- 13,765
- 98,366
- 259
Last edited:
Nice behtarin mast awesome update broUpdate - 162 ~ Garofano
Ab tak...
Bade se bada aadmi uss pal waha stabdh reh gaya.
Veer ne apna sarr upar kiya. Wine ke aankhon me padne se use dhundhla dikhaayi de raha tha.
'Wh-Who!!?'
Ek khubsoorat si lady uski aankhon ke samaksh thi.
Par jhatka toh tab laga jab-
'Check!'
*Ding*
[No information available!]
'I-It can't be-!'
Ab aage...
Hotel Casa Belle
Night ~ 9:04 PM
*Chitter* *Chatter*
“Huh!??”
“Y-Ye kaun hai?”
Banquet hall me achanak hi kisi ki awaaz sunayi padi aur uss awaaz ke baad logo ke beech khusur pusur shuru ho gayi.
Sabhi ka dhyaan darwaaze ki orr tha. Ek shaksiyat ke aane se hi waha ka poora mahaul badal chuka tha.
“W-Wait! Shayad maine kahi dekha hai inhe. Y-Ye-”
“Huh??? No wayyy!!!!”
“Is she-?”
“My goddd!! She is- from Garofano cosmetics??!!!”
Ek behad hi khubsoorat ladki hotel ki first floor par apne qadam rakh andar aayi. Uski nigaahein saamne khade sabhi logo par tiki hui thi.
Kintu, agle hi pal woh thoda aage badhi aur mudte hue sirf ek shaks ki orr dekhi.
Veer!!
‘So, this is you!! Veer!’
Usko dekh woh apne mann me sochi. Aur turant hi,
‘Check!!!’
*Ding*
[No information available.]
Veer ki koi bhi information saamne na aate hi uske hontho par muskaan sajj gayi. Woh confirm kar chuki thi ki yahi Veer hai.
Jo log use jaante the, woh turant hi apni seat se khade ho chuke the. Aur jo nahi bhi jaante the, woh dusro ko dekh apne aap khade ho gaye. Kaera, Sonia. Gaurav jaise bade bade raees log sabhi iss lady se waaqif the.
Garofano!!
Uske naam pe hi uski company thi. Log aapas me baat karte rahe tab jaake baaki logo ko andaza hua ki ye ladki akhir kaun thi.
“T-Tumhe pata hai ye kaun hai?”
“Tum inhe nahi jaante? Inki company hai - Garofano. Saari fashion industry me bahut bada naam hai inka.”
“H-Haan! Woh South Korea se hai. Aur tum toh jaanti ho na ki waha beauty ko lekar kitna sensitive hai log? Plastic surgeries waha aam baat hai. Aur K-Pop se toh tum familiar ho hi na?”
“Ahh! H-Haan!”
“Garofano cosmetics bahut bada naam hai poore fashion world me. Saare cosmetics inke hi use hote hai. Perfumes se leke, make-up materials, aur wigs tak. It’s a complete package company.”
“Itna hi nahi, Garofano ka export trade bhi bahut zyada hai. USA se leke Europe, UAE harr bade bade desho me unke products bahut popular ho rahe hai.”
“O-Ohh!”
Kaera ki bauhe sikudi hui thi. Yahi haal Sonia ka bhi tha. Dono hi Garofano ke products se waaqif thi. Yaha tak ki Kaera ki personal make-up kit me khud Garofano Cosmetics ke do products maujood the.
Quality me uska koi jawaab hi nahi tha. Par aisi shaksiyat yaha Mumbai me iss hotel me kya kar rahi thi? Aur kuch derr pehle boli gayi woh baat?
Ladki muskuraayi aur thodi teevr awaaz me boli,
“Release him, this instant.”
Casa Belle ke jo bodyguards the woh pehle ladki ko dekhe, fir apne boss Aadesh ko jisne ishara karte hue turant hi Veer ko chorrne ka kaha. Baat ko samajhte hi unn sabhi ne Veer ko chorr diya.
Peeche khadi Kavya, Arohi, bhi utna hi hairaan thi. Tej aur Karan jo chalte hue seedha Veer ki orr hi aa rahe the, unke qadam bhi beech raaste me hi rukk gaye.
*Click* *Clack*
Ladki aage badhi. Uski high heels ki awaaz waha saaf saaf goonj rahi thi. Ab logo ka shor samapt ho chuka tha. Sab ki nazre issi par tiki hui thi ki iss ladki ka agla daav kya hone waala tha?
Veer ke chehre se wine uske gaalo se fisalte hue neeche boond-boond kar ke gir rahi thi. Apni daayi aankh ko mal usne apne qareeb aati ladki ko dekha jo atyadahik sundar prateet ho rahi thi.
‘Huh?’
Woh security ke pakde jaane ki wajah se thoda sa jhuka hua tha. Ladki uske qareeb aayi, apna ek haath badi hi inaayat se Veer ki orr aage badhaya. Uski chin ko thaama aur use upar uthaaya.
Veer ko sahi tareeqe se khade karte hi, usne apni nigaahein upar kar Veer ke chehre ko dekha. Uski aankhein harr jagah uski soorat par firr rahi thi.
Veer uss se kadd me lamba tha. Uski chin ko chorrte hi woh apne haath ki pehli ungli ke nakhoon ko badi hi komalta se Veer ke gaal par firaate hue neeche laayi.
Poore samay uske honth par woh muskaan ab bhi barkaraar thi. Fir ahista se uski orr jhukte hue woh boli,
“Such beautiful proportions. Your face is clearly the greatest asset. Wouldn’t it be bad if I cut it down? Hmm?”
Veer : Huh??
Veer uski baat ka matlab samajh na paaya. Magar, usne apna guard iss ladki ke prati badha diya. Uski kalaayi ko turant hi kass ke thaam Veer ne apni nazre uss par gadaayi.
Veer (glares) : Who are you?
Ladki Veer ko fir muskura ke dekhi aur boli,
“Shouldn’t you first release my hand?”
Veer ne kuch derr uske gore haath ko thaam ke rakha. Ek aam aadmi agar uss haath ko thaamta toh yahi sochta ki akhir kitna naazuk haath hai. Magar, Veer jaanta tha ki inn haatho me kitne raaz chhipe hue the.
She was a system owner, after all!
Veer ne ek gehri saans lete hue uska haath chorra toh ladki ne haath aage badhaate hue uski orr haath milaane ka prastaav rakha.
*Clasp*
Veer ne uska haath milaaya. Tab jaake ladki ne apna parichay diya.
Ladki (smiles) : I'm Garofano!!!
Veer : Garofano? Strange name!!
Uske muh se aisa jawaab sunn Garofano ke honth ek orr se upar uthe aur woh achanak se aage badh uske seene se chipak gayi.
Veer (surprised) : W-Whaaattt???
Garofano apna haath upar le jaate hue uske blazer ki breast pocket me lage hue ek artificial phool ki taraf le gayi.
Garofano : Tumhe pata hai ye flower kaun sa hai?
Iss baar woh Hindi me uske kaan ki taraf aate hue puchi.
Veer : Huh???
Garofano (smiles) : Ise hi Garofano kehte hai. Jo mard aksar apne coat ki pocket me lagaate hai.
Veer : That's-
[She's right!]
Pari ne uske mann me hi haami bharte hue jawaab diya.
Garofano : However, the one you are wearing right now is artificial. But not me!! *smiles*
Idhar Garofano jab Veer ke gale se lagi, toh tamaam janta ki aankhein phati ki phati reh gayi. Tejal samet Veer ki sabhi behno ke yahi haal the. Unhe vishvaas nahi ho raha tha. Utsukta bhi thi, hairani bhi lekin kahi na kahi ek dard bhi. Koi gerr ladki Veer se chipak ke khadi thi. Pata nahi kyu par iss waqt unhe ye bilkul bhi accha nahi lag raha tha.
Bhumika ko chorr Tej, Arohi, Kavya teeno hi iss anubhuti ko mehsoos kar paa rahi thi.
Toh wahi,
*Thud*
Kaera ki round table par zorr se ek water bottle giri.
'Huh?'
Julia ne fauran hi mud ke apni Miss ko dekha toh paaya ki Kaera behad hi zorr se table ko pakde hue thi. Kass ke bheechne ke kaaran table par rakhi woh bottle gir gayi thi.
Kaera : Julia!!!
Uske honth thar-thara rahe the. Aankhon me woh ladki Veer se chipke hue khadi pratibimb ho rahi thi. Dekh paa rahi thi woh ki kaise uss ladki ke haath kaha kaha jaa rahe the.
Julia harr baat samajhti thi. Apna sarr naraazgi me usne hilaaya. Naraaz woh Veer se nahi thi, balki apni Miss se hi thi.
Julia : This will happen, if you won't give Young Master Veer any signal, Miss.
Kaera (glances) : S-Signal?
Julia (nods) : Look at him!
Kaera ne Julia ki nazro ka peecha kiya aur punaah Veer aur Garofano ko ek saath dekha.
Julia : Young Master Veer is totally clueless with your current behaviour.
Kaera : Clueless? L-Lekin kyu? I-
Julia : Shhh!
Kaera : Huh??
Julia : You are not giving him any chance Miss. He has no clue.
Kaera : L-Lekin-! He should be the one to take the responsibility. H-He- He did it with me. And he-
Julia (gasps) : Ahhh!
Kaera ke muh se akhir nikal hi gaya. Veer aur uske beech uss pehli raat akhir kya hua tha. Julia ye nahi jaanti thi ki Kaera aur Veer ke beech jismaani sambandh pehle hi bann chuke hai. Par aaj Kaera ke muh se sach baahar aa chuka tha.
Ye toh shukr tha jo Karan, Ruchika, Jassi ya Raghu me se koi bhi uske aas paas nahi tha, siwae Julia ke. Warna ye baat sabhi ko sunaayi de jaani thi.
Julia : M-Miss? Y-You!!! Did it with-!??
Kaera jab use mudte hue ghoori toh Julia shaant ho gayi. Magar, uske hontho par muskurahat thi.
'Never knew Miss was this fast! Fufu~'
Julia : Anyways!! If you want to make him take the responsibility. Then, give him a sign Miss.
Kaera : Sign? Kaisa sign?
Julia (smiles) : That you're approachable. Show him that he can claim you.
Kaera ka sarr jaise kuch ehsaas hote hue neeche jhuk gaya. Julia ki baat sahi thi. Agar woh aise hi gussa karti rahi, toh bhala Veer kaise kuch samajh payega.
Wahi yaha, Sonia Autoshield ke maalik Tanishq ke saath deal karne ke liye majboor thi aur yahi fasa ke reh gayi thi.
Woh chaahti thi aage badhana, nahi dekh paa rahi thi woh ye sab. Lekin, kuch tha jo uske qadmo ko aage badhne nahi diya.
Veer ek behad accha ladka tha. Uska accha dost bhi. Ek alag sa ladka jiske prati woh pehli baar iss tarah approach kar baat kiya karti thi. Fir, kyu jab aaj woh mushqil me tha toh uske perr nahi badhe?
Woh kaaran nahi jaanti thi. Par, uska dimaag jaanta tha. Jo abhi batane se mana kar raha tha. Unn dono ke beech kabhi bhi nazdeekiya nahi bann paayi. Dono bas dost hi the. Kam vartalaap ke chalte dono bas isi rishte me bandh ke reh chuke the.
Agar unke beech kuch lamhaat kabhi bane hote toh Sonia iss deal ko kab ka thukra ke Veer ki orr bhaag chuki hoti. Par ye kamiyaa hi use rok rahi thi. Woh nahi jaanti thi. Woh bas wahi kar rahi thi, jo uska dimaag uss se iss waqt karwa raha tha. Aur, woh tha ye deal ko haath se na jaane dena.
Par taajub use bhi hua tha. Garofano ko iss qadar Veer ke ird gird lipte hue dekh ke ek ajeeb si peeda, uske dil me uthi. Kisi kaaran, Garofano ka uss tarah Veer ke seene par haath rakhna use zara bhi raas nahi aaya.
Magar idhar deen duniya ko bhulaaye Veer aur Garofano ek dusre ke prati hi focused the.
Veer : Toh tum nahi bataane waali ki tum kaun ho?
Garofano (smiles) : Didn't I tell you? I'm Garofano. I run the most popular cosmetics company in the whole South Korea. Is that enough for an introduction?
Veer ne kuch na kaha. Woh bas dekhta raha. Aadesh ki iss waqt haalat kaafi kharab thi. Veer ke saath uski assistant iss tarah pesh aayi thi. Use pata hi nahi tha ki itni badi shaksiyat Veer se parichit thi.
Zaahir hai Veer aur Garofano ke beech jo bhi baate ho rahi thi woh logo ko sunaayi nahi de rahi thi.
Garofano Veer ko chorr Aadesh ki orr mudi aur use ghoorte hi,
Garofano : Is that how you treat the one who represented your nation abroad?
Uske prashn uthaane par waha khada tamaam aadmi uski baat se pehle glaani mehsoos kiya aur fir sehmat bhi hua. Abhi kuch derr pehle hi unhone Veer ka sammaan kar taaliyaan bajaayi thi. Aur ab jab uske saath aisa ho raha tha toh woh sab khamosh the?
Ek baahri ladki ko aake unke beech hastakshep karna pad raha tha? Kya chhavi reh jaane waali thi unke nation ki aise me? Aur, fir bilkul wahi hua jaisa Garofano umeed kar rahi thi.
“Haan Haan! Ye sarasar galat hai!!!”
“Bilkul! Veer, hamare desh ki shaan hai. Unhone hamare desh ka naam baahar raushan kiya hai.”
“Haan! Sahi kaha! Unhone iss baat ka sandesh diya hai ki ek bhaarteeya desh videsh nahi dekhta, woh sirf jaan bachaane ki sochta hai.”
“Bilkul! Aur aaj hum sab aisa hote kaise dekh sakte hai? Just because he doesn’t have any C-Suite profile? Sirf isliye?”
“Right! Aise me toh iss card ko koi matlab hi nahi na. Jab Veer jaise desh ke liye khade hone waale log ke saath iss tarah ka vyavhaar kiya jaa raha hai. Toh kya matlab?”
Aadesh ki assistant, iss akasmaat aaye badlaav se ghabra uthi. Ye achanak se itna parivartan kaise aa gaya? Garofano chup chaap mann hi mann muskuraate hue sab kuch dekh rahi thi.
Garofano : Mister? Where are your manners?
Aadesh : H-Huhh!?
Aadesh turant kiye gaye iss sawaal se sakpaka gaya. Uska plan backfire kar raha tha. Agar Unicard logo ne nahi liya toh uska bhaari nuksaan ho jaane waala tha.
Garofano : Hmm?
Aadesh : Ahahahaha!
Woh apni farzi hassi lete hue apne haath jod aage badha, Garofano se haath milaate hue usne turant hi palat ke apni assistant ko gusse se dekha.
Aadesh : Aage aao aur maafi maango!!
Assistant : Ah!! P-Par-
Aadesh : Sunayi nahi diya maine kya kaha?
Assistant ghabraate hue Garofano ke saamne aayi aur jhukte hue boli,
Assistant : I-I’m sorry!!!
Garofano (smirks) : Why are you apologizing to me?
Assistant : Huh???
Garofano : Apologize to him!
Uska ishara Veer ki orr tha. Assistant ne apne daant meese, aur aage hote hue woh Veer ke samaksh jhuki,
Assistant : I’m sorry!
Jis assistant ne uss par wine feki thi wahi ab apna sarr jhukaaye khade hue uss se maafi maang rahi thi. Veer ke chehre par koi bhaav nahi the. Woh bas adhkhuli aankhon se use dekh raha tha.
Garofano : Mister Aadesh!
Aadesh : Ah!! Yes! Yes!
Aadesh ki kuch bhi samajh nahi aa raha tha. Usne toh itni badi guest ko invite kiya hi nahi tha. Fir bhala ye shaksiyat uski hotel me kya kar rahi thi? Kya Veer se iske connection the? Agar aisa tha, toh woh ye mauka haath se jaane nahi dena chahta tha.
Garofano : My Garofano cosmetics are in need of a new CEO. And, I’m giving the post to him. Do you have any problem with that?
Iss se pehle ki Aadesh uss sawaal ka jawaab de paata. Veer ka jawaab pehle hi aa gaya.
Veer : No need!!!
Garofano (turns) : Hmm?
Veer (stares) : I can build my empire on my own. There is no need.
[Ohhh!?]
Pari ki aankhon me ek chamak aayi Veer ka jawaab sunte hue. Veer itni badi post ko yu hi thukra raha tha. Woh jaanti thi ki Garofano use kaam karne ke liye bhi nahi kahegi. Bas naam se hi CEO banana hai aur free ki salary bhi use milti. Magar Veer ne ek jhatke me iss offer ko reject kar diya.
Garofano uski aankhon me jaise woh jwaala, woh aatm-vishvaas, woh gambheerta dekh paa rahi thi. Woh muskurayi,
Garofano : I see!!
Par Aadesh chaaplusi ke chalte apna daav kaise bhi kar ke aaj khelne waala tha. Uska ek hi uddeshya tha. Kaise bhi karke Garofano jaisi business partner ko Veer ke favour se hata ke apne favour me laana.
Par woh ye nahi jaanta tha ki Garofano aur Veer. Dono hi system owners the. Aur dono hi isliye ek dusre ke liye interest le rahe the bina ek dusre ko jaane.
Chaahe jitni hi koshish woh aaj kyu na kar le, Garofano uski saari chaalo ko samajh rahi thi.
Aadesh : Hahahaha! I think yaha maujood sabhi log iss baat se agree kar rahe hai ki Unicard publicly harr affordable insaan ke liye available hona chahiye.
Logo me firse baatein jaari ho gayi. Khuspusahat se Aadesh samajh paa raha tha ki uska daav ulta padd chuka tha. Uske puraane plan ke khilaaf jaa rahe the log. Toh waqt aa gaya tha ki plan ko badal diya jaaye.
Aadesh : Hahaha! Kyu nahi! Ye hotel, aap sabhi ka hai my dear guests. Mujhe aap sab ne galat saabit kiya uska mein shukr-guzaar hu. Insaan hu. Mein bhi galat faisle le leta hu. Par abhi se mein ye declare karta hu ki Unicard harr uss person ke liye available hoga, jo ise afford kar sakta hai.
*Clap* *Clap*
Uske iss baar bolne se halki fulki taaliyaan uske liye baji. Par ye pehle ke muqaable kaafi kam thi. Ulta usne dekha ki Veer ke paas kayi business waale uske paas aake haath milaane rahe the. Aur toh aur sharmnaak ravaiyye ke liye uss se maafi bhi maang rahe the.
Garofano : Where is the men’s washroom?
Aadesh : Uhh! That side on the right.
Garofano : And for women?
Aadesh : O-On the left.
Garofano : Go and clean up your face Veer!!
Jaanta ke beech se dono hi nikalte hue aage badhe. Unn dono ke upar se logo ka dhyaan kuch palo ke liye hata.
Veer jhund se nikal washroom ki orr daayi taraf muda. Andar aate hi usne dekha ki Aadesh ne paisa kharch karne me koi kasar nahi chorri thi. Public washroom bhi alag hi luxury ka bana hua tha.
Abhi woh wash basin ki taraf jaa ke tap ko kholne hi waala tha ki achanak se use apne peeche kisi ke hone ka abhaas hua aur woh turant hi ek jhatke me mud ke defense leke khada ho gaya.
Usne mud ke dekha toh paaya ki Garofano khadi hui thi.
Veer : What the-?
Uske senses behad tezz the. Toh fir use Garofano ke aane ki aahat aur pehle kyu nahi lagi? Aur toh aur male public washroom me bhala woh yaha kya kar rahi thi?
Veer ne jab neeche nazre daudaayi toh use aur bada jhatka laga. Garofano apni high heels hi pehni hui thi. Woh high heels pehne uske itna qareeb aa gayi aur use pata bhi nahi chala? Paseene ki ek boond uske maathe par jhalak uthi.
[She’s using Dead Silence.]
Par ne use skill ke baare me soochna di.
*Ding*
[Skill : Dead Silence
Description : Allows the host to walk in dead silence. Footwear cannot hinder the skill’s abilities. Use it for stealth.]
Veer samajh chuka tha ki Garofano ke paas Dead Silence, ek skill thi. Magar, woh itni asaani se uske saamne ye skills kyu pradarshit kar rahi thi? Woh dushman thi ya dost?
Garofano (smiles) : I’m impressed. You are quick!!
Veer : Tum yaha kya kar rahi ho? And what’s your purpose?
Garofano (smiles) : Would it be fun if I tell you just like that?
Veer : *frowns*
Garofano fir ajeeb si muskaan liye ekdum se uski orr lapki toh Veer ki aankhein hairat me fel gayi.
Uska haath badi hi tezz raftaar se Veer ke seene me uske dil ki orr badha.
[Careful!!!!]
Pari ki gambheer awaaz uske mann me goonji.
*Swoooooooossshhh*
Veer ne khud ko daayi orr jhukaaya aur uska daaya haath ek mazboot mutthi me kasste hi seedha Garofano ki pasli ki taraf badha.
Magar,
'Huh??'
Garafano jaise Veer ka agla waar pehle hi padh chuki thi. Woh bhi daayi orr mudi, Veer ka waar hawa me khaali chala gaya. Garofano ke dono haath uske kandho par kab tikk gaye use andaaza hi nahi laga.
Veer ek ghaatak hamle ke liye apna punch seedha Garofano ke pait me maarne ke liye hua. Parantu,
*Whoooosshhh*
Garofano uske kandho ka istemaal kar hawa me koodi. Woh Veer ke kandhe ke sahaare uske upar se ulte hote hue uske peeche ko jaane ko hui. Sab kuch itni tezzi me ho raha tha magar dono ke liye jaise waqt tham gaya tha.
"You are not going anywhere!"
Veer ki bauhe kass uthi. Hawa me Veer ke kandho par dono haath tikaaye Garofano khud ko ulta kar uske peeche le jaa rahi thi. Veer peeche ki orr mudne laga. Uska haath apne kandhe ki orr jaa raha tha, Garofano ki kalaayi ko thaamne ke liye.
Aur idhar, Garofano ke hontho par muskaan sajj rahi thi.
'I got you!!!!'
Veer muskuraya. Uska haath Garofano ki kalaayi se touch hone hi wala tha. Woh use thaamne hi wala tha jab achanak,
*Release*
'Huhh???'
Garofano ne Veer ke kandhe se apne haath ko hata liya. Woh ulti hawa me ghoomte hue seedhi hui aur Veer ke peeche jaake apne perro par wapas se khadi ho gayi.
Veer tab tak peeche palat chuka tha. Palatate hi use yahi dikha ki Garofano ki woh kaali dress uski nangi jaangh tak upar uthi thi, aur uske neeche zameen par aate hi dress ek jhatke me fisal ke waapas se uski jaanghon ko dhak neeche ho gayi.
Aur tabhi Veer ko apne seene par kuch ehsaas hua.
Usne nazre neeche kar haath seene par le jaate hue dekha toh paaya ki,
Ek chain uske gale me bandhi hui thi.
Garofano (smiles) : Ab chuki tum meri company me work nahi karna chaahte. Take this as a gift.
Veer (frowns) : You!!!
'So she did this to-'
Veer ko ehsaas hua. Woh uske upar se jab peeche gayi. Toh sirf woh bachaav ke liye nahi tha. Na sirf woh uske hamle se bachi, balki use ye chain bhi pehna gayi. Ye sochte hi woh ek chinta me aa gaya.
Just who was this person? Kya maqsad tha iss lady ka? Uske harr ek waar se woh badi hi asaani se bach gayi.
Veer ne Beowulf activate nahi kiya tha. Woh nahi chaahta tha ki woh apne secrets abhi se disclose kare.
Usne chain ko punah dekha. Chain normal si hi thi. Lekin, uss par Garofano company ki ek marking thi.
Garofano saamne khade yu muskura rahi thi. Fir qadam badhaate hue woh aage ko aane lagi.
Veer chaukanna hua. Uska haath apne aap hi peeche ki orr gaya jaise maano woh kuch nikaalne ka prayaas kar raha ho.
Magar, Garofano uske atyant nazdeek aayi aur uske haath ko thaam ke rok li.
Garofano (smiles) : Security ne sabhi ki talaashi acche se li hai. So, I know! You don't have any weapon on you. Don't pretend!!!
Woh sahi thi. Veer use off-guard pakadna chaahta tha. Isliye apne haath ko peeche le gaya tha, use daraane ke liye. Kintu, Garofano jaise uske harr ek move ko khuli kitaab ki tarah padh chuki thi. Security checking ki wajah se Veer ne koi bhi hidden blade ya pocket knife nahi rakhi hui thi.
Veer (frowns) : Just what do you want?
Garofano (sighs) : Don't worry! I'm at your side!!
Veer : Aur mein ye kaise maan lu?
Veer uss se do qadam peeche hua,
Veer : 17 system holders bache hue hai. You are one of us.
Garofano (smirks) : Ohh!?
Veer : Aur tumhara suddenly yaha aana. It doesn't make any sense. I also know ki Garofano tumhara real name nahi!!!
Garofano (smiles) : Interesting! Aur kya kya pata laga liya hai mere baare me?
Veer : You used Dead Silence just now.
Garofano (nods) : Hmm-mmm!
Veer : Mujhe nahi pata tum apni skills showcase kyu kar rahi ho, but I can tell that you are here for something.
Garofano (smiles) : Very interesting!
Veer (frowns) : So just talk!! What's your purpose?
Garofano iss se pehle ki kuch jawaab deti, dur se hi unn dono ko kisi aane ki awaaz sunaayi di,
*Tuck* *Tuck*
Koi washroom ki orr aa raha tha. Yaha se bacha kaise jaaye Veer uske baare me hi soch raha tha jab Garofano ne uski kalaayi pakdi.
'Huh?'
Garofano : Quick!!!
Aur wo use washroom me bane toilets me se ek toilet me leke ghus gayi. Darwaza band kar dono ek hi toilet ke andar fass ke reh gaye. Toilet me space toh kam thi hi upar se roshni bhi kam.
Koi washroom ke andar halka hone aaya tha. Sahi samay par Garofano ne Veer ko kheech liya tha. Magar, dono ek hi cell ke andar the ab.
Garofano ka badan Veer ke badan se chipke hue the. Uske sudol sthan Veer ki chaathi se lage hue the. Aur kass ke chipakne ke kaaran Veer unka ubhaar aur acche se apni aankhon ke saamne dekh paa raha tha. Use apne seene par Garofano ke dono than bhali bhaati mehsoos ho rahe the.
Veer : Y-You-!!!
Garofano : Shhh! I had to do this. *smiles* Warna hum pakde nahi jaate?
Veer : Are you telling me or not?
Garofano : Kitni jaldbazi hai tumhe? Jaldbazi acchi nahi hoti Veer!
Veer (frowns) : Mere baare me tumhe kaise pata chala?
Garofano (smiles) : Hai kuch sources.
Veer (glares) : Talk!!!
Woh apna haath Veer ki kamar se firaate hue ek baar fir uske seene par laayi. Ahista-ahista woh woh uski gardan par jab haath le jaane lagi toh Veer ne uski kalaaayi jakad li.
*Badump* *Badump*
Koi shaq nahi tha isme ki Garofano ki sundarta kis starr ki thi. Veer ka dil na chaahte hue bhi aisi sundari ko apni baaho me liye zorr se dhadak raha tha. Aisi sundarta ek mard ke liye bahut ghaatak thi.
Veer : Jitna puchu! Utna jawaab do!!! Otherwise-
Garofano (smiles) : Otherwise? Otherwise kya Veer?
Veer : I'll have to use force!!
Garofano : Oh really? Hahaha! Aur kya nateeja niklega uska?
Veer ke chehre par chinta ke bhaav jhalak uthe. Thodi derr pehle hi Garofano uske harr move se bach nikli thi. Woh baat alag thi ki Veer apne full potential se nahi ladd raha tha. Lekin, ye baat bhi satya thi ki Garofano bhi bas mazaak me hi uske saath ye sab kar rahi thi. Woh bhi serious nahi thi.
Iska matlab -!?
She was strong!!!
Veer : Are you going to-
Iss se pehle ki Veer apni baat poori karta iss baar Garofano ne seedha seedha jawaab de diya,
Garofano : There's going to be an attack soon!
Veer : Huh? Attack?
Garofano : Yes! This hotel...! Casa Belle! Do mahine baad uda dii jayegi.
Veer : What??
Garofano (nods) : It's the truth!
Veer (eyes) : Aur mein tumhari baat ka kyu yakeen karu?
Garofano : Things are more complicated than it seems Veer.
Veer : What do you mean?
Garofano ki palke baari baari uthi, aur uski aankhein Veer ke chehre par tiki.
Garofano : Koi hai! Jo bahut bada game khel raha hai.
Uske ye kehte hi Veer ke mann me Renshu ki puraani kahi gayi baat goonj uthi.
'Abhi ke liye mein use X keh ke bulaata hu. Koi toh hai, jo ham sab se zyada jaanta hai inn sab ke baare me.'
Veer : X???
Garofano : Huhhhh???
Veer : ...
Garofano : Toh tum jaante ho? I see! Li Renshu ne bataya??
Veer (surprised) : Tum jaanti ho use?
Garofano : Toh Li Renshu ne hi tumhe bataya hai. Hmm! Mein use jaanti hu? Tum aisa keh sakte ho. After all, we both are working for the welfare of the humankind.
Veer : ???
Garofano : Koi hai jo peeth peeche kuch bada plan kar raha hai. Bahut bada!!! Veer!!
Veer : Aur tumhare yaha aane ka maqsad?
Garofano (smiles) : Tumse milna. Aur tumhe savdhaan karna.
Veer (frowns) : ...
Garofano : Li Renshu ne tumhe ek card diya hoga!
Veer ko yaad aaya ki beshaq usne ek card uske haath me thamaya tha. Parantu, Veer ne uss card ko abhi tak khol ke nahi dekha tha.
Garofano : Abhi use kholne ki zaroorat nahi. Next month use kholna. Filhal tumhara focus apni personal problems ko solve karne ke liye hona chahiye.
Veer : Uss se kya hoga?
Garofano : Someone will call you from his side.
Veer : For what?
Garofano (smiles) : You will come to know!
Veer : Aur tumhara-!! Real profession kya hai?
Garofano (smirks) : Tumne ye bhi pata laga liya? You are making me curious now, Veer!
*inches closer*
Veer (blushes) : Stay away!!!
Garofano (smiles) : Why? Batao mujhe! What do you think? Kya ho sakta hai mera profession?
Woh ek baar fir uske gaal par apne nukeele laal rang ki nailpolish se saje nakhoon ko firaayi. Uske nazdeek aayi aur-
Achanak se-
*Lick*
Veer : Huhhh????
Veer jaise sakpaka ke reh gaya. Uske gaal par wine ki ek boond behte hue neeche jaa rahi thi jab Garofano uske paas aayi aur uske gaal se gir rahi boond ko apni zubaan se chaatate hue use pee gayi.
Garofano : Mmmm~ Tastes good!!
Veer : ?????
Garofano (smiles) : Not the wine!!! But you~
Veer (blushes) : Ahem!! S-So,
Garofano : Tell me one thing! Mein jaanana chaahti hu.
Veer : Hmm?
Garofano : Tum chaahte toh araam se bahar khade unn namoono ko dhul chata sakte the. Lekin, tum ne khud ko restrict kiya. Why?
Veer ki palke ye sunte hi neeche jhuk gayi. Use uss din ki ghatna yaad aayi. Woh chhavi uske dimag me aayi. Jab usne Sonali ko dhakka de diya tha aur bechari Sonali dur deewar se jaa ke bhid gayi thi. Uss din pehli baar use apni power se darr mehsoos hua tha.
Usne apni hatheli khol dekha.
Veer : Inn haatho par pehle hi khoon chadh chuka hai. Kisi nirdosh ka khoon nahi chadhne dena chaahta mein. Aur isliye-
Garofano : ...
Veer : Ek ghabrahat hoti hai. Ek darr lagta hai. Kahi mein inn sab ke beech reh ke, inhe hi anjaane me chot toh nahi pahucha dunga. Isliye khud ko rokna accha hai.
Garofano uski harr ek baat sunn rahi thi. Dono abhi bhi usi sthiti me ek dusre se lipte hue khade the.
Woh Veer ke aur qareeb aayi, iss baar uski awaaz me vinamrata thi.
Garofano (smiles) : She was right! You are the one who I was yearning for...!
Veer : Sh-She??
Garofano : Mere profession ke baare me tum puch rahe the na?
Usne baat ko badal diya.
Veer : ...
Garofano : Bas itna jaan lo! Tum aur mein-!!! Ab milte rahenge. Aur tumhe mere paas aana hi hoga. *smiles* Such is my profession.
Veer : What?
*Thud*
Veer jawaab sunta ki iske pehle hi Garofano ne cell ka darwaza dhadalle se khola aur woh baahar nikal gayi.
Veer : Waaaiiittttt!!!
Veer ne zorr se kaha. Garofano peeche mud ek baar use dekhi.
Garofano (smiles) : I must leave now, Veer!!
Veer : Renshu ki kya baat thi? Woh card? Kya matlab mujhe tumse milne aana hi hoga? Tum ho kiski taraf? Aur ye hotel ka attack? What is going on???
Garofano : Just stay focused!! Time will tell you everything.
Itna bol woh aage badhi jab Veer ke ek gambheer sawaal ne uske perr wahi rok diye.
Veer (glares) : Are you my enemy??
Woh fir muskurayi aur palat ke use dekhi.
Garofano (smiles) : What do you think?
Veer : ...!?
Aur bina kuch aage kahe, woh washroom se waapas nikal gayi. Iss baar uske qadmo ki awaaz saaf saaf sunaayi de rahi thi.
'Something is missing here!!'
[My my~ She's such a wild one! Hahaha!]
'Pari! Ye mazaak ka waqt nahi!'
[Oh c'mon! Dekha nahi tumne? She's begging to be pounded by you.]
'Pariii!!!'
[Won't you be satisfied after pounding such a naughty one?]
'Shut up!!!!'
[You are no fun at all. *sigh* Abhi dekh ke mujhe nahi lagta ki woh hamari dushman hai.]
'That's right! Lekin...! Jis tarah usne mere attacks se khud ka bachaav kiya.'
[Uske paas kuch skills hai. There is no doubt.]
'Also, mujhe koi bhi killing intent feel nahi hui. Iska matlab uske saare attacks non lethal the. Woh bas mujhe-'
[Test kar rahi thi.]
'Right!'
[And let me disclose a secret to you. *smiles*]
'What?'
[She might be weaker than you. *smiles*]
'What? Woh? Aur mujhse weak?'
[Right! Ye sirf mera ek hunch hai.]
'Aur tumhe aisa kyu lag raha hai?'
[Because I saw it in her eyes.]
'Kya?'
[Jab tum mud rahe the tab tumhara dhyaan uski kalaayi pakadne par tha. Par mein use dekh rahi thi.]
'And what did you see?'
[Fear!!!]
"Huhhh?"
[Tumhara jab haath uski kalaayi ko pakadne jaa raha tha. Agar tum use pakad lete, toh tumhe woh hara nahi sakti thi.]
'???'
[That time, you had zero opening.]
'You mean-!'
[And that's why she got scared. She knew ki agar tumne use pakda toh uska kya hashr ho sakta tha. Isliye, woh achanak se tumhare kandhe se haath hataayi thi.]
'I see now!'
Veer ke mann me dherro sawaal the. Magar, woh iss waqt dimaag ko thanda rakhna chaahta tha.
Ek aah bharte hue woh wash basin ki orr apna chehra dhone chal diya.
Toh wahi baahar, Garofano washroom se nikal ke aa chuki thi. Sabki nazre ek baar fir uss par bikhar chuki thi.
Aadesh mauka dekh chaaplusi karne uske paas aaya kintu,
Garofano : I'm sorry! I must leave now! I have an urgent meeting with someone. Some other time?
Aadesh : Eh?? Ahahaha! S-Sure sure! Maybe some other time. Okay!!
Woh bina Aadesh ko ghaas daale waha se aage badh gayi. Kaera aur Sonia dono ki nazre Garofano se bhidi magar kisi ne bhi aapas me kuch kehna theek na samjha.
Jis tarah woh aayi thi, wese hi woh ravaana bhi ho gayi. Idhar Aadesh tension me idhar udhar baat kar raha tha. Banquet shuru ho chuka tha, magar Veer ki family se koi bhi khaana nahi khaa raha tha.
Unn sabhi ka jaise mann marr chuka tha. Woh Veer ke sang bas yaha se jald se jald jaana chaahti thi. Sabse zyada toh Kavya. Ek wahi thi jo sabse zyada excited thi inn sab ke liye. Par iss samay wahi thi jo yaha ek shan bhi nahi rukna chahti thi.
Uske mann me aise aise vichaar aa rahe the jo uske glaani ke bhaar ko badhaate hi jaa rahe the.
'Kyu? Maine kyu kiya aisa?'
'Bhaiya ke saath-! Bhaiya ke saath unn sab ne aisa kiya. I hate it!!!'
'Bhaiya mere liye-! Sab kuch sehen kar liye. *sniff* Why am I so stupid??'
'It's always like this. Dii par hamesha bhaiya depend hote hai. B-But-! But mujhse kabhi bhi kuch nahi kehte. *sniff* K-Kyuki woh jaante hai. Mujhse kuch nahi hone waala.'
'And it hurts...! Because it's true! It hurts so much!!!'
Uske alawa Tejal na sirf glaani mehsoos kar rahi thi balki bhayanak gusse me bhi thi. Gussa iss baat pe bhi tha ki uske Bhai ke saath log aise pesh aaye aur saath hi woh uski madad ke liye mauke par pahuch na paayi. Toh wahi iss baat pe bhi thi ki aeri-gairi koi ladki aake uske seene se lag ke chali gayi aur woh dur khadi bas dekhti reh gayi.
Badi behan hone ke naate, use Veer ke bagal se khada hona chahiye tha. Uske stand ke liye uska waha hona zaroori tha. Na ki uss anjaan ladki ka.
Tej : Fucking...! Damn it!
Arohi : Veer abhi tak bahar nahi aaya? Is something wrong?
Tej : Mein dekh ke aati hu. Tum sab-
Kavya : D-Dii!
Tej : Huh?
Kavya : M-Mein dekhne jau? P-Please!
Bhumika : Jaane dete hai Kavya ko.
Kavya ka masoom sa ruwaasi chehra dekh Tej bhi pighal ke reh gayi.
Tejal (nods) : Okay!
Kavya apne nanhe nanhe chote chote qadam se bhaagte hue aage badhi. Woh washroom ke area side gayi.
Jaise hi woh andar aayi usne dekha ki Veer men's washroom se baahar hi aa raha tha.
"Bhaiyaaaa~"
Woh chillaayi aur daudate hue uske paas aake uss se chipak gayi.
Veer : Hmm? Kya hua? Tum yaha? Aa hi toh raha tha mein.
Veer usne apne seene se alag karne hi waala tha jab usne mehsoos kiya ki Kavya ka badan thitur raha tha. Aur woh samajh gaya...! Kavya sisak rahi thi. Woh ro rahi thi. Veer ka dil fir maayus ho utha. Woh samajh gaya tha ki Kavya zaroor khud ko dosh de rahi thi.
Veer : Tumhari galti nahi hai Kavya! Ye sab toh-
Kavya : Sab meri galti hai!!! *sniff* A-Agar mein woh sab na karti toh aisa kuch hota hi nahi. H-Hume yaha aana hi nahi chahiye tha. *sniff*
Veer ne pyaar se use apne seene se alag kiya. Mote mote aasu uske gaal se beh rahe the. Bechaari ka poora chehra laal ho rakha tha. Aasuo ke kaaran, aankhon me dhundhlapan chha raha tha.
Veer ne bade hi prem se uske gaal se uske behte hue aasu apne dono angutho se poche. Uske komal se chehre ko pakad usne upar uthaya aur use dekh muskuraya.
Veer (smiles) : Pagal! Nadaan! Isliye toh bade Bhai hote hai na?
Kavya ki ye sunte hi rulaayi phoot padi.
Kavya : Nahhhiiiii!!!! *sniff*
Veer : Arre?
Kavya : Kyuuuu??? *sniff* Jab daant padti hai toh hamesha bade bhai kyu daant khaaye? J-Jab maar padti hai toh hamesha bada bhai kyu maar khaaye? *sniff* H-Hamesha bada bhai ko hi kyu compromise karna padta hai?
Veer : ...
Kavya : K-Kyu? *sniff* Boliye!! Kyu bade bhai ko hi sabse akhiri me dhyan diya jaata hai? *sniff* Choti behan ko sabse zyada pyaar mile, choti behan ki saari maange poori ho, choti behan ki harr koi parvaah kare, choti behan ko hi sab kuch kyu???? *sniff* K-Kya bade bhai ke andar dil nahi? *sniff*
Veer : Kavy-
Kavya : Mujhe bolne dijiye!!! *sniff* Kyu harr baar saare mushqil aur gande kaam bade bhai ke sarr par thope jaate hai? *sniff* K-Kyu hamesha unke sarr par zimmedari thopi jaati hai? *sniff* Unko bhi toh lagta hoga na ki mujhe bhi koi aise laadh kare, pyaar kare? Huh? *sniff* Unki taraf koi dhyaan kyu nahi deta? *sniff* Boliye!
Veer : Pagal! Bada bhai apni behan ka khayal nahi rakhega toh aur kaun rakhega??
Kavya : Toh bade bhai ka khayaal kaun rakhega?? *sniff*
Veer : !!???
Uske sawaal par Veer maun hoke reh gaya.
Kavya : Bada bhai choti behan ka khayaal rakh lega. Lekin, fir uska khayaal kaun rakhega? *sniff* Wo koi bhagwaan hai? Jo use kabhi dard nahi hota? Kabhi kuch maangta nahi? *sniff*
Veer : Aisa kyu bol rahi hai pagal! Mein toh-
Kavya : Kuch nahi karoge aap!!! *sniff*
Veer : ???
Kavya achanak hi aur zorr se rone lagi. Woh aage badh Veer se itni kass ke chipki ki uski pakad ke chalte Veer ki shirt par bhi silvatein pad gayi.
Kavya : Ab se ek choti behan apne bade bhai ka khayaal rakhegi. *sniff* Bade bhai ko ab choti behan pyaar karegi. *sniff* Aur unki harr choti moti cheezo ka dhyaan rakhegi.
Veer ne uske gaalo ko punah apne haatho se thaama, uske chehre ko apne qareeb laaya aur,
*Kiss*
Kavya : Nhuhhh?
Kavya ke maathe ko usne choom liya. Bechari Kavya jo pehle se hi Veer ke prati aakarshit thi, Veer ki iss harqat se uska taapmaan aur adhik badh gaya.
Maathe par Veer ke labb lagte hi, Kavya ka poora badan kaanp utha. Veer ne fir uske chehre ko halka sa moda aur fir-
*Kiss*
Kavya : Ahhh!!??
Uske gulaabi gaal ko bhi choom liya. Kavya ki aankhon me sitaare chhaa rahe the.
*Badump*
Uska dil zorr se dhadka. Aur, use kuch ehsaas hua. Woh Veer se punah kass ke chipki lekin iss baar mann me kuch aur baatein thi.
'Bhaiya ko mein kahi jaane nahi dungi!! Kahi nahi!!!'
Veer use kuch derr baad yu hi apne se alag kar use waapas baahar leke aaya. Unn dono ke aate hi Tej bhaagte hue unke paas aayi. Aur Veer ke nazdeek aate hi woh uske seene par haath tikaayi.
Uske chehre ki orr dekhi, jagah jagah use tatol ke sunishchit kari ki kahi kuch gadbad toh nahi?
Tej : Theek ho na?
Veer (smiles) : Mujhe kya hua?
Tej : Inn kutto ki himmat kaise hui ki tumhare saath ye sab kare? Abhi ke abhi chalo. Dekho kaise inki vaat lagaati hai. Tum mere peeche khade rehna bas.
Veer : Nahi!
Tej : Whattt? Kyuuu???
Veer : Hum yaha se nikal rahe hai. Bas!
Tej (frowns) : Uss kutiyaa ne tumhare muh pe wine feki!!
Veer : Dii! Language!!!
Tej ne ek shan Kavya ki orr dekha, aur fir Kritika ki orr jo unki taraf hi aa rahi thi. Fir daant meeste hue apni baat ko sudhaari,
Tej : That fucki- That girl poured wine on you. Uski aukaat kya hai Veer? Mere Bhai pe iss tarah wine fekni ki uski himmat kaise hui? Bina use sabak sikhaaye mein nahi jaa sakti.
Veer : But hum yaha se chal rahe hai. Abhi!
Kavya ko ab koi Unicard wagarah nahi chahiye tha. Bhaad me gaya ab Unicard. Jis card ki wajah se uske bade bhai ko neecha dikhaya jaaye, woh Unicard uske liye raddi ke samaan tha ab. Isliye, ab yaha theherne ki koi bhi zaroorat nahi thi.
Baahar Aadesh yaha idhar se udhar tehel jaise kisi ka wait kar raha tha. Aur, tabhi use entrance se shor aata sunayi diya. Uske chehre par ek kapti muskaan sajj gayi.
Ek gang ka leader waha aaya hua tha. Ye usi gang ka leader tha jisme Surya kuch aadmiyo ko sambhaalta tha. Yahi woh gang thi jisne Veer ke food trucks ko tabaah kiya tha. Aur iss gang ka leader tha ~
Sarabhai!!!
Aadesh ne use apni thaath aur wazandari dikhaane ke liye bulaya tha. Taaki bade bade businessmen ye bhi dekh sake ki uski pehchaan kaha tak thi. Bhavishya me wo uske saath dhandha sahi se kare aur koi chaaplusi karne ki na soche isliye usne Sarabhai ko bhi invite kiya tha.
Sarabhai apne kayi saare aadmiyo ke saath aaya hua tha. Sab ke sab hatte katte the. Unhe dekhte hi jaisa Aadesh ne socha tha bilkul wesa hi hua. Sabhi ke andar ye baat baith gayi ki Aadesh Jaisinghani ke connections underworld me bhi the.
Aadesh : Hahahaha! Welcome! Welcome! Kaafi late ho gaye aap?
Sarabhai : Ye waqt dhandhe ka hota hai. Hafta wasooli ke liye kuch aadmi gaye hue the. Unhe aane me time lag gaya. Baaki, hotel toh shandaar banaaye ho tum.
Aadesh : Hahaha! Aapka hi toh hai boss. Aap ko jab aana ho, hotel ke darwaze hamesha aapke liye khule hai.
Sarabhai (nods) : Hmm!
Aadesh : Wese! Ek macchar bahut derr se naak me dum kiye hue hai.
Sarabhai : Kaun hai?
Aadesh (smiles) : Veer naam hai uska.
Sarabhai : Yaha hai?
Aadesh : Hai na! Hai na! Use toh khaas bulaaya hai maine.
Sarabhai : Toh kya karwana hai?
Aadesh : Bas aap thodi use uski aukaat dikha do. Use samajh aa jaana chahiye ki mujhse nahi bhidna hai use.
Sarabhai : Hmm! Kidhar hai?
Aadesh : Wo-! Woh raha!
Aadesh ne ishaare se Veer aur uski behno ki taraf ishaara kiya.
Sarabhai : Hmm! Chalo!
Sarabhai jaise hi aage badha, uske peeche peeche 12-13 hatte katte lambe kadd ke aadmi uske saath chal diye.
Veer, Tejal, Arohi, Bhumika, aur Kavya yaha se nikalne waali thi.
Kritika : Kavya! I'm so sorry! Uncle aise nahi hai. P-Pata nahi kyu. T-Tum kahi-
Kavya : Don't worry, Kritika! Unki wajah se hamari friendship me koi change nahi aayega.
Kritika : Ah! Thank God!!
Woh yaha se nikalne hi waale the jab Sarabhai aur uske aadmi aake theek Veer ke saamne khade ho gaye. Aadesh dur se bas saara tamaasha dekhna chaahta tha.
Sarabhai jaanta tha ki uski gang me Surya aur kuch aadmiyo ko Veer ne hi pitwaya tha. Lekin, woh ye nahi jaanta tha ki Veer ne akele hi unn sab ki dhunaayi ki thi.
Itne saare aadmiyo ko apne paas aate dekh, Kavya darr ke maare Veer ke peeche uska haath thaam khadi ho gayi. Arohi, Kritika aur Bhumika ka bhi yahi haal tha. Woh sab bhi Veer ke peeche the. Lekin, uska saath nahi chorrne waali thi. Toh wahi Tej bhi do qadam peeche hui lekin Veer ke peeche nahi gayi.
Woh uske bagal se khadi uski hatheli ko apne hatheli se bheenchte hue unn aadmiyo ko nazre gadaaye dekhti rahi.
Sarabhai : Tum Veer ho?
Veer : Haan! Toh?
Sarabhai : Tumhe pata hai tumne kya kiya hai?
Veer (smiles) : Bilkul!
Sarabhai ne jaise hi uske chehre par muskaan dekhi uska gussa phoot pada.
Sarabhai : Tumhe pata hai tum kis se baat kar rahe ho?
Veer (smiles) : Sarabhai! Jo choti moti drug dealing karta hai, hafta wasoolta hai, aur chote mote businesses me apna paisa lagaata hai.
Veer ka jawaab sunn, Sarabhai ki aankh gusse se laal ho gayi. Veer ne toh pehle hi use check kar liya tha.
Iske pehle ki Sarabhai aage kuch karta, entrance se punah shor sharaba sunayi diya.
Usne palat ke dekha toh paaya ki kayi saare aadmi ghus rahe the. Aur tabhi, Sarabhai ki nazar ek aadmi par padi.
"Huhhh??"
Jise dekh uske perr pal bhar ke liye kaanp gaye. Usne Veer ko chorra aur tezz qadmo ke saath entrance ki orr bhaaga.
Uske aadmi, yaha tak ki Aadesh bhi ye dekh hairat me reh gaya. Aur, ye naye aadmi log kaun the jo aa rahe the? Aadesh ki kuch samajh nahi aa raha tha.
Sarabhai bhaagte hue uss insaan ke saamne aaya.
Sarabhai : Haha! Bh-Bhau! Aap yaha?
Aadmi : Tum? Umm! Tum kaun?
Sarabhai : M-Mein Sarabhai! Aapke market me bas choti si dukaan kholi hai mene. Akkhha Mumbai toh aapka hai.
Aadmi : Suna hai aaj kal tum kuch zyada ucchal rahe ho.
Sarabhai : A-Aisa kaun bola aapko? Hahahaha! N-Nahi nahi bhau! Sab kuch toh aapka hi hai. Hum sab toh chote mote log hai.
Aadmi : Accha?
Sarabhai : B-Bilkul! Wese aap yaha kaise?
Aadmi : Jis tarah sabhi businessmen yaha aaye hai, mera maqsad bhi wahi hai.
Sarabhai : A-Achha! Future me hotel ka fayda le sake? Hahaha! Ni ni bahut acchi baat hai. Hotel ke owner se mere bahut acche sambandh hai bhau. Aur woh ek ladke se pareshan hai. Agar hum uss ladke ke saamne thodi wazandari patak de, toh waah waah bhi hogi, owner bhi khush ho jayega aur hamara bhi watt padega yaha. Hahaha!
Aadmi : Ohh?
Sarabhai : Aaiye na! Aaiye!
Sarabhai uss aadmi ko leke Veer ki orr le jaane laga. Aadesh ye dekh ke chakit tha. Sarabhai jaisa aadmi, uss aadmi ke saamne jhuk jhuk ke baat kar raha tha.
Toh yaha Veer ke saath uski behno ne jab aur bhi adhik aadmiyo ko apne paas aate dekha toh woh aur chintit ho gayi.
Sarabhai aadmi ko leke Veer ke samaksh aaya. Uss aadmi ke paas tabhi uska ek chela aaya aur uske kaano me kuch kaha. Aadmi ne haan me sarr hilaaya.
Sarabhai ne ishaara kiya ki yahi woh ladka hai jise sabak sikhana hai.
Par agle hi shan jo hua, use waha maujood harr insaan dekh bhauchakka reh gaya.
"Boss!!!!"
Jis aadmi ko Sarabhai leke aaya tha, woh aur uske saare aadmi Veer ke saamne sarr jhuka ke khade ho gaye.
Woh koi aur nahi-
Balhaar tha!
Veer apne jeb me haath daale, chup chaap khada hua tha. Arohi, Tej samet sabki dhadkane uss pal uss drishya ko dekh tez ho uthi.
20-25 aadmi sabhi ke sabhi Veer ke saamne sarr jhuka ke khade hue the. Sarabhai ne jab ye dekha toh jaise uske shareer se uski aatma hi rooh hi nikal gayi. Aadesh ko apni aankhon par vishvaas nahi ho raha tha.
Toh wahi Kaera, Sonia, Gaurav aur Karan bhi dur khade ekdum hairaan the. Ye sab kya tha?
Aaj Veer ne unn sab ko unki aukaat dikha di thi. Kaisi luxury? Kaisa Paisa? Jab jaan hai toh jahaan hai. Veer ke connections kis level ke the, aaj unn sab ko pata lag chuka tha.
Khaas kar Aadesh ko aur Kaera, Sonia ko. Kaera aur Sonia ne nahi socha tha ki Veer inn sab me bhi involved tha. Aaj Kaera ko mehsoos ho raha tha. Kya usne Veer ko jaldi judge kar liya tha?
Par andar se uska dil zorro se dhadak raha tha. Veer ke samaksh woh sab sarr jhukaaye khade hue the. Veer koi bahut bada businessmen nahi tha. Lekin, uske bawajood itna bada aadmi usme saamne sarr jhukaaye khada tha. Kisi bhi businessman ki itni aukaat nahi thi waha ki Balhaar ko sarr jhukaane par majboor kar de.
Magar, bina koi bada businessman hone ke baad bhi Balhaar jaisa aadmi Veer ke saamne jhuka hua tha.
*Silence*
Balhaar : Aap yaha?
Balhaar ke kaan me uske aadmi ne pehle hi bata diya tha ki yaha kuch derr pehle Veer boss ke saath kya hua tha. Aur isliye, Balhaar ne turant hi ye sab kiya.
Veer (smiles) : Kuch kaam tha. Toh yaha aana pada.
Peeche khadi Kavya aur baaki sabhi aaj mann hi mann itni prasann thi ki unke muh se kuch nikal bhi nahi paa raha tha. Tej mud ke bas apne bhai ke mukh ko dekhe jaa rahi thi. Uske mann me dherro sawaal fir se paida ho chuke the.
'Akhir inn 20 saalo me, tumne kya kya kiya hai Veer?'
Balhaar : Itni jaldi jaa rahe ho?
Veer : Well, they don't deserve my presence anymore.
Balhaar : Mere aadmi aap sab ko chorr denge.
Veer (smiles) : Don't worry! Mujhe meri hi car chalana pasand hai.
Balhaar (nods) : Jii! Koi aur kaam?
Veer : Thoda aadmiyo ko control me rakha karo.
Veer ka ishaara saaf saaf Sarabhai ki taraf tha. Balhaar ne jaise hi Sarabhai ko palat ke dekha toh Sarabhai ke pant me jaise uska halka sa moot chooth gaya.
Balhaar : Dhyaan rakhunga!
Veer : Hmm! Mein chalta hu!
Balhaar (nods) : Hmm!
Aur Veer waha se nikalne laga. Uske peeche peeche uski behne thi. Kisi ki himmat nahi hui iss baar uss se baat karne ki.
Kaera wahi khadi thi. Jab Veer uske bagal se nikla toh ek shan ke liye uske paas ruka.
Woh use hi dekh rahi thi. Veer ne bas kuch pal use dekha aur bina kuch kahe waha se nikal gaya. Uske jaate hi Kaera ka dil paseej utha.
Kaera : J-Julia!!!
Julia : It's your fault miss! But Young Master Veer is such a gentleman fufu~ So, what if he doesn't have a c-suite profile? He has one thing which none of them here have.
Kaera : Wh-What?
Julia : Power!!
Julia ki baat par Kaera ko firse wahi drishya yaad aa gaya, jab Veer use bachaane aaya tha. Fir chaahe woh mirror gallery me ladna ho ya fir uss hideout me uske liye haath par chaaku khaana. Sab kuch use yaad aaya. Julia sahi thi. Yaha baithe kisi ke me bhi itna dum nahi tha, itne guts nahi the jitne Ve
er ke paas the.
Julia : And remember Miss!
Kaera : Huh?
Julia : Luxury was made, to make you feel poor.
Kaera : Ahh!!!
Ek vaakya me Julia ne uski aankhein khol di thi. Kaera koi weak lady nahi thi. Wo bas confused thi. Aur yahi confusion use best hone se peeche kheech raha tha. Shayad ab, woh inn baato ka dhyaan rakhne waali thi.
***
Idhar airport par ek flight aake utri. Andar kayi saare passengers me se ek France ka aadmi utra.
Baahar aate hue woh taxi ko dhoodhne laga. Taxi kar woh seedha ek nazdeeki hotel gaya.
"Fuck!! My god! India is so vibrant! The colour, the lights, the traffic. Everything is chaotic here. But I like it. It's so engaging. My dear friend! One room please~"
Receptionist : Sure sir! Umm! Your name?
Guy : Ohh! Call me Louis, my friend!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
Update consists of 8.6k words. Target apna wahi hai. 150. I won't give any explanation. Already ju logo ko sab bata chuka hu. Agle kuch 6-7 updates hi bache hai shayad. Maybe update 170 ya 171 se Chinatown arc start ho jaayega. Tab tak ke liye,
Dhanyavaad.
Super update BhaiUpdate - 162 ~ Garofano

Aadesh ki assistant ko veer aur Suman ki slave banana . waiting for next sex scene kiski veer leta h.
Bahut hi badhiya update diya hai Werewolf bhai....Update - 162 ~ Garofano

Mind blowing updateUpdate - 162 ~ Garofano

hamesha ki tarah bahut hi shaandar updateUpdate - 162 ~ Garofano