• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Incest Baadshah ~ The Tales of Debauchery

Kya Veer apni life behtar kar paega ya sab kuch kho baithega?

  • Veer Baadshah banega

    Votes: 1,277 83.2%
  • Sab kuch kho baithega

    Votes: 26 1.7%
  • Kuch paega toh kuch khoega

    Votes: 197 12.8%
  • Kuch nahi bann paega

    Votes: 34 2.2%

  • Total voters
    1,534

Mr-Z

Member
108
299
78
Mega Update

Update - 175 ~ Heavy Violence (1)

[Note : Update bahut bada hai. Itminan se padhna.]

Ab tak...

Aur, Renshu ke agle hi ishaare par sab ke sab jangal me pravesh kar diye. Woh sabji straight way me ghus chuke the. Toh wahi Veer East side ke liye ravana ho chuka tha.

Aage jo kuch bhi hone wala tha woh bhayanak hi hone waala tha.

'Let's do this, Pari!'

[Fufu~ I was waiting to see you in action.]

Ab aage...

Raatri ka pahar lag chuka tha. Jangal andhkar me lay ho gaya tha. Aur, prakrati sannaate me doobi hui thi. Aasmaan me chamakte chaand ki raushni toh thi magar woh raushni ghane jangal me chhaaye andhkaar ko bhed na saki.

images-2

Renshu samet sabhi jangal ke liye seedhe raaste se pravesh kar chuke the. Uske sang Erica sabse aage chal rahi thi aur baaki sabhi aadmi unke peeche. Divya apne security guard aur escort Clark ke saath ekdum peeche thi taaki agar buri sthiti me unhe lautne ki zaroorat pade toh woh bina kisi pareshani ke laut sake. Toh wahi army ke 6 jawaan bhi Renshu aur Erica ke sang theek unse lag ke chal rahe the. Aane waale khatre ke liye poori tarah satark.

Lakshya toh sabko gyaat tha kintu, kayi logo ka aatmvishvas abhi se dol raha tha.

"I-Itna andhera hai. K-Kya raat me aana zaroori tha? Hum din me bhi toh ye kar sakte the na?"

"Pata nahi! Par, kya hum lad bhi payenge unse? Unn sabhi logo ko ilaaqe ka gyaan hai. Jabki hume kuch bhi nahi pata. Upar se ye andhera."

"S-Sahi kaha!"

"Par ye hamari akhiri ladaayi hai. Order ke liye hume ye karna hi padega."

"Jaan hai toh jahan hai. Agar, mein zinda hi nahi rahunga toh kaisi jeet? Jab mein bhavishya hi dekh nahi paunga toh kya inn sab ka kuch matlab bhi reh jaata hai?"

"Tumne theek kaha."

"M-Maine suna hai ki Long Tribe ke log jaadu tone me bhi maahir hai. A-Agar unhone hamare upar k-kuch kar diya toh-!?"

"Woh toh humse bheed me bhi zyada honge. Poori tribe hai unki. Jabki hum bas kuch chand log hi hai."

"Sh-Shayad ye ladayi hum haar na jaaye!?"

Renshu aur Erica ko sab kuch aage sunayi de raha tha. Jaha Renshu shaant tha toh wahi Erica ke maathe ki nass phatne ko aa chuki thi. Andar jangal me ghuse abhi kuch pal hi hue the aur unke aadmi aisi baatein kar rahe the jaise jung haar gaye ho. Zaahir hai aise me Erica ko gussa aana jayaz tha.

Aisa bhi nahi tha ki woh bina kisi taiyaari ke saath aaye the. Teen mashaal leke woh chal rahe the. Adhik mashaalo se woh tribe ke logo ka anavashyak dhyaan aakarshit nahi karna chaahte the. Kuch aadmi apni peeth par bags laade hue the jinme first aid kit se leke kuch khaane peene ka zaroori samaan aur davaiyaan bhi maujood thi. Haatho me unke hathiyaar bhi the jinhe chalana woh bakhubi jaante the.

Upar se sheher se mangayi gayi kuch torch aur maathe par lagaane waali lights bhi unke paas maujood thi. Renshu aur Erica pehle se hi head torch apne maathe par lagaaye hue the. Bas, unhe abhi jalaaye nahi the. Abhi iski aavashyakta nahi thi. Seedhe raaste aane me yahi ek dikkat thi ki yaha par andhera zyada hota tha. Yaha ke ped aapas me ek dusre se itne chipke hue the ki chaand ki raushni yaha zyada antar nahi daal paati thi.

Jabki Veer ke maamle me aisa nahi tha. Eastside ka jangal iss tarah tha ki waha pe koi mashal ya torch light ki zaroorat nahi thi. Pedo ke beech duri ka itna antar tha ki chaand ki raushni se bakhubi sab kuch nazar aa jaata tha.

Idhar filhal Erica jo apne aadmiyon ke aatmvishvas ko dolta dekh rahi thi uss se ab aur bardasht na ho saka.

IMG-20240223-173249

Erica : D-Dad-!?

Usne apne bagal se chal rahe apne pita ko dekha. Woh jo kehna chaahti thi woh Renshu pehle hi samajh chuka tha. Isliye, woh chalte hue wahi par ruk gaya. Uske rukte hi peeche chal rahe aadmi bhi fauran ruk gaye.

Renshu palta aur usne apne sabhi aadmiyon ko dekha. Kareeban 100 aadmi uske saath honge. Woh jaanta tha ki ye maatra tribe ke logo se bhidne ke liye kaafi kam thi. Woh log na jaane andar kitne honge. Kareeb kareeb 300 se adhik? Ya shayad 500 se bhi zyada!? Use aakde ka andaaza nahi tha. Parantu, woh jaanta tha ki tribe me atyadhik log zaroor the. Unke aadmiyon se 4 se 5 guna zyada. Aise me uska aur Erica ka yaha rehna behad aavashyak tha.

Magar, Divya aur aadmiyon ke saamne apni poori skills ka istemal khule-aam nahi kiya jaa sakta tha. Renshu ne uske liye bhi ek tarqeeb soch rakhi thi. Ek kaaran yahi tha ki usne kyu raatri me ghus paith karna uchit samjha. Andhere ki aadh me woh aur Erica woh sab kar sakte the jo ek aam insaan kabhi nahi kar paata.

Renshu ne apne aadmiyon ko dekha aur gambheer awaaz me unse kaha,

Renshu : Mein janta hu ki ye ladayi hamari ab tak ki sabse kathin ladayi hone waali hai. Mein ye bhi janta hu ki hum me se kayi log ghayal hoyenge, toh kuch ho sakta hai apni jaan bhi gawa de. Par, mein yaha se peeche nahi hatt sakta. Agar, ab bhi tum sab me se kisi ko yaha aane ke liye pachhtava ho raha hai toh woh abhi ke abhi yaha se laut sakta hai. Mein use kuch bhi nahi kahunga. Aur, na hi uss se koi berr rakhunga.

Uske itna kehte hi waha par ek khamoshi chhaa gayi. Inn sabhi aadmiyon ka koi parivar nahi tha. Jo anaath ho chuke the, apna parivar kho chuke the Renshu ne unhe hi apne saath rakha hua tha.

Jab se woh Renshu ke saath jude the tab se Order aur uske sadasya hi unka parivar the. Renshu unhe unki maasik tankhwa deta, unhe kaam saunpta, martial arts sikhata, yaha tak ki unke rehne aur khaane peene ka kharcha bhi wahi uthata tha.

Ye log bhi uska utna hi parivar the jitna ki woh unka. Magar, inhi aadmiyon me se kuch aadmi aise the jo Renshu ke upkaar ko bhali bhaanti samajhte the. Unhone turant apne hathiyaar ko kass ke pakda aur aapas me garajte hue bole,

"Kya ho gaya hai tum sab ko? Kya bhool gaye woh chenn ki zindagi? Jab Lord ne hume aasra diya tha...!? Hamare liye itna kuch kiya. Aur, jab unka saath dene ki baari aayi toh tum log muh chhipa ke bhaagna chaahte ho? Thuu hai tum par."

"Sahi kaha. Jab tak aish thi tab tak Lord ke peeche peeche ghoomte the. Ab jab musibat saamne aayi toh Lord ko chorr ke apna araam aur fayda dekhna chaahte ho?"

"Ise kehte hai jis thaali me khaana, usi me chhed karna. Hmph!"

"Koi aapke saath aaye chaahe na aaye, Lord. Mein aapka saath ant tak dunga."

"Mein bhi!!!"

"Mein bhi!!!"

"Aur mein bhi!"

Isi tarah dher saare aadmi Renshu ka kandha banane ke liye taiyaar hone lage. Jo pehle shanka jata rahe the woh bhi ab glaani ke chalte khud par gambheer vichar karne par majboor ho gaye.

Renshu ne ek halki muskan ke saath unhe dekh haami bhari. Usne jitne aadmi rakhe the, sabhi parakh ke rakhe the. Ye woh log the jo wafadari nibhana bakhubi jaante the.

Ant me hua bhi wahi. Ek bhi aadmi laut ke wapas nahi gaya. Peeche khadi Divya bhi saamne ho rahe hungaame ko dekh vichlit thi. Par, ant bhala toh sab bhala. Sabhi me wapas se ekta aa chuki thi.

Renshu : Mujhe jaan ke khushi hui ki tum sab mere liye itne wafadar ho. Naseeb se hi tum jaise log kisi ko milte hai. Tum sab mera parivar ho. Aur, ye mera vaada hai ki jitna ho sakega mein poori koshish karunga ki hum sab ke sab sahi salamat wapas laut sake.

Erica ke chehre par muskaan dekh aur Renshu ki baat sunn, aadmi pehle se aur bhi adhik josh me ab nazar aa rahe the. Aur, ab samay tha asli pareeksha ka.

Renshu : Jaise jaise hum aage badhenge, khatra badhta jayega. Mere ishaare par sachet ho jaana. Bina mashaal liye hum andar pravesh nahi kar sakte. Aur, andar jaate hi unhe hamari mashaalo ki raushni dikhni hi hai. Ye bhi ho sakta hai ki woh hamare liye pehle se hi taiyaar khade ho.

Aadmi : A-Aise me hum bhidenge kaise unse?

Renshu : Accha sawaal hai. Uske liye maine ek tarqeeb soch rakhi hai. Erica?

Erica : Y-Yes Dad?

Renshu : Agar tum Long Tribe ki sadasya hoti aur hum sab tumhare ilaaqe me ghus paith kar ke hamla kar rahe hote toh tum sabse pehle kya karti?

Erica : Agar mujhe pata hota ki aap sab hamla kar rahe ho toh mein pehle hi jaal biccha ke rakhti. Mujhe pata hota ki aap sab kaha se aane waale ho. Andhere ka fayda utha ke mein pehle hi apne aadmiyon ko chaaro orr bikher deti taaki aapke andar aate hi chaaro orr se aapko ghera jaa sake.

Erica ka jawab sunte hi sabhi hairat me reh gaye. Toh wahi Renshu muskuraya,

Renshu : Dekha tum sab ne? Hume ye maan ke chalna chahiye ki woh hamare aane ke baare me jaante hai. Toh aise me hum bhi wahi karenge jo woh kar rahe hai.

Aadmi : K-Kya?

Renshu : Hum bhi bikhar ke hi andar ghusenge. Unhone jo gola bana ke hume gherne ki tarqeeb banayi hai. Use counter karne ka ek hi tareeqa hai. Hume unse bada gola bana ke ghusna hoga aur unhe gherna hoga.

Aadmi : P-Par kya ye sambhav hai? Woh maatra me bahut zyada honge Lord. Aise me woh jo golaayi bana ke hume gherenge... Woh humse bada hi hoga na?

Renshu : Sab ke sab shuruat me hi nahi khade honge. Ye moorkhta hogi. Unhone pehle hi ye decide kar rakha hoga ki kis jagah par kitne aadmi utaarne hai.

Aadmi : O-Ohh!

Renshu : Jaise hi entrance ke ghere ko hum khatam karenge, hum firse gola bana ke hi aage badhenge. Aur gole se mera matlab hai ardh gola. Do do aadmi ek saath rahenge aur har aadmiyon ke beech itna gap hoga ki andhere me woh ek dusre ko dekh na sake, par madad ki zaroorat par samay par unke paas pahuch sake.

Aadmi : Agar ank me kahe toh?

Renshu : Ank me kahe toh kareeb kareeb 15 meter.

Aadmi : Matlab 2 aadmi ek jagah rahenge aur fir unse 15 meter chorr ke baaki do aadmi?

Renshu (nods) : Haan! Aur, ek mehatvpoorn baat. Entrance ke nazdeek aate hi apni apni shields apne chehre ke saamne rakh ke chalna.

Aadmi : K-Kyu?

Aadmi confused tha. Unke paas thos lakdi ki bani ek ek shield bhi thi. Parantu, chehre ke saamne kyu rakhna?

Renshu : Wese toh jitna hume dikhega utna hi unhe dikhega. Par, fir bhi... Unke paas teer kamaan bhi honge. Ek bhi teer agar chorra gaya, toh woh itni raftar se aake kab tumhari jaan le jayega tumhe pata bhi nahi chalega. Isliye, khud ki suraksha ke liye behtar hai ki hum pehle se hi saari taiyaari ke saath andar ghuse.

Aadmi : S-Samajh gaye, Lord.

Renshu (glances) : Aur, Miss Divya aap...!

Divya : H-Huh!?

Renshu : Mein abhi bhi aapse kehta hu. Andar jaane ki aapko koi zaroorat nahi hai. Jaan ka khatra bahut rahega. Aap chaahe toh abhi bhi-

Divya : N-Nahi! Ye mein sirf apne assignment ke liye nahi kar rahi. M-Mujhe bhi jaanana hai ki Long Tribe ne akhir aisa kyu kiya? Aapne kaha ki unhone gerr kanooni roop se mine par qabza kiya hai. Mujhe sab kuch janana hai. Aur, ho sakega toh mein isme apna yogdan jitna ho sakega utna dungi. S-So, please-

Renshu (nods) : As you wish! Aap mere peeche chalte rahiyega. Aur, 3 jawano ko mein aapke saath hi rakhunga. Aur... Erica???

Erica : I know Dad! Tch!

Woh punah muh fulaate hue apni nazre ferr li. Woh samajh gayi thi ki uske pita kya kehna chaah rahe the. Yahi ki use Divya ka dhyaan bhi rakhna hoga. Akhir, Divya Veer ki khaas thi. Aur, upar se woh insaan jo FBCC ki ek agent thi. Ek aisi mahila jiska iss maamle se koi lena dena hi nahi tha. Uski jaan jaana matlab apne upar nayi musibat sarr mol lena.

Renshu : Then...! Let's go!!!

Sabhi aage chal pade. Renshu ko Divya se koi dikkat nahi thi. Woh jaanta tha ki FBCC crimes ko observe karti hai aur jitna ho sake utna unhe prevent karti hai. Aise me Divya agar yaha rehti bhi hai toh zyada se zyada information hi ikhatta karegi. Isme use koi dikkat nahi thi.

Woh sabhi chalte jaa rahe the aur jangal ki gehraiyo me ghuste jaa rahe the. Jaise jaise woh andar jaa rahe the khamoshi aur bhi badhti jaa rahi thi. Ye ek sanket tha ki Long Tribe ke ilaaqe me woh jald hi pravesh karne waale the.

Ek ghanta ho chuka tha unhe chalte hue, beech beech me unhone ruk ke saansein durust ki parantu, araam nahi farmaya jaa sakta tha.

Renshu : Erica...!

Erica infiltration me maahir thi. Stealth uski taaqat thi. Magar, ek pita hone ke naate Renshu Erica ke prati bahut hi protective tha. Kuch kahe bina hi ye baap beti ek dusre ki baat samajh jaate the. Abhi Renshu ne bas uska naam hi liya tha ki Erica bhaanp gayi use kya karna tha.

Erica : Leave it to me. And, don't worry. I can handle this easily.

Usne asani se keh toh diya, magar Renshu apni beti ko inn khatro me nahi daalna chahta tha. Uski majboori thi jo uss se ye kaam karwa raha tha.

*Whoosh*

Erica ek jhatke me apni jagah se gayab hui aur andhere me unn sab se aage nikal gayi. Long Tribe ke ilaaqe ki entrance par woh sab padhaar chuke the.

Lakdi ka ek sign post laga hua tha. Use paar karte hi Tribe ka ilaqa lag jaana tha. Sabhi aadmiyon ki dhadkane ab pehle se tez ho chuki thi. Vyakulta unhe apne ghere me le rahi thi.

Ped ke peeche chhipi Erica apne jooto ko utaar ke yaha aayi thi. 'Dead Silence' sirf Garofano ke paas nahi thi. Erica ke paas bhi woh skill maujood thi. Balki, uske paas stealth skills ki bharmar thi.

'Genie!!?'

[Yes?]

'Show me my full status!'

[As you wish!]

*Ding*

Mann me awaaz aate hi Erica ke saamne uska full status maujood ho gaya.

web-3

'Activate the Nocturnal Shade, Genie!'

*Ding*

[Nocturnal Shade has been activated.]

Uske activate hote hi Erica ko andhere me sab kuch saaf dikhayi dene laga. Nocturnal Shade woh scroll tha jo host ke dwara activate kiya jaa sakta tha. Andhere me insaan saaf saaf dekh sakta tha bilkul unn jeevo ki tarah jo nocturnal jeev the jaise ki ullu, chamgadad, bhediya se leke aur bhi tamaam praani.

'If only... If only I could master Tai chi, Bagua Zhang and Xingyiquan. Then, I wouldn't have been hiding here by now.'

[Don't worry! Unhe master karne ke liye hume asli ladayi me bhaag lena hoga. Just keep going...!]

'Hmm!'

Usne ped ke peeche se jhaanka aur aage ka jayza liya.

'One... Two... Three... Five... Seven... Eleven... Fourteen... Sixteen... Nineteen... Twenty two... Twenty four... Twenty six...!!!'

[They are hiding quite well!]

'Mere paas kitne points bache hai abhi, Genie?'

[Tum khud kyu nahi dekh leti?]

Genie ke itna kehte hi Erica ke saamne uske full status ki dusri window haazir thi.

web-4

'Oh no!! Sirf 800 points!?'

[You used your points to buy 'Blemish' after all.]

'Par, 'Blemish' uss waqt lena zaroori thi. Mujhe unn invitation cards pe jo lagani thi. Urgh! I need more combat skills and cards.'

[Well, quest hunt is there for you. Ek draw ke '500' points. Do you wanna test your luck?]

'No! Thanks! I'll save my points.'

[As you wish!]

'Dead Silence' ne jaha uske chalne ki aahat ko poori tarah se mita ke rakha tha toh wahi-

[Skill name : Chameleon
Description : Hides the presence of the host by controlling the breathing patterns. Blends the body temperature according to the environment. Also, allows the host to hear heartbeats of others from a distance.]

Uski saanso, aur dhadkano ko 'Chameleon' iss hadd tak kam kar chuka tha ki Erica ko apni hi dhadkane mehsoos karne ke liye seene par haath lagana padta. Saath hi saath uske badan ka paara bhi vatavaran ke hisaab se dhal chuka tha. Yahi woh skill thi jiski madad se woh Divya ki dhadkano ko beete dino sunn paayi thi.

Woh dabe paav waha se lauti. Use Renshu aur baaki sabhi tak pahuchne me kuch der lag gayi. Sabhi ne mashaale bujha rakhi thi. Aahat paate hi woh sab chaukanne ho gaye par jab dekha ki woh koi aur nahi, Erica hai toh unki jaan me jaan aayi.

Renshu : Kuch pata chala?

Erica (nods) : Total 26 log maujood hai.

Renshu : Hmm!

Erica : Kuch ped ke peeche chhipe hai toh kuch pedo ke upar hai aur jaal biccha ke rakhe hai. Khaas kar net waala jaal. Toh upri hamlo se hume chaukanna rehna padega.

Aadmi : Ahh! M-Miss Erica ne itne andhere me ye sab kaise pata laga liya?

Erica : Hmph! I have some equipments with me.

Aadmi : O-Ohh!

Jawan 1 : Sir! Aage hume jaane dijiye. Aap sab peeche hi chaliye. Hamare paas night vision goggles hai. Aur, mera aapse ek sawaal hai.

Renshu : Hmm? Kaisa sawal?

Jawan 1 : Kya hume tribe ke logo ko jaan se maarna hai?

Renshu : Mujhse jitna ho sakega mein utna avoid karunga ki unhe jaan se na maara jaaye. Sirf behosh kiya jaa sake.

Jawan 1 (nods) : Jaisa ki maine socha tha, aap bilkul wese hi hai. Aur, mujhe khushi hui ki maine yaha aane ke liye khud ko niyukt kiya. Darasal, maine aapke baare me bahut suna hai.

Renshu : Ohh?

Jawan 1 : Mein dekhna chahta tha ki Li Renshu Order ke Lord akhir kaise vyakti hai? Unhe parakhna chahta tha.

Renshu (smiles) : Toh? Kya tum parakh paane me qamyab hue?

Jawan 1 (smiles) : Ji! Aur, mujhe ab aage kuch nahi kehna. Aap bas hume bataiye ki kya karna hai.

Renshu : Mein jaanta hu ki aap sab apni iccha se aaye hai aur tribe ke khilaf awaaz uthane ke liye taiyaar hai. Par...

Jawaan 1 : Par?

Renshu : Par, government nahi chaahegi ki Army ke logo ke dwara mein tribe ke logo ko haani pahuchau. Agar, unhe iss baat ki khabar lagi toh ho sakta hai ki aap sab ki naukri bhi-

Jawaan 1 (smiles) : Iss baat ki aap chinta mat kariye. Humne sab soch rakha hai. Aap bas bataiye ki karna kya hai. Hum ilaaqe se parichit nahi hai. Aapko iss shetra ka zyada gyaan hai. Aap bas batate chaliye, hum wese hi aage badhte jayenge. Tactical invasion me hum maahir hai.

Renshu (nods) : Theek hai!

Renshu ne haami bhari. Ye jawaan hoshiyaar tha. Woh Renshu ke vyaktitv ko parakh raha tha. Agar, Renshu keh deta ki Tribe ke logo ka khatma karna hai toh ho sakta tha ki ye jawan baaki sabhi jawano ko leke yaha se chala jaata. Magar, jitna yeh jawan hoshiyar tha uss se kayi guna Renshu samajhdar tha.

Ab samay zaaya karne ke liye nahi tha. Ek baar me seedha hamla bolna tha. Erica ne pehle hi Renshu ko location de di thi. Aur, Renshu ne apne aadmi bhi iss tarah bikher diye the ki agar tribe ke log unn par hamla karte bhi hai toh unka hamla zaaya hi jaane wala tha.

Renshu : Let's go!!!

*Whoosh*

Sabhi dhadalle se aage badhe. Renshu jawaano ke sang aage tha. Erica uske bagal se. Jawaan aage aate hi apne night vision goggles ka istemal kar pedo ke upar baithe tribe ke logo ko dekh liye. Unn par nishana saadha aur-

*Bang*

Ek goli bandook ke nozzle se nikalti hui seedhe ek tribe ke aadmi ki jaangh par jaa ke lagi.

"Aaaaaaarrrrgghhhh!!!"

Woh cheenkha...! Achanak se ye na jaane kya hua uski samajh me na aaya. Par apni jaangh par use kisi prakar ki garmahat mehsoos hone lagi. Khoon...! Ped ki daal par se uska santulan bigda aur-

*Thud*

Woh seedha neeche jaa gira. Isme koi shaq nahi tha ki itni uchaayi se girne ke baad uski kuch haddiya toh toot hi gayi hongi.

"Huh??"

"K-Kaun??"

"Hamla...! Hum par hamla hua hai!!!"

"Krrrriiiiiiii krrrriiiiiiiii"

Chaaro orr ekdum se afra tafri mach gayi. Ajeeb si awaaz me woh zorr se chillaane lage. Ye sanket tha. Tribe ki code language...! Unhone apne dur tainaat baaki aadmiyon ko sanket de diya tha ki unn par hamla hua hai.

"Aagi jalao!!! Aagi jalao!!!"

Nazdeek baitha ek aadmi jo haath me lakdi liye hue tha usne turant hi maachis jalayi aur lakdi par bandhe kapde par aag de di. Turant hi lakdi neeche kar usne fir baaki rakhi lakdiyo par aag laga di.

*Crackle* *Crackle*

Ek jhatke me hi unn lakdiyo par aag lag gayi. Shayad pehle se tel ya kisi anya cheez se bhigo ke rakhi gayi thi. Aag jalte hi raushni fel uthi. Aur, aas paas ka saara nazara dikhne laga.

Jaise hi tribe ke logo ne dekha ki itne saare logo ne unn par hamla kar diya hai unki haalat kharab ho gayi. Akhir, woh yaha par unhe gherne ke liye jaal biccha ke rakhe the. Unn par ulta vaar kaise ho gaya?

Tribe ke iss unit ko jo lead kar raha tha usne turant hi upar baithe aadmi ko dekha jo jaal giraane ke liye zimmedar tha. Par...!

Waha dekh ek aur jhatka use laga. Wahi aadmi toh goli khaa ke neeche gira tha. Dard se karahte hue woh behosh ho chuka tha.

Unit leader (growls) : T-Tum sab-!!! Lord sahi the. Tum sab agle 3 dino me kabhi bhi hamla kar sakte ho. Woh sahi the-!! Tumne apni hi maut ko bulaya hai. Haha! Tum sab andar toh aa gaye ho... Par, yaha se ek bhi zinda wapas nahi jayega. Hamlaaaaaa-!!!!!

Woh zorr se garja. Aur, tribe ke log uske chillaate hi Renshu aur uske logo par toot pade.

"Haaaaaaaarrrgghhhh!!!"

*Whoosh* *Whoosh* *Whoosh*

Upar pedo par jo baithe the unhone apne teer chorr diye. Hawa ko cheerte hue kuch teer apne lakshya se bhatak gaye par kuch...!

"Aaaaaaarrrrrghhhhhh!!!"

"Aaaaaaaa-!!!"

"Urrrrghhhh!!!"

Seedhe jaake Renshu ke aadmiyon ko jaa lage. Shield ke chalte unke mehatvpoorn ang toh bach gaye par chot toh akhir chot hoti thi.

Erica ne dekha ki tribe ke logo ka pehnava ajeeb hi tha. Woh aadhe kapdo me the aur unke badan par tarah tarah ke rang pute hue the. Woh unse bhidne ke liye taiyaar thi.

*Bang* *Bang* *Bang*

Toh wahi, Jawano ne jaan bachaane ke liye apna kaam shuru kar diya. Harr taraf shor mach utha. Jo jangal kuch derr pehle ekdum shaant tha waha ab cheenkhe goonj uthi. Goliyo aur hathiyaro ke bhidne ki awaaz ne uss shaanti ko poori tarah se bhang kar diya.

Lahu ke chheethe hawa me udne lage aur Renshu andhere me bhaagte hue apne bhaale se khatro ko hataata jaa raha tha.

*Whoosh*

Uska bhaala bhayanak tez raftar me udta hua ek ped par baithe aadmi ki taang me jaa ghusa. Aadmi bheeshan dard me cheenkha, aur tabhi-

*Ka-ching*

Renshu ne apne bhaale ko kheench liya. Uska bhaala koi aam bhaala nahi tha. Bhaale ke chhor se ek lambi lohe ki chain bandhi hui thi. Aur, woh chain Renshu ke daaye haath me lipti thi.

Woh zorr se bhaale ko fekta, chain uske haath se khulte hue lambi fel jaati aur bhaale ke sang chali jaati. Aur, apne lakshya ko bhed bhaale ko Renshu wapas chain ke zariye use kheench leta. Ek khatarnak aur jaanleva hathiyar.

"Ericcaaaaaaaa-!!!!"

Usne zorr se awaaz lagaayi.

"On my way-!!!"

Erica ne peeche se jawab diya. Dono ka bas itna hi kehna tha. Aur, fir dono baap beti-

*Whoosh* *Whoosh*

Tez raftaar me bhaagte hue aadmiyon ko giraate gaye. Erica ke haatho me ek knife thi. Ye aam insaan uske liye kuch bhi nahi the. Uski gati inn sabhi se zyada thi.

*Splatter* *Splutter*

Khoon felta gaya. Jitna ho sakta tha Renshu aur Erica ne bas logo ko ghayal hi kiya tha. Toh wahi Renshu ke aadmi one to one combat me bhid gaye.

"Chorrna nahi inhe aaj-!!!"

"Inhi ki wajah se hum yaha fase hai aur hamare lord bhi."

"Order zindabad!!!"

Peeche khadi Divya jo sab dekh rahi thi woh ekdum stabdh thi. Use theek se sab kuch nazar nahi aa raha tha par ek anumaan laga chuki thi woh.

Divya (panics) : Wh-What's happening?

Jawaan 3 : Miss! Aap mere peeche rahiye. Kabhi bhi yaha par koi-

Uska itna kehna hi tha ki andhere me se ek tribe ka aadmi khoon se sani chaaku liye achanak se uske gale ki orr lapka.

Divya (screams) : Aaaaaahhhhhhhh-!!!

*Swoosh*

Chaaku jawaan ke gale se ek inch ki duri se hawa ko cheerte hue nikal gayi. Jawaan ne samay par apni gardan peeche kar li. Ek jhatke me usne tribe ke aadmi ke perr ko maar uska santulan toda aur bandook ke chorr se uske sarr par vaar kar use wahi behosh kar diya.

Jawaan 3 : Phew! That was close-!

Clark : It's too risky-!

Jawaan 3 : Abhi bhi samay hai. Agar aap chaahe toh-

Divya : N-Nahi! M-Mein yaha se peeche nahi hatt sakti.

Jawaan 3 : Theek hai! Waise, inn sab ke baad hamare senior bhi aapse baat karenge.

Divya : K-Kis liye?

Jawaan 3 : Aam taur par government baahri madad nahi leti hai. Par, iss baar FBCC involved hai. Hamare Senior bas aapse kuch puch-taach hi karenge. Aur, kuch nahi.

Divya : Ohh! Koi baat nahi. Mein harr tarah ke sawaalo ke liye taiyaar hu.

Jawaan 3 (smiles) : Agar aisa hai toh acchi baat hai. Aaiye! Sambhal ke aage badhiye.

Divya (nods) : Umm!

Woh jawaano ke saath aage badhti gayi. Par, mann kahi aur bhi bhatka hua tha.

'V-Veer-!? Tum theek toh ho na? Ab tak akhir woh hamare saath mila kyu nahi? Akhir eastside aur straight way aapas me kab judte hai? Mujhe iski jankari leni padegi.'

Divya : S-Suniye!

IMG-20240223-173604

Jawaan 3 (glances) : Hmm?

Divya : Kya aapko andaza hai ki eastside se ye ilaaqa aapas me kab judta hai?

Jawaan 3 : Mein yaha first time aaya hu, Miss. Iss sawal ka jawab aapko Renshu Sir hi de sakte hai.

Divya : What? Agar government ne aap sab ko bheja toh unhe unko hi bhejna chahiye tha na jo iss region se familiar ho?

Jawaan 3 (smiles) : Government toh chaahti hi nahi ki army iss maamle me involved hoye, Miss.

Divya : Ah!?

Jawaan 3 : Renshu Sir ne maang rakhi thi ki army ki taraf se unhe madad chahiye. Tab jaake government ne 6 army personnel ko bhejne ka tay kiya.

Divya : Toh iska matlab-

Jawaan 3 (nods) : Jo army personnel iss region se familiar hai unko yaha aane se hi mana kar diya gaya. In fact, government ka indirectly yahi kehna tha ki hum army ke logo ko iss matter se dur hi rehna chahiye.

Divya : Fir?

Jawaan 3 : Magar, Renshu Sir ki maang tab tak hamare unit tak pahuch chuki thi. Toh yaha aane waale hum 6 ke 6 log apni marzi se aaye hai.

Divya : Ah!

Jawaan 3 : Ye hamari khud ki iccha thi. Hum sab ka yahi manana hai ki government jo kar rahi hai woh bahut galat hai. Renshu Sir ne China ke liye bahut kuch kiya hai aur unke pita ne bhi. Mere pita ji ki madad bhi unhone hi ki thi. Mein ek tarah se unka karzdar hu. Aur, ye mera farz banta hai ki aise waqt me mein unki madad karu.

Divya : That's such a resolve-! Aam taur par aadmi aisi situation me apne ko safe rakhta hai.

Jawaan 3 : Agar mein aisa sochta toh kabhi army ka hissa nahi bann paata, Miss. *smiles* Aaiye-!!! Lagta hai aage ki squad ne Tribe ke unit 1 ko neutralize kar diya hai.

Divya : Hmm! Huh? Ek minute! Hamare log tribe ke logo ka treatment kar rahe hai?

Jawaan 3 : Jaan lena hamara maqsad nahi hai. Mine haasil karna hamara maqsad hai. Isliye, jitna ho sakega hum utna maarne se khud ko rokenge. Renshu Sir yahi kar rahe hai. Ek kaaran ye bhi hai ki hum kyu unke saath ab tak yaha ruke hue hai.

Divya (nods) : I see now!

Jawaan 3 : Of course! Sirf first aid se inka kaam nahi hone waala. Magar, inki jaan nahi jayegi. Inke aadmi jald hi inhe lene aa jayenge. Ab hume aage badhna chahiye.

Divya : Okay!

Jawaan 3 : Kya mein puch sakta hu ki aapko eastside ke baare me kyu jaanana hai?

Divya : Mera khaas dost, uss raaste se andar gaya hai. Renshu Sir ka kehna tha ki uss ilaaqe me tribe ke log nahi rehte.

Jawaan 3 (nods) : Hmm! Ye baat sahi hai. But does your friend have a death wish?

Divya : Huh?

Jawaan 3 : Bhale hi tribe ke log waha nahi rehte magar unhone zaroor apne kuch aadmi toh waha tainat kar hi rakhe honge. Udhar akele jaana matlab khud ki jaan unke haatho me de dena.

Divya (panics) : Ahh!?? N-No-!!

Jawaan 3 : He shouldn't have gone there.

Divya (frowns) : Th-That's-!!

Zaahir hai jitna sanvaad hua woh angrezi me hi hua tha. Na hi army personnel ko Hindi aati thi aur na hi Divya ko Chinese. Magar, iss baat-cheet se Divya ki bechaini zaroor badh chuki thi. Usne Veer ki hifazat ko leke mann me kaamna ki aur aage badh gayi. Kahi na kahi use ek agyaan bharose ki anubhuti thi apne andar ki Veer sahi salamat nikal ke aayega.

Tribe ke keval 26 log hi iss pehle unit me the. Jaisa ki anuman lagaya jaa sakta tha. Jald hi sab ke sab ghayal hoke zameen par the. Unko ek first aid treatment dene ke baad Renshu samet sabhi aage badh gaye.

Unka agla padaav tha ~ Unit 2.

Kintu, unit 2 pehle hi unit 1 ke sanket ke kaaran sachet ho chuka tha. Matlab, pichli tactic yaha kaam nahi aane waali thi.

Renshu aage savdhani se apne qadam badha raha tha.

'Lloyd!'

[Hmm?]

'Full status!'

[Hmm!]

*Ding*

web

'Turn the window.'

web-1

'Sirf 1200 points! Itne me kuch nahi hoga.'

[Toh? Tumhe aur kis cheez ki zaroorat hai bhala? You are already powerful. You have Shaolin's way and Mayhem with you. Mujhe nahi lagta ki hume inse ladne ke liye kuch extra chahiye.]

'Pata nahi...! Mujhe bas ek buri anubhuti ho rahi hai. Kisi khatre ki...!'

[Oh!?]

Unit 1 ko Renshu ke log paar kar chuke the. Magar, Unit 2 unke liye taiyaar khada tha.

Renshu ne apne qadam roke aur mudte hue woh apne aadmiyon se bola.

Renshu : Pichli baar humne unhe surprise attack se apne ghere me le liya tha. Ab ye mumkin nahi. Woh sabhi jaante hai ki hum yahi se unki orr abhi aa rahe hai.

Jawaan 1 : Toh iss baar kaise aage badhna hai, Sir? Ek sniper hamare paas maujood hai. Agar aap chaahe toh hum distance se hi unhe-

Renshu : Jaan hi toh nahi leni hai. Sniper ki bullet jo nuksan pahuchati hai woh aap aur mein dono jaante hai. Ek prakar se woh jaan lena hi hua. Hume unhe nirast karna hai, zyada se zyada ghaayal... Uske aage nahi.

Jawaan 1 : Par, ab jab avoid nahi kiya jaa sakta toh kuch toh karna hi hoga na?

Renshu (nods) : Hmm!

Jawaan 2 : Toh ab?

Renshu : Mein unke adde se familiar hu. Mein aur Erica andar jayenge. Aap sab yahi rukenge. Hum jitna ho sakega utna chhip ke vaar kar unhe neutralize karenge.

Jawaan 1 : Sirf aap do log? Nahi! Ye toh suicide hi hui. Upar se aap apni beti ko le jaa rahe hai? Nahi nahi!

Renshu : Meri beti koi aam ladki nahi hai. Bachpan se maine use martial arts sikhaya hai. Woh tribe ke logo se bhidne ke liye taiyar hai. Aap chinta mat kariye. Mere rehte kisi ko kuch nahi hoga. Bas, meri baat ko follow kijiye. Agar mein andar se chillaa ke ishara du, toh aap sab seedhe andar aa jaana aur hamla kar dena.

Jawaan 1 : Fine! Theek hai! Par behtar hoga ki aap kuch aur log saath me le jaaye. Mein aur baaki 2 jawaan chalne ke liye-

Renshu : Nahi! Aap sab andar ke shetra se parichit nahi. Ye baahri ilaaqe se alag hai. Baahri ilaaqa zyada khula hua tha. Yaha andar ped zyada hai. Yaani ki traps bhi bahut honge. Mein trap ko dismantle karne me maahir hu. Yaha se mujhe aur Erica ko sambhaalne do. Aur aap sabhi ishaare ke liye taiyaar rehna.

Jawaan 1 (nods) : Th-Theek hai!

Renshu : Ericcaaa-!!!

Erica : Got it!!!

*Whoosh*

Woh dono daudte hue seedhe andhere me andar ghus gaye jabki baaki sabhi wahi ruke rahe. Ab waqt aa chuka tha. Woh logo ki nazro me nahi the. Ab woh apni poori taaqat ka istemal kar sakte the.

Sarpat bhaagte hue woh mukhya raaste se hi unn par hamla karne waale the. Aage kareeb 100 se adhik log tainaat the aur idhar sirf do log unn par hamla bolne waale the.

Renshu tezi se bhaagta jaa raha tha. Uske bhaagne ke chalte neeche zameen par bikhre sookhe patte kuchalte jaa rahe the aur awaaz paida kar rahe the. Toh wahi, Erica ki daud Dead Silence ke chalte itni shaant thi ki lag raha tha woh jaise maano hawa me daud rahi ho.

*Ding*

[Trap Master is in use.]

Renshu ka scroll 'Trap Master' activate hua, jagah jagah bichhaye gaye traps use apne aap nazar aane lage. Adhiktar traps me rassiyo ka istemal hua tha.

*Kha-chak*

Woh saare traps ki rassiyo ko savdhani se kaatata gaya, jaal giraane ke liye pathharo ka upyog kiya gaya tha. Par, woh patthar bhi rassiyo se hi bandhe hue the. Renshu ne ek ek rassi kaat ke sabhi traps ko nasht kar diya tha.

Renshu : It's time to attack, Erica!

Erica (nods) : Hmm!

Ped par baithe chaukanne tribal logo ko Renshu ke qadmo ki awaaz sunayi de gayi.

"Koi aa raha hai!!! Hamlaaaa-!!!"

Andhera harr taraf tha. Unhe bhi kuch nazar nahi aa raha tha. Aur, andhere me hi unn sab ne-

*Swoosh* *Swoosh* *Swoosh*

Teero ki baarish kar di.

*Ding*

[Rapid Reaction!!!]

Renshu ke skillset me se ek kamal ki skill. Teer hawa me uski orr aate hi fraction of seconds me uski gardan apne aap hi mud gayi aur teer uske gale ke bagal se nikal gaya.

Bhale hi uske paas Erica ki tarah andhere me dekhne ke liye koi skill nahi thi. Par, uske reactions aur senses itne tez the ki use andhere se koi dikkat nahi hone waali thi.

Renshu ka bhaala unke perro par jaa jaa ke unhe pedo se kheech ke gira raha tha. Bas cheenkhein hi feli hui thi. Woh dono itne tez the ki tribe ke log unki raftar ko pakad hi nahi paa rahe the.

Jaha Renshu upar ke sankato ko mita raha tha toh wahi Erica neeche tainat aadmiyon ko girati jaa rahi thi.

Tai chi, Bagua Zhang, Xingyiquan! Teeno Chinese foundational martial arts thi. Erica ne inhe maahir nahi kiya tha. Use kabhi mauka hi nahi mila tha inka asal ladayi me istemal karne ka. Woh aaj khul ke apni inn arts ko nikhaar rahi thi.

Ek ek kar ke sabhi aadmi neeche girte jaa rahe the.

Renshu aage badh ek aur aadmi ko tapkane hi waala tha jab achanak se-

*Whoosh*

'Huh!?'

Uski aankhein hairat me fel gayi. Ek teer itni tezi se uski aankh ki putli ki orr aaya ki Renshu ne ek jhatke me khud ke shareer ko neeche jhuka liya.

*Thud*

Uske jhukte hi woh teer peeche ped me jaa ke dhas gaya.

Renshu ne jaise hi saamne dekha, toh ek aur jhatka use laga. Saamne ek ladka khada hua tha. Uske haatho me teer kamaan tha. Uske chehre par ek kaala kapda bandha hua tha.

Par, chaukaane waali baat ye nahi thi. Chaukaane waali baat thi-

*Ding*

[No information available.]

'What!???'

[Toh iss khatre ki baat kar rahe the tum?]

Lloyd ki awaaz uske mann me goonji. Ek System holder!! Magar, Jaw Long ke alawa yaha aur koi system holder nahi tha. Iska matlab saaf tha-

Renshu (frowns) : Mein sahi tha. Mujhe laga hi tha ki koi aur involved hai isme. Kaun ho tum??

Erica ke qadam bhi tham chuke the. Woh stabdh hoke cover leke sab kuch dekh rahi thi. Pehli baar woh kisi anya system holder ko dekh rahi thi jo unke khilaf khada hua tha.

System holder ne Renshu ke sawaal ka koi jawab na diya. Woh akasmat itni tez raftar me aage badha ki dono Erica aur Renshu ki aankhein phati ki phati reh gayi,

Erica (screams) : Daaaaadddd!!!!

*Whoosh*

Ek chaaku seedha Renshu ki atadiyo ko cheerne ke liye uske pait me ghusne ko aayi.

*Claaaaangggg*

Chaaku se chaaku takrayi aur andhere me chingari chamak uthi. Renshu ne sahi waqt par apni hidden knife nikal li thi warna-

Renshu (growls) : Y-You-!!!

Uss anjaan ladke ne koi mauka nahi diya. Seedhe apni laat utha ke woh Renshu ki chin ki orr le gaya.

*Swoosh*

Renshu ne apni gardan jaise hi peeche ki-

*Kha-chak*

"Urgh!!!"

Achanak se uss ladke ke joote se lagi ek khufiya blade hawa me khuli aur Renshu ki chin ko halka sa cheerte hue nikal gayi.

"Daaaaaaaddddd!!!!"

Erica peeche se bhaybheet hoke chillaayi. Aur, agle hi shan-

*Ding*

[Shaolin's way has been equipped.]

[Shaolin's way is now activated.]

web-2

Renshu ke haav bhaav badal gaye. Uske chehre par gambheerta aa gayi. Uska aura aakramak ho gaya. Uski hatheli khuli aur teevra gati ke saath ek palm strike uss ladke ke pait ki orr badhi.

Magar, jaise ladka turant ke turant bhaanp gaya tha ki ye strike uske liye khatra hai. Woh hawa ki raftar se turant peeche ho gaya. Aur, wapas se apne sthaan par jaa ke khada ho gaya.

Renshu ki palm strike hawa me hi vyarth ho gayi. Parantu, ladke ko duri banane pe majboor karne me qamyaab thi.

*Drip*

Khoon uski chin se nikalta hua zameen par gira. Erica bhauchakki thi. Aisa pehle kabhi nahi hua tha. Kabhi bhi usne apne pita ke shareer se khoon nikalte nahi dekha tha. Woh jaan gayi thi ki woh anjan ladka kitna bada khatra tha. Aur, aaj pehli baar ab uske andar asli darr paida hua. Jaan jaane ka darr. Kisi ko khone ka darr. Uska badan kaanpne laga.

[Don't worry! Your dad is strong. Believe in him!]

Genie ki awaaz ne use thoda sambhala.

Idhar, Renshu bina Erica ki taraf dekhe hi zorr se chillaaya.

Renshu : Ericaaa!!! Nikal jao yaha se. Abhi ke abhi. Hamare aadmiyon ko tum hi lead karogi. Tum aage badho. Mujhe yaha rukna padega.

Erica (shouts) : Wh-What!!? No waayyy!! Mein aapko akela chorr ke kahi nahi jaungi, Dad!

Renshu (gusse me) : Ericaaaaaa!!! Tumhe meri baat samajh nahi aa rahi???

Woh anjaan ladka yaha khade hone nahi aaya tha. Jaise hi Erica ki taraf uska dhyaan gaya, uski aankhein baaj ki tarah Erica ke upar tik gayi.

Renshu ne jaise hi ladke ke stance ko padha, uski aankhein chaudi ho gayi.

'Killing intent!!! Shitttt-!!!'

Aur, agle hi shan-

*Whooooooosshhhh*

Woh ladka apni jagah se gayab hua, seedhe Erica ki orr lapka. Erica apni orr aate uss anjaan ladke ko dekh ghabra uthi. Magar, jaise hi ladka uske qareeb pahucha.

*Swish*

Ek jaanleva hathiyaar ki nok uske gaal ke bagal se hoke guzri, sahi samay par ladke ne khud ko peeche kar liya.

Renshu ka bhaala, Erica aur uss ladke ke beech kisi deewar ko kheenchta hua bhayanak raftaar se aaya aur uss ladke ko peeche hatne par majboor kar diya.

Bhaale ko wapas se kheench Renshu Erica ke saamne aake khada ho gaya.

Renshu : Go now!

Erica (panics) : N-No-!! I- I can't!! Mein aapko yaha akela chorr ke kaise jaa sakti hu, Dad?

Renshu : Iss ladayi me tum hissa nahi le sakti. Hamare aadmi waha akele hai. Unhe lead karne ke liye tumhara waha hona zaroori hai. Unhe savdhani se aage badhati jao. Mein jald hi tum sabko join kar lunga.

Erica (desperately) : N-Nahi-!! Nahi! Nahi mein kahi nahi jaungi. Mein aapke saath idhar hi rahungi-

Renshu (shouts) : Ericaaaaaaa-!!!!

Apne pita ki dahaad sunn, Erica ka badan kaanp gaya.

Renshu : Maine kaha na jao! Mujhe ab dobara na kehna pada.

Erica ka sarr gusse aur majboori me neeche jhuk gaya. Nichla honth daanto tale iss tarah daba ki laga jaise maano khoon hi nikal aayega.

Woh jaanti thi ki use iss ladayi se kyu hataya jaa raha tha. Kyuki, woh kamzor thi. Uske pita ko uski chinta thi.

Renshu : Jao!!!!

Apne pita ki awaaz punah sunte hi Erica apne daant meeste hue wapas se bina palte hi daud padi. Dil bhaari tha, bechain tha. Khud par woh krodhit thi. Apne se naraz thi. Genie uske dil ke bhaavo ko bhali bhaanti samajh rahi thi. Magar, iss samay yaha se peeche hatna hi uchit tha.

'If only... *sniff* If only I would have been strong...! Ye sab kuch kabhi nahi hota. *sniff* I-'

[Don't pressure yourself. Tumhare Dad ko uss level tak pahuchne tak bhi samay laga hai. Bhulo mat ki kabhi woh bhi kamzor the.]

'Still...! Aakhir unhe aur mujhe dono ko saath me hi system mila tha. Th-Then why??? Kyuuu??? Mein itni kamzor kyu hu??'

Achanak se use kuch yaad aaya. Veer ki kahi gayi woh baat use hit kari.

'Ghar me baith ke spar karne se experience gain nahi hota madam. Jab ek system holder tumhari jaan ke peeche pada ho aur tum uski, tab jaa ke experience praapt hota hai. Aur, tab pata chalta hai ki hum kitne kamzor hai.'

'You can't even imagine the chaos when 2 system holders fight each other without any restraint. You lost because you have no experience.'

'I've been through hell a lot of times...! You don't even know what the real danger means. Do you know why you lost?'

'Because you are weak!!!!'

Chaahe kitna hi kyu woh iss sacchayi se bhaag le par woh apne aap se jhooth nahi bol sakti thi. Woh jaanti thi ye baat sach thi.

Apni nirasha ko dur kar, woh saunpe gaye kaam ki orr apna dhyaan le gayi.

'I won't disappoint you this time, Dad!'

Woh bhaagti jaa rahi thi aur abhi dridhta theek se baandhi nahi thi ki akasmat ek aur bada jhatka use laga.

*Ding*

[Blemish marked object 1 is disturbed.
State : Torn and burnt.]

*Ding*

[Blemish marked object 2 is disturbed.
State : Dusty but intact.]

Uske qadam wahi tham gaye. Aankhein dehshat me fel gayi, taangein kaapne lagi aur badan par ruye khade ho gaye.

Uski aankhon se na chaahte hue bhi darr ke maare aasu chhalak uthe. Sab jaise rait ki tarah uske haatho se fisal raha tha.

'N-No-!!'

Uski saansein itni tez ho gayi ki Genie ko wapas se 'Chameleon' ka sahara leke unhe niyantran me karna pada.

'I-It can't be-!!! Wh-What's happening!?'

[Looks like he's in trouble.]

Ye wahi objects ke notifications the jin par Erica ne Blemish mark kiya tha. Woh bhaagi. Andhere se nikalte hue woh jaise hi Renshu ke aadmiyon ke saamne aayi sabhi sawalo ke hamle uss par daagne lage.

"M-Miss Erica?"

"A-Abhi tak koi ishaara nahi aaya? Sab theek hai na?"

"Agar aap yaha hai toh Lord-!?"

Erica (glances) : S-Sir!!! *huff* *huff*

Jawaan 1 : Jii miss! Kahiye!

Erica : Saare logo ki zimmedari ab aapke upar hai. Dad andar unke ek strong martial artist se bhide hue hai. Yaha se aage Unit 2 tak logo ko aapko hi le jaana padega.

Jawaan 1 : Huh?

Erica : Ghabrane ki zaroorat nahi. Saare traps dismantle kar diye gaye hai. Unit 2 tak bina pareshani ke aap sab jaa sakte ho. Usme bhi zyada log nahi bache hai. Bas...! Uske aage mat jaana jab tak Dad khud na le jaaye toh...

Jawaan 1 : Oh!

Erica : M-Mujhe jald se jald kahi jaana hai. Mera waha pahuchna bahut zaroori hai.

Jawaan 1 : Kya? E-Ek minute, meri baat suniye.

*Whoosh*

Par, Erica hawa ke maafiq waha se ravana ho gayi. Peeche se jawaan use chillata reh gaya kintu, Erica jaa chuki thi. Aapas me sabhi log confused hi reh gaye.

'Damn it!!! Damn it!!! Stupid... Idiot... Where the hell are you!?? Tsk-!!!'

Uske qadam eastside ke liye badh gaye. Dil dhak dhak kar raha tha. Na jaane aage kya hone waala tha.

'I'm sorry, Dad! But I want to make my own decision this time!'

***

A few moments earlier...
Xishuangbanna's Eastside route..
.

Jab Renshu aur baaki jangal me kaafi andar pravesh kar chuke the tab Veer eastside ke mukhya mod par pahucha tha. Signpost use laga hua dikh chuka tha. Ab yaha se jangal me andar ghusna tha.

Jangal atyant khamosh tha. Upar se andhera, aur ghane ped manzar ko aur bhi daravna bana rahe the.

bnNqaY

'Pari!'

[Hmm?]

'Path Tracker on kar do.'

[Already on kar diya hai. Can you survive this? Fufu~]

'You want to see me getting killed?'

[Aahaha! Once you die, I'll cease to exist as well. However, I do want to see you getting wrecked.]

'Hmph!'

*Scrunch* *Scrunch*

Veer ne jangal ke andar qadam rakha. Zameen par bikhre patte uske jooto ke neeche kuchal gaye. Usne Garofano ke dwara di gayi wahi kaali shirt pehen rakhi thi. Saath hi neeche jeans aur shirt ke upar ek halka patla sa shrug.

Iss shrug ki andhruni jebo me Garofano ki kuch sui bhi uske paas maujood thi. Paralysis ka woh serum jo khud Garofano ne banaya tha. Aur, saath hi wahi zeher jis se Mr. Nicholson ki hatya ki gayi thi. Sab kuch sheeshi me Veer rakh ke laaya tha. Aapatkal sthiti ke liye do knife, aur ek lighter bhi tha uske paas.

Kandho par bag bhi tanga hua tha jisme kuch khaane ke sookhe padarth aur first aid kit maujood thi.

Kami thi toh ek bade hathiyaar ki. Veer ne soch liya tha ki iske baad woh ek hathiyaar apne liye lega aur uska istemal karna bhi seekhega. Renshu ki baat use ekdum theek lagi thi. Apne upar jitni layers chadhate jaoge utna hi behtar hoga.

'Pari! Show me my full status!'

*Ding*

web-3

'Hmm? A new design?'

[Like it?]

'Yeah!'

Yaha aane se pehle hi usne apne stats badha liye the. Parantu, woh jaanta tha ki iska asar abhi nahi hoyega. Stats screen par toh badh gaye the par asal me nahi badhe the. Unhe asal me badhne ke liye use neend ki zaroorat thi.

Ye sab kuch raat ki neend me hi hota tha. System Veer ki muscles ke fibres ko todta aur unhe repair karta. Taaki, hosh me Veer ko taqleef na ho. Aur, aise hi uska physique behtar hota tha. Uske shareer me antar laaya jaata tha.

Kintu, Veer ne neend nahi li thi. Jab tak woh neend nahi le leta tab tak points asal me nahi badhne waale the. Usne apne bache hue points ko dekha.

web-4

'Musibat me ye kaam aa sakte hai. Shayad quest hunt se mujhe koi legendary card mil jaaye.'

[Ek draw ke '500' points.]

'Haan haan pata hai!'

[Fufu~ I was just reminding you.]

Woh andar ghusta gaya. Chap-chap kar ke uske qadam uss ghanghor sannaate me cheer rahe the. Jaise jaise woh jangal ki gehraiyo me ghusta jaa raha the wese wese Veer ki bauhe sikudti jaa rahi thi. Kuch theek nahi lag raha tha.

Aur, akhir kaar use woh pul nazar aa hi gaya. Yahi woh bridge tha jise paar karne ke baad Long Tribe ka shetra lagta tha. Veer ne dekha ki lakdi ka lamba sa bana hua pul tha aur neeche se nadi ki ek dhaara beh rahi thi.

'Andar jaate hi tumhe Lancang Mekong ki nadi bhi milegi. Woh nadi kayi jagah alag alag nehro me batati hai. Toh tumhe andar jangal me kayi saare pul dekhne ko mil jayenge.'

'Sabse pehla pul jo padega, woh sabse bada pul hoga. Wahi hai main entrance. Use cross karte hi tum Jaw Long ki territory me ghus chuke hoge. Waha se satark ho jaana.'

Renshu ki kahi gayi baat uske mann me goonji. Pul waqai lamba tha. Dhaara ke upar bana hua tha. Nadi ka bahaav bahut zyada nahi tha par paani sthir bhi nahi tha. Jisko tairna na aata ho woh iss bahaav me doob sakta tha.

Veer ne apne daaye baaye harr jagah pehle dekha. Shetra ka aaklan kiya aur tabhi woh aage badha.

*Chrrrrrrr* *Chrrrrrr*

Pul par chalte hue lakdi ke ye puraane takhte charar marar ki awaaz kar rahe the.

'Check!'

*Ding*

[A normal wooden bridge. Looks fragile however, it's sturdy.]

Nishchint hone ke baad Veer ahista ahista pul ko paar kiya. Aur, pul ke dusre chhor par aate hi use vatavaran me badlaav mehsoos ho gaya.

Badan par ruye khade ho gaye. Aisa laga jaise achanak se woh Shimla ki vaadiyo me aa gaya ho. Taapman baahar se kamtar maalum pad raha tha.

'Something is wrong!'

*Ding*

[Beowulf's Blessings has been activated.]

Woh savdhani se aage badhne laga. Beowulf's Blessings ke chalte use ab kaafi saaf saaf nazar aa raha tha. Senses kayi guna badh chuke the.

2qPK

Badqismati thi jo full moon nahi tha. Saanson par niyantran rakh woh ekdum chaukanna hoke dheere dheere badhta gaya.

Aur, tabhi-

'Huh!?'

Use ek gandh aayi. Uski naak pehle se kayi guna sanvedansheel ho chuki thi.

'Th-This smell-!!!'

Hawa me tairti woh 'lohe' dhaatu ki gandh. Woh kabhi bhi isko leke galat nahi ho sakta tha. Uske badan me ek sihran daud gayi.

'Khoon-!!!!'

Pari bhi iss baar shaant thi. Woh paristhiti ki gambheerta ko samajh rahi thi.

Veer dabe paav aage badha. Jaise jaise woh aage jaa raha tha khoon ki gandh aur bhi prabal hoti jaa rahi thi.

Uska haath apne aap jeb me chhipi chaaku ki orr chala gaya. Nazre bagh ki tarah ekdum paini aur satark. Aur, tabhi uski nazre aage neeche zameen par gayi.

'Huh!!!?'

Woh do teen qadam laanghte hue tezi me uss orr gaya. Jaise hi usne neeche dekha toh paaya ki-

images-1

Zameen geeli thi. Zameen par uss geele padaarth ki ek lambi rekha khichi hui thi. Veer ne apne baayi orr dekha. Woh rekha khichti hui bahut dur tak gayi thi. Aur, yahi drishya daayi orr bhi tha. Usne jaise hi use check kiya, uske badan me raungte khade ho gaye.

'Check!'

*Ding*

[Fresh human blood.]

'Th-This-!!!'

Woh baayi orr aage badha. Khoon ki rekha dono orr itni dur tak gayi thi ki Veer ko uska ant hi nazar nahi aa raha tha.

'This blood...!'

[Mein bhi soch rahi hu kuch. I agree. Kuch gadbad toh hai. However, we need to cross this. It's inevitable.]

Veer ne haami bhari. Aur, usne uss khoon ki rekha ko laangh liya. Woh hamle ke liye taiyar tha. Magar, kuch bhi nahi hua.

'Hmm?'

Sab kuch pehle jaisa hi tha. Lekin, usne apni savdhani nahi khoyi. Kaafi derr se woh chal raha tha. Ant me use dur ek bada sa patthar beecho beech sthit dikhayi diya.

'That is...'

[Stay alert!]

Woh patthar ke nazdeek aaya. Woh chal hi raha tha jab kuch mehsoos kar uske qadam wahi tham gaye.

Achanak, uss vishal patthar ke peeche se ek badi si aakriti chaand ki raushni me dheere dheere uske saamne aane lagi. Jaise jaise woh aakriti raushni me aati jaa rahi thi, wese wese uska aakaar badhta jaa raha tha.

Veer ke maathe par lakeere chhaayi. Upar se neeche tak usne saamne aa rahi aakriti ko jaancha. Koi shaq nahi tha. Yeh wahi tha.

Tribe ka leader!!!

Jaw Long!!!

'Check!'

*Ding*

[No information available.]

Sab kuch samaksh tha. Aur adhik aaklan karne ki zaroorat nahi thi. Taapmaan thanda tha par fir bhi paseene ki ek boond Veer ke gaal se fisalte hue neeche giri.

Raushni me uss daanav jaise insaan ko dekhte hi Veer ke badan par maujood ek ek baal khade ho chuke the. Ye toh uski kalpana ke bhi baahar ka tha. Tamaam logo se bhidne ka anubhav tha use par uske saamne khada yeh aadmi...! Yeh aadmi ek badi dikkat tha.

Li Renshu se bhi badi kadd-kaathi, vishaal-kaay raudra roop, ghane peeth tak latakte bhoore baal jinki dherr saari jataaye bikhri hui thi, aur vichitr swaroop ke badan par bane tattoos ka maalik. Ye tha Jaw Long.

Magar, ye sab nahi tha jisne Veer ko hairat me liya. Uski hairangi ka kaaran kuch aur tha. Uss aadmi ki aankhein...! Woh aankhein...! Woh aankhein poori tarah se band thi. Par, unn band aankhon ke neeche se khoon ki dhaara uske gaalo se behte hue sookh chuke khoon ki chhaap chorri hui thi.

*Gulp*

Thook nigal, Veer ne saamne khade vishal aadmi ko gambheerta se dekha.

'Wh-What is this? Iska matlab woh khoon ki rekha-!? N-Nahi! Woh rekha toh itni lambi thi. Woh khoon iska nahi ho sakta...! Th-Then what was that?'

Veer ko laga ki woh khoon ki rekha Jaw Long ke khoon ki thi. Kyuki, uski aankhon se behte hue khoon ke daag uske chehre par saaf jhalak rahe the. Par, itna khoon ek insaan ka nahi ho sakta tha.

Shayad Jaw Long ne bhi Veer ko yaha expect nahi kiya tha. Woh Li Renshu se bhidne ke liye yaha par tainat tha. Magar, aisa kuch bhi nahi hua.

Zaahir hai itni derr me usne bhi Veer ko check kar liya tha. Veer uske liye raaste me aayi ek adhchan tha.

[Careful!!!]

Pari ne ahaat kiya. Lekin, Veer ke paas Pari se shabdo ka aadan pradaan karne ka samay nahi tha. Iss waqt uska poora dhyaan Jaw Long kheeche hue tha.

Aur, tabhi-

*Swish*

Akasmat kuch Veer ke gale ki orr neeche zameen se nikalte hue lapka. Veer ka shareer apne aap peeche ko hua, aur kareeb teen back hand spring maarte hue woh peeche dur jaake fighting stance me aa gaya. Zara si derr agar hoti toh uske gale par vaar ho gaya hota.

Veer ki aankhein uss hamla karne waali cheez par padte hi, hairangi me fel gayi.

*Hisssssss*

'Wh-What-!???'

Ek Ajgar!!!

Iske pehle ki woh sambhal paata tabhi use ek aur awaaz sunayi di.

*Grrrrrrrrrrrr*

gif-wolf

Pedo ki aadh me se kuch nikal ke aaya. Ek sihran Veer ke reedh ki haddi tak fel gayi.

Black Panther!!!

[Shitttttt!!!!]

Aur, pehli baar Pari ke chillaane ki awaaz use apne mann me sunaayi di.

'H-How-!!???'

Pehli baar aaj Veer ke bhi iss tarah paseene chooth rahe the. Ye khauf... Ye dehshat woh apne charam par mehsoos kar raha tha.

Inn do jhatko se woh abhi theek se ubhra nahi tha ki tabhi-

Jangal ke andhere me use do do tim-timati chamak dikhayi dene lagi.

31-Night-Animals-With-Glowing-Eyes-Red-Yellow-etc-with-images

Aur, fir jaise jaise woh apni gardan modta gaya ek ke baad ek andhere me use kayi chamak nazar aane lagi. Aur, system toh maano jaise behekne laga.

*Ding*

[A herd of antlers.]

*Ding*

[A band of coyotes.]

*Ding*

[A bunch of wolves.]

*Ding*

[A few hyenas.]

Veer hakka bakka reh gaya. Aur, agar ye bhi uske manobal ko giraane ke liye kaafi nahi tha. Toh antim ek aur prahar Jaw Long ne kar diya.

"Shebaaaaaa-!!!!!!!"

Uski dahaad uss poore jangal ke ilaaqe me goonj gayi. Hawa jaise achanak se bhaari ho gayi. Aur, tabhi akaash me-

*Keeeeeaaaaarrrrrrrrr*

IMG-20240223-162556

Veer ne upar dekha. Ek baaj udta hua aaya aur seedhe Jaw Long ke bagal se khusi ek ardh kate ped ki lakdi ke upar apne panje gaadte hue baith gaya. Uski andhkar me chamakti aankhein Veer ke upar hi tiki thi.

[Sh-Shitttt!!! That eagle- That eagle is bad news!!!!]

Veer ke daant aapas me mise hue the. Pari ki agle hi shan uske mann me itni zorr se awaaz aayi ki use sunn uska badan kaanp gaya.

[IF YOU DON'T WANT TO FUCKING DIE HERE, THEN RUN!!!!]

[FUCKING RUNNNNNN!!!!]

Perr peeche sarka. Aur, agle hi pal-

'Fuck-!!!!!'

*Whoosh*

IMG-20240214-150614

Veer vipreet disha me bhaaga. This was pure suicide. Uske perr sarpat bhaagne lage. Magar, uske harqat karte hi peeche se aisi teevra karkash awaazein jangal me feli ki Veer ki dhadkane unhe sunn tezz ho gayi. Laga jaise maut nazdeek thi.

Woh apni poori raftaar se bhaagne laga. Aur, idhar uske peeche poora ka poora janglee janvaro ka samraajya uske peeche jhapat pada.

Veer peeche mud ke bhi nahi dekhna chaahta tha. Ek aisa khaufnak drashya tha jise dekh acche se achhe insaan kya bade se bade system holder ko saanp soongh jaata.

Veer ke perr itni tezi se daud rahe the ki unki aakriti dhundhli ho chuki thi. Aur, isi jaldbazi me tabhi-

*Step*

Bhaagte hue uska agla qadam jaise hi zameen par pada. Zameen halki si andar dhans gayi.

'Huh?'

Uski aankhein bhay me chaudi ho gayi. Uss ek shan ke liye waqt jaise dheema ho gaya. Kintu, tab tak bahut derr ho chuki thi. Beowulf activate hone ke bawajood-

*Booooooooommmmmm*

Ek zordar dhamake ne janm liya. Aas paas ke ped dhamake se ukhad ke bikhar gaye. Bheeshan dhua kuch derr ke liye waha chhaa gaya.

Veer ka shareer hawa me udte hue gulaati kha ke kayi feet dur jaa gira aur ghisatate hue ped ke nichle hisse se jaa takraya.

*Thud*

Maathe par chot lagi. Aur, khoon behne laga. Uske kapde ke chithde udd chuke the. Uska shrug phat ke aadha uske shareer se alag ho chuka tha. Shirt bhi kayi jagah se phat chuki thi. Garofano ke dwara di gayi saari sui, woh serum, woh poison... Sab kuch dhamake me tabah ho gaya.

*Cough* *Cough*

Agar, Beowulf activate na hota toh woh wahi ghayal hoke behosh ho chuka hota.

Magar, ye samay saansein durust karne ka nahi tha. Dhamake se janvar thoda katra zaroor gaye the, magar Veer ko punah dekh woh uski orr fir daud pade.

'Fuckkkkk!!! *Cough* This-!!!'

[RUNNN!!!!]

Woh uth khada hua aur firse dauda.

'Fucking hell Pari-!!! Jaw Long ke paas explosives ki supply kaise hai???'

[I'm thinking...! Shitttt!!!]

'Ab kyaaaaa???'

[It might be... That skill...]

'Wh-What???'

[Explo Artisan!!! Zaroor, yahi hai.]

*Ding*

[Skill name : Explo Artisan.
Description : Grants the user skills and knowledge about creating explosives.]

Description padhte hi Veer ke muh se gaali apne aap baahar nikal aayi.

'Fucckkk!!!'

Woh chotil awastha me daudta gaya aur tabhi-

b09feb80-3c3b-4c96-9090-89c858a5477c

[Fucking Goddamn! Look on your left-]

Zombo-Meme-01022024033919

Usne apni baayi aur dekha. Panther uski raftar se raftar mila ke uski seedh me daud raha tha. Par, tabhi Pari ki awaaz darr ke maare ek aur baar goonji,

[Fuck!!! On your right! Dodge it!!]

Jaise hi Veer ne apne daayi orr dekha-

*Hiss*

Ek saanp apna fann felaate hue uske muh par jhapta.

'Shitttt!!!!'

*Swoooooshh*

Veer ne khudke shareer ko aage jhukate hue ek front flip maari. Saanp ka hamla hawa me hi vyarth ho gaya.

Kitten-Fred-Weasley

Ab Veer ko samajh aa raha tha. Ab sab kuch bhali bhaanti samajh aa raha tha use. Ye aatm-hatya thi. Yaha aana hi apni maut ko bulawa dena tha.

Kyu army kuch kar nahi paa rahi thi? Kyu Renshu jaisa system holder andar ghus ke kuch kar nahi paa raha tha.

'It all makes sense now!!! It all makes sense. Damn ittt!!!'

Jaw Long apni territory ka Raja tha. Jitna janvar khatra nahi the, uss se zyada yeh aadmi tha. Ab Veer ki samajh aa chuka tha ki kyu sarkar darr ke dubak ke baithi thi. Kyu army kuch kar nahi paa rahi thi. Kyu ladayi lene me woh darr rahe the.

Jaw Long ka yaha aatank tha!!!

Ek makkhi bhi uski ijazat ke bina yaha udd nahi sakti thi.

Veer vipreet disha me bhaag toh raha tha par jaise hi woh pul ke qareeb pahucha. Ghabrahat ke maare uska dil baith gaya.

Pul toot chuka tha. Iska matlab-

[Koi pul ko kaat ke gaya hai.]

Pul dusre chhor par latak raha tha jaha se woh kuch derr pehle aaya tha.

'Fuckkk fuckkk fuckkk!!!'

Na woh ruk sakta tha na hi ab yaha se bhaag sakta tha. Kyuki, nadi me neeche-

Magarmacch Veer ke liye hi jaise intezar kar rahe the. Usko apna ahaar banane ke liye taras rahe the. Majbooran Veer ko apna rukh badalna pada.

'Fuck this!!! Ye mere zehen me pehle kyu nahi aaya-!!!? Damn it!!'

Use tabhi ek hila dene waala vichar aaya. Jangal me woh aaya tha. Toh, janvar toh hone hi the. Ye usne pehle kyu nahi socha?

Isme Veer ki galti nahi thi. Agar, woh janvaro ke baare me soch bhi leta, parantu ye kisi ne bhi apeksha nahi kari hogi ki Jaw Long ke paas aisa kuch tha jis se woh janglee janvaro ka sahara le sakta tha.

'Why are these fucking animals following him??? Darn it!'

[Stop screaming-!!! Mein bhi wahi soch rahi hu. There's some connection. That blood trail... Shit!!! Uske paas kuch hai jiske chalte ye janvar uske ishaaro par naach rahe hai. Give me some time!!!]

'What to do now?'

[Stall them until then!!!]

'Shitttt!!'

Usne bhaagna jaari rakha. Sthiti battar hoti jaa rahi thi. This was all a setup. Ek ambush!!! Jo ki Renshu ke liye sajayi gayi thi par iss gaddhe me girna waala Veer bann gaya.

Woh mann se haara nahi tha. Magar, virodh me ladne ke liye use kuch soojh hi nahi raha tha. Jab tak ye janvar uske peeche the, tab tak woh kuch nahi kar sakta tha.

Bhaagte bhaagte uska perr punah ek aisi jagah pada jaha nahi padna chahiye tha. Ret ke neeche hi kuch chhipa tha.

Veer ne jaise hi dekha-

*Sling*

Rassi ka phanda uske perr me bandh gaya aur agle hi shan woh khicha chala gaya.

'Fuccckkkk!!!'

Uska shareer upar ped par khichta jaa raha tha. Ek trap!!!! Usne turant hi rassi ko dekha aur-

*Ding*

HAWKEYE!!!

Hidden knife rassi ko cheerte hue kaat gayi. Woh neeche gira. Parantu, jaise hi uska shareer zameen ke sampark me aaya-

Veer ka shareer neeche hi jaata chala gaya. Another trap!!!! Upar patto se bikheri gayi woh-

Ek pit thi!!!

'Goddamn it!!!!'

Ek gaddha!!! Veer ke usme girte hi, usne apni utaar toh perro par hi ki parantu,

*Hissss*

'N-No-!!!!'

Andar ek sarp pehle se hi maujood tha. Ek poora full fledged aur well thought trap. Bachne ka samay nahi tha. Veer ke reflexes iss baar dheeme pad gaye. Saanp lapka...!

Aur, tabhi-

*Ding*

PROBABILITY MANIPULATION!!!

Probability-manipulation

Crimson dwara paapt kiya woh card pehli baar aaj activate hua. Veer ka perr apne aap andar ki namm mitti ke chalte fislan kha gaya. Uska sarr peeche hua, aur saanp dusri orr jaake jaake zameen se jaa bhida. Probability manipulation ne Veer ke upar hamla hone ki probability badal di thi.

Mauka na gawaate hue usne turant hi wall run kar upar chadh haath felaate hue gaddhe ke baahar ki zameen ko jakda. Aur usme se baahar nikal aaya.

'That was close-!!!'

Saansein abhi theek se durust hi ki thi ek awaaz ne uske raungte ek baar fir khade kar diye. Koi tezi se uski orr aa raha tha.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
Aaj ke liye itna hi guys.
I know cliffhanger par update samapt hua hai. Par, aisa hi hai. This update consists of 10.5k words. Aane waale updates sab aise hi cliffhanger par samapt hoyenge toh taiyaar rehna. I also know ki mein ek hafte late hu. But you can already see ki kitna kuch prepare kiya gaya hai. Sirf itna hi nahi hai. Aane waale updates ke liye bhi maine sab prepare kar liya hai. Isliye, itna waqt laga. And, yes those sketches are hand-drawn by me. Tumhara Bhai ek zamaane me school aur college me famous artist tha. Uss qala ko kaam aur waqt ke abhaav ke chalte kayi saal pehle chorr diya tha. Sirf ju logo ke liye use wapas se baahar nikala hai. I hope ju ko pasand aaye honge. Baaki, rahi baat target ki toh iss baar seedhe 200 hai. Pahucha do. Bolna na pade mujhe. Bahut samay diya hai maine. Tagde revos ka intezar rahega.

Dhanyavad!
Bhai simply marvellous. I had goosebumps while reading. Kamal bhai kamal.
 
  • Like
Reactions: Werewolf

Ajay chauhan

Active Member
1,142
7,206
144

Woahow ye kya tha Bhai itna thriller update aapne Aaj Tak kabhi nahi banaya I know ki crimson ek one ofthe power full villan tha but us arc ke update bhi is Wale ko takker nahi de sakte

Sabse pehle resnu ke sath army ka vyavhar kafi pasand aaya mujhe aakhir renshu koi airagaira nahi tha or aise hi thodi sab log uski itni izzat karte the

Wese Divya ko yaha nahi aana cahiye tha kyu chalo army walo ko or order ke admiyo ko to renshu or Erica sambhal bhi lete but Divya ke samne kayi baar veer apni skill dikha Chuka hai or agar jangal main andhera na hota to Divya jarur Shak karti in dono par kyuki Jim th sliprey ko pakadte waqat veer ki reflex speed dekh chuki thi

And pehli baar aapne veer ke alawa 2 or system holders ke full status and card dikhe but meri ek shikayat hai aapne cards ki details ko samjaya nahi buddy aapki story main kisi or ke pass card dekhta hu bas uski details janne ka kida kaatne lagta hai mujhe

Erica ki skills acchi hai but ye dekh kar dukh huva ki bechari ke pass sirf ek hi card hai wese buddy sidhe raste par Jo ladai huyi woto Kamal thi

Bat jab system Wale ladke ne jab renshu par attack Kiya or dono ke ghamashan ki pehli jhalak dikhi wo to or bhi dhamaal thi

Or mujhe ek doubt ho Raha hai ki wo ladka veer hai kyu ki aapne kaha ki us ladke ne muh par kala kapda bandha huva tha and veer bhi black shirt pehne huye tha may be jese jaw long ne animals ko apne kabu me Kiya ho wese hi veer ko bhi hepnotaiz Kiya ho te bas Mera gess hai

Or ab ye baat to sabit ho hi Rahi hai ke jawlong le pass ek aisi skill hai jisse wo mine uske kya kaam aasakti hai ye bhi sense kar Raha hai

And the jaw long ye aakhir kya sach main hi danav hai kya jese wolfi tumne discription Diya us hisab se to ye crimson se bhi bhayanak hone wala hai

And buddy please yaar Hume jawlong ke cards dikhana mat bhulna and kya jaw long wahi pagal aadmi hai jise crimson ne jail se nikala hai I have doubt

But honestly buddy you are so great apni story keliye ye sub design karna I mean status and card ye sach main tarif ke kabil hai or aapne jo extra time liya wo is update ko justify karta hai hatts off to you buddy

Baki superb and dhasu block buster update buddy update padhte waqt litraturlly mujhe pasine chut gaye mere wo bhi itni thand mai. Fabulous buddy fabulous 👏👏👏
 
Last edited:

only_me

I ÂM LÕSÉR ẞŪT.....
438
544
93

Marvelous update Bhai
Is bar bahot tagda villain hai bhai
Wait for veere kaise samna karta hai
 
Surya_021

Active Member
1,193
3,281
158

Awesome Fantastic Jabardast Update 🔥🔥🔥🔥🔥
 
  • Like
Reactions: Werewolf

dododo

Member
498
1,189
123

Uffff.... What a thriller... What creativity... Abhi to tongue tight hoon, shock me hoon... Ek do din aur kayi readings isko assimilate karne me lagegi... uske baad shanti se reply doonga...

Great update...
 
Iron Man

Try and fail. But never give up trying
39,640
100,543
304

Curiousbull

Active Member
1,066
1,908

Awesome. Par jaw long to rakshas se Kam nahi lag raha. He is using all the elements of the jungle.

Seems Erica ke strong hone ka time aa gaya hai.

She will help Vir and prove herself.

Again awesome.
 
  • Like
Reactions: Werewolf
Top