"ye le" prerna ne ek kitab siddesh ke haath me rakhte hue bola
"bhagwat geeta??" khush ho gaya siddesh aur apne sar se us kitab ko chookar use rakh diya
"yaad hai na" yada yada hi dharmasya... "prerna ne yaad dilaya
" yaad hai didi, jab jab is dharti par paap badhta rahega, mai avatar leta rahunga "siddesh haskar bola
" Arey mai to tujhe ye dena bhool hi gayi to chodd aaya tha kamre me"prerna boli
"meri diary" lapak liya siddesh ne ise
"diary likhne ka shauk hai na tujhe bohut??" prerna boli
"Haan didi har din kya hota hai mera din kaise gaya ye mai likh leta hoon isme" siddesh bola
"ok all set, to mai chalti hoon, khoob man lagakar padna bhai" prerna ne siddesh ke gaalon me apna haath fera aur chali gayi
Siddesh thoda upset ho gaya, Bachpan se dekhta aaya tha didi ko apne Saath, ab se akele din guzarne padenge
"hey buddy" ek ladka muskurate hue kamre me daakhil hua
"hi I'm siddesh" haath aage badhate hue siddesh bola
"nikhil here" ladke ne haath aage badhaya
"school kaafi bada hai" siddesh nikhil ke saath bahar nikalte hue bola
"Haan aur yahan ki sabse achi baat yahan ke canteen ki hai, canteen kya use restaurant bol sakte ho kya nahi milta wahan, lekin hum jaise scholarship walo ke liye thali hai wahan free hai hamare liye" nikhil khush hote hue bola aur dono canteen ki aur chal diye
Canteen me jaise hi ghuse dono wahan ek table par kuch log the
Nikhil kaampne laga
"c c chalo abhi nahi fir kabhi aakar chai peete hai" nikhil bola to table par baithne walo ne ek nazar daali dono par
Teen ladkiyan thi aur chaar ladke, unme se ek mota ladka tha jo subah jeep se nikla tha
"c chalo chalo yahan se" nikhil bola aur lagbhag kheechte hue le gaya use wahan se
Bahar jaakar ruka nikhil
"ye sab kya hai nikhil??" siddesh ne poocha
Thoda naaraz tha
"nikhil, un logo se jitna ho sake door raho, kuch bhi ho jaye lekin kabhi na kisi se zyada dosti karna na dushmani" nikhil bola aur aage badh gaya
Siddesh ko nikhil ki baat samajh me nahi aayi
Aur uska mobile bajne laga
"to janab ko abhi tak hamari yaad nahi aayi" rakhi boli
"aisa nahi hai, bas call karne hi wala tha" siddesh bola
"jhoot jhoot jhoot" rakhi boli
"are kasam se" siddesh bola
"khair chodo batao kaisa hai mahoul wahan ka??" rakhi ne poocha
"ekdum mast" siddesh bola
"oh kaash mai wahan ja paati sid" rakhi boli
"zaroor le jaunga ekdin rakhi, hamari shaadi ke baad" siddesh bola
"dhat... Abhi to hamare school ke din bhi khatam nahi hue, abhi se shaadi??" rakhi boli
"to kya hua rakhi, shaadi ekdin zaroor hogi promise" siddesh bola
"acha ab mai rakhta hoon phone, ye school ko ache dhang se ghoomna hai mujhe" bol siddesh chala gaya phone rakhkar
------------------------------------------------------------------
Formalities poori ho chuki thi
Aaj se school ka naya din tha, siddesh khush tha aaj, sapna tha uska Lynn school me padne ka
Canteen me ghuse hi khane ke liye plate uthaya usne
"sarak" ek Awaz ke saath wahi mota sa ladka aaya aur dhakka dekar side karke khud khada ho gaya
Dhakka itna zordar tha ki gir gaya siddesh
"ye kya hai?? Dhakka kyun diya mujhe?? Aur line me mai khada hoon pehle se" siddesh bola
Mote ladke ne koi dhyan nahi diya
Siddesh khada hua aur mote ladke ke paas ja hi raha tha ki for se kisi ne dhakka diya use
Mote ladke ke saath ek ladka aur a gaya dono muskurane lage
Siddesh ne kuch nahi bola aur seedha principal ke office me gaya
"Tyson dushyant this is not acceptable aage se ye repeat nahi hona chahiye" principal ne Tyson aur dushyant ko ek ek letter thama diya
"you are going to pay for this buddy" dushyant muskurate hue bola, Tyson kuch der seriously dekhta raha siddesh ko aur fir dono chale gaye
------------------------------------------------------------------
"duh, do we really have to do that akhil" minal boli
"I guess she is right akhil, use itni aasani se chodna theek nahi" rishabh bola
"lekin principal ke pass ye doosri complaint hai" David bola
"lekin iska matlab ye to nahi ki kal ke aaye us bhikari ke saath samjhauta kar le" varun bola
"guys i think akhil is right, baar baar principal ke Saamne aane se acha hai ki usse samjhauta kar le, waise bhi wo ek acha sidekick banega, hamara kaam karta rahega" sheetal boli
"oye hoye dil a gaya kya sheetal us ladke Apr" ashika masti karte hue boli to sab thahake maarte hue hasne lage
Akhil kuch bolne ja raha tha ki Saamne se siddesh a raha tha
Akhil apne chair se uthkar aage haath badhaya
"hi I'm akhil" akhil bola
"I'm siddesh" siddesh bola,
Nikhil ne siddesh ko bola tha ki gang milna chahti thi usse
"dekho siddesh in ladkon ne jo kiya uske liye mai maaf...."
CHATAKKKKKKKKKKKKK
Ek zordar thappad pada akhil ko aur poora area thappad ke goonj se kaamp utha
Saamne prerna thi, siddesh ki didi
"ek akele ladke ko dekhkar sab isse lad rahe ho, abhi uski didi zinda hai" prerna boli
Thappad se akhil ka chehra ghoom gaya tha
Uske doston ko akhil ka chehra nahi dikh raha tha
Siddesh has diya
Akhil ghooma aur muskurate hue bola
"I'm sorry siddesh, shayad mujhe aapse bhi maafi maangni chahiye didi, aage se aisa kuch nahi karenge jisse siddesh hurt ho" akhil bola
Uska gaal fool chuka tha aur laal ho chuka tha
"guys apologize" akhil bola
Man maarkar sabne maafi maangi
"ab to we are friends??" akhil ne muskurate hue bola
Siddesh Muskuraya aur aage badhakar haath milaya akhil se
Sab gang members akhil se haath milane lage
Aur prerna muskurane lagi