरूरत है उसे वीर के संरक्षण की ।

दोनों लड़कियों की शादी उनकी मजबूरी थी जहां प्रेम का एक तिनका भी नहीं था । एक तरह से इसे ब्लैकमेल ही कहा जायेगा । निकोलस और गौरव ने प्लानिंग के साथ यह गोरखधंधा खेला था । शायद इस के बारे में बाद में और कुछ जानकारी मिले !

मुझे समझ नहीं आया कि दिव्या को सुहाना के मोबाइल से सिर्फ गौरव का ही नाम क्यों दिखाई दिया ! दिव्या सारी खबर उसके माता पिता को भी तो दे सकती थी । ऐसे नाज़ुक क्षण में माता पिता से बढ़कर और कौन हो सकता है !

अपडेट खतम और अमेरिका प्रवास भी खतम लेकिन उस व्यक्ति के बारे में हमें कुछ पता ही नहीं चला जिसने खुद को सिस्टम से लैस बताया था ।
उन लोगों के बारे में भी जानकारी नहीं मिली जिन्होंने ये हमला किया था ।

अपडेट हमेशा की तरह खुबसूरत और वाह वाह था ।
काफी लम्बा अपडेट था यह । काफी टाइम जाया हुआ होगा । इस कठोर परिश्रम के लिए आपको बहुत बहुत आभार भाई ।

जगमग जगमग अपडेट ।
 
Last edited:
Top