Update:::NO:1
mai to kehti ho is behen is baanjh aur manhos aurat ko talaq dekar ghar se nikal do.
10 saal se ye tumhare ghar me dera jamaye hue ha.. sara din muft me khati rehti hai.. ek pota poti tak to tumhe de nahi saki.. tere do bete aur bhi han zainab behen, dono ke 3 3 bete aur ek ki 1 ladki to dusre ki 2 ladkiyan han.. parr tera ladla beta abhi takk baap bann paane ki khushi se mehrum hai... kya wo sari umar aise hi rahega.. aur tu kya aise hi sari umar us banjh aurat ko ghar par bithaye rakhegi. apne bete ko pal pal tadapta hue dekhti rahegi.. main to kehti hon us baanjh ko ghar se dhakke dekar nikal bahar do....... maine to shur me hi keh dia tha k ye ladki tumhare ghar k liye sahi nahi hai.. kahan wo gareeb ladki aur kahan hum raees ibne raees..
parr nahi tumhe to apne bete ki khushi dekhni thi aur karwa di pasand ki shadi. le aai us baanjh ko apne ghar. kardi apne bete ki zindagi barbad...abb dekh lia apne bete ko kaise har waqt ghusse me rehta hai.. use bhi abb us baanjh se koi matlab nahi reh gaya hai.. chaar din jawani ka khumar tha.. jo nikal gaya.. abb nikal bahar us baanjh ko apne ghar se .. aur le aa apne bete k liye ek aur banu.. fir dekhna saal bhar me hi ek aur pota teri god me khelega..
main apni saas ke room ke door ke paas khadi hui andar ka sabb sun rahi thi.. meri saalon se beh rahi ankhon me ek baar firse aansu aa gaye the.. saalon se hi to mai aisi baaten sun rahi thi.. agar main maa nahi bann paa rahi thi tu ismi meri kya galti thi..
akeli aurat kaise maa bann sakti hai.. jab uska husband hi kuch na kar paaye...
andar hamari hamsaayi rukhsana meri saas zainab ke kaan bhar rahi thi..
zainab:- haan baaji sab dekh sun rahi hon mai bhi.. mujhe bhi kiran shuru se hi pasand nahi thi.. parr mai kya karti, mera ladla beta hi us dayen ke chakkar me phansa hua tha.. jaane kaun sa jadu us kalmohi ne mere bete par kar dia tha.. main bhi us baanjh ko apne ghar me nahi dekhna chahti ..
rukhsana:- zainab meri behen wahi to main keh rahi hon... nikaal use ghar se bahar aur apne bete ki ek aur shadi karwa de.. dekhna uparwale ne chaha to ek hi saal me ek aur pota teri god me khelega... aur tera beta bhi dusre bhaiyon ki tarha se khush rehne lagega...
zainab:- dekh rahi hon mai bhi sab baji.. har waqt hi to bujha bujha sa rehne laga hai mera ladla mera jabbar.. zaiban sisak uthi thi.......
rukhsana:- to fir der kis baat ki hai zainat, nikal bahar us baanjh ko apne ghar se aur apne bete ki zindagi se, aur le aa khushiyan firse is ghar me apne liye aur apne bete k liye...
zainab:- haan abb to wo bhi kiran se bad zann rehne laga hai.. aksar hi to wo uspar bhadak uthta hai..
abbb mujhme aur sunne ki himmat nahi bachi thi, bina awaz kiye rote hue, aansu bahate hue ulte kadmon main bhaag kar apne kamre me jaa pohnchi aur khud ko pet ke bal bed par gira kar rone lagi....
kitne chah the mere sab ke sab dhare reh gaye the.. kitne arman the mere wo bhi adhure reh gaye... aur main sivaye aansu bahane ke kuch kar bhi to nahi sakti thi.. ek majbur aurat kar bhi kya sakti thi.. ek boodhi maa thi jo jaane kab mujhe chhod kar is dunya se chali jaati.. ek toota phoota ghar tha jahan maa apni zindagi ki akhri saanse puri kar rahi thi..
mahine me ek adh baar hi mujhe maa se milne ki ijazat thi. parr abb to wo bhi nahi mil paa rahi thi.. 4 mahine ho gaye the maa se mile hue. jaane kaisi hogi meri maa..
main apni maa ki paison se bhi koi madad nahi kar sakti thi.. kitni bad naseeb thi mai.. kitni bad naseeb thi meri maa..
maa ki yaad aai to meri saans hi jaise atakne lagi thi.. jaane kaisi hogi maa.. koi uska sahi se khayal bhi rakh raha hoga ya nahi.. kaun rakhega uska khayal .. kaun tha hamara sivaye mohalle ke kuch dard mandon ke.. wahi to maa ko bhuka pisaya nahi rehne dete the. wahi to maa ka khayal bhi rakhte the.. lekin ek maa ki ek hi santan ho aur wo bhi usse se door ho to kaise ek maa ye sab sehn kar sakti hai...
mohalle wale kisi ka kitna dukh baant sakte the.. madar kar sakte the.. bhuke marne se bacha sakte the.. parr dard to koi apna hi baant sakta tha.. aur apna
main maa se door thi aur maa mujhse......... main maa ke liye tadap rahi thi.. aur maa mere liye........ main apne ghar me rehte maa k liye dua kar rahi thi.. k khuda meri maa ko seht de sukun de...... aur maa mere liye dua kar rahi thi, ae khuda meri ek hi phool si bachhi hai, use ghar ki khushiyan ataa farma...
parr dono ki hi nahi suni jaa rahi thi...... jaane kabb honge kamm. ye dard ye ghamm
dukh beinteha dukh tha meri zindagi me meri maa ki zindagi me.. kitne chaao se usne apni ladli beti ki shadi ki thi.. kitne khawab saja liye the meri shadi ko leke maa ne........ sab khawab pal bhar me hi paani ka bulbula bann chuke the...
rona aa raha tha mujhe, aisa rona k bardasht ki hadd khatam hoti hui mehsus ho rahi thi... koi tha bhi to nahi mere dard ko kamm karne wala.. ek husband tha, wo bhi abb mujhse door door rehne laga tha.. baat baat par mujhe maarne peetne lagta tha..
takiya mere aansuon se bheegne laga tha.. parr aansu the k rukne ka naam hi nahi le rahe the..
dard tha k kamm hone me hi nahi aa raha tha.. abb to mujhe ghar se aur jabbar ki zindagi se nikalne ki tayyri bhi zor pakadti ja rahi thi.. kaise bardasht kar paayegi meri maa ye sabb.. kaise wo apni beti ka ghar ujadta hua dekh sakti thi..
*************************************************************************************
tum firse rone lagi, kitni baar kaha hai k mere saamne rota hua chehre lekar matt aaya karo, tumhe samjh nahi aati kya...
chattaakk..chattaakk........... jabbar kamre me aaya hi tha k main aansuon bhare chehre ke sath bed se uth khadi hui thi... aaj wo time se pehle hi aa gaya tha..
aur aate hi mujhpar baras pada tha.. barsa hi nahi tha.. meri nazuk se komal se gaalon par thappad bhi raseed kar diye the.. dil ka dard aur chehre par padne wale thappadon kar dard.. izzat bhi do kodi ki ho kar rah gai thi.. par kya karti
ye sab bardasht na karti to ghar toot jaata aur maa
maa mere gham me marr jaati..
jabbar ne mujhe sarr ke baalon se pakad kar uthaya aur meri ankhon me ghusse se dekhne laga..
jabbar:- jaane kaunsi wo manhos ghadi thi jab mera dil tum par aa gaya tha.. meri phoooti kismat jo maine tumse shadi karli.. kitna kaha sabne mujhe k tumse shadi na karon, parr tum ...... tum to ek baanjh aurat nikli.. mujhe ek beta tak nahi de sakti.. jab dekho roti rehti ho...
kiran:- jjj. jabbar mere baal .. jabbar mere baal toot jaayenge.. jabbar pls mujhe chhodo........ jabbar ki pakad mere balun par bohut sakht ho gai thi, aisa lagne laga jaise mere sarr se baal hi ukhad jayenge.. dard bhi bohut hone laga tha.. dard saha nahi gaya aur aansuon ke behne ki raftar firse badhne lagi..
jabbar ne mujhe aur mere aansuon ko dekhte hue dusre hath se fir mujhe ek thappad maar dia.. parr shukar hai mere baal usne chhod diye the.. baal hi to the jo mujhe meri maa ke baad sabse zayada pasand the.. inhi baalon ka bhi to role tha jabbar ko mujhse jodne me.. mere siyah ghane baal, chamakdar baal, khushbu bakhetre baal .. jabbar ne jabb mujhe pehli baar bina dupatte ke dekha tha to mujhe dekh kar sehar zada ho gaya tha..
aur aaj wo mere unhi baalon ko mere sarr se alag karne par tula hua tha.. shadi ke baad ke kuch mahine to wo mere baalon ko apne chehre par saja kar sone ka aadi tha..
aur aaj wo unhi baalon ko bedardi se khench raha tha..
main neeche gir padi thi jabbar ka thappad khaa ke.. dukh aur dard itna tha ke mere aansu rukne ka naam hi nahi le rahe the..
jabbar mujhe gaaliyan deta hua bathroom me ghus gaya tha..
*************************************************************************************
piyo is paani ko haramzaadi...... aaj firse jabbar ne mere baalon ko apni mutthi me qaid kar liya tha.. plastic ke chote bucket me shaving water bhara hua tha..
usme shaving cream aur baal mix the aur jabbar mujhe wahi paani peene k liye de raha tha....... aisa bhi abb wo kabhi kabhi karne laga tha. jabbar psycho hota ja raha tha.. bachha paida karne ki salahiyat wo khud khota ja raha tha.. isi frustration ke chalte wo dimagi mareez banta ja raha tha, aur mai
main to kisi ko bata bhi nahi sakti thi k mai to maa ban sakti hon parr jabbar baap banne ki salahiyat se mehrum hota ja raha ha...... kasrate sharab ki adat ki waja se uske sperm khatam hote ja rahe the.. par wo sharab nahi chhod paa raha tha.. ya sharab bhi nahi chhodna chahta tha aur baap bhi banna chahta tha.. lund to uska nashe ki halat me strong ho hi jaata tha, parr bachha paida kr paane ki ability uske andar se khatam hoti jaa rahi thi....
khud me badh rahi khamiyon ki waja se wo dmiagi mareez bhi ban raha tha. aur usi ke chalte mere sath wo janwaro ka sa saluk karne lagta tha..
kiran:- nnnn..nahi .. nahi.. jabbar.. pls mere sath aisa matt karo.. main kiran hon tumhari kiran... pls, mere sath aisa matt karo..
jabbar:- chup kar haramzaadi pi ye paani.... warna tujhe abhi k abhi ghar se dhakke de kar mai nikal donga..
uski yahi dhamki mujhe kuch sochne layak nahi rehne deti thi.. talaq yafta aurat ki society me koi value nahi hoti. aur fir meri maa bhi to mera ye gham bardasht nahi kar sakti thi.. majburan jabbar ki dhamki ke chalte mujhe wo shaving water with hair peena pada.. suba ka time tha, khali pet tha.. juice tak mai jabbar ke breakfast se pehle pi sakti thi..... ye sabb system shadi ke 1 saal baad hi chalu ho gaya tha..
wo paani peete hue mere andar ki halat bohut kharab hone lagi thi.. kaise koi aisa ganda paani pi sakta tha.. thuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu oughgh
kuch mere pet me utra to kuch side me ludhak gaya.... jabbar kahkahe lagane laga aur main apni badnaseebi par rone lagi..
mujhe do din yaad aane lage, jab main jabbar ki god me baith kar uski shave kiya karti thi.. jabbar mujhse masti kiya karta tha.. kitne haseen the wo din.. kitni romantic life thi meri....
parrr shayad wo sabb shuruaati tha.. shuru shuru me to sabb ko hi apni biwi, apna husband achha hi lagta hai.. roz raat ko chudaai jo chalti thi.. nayi nayi dunya dekhne ko milti thi..naye naye safar jo lazzaton ke milte the...... fir kuch mahino me wo saari dunayaen dekh kar insan apni routine par aa jata hai.. aur jo zaruri hota hai wo sochne lagta hai.. agar bachhe ho jaayen to sabb normal bhi ho jata hai.. parr mere paas koi bachha bhi nahi tha..
aur shayad jabbar ki chahat bhi mujhse nahi mere jism se thi mere baalon se thi... jab is sabb ka nasha utra to wo apne rang me lautne laga tha... main gareeb ghar se thi parr thi bohut hi haseen ladki...... rangon se bhi aur angon se bhi....
parr sabb bekaar gaya.. kuch hi mahino me meri khubsurti ko grehn lag gaya tha... shadi ke baad itne din khushi ke nahi mile .. jinte... baad me dard aur zillat bhare mile the.........
bathroom me farsh par baithi main ro rahi thi. ganda piya paani kabka mere pet se bahar aa chuka tha.. aur mere ird fird aur bhi badbu phelaye hue the.. jabbar chala gaya tha aur main ro rahi thiiiiii. us gande vomiting gandh se mujhe ghinn bhi aa rahi thi....... parr abb to ye sabb mujhe bardhast karna tha, sabb meri kismat me likha ja chuka tha...
kabhi wo mehbub tha mera ...... abb sitam garr bann gaya hai..
*************************************************************************************
matt maro meri chachi ko ... dado aap pls matt maaro meri chachi ko....... nanha amir mer bade jedh ka chota beta.. wahi to tha ek jo mujhse pyar se baat karta tha. parr mujhe usse pyar karne ki bhi ijazat nahi thi.. mai baanjh thi, manhoos thi.. kaun apne bachhon par mera saya bhi padne de sakka tha..
kitchen se chaai laate hue amir ka bade bhai azhar khelta hua bhagta hua mujhse takra gaya tha..aur chaai ke bartan mere hath se gir kar toot gaye the. aur garm garm chaai
kuch azhar ke upar bhi gir gai thi...
aa gai firse meri shamat....
mujhe meri saas aur meri jethaniyan gaaliyan dete hue peetne lageen.. dono jethaniyan bhi apni saas ko khush rakhne k liye uska sath dete hue mere khilaf ho gaeen thee........ main rone cheekhne lagi. amir bhi ro raha tha.. aur azhar jis par chaai giri thi wo jald hi khud par kaabu paa kar chala gaya tha.... uspar chaai giri zarur thi, uski cheekh bhi nikli thi. parr wo zayada jalne se bach gaya tha.... mujhe mar padte dekh kar wo wahan fir nahi ruka tha....
*************************************************************************************
saalon se chal rahe is zulm ko main to bardasht karti hi chali aa rahi thi.. parr
parr mujhpr zulm karne walun ki bhi bardasht ki hadd khatam hone lagi thi.. wo sab mujhe maarte, zaleel karte parr, main rote hue sabki maar sehn kar jaati thi... lekin kisi ko kuch bolti nahi thi....... mujhe is ghar se nikaalne k liye naye naye tareeke dhunde jaate...
ek din meri bhi bardasht ki hadd khatam ho gai........
us din rukhsana bhi maujud thi.... sunday tha to ghar me sab mard bhi maujud the....
kothi bohut badi thi.... sabka achha khaasa business tha.. ek main hi thi in sabb me gareeb khandan se ..... rukhsana bhi mere sasural se kamm nahi thi.. uska husband aur fir uske bachhe bhi bade businessmen the.. tabhi to wo hawaon me rehti thi....
baat plan se shuru ki gai thi.. sab drawing room me baithe the.. din ke 10 baje ka time tha. main sabke liye chaai aur coffee bana kar laa thi aur sabko thama rahi thi.
jab apni saas ko thamane lagi to rukhsana bol padi
rukhsana:- jabbar jab tumne is kameene se shadi ki thi to chhan been ki thi iska ya iski maa ka koi chakkar vakkar to nahi tha na kisi se...
mera hath kaamp gaya aur chaai cup me se chhlak kar meri saas ke upar ja giri.. wo cheekhti hui uth khadi hui aur mujhe thapad maar dia .. bass meri saas ne shuruaat kar di thiiiii... abb itne sabb maujud the to meri aaj khair nahi thi........
jabbar:- haramzadi dhayan kahan hai tumhara... chattaakkk.. meri maa par chaai girati hai.. chattaakk.. baar baar tujhe main chhoot de raha hon.. chaatttaaakk.. parr tu nahi sudharne wali.... aur sach hi to keh rahi hai rukhsana aunty meri hi jaise aur bhi to kai yaar banaye hone tumne... adaaon me phansane me to tum mahir ho hi...
chattaaakk...
fir kya tha jisko jitna ghussa tha mujhpar utaarne lage...... jitna zulm bhi mujhpar kiya jaata main sehn kar jaati parr
parr aaj to sabne milkar mujhe aur meri maa ko characterless bol dia tha.. izzat to koi bhi nahi karta tha meri aur meri maa ki .....
main apni saas ko dhakka deti hui phatt padi... wo side me gir padi.. aur main khud se bahar hote hue cheekhne chillane lagi.. aaj mere mohn se bhi aag barasne lagi thi.
kiran:- ghatiya to tum ho sabb ke sabb.. samjhi tu kameeni budhiya.. mujhe aur meri maa ko bad kirdar bolti hai.. tu khud kya hai, tera beta to khud ek namard hai, wo bachha paida karne ki salahiyat kho chuka hai.. agar koi shak hai to poochho apne pagal bete se .. doctors ne bhi use jawab de dia hai.. wo kabhi bhi baap nahi bann sakta, parr main maa bann sakti hon.. lekin nahi bann sakti, jis aurat ka mard hi kisi kaam ka na ho, wo aurat maa kaise ban sakti hai... mujhe baanjh kehte han naa aap sab ke sabb... poochho apne bete se wo mard bhi hai ya nahi.......
meri baat par sabb sannate me aa gaye aur jabbar wo to apna aapa hi kho baitha.. belt nikal kar mujhe fir usne wo peeta, wo peeta k kuch hi minton me main apne hosh kho baithi..
************************************************************************************
jab mujhe hosh aai to main ek hospital me thi.. shayad mujhe wo hospital pohncha gaye the.... hospital room me nazar daudaai to dekha k main to ek bekar kisam ke hospital me hon, sarkari hospital tha.. dusri tarat nazar daudaai to mujhe apne mohalle wali ek aurat dikhi.. mai use dekh kar heran reh gaiii.. ye aurat to maa wale mohalle ki aurat thi.. ye yahan kaise
mujhe hosh me aate dekh kar wo jhat se mere paas aai aansu bahate hue mujhse mera haal chaal poochhne lagi.. uska naam rehana tha, aur main use rehana aunty bulati thi
rehana aunty:- kaise hai meri bachi ........ uski ankhon se tip tip aansu girne lage the.. wo bhi mujhse bohut pyaar kiya karti thi ..
kiran:- rehana aunty mai kahan hon aur aap yahan kaise. main to apne ghar me thi na
rehana aunty meri baat sunkar rone lagi
rehana aunty:- kiran beti pehle tu theek ho jaa fir main tujhe bataaongi.. abhi tum aram karo, tumhari halat sahi nahi hai..
mujhe bhi sabb yaad aa gaya tha k mere sath mere hi pari ne kya kiya tha.. itni maar maine pehle kabhi nahi khaai thi.. sara jism hi mera dard kar raha tha.
kiran:- rehana aunty maa kaisi hai.... meri baat par rehana aunty aur bhi dukhi ho gai..
rehana aunty:- kiran beti tumhari maa theek hai..... rehana aunty ankhen churate hue boli....... mujhe laga k wo zarur mujhse kuch chhupa rahi han....... mere dil ki dhadkan badhne lagi.. kuch bura hone ka ehsas dil me jaagne laga..
kiran;- rehana aunty pls mujhe maa ke baare me sahi sahi batayen, warna mera dil dhadakna bhul jaayega..
rehana aunty:- kiran beti tumhari maa ki halat sahi nahi hai.. tum bhi to jaanti ho k tumhe aisi halat me dekh kar wo bardasht nahi kar sakti... 2 din pehle tumhe talak ke sath tumhara miyan mohalle me chhod gaya tha.. tab se hi tumhari maa ki halat bohut kharab hai.. lekin khuda ka shukar hai k wo zinda hai.. sadma to use bohut laga parr wo bohut hadd tak theek bhi hai.. abb tu jaldise theek ho jaa aur apni maa ko sambhal, warna tu use kho degi.........
talaaq ka sunkar mujhe ek bada jhakta laga tha. meri ankhon se aansu behne lage.. ek bohut bada dhabba mujhpar lag gaya tha.. ab sabb hi mujhe nazren badal kar dekha karenge.. koi bhi aurat ho, jisko talaaq ho jaaye, kam hi log use izat ki nazar se dekhte the... bhale hi galti us aurat ki naa ho.....
aur meri maa......... maa ki halat jaan kar meri halat aur bhi bigadne lagi thi.. parr abb kuch bhi to nahi ho sakta tha.. mai kuch bhi to nahi kar sakti thi... agar kar sakti to saalon aisi life jeene ko milti.. badal kar na rakh deti apni life ko.
rehana aunty ne mujhe gale se laga lia aur mere sath milkar rone lagi...... rehana aunty ka sahara mila to mai bhi phoot phoot kar rone lagi...
************************************************************************************
5 din hospital me rahi.. zakham bohut hadd takk theek ho gaye the... mere chuttad kuch zayada hi chhil gaye the belt ki maar se .. baithne me bohut pareshani rehti thi..... parr abb sehn to karna hi tha... baaki ke zakhmo ko bhi main sehn kar gai thi........... saalon se hi to dard o zilatt sehte aa rahi thi.... itni bardasht to fir aani hi thi...
maa mujhe dekh khush bhi bohut hui thi prrrrrr asal dard to beti ke ghar ke tootne ka tha......
maa bhi mere gale lag kar khub roi thi.. ek baat achhi hui thi k maa ka sadma jaata raha tha.. meri halat dekh kar jo halat uski hui thi.. wo abb nahi rahi thi...
maa:- meri bachhi kitni bad naseeb hai, meri rani mere ghar se kya gai, khushiyon ko hi taras gai thi.... teri bad naseeb maa bhi tere liye kuch nahi kar paai.. maa rote hue boli
kiran:- maa, matt ro maa, mere naseeb me jo likha tha wo mujhe mil gaya.. abb jo mujhse chhin chuka hai, use leke kab tak royongi maa...... bardasht karna asaan nahi tha.. wo ghar jaise bhi tha, parr tha to ghar hi naa... wo bhi abb nahi raha tha.. maa ko bhi dilasa dena tha... apne dard ko maa se chhupana tha..
maa:- main jaanti hon meri bachhi tu badi sabar wali hai.. mai bhi teri maa ho beti ye dil ka sab haal jaanti hon..
maine firse maa ko gale se laga lia maa ke gaalon ko main choomne lagi.. aansu meri bhi aankhon se tham nahi rahe the.. aur isi halat me main maa ki himmat badha rahi thi.. khud ki himat jawab de chuki thi............
parr zinda rehne k liye bhi to aage ka sochna padta hai...
mere paas rehne se maa bhi behtar hone lagi thi...... dard the, zakham the.. mayusi thi.. parr ek bat thi.. abb se hum dono maa beti ek sath hi rehne wali thi.. jitni saane meri thee.. jitni saanse maa ki thee.. abb humen un saanso ke khatam hone tak koi ek dusre se door nahi kar satkta tha..
************************************************************************************
paas ke mohalle ka wo ek gunda bhi tha..... kochwan tha, taange chalaya karta tha.. uske lachhan achhe nahi the, is liye kisi ne use rishta nahi dia tha. uski shadi nahi ho paai thi... uska dunya me koi nahi tha.... apne awara dosto ke saath wo aksar baitha karta tha..... jo kamata wo ayyashiyon me uda dia karta tha.. aksar wo sharab pi kar kabhi apne mohalle me to kabhi hamare mohalle me shor sharaba kiya karta tha.. aksar hi wo shareef gharon par gandi gandi awazen kasa karta tha..
parr ek baat thi k usne kabhi kisi aurat ko buri nazar se nahi dekha tha......
sharab peena, jua khelna, bedi cigarette, luchhe ladkon me jo aadaten hua karti thee.. wo sabb usme thee.. agar kuch nahi tha to wo uski zindagi me aurat ka na hona tha.. wo aurat ki izzat bass is hisab se kiya karta tha k kabhi unhe gandi nazron se nahi dekha karta tha.. unpadh tha.. apna naam tak likhna nahi jaanta tha..
shekho naam tha uska... badi badi moonche, sarr ke baal lambe aur ghungraale.. ankhen uski har dumm hi laal rehti thi.... parr aurat zaat k liye uski ankhon me kuch tha to bass izzat aur narmi....... baaki sab k liye wo ek ladne marne wala sharami ayyash ghunda tha......
uski saari baaten uske mohalle me aur aas paas ke mohalle me mashahoor thee...
agar uski nazar kabhi kisi par tiki thi to wo main thi.... shuru se hi wo mujhe badi ajeeb nazron se dekha karta tha.. aur main
main use ignore kar dia karti thi...
meri jawani ki shuruaat jab hui, tabb se hi wo mujhe dekha karta tha.... aur main padhai karte hue jabbat ke chakkron me padh gai thi.......... wo mujhe dekha karta.. nazar bhar kar kabhi bhi usne mujhe nahi dekha tha.. bass jab bhi dekhta mujhe uski ankhon me khud k liye ajeeb sa dikhta tha.... tab wo itna bada badmash nahi tha.. wo to baad me bana tha........
maa ke paas aaye hue mujhe 4 mahine ho chuke the.. pas ke hi ek school me mujhe teaching ki naukri hi mil gai thi.. mohalle ke hi ek teacher ne mujhe wahan lagwaya tha.. wo achha admi tha..
mohalle wale sab hi achhe the.. mera aur meri maa ka hamesha se hi bohut achhe se khayal rakha tha.. mere abbu tab humen chhod kar chale gaye the.. jabb main 10th me thi.......... tba se hi maa mohalle ke gharon me kaam karke ghar chalaya karti .. usi paison se meri padhai ka kharcha bhi nikal raha tha..
scholarship main main aage ki padhaai kar paai thi.. Bsc.Bed kar chuki thi main...... lekin fir jabbar se meri shadi ho gai to sab badal kar reh gaya tha..
ek din mai school se ghar laut rahi thi to mujhe wahi pass ke mohalle ka awara koshwan shekho mil gaya.. koi aur taanga nahi tha paas me to main apni ek dost ke sath uske sath baith gai.. ek baar nazar bhar kar usne mujhe dekha, fir apni nazren fer leen..
mujhe uski ankhon me dekhkar hairat ka ek shadeed jhatka laga.. saalon baad aaj main uski ankhon me firse dekh rahi thi.. mujhe uski ankhon me khud k liye dard mehsus hua tha........ matlab kuch mahine pehle jo kuch mujhpar beet chuka tha.. wo use bhi dard de gaya tha.. aisa hi kuch mujhe uski ankhon me dikha tha.. meri dost fir mujhse baten karne lagi aur main shekho ko aur uski nazron ko sochne lagi..
kuch minton main apne mohalle me thi.. tange se utri use paise diye firse uski ankhon me dekha to uski ankhon me dard tha aur wo paison ko dekh kar ajeeb se smile dene laga.. fir aas paas dekh kar paison ko choomne laga. main use aisa karte dekh kar sannate me rah gai thi...
meri dost pichle chok par utar gai thi.. mere dil ki dhadkan aaj itne dino baad firse badh gai thi.. tez kadmon se chalte hue main apne ghar me dakhil ho gai.. darwaze ko andar se band karke, darwaze se peeth jodkar main lambi lambi saans lene lagi....
aisa mere sath pehli baar ho raha tha.... aaj se pehle mujhe uski ankhon me apne liye wo sab nahi dikha tha, jo aaj mujhe dikh gaya tha.......
main 33 saal ki ho chuki thi ... wo bhi itni hi age ka tha... wo shayad abhi takk kunwara tha aur mai ek talaq yaafta aurat... mere andar ka to sabb hi banjar ho chuka tha..
to fir
to fir aaj mere dil ki dhadkan firse kyun apna andaz badalne lagi thi.... in 4 mahino me main khud ko bhul chuki thi.. mai jaan gai thi k abb meri zindagi me kabhi koi rang nahi aayega.. is dunya ke wo rang jo har dusri aurat ke naseeb me hote han... har suhagan aurat ke naseeb me hote han.. wo mujhse chhoot chuke han.... parr
parr aaaj firse kyun mujhe wahi rang mehsus hone lage the.. kyun mere dil ki dhadkan be tarteeb hone lagi thi..
maa:- kya hua kiran beti, wahan darwaze par kyun khadi ho.......... maa ne mujhe meri sochon se bahar nikala..
kiran:-kuch nahi maaaaaa.. bass aise hi ... aaj zara thak gai thi... to isi liye khadi ho gai thi.. maa se baat karte hue mai maa ke paas jaane lagi
maa:- kiran beti tum naha kar fresh ho lo beti tab tak main tumhare liye khana garam karti hon.
kiran;- theek hai maa..
mai fir apne kamre me gai.. wahan bed par baith kar main firse shekho ko sochne lagi... kab mere honto par ek muskan khil gai thi. mujhe pata hi nahi chala.. jaise hi mujhe is baat ka ehsaas hua, to main khud par ghussa hote hue uth kadi hui aur kapde utha kar bahar sehan bane hue bathroom me ghus gai.....
************************************************************************************
aaj main apni ek dost ke sath maa ke liye dawaa lene 20 kilometer door ke ek ilake me gai hui thi.... bass se utri to andaza hua k mausam ek dumm se hi kharab ho gaya hai.. kuch hi der me baarish bhi shuru ho sakti thi..
kiran;- chal zubi jaldi se dawai lekar hume jaldi wapis bhi aana hai.. der ho gai aru barish shuru ho gai to bohut badi gadbad ho jaayegi..
zubi rehana aunty ki beti thi.. aur sab ki permission se hi hum yahan aai thee ...
pehle bhi ek do baar main yahan aa chuki thi.......
jahan hum utri thee.. wahan se 300 meter paidal jana padta tha... tooda phoota kachha pakka road tha, usi par chalte hue humen aage jana tha..
main aur zubi tez tez chalte hue apni manzil ki aur badhne lagi.. upar asman ki or dekha to kaale badal chhaye hue the.. bohut speed se wo pure asman par chhate chale jaa rahe the,........ kuch hi minton me hum wahan ja pohnche.. fir kuch hi minton me maa ki dawaai lekar hum wapis bhi ho leen..
bahar nikle abhi 3 hi minutes hue the.. k toofani hawa ke sath tez barish bhi shuru ho gai......
zubi:- kiran kameeni humen wapis chal dena chahiye.. agar pehle hi kuch der wahi ruk jaati thi to achha rehta.. chal wapis chalte han..
kiran;- nahi kiran seedha chok par pohnchte han aur koi bus lekar apne mohalle me ja pohnchte han.. yahan rukna sahi nahi hai.. pata nai kitni der tak mausam aisa hi rahega aur fir shaam bhi to hone wali hai.... chal speed se mere sath.....
zubi ko bhi meri baat sahi lagi to wo bhi mere sath tareeban bhagne lagi.........
aadhe se zayada fasla humne tay kar lia tha.. barish aur bhi bhayanak rang badalne lagi thi....... aaj to aisa lag raha tha jaise asman me chhed ho gaya ho.. barish aur bhi tez hone lagi thi...... hamare kapde hamare jismo se chapak chuke the.. thandak bhi lagne lagi thi.. koi aas paas hota to hamare geele kapdon se dikh rahe jismo ko bhi dekh leta......... ye bohut galat hua tha.. aisa nahi hona chahiye tha.. parr abb to ho chuka tha...... dono speed se duadti hui chok par pohnch gaiiiiiiii
aur fir chauk ka hashar dekh kar to hamare ronghte hi khade ho gaye.... pura ka pura chok hi paani se bhara pada tha... aur aas paas ki saari dukane bhi band padi hui the.....
itni si der me sabne apni dukane band kar di theee.. door door humen koi insan nahi dikha ...... maare darr ke to hamari halat hi patli hone lagi thi....
zubi bohut zayada darr gai thi... darr to main bi bohut gia thi.... zubi bhi shadi shuda thi. mujhse 2 saal chhoti thi.... par hum dono thee to bebas aur kamzor aurten, aise me agar humen koi galat banda takar gaya to hamari khair nahi...
hum dono fir ek dukan ke upaar bahar bani hui teen ki chhar ke neeche khadi ho gaeee
zubi:-kiran ab kya karen.. maine kaha tha na k wapis chalte han.. yahan aa to gai han, par yahan to koi nahi hai.. aur paani bhi dekho kitna badh raha hai.. zubi thand se aur darr se kaampte hue boli........
kiran:- abb hume wapis jana hoga zubi.. yahan reh kar tum mehfuz nahi reh sakti... chalo isse pehle k koi humen dekhe humen wapis jana hoga....
zubi:- kkkk...... kiran lagta hai koi humen dekh raha hai mujhe aisa lag raha hai...
zubi ki baat sunkar main to kaamp hi gai thi.. asie mausam me kaun hume yahan bachane aayega.. main aur zubi aas paas dekhne lageee.. to hume ek dukan ke adh khule hue shattar ke andar se 4 ladke hume ghoorte hue dikhe....
kiran:- chal bhaag zubi humen yahan se jana hoga.. ye jaga hamare liye safe nahi ha..
zubi ka hath thaam kar main wapis hakeem ke paas bhaag kar jaane lagi.... saale wo kutte ladke bhi dukan se bahar aa gaye the... wo bhi hamare peeche bhaagne lage...
dor se hi hamare chamak rahe jism dikh rahe the... saale aise mausam me kaise khud par kaabu rakh paate.. ghar me maa behen hote hue bhi aisi ghatiya soch me malik hote hann.......... is baar hum dono hi dum daba kar bhaag rahi theee.. in baar baat jaan se badhkar izzat ki thee........ yahan to hamara rape karke humen mar bhi dia jata to kisi ko kaaano kaan khabar nahi honi thi.......
hum nazuk si aurten kahan mardon se tez daud sakti theeeeeee... wo 4 ladke the wo hamare paas pohnch gaye..... hamare saamne aa gaye, humen ruk jaane pada.. sab ke sab humen hawasi nazron se dekh rahe the.. saale apne lund bhi masal rahe the..... main aur zubi thar thar kaamp rahi thee.. aas paas dekha to koi bhi nahi dikha humen koi bhi to humen bachane wala nahi tha......
par nahi shayad koi aa raha tha.. toofani baarish me wo kisi toofan ki tarha se aata hua dikhaai dene laga.. tez barish aur fir tez hawa ke chalte wo sahi se dikh nahi paaya tha. andhera bhi tha, asamn par kadak rahi asmaani bijli ki roshni me wo ek mard maidan dikh raha tha......... wo ek taange par tha.. aur toofani baarish me wo bhi ek toofan bankar aa raha tha...
ladke jo hume dekh kar hum par jhapat padne k liye bechain ho rahe the.. wo bhi taange wale ko aate dekh kar heran reh gaye....... parr saalon ke andar kuch zayada hi aag lagi hui thi.... wo nahi ruke do ne mujhe aur do ne hi zubi ko pakad liya..
aur zabardasti karne lage.. dupatte is beech me hamare jism se alag ho chuke the...
chhod do mujhe haramzaade, ahhhhhhh chhhod mujhe .. ek harami ladke ne mere doodh ko pakad kar zor se massal dia aur zor zorse hassne laga.....
meri hi tarha se zubi bhi cheekh rahi thi.. zubi neeche gir chuki thi, ek ladka uske upar tha.. dusra uske hath pakde hua tha...... hum dono ko hi road par dhar lia tha.. un ladkon ne.....
ek ladke se chhotne k liye maine us ek thappar maar dia.. wo ghusse me aa gaya aur mujhe bhi fir usne ek thappar maar dia..
itni der me wo taange wala hum tak pohnch gaya tha.. ek jhalak hi mai uski dekh pai thi.... wo wahi taange wala shekho tha jo mere peeche pada hua tha.. wo aan pohnchaa aur taange roke bina hi tange par se jump karte hue haamre beech me aa kooda.. fir to wo bijli bann kar sabb par toot pada.. kisi ko laat mar raha tha.to kisi ko mukka.. abb cheekhne ki baari ladkon ki thi..... wo akela tha. aur ladke 4 the... zubi aur main ladkon ki pohnch se bach niklee theee.. aur side me khadi, baarish me bheegti hui shekho ko ladkon se ladte hue dekh rahi theee.. darr aur thand ki waja se hum thar thar kaamp rahi theeee.... parr mere dil ki dhadkan aaj pehle se kai guna badh kar dhadak rahi thi....... uska darr ya thand se koi connection nahi tha...... na jaane mujhe kya hone laga tha.. kyun shekho jaise badmash ko dekh kar mere dil ki dhadkan mere bass me nahi rehti thi.....
shekho kisi hero ki tarha se us ladkon se lad raha tha.. bijli bana wo kisi ek jaga par tik hi nahi raha tha.... ladke shekho se maar kha to rahe the.. lekin shekho ko akela jaan kar wo peeche nahi hatt rahe the ... koi bhi shekho se kamm nahi tha..
shekho abb charon ke beech me tha aur charon shekho ko ghere khade the...
ek ladka:- saaal aj tu nahi bachne wala..
shekho:- zinda to aaj main bhi tum me se kisi ko nahi chhodne wala.. saale haramzade agar itni hi aag lagi hui hai to ghar me hi kyun nahi mohn maar lete..
ladka:- ae bakwas band karo........ maaaaaaro saaale ko. bachna nahi chahiye..
sb:-haan haan aaj ise zinda nahi jaane denge..
ek ladke shekho par jhapat pada, shekho ko main aaj pehli baar ladte hue dekh rahi thi.. shekho me itna dumm tha .. wo akela hi in sabb se lad raha tha.. mujhe dekh hairat bhi thi.. aur ek anjaani si khushi bhi ho rahi thi....
ek anjana sa darr bhi tha kahi shekho ko kuch ho naa jaaye..
ladka shekho par jhapta to shekho ne hawa me hi ladke ko baazo se thaam liya.. shekho pehlwani jism ka maalik tha.. ladke ko baazo se pakad kar chaaro or ghumane laga.. wo ladke cheekhne laga.. uske dono pair uske hi sathiyon ko lag rahe the.. baaki ke ladke gire to shekho ne us ladke ko sadak pad patak dia.. uska hath nahi chhoda aur dahadta hua apna ek pair uski baghal ke neeche maar dia... aur sath hi uske baazo ko ek jhatka bhi de dia...... ladka bhayanak awaz me cheekh pada.. ek ladka apne dost ko dekhte dekh kar shekho ke upar jump kar gaya.. shekho ka dhayan neeche gire hue ladke par tha...... shekho bhi neeche gir pada...
fir to baaki bache teeno ladke shekho ko upar aa gire aur shekho ko daboch kar shekho ke mohn par, shekho ke seene par mukke barsane lage.... shekho ki bhi is baar dard bhari cheekhen goonjne lagi.... zubi mera hath kass ke pakde hue thi......... hum dono hi shekho ko pitne hue dekh rahi thee..
ek lakda:- (dsure ladke) chal jaldi se chaku nikal aur ghusaa de iske seene me...
mujhe aisa laga jaise wo mere dil me chaku ghusane ki baat kar raha ho... pata nahi mere sath ye sab kya ho raha tha.. ladke ne chaku nikal liya aur shekho ke seene me ghusane laga..
najane mujhme kahan se itni himmat aa gai k main zubi se hath chhuda kar cheekhti hui bhaag khadi hui .. shekho bhi khud ko bachaane ki puri koshish kar raha tha... meri awaz sunkar ladke tham gaye the.. shekho bhi ruk gaya tha..
jis ladke ke hath me chaku tha.. main puri speed se usse ja takraai.. uske hath me chaku tha ya nahi, mujhe nahi pata.. wo mujhe maar deta mujhe iska bhi ehsas nahi tha.. main to bass use thappar par thappad maarne lagi.. mere hathon me taqat thi ya nahi .. mere padne wale thappad use dard de rahe the ya nahi mujhe nahi pata,...
toofani baarish me ek toofan mere andar bhi aaya hua tha.. bahar ke toofan aur andar ke toofan ko bhuli main us ladke ko peet rahi thee...
main giri ya wo ladka mujhe nahi pata.. main to bass use peete jaa rahi thi..... kitni der guzri mujhe nahi pata.. mujhe to tab pata chala jab zubi ne mujhe awaz lagaai.. wo bhi pure zorse...
zubi ki awaz sunkar main hosh me aai to dekha k main ladke ke seene par baithi thi aur uske gaal aur hont khun ugal rahe the.. khun shayad meri ankhon me bhi utar aaya tha.. usi khuni ankhon se maine zubi ko dekha to zubi do kadam peeche hatt gai... zubi ko dekhna chhod kar main shekho ko dekhne lagi.. wo bhi side me khada hua mujhe dekh raha tha.. baaki ke ladke bhi sadak par pade tadap rahe the..... kuch fasle par uska taanga bhi khada tha........... wo khud se hi ruk gaya tha.. apne maalik ko taange se koodte dekh kar wo bhi ruk gaya tha......
maine firse ladke ko dekha.. wo behosh nahi hua tha.. bass apne karah raha tha.. mujhe bhi achanak se apne hathon me dard ka sa ehsas hone laga tha.....
baarish ki waja se kaafi der se bheeg rahe jism narm pad chuke the.. ladko mere thppad pade to jaldi hi uske hont aur gaal phatt gaye the.. mere hathon ki jild bhi barish ki waja se narm pad gai thi..... isi liye mujhe dard mehsus hone laga tha..
zubi aur shekho mujhe dekhne lage aur main ladke ke upar se uth khadi hui....
chalti hui shekho ke paas pohnchi
kiran:- tum yahan kaise pohnche... shekho ki ankhon me dekhte hue main shekho se poochhne lagi......... shekho mujhe aise dekhne laga.... jaise jo sawal maine kiya ho uska jawab bhi mere paas ho.......... aur shayad jawab mere paas tha bhi...... mere dil ne firse dhadak kar mujhe signal dene shuru kar diye k shekho se jo sawal tumne kiya hai........ uska jawab tumhe mil chuka hai............. meri nazren jhukti chali gaiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii......
kuch der hum taange par baithe wapis jaa rahe the..