Bhupinder Singh
Active Member
- 1,989
- 4,966
- 158
Nice updateUPDATE 49
Preet apne pichle jaman ki kahani suna raha tha. waha bethi mugdha or Padma ne preet ke dono janam ko dekha tha. unko in sab baato me se bahut kuch pata tha per sab kuch nahi. Waki kisi ko ye sab nahi pata tha or jab unhone ye sab suna to aankhon se aashu baha rahe the or sabhi ke face gusse se tamtamaye huye the. Neha apne gusse ko control na kar payi to preet ke gilewan ko pakad kar jijhodte huye boli
Neha pure gusse se – maar kyu nahi diya tumne abhi tak sabhi ko??? Jab tumko sab pata hai to maar kyu nahi dete in sab ko ye sab insaan nahi hai. inko jeene ka koi hak nahi hai.. maar do sabko… tum in sabhi ko bardash bhi kese kar rahe ho??? yaha is ghar me tum raha kese rahe ho??? ye wo hi ghr hai na jaha ye sab hua tha?? tum itna shant kese bethe ho pankaj??? Bajuo me dum nahi raha kya?? Ya dar lagta hai?? tum per ye sabhi nahi maare ja rahe to aj main in sabhi ko maar dugi….
Neha ye bol kar waha se jane lagi. To preet ne usko pakad liya. Or kas kar usko gale laga liya. Neha gusse me usko marti rahi usse chutne ka prayas karti rahi per preet ne na to usko choda or na hi ek bhi shabd bola. Gussa uske andar bhi ubal raha tha. per wo apne gusse ko davaye betha tha.
Kuch der me jab neha shant hone lagi to preet apne gusse wali awaj me bola – nahi maar sakta main kisi ko bhi.. meri maa kisi ko bhi marna nahi chahati.. wo to inko wo saja dena chahati hai jo inhone khud chuni hai. uska shraap hi inki saaza hai… neha inko marna to inko mukt kar dene ke barabar hoga. Mere hatho marke ye shraap se bhi mukt ho jayege. Maa ne sab kuch mere hawale choda hai or mujko is sabhi ko wo dard hal pal dena hai jo aj tak ye sabhi ko dete aaye hai.. kisi ko nahi choda jayega.. saza sabhi ko milegi….
Preet ki awaj bahut jyada gusse se bharrane lagi thi. uska dil aj fir ek baar khoon ke aashu ro raha tha. per face per ek bhi aashu nahi tha. usne pure dard or gusse ko apne andar hi daba liya tha. neha ko preet ka dard mehsus hua to usne usko apne gale laga liya or boli – thik kehte ho tum, is sab ko wo hi saza milni chahiye jo choti maa ne inke liye chuni thi. (neha ne meera ji ko choti maa bola per kisi ka dhyan is taraf nahi gaya)
Abhi neha ya preet kuch bolte usse pehle hi avanita ne preet ke pairo ko pakad liya – mujko maaf kar do.. mene apko galat samja.. maaf kar do mujko.. mere maa baap, ghar wale to apne kehne ke layak bhi nahi hai.. sharam aa rahi hai ab mujko jo main apse itne ghatiya logo ke liye laad rahi thi…
Avanita ko dekh kar baki behane bhi preet se maafi magne lagi to preet ne sabhi ko apne gale laga kar maaf kar diya.
Aditi – maharaj ab hum sab apke sath hai.. inko saza dene me hum sabhi apka pura sath dege.. apko inko batana hoga ki darindgi kya hoti hai.. jitna inhone kiya hai inko usse jyada milna chahiye. Apko keval apni maa ka hi nahi balki har us masum daas daasi ka badla inhose lena hai jo in logo ke hatho barbad ho chuke hai…
Preet – nahi aditi tum sab mera sath nahi dogi.. tum sab is sabhi baato se dur raho.. main tum sabko isme samil nahi karna chahata hu. Main chahta hu ki tum sab baki ki aam ladkiyo ki tarha kisi ke sath apna ghar bashao.. tum sabhi ko ek sukhi jeevan dena mera farj hai. tum sabhi ne koi gunha nahi kiya hai to tumko main isme samil nahi kar sakta..
Nidhi – nahi maharaj apke chahane se kuch nahi ho sakta. Hum sab to bahut pehle hi isme shamil ho chuke hai. or yadi nahi hote to us shraap ka ashar hamare jeevan per na hota. Hum itne ghatiya insaano ke bachche hai ye hi bahut hai isme shamil hone ke liye…
Preet – nahi main tum sabhi ke jeevan ko barbaad nahi kar sakta..
Nina – yani apne avanita didi or neha ka jeevan barbad kar diya hai… kya wo khus nahi hai apke sath??
Preet – nina avanita se mene shadi ki hai wo meri patni hai. main chahata hu tum bhi kisi ke sath ghar basha lo. Unki patni ban kar khushi khushi jeevan bitao..
Nina – kisi ki patni banna kya jaruri hai?? kya ap humko khush nahi rakhege?? Keval patni shabd ke liye apke pyar or apne pan ko chod kar hum kahi nahi jane wale hai. duniya humko apki rakhel bolegi na.. manjur hai.. aese maa baap ki beti kehlane se achcha to apki rakhel kehlana hai..
Preet nina ko dekhta hi raha gaya. To avanita boli – ye sab kahi nahi jane wali hai inhone bhi apko hi chaha hai. ap hi ho jiska intjaar kiya hai. ap hi ho jisne humko suna hai samja hai…
Preet kuch der soch kar bola – to thik hai tum sab se bhi shadi karke patni ka darja duga.. per mere dil me jo jagha neha ki hai wo kisi ko nahi mil payegi..
Nina – humko keval apka sath dena hai in sabhi jalimo ko saza dene me..chahe fir ap shadi kare ya duniya humko rakhel bole ya fir uske liye kuch bhi kyu na karna pade. Is sab ke karan hi hamne apna bachpan kho diya. Galti in sabhi ne kari or hum sab duniya ke liye dayan ban gayi…. Hisab to hoga.. sabhi se hoga..
Mugdha – maharaj hum sabhi bahut tadafe hai.. akelapan kya hota hai koi humse puche.. us ghatna ke baad maa baap se nafrat ho gayi. Bhai or kashaiyo me farak khatam ho gaya.. duniya ne dayan ka tagma de diya.. or apne to insaan hi nahi the to hum dono behno ne khud ko room me band kar liya… ab ap aye hai tab se humko lagne laga hai ki hum bhi jinda hai.. hum bhi insaan hai… ( ye bolte huye uski aakhne nam ho jati hai)
Ye sabhi log ek ke karke apne dukh dard batane lagte hai preet bhi apne bachpan se aj tak ka safar batata hai. aj ye sabhi ek dusre ke sabhi raj jante the. Ek dusre ke har dard ko samajte the. Fir aditi ne apni kuch harkato ne sabhi ke face per smile la di thi. jab sabhi thoda normal ho gaye to nidhi boli
Nidhi – maharaj sugandha or pushpa bua dadi ka kya hua?? Wo kaha hai ab??
Mugdha – meera dadi ke marne ke thodi der baad hi wo dono bhagti huyi aayi thi. or jab unhone pankaj or meera dadi ki lasho ko jate dekha to wo unnat ke pass pahuchi.. Tab unnat ne unko sab kuch bata diya or ye bhi ki ratnesh bhi maar chukka hai. pehle to wo dono wahi jamin per bethi roti rahi or fir ek dum se dono ne ek dusre ki aankhon me dekha or pass pade glass ke tukdo se apne gale ko ret liya or un dono ne bhi apni jingdi ko khatam kar liya unhone bhi atamhatya kar li thi..
Avanita – per bua wo dono us party wali raat thi kaha?? Wo kisi ko dikhi kyu nahi???
Mugdha – ye to nahi pata haan wo us din shyam se hi gayab thi…
Neha – wo gayab khud se nahi huyi thi.. unko 2nd floor per band kar diya tha taki wo apne pyar se na mil sake.. wo dono jan gayi thi ki unka pyar unse cheen liya gaya hai to unhone atma hatya kar li…
Avanita – yadi wo band thi to wo niche kese aa gayi maa ji ke marne ke baad??
Neha – unko band karne rama or naina gayi thi.. or wo dono hi inke upper pehra bhi de rahi thi . or fir jab unnat ke shabdo ne un ang rakshko (kamal team) ki atma ko janjhor diya or fir sabhi un dono lasho ko waha se le jane ki tayari karne lage tabhi manoj rama or naina ko lene pahucha or usne gate khol kar un dono ke pairo me beth kar bola – hume maaf kar dena humari wajha se apka sab kuch khatam ho chukka hai. Wo na jane kitna kuch or kehna chahata tha per itna hi bol kar rama or naina ko le kar nikal gaya. Un dono behno ko to samaj hi nahi aaya tha ki ye maafi kyu mang rahe hai. itne dukhi kyu hai.. unhone bataya bhi nahi tha ki wo unke pyar ko chin kar aa rahe hai.. bus maafi mangi or chale gaye. manoj kisi sadme me lag raha tha. Dono behno ka dil betha ja raha tha. to dono behan hi bhag kar niche aayi or jab unhone waha choti maa or pankaj ki lash ko dekh kar khud ko rok na payi un dono ne bhi khudkhushi kar li.
Preet (chokte hye) – neha tum ye sab kese janti ho.. ye to kisi ko pata nahi hai to tumko kese pata?? Tum maa ko choti maa kyu kaha rahi ho???
Neha (ek rahashmayi smile ke sath) – kyuki tum mere paglu ho or main tumhari pagli……..
Preet ye shabd sun kar chok jata hai usko kisi ki yaad aa jati hai… to preet neha ke hath pakad kar bola – neha saaf saaf bolo baat kya hai?? tum ye kyu kaha rahi ho?? ye shabd tumne kisse sune hai??
Baki sabhi ke kuch samaj nahi aaya tha per preet ke liye ye shabd bahut pyare the. Ye uski jaan ke shabd the….
Neha – tum abhi tak nahi samje?? Sach me tum paglu hi ho… .. dekho pankaj main bhi lot aayi hu tumhare sath hi.. tumhare liye…. .. .mene bhi dusra janam le liya… bhagwan ne hamko fir mila diya.. (ye sab wo preet ki aankhon me dekh kar bol rahi thi)
Preet ki aankhon me wo khushi ki chamak aa gayi thi jese usko sab kuch mil gaya ho wo bus neha ki aankhon me dekhta raha. Usne ishare se pucha ki kya ye sach hai to neha ne bhi haan me sir hila diya.. preet ne neha ko apni banho me bhar liya dono ek dusre ko feel karte rahe. Dono ke dil apas me baat karte rahe.. dono ke dilo ko wo sukun mil raha tha saalo ki tadaf aj khatam ho rahi thi…
Dono sab bhul chuke the sirf unko yaad tha to apna pyar or wo pyar unke dil ko rahat de raha tha. neha ki baato ko samajne ki kosis karti baki sabhi in dono me milan ko dekh rahi thi.. avanita ko jab samaj me aaya to uske face per ek badi smile chha gayi or uski aankhon se khushi ke aashu baha gaye..
Man hi man boli – sach hai sachche prem ke aage bhagwan ko bhi jhukna padta hai. pichle janam ne bichde premi aj fir mil gaye.. mujko to pehle hi lagta tha ki in dono ka pyar aaj ka nahi hai.. bachpan se hi neha behan ho kar bhi preet ke liye premika ke jesi tadfi hai. to preet bhi har din uski yaad me apne dil ko jalaya hai.. kismet ne kitni baar in dono ko juda kiya per aj ye mil hi gaye.. bhagwan tera khel nirala hai…
Jab avanita se na raha gaya to wo neha ki pith per hath rakh kar boli – ap sugandha ji ka dusra janam hai na.. jo apne pankaj ke liye is janam me bhi uski bahan uski premika ban kar aayi hai..
Neha – haan main sugandha hi hu.. jo apne pankaj ki hone ke liye fir se aa gayi…
Mugdha – ooohhh my god…. Sach main ap sugandha bua ho???
Neha (thoda has kar) – dekh le chuhiya , tu sach me hi meri bua ban gayi…
Mugdha or padma ke bhi aashu aa gaye or wo dono apni sugndha bua se ja chipki – ooooohhhh meri bua… tum aa gayi.. dekho na tumhari chuhiya tumhare bina kitni aakeli ho gayi thi.. ap hi to thi jinke sath mene apna pura bachpan bita diya… or fir apne sath kya choda jindgi hi rudh gayi hum behno se…
Neha – tu hi chahati thi na ki tu mere bua bane le dekh ab ban gayi hai fir bhi bachpan jese hi chi chi kar rahi hai.. itni badi ho gayi per tera ye chi chi karke rona band nahi hua na….
Ye teeno apne bachpan ko yaad karke khushi ke aashu baha rahi thi to preet apni jawani me khoyi premika ko fir se pa kar khush tha. to baki behane sabhi ko khush dekh kar khush thi.. jab in teeno ka bharatmilap pura hua to avanita boli (muskurate huye) – ab to ap shadi karegi na apne premi se?? ye apke liye bahut tadapte hai samne main hoti hu or yaad inko apni neha aa rahi hoti hai..
Neha – nahi didi main preet se abhi shadi nahi karugi..
Sabhi – kyu???
Neha – didi hamara milan jab hi hoga jab ye sabhi gunahgaaro ko saza de dege.. choti maa ka badla pura hone se pehle main inse milan nahi kar sakti apni maa ko tadapte huye chod kar main khushiya nahi mana sakti..
Preet – thik hai neha.. tum sahi kaha rahi ho. abhi to mujko wo karna hai jo ek patni apne pati ko kabhi na karne de.. ek bar badla pura ho jaye fir keval hum tum hoge…
Avanita – or main???
Preet avanita ko apne pass khich kar – tu bhi … tu to pehle se hi lugai ban gayi hai…
Nidhi – to kya ap humko chod dege??
Neha – hahaha nahi ye tumko chot hi nahi sakte… or main chodne bhi nahi dugi.. hum sabhi bbehne pyar se inke sath rahege…
Ye sabhi bahut der tak baate karte rahe or fir dinner ke liye niche chale gaye….