Avinash ne laakh koshish kari lekin neend aankhon se koso door thi
Ek ajeeb sa lag raha tha.aisa jaise kuch choota ja raha hai.kuch apne se door ja raha tha
"Morning avinash bhaiyya "jogging karne ke baad aayi sharon chair kheench kar baith gayi
"Apne bhabhi ko bhi lete jao sharon.thoda weight loss ho jayega uska"vishal ne muskurate hue kaha
"Pehle khud thoda apne aap ko dekhiye,mujhse zyada aapko uski zaroorat hai"nivedita ne jawab diya
Aur sab khilkhilakar has pade
"Kahan khoye hue hai avinash bhaiyya??"sharon poochhi
"Kuch nahi aise hi"bol bina breakfast kiye chala gaya avinash
Sharon uske peeche gayi
"Miss kar rahe hai na usko bhaiyya??"sharon peecha se bol uthi
"K kiski baat kar rahi ho sharon??"avinash apne aap ko sambhalta hua bola
"Aaj wo ja rahi hai bhaiyya,ho sake to rok lijiye,warna saari zindagi sochte reh jayenge,pachtayenge lekin wo lautkar nahi ayegi"bol kandhe par haath rakhkar chali gayi sharon
"Flight me abhi bhi time hai ,hai na sharon??"nivedita peeche se aayi haste hue
Avinash ekbar sharon ko ek baar nivedita ko dekhne laga
"Ab jaiye bhi"sharon haste hue boli
Avinash ne daud lagai.khud car ki chabi li aur drive karne laga
Aaj uske pyaar ki pariksha thi.bohut ho gaya.ab tanya ko aur dukh nahi dega wo.aaj apna banake rahega
Car toofan ke speed se chal rahi thi.aur airport ke paas hi ja rahi thi
Airport pohunchte hi ek dhakka laga avinash ko flight ke departure ki khabar mili
Kuch karne ko bacha nahi tha.jaise taise car chalakar ghar ki aur gaya.kuch bhi acha nahi lag raha tha.
Aaj uska sab kuch khatam ho gaya tha ab aage kya kar.....
"Are bas itna hi??kya bhabhi aur lijiye na"sharon ki awaz a rahi thi dining room se
Saath me nivedita bhabhi ki hasi ki awaz bhi a rahi thi
Avinash ander gaya to statue ban gaya
Ander tanya baithi hui khana kha rahi thi aur nivedita aur sharon khana paros rahe the
Avinash ko dekhte hi sab uski aur dekhne lage
"Sorry bhaiyya,thoda tension dena zaroori tha warna maza nahi aata"aankh maarte hue sharon haskar bolne lagi
Avinash aur tanya daudkar ek doosre se lipat gaye
"Thank you,thank you"rote hue tanya bol rahi thi sharon ko
"Tumne jo kiya na sharon wo shayad bhagwan bhi nahi kar pate,tumne mujhe aur tanya ko ek kiya"avinash bola sharon ko dekhkar
Sharon muskurai,uska kaam poora ho gaya.bas dhruv ke asli mata pita ke baare me kuch pata chale to??
Sochkar sharon chali gayi
Nivedita tanya aur avinash ki aur gayi
"Jis ladki ne hum logo ke liye itna kiya hai,uske liye hame bhi kuch karna chahiye na??"avinash ki aur dekhkar boli nivedita
"Sahi hai bhabhi lekin kya kare??"tanya boli
"Pata hai aaj us chutki ka birthday hai,pagli ne kisi ko bataya nahi"nivedita boli
"Kyun na aaj chutki ka bday celebrate kare bhabhi??"tanya boli
"Brilliant idea.abhi vishal ko bolti hoon dhruv ko bol dega jaldi aane ke liye,khud bhi jaldi aayenge"nivedita boli
In sab se door sharon fafak fafak kar rone lagi,aaj uske b'day par dhruv ne wish nahi kiya,mom dad ne subah call kiya tha,lekin uska sasural ??kisi ne wish karne ki nahi sochi
Aaj pata chal gaya use,dhruv uska nahi.neha ka hai sirf neha ka
-------------------------------------------------------------------------------
Neha bohut khush thi
Kyun na ho??aaj dhruv ko call karne wali hai.aaj uske pagal khane se chootne ka din hai,dhruv use zaroor phone karega,kaise nahi karega ??
Lekin Shaam tak jab dhruv ka call nahi aaya.usse raha nahi gaya usne call kiya dhruv ko
Kaafi der tak call lagane ke baad dhruv ne phone uthaya
"Yes??"dhruv ki awaz aayi.neha kuch der ke liye kuch bol hi nahi paayi.itna confidence bhari awaz shayad hi kisi ki hogi
"Hello??"dhruv ne fir awaz lagai
"D d dhruv,m mai hoon"neha ne halke se kaha
"Mai koun??"dhruv ne fir poochha to ek dhakka sa laga neha ko
Jo is awaz ka deewana tha,saari raat baatein karta tha,wahi aaj is awaz ko pehchan nahi raha ??
"Mai neha dhruv,yaad hai??"neha boli
"Are neha,kab aayi shahar me??"muskurate hue dhruv ne poochha
"Bas abhi,mile kya??"neha ne poochha
"Haan haan zaroor ,bohut baatein bhi karni hai"bola dhruv
Neha khush ho gayi,bekar me dar rahi thi,aaj to dhruv ko paagal bana degi wo
Shaam ka waqt tai hua milne ka
Neha ne ek short dress pehni thi,laal rang ki dress,mehengi perfume aur halka sa make up
Milne ki jagah wahi tay hui jahan pehle mila karte the
Neha wait karti rahi.aur kareeb adhe ghante baad dhruv aaya
Na t shirt,na jeans,na fancy dress
Poora formal dress pehenkar aaya.lekin chehre se kaafi confident,serious look,wo bachpana nahi hai,wo confuse sa ladka.....
"Kaisi ho neha??"dhruv bola aur baith gaya.ek phool ka guldasta lagaya tha.jo usne neha ko de diya lekin wo yellow colour ke roses the
"Kuch order kiya tumne??I'll just have coffee"bol ek waiter ko coffee ka order diya aur phone nikal kar kuch message type karne laga
"Maine tumhe miss kiya dhruv"neha boli aur dhruv ka haath pakadne ke liye jaise hi apna haath badhaya.dhruv ne haath hata liya
"Aur bolo ,abhi thik ho na??"dhruv bola
"H haan poori tarah thik ho gayi hoon,dhruv"neha boli
"Good ,karan se.mili??"dhruv ne poochha
"Haan ,wo mai kya keh rahi thi,tumne mujhe miss kiya dhruv??"neha boli aur uski aankhen chamak ne lagi
"Ek ache dost ko koun nahi kiss karega neha??"dhruv bola
"Tum mujhse pyaar karte the na dhruv??"neha boli
"Tha,karta tha neha,jaan se bhi zyada,lekin wo time,aur wo dhruv dono khatam ho chuka hai neha,ab jo hai wo dhruv singh hai CEO of R hotels and resorts "dhruv bola
"Wo meri nadani thi jo mai tumhara pyaar pehchan nahi paayi dhruv lekin ab..."
"Ab kuch nahi ho sakta neha,ek thukraye aur ek khooni ka daag lagne wale ladke ka haath thama ek aisi ladki ne jisne khud apna ghar choda,apne parivar tak ko chod diya,yahan tak ki.mere bhaiyya aur bhabhi ko ek kiya,uska Ehsaan zindagi bhar nahi utar sakta mai"dhruv bola
"Mai bhi tumse pyaar karne lagi hoon dhruv"neha rote hue boli
"To apne dil ko samjhao ki mujhe bhool jaye,dhruv sharon ka ho gaya hai neha"bol dhruv ne ghadi dekha aur uth gaya
"Jab bhi meri zaroorat ho mujhe bula lena,ek dost ki tarah paogi,isse zyada mujhe koi expectation nahi rakhna neha"bol uthkar dhruv chala gaya
Neha footfootkar rone lagi,dhruv badal gaya tha,uske dil me neha ke liye kuch bhi nahi tha
Raat ko sharon apne kamre me baithi hui ki dhruv a gaya
"Aise hi akele baithi hui ho??"dhruv ne poochha
"Usse tumhe kya??"roansa hokar sharon boli
"To isme rone ki kya baat hai,chalo bahar chalo khane par sab wait kar rahe hai"dhruv bola
Sharon ka mood bilkul bhi nahi tha,lekin wo aaj tanya ke ghar aane par koi hungama nahi karna chahti thi
Room ke bahar nikalte hi light chali gayi
"Arey ye kya hua??"sharon ne poochha
"Mera haath pakad lo"dhruv bola
Man to tha nahi lekin fir bhi dhruv ka haath pakad kar thodi door par aayi
Tabhi light aayi aur
HAPPY BIRTHDAY
ki awaz se poora kamra goonj utha nivedita,vishal, avinash,tanya,krish,dadaji sab muskura rahe the
Sharon ke aankhon me na chahte hue bhi aansoo behne lage
Sabne milkar sharon ka bday manaya.
Tabhi sharon ka phone bajne laga.jaise hi sharon ne phone uthaya
"You bitch,aaj tere wajah se dhruv ne mera pyaar thukra diya,apne aap ko samajhti kya hai tu,mai tujhe dekh loongi...."doosri aur se awaz aane lagi
Sharon ne phone kaatt diya
Usne jitna sunna tha sun liya
Dhruv sirf uska hai aur kisi ka hai aur kisi ka nahi.
Thoda unromantic hai,thoda practical hai
Use wo pyaar bhari line bolni nahi aati,pyaar jatana nahi aata
Apne aap ko express nahi kar pata
Lekin fir bhi dhruv sirf aur sirf usi ka hai.hoga koi bohut bada successful CEO lekin sharon ke liye to wo wahi dhruv hai jisse Lonavla me pyaar hua tha,jahan dono ne apne behtareen pal guzare
Achanak dhruv ko apni aur kheenchkar uske baal pakadkar apne honth uske honth par laga diya sharon ne
MUAAAAAAAAAAH
Sab muskurane lage aur chale gaye.ye un dono ka pal tha
Udhar sharon sab kuch bhool kar dhruv me khoti ja rahi thi,aur dhruv sharon ne sama raha tha