- 8,125
- 12,279
- 189
Uzma k Zaib ko football kehne par Zaib ne us k kandhe par mukka maara.
Main: “Meri wife ko koun maara.?” Main ne ussay aankhein dikhaaein aur poocha.
Zaib: “Aap ki wife ne mujhe football koun kaha.?” Us ne bhi mujhe aankhein dikhaate houy kaha.
Asif: “Ab football ko football na kahein to aur kia kahein.” Us ne humari taraf aate houy kaha.
Asif ki aawaaz sunn kar aur ussay apni taraf aate dekh kar main us se milne k liye aage barrha aur jaise hi hum aamne saamne aaye to hum ne aik doosre ko gale laga liya.
Main: “Kaisa hai jigar.?” Main ne poocha.
Asif: “Aik damm fit, tu sunna kia haal hai.?” Us ne poocha.
Main: “Zabardast.” Main ne kaha.
Ye keh kar main Asif se alag ho gaya.
Asif: “Tum sab abhi tak yahi kharre ho… humain garri chalne se pehle samaan bhi utaarna hai.” Us ne kaha.
Main: “Yaar humare tickets Pindi tak k hain.” Main ne jaldi se kaha.
Mujhe YAAR kehte dekh kar Uzma ne mujhe ghusse se dekha.
Asif: “Us ka bhi intezaam kar lenge.” Us ne kaha.
Main: “Lekin.” Main ne kaha.
Asif: “Lekin wekin baad mein karna pehle Khala k paas chalo, wo akeli wahan pareshan ho rahi hongi.” Us ne jaldi se kaha.
Khair thorri der baad hum sab train mein thy aur wo teeno behan bhai apni Khala (Phuphi Zohra) ko mana rahe thy.
Uzma: “Khala humain kuch bhi nahi sunna bas aap humare saath chalein.” Us ne kaha.
Ph. Zohra: “Lekin beta tumhare Khalu kia kahe gein.” Unhon ne kaha.
Salma: “Khalu se Ammi ne baat kar li hai.” Us ne kaha.
Zaib: “Matlab tum sab pehle se hi intezaam kar k aaye ho.?” Us ne poocha.
Zaib ki baat sunn kar un teeno ko yak zubaan ho kar “Yessss” kaha.
Main: “Mujhe jaldi wapas jaana hai koun k pehli tareekh se main ne job join karni hai.” Main ne ehtejanan kaha.
Salma: “Agar aik do din late jaaeinge to koi farq nahi parrega.” Us ne kaha.
Main: “Parr.” Main ne kaha.
Abhi main aage kuch kehne hi wala tha k meri nazar Uzma se mili aur us ne aankhon se mujhe rukne ka ishara kiya,,, us ka ishara samjh kar main khamosh ho gaya aur ussay piyaar bhari nazron se dekhne laga.