- 13,765
- 98,372
- 259
Last edited:
To sabse pehle hi karan na scene karan kafi time baad veer se mila or baate ki ek a che dost ki tarah wese veer ki hi wajah se karan krutika se bhi mil payaUpdate - 112 ~ External AffairsAb tak...
Woh chup chaap bas waha se uthi aur apne laptop me lag gayi.
Kuch minutes ke baad hi uski Laptop ki screen par ek window khuli hui thi.
Ek social media ki window. Jisme Veer ki adhiktar details maujood thi.
'xxxxxxxx college huh!? I know what I have to do now! Sorry Maasi! Lekin mein aapke rules ke according nahi chalne wali.'
Ab aage...
"Toh? Kaha the tum itne din? Mein tumhare ghar pe bhi ek din gaya tha. Bhabhi jii ne bataya tha ki tum Las Vegas me ho? Really? Ghoomna tha toh ek baar puch toh lete mujhse? Maybe I would have joined you!? Ya mein kuch aur interesting places suggest kar deta. Seriously tum-"
Awaaz thi Karan kii, jo apni car drive kar raha tha aur uske bagal se baitha hua tha Veer.
Veer : Tum jesa soch rahe ho wesa kuch bhi nahi hai. Bas kaam se gaya tha.
Karan : Ohh really now? Kesa kaam? Wait! Tumhe Las Vegas me kya kaam pad gaya?
Veer (sighs) : Miss Suhana ke saath tha mein. Unhe kaam tha. Aur woh mujhe business related tour par leke gayi thi. Taaki mein business ke baare me aur jaan saku. Ab khush?
Veer ne Suhana ke injured state ki baat ko chhipaate hue kaha.
Karan : Whaaatttt? Miss Suhana? Sonia dii ki badi behan? Huh!!? W-Wait!! Veer!? Are you... Are you into older girls?
Veer : Shut up! Keep driving!
Karan : Ahem! Well, tum koi bhi baat share kar sakte ho, you know. I'm good at keeping secrets and-
Veer : Keep driving!!!
Karan : Ugh! Fine! Nahi batana toh mat batao. Although, koi bhi believe nahi karega ki tum Miss Suhana ke saath business tour par gaye the. Woh aur tumhe leke jaaye? Sawaal hi paida nahi hota. Given her personality, she won't even let-
Veer : KARAN!!??
Karan : F-Fine...! Fine! Chala raha hu. I won't talk now. Wese!?
Veer : Firse!?
Karan : Nahi woh baat nahi kar raha mein. Mein bas curious tha uss din ko lekar. I mean... You know... Tumne uss steel industries par stock investment kii. Mene tumhe roka tha par baad me shares ke rate ussi ke sabse upar gaye. Kese!?
Veer (smiles) : Just my hunch!?
Karan : Oh come on! Pehli hi baar me itna accha tukka nahi lagta. Tell me! Tumhe kese pata chala tha ki woh company dubegi nahi? You saw it coming right?
Veer (smiles) : Well! Ye ek secret hai!
Karan (sighs) : Aur jo tum kabhi nahi bataoge!
Veer (smiles) : Exactly!
Karan : Mujhe laga hi tha. Kherr! Here we are!
Gaadi se utarte hue dono ek badi sii building ke andar pravesh kiye.
Karan : Tum jo bhi chaahte ho yaha sab ho jayega. Don't worry! Yaha sab mujhe acche se jaante hai. Aur tumhara kaam boht acche se kar denge woh. Iski guarantee meri.
Veer : Hmm!
Karan ne Veer ki mulaqaat ek aadmi se karaayi. Veer jaha tha sirf wahi nahi reh sakta tha zindagi bhar. Usse kam samay me jald se jald aage badhna tha.
Aur paisa, ek aham bhumika nibhaata hai samaaj me. Ye baat Veer bhali bhaati jaanta tha.
Chef on wheels ke liye usne kuch naye changes kiye the. Usse aur upar uthaane ke liye, Veer ne total 8 food trucks ka ek set up taiyaar kiya tha.
Ye jagah jagah Mumbai me apni ek chain chala ke naam banaane ke liye tha. Uske paas abhi karodo rupaye the. Investment me usne koi kami nahi jaane dii.
Food serving ke dauraan usne choti se choti cheezo par dhyaan diya. Chef on wheels ke naam se hi napkins, plates, spoons ho ya kuch aur, sabhi me uske food truck ki Branding logo ke saath kari gayi.
Aur inn sab ke production ke liye hi Karan usse yaha iss aadmi ke paas laaya tha. Deal pakki ho jaane ke baad dono hi waha se chal diye. Manorath ki taraf se jo flats usse mile the, Veer ne unhe bhi rent par daal diye the. Woh ek hi saath alag alag jagah par focus rakhe hue tha. Earnings jaha se jitni bhi aa sake abhi, wahi boht tha.
Karan : Toh!? Isse tum aage aur bada banaana chaahte ho?
Veer : Of course! Ek baar ye enough popular ho jaaye toh hotel ke baare me socha hai. Funding boht lagegi.
Karan : Yeah! Wese mujhe gin sakte ho. I can be an invester too.
Veer : Hmm? Really?
Karan : Of course! Thoda boht mein invest kar hi dunga. But... Mere khyaal se tumhe dii se baat karni chahiye. Kyuki woh tumhe zyada investment provide kar sakti hai. She controls much bigger deals than me.
Veer : Toh kya abhi baat ho sakti hai?
Karan : Sure! Wese bhi woh mujhse kuch din pehle keh rahi thi.
Veer : Kya!?
Karan : She told me that... "Veer should let me know always where he's going. He should text me and call me."
Veer : Ahem! Well!! Let's go! Mein khud hi unse baat karta hu.
Abhi woh dono jaa hi rahe the ki Veer ke phone par Kavya ka call aa dhamka,
Veer : Bolo Kavya!
Kavya : Aap laut aaye!?? Aap laut aaye aur aapne bataaya bhi nahi bhaiya?? Mujhe abhi abhi bhabhi se pata chala.
Veer : Kal hi aaya hu meri maa! Saas toh lene de. Wese tum kaha ho?
Kavya : Obviously college me houngi na! Par woh sab chorriye. Aap bataiye aap kaha hai?
Veer : Mein filhaal kaam se ba--
Kavya : Wonderful! Toh mein aur Arohi dii! Oye Kritika? Tu jaldi leave lekar chal rahi hai kya? Chal na pagli! Veer bhaiya rahenge yaar aur kya...! Ek toh free ka thoosne mil raha hai aur nakhre kar rahi ho. Haan kuch nahi bolengi aunty. Unhe bataega hi kaun? Chal rahi hai na? Arohi dii bhi hai na yaar! Okay! Haan na baba! Hmm~ Hello? Hello?? Haan bhaiya! Mein, Arohi dii, aur Kritika, hum teeno hi yaha se nikal ke xxxxxxx cafe par jaa rahe hai. Aur aap wahi mil rahe ho hume. Okay!?
Veer : H-Hey! Kaavvyaaa!! W-Wait! Kavya mene kaha ki mein baahar--
Kavya : Thank you so much Bhaiya! B-Bye Mmmuuaaah~
*Call ends*
Kavya ne Veer ki baat sune bina hi apni baat poori rakh ke meeting bhi set kar lii. Veer bechara bas apna phone hi dekhta reh gaya. Kuch kaamo me ladkiya kitni aage hua karti thi.
Veer (smiles) : Ye ladki bhi poori cartoon hai!
Karan : Toh? Ab kaha chalna hai?
Veer : xxxxxxx Square lelo!
Karan : Huh!? Waha kyu? Waha kya hai?
Veer : Sonali!
Karan : Ohh!
Aur bina kuch sawaal kiye Karan ne gaadi ghuma ke uss chauraahe par laga dii.
Chef on wheels ka ek shandaar red truck wahi chauraahe ke paas ek jagah khada hua tha. Baahar kuch 2-3 customers the jo fast food ka lutf le rahe the.
Veer jese hi car se utar food truck ke paas pohucha, andar se hi Sonali ne usse aate hue dekh liya,
Sonali : Aaiye! Aaiye! Padhaariye! Maharaaj! Aaj kese yaad aa gayi aapko apni iss gaadi ki?? Kisi ne khabar dii kya ki aapka ek business bhi hai? Jisse poora ek sadhaaran sii ladki kasht utha utha ke sambhaal rahi hai?
Karan : Okay! She looks pissed!
Veer halke se muskuraaya. Woh jaanta tha Sonali kuch aisa hi react karne waali thi.
Veer : Ek kaam hai.
Sonali : Mein bataati hu kya hoga. Ek aur naya truck! Hai na?
Veer (smiles) : Total 8 rahenge. Isko aur baakiyo ko include kar ke!
Sonali : Kya kaha? Mere kaan toh nahi bajj rahe na? Oye! Kya tum logo ne bhi wahi suna jo mein sunn rahi hu?
Woh truck me maujood kaam kar rahe waale apne sehkarmiyo se boli, uska ye andaaz Veer ko pata nahi kyu bada lubha raha tha. Yahi ek ladki thi jo uss se iss andaaz me baat karti thi. Aur asal me kitna hi kyu na woh Veer ko bura bhala keh le. Veer ko iss par kabhi gussa aata hi nahi tha. Kyuki woh jaanta tha ki andar se Sonali ke mann me uske prati koi mel nahi tha.
Woh bas muskuraate hue uski harr adaao ko dekh raha tha.
Sonali : Dekh rahe ho tumlog? Ye jo khada hai tumhaare saamne itna sajj dhaj ke. Haan haan yahi ladka. Arre yahi hai saare trucko ka maalik. Ye sab issi ki tarqeebe hai. Aur mujh jesi jawaan sundar ladki ko dekho toh kin kaamo me lagaaya hua hai.
Karan (smiles) : Haha~
Peeche khade workers bhi Veer ko sharmindagi se dekhne lage. Woh ye baat kese bhul sakte the ki Veer hi food truck aur chef on wheels ka owner tha.
Veer : Ye kya baat hui!? Mein toh tumhare liye khushkhabri leke aaya tha. Aur tum ho ki sunn'na hi nahi chaahti.
Sonali : Mein jaanti hu kya khushkhabri hogi. Na baba na! Tum jao yaha se. Wese hi mere upar itni badi zimmedaari thop ke rakhe ho. Subah se shaam isme sarr khapao, aur fir ghar jaa ke Maa se daant khao. Nahi nahi! Tum abhi ke abhi jao. Mujhe koi baat nahi sunn'ni hai. Harr mahine ki tarah iss mahine bhi saare kamaaye paise ki lambi parchi mil jayegi tumhe. Ab jao! Aur mujhe apna kaam karne do!
Veer bina kuch kahe truck ke andar aaya aur usne ishaara kiya, toh andar maujood workers uski baat fauran samajh ke baahar nikal gaye.
Woh ahista se chalte hue Sonali ke qareeb aaya toh woh fir bhadak uthi,
Sonali : Mene kaha na tum jao. Mein kaam kar rahi hu aur-
Veer : Tumhe ab ye kaam karne ki zaroorat nahi!
Uske itna kehte hi Sonali ka muh band ho gaya.
Sonali : !!??
Veer (smiles) : Mene kaha ki tumhe ab kaam karne ki zaroorat nahi! Tum padhna chaahti thi na? Mein tumhe iss kaam se azaad karta hu. Nidhi ma'am se baat karke tumhaare liye mein padhaayi ka kuch prabandh karta hu. Ab se tumhe ye sab karne ki koi zaroorat nahi!
Veer ne keh toh diya tha. Aur Sonali bhi kab se yahi chaahti thi. Par...
Ab jab achanak se usse ye praapt hua. Bechaari kuch keh na paayi. Ab kahi na kahi usse itne din iss kaam me lage hone se ek lagaav sa ho gaya tha. Logo ko apne haatho se bana kuch khila ke unke chehre par jab woh khushi dekhti thi, ya jab koi uske paas aake business ki tareef karta tha, toh Sonali ka dil khush ho jaata tha.
Bhale hi business Veer ka tha. Par usse aisa mehsoos hota tha ki woh bhi ek hissa hi hai inn sab ka.
Lekin ab jab jo usse chaahiye tha woh usse pesh kiya gaya toh,
Woh maun pad gayi.
Sonali: Mein...!
Veer : ??
Sonali : Hahaha~ Mujhe samajh hi nahi aa raha ki mein kya karu. Mein-
Veer ne aage badh uske kandhe par haath rakha,
Veer : Chinta mat karo. Jo tum chaahti thi. Woh ab tumhare saamne hai. Aage badho aur sweekaar karo. Business ki chinta chorr do. Workers kaafi hai.
Sonali : Fir bhi... Kya woh mere bagerr sab..
Veer (smiles) : Hmm! Tension mat lo. Sab sahi ho jayega. Toh mein padhayi ke liye haan samjhu na?
Sonali : Mujhe sach me kuch samajh nahi aa raha. Mein padhna chaahti hu. Waqai! P-Par...
Veer : Toh bas fir! Aaj se tum padhogi!
Woh itna bol waha se palta ki itne me peeche se Sonali ki badi dheemi aur kamzor sii awaaz uske kaano me padi,
Sonali : S-Suno...!
Veer : ??
Sonali : T-Tum... Tum itne bure bhi nahi ho.
Veer muskuraaya,
Sonali : Th-Thank you!
Aur bas ek haami bhar woh waha se ravaana ho gaya. Sonali ka path decide ho chuka tha.
Car me baithe baithe hi uski baate Pari se bhi hoti jaa rahi thi.
[Master! Rajat se hi pehle deal karna better hoga.]
'Aisa kyu Pari? Mein ye daave ke saath keh sakta hu ki mera pyaara aasteen ka saanp bhai bhi abhi kahi na kahi koi saazish rach hi raha hoga mere khilaaf.'
[Hmm! See! Rajat ko ek baar deal karne se aap Nidhi ma'am ke liye saare potential dangers ko dur kar denge. Hume uss ghar me kisi khatre ke hone ki fiqr karne ki zaroorat nahi fir.]
'And!?'
[And I believe ki Pranjal ke saath deal karne ke baad bhi, koi aur bhi hamaare haath se chooth raha hai.]
'Tumhara matlab hai koi usse back-up de raha hai?'
[Exactly Master! Mujhe nahi lagta uss ghochu ne hi sab kuch akele kiya hai. There's something else going on here too. I have this feeling. Something much bigger is lurking in the shadows. I bet woh kisi ke back up ki wajah se hi itna ucchal raha hai. And we have only one task. And that is-]
'To destroy that back up!!!!'
[YES!]
'I see!'
[Aur isliye hum uss se baad me deal karenge. Because he isn't alone. Let's start with the easiest one Master! Rajat is the best choice to launch our attack.]
'Indeed! Rajat se deal karna asaan hoga.'
[Also, uski abhi ke harqat ke baad aap usse kese jaane de sakte ho?]
'Yeah! Suman ko bhi mujhe punishment deni hai.'
[Aur aap Rajat ko diye apne 50 lakh kese bhul sakte ho?]
'Ohh! Don't worry! Vasoolna, mujhe boht acche se aata hai Pari!'
[Yes! So let's focus on Rajat first.]
'Hmm!'
Karan : H-Hey!
Veer : Haan?
Karan : Mein keh raha tha ki ab toh kaam khatam hai na? So? Ab? Tumhe ghar drop karna hai ya tum dii se miloge?
Veer : Gaadi xxxxxx square laga lo.
Karan : Ehh? Woh toh ulti side hai. Waha kyu?
Veer : Kavya ka phone tha. Usne kaha hai ki woh aur Arohi dii milna chaahti hai.
Karan : Okay! Dusre shabdo me, mera waha koi kaam nahi hai. Hai na? Toh mein tumhe drop kar ke waha se nikal-
Veer : Kritika bhi aa rahi hai.
Karan : -Niklunga nahi. Mene kaha ki mein drop karke waha se niklunga nahi. You heard me!? Just for you okay!?
Woh bina Veer se nazre milaaye bola. Aur Veer uski ye harqat par mand mand muskuraaya.
Jab dono uss cafe me pohuche, toh cafe ke andar maujood log sab unhi ko ghoorne me lage hue the.
Ek toh Karan ki limited edition ki Mercedes, upar se dono ke high class kapde. Cafe me maujood adhiktar couples ki nazre Veer aur Karan par hi tiki hui thi.
Aur unhi me se ek table ke ird gird baithi hui thi Kavya, Arohi aur Kritika jo wahi se unhe haath hilaate hue bula rahi thi.
Karan ki nazre ek pal me hi Kritika par jaa kar tiki aur usse dekhte hi ek jhurjhuri sii uske shareer me daud gayi. Yahi haal Kritika ka bhi tha.
Veer se toh woh thi hi attracted. Par jese woh jaanti thi ki Veer ke saath uska kaata bhidna mushqil tha. Jis kaaran se uska rujhaan dheere dheere Karan ki orr hona shuru hua.
Aur ab Karan uski nazro me ek ideal ladko me se ek bann chuka tha.
Kayi baar toh woh khud ki kismat par hi hairaan reh jaati thi. Karan jesa ladka, uss se baat karne ke liye aatur ho raha tha. Kya hi kahe iss baare me ab toh.
Wahi veer ki nigaaho ne bhi apni dono behno ko dhundh liya tha.
Jese hi Veer unke paas aaya, Kavya apni kursi se uth jhatt se Veer ke gale lag gayi.
Arohi ne jab ye dekha toh woh bhi khud ka na rok paayi aur Veer se gale mil woh apni seat par baith gayi. Halaki uski hug ki time limit Kavya ke muqaable behad hi kam thi. Probably 1 se 2 second ki hi thi uski hug.
Kavya : Aap bhi aaye ho haan? Kese yaad aa gayi aaj?
Karan : Ab please yaar firse taang kheechna mat shuru kar dena.
Arohi : *smiles*
Kritika : M-Mujhe nahi pata tha ki aap bhi aa rahe ho.
Karan : Haan! Woh actually mein haha~ Woh-
Veer : Aa nahi raha tha. Par tumhara naam sunn ke bhaaga chala aaya.
Kritika : !!!?????
Karan : Wh-What? Ahahaha~ Arre ni ni! M-Mein toh bas-
Kritika (blushes) : Wese, accha kiya aap aa gaye.
Karan : O-Ohh!
Kavya : Huh!? Ye aap dono ke beech kya chal raha hai?
Kritika (blushes) : Order do na tum! Mujhe le aayi zabardasti. Ab kuch khilwaogi nahi kya?
Kavya : Aaj Veer bhaiya denge na party. Kyu? Bhaiya? Aap khilwa rahe ho na hume?
Veer : Of course! Of course! Meri choti behan jo khaana chaahegi woh milega usse. Aaj party meri orr se.
Kavya ne bade hi pyaar se Veer ke gaal noche aur boli,
Kavya : Hehehe~ Ye hui na baat! I love you~
Arohi : Tum itne din kyu the baahar Veer?
Veer : Work dii! Work! Samajh lijiye business related tour tha. Yaha se waha hote rahe bas.
Arohi : Okay!
Veer : Aap teeno seedhe college se yaha!?
Arohi : Mmm~ Kavya ko jab pata chala ki tum kal hi laut chuke ho toh woh tumse milne ke liye zidd karne lagi. Aur mujhe bhi shaamil kar liya.
Veer : Kya aapko nahi milna tha mujhse?
Arohi : Ah! O-Of course! *blushes* Mujhe bhi milna tha. Ye bhi koi puchne wali baat hai? Aur tum college kyu nahi aate?
Veer : Sirf exams dene jaunga!
Arohi : Aisa karoge toh dikkat jaengi. Internal marks teachers ke haath me hote hai Veer. Agar unse acchi bana ke nahi rakhoge toh woh low marks de denge.
Veer (smiles) : Meri class teacher hi Nidhi ma'am hai.
Arohi : Ahhn! That's... Par fir bhi Veer. College aaya karo. At least thodi derr ke liye hi aao. Par aaya karo.
Veer : I'll try!
Kavya aur Kritika menu pakad wahi order karne me lag gayi. Idhar beech beech me Kritika aur Karan ke nain matakka chal rahe the. Toh wahi saamne baithi Kavya Veer ko pal pal uski aankho me dekhti.
Baatein toh woh Kritika se kar rahi thi par table ke neeche uska perr Veer ki jaangh par tha. Aur Veer bina koi aapatti jataaye Kavya ke makhmali perro par apne haath ahista ahista ferrne laga. Toh kabhi unhe halke haath se dabaata. Jiske badle me Kavya ke labo par ek muskaan sajj jaati.
Khaana peena jese hi hua, Kavya ne apna naya plan patak diya,
Kavya : Okay! Toh ab hum chal rahe hai movie!
Veer : Bilkul nahi! Mujhe ek zaroori kaam hai. Mein nahi rahunga!
Kavya : Whaaaatttt!?? Noooooooooo! Bhaiyaaaaa! Aap se toh sabse zyada umeed thi aur aapne...
Veer : Kavyaaaa!
Kavya : Jao nahi baat karni aap se. Jab dekho tab kaam kaam kaam! Kabhi humaare saath ek night out bhi nahi kiya hoga aapne. Kabhi ghume bhi nahi hoge hamare saath raat me. Jao! Hmph~
Arohi : You go! I'll handle her!
Veer (smiles) : Thank god! Aap na ho, toh mera kya ho!
Arohi (blushes) : Dumbo! Go now!
Kavya : Hmph! Jao jao! Mujhe aap se ab baat nahi karni!
Veer : What about you?
Karan : Yeah! Well sure! Mein tumhe drop kar deta hu.
Veer : Nahi! Tum carry on karo. Mein chala jaunga. Don't worry!
Aur unhe wahi chorr veer waha se nikal aaya.
Karan ki baatein Kritika se acchi khaasi ho rahi thi. Aise me Veer usse disturb nahi karna chaahta tha. Aur Kavya ka kya tha? Aaj woh I hate you bol rahi thi. Kal sabse pehla call ussi ka aane wala tha Veer ko.
Veer jab ghar pohucha toh hall me ghuste hi Ragini bhaagti hui uske paas aayi,
Woh abhi awaaz lagaane hi waala tha ki Ragini ne aake uske hontho par ungli rakh usse rok diya.
Ragini : Ssshhhhhhh!!!!
Veer : Kya hua?
Ragini : Mene Suman jii aur Tai jii ko bhej diya hai baahar.
Veer : Kaha?
Ragini (smiles) : Shopping pe. Aur kaha!?
Veer : Aap behad excited lag rahi ho.
Ragini : Ohh of course! Kyu nahi rahungi? After all... Saath me tum rahoge!
Usne aankho me aankhein daalte hue kaha,
Veer : Ahem! So?
Ragini : Bas! Mein ready hi hu. Tum jaldi se change kar lo. Mene Aabha ko upar TV me movie laga ke dii hai. Ghar par wahi rahegi. Aur tum aur mein-
Veer (smiles) : Mein aata hu change kar ke.
Ragini : Jaldi aana!! I'm waiting ~
Veer jab ready hoke aaya toh Ragini uske sameep aake uski t shirt par jhatkaarte hue usse check karne lagi. Sab kuch sahi tha ya nahi! Woh muskuraayi aur aage aake usne ek chumban Veer ke gaal par de diya.
Ragini : Chalo! Iss se pehle ki koi aa jaaye. Tum nahi jaante mene kal raat kese kaati hai Veer!
Veer ne apni bike nikaali toh Ragini kisi bel ki tarah peeche baith ke uss se lipat gayi. Usne saree hi pehni hui thi.
Veer : Aapko saree me dekh accha laga bhabhi!
Ragini : Bhabhi nahi Veer! Bhabhi nahi! Mein Vivek ki patni nahi hu ab. Ragini bulao! K-Kaho na Veer! Ragini! Mera naam lo! Lo na naam Veer!
Veer asmanjas me pad gaya tha. Ragini uss se lagbhag 8 saal badi thi. Kherr jab ab woh Suman ko naam se bulaata tha toh Ragini ko bulaane me koi samasya nahi jaani chahiye thi.
Veer : Ragini!
Uske muh se nikla hi tha ki Ragini ka poora badan kaanp utha. Uski ungliya zorr se Veer ke kandhe par kass gayi.
Ragini : Ek baar aur...! P-Please!
Veer : Ragini!!!
Ragini : Ohh Veer!!!!
Woh zorr se apne stano ko uski peeth par gaadte hue uss se chipak gayi.
*Vrroooommmmmm*
Dono ghar se nikle apne iss Suhaane safar ke liye. Kitne dino baad aaj dono akele the. Hastakshep karne wala ab koi nahi tha. Chenn se dono ek dusre ko mehsoos ksr sakte the.
Mumbai ke beaches me bheed na ho aisa kese ho sakta tha? Ye Goa nahi tha.
Veer aur Ragini haatho me haath thaame samundar kinaare ret par chal rahe the. Samudr ka thanda paani harr lehar ke saath aake unke perro ko bhigota aur waapas chala jaata.
Dono yu hi chalte rahe. Dono me se koi kuch nahi keh raha tha. Aas paas ke jitne bhi log unhe dekh rahe the, woh unn dono ko newly married couple hi samajh rahe the.
Kaafi derr ki iss shaanti ko Ragini ne hi fir bhang kiya,
Ragini : Veer!?
Veer : Hmm~
Ragini : I love you~
Veer : ...
Woh kuch na bola. Bas maun raha!
Ragini : Mein sirf tumhe ye batana chaahti hu aaj. Apna dil khol ke. Kya hum!? Kya hum kahi shaant jagah par chal sakte hai?
Veer ne haami bharte hue apne kadam aage badhaaye aur woh beach me kinare ki orr chalte chalte ek behad hi sunsaan se spot par pohuch gaye.
Chattaane aur patthar hi patthar the aas pas aur saamne vishaalkaay neel samundar.
Dono hi ek bade se patthar par baith gaye. Unke haath abhi bhi aapas me bandhe hue the.
Ragini Veer ke kandhe par jhuki aur sarr rakh bolna shuru kii,
Ragini : Mein tumhe batana chaahti hu ki, mere divorce ke baad se, mujhe aisa kabhi kisi aur ke liye mehsoos nahi hua hai Veer!
Veer : ....
Ragini : Yes! I have fallen for you Veer! Tumne mujhe apne dil me panaah dii, mujhe maaf kiya, meri tumne harr baat maani. Aur tumhare bade bhai ki talakshuda biwi hone ke naate, mere mann tumhare prati aisa kuch bhi nahi aana chahiye tha. Lekin fir bhi... Ye hua!
Veer : Mein-
Ragini : Nahi! Pehle mujhe keh lene do Veer! Samaaj ki nazro se ye apraadh hai. Mein tumhare baare me aisa soch bhi nahi sakti thi. Lekin fir bhi ye sab hua. Bura mat maan'na par... Shuruaati dino me mene Vivek ko chorr ke dusri shadi lene ka faisla pehle hi le liya tha aur uske liye mene ek do hum umr ke ladko se bhi baat cheet kii thi. Dad ke kehne par mene baat kii thi. Par mujhe unme interest nahi aaya. Aur fir tumhaare saath waqt bitaane lagi.
Veer : !!?
Ragini : Jese jese samay guzar raha tha. Mujhe tumhare baare me jaan'ne ki aur iccha hone lagi. Tumhari pasand, na pasand, tumhari baatein, tumhari personality. Aur mein anjaane me hi inn sabhi ki taraf aakarshit hoti jaa rahi thi. Jab divorce hua, tab mujhe ehsaas ho chuka tha Veer ki...
Veer : ??
Ragini (smiles) : Mujhe tumse mohabbat ho gayi hai.
Veer : Bhabh-
Ragini : Ragini Veer! Aaj se mein tumhare liye Ragini hu. Bhabhi nahi! Sabke saamne tum mujhe bhabhi bula sakte ho. Par akele me!? Mein tumhare muh se apna sirf naam sunn'na pasand karungi.
Veer : J-Jii!!
Ragini : Jii nahi! Haan! Treat me like an equal person Veer!
Veer : I'll try!
Usne apna sarr utha ke Veer ko dekha. Khaas kar uske hontho ko. Aur Ragini ki saasein tez ho uthi.
Ragini : Kya inn hontho ko thodi derr ke liye choom sakti hu?
Veer jo ab tak khud ko control kiye hue tha, aise shabdo ko sunn apna aapa akhir kho hi diya.
Ragini ki patli gori makhmali kamar me haath daal Veer ne usse jakda aur apne seene se kass ke laga ke pal bhar me unn rassbhare hontho ko apne muh me bhar liya.
"Nnnnggghhhhhh~"
*Smooch* *Slurp* *Slurp*
Kuch shan bhi nahi guzre the jab dono ki jeebh aapas me kushti ladd ek dusre ke muh me ghus dabaav banaane ki koshish karne lagi.
Veer ki jeebh Ragini ke muh ke andar gayi aur andhruni muh ko tatol ke unka swaad lene lagi, toh wahi Ragini bhi yahi karne me lagi thi.
"Mmmmmmmmnnnnnn~"
Veer ke haath unn mulaayam aamo ko nichodne me bhi lag gaye. Blouse ke upar se unhe zorr zorr se masalne ka maza hi alag tha.
Ragini desperation me Veer ki goad me aake baithi aur Veer ke sharaarti haath turant hi uski gaand par chale gaye.
"Mmmmmnnnnn~" "Aaaahnnnnnnn~"
*Slurp* *Slurp*
Ragini : Aise nahi Veer... Saree uthao...
Woh uttejna bhari awaaz me boli. Veer ne jese hi uski saree peech uske kulho par le jaa kar uthaayi toh woh aashcharya me reh gaya.
Neeche koi petticoat nahi tha. Bas Ragini ki doodh jesi gori jaanghe.
"Ohh Veer!"
"Claim me!!! Cherish me Veer! Let Vivek know how you should cherish an elder brother's wife. Nnnghhhh~ I love you baby!!!!"
Woh paagalo ki tarah Veer par toot padi.
Aur dono ki siskiya samundar ki lehro ke shor me ghul gayi.
***
Mumbai~
Nidhi's Apartment ~
Evening ~ 8:12 PM
Nidhi ahaar ke dabbo me naye packet khol unme samaan bharne me lagi hui thi.
Juhi roz ki hi tarah TV me apna favourite cartoon dekh rahi thi. Aur Shreya abhi job se laut rahi thi jab achanak hi,
*Ding* *Dong*
Uske ghar ki door bell baji aur woh ye soch ke uthi ki Shreya aa gayi hai.
Nidhi ne abhi Darwaza khola hi tha ki usne dekha ki saamne Shreya nahi thi. Balki, ek uske hi jitne umr ki ladki khadi hui thi.
Nidhi iss ladki se vaakif nahi thi. Usne sawaaliya nazro se dekha toh uss ladki ne sawaal kiya,
"Miss Nidhi!?"
Nidhi : H-Haan! Nidhi mein hi hu. Kahiye!
Toh saamne maujood ladki ne ek hi vaakya kaha,
"Tejal here! Kya mein andar aa sakti hu?"
Nidhi : Huh!!?
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys!
This update consists of 4.6k words. As usual likes thok ke jaane ke bhaiyo aur revos rakhne ka. Unke replies mein kal dena shuru karunga. Saath bane rahiyega!
Dhanyavaad!
Currently Ragini is indeed ahead. She's expressing her love. But will she be able to do so in the presence of others?Who'll be the next addition to Veer's harem..? Ragini is ahead in the race at the moment ig...
Thanks bro!Jabardasttt Updateee
Toh ab veer apni sagi maa aur behen se milegaa. Dekhte hai kaise hota hai sab kuch
Dhanyavaad bhai!Aapki mehnat to har update me dikhti hai.
Awesome update to an amazing story.
Shurkiya bhaaya!Behad hi shandar or jabardast update jo EKdam se badal gaya suspense me....
Waah Bhai waah....
Nice update sir amazing
Waiting for the next update
Update soon sir
Thanks a lot man!Finest nd interestingly full of suspense n thrilled hope next amazing update coming soon as this or previous keep it up buddy
Iss arc me bam hi bam phootenge.Pata nhi or kitne boom fhodoge master veer ki locat ka Boom abhi bhi fhotna baaki hai
Nice update bro lagta family reunion hoga jaldi hi or Ragini ka account bhi khulega
Dhanyavaad bro!Bhai mera pura pura mood tha ki Ise Saam ko padhu pr upar ki ek line padhi uske baad mai ruk hi nhi paya ya kahe ki khud ko rok nhi saka...
Bhavnatmak update bhai jabarjast superb amazing wonderful or bhavnatmak update beautifully described very well written
Yo! Keep supporting!Or kya likhu Mai bhai
Sab kuchh jag mag jag mag tha bhaya
Beach par karne ki kitni probability hai?Kya Ragini or veer ka ho gya kya wolfi bro
Are Ragini ne ander kuchh na pahana hai na to chance to hai kuchh percent doggy styleBeach par karne ki kitni probability hai?