• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,301 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 202 12.9%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 35 2.2%

  • Total voters
    1,564

Vikasraj

Active Member
518
2,316
139
Update - 140 ~ No one can stop me!

Ab tak...

Terashima ki body jaa ke thos deewar se jab bhidi toh sarr par impact hone ki wajah se uske hosh jaane lage.

Akhiri drishya jo usne dekha woh ye tha ki jaha woh khadi hui thi, waha dherr saare bade bade patthar girte jaa rahe the.

Usse realize hua,

'Wh-Why did you-!!? S-Sav...e... m..e...!?'

Par uski aankhein agle hi shan band ho gayi.


Ab aage...

A few months ago…

Derr raat ke samay ek bade se aalishan ghar me bane ek gym ke andar bas kuch lights jal rahi thi. Aur punching bag ko maarne ki zorr-zorr se awaazein aa rahi thi.

Uss punching bag ko maarne waala koi aadmi ya ladka nahi tha. Punching gloves pehne ek ladki teevr gati me apne mukke uss bag par barsaane me lagi hui thi.

*Bam*

*Bammmmm* Bammmmm*

*Bam*

Uska badan paseene se bheega hua tha. Sirf black sports bra aur gym leggings daale wo apna aaj ka practice session complete karne me lagi hui thi.

Na hi woh koi boxer thi aur na hi koi athlete. Soorat aisi ki raaste chalte harr mard ko apni orr modne par majboor kar de.

Akhiri punch maarte hi usne apne chehre ko apni towel se pocha.

Aur woh baahar nikal washroom me shower lene ghus gayi.

Bheega badan liye woh naha ke apne shareer par bathrobe daale baahar aayi aur apne wardrobe ke saamne khadi ho gayi.

Ek se ek mehnge kapde uske wardrobe me hangers ke upar latke hue the.

Ek mehnge brand ka nightwear select karte hue usne apne jism se bathrobe giraaya aur uska nagn badan vatavaran me saamne aa gaya.

Parantu, uss jism ki khubsoorat nakkaashi ki taareef karne ke liye waha koi bhi maujood nahi tha.

Kapde badalte hue woh apne bistar par baithi.

Bagal se rakhe stool par ek photo frame ko usne dekha aur uski mutthi gusse me kass gayi.

'Kuch bhi ho jaaye, I won't stop!!'

Woh sone hi jaa rahi thi jab uske phone pe achanak ek call aaya.

*Ring* *Ring*

*Ring* *Ring*

'Hmm?'

Phone utha ke usne screen par dekha toh paaya ki kisi unknown number se call aa raha tha.

'Unknown number!?'

Woh wese toh unknown number ke calls ko kabhi uthaati nahi thi. Par itni raat gaye usse ye call aa raha tha. Kahi koi jaan-pehchaan ka toh nahi tha?

Yahi soch usne call utha liya.

Ladki : Hello?

Par saamne se kuch derr tak koi awaaz nahi aayi. Wrong number samajhte hue woh phone kaatne ko hui,

Ladki : Hah! I knew it. Mujhe uthana hi nahi tha.

Par tabhi dusri orr se ek awaaz aayi,

"Kyu pareshaan ho? Kya neend nahi aa rahi?"

Sunte hi ladki ki bauhe upar ko chadh gayi. Kintu, abhi bhi ek wrong number samajh woh boli,

Ladki : Sorry! Wrong number!

? : Arre arre nahi nahi! Koi wrong number nahi hai.

Ladki (frowns) : Kaun ho tum? Aur kis se kaam hai?

? : Mein kaun hu? Ye tumhe jaan'ne ki zaroorat nahi my dear.

Ladki : Y-You-!!!

? : Ahn! Don't be so mean! Just listen to me first. Uske baad decide kar lena ki kya karna hai. Hmm?

Ladki : Be quick! Agar tumne firse bakwaas kari to mein phone cut kar dungi.

? : Of course! Of course! To sabse pehle kya batau...!? Hmm! Okay! I'll start with this.

Ladki : ...

? (smiles) : Tum kisi ki talaash me ho!!

Achanak hi ek sannaata chhaa gaya. Ladki ki aankhein hairaani me fel gayi.

? : Kya mene kuch sahi kaha? I guess I was right. Hmm! Ab agar mein ye kahu ki jis insaan ki tum talaash me ho. Mein uska pata jaanta hu. Toh?

Uss ajnabi shaks ke hontho par ek muskaan thi.

Yaha Ladki ki pakad apne phone par aur mazboot ho gayi. Woh stabdh khadi hoke ek shock me jaa chuki thi.

Ladki : K-Kaun ho tum?

? : Mene kaha na! Mein kaun hu. Kaha se hu. Iss se tumhe koi fayda nahi hone waala. Also, ye number trace mat karna. Tumhara waqt barbaad hoyega. Time is precious dear. Right?

Ladki : Y-Youuuuu-!! Mein kaise maan lu ye koi prank nahi hai. You are nothing but a fraudster. I'm hanging up.

? : Call cut karne se pehle ye akhiri sach to sunn lo.

Ladki chaahte hue bhi phone cut nahi kar paayi. Kahi na kahi woh jaan'na chaahti thi ki ye insaan kis sach ki baat kar raha tha.

Aur tabhi uss orr se kuch shabd ladki ko sunaayi diye. Jinhe sunn, woh ghabra ke apne bistar par gir ke baith gayi.

Ladki (shocked) : T-Tum...!??

? : What? Mujhe kaise pata chala? Well! It's a small world after all dear. Kya ab bhi tumhe lagta hai ki ye call ek fraud call hai? Hmm?

Ladki : K-Kya chaahte ho tum? Aur mujhe y-ye sab bataane ka kya maqsad hai tumhara?

? : Well! Meri tumse sirf 2 hi maange hai.

Ladki : Speak!!!

Uske baad uss vyakti ne apni pehli maang rakh di.

Ladki (frowns) : Tumhe ye bhi pata hai? J-Just what else do you know? You bastard!!!!

? : Na na na! No cuss words okay? Jitna kaha gaya hai, utna hi karna hai bas tumhe.

Ladki : And why should I? Who are you to begin with? Mein tumhe nahi jaanti. Toh tumhara kaam kyu karu?

? : Simply because agar nahi karogi to problem me pad jaogi dear.

Ladki : Hmph! What can you do?

? (smiles) : Photo frame...! Ko bohut sambhaal ke rakha hai tumne! Hai na? Such a beautiful picture.

Ye sunte hi, ladki ki aankhein aag baboola ho uthi.

Ladki : DON'T YOU FUCKING DARE...!

? (smiles) : Wise people know what to do. Right?

Ladki ghabra ke apne bedroom ki khidkiyo ko khol idhar-udhar dekhne lagi.

? : Hahaha! Kya mujhe dhoondh rahi ho? Chill! Mein waha nahi hu.

Ladki : T-Tum-!!!

? : Toh? Bolo! Karogi ya fir mein koi aur option dhundu?

Woh apne daant gusse me meeste hue jawaab di,

Ladki : F-Fine!!! I'll do it!!

? : As expected from an intelligent lady.

Ladki : A-Aur tumhari dusri maang?

? (smiles) : Samay aane par wo bhi rakh dunga. Mein tumhe ek tasveer aur address bhej raha hu. Tomorrow night! You must leave!

Ladki (growls) : F-Fine!!!

? : Ohh! Naraaz ho? Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result. Till then...! Goodbye~ Ohh! And have a good night! Byeee~

*Call ends*

Haafte hue ladki ne phone apne kaano par se hataaya. Uski dhadkane tezz thi. Gussa bhi usme koot-koot ke bhara hua tha ki mann kar raha tha phone ko deewaar par fek ke de maare.

Parantu, aisa karne se usne khud ko roka.

Dobaara ussi photo frame ko dekh achanak hi uski aankhon me ek tej aaya aur uski mutthi punaah dridhta me kass gayi,

'No one can stop me!!!!'

***

Agli shaam ek sundar se spot par wahi ladki maujood thi. Saamne sunset ho raha tha, par uski aankhein kahi aur hi focused thi.


77a80c5a93cd15897000b251d90bd9f4

Jaha aisi scenery ko dekhne log lambi rides lete the toh wahi iss samay saamne maujood khubsoorat drishya ko dekhne me bhi usse koi dilchaspi nahi thi.

Aaj usse yaha se nikalna tha. Uss jagah jaana tha jaha par kal uss anjaan vyakti ne jaane ke liye usse kaha tha.

'Mein ye kyu kar rahi hu meri samajh me hi nahi aa raha. Lekin, usne jo kuch kaha. Woh sab sach tha!'

Na chaahte hue bhi usse jaana pad raha tha.

Magar nishchay kar woh waha se chal di. Aur uski manzil thi~

India!!!

Safar lamba tha, par ladki ke chehre par kahi koi thakaan nahi jhalak rahi thi.

Usne apna phone nikaala aur uss aadmi dwaara bheji gayi location ko padha. Phir woh uss location ke liye ravaana ho gayi.

Kaafi dur thi ye jagah par yaha tak pohuchne me ladki ka ek paseena tak nahi baha. Woh ek rental car ko saaye-saaye bhagaate hue araam se pohuch chuki thi.

Shaam bhi dhal chuki thi. Raatri ka aagman ho raha tha. Akaash me andhera chhaane laga tha.

Andar uss jagah me pohuchte hi ladki ko baahar kayi aadmi khade dikhaayi diye. Unn sabhi ke haatho me hathiyaar the.

Ladki ko aate dekh woh sab dang reh gaye. Sabse pehli baat ki ye ek khufiya jagah thi. Kisi ko iss jagah ke baare me pata kaise laga?

Dusri baat ki agar pata laga bhi toh aisi jagah par ek ladki kya kar rahi thi? Woh bhi aise samay par?

Ladki ke muh par kapda bandha hua tha. Par uske bawajood usse bina dekhe hi woh sabhi aadmi ladki ki khubsoorti se waaqif ho chuke the.

Zaroor kapde ke peeche koi bohut hi aakarshak aur haseen mukhda chhipa hua tha. Ladki ke kaayal naino ne sab bayaa kar diya tha.

Phir bhi apni hawas ko niyantran me kar aadmiyo ne uss par apni bandooke taan di,

Aadmi : Kaun ho tum? Aur yaha kar rahi ho?

Dherr saari bandooke apne upar tani hone ke baad bhi woh ladki tass se mass na hui.

Ladki : Tumhare boss ko dekhna hai mujhe. Bas! Aur kuch nahi!

Aadmi : Hahaha! Boss ko toh baad me dekhna. Yaha aayi ho toh pehle apna parichay toh deti jao! Ayyye! Pakad ke isse andar leke aao.

Do aadmi abhi uss ladki ki taraf badhe hi the ki wo bol padi,

Ladki : Soch lo! Agar galti kar di toh kahi dhad se sarr alag na ho jaaye.

Aadmi ke chehre par iss baar chinta jhalki aur uske bagal se khade aadmi ne usse sunaaya,

Dusra aadmi : Abey kya kar raha hai tu? Marwaega kya? Kahi ye ladki boss ki koi khaas nikli toh? Tu khud soch na. Agar ye khaas na hoti toh isse jagah ke baare me pata kaise chalta?

Pehla aadmi : P-Par aisa bhi toh ho sakta hai na ki ye ladki boss ki koi dushman ho? Kahi koi jasoos nikli toh?

Dusra aadmi : Abey akeli ladki kya kar legi? Agar jasoos hui bhi to kya hi jasoosi kar legi? Hum sab toh hai na yaha?

Pehla aadmi : H-Haan yaar! Ye toh mene socha hi nahi.

Dusra aadmi : Isse boss ke paas le chalte hai. Phir hume sab pata lag jayega. Par uss se pehle iski talaashi leni hogi.

Pehla aadmi : Haan!

Talaashi lene ke liye agle hi pal kuch aadmi aage aaye toh ladki ne apne jeb se ek dhaar-daar chaaku nikaal unke saamne kar di.

Toh wahi aadmiyo ne apni bandooko ko chalaane ke liye ungliya jama li.

Ladki : Aaj tak kisi mard ki himmat nahi hui mujhe chhune ki. Apne sapne me bhi mujhe chhoone ke baare me mat sochna. Sirf ye ek chaaku hi hai mere paas. Take it!

Chaaku ko hawa me uchhaalte hue usne aadmi ki orr feka. Aadmi ne hadbadaate hue usse lapka aur woh chaaku ko bareeki se dekhne laga.

Ladki ko dekhte hue usne fir haami bhari aur bola,

Aadmi : Theek hai! Hamaare peeche aao. Aur agar chalaki karne ki koshish ki, toh ye goliyaan tumhare shareer ke andar hongi. Par uss se pehle...!

Uske hontho par ek hawas bhari muskaan saji,

Aadmi : Kuch aur bhi goliyo ke pehle andar jayega.

Apne jism par aadmi ki hawas bhari pyaas aur laalsa dekh ladki ke maathe par gusse ki nass thanki. Uski mutthi zorr se kassi.

Agar uska bas chalta toh abhi usne uss aadmi ki zubaan ko chaaku se kaat ke uske haatho me thama diya hota.

Parantu, apne gusse ko peete hue woh chup chaap unn aadmiyo ke peeche chal di.

Andar se jagah behad badi thi. Ladki ki nazar baaj ki tarah harr kone ko dekhne me lagi hui thi.

Andar aate hi usse dherr saare aadmi dikhaayi diye. Sabke haatho me ek ek hathiyaar the. Dherr saari petiya na jaane kin kin samaano se bhari wahi padi hui thi ek ke upar ek.

Harr aadmi usse hi ghoor ke dekh raha tha. Khaas kar uske badan ko.

Kuch qadam chalne ke baad hi aadmiyo ne usse ek kamre ke baahar rok diya.

Aadmi : Tum yahi ruko. Boss andar hai. Mein pehle baat karke aata hu.

Ladki bina jawaab diye wahi khadi rahi. Aadmi andar gaya aur 2 minute baad nikal ke baahar aaya.

Aadmi : Chalo andar!

Andar jaate hi ladki ki nazar table ke saamne baithe ek aadmi par padi. Aadmi ke bagal se aur bhi ek aadmi baitha hua tha. Koi bhi dekh ke ye bata sakta tha ki woh ye main aadmi inn sab ka Boss tha.

Uske kapde, haatho me chamakti hui sone ki anguthiya, athwa uska andaaz. Sab kuch anya gundo se uchh starr par tha. Uske coat ki jeb me ek painting brush bhi maujood tha.

Nazre upar kar Boss ne ladki ko dekha.

Boss : Kaun ho tum?

Toh ladki agle hi pal muskuraayi,

Ladki : Mein kaun hu ye jaan ke kya karoge? Mera kaam ho gaya hai. Chalti hu!

Woh palat ke jaane lagi tabhi itne me aadmiyo ne bandooko se uska raasta rok liya.

Boss peeche se khada hua aur apne muh se cigar nikaal ke usne ashtray me fek diya.

Boss : Tum yaha se tab hi zinda jaa paogi jab mein chaahunga. Kamaal ki baat hai ki jis hideout ke baare me kisi ko kaano kaan khabar nahi hai, waha tum jaisi ladki kya kar rahi hai? Muh se kapda hatao apne!

Par ladki kuch na boli.

Boss (frowns) : Tumne suna nahi? Kapda hatao!

Ladki palti aur Boss ko dekhi. Fir agal bagal khade aadmiyo ko dekhi.

Ladki : Kya karoge jaan-

Boss : Shayad tumhe apni position ka andaza nahi hai ladki. Kya tumhe dikhayi nahi de raha ki tum kaha khadi ho?

Ladki ne punaah usse dekha aur kuch derr baad boli,

Ladki : Dikhaati hu. Par apne aadmiyo ko kaho ki woh peeche jaaye. They don't deserve to see my face. Deserve to tum bhi nahi karte ho par bina chehra dikhaaye tum maanoge nahi.

Ladki ki tippadi par uss Boss ki bauhe sikud uthi.

Usne ek ishaara kiya aur sabhi aadmi ladki ke peeche ho gaye. Ab ladki aur Boss aamne saamne the.

Dheere se ladki ne apna kapda khola aur apna chehra saamne kar diya.

Chehra dekhte hi, Boss ke hosh udd gaye.

Nahi! Aisa nahi tha ki ladki ko woh jaanta tha. Hosh uske ude the ladki ki khubsoorti ko dekh ke.

Aisa aakarshak lubhaane wala chehra, jo kisi buddhe ko bhi jawaani ki yaad dila de.

Agle hi shan, Ladki ne kapda apne chehre par waapas se lapet liya.

Boss : T-Tum-!!!? Kaun ho tum? Kisne bheja hai tumhe?

Ladki : Bas yu samajh lo ki koi shubh-chintak hai tumhara. Jo dekhna chaah raha hai ki tum zinda ho ya-

Boss : Kaun hai woh?

Ladki : Shubh-chintak ko shubh-chintak hi rehne dena chahiye. Uska naam bata ke saara khel bigad jayega. Aur sach kahu toh mein khud nahi jaanti.

Ladki bas shabdo se khel rahi thi. Usse toh khud nahi pata tha woh phone par ajnabi kaun tha.

Boss : Seedhe seedhe bataati ho ya-!?

Usne achanak hi apni jeb se gun nikaal uspe taani,

Ladki : Ya fir kya? Goli chalaoge? Chala lo! Tumhe kuch pata nahi lag payega. Mein khud hi nahi jaanti. Mujhe to bas yaha aake yahi dekhne ke liye bheja gaya hai ki tum zinda ho ya-

Boss ne apni gun ko neeche kiya.

Ladki : Mein koi nuksaan nahi pohuchana chaahti kisi ko. Mera kaam ho gaya hai. Ab mein chalti hu!

Aur wo jis nidarta se andar aayi thi ussi nidarta se baahar ko jaane lagi. Poore hideout me uski heels ki chalne ki awaaz bas goonjti rahi.

Aur kuch hi shano me woh unn sab ki nazro se ojhal ho gayi.

Na hi Boss ne usse pakadne ke liye kaha aur na hi aadmiyo ne apne aap se koi qadam uthaaya.

Baahar aate hi ladki ki aankho me ek chamak thi. Usne apna ek kaam kar diya tha. Ab bas ek aur kaam karna baaki tha.

Hideout ke andar baitha boss koi aur nahi...! Wahi tha...!

SLOGAN!!!

Ladki ke baahar nikalte hi woh garaj utha,

Slogan (yells) : Steve!!!!

Steve : Haan Dada!!!

Slogan : Ye ladki-!!!

Steve : Kya aap isse jaante hai?

Slogan : Bilkul nahi!!! Kahi ye ladki-!!

Steve (hairaani me) : Aapka matlab uss phone waale bande se-!?

Slogan : Steve!!!

Steve : ???

Slogan : Iss ladki ke peeche aadmi bhejo. Mujhe shaq hai ki ye ussi phone waale insaan ki saath hai. Dhyaan rahe woh marrni nahi chaahiye.

Steve ne agle hi pal aadmiyo ko ishaara kar kayi saare aadmi uss ladki ke peeche laga diye.

Steve : Dada...!?

Slogan : Gaadi taiyaar rakho! Hum nikal rahe hai. Aaj kaise bhi kar ke mein nakaam nahi ho sakta. Hargiz nahi!!!

Usne apni chaathi ke jeb me rakhe uss paint brush ko mehsoos kiya aur usse apni andar ki shirt me daal liya.

Steve : Jii Dada!!

Gaadi taiyaar hote hi Steve aur Slogan uss par sawaar hue aur nikal gaye apni manzil ki orr.

Slogan : Aadmi taiyaar hai?

Steve : Haan Dada! Sab jangal waale ilaake ke paas taiyaar hai. Baahar ke mangwaaye assassin me se woh Matthew bhi taiyaar hai.

Slogan : Hmm!!

Steve : Uss Kaera ko qaid karte hi, hume waha se speed me nikalna hoga.

Slogan : Galti na hone paaye.

Steve : Haan Dada! Aap fiqr mat karo!

Slogan : Woh Balhaar bhi kuch chaal chal raha hai shayad!!

Steve : Hume abhi pata lag jayega Dada!

Raat ke sadhe dus ho rahe the aur unki gaadi Mumbai ke ek resort ki taraf bhagti hui pohuchi.

Steve ke gaadi entrance par lagaate hi resort ka ek guard apni jagah se uth ke car ke nazdeek aaya.

*Thud* *Thud*

Usne haath se sheeshe par do baar thoka toh...

*Swwiiissshhhhh*

Sheesha neeche hua.

Guard : Peeche ki Dickey kholo.

Steve ne sarr haan me hilaaya aur dickey khol dii. Guard ne poori Dickey check kii aur band kar andar jaane ka ishaara de diya.

*Vrrroooommm*

Car aage badhi aur andar chalti gayi. Resort itna bada tha ki aisa lag raha tha kisi highway me gaadi chal rahi ho.

Gaadi ko ek jagah laa ke Steve ne headlights band kar di.

Slogan ne lighter jalaate hue ek cigarette jalaayi aur ek kash lagaaya.

Slogan : Aaj sab doodh ka doodh aur paani ka paani ho jayega.

Steve : Yadi aapka anumaan sahi hai Dada. Toh woh yaha nahi aaega. Par...

Slogan : Hmm! Information usne sahi bheji. Par abhi uska aana baaki hai.

Aaj Balhaar ka test tha.

Aur ye resort kisi aur ka nahi, balki Kaera ka hi tha. Jo usne haal hi me apne naam karwaaya tha. Aaj wo yaha bas bachi hui payment karne aayi thi.

Aur kuch hi derr me woh haazir thi. Uske saath saath bodyguards bhi maujood the.

Kendall-Jenner

Steve : Woh toh aa gayi Dada! Matlab Balhaar sahi hai.

Slogan : Usse ek aur kaam saunpa hai humne. Woh ye ki woh Kaera ko kahe ki iss car me Veer uska intezaar kar raha hai. Woh yaha aayegi aur-

Steve : Hum usse dhad dabochenge! Tum dono taiyaar rehna!

Steve ne peeche baithe do aadmiyo se bola toh dono ne haami bhari.

Slogan : Uska call bhi aana chahiye.

Steve : Haan Dada! Call karega hi abhi Balhaar!

Dono ke phone baahar hi the jeb ke. Parantu,

Koi call na aaya.

Steve : Huh?

Slogan ne dekha ki Balhaar ke hontho par agle hi pal haivaano waali muskurahat chhaati jaa rahi thi. Uske raungte khade ho gaye. Steve ko jaise hi samajh aaya woh chillaaya,

Steve : Balhaaaaaaarrrrr!!!!

Par,

*BAAAANNGGGGG*

Steve ka sarr tarbooj ki tarah phat gaya. Aur laalam laal khoon poori car ke andar bikhar gaya.

Ek laat dete hue Slogan ne Steve ko car ke baahar dhakela aur woh gusse se chillaaya,

"Veeeeeeeeeeeeerrrrrrr!!!!"

*Vrrrrooooooommmmm*

Gaadi bhagaate hue woh resort se nikla.

Aur idhar uske nikalte hi, Veer aur Karan ki gaadi uske peeche lag gayi.

Karan ne agle hi pal Jassi ko phone bhidaaya. Aur signal milte hi Jassi samajh gaya usse kya karna tha. Mod pe apne saathiyo ki 15-20 cars me drivers ko usne ishaara kar diya.

Karan apni blue mulsanne me Veer ke sang Slogan ke peeche tha.

Veer : Snipers ne apna kaam acche se kar diya.

Karan : Fuck!!! You were right!

Veer : I told you!

Slogan ki car tezz raftaar me bhaagti jaa rahi thi. Uske peeche na jaane kitni hi gaadiya lagi hui thi.

Slogan paseene se lath-path steering sambhaale hue tha.

'Veeeeeeerrrr!!! Bhale hi tumne ek ladaayi jeet li hai. Par jung mein hi jeetunga. Tum meri territory me aa rahe ho!!! Aaj mujhe mere maqsad se koi dur nahi kar sakta...!!'

Usne asmaan me dekha. Akaash me woh chamak raha tha.

Full Moon!!!

Par uss car chase me woh akela nahi tha. Idhar uss ladki ke peeche Slogan ke khud ke aadmi lage hue the.

Woh ladki apni car ko sarpat raaste par dauda rahi thi.

Farq sirf itna tha ki Slogan ki tarah uss ladki ke chehre par koi chinta nahi thi.

Aisa lag raha tha maano woh kisi video game me car chala rahi ho. Jaha zindagi aur maut ki koi fiqr hi nahi rehti thi.

Woh dekh paa rahi thi kaise 2 gaadiya uska peecha kar rahi thi.

Ladki : Hmph~ Kids...!

Usne gear shift kiye aur ek sateek turn par usne drift maar di.

Peeche waali ek gaadi samay par mud na paayi aur agle hi shan,

*CRAAAAAASHHHHHH*

Woh railing se jaake khaayi me jaa giri.

Dusri ab bhi uske peeche lagi hui thi.

Ladki ne achanak hi speed ekdum badha di. Aur gaadi ko seedh me bhagaane lagi. Steering usne maano chodh hi diya tha.

Peeche lagi car bhi uski hi raftaar se uski orr aane ki koshish me lagi rahi.

Par achanak hi,

*Turn*

Ladki ne steering ko halka sa ghumaaya aur car ko zara sa daayi orr kar liya.

Peeche se aa rahi car me baithe driver ki aankhein tabhi phati ki phati reh gayi.

Uske saamne divider ka ek chhor tha.

Aur,

*BOOOOOOMMMMMMM*

Ek tezz awaaz ke saath woh car bhi waha jaa bhidi. Dono cars ko asaani se chakma de chuki thi woh.

Woh ek flyover ke paas pohuch hi rahi thi jab usse ek ke baad ek gaadiya jaati nazar aayi.

Aur usne agle hi pal apni car unn gaadiyo ke peeche laga di.

Idhar Veer aur Karan ki car drift par drift maar rahi thi. Saath hi Raghu aur Jassi ki bhi,

nightdriver3

Raghu : Shit!!! Ye road kesi hai? Overtake bhi nahi kar sakte. Aur zyaada speed me gaye toh uss se bhid jaenge. Oye! Jassi!!! Kuch bol!!!"

Par unhe nahi pata tha ki ek aur car unke iss safar me jud chuki thi.

Veer aur Karan bhi chintit the.

tumblr-f3249cdcadddfaaef927e37b3da43778-aabca2f1-400

Karan : What the fuck is wrong with that guy? Akhir wo hume le kaha jaa raha hai??? Ye road mujhe bilkul bhi nahi lagta ki cars ke liye hai. Itni sunsaan aur upar se dusri side se ek gaadi tak nahi aa rahi hai. Bas abhi tak chuninda 2 se 3 hi nikli hai dusri orr se.

Idhar Jassi ne achanak hi gaadi ko slowdown karne ki chetaavni di.

Parantu, pehli car ne uski baat na maani. Aur nateeja...!

*BOOOOOOOOOOOOOOOMMMMM*

Car ke chithde udd gaye.

Aur fir shuru hui gang fight.

Jassi aur Raghu apne saathiyo ke saath gang members se bhid chuke the.

Toh wahi Veer Karan ko waapas lautne ka vaada kar uski blue mulsanne liye andar jangal me ghus gaya tha.

Toh wahi woh ladki apni car ko unn sab se thoda dur rok raaste par khadi ho gayi.

'Idhar se nahi ho paayega. I must be within a close distance.'

Agle hi pal uski nazre bagal se lagi chhote chhote pahaado ki chotiyoon par gayi.

Aur uske hontho par ek muskaan sajj gayi.

Veer aur Matthew ki bhidant andar jangal me chaalu thi.

Harr taraf se bas bullets ki awaazein aa rahi thi. Aur shor macha hua tha.

Par inn sabki nazro se bach ke, ek saaya tha jo pahaad ki choti par maujood tha.

Jassi : TEAM!!! Datte raho!!! Bas cover se baahar nahi nikalna hai. Aim kar ke hi shoot karna. Zyada time nahi lena aim karne me. Nishaana chookta hai toh chookne do.

Team : Yessss Sirrrr!!!

Samay beetata gaya. Aur Veer Matthew ko thikaane lagaane ke baad Slogan ko dhoondh chuka tha.

Chand hi palo me Slogan ki saansein tham gayi.

Aur idhar pahaad par khadi uss ladki ke mann me agle hi pal ek awaaz goonji,


0fa762c99ba71ae596c2dcc88bc16a57

*Ding*

e

Ladki ke chehre par se saare bhaav gaayab ho gaye.

Usse uss ajnabi aadmi ki woh baat yaad aayi,


'Jwaala ki tarah bhadko nahi dear. Jal ki tarah shaant raho. I'll wait for your result.'

Usne agle hi pal apna phone nikaal uske number pe ek message bhej diya,

"Slogan is DEAD!"

Aur uske honth kuch apne aap se kehne ke liye khule,


"Jal bhi mein hi hu!!!
Aur jwaala bhi...!!!
No one can stop me!!!
Not even you!!!"

Uske bol uss ajnabi caller ke liye the.

Woh agle hi shan mudne ko hui jab uski aankhein neeche sadak par khade ek aadmi se jaa takraayi. Kisi ne usse yaha khade dekh liya tha.


96278611d6bcc9c962f4b7cd5cc3d1c5

Woh koi aur nahi...! Jassi hi tha.

Jiske badan me woh saaya dekhte hi raungte khade ho gaye.

Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.

Aur idhar,

Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?

Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!

'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Veer ki dasha par hum agle update me lautenge aur usse prakran ko finish karenge. Abhi zyada kuch nahi kahunga kyuki bas abhi ju logo ki pratikriya dekhunga :D haha! Aur apna apna kaam kar ke jaane ka man!! Likes thokne ka. Aur revos rakhne ka. Mujhe kehna na pade baar baar. Baaki milte hi hum agle update me.

Dhanyavaad! ✨
Awesome update
Love it
 

Sk.

Member
232
1,049
138
Do haath se taali bajti hai. :sigh:
Agar mast mast updates time to time chahiye to readers ko apna kaam karna hoga.

Meri nazar harr ek reader par rehti hai.

Sk. Ju ka last comment yaha pe last year 3 October ko tha. Ju harr update pe reaction dete ho par comment nahi karte. :noo:

Ek baar DARK WOLFKING ne bhi aisa hi kiya tha kisi writer ke thread pe. Jankaari ke liye bata du ki uss writer ne apne Leon ko thread ban de diya tha. Uske baad se Leon apna aaj tak waha comment na kar paaya.

Harr reader par meri nazar rehti hai. Kaun sirf nice update likhta hai, kaun sirf like kar ke nikal leta hai, harr ek ko tag kar ke mein yaha bata sakta hu. Agar ju log itna sa kaam ni kar sakte, toh mujhse bhi zyaada umeedein mat rakhna.

Mein ni kehta ki readers ko bator ke lao. Par jo yaha reh ke padhte hai. Kam se kam woh apni zimmedari nibha ke jaaye.
प्रणाम भाई सहाब 🙏

पहले तो माफी चाहूँगा कि आप को ऐसा लगा कि मैं अपने विचार प्रकट नहीं कर पाया
थोड़े परिवारिक मसले और निजी जिंदगी में काफी उलझने आ गई हैं बस मन इन्हीं सब बातों मे उलझ सा गया है
और ऐसा नहीं है कि आप के किसी भी अनुच्छेद को मैंने पढ़ा नहीं सब एक से एक लाजवाब थे मन बहुत बार हुआ कि टिप्पणी करू पर अशांत मन कुछ भी ना करने देता 🙏
भाई सहाब आप से बस माफी चाहूँगा अपने छोटे भाई को क्षमा करे
और सच कहूँ तो मैंने सोचा ही आप की इस कहानी पर टिप्पणी करने वाले इतने लोग हैं कि मैं ना भी करू तो क्या ही हो जाएगा पर आज आप ने मेरा नाम लेकर मुझे आम से खास बना दिया,
मुझे ना लगा था कि कभी कोई लेखक मेरी भी टिप्पणी पर नजर रखता होगा इस के लिए आप का दिल से आभार प्रकट करता हुं 🙏
और आप से वादा करता हूँ कि कुछ समय में मेरी टिप्पणी जरूर होगी आप के अनुच्छेद पर

एक बार फिर से आप से क्षमा मांगता हूँ 🙏 अपनी नादानी के लिए
 

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,764
98,352
259
Update - 141 ~ The Last Breath

Ab tak...

Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.

Aur idhar,

Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?

Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!

'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.


Ab aage...

Ushant Islands~

“Urrrrghhhh~”

Ek dard bhari karaah unn bhaari vishaal pattharo ke neeche se aayi. Veer unke neeche daba hua tha.

Haddiya to Bone Reaper ke chalte sahi salamat thi parantu, unn pattharo ke bhaar se ho rahe dard ko kaise kam kiya jaa sakta tha?

Woh toh accha tha jo Veer ne neeche dabne se pehle turant Bone Reaper equip kar liya tha. Warna uski haddiyo ka choorma bann jaana tha.

[Master-!? Are you okay?]

Pari ki ek chinta-janak awaaz uske mann me aayi.

'Y-Yeah!'

Veer ne keh toh diya magar woh jaanti thi ki uske Master bilkul bhi theek nahi the.

Veer ke perro par bhaar bohut adhik tha. Ek perr bacha hua tha lekin dusra pattharo ke neeche tha. Uska seena aur ek haath bhi buri tarah unn pattharo ki chapet me aa chuke the.

'Meri fiqr mat karo. Mein kaise bhi kar ke baahar aa jaunga. Tum ye batao kya tumne kuch observe kiya?'

[I think I have figured it out Master.]

Pari kuch sochte hue boli.

'What is it?'

[Shayad mujhe pata lag gaya hai ki ye sab akhir chal kya raha hai.]

'Tell me!'

[Ye toh pakka hai ki aapko frame kiya gaya hai. Kisne kiya hai? Toh aapka guess bhi sahi hai. Uss Crimson ne hi hume fassaya hai.]

'I know that. Lekin kyu aur kaise?'

[Kyu ka jawaab mere paas abhi nahi hai Master. Lekin kaise? Uska zaroor hai. Hear me out!]

'Mein sunn raha hu!'

[I think ye Crimson-!]

'??'

[Ye Crimson hi House of the Killers ka rachayita hai. Isne hi House of the Killers jaise bade khatarnaak organisation ko banaaya hai.]

'Koi proof Pari?'

[Proof nahi hai. But meri thinking bohut strongly uski orr point out kar rahi hai. Kyuki ye Las Vegas me bhi tha.]

'Yeah!'

[Agar usse maarna hota to woh wahi maar deta. Toh maara kyu nahi? Answer is simple! He wanted to frame you! DGSI ko issi ne shayad aapke khilaaf galat info di hai.]

'Ohhh!'

[Remember the fake police?]

Pari ke bataane par Veer ko yaad aaya. Jab unn alleys me smoke bomb feka gaya tha aur Ava ka bodyguard jo zakhmi hua tha. Woh fake police ke kaaran hi hua tha.

'Shit!!! Mujhe yaad hai. Woh fake police-!!'

[Woh issi ne bheji hongi Master. Ye Terashima log tab waha hum par nigrani rakh rahe honge. Unhone jab police ko hamla karte dekha to unhe galat message chala gaya. Oh no!!! Ye mene pehle kyu nahi realize kiya?]

[Master! Isliye wo hamare peeche hai. Jab unhone dekha ki police shoot kar rahi hai toh unhe confirm ho gaya ki hum suspect hai. But these fuckers didn't know that they were fake police officers.]

'Iska matlab woh fake police ka hamla sirf mujhe suspect confirm karwane ke liye tha!?'

[Yes!!! Lekin kuch aur bhi hai-! Wo ye assume kar rahe hai ki Ava ko hum laaye hai. But that's not true. Unke haath kuch aur bhi laga hai Master. Crimson ne unhe koi aur jankaari bhi di hai. Lekin mujhe aur analyse karne ke liye samay chahiye. I'm sorry!]

'Nahi Pari! Tumne wese hi bohut kar diya hai. It's enough and- arrggh!!!'

[Maaasterrr!!!]

Veer ka dard ab badh raha tha.

[It hurts Master. I know! But please~ Stay Calm.]

Pari ki awaaz uske andar goonji toh wo apni saanson ko durust karne laga. Pari jaanti thi ki uske Master iss waqt kis haal me the. Uske bawajood woh khud ko shaant rakhi hui thi.

Yahi thi uski personality. Agar iss waqt Pari ki koi aur personality hoti toh pakke se panic mode me chali jaati. Magar, ye Pari alag thi.

[Yes! Breathe in, Breathe out!!!]

Veer lambi-lambi, gehri par santulit saansein lene laga.

[Mene aapke kandhe par lagi bullet waale ghaav ke blood flow ko rok diya hai. Blood loss se bachaane ke liye. But sorry, I cannot remove your pain.]

[Mein ek samay par aapki body me ek kaam kar sakti hu. Right now I’m focusing on your blood flow. Sorry Master! Agar mein aur capable hoti toh aapki sensory nerves par bhi dhyaan de deti. Kam se kam kuch dard kam ho jaata.]

‘You are more than capable Pari!’

[Master...!]

‘Mera dard bhale hi kam ho jaata, par damage ko toh nahi roka jaa sakta na?’

[Y-Yes Master! Body to aapki damage tab bhi hoti.]

‘Then what’s the point? It’s okay Pari! Dard se mujhe darr nahi lagta.'

[That’s-]

[Ye sab uss Crimson ke kaaran. He damaged your body too much. I can feel the pain too. Andhruni chot zyaada hai. Muscles aur tissues me baitha woh dard-!]

[But we will pay him back. Don't worry! As long as I’m here. I won’t let you die. Now listen to me-]

'Pari!!! Tum kitna kuch karti ho mere liye-!' Veer ne usse bolte waqt beech se hi kaat diya.

Uske achanak se aise bol sunn Pari maun reh gayi.

[???]

Veer ke mann me tabhi Bhavna ka khayaal aaya. Mall me jab uski mulaqat Louis se hui thi, toh Bhavna se phone par uski baat hui thi.

Aur uss call ke baad se Veer ki ghar pe kisi se bhi baat nahi ho paayi thi. Samay hi nahi mila tha usse.

'Ghar par sab chinta kar rahe honge.'

Ye soch usne ek gehri lambi saans li.

'Mein ab ek stupid move try karne jaa raha hu. Par wahi mujhe yaha se nikaal payega.'

[What?]

Usne apna ek perr apne dusre perr ke upar tike bhaari patthar par lagaaya aur agle hi shan-

"Haaaaaaaaarrrrrrgggghhh-!!!!"

[Maaaasterrrr!!!]

Woh apni sirf physical strength ka istemaal kar usse hataane ki koshish karne laga. Kintu, Pari bechain ho uthi.

[Don't do it! Please! N-No-!!! At this rate-]

Uska poora perr kaanp raha tha. Perr ki saari nasse phatne ko ho rahi thi. Usne apni bhar taaqat lagaayi.

[What are you doing?? Stop it!!!!! Agar aise hi strain badhta gaya toh-]

Magar woh na ruka.

"Nnnngghhhh-!!!"

Uska poora muh laal hone laga. Aur agle hi pal,

"Aaaaaaaaarrrggghhhh!!!"

*Splurt*

[Nooooooo!!!]

Veer ke perr me ghutne ke neeche, peeche ka maans ka hissa phat gaya.

Aise jaise tarbooj phatata hai. Muscle Tearing. Kisi ek jagah adhik strain se, adhik pressure se andhruni maanspeshiyo ke phatne ka darr rehta tha.

Veer ke saath bhi wahi hua tha. Usne apne jeevan me kabhi itna zorr nahi lagaya tha. Isse karne ke liye insaan ko kitna jazba chahiye hota tha, ye baat Pari bakhubi jaanti thi.

Apne Master ke uss jazbe ko dekh woh stabdh bhi thi par saath hi unki aisi haalat dekh usse dard bhi ho raha tha.

Zameen par khoon bikhar gaya. Veer ke perr ke peeche ka maans ka hissa latakne laga. Uske honth daato tale dabe hue the. Woh dard sehen karne ka prayaas kar raha tha.

Agle hi shan, bina samay gavaaye usne apna dusra perr zameen par tikaaya aur uski sahaayta se woh apne haatho ko churraane me lag gaya.

Dekhte hi dekhte usne ek ek karke sabse bhaari pattharo ko alag kar diya. Aur neeche se sarak-sarak ke woh jaise taise baahar aa gaya.

Atyant buri tarah ghayal ho chuka tha woh. Pari uske perr se nikalte khoon ko rokne me lagi hui thi. Kandhe aur perr dono hi jagaho ke blood loss par wo dhyaan de rahi thi.

[M-Master-!]

'Eric ko mein nahi le jaa paunga. Woh log usse kuch nahi karenge. Zyada se zyada jail me daalenge. Wese bhi wo behosh hai. Usse pehle infirmary le jayenge. Itna samay mere liye kaafi hoga Miss Suhana se keh ke usse baahar churraane ke liye.'

Veer ko tabhi building ki floor par se qadmo ki awaaz sunaayi padi. Aur unhe sunn uski bauhe chintan me sikud gayi.

[Yaha rukna theek nahi.]

Usne mud ke dekha to wahi raasta tha ab uske saamne jiske baare me Eric ne bataaya tha. Ye wahi raasta tha jiske agal-bagal pattharo ki deewaare thi. Parantu, woh sirf sunset ki sightseeing ke liye tha. Aage jaake raasta band tha.

Fir neeche samudra hi bas tha.

'Kuch derr hum waha chhip sakte hai. Kyuki building ki taraf jaana bewakoofi hogi.'

[Mmm!]

Ye soch woh aage badh gaya.

*huff* *huff*

Woh langda-langda ke chal raha tha. Uski saansein ukhdi-ukhdi aa rahi thi. Adhkhuli aankhein liye woh jaise-taise bas ghaseet raha tha khud ko.

Uski iss haalat ko dekh Pari jaise andar hi andar tootati jaa rahi thi. Par woh nishabd rahi.

Apne chotil kandhe par haath rakh woh haafte hue aage badhta raha.

Dheere-dheere woh raaste ke chhor par pohuch raha tha. Kaafi ujaala aa raha tha waha se. Chaand ki roshni thi uss khuli jagah par.



a128b2e66ae266573a4f748e4204ce0b


'Bas aa hi gaye!' Aur wo chhor par pohuch gaya.

Par waha pohuchte hi, usse apni zindagi ke sabse bade jhatko me se ek jhatka laga.

Uski aankhein felti chali gayi. Pari ka bhi wahi haal tha.

Kandhe par rakha haath uska apne aap neeche gir latak gaya. Aisa lag raha tha jaise wo kisi jung me apna sab kuch kho diya ho.

Kyuki agle hi shan, uske saamne ka manzar tha-

10 armed police officers apne hathiyaar liye. Ek seeking helicopter jo uske waha pohuchte hi hawa me udaan bhar uss par spotlight tainaat kar diya.



gettyimages-698836877-640x640

Andre aur Senior police officer jo helicopter me baithe usse ghoor rahe the.

[N-No-!! It cant be-!! Master-!!!]

Anjaane me woh ussi trap me aa chuka tha jo Andre aur team biccha ke baithe the. Ye Team C thi jinhe Chris ne Veer ko pakadne ka kaam saunpa tha.

Helicopter me khade Senior officer ne mic liya aur announce kar bola,

Senior Officer : Apne aap ko hamare hawale kar do. Yahi accha hoga tumhare liye.

Veer ne sarr upar kar uss Senior Officer ko helicopter me baithe dekha aur bola,

Veer : Apne aap ko hawaale kar du? Kis liye? Kisi ki madad karne ke liye? Ya kisi ki jaan bachaane ke jurm me?

Officer 1 : Ye kya bakwas kar raha hai?

Officer 2 : Pakad gaya hai na! Shayad pagal ho gaya hai!

Senior Officer ka munda wese hi thanka hua tha. Veer ka jawaab jaise usse aur gussa dila gaya.

Senior Officer : Bewakoof ladke! Tumko ghera jaa chuka hai. Apni galti maan lo aur surrender kar do. Chalaaki ki to goliyo se boon diye jaoge.

Veer : Tum logo ko koi galat fehmi hui hai. Apni agent Terashima se pucho! Ya fir Singer Natalia se. Mein unka bodyguard-

*BANG*

Veer abhi aage kuch kehta ki tabhi ek bullet uske perro ke paas aake zameen me dhass gayi.

Senior Officer : Apne saare hathiyaar feko. Aur haath upar kar khud ko hawaale karo.

[Woh maan'ne waale nahi hai Master. Just surrender!]

Veer ne apni baayi orr dekha. Ek lohe ki bench lagi hui thi baithne ke liye. Ahista-ahista woh uss orr chal diya.

Uske chalte hi dherr saari laser lights uske badan par tik gayi. Senior officer ne usse chetaavni di par Veer ko bench par baithata dekh usne apne officers ko shoot karne se rok liya.

Senior Officer : Surrender karte ho ya?

Veer : Surrender? Kis baat ke liye? Jab mene kuch kiya hi nahi toh-!?

Senior Officer : Tumhe last warning di jaa rahi hai. Tumhare khilaaf sab kuch hai hamaare paas. Surrender kardo warna-

[M-Master! Surrender kar dijiye! Warna yaha se nahi nikal payenge. Aur ye log maan'ne waale nahi hai. Kuch bohut badi galat fehmi hui hai. Crimson ne khel khela hai.]

'Surrender? Bina galti kiye? Never in my life I will surrender!'

[Maaaaastttteerrr! Samajhne ki koshish kariye!]

Veer ne punaah upar udd rahe uss helicopter me dekha. Aur tab jaake usse apne jeevan ka dusra sabse bada jhatka laga. Senior officer aur Andre ke alawa koi aur bhi tha jo maujood tha.

'It's you-!!!!!?'

Uski aankhon ki putliyaan achambhav ke maare felti chali gayi. Pari ki khud ki rooh kaanp gayi jab usne helicopter me khadi uss ladki ko dekha toh.

[N-No-!! It can't be-!!]

Aur Veer ko saara maajra samajh aa gaya. Uska sarr fauran hi jhuka aur uske facial expressions chhip gaye.

Woh ladki kahi aur hi dekh rahi thi. Kuch pal baad hi waha ek hassi zorr se goonj uthi. Veer pagalo ki tarah hassne laga tha.

Officer 1 : Y-Ye kya-!?

Officer 2 : Pakde jaane ke darr se paagal ho gaya hai.

Officer 1 : Sir? Kya hum usse seedha jaake nahi pakad sakte?

Senior Officer : Nahi! Uske paas hathiyaar ho sakte hai. Kahi bomb wagarah na rakha ho. Keep your distance. Surrender karwa ke hi maanenge hum.

Veer idhar bas hassta raha. Uski aankhein uss ladki ki aankhon se takraayi. Aur ek kadvaahat Veer ke dil me fel gayi.

Woh sarr jhukaaya.

Senior Officer : Agar tumne co-operate nahi kiya. Toh mein fire ka order de dunga.

‘Pari!’

[Huh?]

'Beowulf's Blessings ka kitna samay baaki hai?'

[Sirf 5 seconds hi bache hai uske Master.]

‘Alright then! Pari! Mein jo ab karne jaa raha hu…! It’s a bad move!’

[Wh-What? Ye aap kya-!?]

Pari ne agle hi shan Veer ke dimaag me jhaanka aur ye pata karte hi ki woh kya karne jaa raha tha, uska sanshay bhayankar darr me badal gaya. Aur pehli baar aaj,

[YOU FUCKING IDIOTIC STUPID MASTERRRR!]

Woh uss par baras uthi. Veer jaanta tha Pari ki ye personality kitni shaant thi. Par aaj woh uss par garaj rahi thi. Uss par gussa ho rahi thi, uss se naraaz thi, niraash thi aur sabse mehatvpoorn-

Uski parvaah thi usse. Aaj usme bhay bhi tha aur ghabrahat bhi.

[Why don’t you fucking understand? There will be no Pari without you. I will cease to exist. Aap me saanse hai toh ye Pari hai. Aap me jaan hai toh mujh me jaan hai. Aap zinda ho toh mein hu. Samajhte kyu nahi ho? For fuck sake just surrender. Aap ko nahi kho sakti mein. Why don’t you fucking understand this small thing? YOU ARE THE MOST IMPORTANT TO ME!!!]

Aur usne keh diya. Pari se ab raha na gaya. Usne apna ek raaz saamne rakh diya. Agar Veer apni jaan gawaata hai, toh Pari khud apna astitv hamesha hamesha ke liye kho degi. Veer se hi Pari khud hai.

Veer kuch derr tak shaant raha. Pari ka itna bada raaz bataana ye saboot tha ki woh kitni zyaada bechain thi iss waqt. Magar Veer ne uska jawaab na diya. Aur apni baat ko punaah rakha,

‘I knew it. Kahi na kahi mein ye expect kar hi raha tha. Par yaad hai na jab tum pehli baar mere shareer me aayi thi? I’m sure tum kisi aur ko apna host bana sakti ho. Aise me-’

[YOU FUCKING STOP THIS BULLSHIT OKAY? Mene kaha na! Woh sirf one time use ke liye energy thi. Ab mein uss tarah space me move nahi kar sakti.]

Lekin usne Pari ki baat ko beech me hi kaat diya,

‘Meri baat suno Pari! Mere jaate hi…! Consume my energy! I hope tumhe kam se kam kuch na kuch toh mil hi jayega mere shareer se. That will be enough for you to travel in air. Right? Tum ek naya host dhoondh sakti ho. Ek naya shareer! Koi mujh jaise stupid se behtar haha!’

[STOP IT! PLEEAAASEEE! I BEG YOU! YOU ARE NOT STUPID. You are my Master. Surrender yourself now!!!]

Iss baar uski awaaz ruwaasi thi. Veer khud iss baar aashcharya me reh gaya.

‘T-Tum-!!? Tum ro rahi ho? Haha! Mujhe nahi pata tha meri Pari mere liye kabhi royegi. It’s good to know before dying.’

[P-Pleaaasseee~ Listen to me! They won't kill you. J-Just surrender.]

'No! I won't! Ye bohut bada setup tha Pari. Tum bhi realise kar chuki ho. Hai na? It's almost impossible to get out of it. I think Miss Suhana bhi meri help nahi kar payengi-!'

[N-Nooo-]

Pari ki awaaz me lad-khadahat thi.

‘I’m sorry Pari!!’

[???]

‘Mein kabhi ek accha host na bann paaya tumhare liye. Kaash hamara safar aur lamba hota. Kitni baatein jaan’na tha tumhare baare me. Aur ghar me sab log. Woh abhi bhi soch rahe honge mein business tour par hu. Kaash sabse ek baar acche se mil paata. Juhi my cutie. Uske liye ek chocolate factory ka vaada kiya tha mene apne aap se.’

Bol woh apni kalaayi me bandhe uss kaale dhaage ko dekhne laga jo uski maa ne pehnaaya tha.

‘Maa! Ye dhaaga mujhe bacha na saka. Still! I love you! It will be a great memory to die with…!’

Usse apni maa ke bol bhi yaad aaye jo usne phone ke waqt kahe the.

“Jaldi aana beta!”

‘Shayad-!!! Ab nahi aa paunga Maa!!’

[N-NO!! Ye kya keh rahe ho aap? J-Just stop! I can’t let you go away like that. Mene kaha na aapke jaate hi mein nahi rahungi. Chaahe mujhe kitni bhi energy hi kyu na mil jaaye. A-Aap aisa kaise kar sakte ho mere saath? YOU UNGRATEFUL BASTARDDD! STOP IT NOW! PLEAASEEE!!]

Woh sarr jhukaye-jhukaye hi muskuraaya.

‘Pari I admit-!’

[!!??]

Uski aankho se iss baar ek aasu ki boond nikal uske gaalo se behte hue neeche giri.

‘I ADMIT…! TODAY! I HAVE LOST!’

Uske hontho par muskaan ab bhi barkaraar thi. Ye muskaan thi uss bodh ki. Uss aatm-samarpan ki. Aatm-samarpan unn saamne khade hue logo ke prati nahi. Aatm-samarpan sachhayi ke prati.

Woh jaan chuka tha ki aaj zindagi aur maut ke iss khel me woh haar chuka tha. Bhale hi derr se usse bodh hua par ho chuka tha.

Woh ek bohut hi badi saazish me phass chuka tha. Itni badi ki ab uss se baahar aana lagbhag naamumkin tha.

[N-No! You can’t die like that. M-Mein aapko kuch nahi hone dungi. Listen! I have a plan! Let’s just surrender first. Th-Then-]

‘Tumhe lagta hai mein surrender karunga?’

Uska sawaal sunn Pari maun reh gayi. Woh jaanti thi iska jawaab. Veer ke shareer me aane se pehle hi Veer ne kitni taqleefe jheli thi. Ajay aur uske saathiyo ne milke usse kitna maara tha. Uski koi galti bhi nahi thi tab. Parantu adhmare hone ke bawajood, usne apna sarr nahi jhukaaya tha. Maar khaata raha lekin jhuka nahi.

Jab woh bina system ke tab nahi jhuka, toh aaj inn namoono ke saamne kaise ghutne tek sakta tha woh? Bhale hi usne ek Raja ki tarah janm nahi liya tha. Par ek Raja, ek Baadshah ki tarah marr toh sakta tha.

Idhar Senior officer ne agle hi pal mic pe announce kar diya.

Senior officer : Since, you're not cooperating we're going to execute you-!

‘Pari!’ Veer fir muskuraya. ‘Humara waqt khatam ho raha hai. Saamne khade log meri maut ka intezaar kar rahe hai. So, let me say this one last thing to you.’

[!??]

Woh apne akhiri shabd kehne jaa raha tha. Pari hamesha usse shaant rehne kehti thi. Lekin abhi uski khud ki dhadkane kisi train ke maafiq chal rahi thi. Itna darr usse kabhi mehsoos nahi hua tha. Samay ret ki tarah uski mutthi se fisal raha tha. Aisa lag raha tha woh apni sabse keemti cheez kuch hi palo me khone jaa rahi hai.

‘Pari!’

[H-Huh!!]

‘Tumne mujhe ek naya jeevan diya. Tum mera hausla bann ke mera saath nibhaati rahi. Tumne harr waqt pe meri madad ki. Shayad ye meri acchi kismat thi jo tum mujhe mili. Warna mujh jaise insaan ko toh koi dekhna pasand bhi nahi karta tha.’

[M-Master!]

‘Tumhare kaaran mein kitne pyaare logo se mila. Miss Kaera, Miss Sonia, Miss Suhana. Maa se dobaara mil paaya. Teju dii! Maasi! Shweta Maa! Bhumika Dii! Arohi, Kavya, Dada jii! Suman aur baaki sab. Karan! Nidhi ma’am! Sab se…! You gave me motivation. Unfortunately, ab ye safar yahi khatam hota hai!’

[N-Nooo!]

‘Aur ek akhiri baat-’

[??]

‘I love you Pari!’

Bas! Veer ne fir aage kuch na kaha. Lekin woh Pari ki rundhe gale se nikalti hui zorr-zorr se sisakne ki awaaz sunn paa raha tha.

Achanak hi Veer ke agal bagal ka aura badalne laga.

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

Iss baar usne sarr utha ke upar dekha. Helicopter hawa me ab bhi tainaat tha aur uski spotlight Veer par hi tiki hui thi.

Tamaam guns ki laser sights se laser ke laal-laal bindu uske shareer ke alag-alag ango ke pharchatte udaane ke liye taiyaar the.

Light house samudri tat se lage hone ke kaaran, waha ka vatavaran tezz hawaao se ghira hua tha.

Veer ke baal hawao ke saath lehra rahe the aur khoon se lathpath hone ke bawajood woh adab ke saath uss lohe ki bench par baitha hua tha.

Itne logo me woh akela tha, par wahi tha ek jiska aura sabse zyada taqatwar tha. Jo tej uski aankho me tha, waha khada harr aadmi ye dekh thoda bhay me chala gaya.

Tamaam logo ke hone ke bawajood bhi abhi unhe iss ek ladke ko dekh andar se darr mehsoos ho raha tha.

Ek aankh khuli ek band, sarr se behta khoon, kandhe par lagi goli, jagah jagah choto ke khooni ghaav, bikhre ghane baal aur perr se latakta hua maans. Kuch yahi chhavi thi Veer ki abhi.

Fir bhi waha khada aadmi uske iss roop se darr raha tha. Veer kisi ghaayal sher ki tarah lag raha tha unhe.

Uski nazre harr ek aadmi ko dekhte hue guzri aur fir usne ek buland awaaz me kaha,

“EVEN IF I DIE TODAY! I WON’T DIE BY THE HANDS OF YOU LAPDOGS.”

Uski awaaz light house ke poore samudri tat par goonj gayi. Log usse dekh uska mazaak udaane lage. Woh khud ko confidence dene ke liye ye kar rahe the. Andar se woh sabhi jaante the ki unke shareer ke ruye khade hue the.

“Hahaha! Ye ladka paagal ho gaya hai.”

“Shayad isse apni sthiti ke baare me pata nahi hai. Haha!”

“Itne logo ke beech ghire hone ke baad bhi iski aqal ab bhi thikaane nahi aayi.”

Woh ek dusre se French me bolne lage.

Veer nahi jaanta tha ki Crimson yaha maujood tha bhi ya nahi. Lekin fir bhi usne bolna jaari rakha,

“CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!”

Kehte hue achanak hi Veer bench ki back rest par apna ek haath rakhe apne wazan ko leke peeche jhuka.

Bench uske wazan ke kaaran apni pichli do taango ke bal peeche ko jhool gayi. Par iske pehle ki woh peeche girta, Veer ne apna wazan aage ko jhuka diya.

Aur iss baar bench waapas se apni position par aayi lekin ab Veer ka bhaar aage hone ki wajah se bench iss baar apni agli do taango par jhool gayi.

Iss se pehle ki Veer aage ki orr girta, usne punaah apna wazan peeche kar diya aur yu lagataar aage peeche karne ke baad, bench bhi uske bhaar ke chalte peeche jaati aur fir aage aati.

Aisa lag raha tha Veer ek rocking chair par baitha ho. Bench ke yu aage peeche dolne ke kaaran Veer ne ek motion bana liya tha.

Waha khade logo ne jab usse ye karte dekha toh hairat me reh gaye.

Ek armed police cop Veer par gun aim kiye upar helicopter me baithe senior officer ki orr dekha aur pucha,

“S-Sir? Kya hum shoot kare?”

Senior officer : Nahi! Behtar hoga hum isse zinda pakde. Agar zinda na pakad paaye, agar woh hamaare liye khatra banta hai, tabhi shoot karna hai. Let’s just see woh kya kar raha hai. Wese bhi woh yaha se kahi bhaag nahi sakta. Situation hamare haatho me hai.

Officer 1 : Okay Sir!

Sabhi Veer ki harqato ko jigyaasa se dekh rahe the. Aur bas uske surrender karne ka wait kar rahe the.

Senior officer ne mic haatho me liya aur Veer ko firse chetaavni di.

“Tumhare paas bas 30 seconds hai! Seedhe tareeqe se apne aap ko kanoon ke hawaale kar do. Warna-”

Par Veer toh jaise uski chetaavni ko ek kaan se sunn dusre se nikaal raha tha. Uska poora dhyaan uss helicopter me baithi uss ladki par tha.

Uska shareer ab bhi aage peeche jhool raha tha. 20 seconds guzar gaye.

10 seconds bachte hi officer ne mic par countdown karna shuru kar diya.

“Ten”

Veer abhi bhi bench par jhool raha tha.

“Nine”

Koi jawaab nahi!!

“Eight”

Veer ki aankhein uss ladki par hi thi.

“Seven”

Ab bhi koi harqat nahi.

“Six”

Par 6 hote hi, jaise hi iss baar uski bench aage ko apni do taango par jhooli,

“Five”

*DING*

Achanak uski aankhein crimson laal ho gayi.

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Neeche apne perr tikaate hi, uska haath jo bench ki back rest par tha, usne poori taaqat se usse aage kheencha aur agle hi pal,

*Wuh-psssh*

Woh bench hawa me 360° flip hone lagi. Time jaise slow motion me chala gaya. Samay achanak se dheeme ho gaya unn sab ke liye.

Bench hawa me flip ho rahi thi, aur ussi ke saath Veer ka haath usse pakadne ke liye taiyaar ho raha tha. Saath hi uske hontho par haiwaano waali ek muskaan chadhti jaa rahi thi.

Aur waha khade logo ki aankhein hairat ke maare felti jaa rahi thi.

Bench ke sahi angle par flip hote hi Veer ne agle hi shan uss poori bench ko apni hatheli khol ek haath se jhatt-se usse jakad liya aur uske dono perr zameen par sthirta se tik gaye.

*Whoosh*

Woh turant baayi orr palta.

Sab kuch itni jaldi hua ki logo ki aankhein saamne hue drishya ko process hi nahi kar paayi.

Ab waha khade kuch logo ke dimaag ko samajh aa raha tha ki kyu ye ladka bench par aage-peeche dol raha tha. Veer yu hi nahi aisa kar raha tha. Woh jo motion bana raha tha woh tha~

Periodic motion.

Uss bench par usne hi ye motion banaaya tha. Apne perro ko zameen ke virudhh le jaake apne bhaar se bench ko jaan-boojh ke aage peeche kiya gaya tha. Newton ke second law ke chalte woh asaani se dol sakta tha agar ye rocking chair hoti.

Par woh rocking chair nahi thi. Isliye Veer ko apne bhaar ka istemaal karna pada.

Periodic motion bann’ne ke kaaran jab Veer ne usse fir ekdum se apni Beowulf ki taaqat se kheencha, toh bhaari lohe ki bench yuhi hawa me flip ho gayi. Aur uske flip hote hi Veer ne usse thaam liya.

Uss ek chote se pal me unn sabhi ki saansein atak gayi thi. Senior officer ne jaise hi ye dekha woh chillaaya,

“THIS BASTARD!!! SHOOOOOOTTTTT!!!”

Woh dahaad lagaaya aur uske garajte hi,

*BANG* *BANG* *BANG*

*RATATATATATATA*

*BANG* *BANG* *BANG*

Dhada-dhad kar ke goliyaan barasna shuru ho gayi. Par tab tak Veer hawa ke jhoke ki tarah kayi feet ek jhatke me laangh chuka tha.

“THIS MOTHEFUCER!! KILLLL HIMMMM!! SHOOOOT THATTT BASTARDDD DOWNNN!!”

Helicopter hawa me muda aur uske neeche lagi gatling gun ne andha-dhundh firing shuru kar di.

Goliyo ki bauchhaar se waha ki deewaare aur chattaane ke chithade uddne lage. Veer ki gati itni tezz thi ki woh aage badhta jaa raha tha aur goliyaan uske nikalne ke baad khaali zameen se bhid rahi thi.

Officer ka countdown bhale hi beech me band ho gaya ho, lekin Veer ke Beowulf ka countdown chalu tha. Maatra 2 seconds hi baaki the uske deactivate hone ke liye. Ye uska akhiri daav tha.

Dimaag lagaate hue cops ne aim Veer ke aage kiya aur iska abhaas hote hi,

Veer ne apne haath me li hui uss bench se apne aap ko dhak liya. Bench usne dikhaave ke liye thodi uthaayi thi.

*BANG* *BANG* *BANG*

*KLANG* *KLANG* *KLANG*

Bullets jaa ke uss bench se takraane lagi, par kuch thi jinse Veer khud ko bacha na paaya.

*Squelch*

“Arghh!”

Ek uske perr ko cheer ke andar ghus gayi.

*Squelch*

“Urghh!”

Aur dusri uski baah ko.

Fir bhi woh ruka nahi. Senior officer ko jaise hi iss baat ka abhaas hua ki Veer ka maqsad kya hai, uski aankhein bhay ke maare fel gayi.

“Th-This bastard!!! K-Kill him!! KEEP SHOOTING! Bach ke bhaagne na paaye woh. BLOCK HIS PATH.”

Par tab tak derr ho chuki thi.

2 aur bullets Veer ke shareer ko lagi. Beowulf band hone waala tha, magar uske band hone se pehle hi, Veer ne uss uchaayi se ek lambi chhalaang maar di.

*DING*

[Beowulf’s Blessings has been deactivated.]

Ye sab kuch unhi 5 seconds me hua.

“NOOOOOOOOO!!!”

Senior officer apna gala phaad gusse me chillaaya.

Idhar samudri tat ke neeche khaayi thi. Sagar ki ufanti lehre uss chattaan se aake bhid rahi thi. Veer usme kood gaya.



200

“SEARCH HIM!! Zinda bachne ne paaye woh. He must be killed now! SEARCH EVERYTHING! KEEP SHOOTING!”

Helicopter udd ke aage badha aur Veer ke doobne waali jagah par lagataar paani me fire karne laga.

Bullets paani me ghus friction ke chalte dheemi ho rahi thi aur apni trace chorrte hue andar jaane lagi.


f5bb52800bcaf9fbb8dda41f2e8171d1

Veer ke shareer par ek antim bullet uske seedhe seene ko aake cheer di.

Woh neeche girta gaya. Bullets ab uss tak na pohuch paayi. Dheere dheere uski aankhein band hone lagi. It was the end.

[MAAAAAASTEEERRRR!!!]

Aankhein band hone se pehle uske mann me bas ek hi khayaal aaya,


tenor-1

‘Just why?? Ava!!’

Aur uski aankhein band ho gayi.

***

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*


e-1

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi.
Update consists of 5k words. Ab agla update tab hi aayega jab iss update par atleast 140 likes aayenge. Update 139 pe 147 likes hai. Toh itna to mein yaha expect kar hi sakta hu.

Dhanyavaad!
 
Last edited:

Werewolf

ʀᴏɢᴜᴇ ɴɪɴᴊᴀ
Supreme
13,764
98,352
259

Nice update

Suspense se bharpur update

Bhai jordar update Diya hai...
Apke title ki line ekdum appropriate hai
"Best way to tame a mystery is to create another mystry"
140th update ke starting me ye lga ki ye tareshma hogi jisse crimson kisi ki jaan k badle ye kaam karwa raha hai.
But dhere dhere ye lga ye koi known hi hai.
Aisa known jo ki kaera ava , veer in sabse link hai.

(((Ek theory ye hai ki)))
Or meri senses Suhana ki taraf strongly indication de rhi hai.
Whi ek linked person hai in sab se jisko uski behan (jo ki photo frame me thi) uske dar se kaam krwaya ja sakta hai .
But isme kuch Loopholes bhi hai like uske pass system kaise aaya (jo ki uske man me awaz ayi slogan is dead) agr uske pas system hota to veer ko pta lg jana chahiye tha.
Par abhi tak to hum bhi clear nhi hai ki is ladki k pas exactly system hai ki nhi.
Or ek doubt ye hai ki if she then usko goli kyu mari Vegas me crimson ne (sayad).

Tbhi sayad kaera ka bodyguard bhi chauka ho usko dekh kr. (Pahadi par)
Kuki vo divya tareshma etc etc unknown logo ko dekh kar to shock hone se rha.

Bohot mysterious update hai ek do baar or padna padega ache se.
As a reader lg rha hai ki kuch na kuch to miss kr rhe hai.
Aage aane wala dhamaka piche se linked hai but kya isme doubt hai.

On a lighter note,,, kya bro pichla purana update chipka diya naya bol kar.😂😂😂

Ek do or theories hai.unko update k Deep dive krne k baad sajha kruga.
Best wishes

Amazing update hai bhai

Jabardast update bhai 👏👏

System boht hi common nahi hai? :roflol:Pata nahi kitno ke hi paas hoga is sansaar mein? :?: Yadi wo phone call waala aadmi Crimson nahi hai to 4 log system dhaari hum assume kar hi sakte hain...

Bro jabardast dhamekdar update bro par updated pad kar sab dimag upar se nikal gaya bro ese seen mat Chen mat karya karo bro

Ye ab kon hai? Or system bhi hai.. or ye kise dhundh rahi hai ? Khair call wale bande ne isse kuch kam diya par kam kya diya? Sirf slogan jinda hai ye dekhne janeka? Ya kuch or ? ..jo bhi samne call par tha uske pas hai system hai shayad.

Waise system walo ki kami nahi hai ab scan me.. Khair ye ladki bhi ab veer ki dushman na nikle to thik hai varna crimson to tha hi pehle se ye ek or system wala dushman mil jayega to veer ke to L lag jayenge.

Superb update bhai..

Nice update

अब क्या लिखूं इस अपडेट के बाद... :sigh:
ऐसा कौन घुमाता है, फिर कहते हो रिव्यू नही लिखा मैंने...!!!

Are ye kahan ka update aa gawa ham to veer ke sath the na udhar ka maamla niptakar idhar wala update dena tha :cry2:

Superb update

Bhai we sab ye expect nahi Kiya par Naya character aagaya wo bi system
Dhamaka ka entry he Naya character ki matlab pehle hi achuki thi humko pata nahi chala itne din shadow jaise chupke Raha ab dhekenge kya hal he uska.. aur veer ka kya hua ??

Slogan was dead right, how come he is alive

Are bro he is dead now it's flashback

Fantastic update bro ab ye koi aa gaya dekhte hai


Superb fantabulous update Werewolf bhai...

nice update werewolf bhai aakhir wo mysterious lady ki talash khatam hui! But ek aur system!! That's crazy total 4 systems 1.crimson2.veer 3.caller 4.misterious lady means aur bhi kai log hoge jo iss systems ka use kar rahe hai(but what's is strange ki "Death flag" Notice? Lagta hai kuch alag he system hai is lady ke pass, aur yeh update se lagta hai lady kuch kiera ke saath judi hui hai, aur slogen ka koi boss hai jo in system ko pana chata hai if I doubt, aur ,that lady wants to kill crimson her 2nd task! Goli crimson pe isse lady ne chalai no doubts! Story main aage chal ke kai raaz aane wale hai! Well nice update maza aa gaya bhai!! 👏👏👏

Nice behtarin mast awesome update bro

Superb update bro yeh naya chehara kon hain bhaut khatarnak lag raha hain

Bhaaiiiii yeee kya tha ek aur system wala inshaaan bhai sach main tum kya hi goosebumps wale twist deee rahe hooo yaar sach main fatt gayi meri

Bhai aapne is wale main slogan ka wahi part dikhaya to jyada kuch bolne jesa to nahi hai kyu ki wo update bhi kaafi must or Thriller tha

And ab ye ladki iska kya lena dena slogan se aakhir slogan ne iske sath konsa kand k8ya hai jo ye ladki use khoj rahi thi but broo is ladki ke system main slogan ko kyu target dikhaya gya or kya ye ladki bhi Crimson ki tarah veer ko maarna chahti hai

Well broo ab bahut saare swaal hai or jawaab sirf aap ke pass hai or mujhe khusi hai ki aap ek baar fiir normal routine se update de rahe ho 3 din ke gap wale

Wese wolfi system ka raaz ko se arc main pata chalega ye to pata hai ki wo last main hai but konse arc main hai ye nahi pata

Or bhai veer or Crimson ko bhidao yaar dono kya hi tabahi machate hai har baar ki maza aajata hai sach main is story ke pehle ke action scenes to kuch bhi nahi

Crimson vs veer ki fight ke samne night walker ko bhi piche chor diya Thriller main maza aaya

Veer ko patharo se ab sirf ek hi awaj nikal sakti hai wo hai bhavna ki sirf bhavna ki pyaar or dulaar bhari awaaj main hi itni taqat hai jo veer ko dobara taqat de sakti hai

Veer ko uthna hoga sab ke liye pauapni family keliye keara and suhana soniya keliye or apni sabse aziz chizz apni maa bhavna keliye

Well super fantastic and rahasy may update tha

Wo to maine apane revo me likha bhi tha haa strength ke baare me galat tha apan :approve: ab ye chis other readers ko janna chahiye kuch ko chura kar jinhen pata hai :D

Lo ab ek or ke pas bhi system hai 😄😄😄😄😄 system system na rehekar koi laddu ho gaya hai jo sabme bat raha hai

Awesome to ab purani kucch gutthiya bhi suljhengi aur Veer ko sahayata bhi milegi. Kyoki dushman to already bahut bhari hai Veer par.

Awesome please abke update jaldi dijiyega.

Bahetareen update

Phone walla admi Crimson ho skta h
And ye ladki ka role important ho skta h sb story Me.

Bakki update msst tha
Suspense acha bn gya h
Akhir ab slogan arc ko kyu include kia h?

Mtlb kuch Esa chl rha h back side pe jo ab open hoga . Right?
Vo ladki Crimson arc me bhar aye gi?
Maybe ye bhi ho skta h vo veer ko join krle Crimson ko khtm krne me
Who knows?
Tum kya twist le aoo

Are bhaisahab ye kya bta Diya!!
Ekdum gazab ka angle dala hai story me with a Hawkeye view. Ab kahi veer aur tarashima ka bhi love hate relationship to nhi ho jaega chalu😭 Vaise uske paas bhi system hai wo bhi itne time se to fir how come uske senses itne strong nhi the ki wo khudse side ho jaae kab building girne wali thi. Befaltu me veer ko Bollywood hero wala kaam Krna pda.
Insab ke chakkar me bechare Eric ko to bhul hi gye😥 ekdum changa bhala aadmi kaha fass gya

Bahut badhiya update hai Bhai...
Akhir ye ladki hai koun or kisse dusmani hai...mujhe lagta hai iske pash bhi system hai....mere kheyal se crimson ko jo do baar piche se goli mari gi thi isi ladki ne mari thi....aur unknown caller koun hai..???
Waiting for next update

Kahavat hai 'Jor ka jhatka dheere se', par yahan to jor ka jhatka aur jor se laga, ye update to out of the world tha, figuratively hi nahi literary speaking bhi.

Ab yeh kiski talash me hai, koi jisne isko bahut chot pahunchayi hai, Veer - nahi, Crimson - shayad, ya koi aur.

Lagta hai phone wale ne usko us photoframe ya jiski wo khoj me hai, uske baare me bataya hai.

Saaf hai weh Slogan ke hideout ke baare me baat ker rahi hai. That means she knows Slogan.

Kaun hai us photoframe me, uski bahan, maa ya koi aur. hmmm...

Bahut koi karibi hai uska.

Pehle bhi likha tha ki koi Slogan ko phone kerke bata raha tha ki Veer is raste pe jarur aayega. Hum guess ker rahe the ki shayad yeh Pandit ka saathi ho. Lagta hai ki yeh bhi koi system wala hai.

To ladki ke paas bhi system hai. Ab to system ki bharmaar ho rahi hai. Lagta hai ki jaldi dusri duniya ki sair kerne ko milegi ya uske baare me pata chalega jiske log system chala rahe hain.

To Jassi ne bhi us ladki ko dekha. Kahin is wajah se uski shamat na aa jaye. Waise to is baat ko do mahine ho gaye hain, abhi tak to shanti hai.
Haha... pahadi wali ladki ke baare me pata to chala, lekin usase suspense aur badh gaya, aakhir weh kaun hai, kisko dhund rahi hai, aur wo photoframe me uska kaun hai. Pata nahi kyon lagta hai ki yeh ladki Veer ka saath degi.
Khair, agle update me dekhte hain ki kaise Veer Ushant Island se bahar nikalta hai, aur usko Eric ko bhi sath le jaana hai, he can't compromise Suhana. Veer ke ilaj ke liye Suhana to aa hi rahi hai.

Shandar jabardast jindabad.... finely something about the mysterious girl. Sath hi ek aur system ki hone ki aashanka. Aur baki apna veer to hai hi kutne me mahir.

Nice update

To slogan ko Veer ke bare mein batane wali Ladki Ka aakhirkar aapane introduction Karai Diya thoda Hi Sahi....

to ab dekhna yah hai kya Veer Ki Tarah ya usse bhi powerful system hai use ladki ke pass aur jo unknown aadami Ne use call kiya tha Lagta Hai Uske pass Bhi Koi system hai kyu ki Jiske pass system hai usko frame karna itna bhi Aasan Nahin Hai.. May be" Crimson" ho wo aadmi.

Yah mera ek anuman hai Ki is Samay is update ko Dene Ka Matlab yah hai Ki fir se use ladki ka introduction hone wala hai Jisne Veer ke Hathon slogan ki Hatya ki Sajish Rachi...

1.. kya vah ladki veer per lagatar Najar banae Hue thi.. ????kya hua ladki abhi Veer Jahan gaya hai use Jagah Se Koi Vasta rakhti hai???

2... kya Crimson bahut Pahle Se Hi Veer ko frem Karta Hua a raha hai???

3... kya Aisa ho sakta hai ki Kai Sare system Milkar Apna Apna player select kiye ho aur vah ek game Ki Tarah Khel rahe ho???

Mind blowing and awesome update bro 💗💗

Bahut hi shaandar update diya hai Werewolf bhai....
Nice and beautiful update....

Fantastic🤘😝🤘

Fantastic update you write well

Fantastic update

Excellent update bhai

fantastic story ..

BC suspense pe suspence

ab ye tisri ladki kaun hai
aur dekh kar lagta hai ki uske pass bhi system hai

Maine suna ki next mega update aane wala hai?
Subh kaam me delay kyu karna fir?

Mega update aane ki khushi me ek chhota sa review

Sweta aur bhavna ka cold war dekh kar maja hi aa gaya. Maine socha nahi tha bhavna aisa kuch karegi. I was like usko uska beta to mil hi gaya hai and she is mature enough to do something like this but ig we yet to explore her completely

Tej is such a cutie and her conversation sith her mom was just gold. Vo conversation ek dusra roop bhi dikhati hai tej ka ki she is shy just in front of her brother. Baki dunia ke liye she is completely different. I feel like arohi aur tej ki bonding bahut jabardast hone wali hai near future me

On the other hand kavya will be the center of her brother and sisters. Bahut fayda uthaegi vo chhoti hone ka veer se bhi aur i feel like tej se bhi. Bhumika ke sath en sabki bonding kaise hogi ye bhi dekhne wali baat hogi. Abhi to vo alag hi behave kar rahi hai aur mujhe jada kisi ke sath usko conversation yaad nahi hai

Exactly like an elder sibling vo sabko sabka kaam bata rahi hai aur samjha bhi rahi hai. Vaise to usne jada kuch galat nahi kiya tha veer ke sath except veer ko apna bhai manane se inkaar karne ke alava which according to me is worse than any physical pain but uska character development bhi bahut jaldi aur bahut acha ho raha hai

No about the clash

Crimson vaha lighthouse me mojud tha aur vo veer ko helicopter ke sath hi uda sakta tha lekin usne aisa nahi kiya jabki first clash me to vo usko marna hi chahta tha complete. Jate time kuch kaha bhi tha usne ki es baar bach gaya thode din aur jee le kuch aisa to fir lighthouse me kyu nahi mara when he had chance?

Fir last me bolta bhi hai ki abhi kuch aur hona baki hai veer ke sath. Kya vo marne se pehle uski image ki marna chahta hai?

Are ye japanese spy ka naam kyu yaad nahi rahta mujhe?
Jo bhi hirosima nagasaki the veer saved one of them aur eska positive impact to jarur padega uspar

Lekin ladki ko hi kyu bachaya?
Aap londo ke sath aisa bedhbhaav kyu kar rahe ho?
Veer humesha ladki ko hi kyu bachata hai londe ko kyu nahi?
Ek baar golu ko hi bachane gaya tha aur uska kya haal hua tha ye batane ki jarurat nahi hai
Aakhir kyu karte ho aap aisa?
Jawab mangti hai janta aapse

Mere last review ke reply me aapne kaha tha ki teen dominate karne wali ladkiya hai es story me aur ek abhi tak aae nahi hai

Aur jis tarike se aapne es pahadan ladki ki khubsurati dikhai hai mujhe aisa feel ho raha hai ki yehi vo tisri ladki hai

Ab sawal aata hai uske pass call kis se aaye?

Slogan ke pass vo gaye thi to vo ho nahi sakta, veer bhi nahi hoga, aur jo slogan ki gand faad raha tha phone kar karke aur jisko uska address etni aasani se mil gaya to mujhe to crimson hi lag raha hai

Aisa kuch ho sakta hai ki veer ne directly ya indirectly es ladki ki family ko nuksan pahuchaya ho aur crimson esko veer ke against use kar raha ho but fir vohi sawal crimson is fucking powerful usko ek ladki ki jarurat pad hi kyu gaye?

But as we can see eske pass bhi system hai aur ye arc crimson ke upar based hai to mera guess crimson par hi ja raha hai as that phone wala guy

Now bahut sare sawal chhod diye esme jisme se ek ka to guess work kar liya maine but baki sab ka kya karna hai?

Vo photo kiski thi?
Ladkiya apne papa se jada attached hoti hai to veer ne kon konse londe ko mara hai

Swati to nahi hai ye jo jinda hokar veer ki marne aaye hai fir baad me us se marvaegi?

Priya bhi nahi hai kyuki usse to slogan pahchan hi leta
Kaha gaye meri priya?

Aatish ki koe beti thi kya?
But vo etna bada to nahi tha ki uski beti aisi nikal jaye

Do conditions kon konsi thi?
Are mere bhai kuch to bata dete thodi hint hi de dete aise beech me kon latkata hai batana jara?

Thode dino ke liye underground ho jata hu jab ye arc khatam hogi tab hi vapas aaunga Kya pata thode bahut sawalo ke jawab mil jaye aur hume sonia aur arohi ke sath thoda quality time bhi

Thank you so much for fucking our mind with your brilliant writing bhai
Now as you promised give us a fucking mega update. Jada nahi 8k words se kaam chala lenge
Keep posting

fantastic update:dancing2:

Jabardastttt Updateeeee.

Yeh Crimson kis tarah ka banda hai. Apna puraa haath hi kaaat diyaa usne. Yeh toh ek tarah ka psycho hai.

Super duper update…👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼👏🏼

Ye dobar a update aaya hai slogan ka end tho phley bhi ho gya tha aur ldki ka jikr bhi ho gya tha fhir dobar q...?


Bohat he zabaradast lajawab update wah yar system wale character bohat hy Lagta hy is story me veer or crimson ke bad ek female character dekhna hy sab ke Pas ek SA system hy ye alag Alag waiting for next update

सबसे पहली चीज इस अपडेट से एक गलतफैमी मेरी दूर हो गई and i hope की वीर की भी जल्दी से हो जायेगी वो ये की system शायद एक दो लोगों के पास नही बल्कि बहुत से लोग के पास है बहुत सारे लोग है और common sense के हिसाब से देखा जाए तो सही भी है।

I mean वीर कब तक आम आदमी लोग से लड़ता रहेगा, एक normal human के बस की बात नही है की वो वीर का कुछ बिगाड़ सके। तो अगर कहानी को आगे बढ़ाना है तो ये जरूरी है की ऐसे लोग जो वीर की तरह से ही system रखते है, वीर की टक्कर उनसे हो।

तो जिस आदमी ने call किया था वो शायद वो भी शायद crimson से ही जुड़ा होगा, ये जो भी लड़की है ये ava और ग्रेस मार्टिन से जुड़ी है may be twin sister or just sister और फोटो फ्रेम में भी शायद उन्ही की तस्वीर है।

तभी crimson ने ग्रेस मार्टिन को देख कर कहा था की finally i found you

अगर फोन पर उन दोनो मांगो के बारे में कुछ पता चलता तो बहुत कुछ साफ हो जाता लेकिन फिर suspence creation करने के wolfie को थोड़ी ज्यादा मेहनत करनी पड़ती so मेरे side से इतनी Liberty है।

पर इतना साफ है की जब unknown guy ने उस लड़की को कहा की तुम किसी की तलाश में हो तो अंदर से gut feeling कह रही थी की grace martin की बात हो रही है। और ऐसा करने के लिए unknown guy को उसके system ने कहा होगा।

खैर unknown guy जो की मै मान कर चल रहा हूं की crimson से ही related है उसके और उस लड़की के बीच deal हुई होगी। लड़की को 2 काम करने होंगे बदले में वो उसे ग्रेस मार्टिन का पता बताएगा।

मुझे बस कुछ चीज़े समझ नही आ रही जैसे की सुहाना ava के पेरिस जाने पर ऐसा reaction क्यों दे रही थी, दूसरा crimson ava को kidnap क्यों कर रहा था, क्योंकि अगर उसको ava को मारना होता तो वही मार देता या ushant island में रखा था तब मार देता लेकिन उसने नही मारा वो बस वीर का wait कर रहा था, क्या वो ava को kidnap करने की deal किया था।



मेरे खयाल से system वाले unknown guy का उस लड़की को स्लोगन के पास भेजने का कोई खास मकसद होगा शायद सिस्टम के पास से दिया गया mission।
Slogan शायद crimson का target था

ये वो जगह जहा शायद वीर crimson या उस unknown guy के रास्ते में आ गया क्योंकि जब वीर crimson से मार खा रहा था तो ऐसा लग रहा था जैसे crimson वीर को मार कर अपने दिल का आग शांत कर रहा हो, क्योंकि भले ही ये लड़की को mission आया हो लेकिन उसको भेजने वाला तो crimson का पार्टनर था



ये वो जगह जहा शायद वीर को मारने के लिए crimson को कोई mission मिला हो, देखते है आगे क्या होता हैं ।

I guess अगले अपडेट में हमे वीर और परी के बीच के conversation सुनने को मिलेगा, कुछ राज पर से पर्दा उठा जाए शायद, उधर crimson का भी एक हाथ अलग हो गया है और वो घायल शेर की तरह वीर को मारने के इंतजार में है।

रही बात वीर की तो dgsi वाले charges जल्दी ही हट जाने चाहिए, i mean nolan अपने side से pressure create करेगा, terashima को भी शायद अपनी misunderstanding समझ आ जाए और सबसे बड़ी बात ava का बयान काफी important रहेगा। I guess इतना काफ़ी है उसके ऊपर से criminal charges हटाने के लिए।

अब मैं क्या बोल रहा था की वीर भी पेरिस में हैं और सुहाना भी यही है तो दोनों के बीच gulu gulu देखने को मिल जाता तो मजा आ जाता, जिस हिसाब से वीर बाबू मार खा रहे है अगर उनके नुनु में चोट लग गई तो सुहाना बेचारी अधूरी रह जायेगी

भाई बुरा मत मानना लेकिन मुझे लगा की अपडेट छोटा था और उसमे भी आधा स्टोरी back की cnp थी। मुझे लगा की थोड़ा और बड़ा हो सकता था,वीर के situation के बारे में थोड़ा जगह था

इंतजार रहेगी kaira के आने का, बहुत सारी expectations हैं उस अपडेट से i hope वो अपडेट बेहतरीन होगा और हमें नई kaira देखने को मिले

बाकी तो update के लिए धन्यवाद and
As always waiting for next update ❣️

Super update bro

Goosebumps all over!!! The last two updates are simply mind blowing! Really great way to connect the plots!!!

Ohho to ye hai wo madam but abi bi 1 suspense or kr dia iske paas system bi system hai
.
Lgta hai hai ab system ka RAAZ bi jldi dekhne ko milega
.
Update mast hai
.
Poorani yad taja krdi bhai or Raaz bi

Nice update janab

Mind-blowing update Bhai 😌😌

:wooow::wooow::wooow:उच्च स्तर लेखनी :wooow::wooow:

Nice Update Bhai.....

Nice and very confusing update abhi tak isske sar ko samajhne ki koshish kar raha hoon

Review aur replies padh ker maza aa gaya. Yeh dono to kisi aur level ke hain.

Bhai yeh jis ladki ka aapne varnan kiya hein woh vahi ladki he na jo kiara or sajana ki or sonia ki best frd hein jo khaai mein gir gai thi...!
I Thought...!🤔😜
Update ka toh kya kehna kataai zaher tha...!😍😲😱😰😬😵🤯

Beautiful update bhai

Iss update ko padhke man mastishq mein visphot hue aur dimaag ka bho*da ho gaya. Pehle 5 min bhowe tani thi ki bc ho kya raha hai agle 5 min dimaag sansana raha tha ki arey bc ye kya ho gaya Ek aur aa gayi.

Fabulous excellent fantastic outstanding performance update buudy ❤️😘😘😍❤️❤️❤️😍😘😘😘😍😍❤️❤️😍😘😍❤️❤️❤️


Ye to direct pichu hi chale gaye ju to...

Aur ohhh ladki kon hey aur isko jisne call kiya hey ohh sala kon hey 🤔🤔

Lagta hey ye slogan ka hi kiloi दुश्मन hey...

Aur kya is ladki ke pass bhi सिस्टम Type कुछ hey क्या 🤔🤔🤔🤔

Kya ohh crimson to nhi tha jo iss ladki ko call kiya tha 🤔🤔🤔

Aur apne jasi ने us ladki ka saya dekha hey...

OH bhi lekin confirm nhi hey ki ohh kon thi....

❤️😘😘😘😍❤️😍😘🎉😘😍❤️❤️😘😍❤️

Nice update

Sacchi me do bar update ka number check Kiya me phir samj aaya ke aap kya dikha rhe isme mast hai ek number suspension to ab open hoga is girl ka

bro flashback me bhi suspects 🤔🤔

Zabardast update

Superbbb Updateee


Mujhe aisa kyo lag raha hai Slogan ke paas jaane waali ladki Ava urf Natalia hai.

I think ki ab yahi ladki ka role hai kuch next update me, may be she will become a saviour of veer , who knows? And dono ko common bande ka mission mila tha toh may b they will connect again by the system.nice update but bhai we were too much curious about the continuing update and unfortunately it spoiled the mood and expectations instead of keeping it more interesting as you always do😒😒

Sandar jabardast jindabad bhut hi badhiya update....:VQ::VQ:

ये अपडेट ओल्ड के संग दिया।

एक बार लगा क्या लोचा हो गया

फिर लास्ट में जाकर पता लगा नही ओर ही नए राज है

Readers ko suspense me chor kar bhag Gaye bhai....🥺

System family badte ja Rahi hai....😀😀
Veer ki ek aur system relative aa gayi....😂😂😂

Abe ye kya update tha🤔...bhai itna unpredictable update toh aaj tk ni mila ju ki taraf se.. Ye flashback kya tha, I mean thode time ko lga jaise slogan wala update ju ne copy paste kr dia h yha pe😏..bs fark itna tha k isme wo Anjaan ladki thi..ab ye kaun h or wo aadmi kon tha use kaam dene wala or kya is ladki ke paas b system h kya🙄👀...sala kya ho ra h yha meko ghanta smjh ni aa ra.. Bc dimag ka bharosa kr dia ju ne🤦...or is baar sirf us flashback me hi update khtm kr dia koi or scene aya hi ni.. May be that's why ju ne update thoda chhota dia 😅😏...Well shi h waise b u became very persistent these days😌...baaki let's see wts gonna be happen in next update.. Jldi try krna coz ye update ki guthhi sulajhna bhot zruri ho gya h.. n rest of these things.. More love to u bro.😘.keep entertain us 😉❤️💯

Next update please

Great story

Wadia
Par thoda ajeeb laga ye wala update
Fr v dilchasp tha

another awesome update

First of all sorry for late review bro

Update ke bare me kiya hi kahe har bar ki trha amazing update tha bhaaya,
Finally pahar wali larki ka kuch raaz khula he but wo he kon ye pata chalna baqi he,
Aur 1 aur suspense agya ke jis ne us larki ko call ki wo kon he,
Aur larki kis ki talash me he,
Aur larki ke pass notification aya slogan ki death ka to kiya us ke pas bhi system he🤔
Aur jb veer aur wo larki 1 dusre ke samne honge tab kiya hoga,
Kiya us larki ka is arc me koi role he,
Aur jis ne phone kiya he us ka kiya maqsad he kiya wo koi villain he ya koi aur,
Buhat sare sawal hogye he jis ke jawab obviously aage hume mile ge,
Baqi update har bar ki traha mind blowing tha keep it up bro,
Lot's of love and respect ❤️🥰

crimsone ke baad jis ladki ki entry hui hai..jo slogan ke time par bhi dikhi thii...mujhe lagta hai..ye ladki system hi head ho sakti hai..aur veer ka asli muqabla jab bhi hoga is ladki se jaroor hoga...ye meri soch hai..baaki lekhak ke man me kya hai..wo lekhak hi jaan sakta hai...

Nice update

Kya baat nice update superb

स्लोगन की मौत के बाद सेकेंड टाइम उस लड़की का जिक्र आया है जो एक ऊंची चोटी पर दिखी गई थी। लेकिन वो जिक्र कोई नये इवेंट के साथ नही बल्कि उसी वक्त घटित हो रहे घटनाक्रम पर किया गया है। अर्थात फ्लैशबैक के माध्यम से दिखाया गया है।

लड़की कठोर बाक्सिंग प्रैक्टिस करती है। काफी खुबसूरत है। उसके कक्ष मे एक फोटोफ्रेम है जिसमे किसी की तस्वीर लगी हुई है।
उसके पास एक अननोन नम्बर से फोन कॉल आता है। वो उसे एक कार्य सौंपता है और अपनी एक डिमांड रखता है और उसके बदले वो तस्वीर वाले व्यक्ति के बारे मे उसे पुख्ता जानकारी देने का प्रस्ताव पेश करता है।

लड़की बेहिचक तैयार हो जाती है और वो भारत पहुंच कर स्लोगन से मुलाकात करती है।
इसके बाद का प्रसंग हमने स्लोगन और वीर के फाइट मे देखा ही था।
इस पुरे प्रकरण मे पहले तो यह समझ नही आया कि गुमनाम व्यक्ति ने लड़की को स्लोगन के पास क्यों भेजा ? जब उस व्यक्ति को पता ही था कि स्लोगन भारत मे फलाने जगह पर मौजूद है तो ऐसे मे लड़की को भारत भेजने का औचित्य क्या हुआ ?

लेकिन बाद मे हमने देखा कि जब स्लोगन , वीर के हाथो मारा गया था तब इस लड़की के पास भी वीर जैसा ही कोई नोटिफिकेशन आया था और वह था - " Death flag --- Target -- Slogan is dead.

यह बिल्कुल वैसा ही था जैसा वीर के साथ होता है। सिस्टम द्वारा दिए गए टास्क के पूर्ण होने पर।

बहुत सी चीजें ऐसी है जो इशारा करती है कि इस लड़की के पास भी वीर और क्रिम्पसन जैसा ही एक सिस्टम है।
1. बेइंतहा खुबसूरती।
2. फाॅरेन से भारत आना , फिर स्लोगन के गुंडों से अपना पीछा छुड़ाना , उसकी कार ड्राइविंग स्किल और उसे जरा भी थकान महसूस न होना।
3. एक लड़की का अकेले अनगिनत क्रिमिनल के बीच पहुंच जाना यह भी सिद्ध करता है कि उस लड़की को विश्वास था कि ये सभी क्रिमिनल उसका बाल भी बांका न कर सकेंगे।
4. वीर जैसा ही उसके पास नोटिफिकेशन आना।

यह लड़की भारतीय नही लगती। ये विदेश की धरती से भारत पहुंची और स्लोगन के मौत का आइविटनेस बनी।


एक चीज का कन्फ्यूजन और भी है।
अगर वीर के पास पहले से ही स्लोगन को मारने का टास्क मिल चुका था तब फिर इस लड़की के पास भी स्लोगन को मारने का नोटिफिकेशन क्यों आया ?
या कुछ और ही बात है !

लड़की को किसने फोन किया ? उसकी एक एक्स्ट्रा डिमांड क्या थी ? फ्रेम के अंदर किसकी तस्वीर थी और सबसे महत्वपूर्ण यह लड़की कौन थी !

वो व्यक्ति क्रिम्पसन भी हो सकता है या कोई और भी। फ्रेम मे ग्रेस मार्टिन की तस्वीर हो सकती है या किसी और की भी। लेकिन जो भी हो सस्पेंस बढ़िया क्रिएट किया हुआ है।

और यह सब वोल्फी भाई को करने देते है। जिसका काज वही साजे !
पर एक बात तो श्योर है कि इस अपडेट मे भी वोल्फी भाई ने शमा तो बांध ही दिया है।
आउटस्टैंडिंग अपडेट।
और जगमग जगमग भी।

Ye to back story hai alag view' se iska mtlb is ladki ke pass bhi system hai or i guess veer se jyada powerful hai abhi ye kahan hai or kahin isne hin to nat ko kidnap ke liye nhi bola ya sayad ye hin nat ho but ye nat nhi ho skti to phir ye koun hai

wo aise ki har system apne aadmi yani khilone ko full saport karega usko inna powerful banayega jisse wo baki system walon ko dhool chata de aur filhaal koi aur bhi entry kar sakta hai jiska system bahut bada wala ho mujhe to ek do login par sak hai ki wo bhi super power wale hain jinka naam aapne open nai kiya hai bhai jaise wo kheera kya bolte ho ab :?:

Werewolf bhai i have some question please answer when you have time. Aur ha yeh koi review nhi.
First one is that jo yeh nayi system wali ladki hai kya yeh story ki main heroine hai jis ke barre mien ju ne hint diya tha?

Yeh toh ju ne bataya nhi hai ki nayi system wali ka naam aur information khar woh toh aage pata chal hi jayega my question is that kya crimson ke upar goli issi system wali ladki ne chalie hai?

Update mien ju ne yeh dikhya hai ki nayi system wali ladki kisi ko dhund rahi right.
Jisko system wali ladki dhund rahi hai kya uss par bhi ek arc hai aage? Kya wo uss insaan ko veer ki madad se dhunde ki?

This is the most important question kya saare system ( abhi tak teen hi dikha hai veer,crimson, and new system girl aur inke alawa agar aur hai toh) kya yeh saare system inter-connected hai? Because I have a theory on it jese ki ju ne dikhaya hai update mien ki nayi system wali ladki ki screen par bhi Notification pop up hui thi jab slogan maara tha kya usses bhi koi mission mila tha ho pura hone ki Notification aayi thi? Aur kyu uss unknown insan ne system wali ladki ko phone aur slogan ke piche lagaya kya uss unknown insan ko koi mission mila tha?

Aur ek question yeh hai ki vo unknown insan kya crimson hai?

Aur ha abi itne hi question dimag mien aaye hai agar koi aur question puchna hoyega ko baad mien puch lunga bye!

System wali nayi laundiya aagayi ab bas uss photo wale I mean Uske Bhai ke aane ki kami hai (par wo to mar chuka hai n :hmm2: ) :roflol: Werewolf
:beer:aur rahi baat usse phone par order ya kaho to jabardasti kaam karwane wale ki to obviously wo crimson to bilkul nhi hai aur wo jo shakhs tha jisane ladki se wo sab krwaya may be wo issliye karwa paya kyuki uske badle wo usse kuchh batane wala tha kisi ke bare me ya kaho to jiski photo wo dekh rahi thi usse related kuch jo confirm crimson hai aur ab wo uske piche padeli hai khair ek aur chis jiski photo dekh reli thi wo baar baar wo confirm uska koi relative hi hai boyfriend ya lover to hone se raha to confirm uska bhai hi ho sakta hai :dontknow: jiska badala lene nikali hai aur ab crimson ke pichhe hai jo may be uske pic wale ka kuch lena dena ya katil ho anyways aage dekhte hai :beer: .

Yaar aap logon ne to aapas mein KBC khelna shuru kar diya
Khair jo bhi ho mera ek sawal hai ki kya Pranjal aur Madhuri ka Chapter bhi story me ayega ?

Zabardast update

Nice update

Let's start with the review... Is update mein poora focus uss pahaadi waali ladki par hi tha parantu saath hi ek aur vyakti, joki most probably chautha system dhaari vyakti hai, uska bhi zikra hua is update mein...

Pehli baat, jis tarah se boxing karte samay, bathrobe utarne ke samay aur Slogan ke dwara uska chehra dekhe jaane ke samay, uski khubsurti ka varnan hua hai, us hisaab se kisi khatarnak maal ki photo maangta hai apun uske character ke liye... :protest: Taking into note, she has system, so her appearance will become more & more breathtaking in the future, that's why, the celeb whose pictures you'll use, needs to be proper bomb! :shy: (I'm assuming ki Veer ke hi maafiq wo bhi apne stats badha sakti hogi, itna bhi dissimilar nahi honge sabhi systems, I think)... Btw. Ava ke liye use ki gayi pictures ke baad is waali se umeedein badh chuki hain... :approve:

Khair, ab baat karen, un chand baaton ki jo is update se samajh aayi to... Firstly, wo ladki India ki nahi hai, obviously Ava ki tarah ho sakta hai ki wo pehle Indian rahi ho, aur baad mein baahar chal di ho, but currently she's not an Indian resident. (She knows Hindi, can be a gift of the system just like Veer has). I think she was the one who shot Crimson while he was standing in front of Veer, to kaafi probability hai ki wo ladki France ki hi nivaasi ho. Secondly, she's desperate to find someone. Veer was desperate to find his mother, Crimson was desperate (was he?) to find the location of Grace Martin (?)... And this girl too? But who's she looking for? The unknown caller (probably 4th system holder), knew about her, knew about the person she's looking for and most probably that she's also having system! (That's why she was absolutely shocked when he revealed something)...

Coming back, he asked her to visit India, gave her the photograph and address of Slogan, and asked her to check whether he's alive or not (????)... I mean what the fuck is that? Obviously, this wasn't his only target, he was asking for two things, and the above mentioned was the first one... But koyi sense hai is baat ki? Jab wo khud hi Slogan ko phone karke uski gaand maar leta tha, to obviously wo zinda hi hoga, ab uski aatma to baat karegi nahi... So can we assume that she lied to Slogan? Wo wahaan uske adde par kuchh aur maksad se gayi thi ya kahun ki use kisi aur maksad se bheja gaya tha? :hmm2:

Secondly, when Veer went into the forest, and she stopped some meters behind the other cars (of Jassi-Raghu & Party), she said, "Idhar se Nahi ho paayega. I must be within a close distance"!!

Hmm..? Kya karna tha use? Did Veer kill Slogan? Did Slogan die by himself (by falling off the cliff)? Or She Killed Slogan? Was she using any skill or card or something like that which somehow got her involved in Slogan's ending? Cuz, when Veer doesn't complete his mission all by himself, his reward points are not awarded completely, they're deducted. In the recent one, DGSI's agents saved Ava, so I'm damn sure that Veer ain't getting the complete rewards (kuchh milega bhi ya nahi ye bhi guaranteed nahi hai)... Aise mein us ladki ko Death Flag naamak jo notification aaya jiske anusar "Target : Slogan Is Dead"... What was her Target? To watch Slogan die? Or Just the death of Slogan, by any means? Or she was to be the one to end him? Lots of questions have been ignited due to this update...

Algorithm(s) of the 4 systems which have been introduced till now, their possible interconnection, the connection of their hosts (if any), the similarities between the journeys/stories/pasts of the various hosts, and above all, the objective or aim of the systems? Is there some kind of race or shall I say tussle going on between the systems (Pari and her counterparts) to make their respective host, the real 'Baadshah'..? Kya Pari sachmein nahi jaanti baaki systems ki existence ke baare mein? Shayad uski kisi aur personality ko maaloom ho is baare mein... By personality I mean level... Veer hasn't reached a certain level where he can get information about other systems and their hosts? Crimson and the 4th guy might have reached there already, and that's why they knew about Veer and that girl respectively... :dazed:

This arc is going to answer certain questions but the secret of system and it's origin is the spine of this story, so I don't think it's gonna get revealed completely till the end... Maybe the last update? Last conversation between 'Baadshah' Veer and the vanishing (human form?) Of Pari..? Whatever..! For now, this pahaadi waali ladki is going to play a crucial role... What's her system's level? What's her motive? What's her role in the story? Is she Veer's heroine? Or she's going to be Veer's foe? Lot of questions but I think which side she'll be on, will be revealed soon, as I'm expecting Crimson's end will be possible only when Veer and she'll be on the same page... Because that guy is absolutely mental!!!! :cold:

Another great update man! Interconnection of two updates which are separated by such a huge number of updates in between them, speaks a lot about the hardwork and brainstorming that has been put in before the story even started. Kudos for that! :claps: The next update is highly awaited cuz Veer is currently under the rocks, well and true... :approve:

Waiting for the next one...

Bhai ek ladki jb golu tha to ek ladki car me thi us time bhi kuch aise hi baate thi wo kab ye ldki se link hai kya ?

system ki head ke matlab jiske paas sabse powerful system hoga. shayad ye ladki bahot powerful hai...shayad ye wahi ladki hai..jisne crimson par goli chalai hai..kyunki crimson ke paas bhi system hai...aur us ladki ke paas bhi system hai....ab system kiske paas sabse jyada powerful hai..ye dekhna dilchasp hoga

Update sir ji kab do ge

Outstanding update ❤️😘❣️🔥💞

Waiting for next update bhai

Hum kaphi aage nikal gaye he, koi na agle update me dekhenge what happened with VEER in Paris. Slogan period is finished. After long time readers see to KAIRA. Nice update but waiting for next.

Werewolf 👁️👀👁️😶‍🌫️🥵🤯🥳😰😨😮☹️🐺🐺🐺🐺🐺🐺पहले तो कुछ पल्ले नहीं पढ़ा, तुम्हारे उपर पूरा विश्वास आज पता चला कि वो साया कौन था...
मिशन notification इस लड़की को भी..
रहस्य पर रहस्य..
अगले प्रकरण के इंतजार में
💗 😍

Bhaaya pochna parta he pata chale bad me humara anuman galat hojaye smjh to agya tha ke us ke pas bhi system he but phr bhi pochna parta he

Next update ka wait kerte huye socha kuch aur comments de dun.
update 139 - outstanding, family moments showing all members and their nature and later Fighting at different level, bhibhats, daring, bas Veer ki jagah Christ ne Ava ko bachaya. So sad.
update 140 - Phadi wali ladki ka rahasya aisa khula ki weh apne saath bahut saare rahasya chhod gaya.
Summary -
1. Confirmed, system Veer, Crimson aur Pahadi wali ladki ke paas hai.
2. Phone wale/ wali ke paas chances hain ho, lekin pakka nahi hai.
3. Usne ladki ko ya to uske paas system hone ki baat batayi, ya fir jisko weh dhund rahi hai, uske baare me kuch, ya fir potoframe ke baare me.
4. Ladki ko keval pata kerna tha ki Slogan mara ya nahi, ye hi uska task tha. Lekin system ne use kyon notification diya. Arth, system se bhi usko ye task mila tha.
5. Phone wale/ wali ne dusra task kya diya, kya weh Crimson ko maarne ka tha, aur ladki do baar Crimson ko goli maarne ki koshish ker chuki hai.
6. Crimson ko nahin pata ki use kaun goli maar raha hai.
7. Crimson abhi Veer ko nahin maarna chahta, kyon. Kya system se use yeh task nahin mila hai.
8. Crimson Grace Martin ko kyon dhund raha hai. Kya Ava ko Crimson ne hi kidnap karaya tha ya kisi aur ne. Agar nahin, to weh Ava ka peecha kyon ker raha hai.
9. Mere khayal se Veer aur Pahadi wali ladki apni ek team banayenge. Veer ka to pata hai, maybe ladki bhi acchi ho, Crimson jaisi criminal nahin.
10. Update 141 me pata lagega ki Veer kaise island se nikata hai, Eric ko saath le kar, aur use Ava ko bachae ke liye kuch points milte hain ya nahin. Ya abhi tak task khatam nahin hua hai. Ava abhi bhi safe nahin hai, DGSI me bhi kuch locha hai.
11. Update 142 interesting hoga, usme Kaira jo hogi.
12. Aur, last me Veer ke pichwade ko kisne garam kiya hai, usko terrorist bata kar.
13. Kya pata last me yeh story kuch sci-fic na ho jaye jisme hame dusre planet ke logon ke baare me pata chale jo system chala rahe hain.
14. Kuch bhi kaho, story bahut interesting hai, full of thrill and mystery.

nice update. system ladki ke pass bhi hai ye aur bhi interesting ho gaya hai ab ye 4 logon ke pass hai ya 3 ke ye dekhna hai kyunki mujhe lag raha hai ki crimson ye sab bahut pahle se hi plot ker raha hai veer ke saath wo veer ke stats badhne de raha tha taki jab uski ladai ho to jyada maja aaye may be crimson hi ne slogan ko phone kiya ho aur us ladki ko bhi lets see kya hota hai, good one bhai

Inki mast nashili aankho me hawash najar arahi meko :beer:

And emotions

Update aayega Aaj Werewolf

waise jo veer ko car rokne wala jo mission mila tha wo kyun mila aur usme slogan ki car me ladki kaun thi wo bhi clear hoga kya bhai

Werewolf bhai, sabki aapni story hai, but ho na na ku nahi? Aapne suspence create kiya hai, aap he jano, itni awsome story? Kisi producer ki nazar nahi gayi ha? U wait.. Will get apprised!! 🥰🥰🥰🥰

Aur hoga bhi nhi... :cool1:

Wo itna bada update dete h...
kam se kam main kuch lines to likh hi sakti hu unke liye thoda sa time nikal k... :writing:

Ab aur jhatke mat dijiye... :pray:
Meri aapse guzarish h...
Aap dekh rhe ho na? Readers comprehend ni kar pa rhe ab... Baksh do hume... :pray:

Aise kon likhta h yrr?? Ladki k man me ding sound sunte hi aur uski pic dekh goosebumps aa gye... She has a system. There's no doubt in it.

totally mysterious update the ye... Socha tha veer ka haal dekhenge but it's okay... Thoda wait aur kar lenge... Lekin aap jo jhatke k baad jhatke de rhe ho... It's terrifying at this point... What did you eat when you were plotting this story...? :what1: It's pure madness. Update 75 ko achanak se kon link karwata h yrr???


What even scares me more is the detailing. The way both the updates got linked together. It's scary. The time in both the updates is actually the same. Same images. Same dialogues with behind the scenes as well.

Update 76 me Slogan mara gaya tha. Marte wakt usne shirt ki jeb se Swati ka wo paintbrush haath me liya tha. Aur ab 140th update me ye dekhne ko mila ki usne paintbrush apni coat ki pocket se nikal k shirt me rakh lia tha.

tabhi update 76 me shirt se nikla tha paint brush. The detailing is insane. :what1: Unfortunately main iss se zyada kuch catch ni kar payi... Specially ladki aur uska system...

wo waha unknown caller ki wajah se thi. But many secrets are hidden there as well... I'm sure of it...

Ab makn review next update k baad hi dungi. Ye review nhi h... This is just me getting scared. (In a good way.)

waiting for the another heaven shaking update...

Kab tak aayega update

Bohot mast


bhai next update kab ayega ???

Aaj update aayega kya? Last time Saturday ko aaya tha and Aaj 4th day hai?

bro update kb tk aayega?

Ghanghor....

Waiting .... 🙏💜


Awesome update
Love it

प्रणाम भाई सहाब 🙏

पहले तो माफी चाहूँगा कि आप को ऐसा लगा कि मैं अपने विचार प्रकट नहीं कर पाया
थोड़े परिवारिक मसले और निजी जिंदगी में काफी उलझने आ गई हैं बस मन इन्हीं सब बातों मे उलझ सा गया है
और ऐसा नहीं है कि आप के किसी भी अनुच्छेद को मैंने पढ़ा नहीं सब एक से एक लाजवाब थे मन बहुत बार हुआ कि टिप्पणी करू पर अशांत मन कुछ भी ना करने देता 🙏
भाई सहाब आप से बस माफी चाहूँगा अपने छोटे भाई को क्षमा करे
और सच कहूँ तो मैंने सोचा ही आप की इस कहानी पर टिप्पणी करने वाले इतने लोग हैं कि मैं ना भी करू तो क्या ही हो जाएगा पर आज आप ने मेरा नाम लेकर मुझे आम से खास बना दिया,
मुझे ना लगा था कि कभी कोई लेखक मेरी भी टिप्पणी पर नजर रखता होगा इस के लिए आप का दिल से आभार प्रकट करता हुं 🙏
और आप से वादा करता हूँ कि कुछ समय में मेरी टिप्पणी जरूर होगी आप के अनुच्छेद पर

एक बार फिर से आप से क्षमा मांगता हूँ 🙏 अपनी नादानी के लिए
Update 141 has been posted.
 

ruksanabegam234

New Member
69
204
33
Update - 141 ~ The Last Breath

Ab tak...

Magar, agle hi second woh saaya waha se gaayab ho gaya.

Aur idhar,

Raghu : Kya baat hai? Tu kuch pareshaan lag raha hai?

Jassi : Huh? N-Nahi! Kuch nahi! Chal!

'Akhir wo kya tha??? I'm sure mene uchaayi par wo saaya dekha tha. Kya wo koi jaanvar tha? Samajh nahi aa raha.' Jassi apne mann ki gutthi me uljha reh gaya.


Ab aage...

Ushant Islands~

“Urrrrghhhh~”

Ek dard bhari karaah unn bhaari vishaal pattharo ke neeche se aayi. Veer unke neeche daba hua tha.

Haddiya to Bone Reaper ke chalte sahi salamat thi parantu, unn pattharo ke bhaar se ho rahe dard ko kaise kam kiya jaa sakta tha?

Woh toh accha tha jo Veer ne neeche dabne se pehle turant Bone Reaper equip kar liya tha. Warna uski haddiyo ka choorma bann jaana tha.

[Master-!? Are you okay?]

Pari ki ek chinta-janak awaaz uske mann me aayi.

'Y-Yeah!'

Veer ne keh toh diya magar woh jaanti thi ki uske Master bilkul bhi theek nahi the.

Veer ke perro par bhaar bohut adhik tha. Ek perr bacha hua tha lekin dusra pattharo ke neeche tha. Uska seena aur ek haath bhi buri tarah unn pattharo ki chapet me aa chuke the.

'Meri fiqr mat karo. Mein kaise bhi kar ke baahar aa jaunga. Tum ye batao kya tumne kuch observe kiya?'

[I think I have figured it out Master.]

Pari kuch sochte hue boli.

'What is it?'

[Shayad mujhe pata lag gaya hai ki ye sab akhir chal kya raha hai.]

'Tell me!'

[Ye toh pakka hai ki aapko frame kiya gaya hai. Kisne kiya hai? Toh aapka guess bhi sahi hai. Uss Crimson ne hi hume fassaya hai.]

'I know that. Lekin kyu aur kaise?'

[Kyu ka jawaab mere paas abhi nahi hai Master. Lekin kaise? Uska zaroor hai. Hear me out!]

'Mein sunn raha hu!'

[I think ye Crimson-!]

'??'

[Ye Crimson hi House of the Killers ka rachayita hai. Isne hi House of the Killers jaise bade khatarnaak organisation ko banaaya hai.]

'Koi proof Pari?'

[Proof nahi hai. But meri thinking bohut strongly uski orr point out kar rahi hai. Kyuki ye Las Vegas me bhi tha.]

'Yeah!'

[Agar usse maarna hota to woh wahi maar deta. Toh maara kyu nahi? Answer is simple! He wanted to frame you! DGSI ko issi ne shayad aapke khilaaf galat info di hai.]

'Ohhh!'

[Remember the fake police?]

Pari ke bataane par Veer ko yaad aaya. Jab unn alleys me smoke bomb feka gaya tha aur Ava ka bodyguard jo zakhmi hua tha. Woh fake police ke kaaran hi hua tha.

'Shit!!! Mujhe yaad hai. Woh fake police-!!'

[Woh issi ne bheji hongi Master. Ye Terashima log tab waha hum par nigrani rakh rahe honge. Unhone jab police ko hamla karte dekha to unhe galat message chala gaya. Oh no!!! Ye mene pehle kyu nahi realize kiya?]

[Master! Isliye wo hamare peeche hai. Jab unhone dekha ki police shoot kar rahi hai toh unhe confirm ho gaya ki hum suspect hai. But these fuckers didn't know that they were fake police officers.]

'Iska matlab woh fake police ka hamla sirf mujhe suspect confirm karwane ke liye tha!?'

[Yes!!! Lekin kuch aur bhi hai-! Wo ye assume kar rahe hai ki Ava ko hum laaye hai. But that's not true. Unke haath kuch aur bhi laga hai Master. Crimson ne unhe koi aur jankaari bhi di hai. Lekin mujhe aur analyse karne ke liye samay chahiye. I'm sorry!]

'Nahi Pari! Tumne wese hi bohut kar diya hai. It's enough and- arrggh!!!'

[Maaasterrr!!!]

Veer ka dard ab badh raha tha.

[It hurts Master. I know! But please~ Stay Calm.]

Pari ki awaaz uske andar goonji toh wo apni saanson ko durust karne laga. Pari jaanti thi ki uske Master iss waqt kis haal me the. Uske bawajood woh khud ko shaant rakhi hui thi.

Yahi thi uski personality. Agar iss waqt Pari ki koi aur personality hoti toh pakke se panic mode me chali jaati. Magar, ye Pari alag thi.

[Yes! Breathe in, Breathe out!!!]

Veer lambi-lambi, gehri par santulit saansein lene laga.

[Mene aapke kandhe par lagi bullet waale ghaav ke blood flow ko rok diya hai. Blood loss se bachaane ke liye. But sorry, I cannot remove your pain.]

[Mein ek samay par aapki body me ek kaam kar sakti hu. Right now I’m focusing on your blood flow. Sorry Master! Agar mein aur capable hoti toh aapki sensory nerves par bhi dhyaan de deti. Kam se kam kuch dard kam ho jaata.]

‘You are more than capable Pari!’

[Master...!]

‘Mera dard bhale hi kam ho jaata, par damage ko toh nahi roka jaa sakta na?’

[Y-Yes Master! Body to aapki damage tab bhi hoti.]

‘Then what’s the point? It’s okay Pari! Dard se mujhe darr nahi lagta.'

[That’s-]

[Ye sab uss Crimson ke kaaran. He damaged your body too much. I can feel the pain too. Andhruni chot zyaada hai. Muscles aur tissues me baitha woh dard-!]

[But we will pay him back. Don't worry! As long as I’m here. I won’t let you die. Now listen to me-]

'Pari!!! Tum kitna kuch karti ho mere liye-!' Veer ne usse bolte waqt beech se hi kaat diya.

Uske achanak se aise bol sunn Pari maun reh gayi.

[???]

Veer ke mann me tabhi Bhavna ka khayaal aaya. Mall me jab uski mulaqat Louis se hui thi, toh Bhavna se phone par uski baat hui thi.

Aur uss call ke baad se Veer ki ghar pe kisi se bhi baat nahi ho paayi thi. Samay hi nahi mila tha usse.

'Ghar par sab chinta kar rahe honge.'

Ye soch usne ek gehri lambi saans li.

'Mein ab ek stupid move try karne jaa raha hu. Par wahi mujhe yaha se nikaal payega.'

[What?]

Usne apna ek perr apne dusre perr ke upar tike bhaari patthar par lagaaya aur agle hi shan-

"Haaaaaaaaarrrrrrgggghhh-!!!!"

[Maaaasterrrr!!!]

Woh apni sirf physical strength ka istemaal kar usse hataane ki koshish karne laga. Kintu, Pari bechain ho uthi.

[Don't do it! Please! N-No-!!! At this rate-]

Uska poora perr kaanp raha tha. Perr ki saari nasse phatne ko ho rahi thi. Usne apni bhar taaqat lagaayi.

[What are you doing?? Stop it!!!!! Agar aise hi strain badhta gaya toh-]

Magar woh na ruka.

"Nnnngghhhh-!!!"

Uska poora muh laal hone laga. Aur agle hi pal,

"Aaaaaaaaarrrggghhhh!!!"

*Splurt*

[Nooooooo!!!]

Veer ke perr me ghutne ke neeche, peeche ka maans ka hissa phat gaya.

Aise jaise tarbooj phatata hai. Muscle Tearing. Kisi ek jagah adhik strain se, adhik pressure se andhruni maanspeshiyo ke phatne ka darr rehta tha.

Veer ke saath bhi wahi hua tha. Usne apne jeevan me kabhi itna zorr nahi lagaya tha. Isse karne ke liye insaan ko kitna jazba chahiye hota tha, ye baat Pari bakhubi jaanti thi.

Apne Master ke uss jazbe ko dekh woh stabdh bhi thi par saath hi unki aisi haalat dekh usse dard bhi ho raha tha.

Zameen par khoon bikhar gaya. Veer ke perr ke peeche ka maans ka hissa latakne laga. Uske honth daato tale dabe hue the. Woh dard sehen karne ka prayaas kar raha tha.

Agle hi shan, bina samay gavaaye usne apna dusra perr zameen par tikaaya aur uski sahaayta se woh apne haatho ko churraane me lag gaya.

Dekhte hi dekhte usne ek ek karke sabse bhaari pattharo ko alag kar diya. Aur neeche se sarak-sarak ke woh jaise taise baahar aa gaya.

Atyant buri tarah ghayal ho chuka tha woh. Pari uske perr se nikalte khoon ko rokne me lagi hui thi. Kandhe aur perr dono hi jagaho ke blood loss par wo dhyaan de rahi thi.

[M-Master-!]

'Eric ko mein nahi le jaa paunga. Woh log usse kuch nahi karenge. Zyada se zyada jail me daalenge. Wese bhi wo behosh hai. Usse pehle infirmary le jayenge. Itna samay mere liye kaafi hoga Miss Suhana se keh ke usse baahar churraane ke liye.'

Veer ko tabhi building ki floor par se qadmo ki awaaz sunaayi padi. Aur unhe sunn uski bauhe chintan me sikud gayi.

[Yaha rukna theek nahi.]

Usne mud ke dekha to wahi raasta tha ab uske saamne jiske baare me Eric ne bataaya tha. Ye wahi raasta tha jiske agal-bagal pattharo ki deewaare thi. Parantu, woh sirf sunset ki sightseeing ke liye tha. Aage jaake raasta band tha.

Fir neeche samudra hi bas tha.

'Kuch derr hum waha chhip sakte hai. Kyuki building ki taraf jaana bewakoofi hogi.'

[Mmm!]

Ye soch woh aage badh gaya.

*huff* *huff*

Woh langda-langda ke chal raha tha. Uski saansein ukhdi-ukhdi aa rahi thi. Adhkhuli aankhein liye woh jaise-taise bas ghaseet raha tha khud ko.

Uski iss haalat ko dekh Pari jaise andar hi andar tootati jaa rahi thi. Par woh nishabd rahi.

Apne chotil kandhe par haath rakh woh haafte hue aage badhta raha.

Dheere-dheere woh raaste ke chhor par pohuch raha tha. Kaafi ujaala aa raha tha waha se. Chaand ki roshni thi uss khuli jagah par.



a128b2e66ae266573a4f748e4204ce0b


'Bas aa hi gaye!' Aur wo chhor par pohuch gaya.

Par waha pohuchte hi, usse apni zindagi ke sabse bade jhatko me se ek jhatka laga.

Uski aankhein felti chali gayi. Pari ka bhi wahi haal tha.

Kandhe par rakha haath uska apne aap neeche gir latak gaya. Aisa lag raha tha jaise wo kisi jung me apna sab kuch kho diya ho.

Kyuki agle hi shan, uske saamne ka manzar tha-

10 armed police officers apne hathiyaar liye. Ek seeking helicopter jo uske waha pohuchte hi hawa me udaan bhar uss par spotlight tainaat kar diya.



gettyimages-698836877-640x640

Andre aur Senior police officer jo helicopter me baithe usse ghoor rahe the.

[N-No-!! It cant be-!! Master-!!!]

Anjaane me woh ussi trap me aa chuka tha jo Andre aur team biccha ke baithe the. Ye Team C thi jinhe Chris ne Veer ko pakadne ka kaam saunpa tha.

Helicopter me khade Senior officer ne mic liya aur announce kar bola,

Senior Officer : Apne aap ko hamare hawale kar do. Yahi accha hoga tumhare liye.

Veer ne sarr upar kar uss Senior Officer ko helicopter me baithe dekha aur bola,

Veer : Apne aap ko hawaale kar du? Kis liye? Kisi ki madad karne ke liye? Ya kisi ki jaan bachaane ke jurm me?

Officer 1 : Ye kya bakwas kar raha hai?

Officer 2 : Pakad gaya hai na! Shayad pagal ho gaya hai!

Senior Officer ka munda wese hi thanka hua tha. Veer ka jawaab jaise usse aur gussa dila gaya.

Senior Officer : Bewakoof ladke! Tumko ghera jaa chuka hai. Apni galti maan lo aur surrender kar do. Chalaaki ki to goliyo se boon diye jaoge.

Veer : Tum logo ko koi galat fehmi hui hai. Apni agent Terashima se pucho! Ya fir Singer Natalia se. Mein unka bodyguard-

*BANG*

Veer abhi aage kuch kehta ki tabhi ek bullet uske perro ke paas aake zameen me dhass gayi.

Senior Officer : Apne saare hathiyaar feko. Aur haath upar kar khud ko hawaale karo.

[Woh maan'ne waale nahi hai Master. Just surrender!]

Veer ne apni baayi orr dekha. Ek lohe ki bench lagi hui thi baithne ke liye. Ahista-ahista woh uss orr chal diya.

Uske chalte hi dherr saari laser lights uske badan par tik gayi. Senior officer ne usse chetaavni di par Veer ko bench par baithata dekh usne apne officers ko shoot karne se rok liya.

Senior Officer : Surrender karte ho ya?

Veer : Surrender? Kis baat ke liye? Jab mene kuch kiya hi nahi toh-!?

Senior Officer : Tumhe last warning di jaa rahi hai. Tumhare khilaaf sab kuch hai hamaare paas. Surrender kardo warna-

[M-Master! Surrender kar dijiye! Warna yaha se nahi nikal payenge. Aur ye log maan'ne waale nahi hai. Kuch bohut badi galat fehmi hui hai. Crimson ne khel khela hai.]

'Surrender? Bina galti kiye? Never in my life I will surrender!'

[Maaaaastttteerrr! Samajhne ki koshish kariye!]

Veer ne punaah upar udd rahe uss helicopter me dekha. Aur tab jaake usse apne jeevan ka dusra sabse bada jhatka laga. Senior officer aur Andre ke alawa koi aur bhi tha jo maujood tha.

'It's you-!!!!!?'

Uski aankhon ki putliyaan achambhav ke maare felti chali gayi. Pari ki khud ki rooh kaanp gayi jab usne helicopter me khadi uss ladki ko dekha toh.

[N-No-!! It can't be-!!]

Aur Veer ko saara maajra samajh aa gaya. Uska sarr fauran hi jhuka aur uske facial expressions chhip gaye.

Woh ladki kahi aur hi dekh rahi thi. Kuch pal baad hi waha ek hassi zorr se goonj uthi. Veer pagalo ki tarah hassne laga tha.

Officer 1 : Y-Ye kya-!?

Officer 2 : Pakde jaane ke darr se paagal ho gaya hai.

Officer 1 : Sir? Kya hum usse seedha jaake nahi pakad sakte?

Senior Officer : Nahi! Uske paas hathiyaar ho sakte hai. Kahi bomb wagarah na rakha ho. Keep your distance. Surrender karwa ke hi maanenge hum.

Veer idhar bas hassta raha. Uski aankhein uss ladki ki aankhon se takraayi. Aur ek kadvaahat Veer ke dil me fel gayi.

Woh sarr jhukaaya.

Senior Officer : Agar tumne co-operate nahi kiya. Toh mein fire ka order de dunga.

‘Pari!’

[Huh?]

'Beowulf's Blessings ka kitna samay baaki hai?'

[Sirf 5 seconds hi bache hai uske Master.]

‘Alright then! Pari! Mein jo ab karne jaa raha hu…! It’s a bad move!’

[Wh-What? Ye aap kya-!?]

Pari ne agle hi shan Veer ke dimaag me jhaanka aur ye pata karte hi ki woh kya karne jaa raha tha, uska sanshay bhayankar darr me badal gaya. Aur pehli baar aaj,

[YOU FUCKING IDIOTIC STUPID MASTERRRR!]

Woh uss par baras uthi. Veer jaanta tha Pari ki ye personality kitni shaant thi. Par aaj woh uss par garaj rahi thi. Uss par gussa ho rahi thi, uss se naraaz thi, niraash thi aur sabse mehatvpoorn-

Uski parvaah thi usse. Aaj usme bhay bhi tha aur ghabrahat bhi.

[Why don’t you fucking understand? There will be no Pari without you. I will cease to exist. Aap me saanse hai toh ye Pari hai. Aap me jaan hai toh mujh me jaan hai. Aap zinda ho toh mein hu. Samajhte kyu nahi ho? For fuck sake just surrender. Aap ko nahi kho sakti mein. Why don’t you fucking understand this small thing? YOU ARE THE MOST IMPORTANT TO ME!!!]

Aur usne keh diya. Pari se ab raha na gaya. Usne apna ek raaz saamne rakh diya. Agar Veer apni jaan gawaata hai, toh Pari khud apna astitv hamesha hamesha ke liye kho degi. Veer se hi Pari khud hai.

Veer kuch derr tak shaant raha. Pari ka itna bada raaz bataana ye saboot tha ki woh kitni zyaada bechain thi iss waqt. Magar Veer ne uska jawaab na diya. Aur apni baat ko punaah rakha,

‘I knew it. Kahi na kahi mein ye expect kar hi raha tha. Par yaad hai na jab tum pehli baar mere shareer me aayi thi? I’m sure tum kisi aur ko apna host bana sakti ho. Aise me-’

[YOU FUCKING STOP THIS BULLSHIT OKAY? Mene kaha na! Woh sirf one time use ke liye energy thi. Ab mein uss tarah space me move nahi kar sakti.]

Lekin usne Pari ki baat ko beech me hi kaat diya,

‘Meri baat suno Pari! Mere jaate hi…! Consume my energy! I hope tumhe kam se kam kuch na kuch toh mil hi jayega mere shareer se. That will be enough for you to travel in air. Right? Tum ek naya host dhoondh sakti ho. Ek naya shareer! Koi mujh jaise stupid se behtar haha!’

[STOP IT! PLEEAAASEEE! I BEG YOU! YOU ARE NOT STUPID. You are my Master. Surrender yourself now!!!]

Iss baar uski awaaz ruwaasi thi. Veer khud iss baar aashcharya me reh gaya.

‘T-Tum-!!? Tum ro rahi ho? Haha! Mujhe nahi pata tha meri Pari mere liye kabhi royegi. It’s good to know before dying.’

[P-Pleaaasseee~ Listen to me! They won't kill you. J-Just surrender.]

'No! I won't! Ye bohut bada setup tha Pari. Tum bhi realise kar chuki ho. Hai na? It's almost impossible to get out of it. I think Miss Suhana bhi meri help nahi kar payengi-!'

[N-Nooo-]

Pari ki awaaz me lad-khadahat thi.

‘I’m sorry Pari!!’

[???]

‘Mein kabhi ek accha host na bann paaya tumhare liye. Kaash hamara safar aur lamba hota. Kitni baatein jaan’na tha tumhare baare me. Aur ghar me sab log. Woh abhi bhi soch rahe honge mein business tour par hu. Kaash sabse ek baar acche se mil paata. Juhi my cutie. Uske liye ek chocolate factory ka vaada kiya tha mene apne aap se.’

Bol woh apni kalaayi me bandhe uss kaale dhaage ko dekhne laga jo uski maa ne pehnaaya tha.

‘Maa! Ye dhaaga mujhe bacha na saka. Still! I love you! It will be a great memory to die with…!’

Usse apni maa ke bol bhi yaad aaye jo usne phone ke waqt kahe the.

“Jaldi aana beta!”

‘Shayad-!!! Ab nahi aa paunga Maa!!’

[N-NO!! Ye kya keh rahe ho aap? J-Just stop! I can’t let you go away like that. Mene kaha na aapke jaate hi mein nahi rahungi. Chaahe mujhe kitni bhi energy hi kyu na mil jaaye. A-Aap aisa kaise kar sakte ho mere saath? YOU UNGRATEFUL BASTARDDD! STOP IT NOW! PLEAASEEE!!]

Woh sarr jhukaye-jhukaye hi muskuraaya.

‘Pari I admit-!’

[!!??]

Uski aankho se iss baar ek aasu ki boond nikal uske gaalo se behte hue neeche giri.

‘I ADMIT…! TODAY! I HAVE LOST!’

Uske hontho par muskaan ab bhi barkaraar thi. Ye muskaan thi uss bodh ki. Uss aatm-samarpan ki. Aatm-samarpan unn saamne khade hue logo ke prati nahi. Aatm-samarpan sachhayi ke prati.

Woh jaan chuka tha ki aaj zindagi aur maut ke iss khel me woh haar chuka tha. Bhale hi derr se usse bodh hua par ho chuka tha.

Woh ek bohut hi badi saazish me phass chuka tha. Itni badi ki ab uss se baahar aana lagbhag naamumkin tha.

[N-No! You can’t die like that. M-Mein aapko kuch nahi hone dungi. Listen! I have a plan! Let’s just surrender first. Th-Then-]

‘Tumhe lagta hai mein surrender karunga?’

Uska sawaal sunn Pari maun reh gayi. Woh jaanti thi iska jawaab. Veer ke shareer me aane se pehle hi Veer ne kitni taqleefe jheli thi. Ajay aur uske saathiyo ne milke usse kitna maara tha. Uski koi galti bhi nahi thi tab. Parantu adhmare hone ke bawajood, usne apna sarr nahi jhukaaya tha. Maar khaata raha lekin jhuka nahi.

Jab woh bina system ke tab nahi jhuka, toh aaj inn namoono ke saamne kaise ghutne tek sakta tha woh? Bhale hi usne ek Raja ki tarah janm nahi liya tha. Par ek Raja, ek Baadshah ki tarah marr toh sakta tha.

Idhar Senior officer ne agle hi pal mic pe announce kar diya.

Senior officer : Since, you're not cooperating we're going to execute you-!

‘Pari!’ Veer fir muskuraya. ‘Humara waqt khatam ho raha hai. Saamne khade log meri maut ka intezaar kar rahe hai. So, let me say this one last thing to you.’

[!??]

Woh apne akhiri shabd kehne jaa raha tha. Pari hamesha usse shaant rehne kehti thi. Lekin abhi uski khud ki dhadkane kisi train ke maafiq chal rahi thi. Itna darr usse kabhi mehsoos nahi hua tha. Samay ret ki tarah uski mutthi se fisal raha tha. Aisa lag raha tha woh apni sabse keemti cheez kuch hi palo me khone jaa rahi hai.

‘Pari!’

[H-Huh!!]

‘Tumne mujhe ek naya jeevan diya. Tum mera hausla bann ke mera saath nibhaati rahi. Tumne harr waqt pe meri madad ki. Shayad ye meri acchi kismat thi jo tum mujhe mili. Warna mujh jaise insaan ko toh koi dekhna pasand bhi nahi karta tha.’

[M-Master!]

‘Tumhare kaaran mein kitne pyaare logo se mila. Miss Kaera, Miss Sonia, Miss Suhana. Maa se dobaara mil paaya. Teju dii! Maasi! Shweta Maa! Bhumika Dii! Arohi, Kavya, Dada jii! Suman aur baaki sab. Karan! Nidhi ma’am! Sab se…! You gave me motivation. Unfortunately, ab ye safar yahi khatam hota hai!’

[N-Nooo!]

‘Aur ek akhiri baat-’

[??]

‘I love you Pari!’

Bas! Veer ne fir aage kuch na kaha. Lekin woh Pari ki rundhe gale se nikalti hui zorr-zorr se sisakne ki awaaz sunn paa raha tha.

Achanak hi Veer ke agal bagal ka aura badalne laga.

*Ding*

[Intimidating Presence has been equipped.]

Iss baar usne sarr utha ke upar dekha. Helicopter hawa me ab bhi tainaat tha aur uski spotlight Veer par hi tiki hui thi.

Tamaam guns ki laser sights se laser ke laal-laal bindu uske shareer ke alag-alag ango ke pharchatte udaane ke liye taiyaar the.

Light house samudri tat se lage hone ke kaaran, waha ka vatavaran tezz hawaao se ghira hua tha.

Veer ke baal hawao ke saath lehra rahe the aur khoon se lathpath hone ke bawajood woh adab ke saath uss lohe ki bench par baitha hua tha.

Itne logo me woh akela tha, par wahi tha ek jiska aura sabse zyada taqatwar tha. Jo tej uski aankho me tha, waha khada harr aadmi ye dekh thoda bhay me chala gaya.

Tamaam logo ke hone ke bawajood bhi abhi unhe iss ek ladke ko dekh andar se darr mehsoos ho raha tha.

Ek aankh khuli ek band, sarr se behta khoon, kandhe par lagi goli, jagah jagah choto ke khooni ghaav, bikhre ghane baal aur perr se latakta hua maans. Kuch yahi chhavi thi Veer ki abhi.

Fir bhi waha khada aadmi uske iss roop se darr raha tha. Veer kisi ghaayal sher ki tarah lag raha tha unhe.

Uski nazre harr ek aadmi ko dekhte hue guzri aur fir usne ek buland awaaz me kaha,

“EVEN IF I DIE TODAY! I WON’T DIE BY THE HANDS OF YOU LAPDOGS.”

Uski awaaz light house ke poore samudri tat par goonj gayi. Log usse dekh uska mazaak udaane lage. Woh khud ko confidence dene ke liye ye kar rahe the. Andar se woh sabhi jaante the ki unke shareer ke ruye khade hue the.

“Hahaha! Ye ladka paagal ho gaya hai.”

“Shayad isse apni sthiti ke baare me pata nahi hai. Haha!”

“Itne logo ke beech ghire hone ke baad bhi iski aqal ab bhi thikaane nahi aayi.”

Woh ek dusre se French me bolne lage.

Veer nahi jaanta tha ki Crimson yaha maujood tha bhi ya nahi. Lekin fir bhi usne bolna jaari rakha,

“CRIMSON!!!!! AGAR AAJ MEIN MARTA HU, TOH MERI LAASH KO DEKH KE SUNISHCHIT KAR LENA KI WOH MERI HI LAASH HAI…! WARNA AGAR MEIN YAHA SE ZINDA BACHA…! TOH TUMHE WO MAUT DUNGA JO SANSAAR NE PEHLE KABHI NAHI DEKHI HOGI!!”

Kehte hue achanak hi Veer bench ki back rest par apna ek haath rakhe apne wazan ko leke peeche jhuka.

Bench uske wazan ke kaaran apni pichli do taango ke bal peeche ko jhool gayi. Par iske pehle ki woh peeche girta, Veer ne apna wazan aage ko jhuka diya.

Aur iss baar bench waapas se apni position par aayi lekin ab Veer ka bhaar aage hone ki wajah se bench iss baar apni agli do taango par jhool gayi.

Iss se pehle ki Veer aage ki orr girta, usne punaah apna wazan peeche kar diya aur yu lagataar aage peeche karne ke baad, bench bhi uske bhaar ke chalte peeche jaati aur fir aage aati.

Aisa lag raha tha Veer ek rocking chair par baitha ho. Bench ke yu aage peeche dolne ke kaaran Veer ne ek motion bana liya tha.

Waha khade logo ne jab usse ye karte dekha toh hairat me reh gaye.

Ek armed police cop Veer par gun aim kiye upar helicopter me baithe senior officer ki orr dekha aur pucha,

“S-Sir? Kya hum shoot kare?”

Senior officer : Nahi! Behtar hoga hum isse zinda pakde. Agar zinda na pakad paaye, agar woh hamaare liye khatra banta hai, tabhi shoot karna hai. Let’s just see woh kya kar raha hai. Wese bhi woh yaha se kahi bhaag nahi sakta. Situation hamare haatho me hai.

Officer 1 : Okay Sir!

Sabhi Veer ki harqato ko jigyaasa se dekh rahe the. Aur bas uske surrender karne ka wait kar rahe the.

Senior officer ne mic haatho me liya aur Veer ko firse chetaavni di.

“Tumhare paas bas 30 seconds hai! Seedhe tareeqe se apne aap ko kanoon ke hawaale kar do. Warna-”

Par Veer toh jaise uski chetaavni ko ek kaan se sunn dusre se nikaal raha tha. Uska poora dhyaan uss helicopter me baithi uss ladki par tha.

Uska shareer ab bhi aage peeche jhool raha tha. 20 seconds guzar gaye.

10 seconds bachte hi officer ne mic par countdown karna shuru kar diya.

“Ten”

Veer abhi bhi bench par jhool raha tha.

“Nine”

Koi jawaab nahi!!

“Eight”

Veer ki aankhein uss ladki par hi thi.

“Seven”

Ab bhi koi harqat nahi.

“Six”

Par 6 hote hi, jaise hi iss baar uski bench aage ko apni do taango par jhooli,

“Five”

*DING*

Achanak uski aankhein crimson laal ho gayi.

[Beowulf’s Blessings has been activated.]

Neeche apne perr tikaate hi, uska haath jo bench ki back rest par tha, usne poori taaqat se usse aage kheencha aur agle hi pal,

*Wuh-psssh*

Woh bench hawa me 360° flip hone lagi. Time jaise slow motion me chala gaya. Samay achanak se dheeme ho gaya unn sab ke liye.

Bench hawa me flip ho rahi thi, aur ussi ke saath Veer ka haath usse pakadne ke liye taiyaar ho raha tha. Saath hi uske hontho par haiwaano waali ek muskaan chadhti jaa rahi thi.

Aur waha khade logo ki aankhein hairat ke maare felti jaa rahi thi.

Bench ke sahi angle par flip hote hi Veer ne agle hi shan uss poori bench ko apni hatheli khol ek haath se jhatt-se usse jakad liya aur uske dono perr zameen par sthirta se tik gaye.

*Whoosh*

Woh turant baayi orr palta.

Sab kuch itni jaldi hua ki logo ki aankhein saamne hue drishya ko process hi nahi kar paayi.

Ab waha khade kuch logo ke dimaag ko samajh aa raha tha ki kyu ye ladka bench par aage-peeche dol raha tha. Veer yu hi nahi aisa kar raha tha. Woh jo motion bana raha tha woh tha~

Periodic motion.

Uss bench par usne hi ye motion banaaya tha. Apne perro ko zameen ke virudhh le jaake apne bhaar se bench ko jaan-boojh ke aage peeche kiya gaya tha. Newton ke second law ke chalte woh asaani se dol sakta tha agar ye rocking chair hoti.

Par woh rocking chair nahi thi. Isliye Veer ko apne bhaar ka istemaal karna pada.

Periodic motion bann’ne ke kaaran jab Veer ne usse fir ekdum se apni Beowulf ki taaqat se kheencha, toh bhaari lohe ki bench yuhi hawa me flip ho gayi. Aur uske flip hote hi Veer ne usse thaam liya.

Uss ek chote se pal me unn sabhi ki saansein atak gayi thi. Senior officer ne jaise hi ye dekha woh chillaaya,

“THIS BASTARD!!! SHOOOOOOTTTTT!!!”

Woh dahaad lagaaya aur uske garajte hi,

*BANG* *BANG* *BANG*

*RATATATATATATA*

*BANG* *BANG* *BANG*

Dhada-dhad kar ke goliyaan barasna shuru ho gayi. Par tab tak Veer hawa ke jhoke ki tarah kayi feet ek jhatke me laangh chuka tha.

“THIS MOTHEFUCER!! KILLLL HIMMMM!! SHOOOOT THATTT BASTARDDD DOWNNN!!”

Helicopter hawa me muda aur uske neeche lagi gatling gun ne andha-dhundh firing shuru kar di.

Goliyo ki bauchhaar se waha ki deewaare aur chattaane ke chithade uddne lage. Veer ki gati itni tezz thi ki woh aage badhta jaa raha tha aur goliyaan uske nikalne ke baad khaali zameen se bhid rahi thi.

Officer ka countdown bhale hi beech me band ho gaya ho, lekin Veer ke Beowulf ka countdown chalu tha. Maatra 2 seconds hi baaki the uske deactivate hone ke liye. Ye uska akhiri daav tha.

Dimaag lagaate hue cops ne aim Veer ke aage kiya aur iska abhaas hote hi,

Veer ne apne haath me li hui uss bench se apne aap ko dhak liya. Bench usne dikhaave ke liye thodi uthaayi thi.

*BANG* *BANG* *BANG*

*KLANG* *KLANG* *KLANG*

Bullets jaa ke uss bench se takraane lagi, par kuch thi jinse Veer khud ko bacha na paaya.

*Squelch*

“Arghh!”

Ek uske perr ko cheer ke andar ghus gayi.

*Squelch*

“Urghh!”

Aur dusri uski baah ko.

Fir bhi woh ruka nahi. Senior officer ko jaise hi iss baat ka abhaas hua ki Veer ka maqsad kya hai, uski aankhein bhay ke maare fel gayi.

“Th-This bastard!!! K-Kill him!! KEEP SHOOTING! Bach ke bhaagne na paaye woh. BLOCK HIS PATH.”

Par tab tak derr ho chuki thi.

2 aur bullets Veer ke shareer ko lagi. Beowulf band hone waala tha, magar uske band hone se pehle hi, Veer ne uss uchaayi se ek lambi chhalaang maar di.

*DING*

[Beowulf’s Blessings has been deactivated.]

Ye sab kuch unhi 5 seconds me hua.

“NOOOOOOOOO!!!”

Senior officer apna gala phaad gusse me chillaaya.

Idhar samudri tat ke neeche khaayi thi. Sagar ki ufanti lehre uss chattaan se aake bhid rahi thi. Veer usme kood gaya.



200

“SEARCH HIM!! Zinda bachne ne paaye woh. He must be killed now! SEARCH EVERYTHING! KEEP SHOOTING!”

Helicopter udd ke aage badha aur Veer ke doobne waali jagah par lagataar paani me fire karne laga.

Bullets paani me ghus friction ke chalte dheemi ho rahi thi aur apni trace chorrte hue andar jaane lagi.


f5bb52800bcaf9fbb8dda41f2e8171d1

Veer ke shareer par ek antim bullet uske seedhe seene ko aake cheer di.

Woh neeche girta gaya. Bullets ab uss tak na pohuch paayi. Dheere dheere uski aankhein band hone lagi. It was the end.

[MAAAAAASTEEERRRR!!!]

Aankhein band hone se pehle uske mann me bas ek hi khayaal aaya,


tenor-1

‘Just why?? Ava!!’

Aur uski aankhein band ho gayi.

***

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*


e-1

‘I’m sorry…! Veer!’

Aur udhar Mumbai me Ragini ke ghar me, apne kamre me laiti Bhavna achanak bechaini ke chalte bistar par uth ke baith gayi.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi.
Update consists of 5k words.

Dhanyavaad!

Idhar upar udte helicopter me uss ladki ke baal hawa me lehra rahe the.

Tabhi uske mann me ek awaaz aayi,

*DING*
 
Top