- 14,790
- 103,177
- 259
Last edited:
Bhai total 145 like hue hai Targetto achieve nhi hua hai but hum log kya kar skte hai kuch log story padh kr bina like kiye hin chale jate hai unka kya kre. Bhai
Jabardasti to nhi bol skte hai kuch guest I'd use krte hai usse bhi like nhi hota hai to isi wajah se kum hua hai 151 update main to 160 like hai isme bhi ho jaega Bhai
ajj ap update de dijiye bhai
Kaarya pragati par hai.अपडेट आएगा क्या
Aowsome bhai moj kr diUpdate - 153 ~ Heart Palpitations
Ab tak...
Kritika ko uske ghar drop karne ke baad jab Veer Nidhi ke Ghar aaya. Toh abhi woh darwaaze par hi tha jab uske mann me-
[My my~ Finally!!!]
Ek behad ho uttejit kar dene waali awaaz uske andar goonji.
'Huh!!??'
[Hmm? Such polluted air. So weak... Hmm!!! Ohhh!??? Oh my!!! Am I going to serve you? What should I call you? Master? Or.... My little sugar baby??]
'What!??'
Ab aage...
Jab Veer ne yeh awaaz suni, toh uske jaise perr ladkhada gaye. Ye kya bakchodi thi? Pari ne aaj tak iss tarah se kabhi bhi bartaav nahi kiya tha.
'Pari?'
[Hmm?]
'Tum Pari hi ho na?'
[Oh! Is there any doubt? I'm of course 200% yours and only yours, the most lovable and precious Pari.]
'Yup! It's confirmed. Tum Pari nahi ho!'
[Huh!?]
Veer ne ek thakaan bhari saans li.
'Iss baar kaun si nayi personality hai?'
[Is that what she told you? *smiles*]
'Huh? Kya matlab?'
[My other personality. Kya usne hi ye bataya tha?]
'Ye bataya tha matlab? You mean-!'
[I mean, ki alag alag personalities hai meri? Hmm?]
'Isn't that what's happening?'
[Oh! Yes! Fufu~ Yes! Indeed!]
Pari ki awaaz behad hi kamuk thi, jo Veer ki peeth me uske ruye khade kar rahi thi. Use aisa lag raha tha maano jaise Pari hontho par muskaan bikhere iss waqt use nasheeli aankhon se dekh rahi thi.
'Mein tumse baad me baat karta hu.'
[Oh sure! Sure, my little baby-]
'I'm NOT your baby! Okay?'
[Then, become one! I'll keep you with utmost care and love.]
'Fuuuuccckkkk!!! What the hell? Pehle waali Pari ko abhi se miss kar raha hu mein.'
[Ohh! Missing her already? Well, don't you worry! I'll give you so much pleasure and ecstasy of love that you'll forget her within a few days. Allow me to-]
'SHUT UP!!!'
Veer mann me hi zorr se garja. Ek lambi saans lete hue usne darwaza khola aur andar chala gaya. Par jaate jaate, uske mann me Pari ki awaaz zaroor reh gayi,
[My my...! Such a wild young man you are! I won't be hasty then. Sooner or later, you'll start calling me - 'Mommy!' Fufu~ ♡]
Veer ki aankhein bas hairaangi me fel gayi. 'Mommy'?? What the fuck was going on here?
Woh idhar andar aaya hi tha ki,
"Maaaaamuuuuuu~"
Uski pyaari sabse chaheeti nanhi si Juhi daud laga ke uske paas aake uske perro se chipak gayi.
Veer ki jaise saari thakaan aur chintaaye use dekh ke hi gaayab ho gayi.
Veer : Aa jao aa jao! Meri pyaari Juhi!!!
Juhi : Maaaamuuuu~
Veer ne use fauran hi goad me uthaya aur uske gaal par pyaar se ek pappi li. Toh wahi Juhi ne bhi wahi kiya. Apne maamu ke gaalo ko choom kar woh agle hi shan apni farmaish rakhne lagi,
Juhi : Maamu!? Mere liye chocolate nahi laaye?
Veer : Laaya hu na! Dherr saari chocolates laaya hu aapke liye Paris se.
Juhi : Paris? Paris kaha hai?
Veer : Hamare India se bohut dur!!!
Juhi : Toh chocolate kaha hai?
Veer : Oh-no! Woh toh mein laana hu bhul gaya. Aapki mummy ke saath aa gaya na, toh chocolates ghar par hi reh gayi.
Juhi : Chocolate chahiye~!
Veer : Theek hai! Toh, aap ruko! Mein leke aata hu ghar se. Okay?
Juhi : Niii!!!
Veer : Kya hua?
Juhi jab zorr se uss se chipki toh Veer samajh gaya ki woh kya kehna chaah rahi thi. Woh chaah rahi thi ki Veer kahi nahi jaaye. Use chocolate bhi chahiye thi, par apne Veer maamu ko kahi jaane bhi nahi dena chaahti thi.
Veer (smiles) : Ab ghar nahi jaunga toh chocolate kaise aayegi Juhi? Huh? Ghar toh jaana padega na?
Juhi : Mangaa lo na!! Kavya didu mere liye le aayengi. Aap ni-!!
Veer (smiles) : Tumhari Kavya didu khud Arohi didi ke saath gayi hai ghar abhi. Woh nahi la payengi. Ruko accha!
Veer ne apna phone nikala aur seedhe Balhaar ko call kar diya.
Balhaar : Hello? Haan, Boss!
Veer : Apna ek ladka mere ghar par bhejo. Mera number de dena use aur ye bhi keh dena ki mujhse baat kare.
Balhaar : K-Kya hua Boss?
Veer : Nahi nahi! Kuch nahi hua! Sab theek hai. Mujhe bas thoda kaam hai.
Balhaar : Ohh! Samjha! Abhi bhejta hu!
Veer : Hmm!
*Call ends*
Agar iss waqt Jacky yaha khade hoke ye nazara dekh leta toh pakke se apne hosh hi kho baithata. Veer yaha Mumbai ke Don ko phone kar ke uss se ye kaam karwa raha tha ki uske ghar se underworld ka ek aadmi jaake chocolates leke aaye.
Shayad hi kabhi kisi middle class family me kisi bacchi ke liye ye sab kiya gaya hoga. Par, akhir Juhi thi toh uski apni. Uske liye toh Veer kuch bhi karne ko taiyaar tha. Fir ye choti moti baatein bhala woh kaha gaur karne waala tha.
Balhaar ka ek aadmi turant hi Veer ke ghar se chocolates pick kiya aur seedha Nidhi ke apartment me aa gaya.
Veer ne jab use dekha toh use aashcharya hua,
Veer : Tum??
Saamne aur koi nahi, Jacky hi tha. Uske hontho par badi si muskaan saji hui thi.
Jaise ab se woh koi bhi mauka nahi chhodna chaahta tha chaploosi karne ka.
Jacky : Hahaha! Mein wahi tha Sir! Boss ko jab pata chala ki ek aadmi bhejna hai, toh mene kaha ki mein jaata hu na. Isi bahaane pichli harqat ke liye dobaara maafi bhi maang lunga. Hahaha!
Veer : Ohh! Well! Mujhe sirf chocolates se matlab hai.
Jacky : Ye rahi Sir! A-Aur ye rahi kuch aur chocolates aur kuch cake aur pastries, thode chips aur kuch cold drinks bhi hai.
Veer : Huh??
Juhi : Cake~
Veer : Mene toh ye sab nahi mangaya tha.
Jacky : Hahaha! Ye sab meri taraf se hai.
Veer : Nahi! Mujhe nahi lagta Juhi ko-
Juhi : M-Maamu! C-Cake~
Jacky : Hahaha! Choti bacchi ko chahiye hai Sir. Le lijiye. Mein itne pyaar se laaya hu.
Veer ne ek jhatke me unn samaano ko check kiya. Jab usne dekha ki sab kuch normal tha toh usne woh sab accept kar liya. Idhar uske ye sab lete hi Jacky ne ek raahat ki saans li.
[Such love huh~ Kya mujhe kabhi iss qadar pyaar nahi karoge? Hmm? C'mon! Say it! Say 'Mommy I love you!' Fufu~ ♡]
*Cough* *Cough*
Pari ki nasheeli awaaz sunn, Veer ko achanak hi thaska lag gaya. Control karte hue usne Jacky ko jaane kaha aur Juhi aur samaan ko leke woh andar aa gaya.
Andar jab Nidhi ne itne saara samaan dekha toh woh hairaan reh gayi.
Nidhi : Arre baap re?? Ye sab kya hai?
Veer : Ahem! Y-Ye-! Ye-
Juhi : Ye mere liye maamu laaye...!!! Hai na maamu???
Nidhi apni bacchi ki baat sunn Veer ko aise dekh rahi thi jaise ek patni apne pati ko tab dekhti hai jab woh apni bacchi ko ek mehnga sa samaan kharidwa deta hai.
Uski bauhe jaise puch rahi thi ki ye sab laane ki kya zaroorat thi bhala?
Veer : Woh-! Sabke liye hi hai.
Nidhi : Itna saara!??
Veer : Y-Yes!
Nidhi (sighs) : Tum dono bhi-!
Woh haar maan ke andar kitchen me chali gayi. Na jaane kyun par aaj usme ek alag si urja aa chuki thi. Mann vyakul bhi tha, praffulit bhi. Kuch samajh nahi aa raha tha use ki ye kis tarah ki anubhuti thi. Saansein kuch tezz si thi. Magar dil atyant hi khush tha. Na jaane kyun!
Veer aur Juhi aapas me TV dekh snacks ko saltaane me lage the. Toh wahi Nidhi bina iss baat pe gaur kiye Veer ke liye kuch accha khaane ke liye banaaye jaa rahi thi. Aaj uske haath kaafi raftaar se chal rahe the.
Jab woh khaana bana ke baahar aayi toh usne dekha ki-
TV on thi. Juhi Veer ke seene ke upar peeth ke bal laiti so rahi thi, aur Veer sofe ki back rest par apna sarr tikaaye aankhein band kiya hua halki neend me jaa chuka tha.
Usne dekha ki Veer ka haath kaise Juhi ke pait par bandha hua tha, taaki neend me woh kahi gir na jaaye.
Jo kasi hui lakeere Nidhi ke maathe par saji thi, woh agle shan hi ye manzar dekh narm pad gayi aur uske hontho par ek halki muskaan fel gayi.
Kintu, agle hi pal use kuch ghante pehle ki baat bhi yaad aayi.
'I want you!'
Awaaz uske mann me goonji. Narm lakeere fir se kass uthi. Ye theek nahi tha. Veer ka woh sab kehna mazaak me chalta hai. Par jis tarah se usne kaha tha, woh kahi bhi mazaak nahi lag raha tha.
Iss baare me uss se baat karni zaroori thi. Nidhi ne ek gehri saans lete hue ye baat apne dimaag me alag kar ke rakh li. Jald hi woh Veer ko samjhaane waali thi.
Dinner ka waqt hote hi Shreya bhi office se ghar aa chuki thi.
Shreya : Arre???? Veer??
Woh aage aayi. Veer sofe se utha toh woh aake uske gale se lag gayi. Ek choti si sadharan hug hui dono me. Aur yuhi baato ka silsila shuru ho gaya.
Dekhte hi dekhte Veer ke almost sabhi exams ho gaye. Bas, ek akhiri paper baaki tha uska. Veer tab se hi Nidhi ke ghar thehra hua tha.
Aur uski gerr-maujoodi uske apne ghar me sabko mehsoos ho rahi thi. Ghar par Tej chinta me apni maa se apni shikayate rakh rahi thi,
Tej : Mom! Use ab ghar aa jaana chahiye. Woh aisa kyu hai? Hamesha ghar se dur rehta hai. Abhi toh aaya tha Paris se. Aur ab-
Bhavna (sighs) : Tumhe ek baat samajhni hogi Tej.
Tej : Kya?
Bhavna : 20 saal tak hum uske saath nahi the. Uss ghar me bhi use utne acche se rakha nahi gaya. Uska asli ghar tumhe pata hai kaun sa hai?
Tej : Ye waala?
Bhavna : Ye waala toh hai! Par saath hi- Uska dusra ghar hai uski ma'am ka ghar.
Tej : K-Kaise? I know woh unke yaha pehle raha hai par-
Bhavna : Sirf rehne se ek ghar ghar nahi ho jaata Tej. Ek vyakti ko ghar jaisa kab mehsoos hota hai? Jab use chaar deewaari me reh ke logo se pyaar mile.
Tej : ...
Bhavna : Saath saath khaana, saath me uthna baithna, aana jaana, hasi mazaak karna, baatein karna. Zaahir hai Veer ne tab Nidhi ke sang reh ke ye sab experience kiya hoga. Uska dil Nidhi ke ghar ko apna hi ghar maanta hai. Isliye, aisa socho ki woh ghar hi lauta hai apne. Aur bas kuch hi dino ki toh baat hai. Woh aata hi hoga.
Tej : M-Magar-! Agar woh mauka hi nahi dega... Agar mujhe mauka hi nahi milega uske saath reh ke pal bitaane ka. Toh kaise chalega mom? Mein chaahti hu mera aur uska rishta aur accha ho. Sabse best ho. Hum saari baatein share kare. Hamare beech koi bhi jhooth vooth na bola jaaye. I want him to-
Bhavna (smiles) : Tej!!!
Tej : Huh??
Bhavna : Beta...! Hoyega! Sab hoyega! Dhairya rakho! Hmm? Samay do thoda beta. Jaldbazi se kuch hasil nahi hoga. Balki, ulta bigdega. Samay do! Sab apne aap theek hota jayega. Veer aur tumhara rishta pehle se hi mazboot hai. Chinta karne ki zaroorat nahi.
Tej : I get it!! *sighs* I will take things slowly then.
Bhavna (smiles) : Mmm!
Tej baat samajh toh gayi thi. Lekin, fir bhi jaise uska antarmann jald se jald hi sab kuch paana chaah raha tha.
Veer ghar par ho rahi baato se anibhigya idhar raatri me Nidhi ke ghar me hall me sofe par laita hua tha. Uski baatein mann hi mann Pari se ho rahi thi.
'Oh c'mon! Mene tumse kaha hai na ki ye harqate band karo. Pehle waali Pari ki tarah behave kyu nahi kar sakti tum?'
[Uss se itna pyaar? What's wrong with me?]
'Everything! Ahinda se ye 'mommy' wagarah ki baatein nahi karna. You got that?'
[Why? I want you to be my sugar baby. Alright! Let's have a deal.]
'What deal?'
[I'm an expert in relationships. Ek baar mujhe mauka deke kyu nahi dekhte. If everything works out fine, you'll call me 'Mommy!']
'Bilkul bhi nahi! Aur kaise relationships? Meri toh koi gf bhi nahi hai.'
[Exactly! And it's high time you should make one. Or maybe even two? Or three? Hmm??]
'That's-!!'
Pari ki baat par Veer apni soch me ghum ho gaya. Waqai! Uski koi bhi gf nahi thi. Woh din bhar itni aurto aur ladkiyo se ghira rehta tha magar uske bawajood uski koi bhi girlfriend nahi thi. Badi hi ajeeb baat thi ye.
'Fine! Maan li tumhari baat!'
[Hmm? *smirks* Really?]
'Hmm! Agar tum meri help karti ho. Aur waqai meri koi girlfriend banti hai. Th-Then-'
[Then? *smiles*]
'Fuccckkk this!!!! Nahi! Mein tumhe Mommy wagarah nahi bulaane waala. In fact, I'll make you call me Master!'
[Ohh! Ohh my!! Getting wild huh? I see! Interesting! Very interesting. Ye kuch naya hai. Dekhti hu mein bhi. How you'll make me submit.]
'Don't bet on it! Just wait and watch. I'll make you submit. Soon...!'
[Oh! I forgot-!!! Kuch notifications reh gaye the. Let me display them.]
*Ding*
[You have received 2000 fame points.]
'Huh? Ye kisliye?'
[Paris me fame mila tha. Jo yaha tak pohuch gaya. It's for that my honey~ ♡]
'Ahem! I see! Aur ek baat batao. Tum itne dino tak kuch boli kyu nahi?'
[Because it was very important. I was doing something.]
'Huh? Important? Aisa kya bhala?'
[Jaanana chaahte ho mein kya zaroori kaam kar rahi thi?]
'Yes!!!'
[Then listen!]
'Hmm!'
[I was-]
'????'
[I was-]
'Bolo bhi...!'
[I was- *smiles*]
'???'
[Sleeping!!! (◡ ω ◡) ]
'...'
[ ( ꈍᴗꈍ) ]
'...'
[ (´ε` ) ]
'YOU FUCKING PIECE OF-'
Woh zorr se mann me garja. Magar, iss se pehle ki woh Pari ko suna paata, use kisi ke aane ki aahat mehsoos hui.
'Huh?'
Raat ke 12:30 baj rahe the. Hall me bas ek chota night bulb jal raha tha jiski roshni me Veer harr roz soya karta tha.
Aahat paate hi usne palat ke dekha toh uske saamne Nidhi maujood thi. Khule baalo ke saath night gown me woh behad kaamuk prateet ho rahi thi.
Veer sofe par uth ke baith gaya.
Veer : Aap... yaha? Kya hua?
Nidhi bina kuch kahe bas aayi aur uske saath sofe par baith gayi.
Veer (frowns) : Sab theek toh hai na?
Nidhi (nods) : Hmm!
Jab Veer ne sunishchit kar liya ki sab theek hai toh woh punah apne andaaz me laut aaya.
Veer (smiles) : Kya meri itni yaad aa rahi thi aapko? Jo yaha tak chali aayi?
Nidhi (sighs) : Veer!!!
Magar, Nidhi gambheer thi. Veer jald hi apne ghar lautne waala tha. Yahi sahi waqt tha uss se akele me baat karne ka.
Veer : What is it?
Nidhi : Mujhe tumse kuch zaroori baat karni hai.
Veer (nods) : Okay! Kahiye!
Nidhi uski taraf muh ferrte hue boli,
Nidhi : Dekho Veer! Mein jaanti hu! Ye umr kaisi hoti hai. Iss age me- Ye sab hota hai. Attraction, infatuation ye sab laga rehta hai. Aur hume na-! Hume na ise sahi jagah lagana hota hai.
Veer : Eh?
Nidhi : Tumhare saath bhi hota hai. I know! Koi nayi baat nahi hai ye. Sab ke saath hota hai. Magar, ye sahi nahi hai Veer. Ye tum bhi jaante aur baaki sab bhi jo experience karte hai. Aur ise lekar hume mazaak me bhi nahi chalna chahiye. Right?
Nidhi jo jo bol rahi thi woh Veer ke sarr ke upar se jaake nikal raha tha. Ye Nidhi ma'am bhala kis baare me baat kar rahi thi?
Woh aage badh Nidhi ke ekdum qareeb aaya aur-
*sniff*
Usne uske chehre ke paas soonghne ka prayas kiya. Uski iss harqat se Nidhi ekdum se peeche ho gayi.
Nidhi (blushes) : K-Kya kar rahe ho?
Veer : Aap drunk toh nahi ho. Fir aisi behki behki baatein kyu kar rahi ho?
Nidhi (blushes) : Tum...!
Veer : Saaf saaf kahiye ma'am. Kyuki mujhe koi idea nahi hai aap kis baare me baat kar rahi hai.
Nidhi : Anjaan mat bano Veer! Tum jaante ho mein kis baare me baat kar rahi hu.
Veer : Nahi! Hargiz nahi!
Nidhi : Tum...!
Veer : ???
Nidhi : M-Mein-! Mein uss din ki baat kar rahi hu.
Veer : Kis din ki?
Nidhi : Jis din tumhare paper shuru huye the.
Veer : Hmm! Toh? Usme kya?
Nidhi : Tumne mujh se kuch kaha tha.
Veer : Kaun si baat?
Nidhi (frowns) : Tumhe kuch yaad nahi?
Veer bewakoof nahi tha. Woh ab jaan gaya tha ki Nidhi kyu bechain thi aur kis baat ko lekar chintit thi.
Veer : Yahi ki, 'I want you?'
Nidhi : Haan! Tumhe koi hosh bhi hai? Tum kab kya bol rahe ho? Mein tumhari ma'am hu Veer. Tumne zara bhi nahi socha mere baare me ye bolne se pehle?
Veer : Mein aapke baare me hi soch raha tha jab mene ye kaha.
Nidhi : H-Huh!!?
Nidhi chakit hoke use dekhi tabhi itne me Pari ki awaaz Veer ke mann me aayi,
[Do you need her or want her?]
'Hmm?'
[Give me an answer!]
'I-I need her!!'
[Hmm! *smiles* Need or want me farq hota hai. If you need her. Then, uska matlab hai ki woh tumhare survival ke liye zaroori hai. Uske bina tum reh nahi sakte. Jaise insaan khaana, paani, hawa ke bina nahi reh sakta. Ye uski need hai.]
'...'
[Lekin, I want you! Ye sirf ye darshata hai ki tumhe woh chahiye hai. Tum uske bina bhi jee sakte ho lekin woh tumhe apne manoranjan ke liye chahiye. Jaise insaano ka mehnge mehnge kapde aur gaadiya khareedna. Befaaltu ki cheezein. Samjhe?]
Veer sab samajh chuka tha. Aur ye bhi samajh gaya tha ki use Nidhi ko 'I want you' nahi 'I need you' kehna chaahiye tha.
Nidhi : Veer! Meri baat dhyaan se suno-
Veer : I need you!!!
Nidhi : Huhhh!!!!
Veer : Jo mene pehle kaha tha woh galat tha. I wanted to say - 'I need you!'
Sirf ek shabd se hi vaakya ka poora matlab badal chuka tha. Jaha pehle woh vaakya thoda thes pohuchane wala lag raha tha toh wahi ab woh aur bhi zyada romantic maalum pad raha tha.
Nidhi ke gaalo par jo sharm ki parat chadhi woh Veer andhere me theek se dekh toh nahi paaya, magar uski khamoshi ne ye zaroor bata diya tha ki vaakya ka asar kuch na kuch toh hua hi hai.
Nidhi (sighs) : Tumhe ek girlfriend bana leni chahiye. Iss umr me badi aurto ke prati attraction hota hai Veer. Bas wahi ho raha hai tumhare saath.
Veer : Ye sirf attraction nahi hai ma'am. I-
Nidhi ki saansein achanak hi itni tez ho gayi ki uska seena zoro se upar neeche hone laga. Veer kya kehne jaa raha tha? Kahi woh-!?
Veer : I love you!!!
*Badump*
Aur wahi hua. Nidhi ka dil itni zor se dhadka ki laga jaise baahar hi aa jayega. Uska apna student uss se 'I love you' keh raha tha.
Nidhi bechari ko samajh nahi aa raha tha ki kya kare. Use thappad maare ya samjhaye? Kuch nahi soojh raha tha.
Dono ek dusre ko bas dekh rahe the jab unhe kisi aur ke aane ki aahat sunaayi di.
Nidhi ghabra uthi. Kahi Shreya toh nahi-!? Kya sochegi woh unn dono ko aise akele ek sofe me saath baitha dekh ke?
Veer bhi jaise Nidhi ke mann ki baat samajh gaya aur turant hi-
*Clasp*
"Ahn~"
Usne Nidhi ko sofe pe giraya aur uske upar lait ke chaadar usne apne upar se odh li.
Shreya washroom jaane ke liye uthi thi. Woh washroom ki taraf chal di. Aur idhar aaj pehli baar -
Veer apni Nidhi ma'am ka jism mehsoos kar raha tha. Woh gadraya badan uske neeche machhli ki tarah machal raha tha.
Kya khoob tarasha gaya tha iss jism ko. Veer ko harr woh golaayi mehsoos ho rahi thi. Nidhi ke uroz uske seene me dhass rahe the. Uske jism ki khusboo jaise use deewana bana rahi thi.
Veer ne apna chehra uske gale ki orr le jaate hue kaha,
Veer : I really need you ma'am!
Nidhi : V-Veer!!! Chorro!! Chorro mujhe jaane do! Tum paagal ho gaye ho kya?
Aur usne Nidhi ki gori si gardan ko choom liya,
*Puch*
"Ahnn!!!"
Bechari woh jaise tadap ke reh gayi. Poori hairaan aur ghabraayi hui. Uska badan jhatke maar raha tha. Aur Veer, nirantar uski gardan ko choomne aur chaatne me laga tha.
"H-Huh!!! Nngh~ V-Veer!!!!"
Garam badan aise fafkaar maar raha tha jaise cooker ki seeti baar baar upar uthne ka prayaas kar rahi ho.
Veer ka haath upar uth ke achanak hi jab uske than par aaya. Abhi ek than haath me aaya hi tha ki-
*Chataaaaaaakkkkk*
Nidhi ne ek zordaar chaata use raseed ke maar diya. Woh ye karna nahi chaahti thi. Magar ye zaroori tha. Jitna dard Veer ko ho raha tha iss waqt gaal pe utna hi dard Nidhi ko bhi apne dil me use maar ke ho raha tha.
Kyu? Woh ye hargiz nahi chaahti thi. Lekin, Veer ne uska saamne aur koi upaay hi nahi chorra tha.
Veer ne use dekha. Nidhi bechain ho uthi. Magar, thappad khaane ke baad bhi Veer ne kuch na kaha use. Uska haath apne haatho me liya aur-
*Puch~*
Veer ne usi haath ko choom liya jis se Nidhi ne use maara tha. Aur Nidhi haar gayi. Uski aankhon se aansu nikalne lage. Veer ki iss harqat ne jaise use poori tarah ehsaas karwa diya ki usne thappad maar ke kitna galat kiya.
Yahi mauka tha. Veer ko zorr se dhakka deke woh uske neeche se uthi aur seedha apne room ki orr bhaag chali. Bistar par aate hi, Juhi ke bagal se lait usne apne sarr se chaadar odh li.
*Badump* *Badump*
Dil ki dhadkane itni zorr se dhadak rahi thi ki Nidhi ko khud woh sunayi pad rahi thi. Ye sab kya ho gaya? Ye sab nahi hona chahiye tha. Woh inhi vichaaro me leen ho gayi.
Jab yaha-
*Click*
Darwaza khula aur washroom se Shreya baahar aayi.
Veer chup chaap apne sofe par lete sab kuch jo abhi hua uske baare me soch raha tha jab Shreya ka saaya uske muh ke upar pada.
Veer : ???
Shreya : Veer?
Veer : Hmm?
Shreya : Jaag rahe ho?
Veer : Hmm!
Woh ek baar punah uth ke baith gaya. Shreya ahista se uske bagal se aake baithi.
Veer khud bhi Shreya se baat karna chaahta tha. Kayi dino se woh observe kar raha tha ki jaise Shreya kuch chhipa rahi thi.
Veer : Mujhe bhi aapse baat karni thi.
Shreya : M-Mujhse?
Veer : Hmm!
Shreya : Oh! Kaho na!
Veer : Kayi dino se dekh raha hu. Aap kuch pareshan si lag rahi ho. Aap kuch chhipa rahi ho hum sab se. Hai na?
Shreya ne jab ye baat suni toh woh hairaangi me Veer ko dekhi.
Shreya : T-Tumhe kaise-!?
Veer : Mein dekh ke samajh jaata hu ki baat kya hai. Ab bataiye! Kya hua hai?
Shreya jo na jaane kab se kisi se apni baat saajha karne ke liye betaab thi use aaj Veer ke roop me jaise woh vyakti mil hi gaya. Aur ye khushi milte hi uski aankhon se aasuo ka baandh toot pada. Jhar jhar kar uske gaalo se aasu behne lage.
Shreya : Veeeeeeeerrrr!!
Woh aage badh ke zorr se uske gale se lag gayi aur sisak sisak ke rone lagi.
Veer : Hey! Hey! Kya hua hai?
Shreya use kass ke bheenche hue thi. Kuch derr yuhi Veer se lage rehne ke baad woh uss se thoda peeche hui aur bolna shuru ki,
Shreya : Veer! Ab kaise kahu tumse? Meri samajh nahi aa raha hai.
Veer (frowns) : Kya kisi ne kuch-
Shreya : Nahi! Kisi teesre ki koi baat hi nahi hai.
Veer : Toh?
Shreya : Meri job tumne lagwayi thi. Jiske liye mein tumhari ehsaan-mand hu.
Veer : C'mon! Aap usko ehsaan ke roop me dekh rahi ho? We are friends. Aren't we? Toh isme ehsaan kaisa?
Shreya : Fir bhi-!
Veer : Nope! Agar aapne ise firse ehsaan ka naam diya. Toh mein bhi aapki kisi bhi madad ko ehsaan ke roop me hi lunga.
Shreya : N-Noo! Please!
Veer (smiles) : Toh fir ab se Aisa mat boliyega. Okay?
Shreya : You-!! You are so kind Veer!!!
Veer : Ab baat bataiye!
Shreya (sighs) : Yes! Baat darasal aisi koi badi nahi hai. It's just-
Veer : Hmm?
Shreya : Mein...! Ho sakta hai ye tumhe hurt kare lekin ye sach hai. Veer! I- I don't like my job!!!
Shreya chup hoke Veer ke reaction ka wait karne lagi. Kya Veer ko bura laga? Ek toh usne hi mehnat se dhoondh ke uski job lagwayi thi. Aur ab uske hi muh pe ye kehna ki job bekaar hai. Shreya vichlit ho uthi.
Magar, agle hi shan-
*Pffttt*
Veer : Hahahahahaha!
Veer hass pada. Aur bechari Shreya confuse ho gayi.
Shreya : ???
Veer : Bas itni si baat? Sirf iske liye aap itne dino se mujhse baat karne me hich-kicha rahi thi?
Shreya : *nods*
Veer : Oh god!! Aap bhi na!? Arre mujhe pehle hi bata diya hota. Kya baat hai? Job me kya dikkat hai?
Shreya : Job buri nahi hai Veer. It's just- Woh mere liye nahi hai. Mein shuru se hi YouTube ki duniya me jaana chaahti thi. Magar, jaa nahi paayi. Mujhe paiso ki zaroorat thi. Dii ke liye. Isliye tab desperate thi. Aur ye job accept kar li mene.
Veer : Hmm!
Shreya : Lekin, ab jaise jaise din guzarte hai. Lagta hai ki mujhe yaha nahi hona chahiye tha. Magar, mein iss se baahar bhi nahi nikal sakti. Kyuki, di ki madad nahi ho payegi fir. Fir kya kamaungi aur kya ghar kharch par laga paungi.
Jab Shreya ne YouTube ka zikr kiya, toh Veer ko kuch yaad aaya.
'Pari!!! Path 1 ko firse dikhana zara.'
Uske itna kehte hi Path 1 firse uske saamne tha.
Usne Path me jaise hi neeche dekha. Uska anumaan ekdum sahi tha. Shreya aur Aabha dono ka naam tha uss Path me. Yaha tak ki ab Louis ka naam bhi nazar aane laga tha. Kyuki Veer uss se mil jo chuka tha France me.
YouTube brand?? Iska matlab-!??
Veer ka dimaag itni tezz chala ki use fauran hi sab kuch samajh aa gaya. Profit Path kitna kamaal ka tha, iska andaza lag gaya tha use. Iss path ne kitne pehle hi sab kuch bata diya tha.
Veer : Mere paas aapke liye ek behtar idea hai.
Shreya : Hmm? Kya?
Veer uski orr aage badha aur uske kaano ki taraf aake dheere dheere usne bolna shuru kiya. Shreya ke chehre par kahi khushi jhalak rahi thi toh kahi chinta.
Jab baat samaapt hui toh woh hadbada ke uth khadi hui aur uss se dur jaake deewar ke saamne jaa pohuchi. Chinta me woh apne haatho ki ungliyo ko tatoli jaa rahi thi.
Shreya : M-Magar- Kya ye sahi hoga?
Veer (smiles) : Aap chinta mat kariye! Mein hu na!
Shreya : L-Lekin! N-Nahi! Mein iss tarah yaha sab ko aise chorr ke nahi jaa sakti. Nahi Veer! Ye sahi nahi! Khaas kar dii ko. Juhi! Woh dono mere bagerr kaise rahengi? Unhe meri madad ki zaroorat padegi.
Veer : Aapke yaha aane se pehle bhi toh Nidhi ma'am sab akele hi manage karti thi na?
Shreya : P-Par! Pehle unke saath sirf Juhi thi. Ab unke saath Dhruv bhi hai. Woh chota hai bohut. Akele do do baccho ko woh kaise-!?
Veer : Unke liye agar mein ek trustworthy maid lagwa du toh?
Shreya : Huh!!!?
Veer (smiles) : Toh bataiye? Kya jawaab hai aapka!?
Shreya : I-! Nahi! Mein ye kaise? Ye toh mera swarth hua.
Veer : Ye kyu nahi sochti ki baad me aap apni di ke liye aur bhi behtar kar paogi.
Shreya : That's-!
Veer kuch derr tak use dekhta raha aur fir uthate hue bola,
Veer : My condition is still valid. I hereby declare that I will sponsor you!!!
Uske kehte hi Shreya ki dhadkane tezz ho gayi. Veer ke plan ke baare me sunn ke hi woh betaab aur utsuk thi.
Aur plan tha ki~
Veer use sponsor karne jaa raha tha. Shreya YouTube ki duniya me jaana chaahti thi toh Veer use wahi de raha tha. Saath hi Aabha ko bhi usne shaamil kar diya tha usme. Path 1 me dono ke naam saath me the.
Aur Aabha ka sapna kya tha?
Duniya ghoomna! Traveling uska shauk tha. Kadi ko kadi se milaane me Veer ko samay nahi laga. Woh jaanta tha use kya karna tha.
Travel Vlogs!!!
Ek teer se teen nishaane!
Pehla toh Shreya ko woh sponsor karne jaa raha tha. Jo bhi equipments Shreya ko lagne the. Camera se leke traveling bags tak. Unn sab ka kharcha Veer uthaane waala tha. Fir chaahe woh airplanes ki tickets ho ya fir unke kapde latte. Woh sab kuch karne waala tha.
Dusra ye ki Aabha ka sapna poora hone jaa raha tha. Aabha uski slave thi, aur uski khawaisho ko poora karna ye Veer ki hi zimmedari thi. Aur teesra ye ki-
Jaise hi dono YouTube ki duniya me famous hoyengi. Woh dono hi uske liye tagdi asset banane waali thi.
Veer : Itna sochne ki zaroorat nahi. Balki, Nidhi ma'am khud yahi chaahengi ki aap apni zindagi apne way me jiyo. Aur mein toh hu hi yaha ma'am ki madad ke liye.
Shreya ki iss se pehle kabhi kisi ne itni madad nahi ki thi. Uske saamne khade iss bande ne kya kuch nahi kiya tha uske liye. Uski dii ko uss haramzaade Rajat ke changul se bachaya. Divorce ke 50 lakh diye usne jiska bhaar abhi tak unke upar tika hua tha. Uski khud ki naukri lagwayi aur ab ye-
Chaah ke bhi Shreya apni dhadkano ko shaant nahi karwa paa rahi thi.
Veer (smiles) : Do you accept now?
Woh kuch na boli. Bas roti rahi. Aur turant hi aage badh uske gale se lipat gayi,
Shreya : K-Kaise kahu ab aur kuch *sniff* Bolo? Tum itne acche kyu ho? *sniff* Tumse jab pehli baar mili thi toh lagta tha tum awara gardi karne waale ek aur aam ladke hoge. Magar- *sniff* I was wrong! *sniff* Thank you! Thank you so much Veer!!! I-
Veer (sighs) : There! There! Calm down now! Chinta ki zaroorat nahi. Aapki life hai. Apne way me hi jiye ise. Hum sab hai yaha.
Shreya ki pakad uski gardan par kass ke mazboot hui. Woh apne perro ki ungliyo ke bal upar uthi aur-
*Puch*
Veer ke gaal par usne apne gulaabi honth rakh diye.
'???'
[Ohh! My!! Hold her waist! Right now!]
Pari ki awaaz par Veer ke haath apne aap uski patli kamar ke ird gird bandh gaye. Aur jaise hi Shreya ko ye ehsaas hua, uska josh aur bhi badh gaya.
Veer ke haatho ko apne haath se chheete hue woh ungliyo ke bal khade hoke aur upar ko hui aur uske gaalo par apni chummiya barsaane lagi.
Idhar Pari andar hi andar muskaan liye baithi thi. Jaise woh jaanti thi ki uske nirdesh ka asar kabhi galat nahi ho sakta.
Magar-
Koi tha jo andar ke kamre se ye sab kuch hote dekh raha tha. Nidhi ki nazre hall me night bulb ke neeche do jismo ko aapas me lipte ghoor rahi thi.
Dard aur peeda! Achanak hi uske dil me uthi. Aisa laga jaise kisi ne khanjar uske dil me ghused diya ho. Ye dard! Itna khatarnak tha ki uss se ek pal bhi dekha nahi gaya.
Woh apni chaathi par haath rakh waha se mudi aur apne bistar par lait gayi. Magar, uski aankhon se ye aasu kyu nirantar beh rahe the? Aasuo ko woh pochti jaa rahi thi. Lekin, ye rukne ka naam nahi le rahe the. Ye seene me kaisa ajeeb sa dard tha?
Use raat bhar neend nahi aayi.
***
Samay guzra. Veer ke paper samaapt ho chuke the. Woh ghar bhi laut aaya tha. Kintu, Nidhi ke ghar me antim kuch dino me usne Nidhi ke bartaav me kuch ajeeb sa dekha tha.
Woh rookha vyavhaar kar rahi thi use. Theek se baat nahi kar rahi thi, na hi kuch bolti thi aur na hi zyada nazre milaati thi. Veer ne waha se wapas aana hi theek samjha.
Shayad ye sab uske zabardasti karne ke kaaran hi tha. Apne upar ilzaam lete hue usne iss baat ko apne dimaag me filhaal peeche daal diya.
Toh wahi, Veer ke food truck me Sonali apni kaam lagan se kar rahi thi.
*Thud*
Bhumika ki car uske food truck ke saamne aake ruki aur woh car se baahar nikli. Uske saath hi Arohi bhi thi aur ek ladka bhi. Umr me Veer jitna prateet ho raha tha.
Sonali ne jab ye dekha toh woh truck ke baahar nikal ke aayi.
Sonali : Hmm?
Bhumika : Sonali! Ye hai Vibhor!
Sonali : Ohh!
Bhumika : Food truck ke liye Vibhor ne logo bana diya hai.
Sonali : Par woh toh bana hai na pehle se?
Bhumika : Hume isme ye bhi likhwana hai ki ye 'owned by Hotel Prestige' hai. Tabhi toh advertise ho payega.
Arohi : Hmm!
Sonali : Jaisa aapko theek lage.
Bhumika design ko leke Vibhor se baatein kar rahi thi. Sonali andar apni saathi chef Prachi ke sang khaana banaane me lagi thi.
Aur Arohi baahar khadi food truck ko dekh rahi thi jab uske kandhe par kisi ne-
*Tap* *Tap*
Thap-thapaya!
'Umm?'
Woh peeche mudi toh uski nazro ke saamne wahi tha jise woh abhi yaad kar rahi thi.
Veer!!!
Suraj ki roshni jab hati toh use Veer ka chehra nazar aaya. Jiske chehre par muskaan thi.
*Badump*
Arohi ke gaal halke se surkh laal huye aur apne baalo ko kaano ke peeche kar woh uss se ek qadam peeche ho gayi.
Arohi : Veer!!!
Veer : Kya chal raha hai yaha?
Arohi : Logo ke liye, Bhumika di kisi ko laayi hai.
Veer : Oh? Then... shall we?
Arohi (blushes) : Y-Yes!
Veer ko pata chala ki Vibhor ek logo designer hi tha. Woh College me tha lekin uski logo designing skills kamaal ki thi.
Jab Veer ne alag alag logos dekhe toh usne ek final kar diya.
Veer : Ye badhiya hai. Hai na?
Arohi (nods) : Mmm-Hmm!
Logo bada hi kamaal ka tha. Neeche likha hua tha owned by Hotel Prestige.
Chef on Wheels ko uska ek naya owner mil chuka tha. Na sirf ab ye logo ke beech aur prachilit hone waala tha balki, saath hi saath Bhumika ki hotel bhi advertise hone jaa rahi thi.
Hotel Prestige!!
Apne aap me sheher ki jaani maani hotels me se ek thi. Shweta ne badi mehnat kar ke iss buliding ko sheher me pramukh banaya tha.
Kintu, samasya kabhi na aaye aisa kaise ho sakta tha. Jaha abhi sab kuch accha chal ra
ha tha ki itne me hi Bhumika ko ek call aaya. Usne call receive kar jab baat suni toh uski aankhein hairat me fel gayi.
Phone cut karte hi woh Veer ko dekhi,
Bhumika : Veer!! Ek problem ho gayi hai.
Magar woh akeli nahi thi. Truck se Prachi daudte hue aayi aur jaldbazi me boli,
Prachi : Ek nahi-! Do problem hai!!
Veer : Huh!!???
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
This update consists of 6k words. Mega update! Lekin mene upar likha nahi hai. I wasn't going to make it this long par late hone ke chalte, mene ise aur acche se lamba likha. Hope pasand aayega. Agle update se hum business arc me pace pakad lenge. Toh ekdum se ride ab tez hone waali hai. Abhi first gear pe the hum. Ab second lag jayega. Baaki, Likes thokne ka aur revos rakhne ka. Target apna wahi chalta hai. 150.
Dhanyavaad!![]()
Around 2!Any Expected time of update