If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Hamesha se alag, ek behad hii khushnuma, subah ki shuruaat hoti h, Jisme seema apni dincharya anusar subah k sare kaam nipta chuki thi….
Vah khush thi…. Kal ke…..jo bhi wakiye the, unki wajah se use ek nayi ummid ……mili thi..
Raj jo kal saadi leke aaya tha, usne wahi pehni thi……. kahi na kahi vo v chahti thi ……raj use un kapdon me dekhe..
Khule baal, kajrari aankhe, maathe pe bindi…….. sundar sajila gora badan jispe laal rang ki saadi….. Qayamat
Vah aangan me kapde sookhne daal rahi thi….k raaj bhaisahab ka,, aagman ho jaata hai…..
hath-pair stretch krte huye, wah aa hii raha tha….. k uski najar seema par padti h…… uske kadam….jaha the…. wahi theher gaye ..
Suhavni subah me aisa najara…… kisi bhi dil ki ghantiya bajane ke liye kaafi tha…. Seema apne kaamo me mashroof…..
Wahi raj ki tivra kataksh najre….. uper se niche tak uske tan ka avlokan krne k pashchat.... kamar pe aake ruk gai….. tabhi andar se ruchi k rone ki awaj aati h …..
seema raj k bagal se hote huye andar jaati h…par raj k liye to jese fiazaon ne wakt ko....... rukaa diya tha..
Kuchh der baad wah apni chetna me wapis to aa gaya kintu ab v wahi manmohak drishya uske man mashtishk me bana hua tha…
wah jaldi se nahne chala gaya ….seema ruchi ko shant karne me lagi thi k.... meena waha aa jaati h ..
Uski nazre raaj ko dhundh rhi thi….lekin raj use kahi dikhai nahi deta…seema usse kuchh der yaha waha ki baatein krti h…uske bad meena chali gai
Uske jaate hii raj v wapis aa gaya ….wah taiyar ho raha tha …..tabhi seema uske paas aati h..
Wah chai liye....... aaj khadi thi, man me chahat thi kuchh der wah raaj ko dekhe …..raaj ka ye naya roop use v kaafi aakarshak lag raha tha
Raj:( lagta hai sb thik jaa raha h…..aaj chai rakhar bhagi nahi….. bss kuchh wakt aur ……fir main in lamhon ko aisa saakar roop dunga …. tumhe itna bharosa ho jayga…… jo pehle hua ….sb bhool jaogi)
Raj: nashta kya banaya h???
Jii wo pudiya nikal di h…. bas sabji banana baaki h
Raj: chalo aaj …..mai bana dunga tum jaake bittu ko taiyar karo…nashta krke bade ghar jana h…
B…bade ghar…?
Raj: isme itna ghabrane ki kya baat h??….. tumse jitna kaha h…. wo karo!!
(Seema chupchap ruchi ko taiyar karne chali gai…..)
Jese hii wah waapis aai raj ne aaloo gobhi matar ke sath 2-3 prakar ki sabjiya aur kaat rakkhi thi….. ab ye kya h…??
(Wah chupchaap wahi khadi thi….)
Raj: ruchi ke liye choklate laya tha??….use khilai ya nahi..??
(wah chahe kuchh bhi bole…. pichhli yaadon ka trauma aisa tha…..seema har bar jhenp jaati)
J..Jii wo..wo abhi bas biscuit khilai h….use baad ke liye rakh diya h
Raj: bacha k rakhne k liye.... thode na laya tha…..aur aa jayengi….. use jo bhi khane ka man ho, khila diya kro
Seema: jii…
(Raj sabji bana raha tha….aur seema use dekh rahi thi…. Khushbu to achhi aa rahi h …. Par ye bana kya rahe h)
Thodi der baad jb sb banke taiyar ho gaya..... to raaj ne nashta krna shuru kiya…....sath hii seema ko khilate huye… batao kaisa h
(Pichhli bar ki wajah se ….use bharosa tha ….jo bhi banaya hoga….. achha hii hoga…. Isiliye wah chupchap kha leti h..)
hmm…. Achha h
"Jab dono ka nashta ho gaya to amma k liye v pack karke …….tino nikal pade bade ghar kii or"
Raj aur seema dono ek sath dheere-dheere chal rhe the jabki ruchi…. Raste me yaha-waha daudte huye aage-aage chal rahi thi
Thodi der bad jb kaafila kallu ke ghar k baahar se gujra ….
Kallu kii maa: aur!!!….. kahan chali sawari?
Raj: bas kaaki, bade ghar jana tha ….socha aapke pas se hota chalu..
Kallu ki maa: achhaaa!! ....are bahu! Tu waha kyun khadi h? …….andar aa na…… meena..o meena.. zara chai leke aa!!!
Raj: nahi nahi kaki…
Aise kaise nahi…. Chupchap baith ke chai pee..... aur bahu aaj to.....tu kuchh jyada hi saji h
Seema sharma jaati h…. ji wo…w
Are!! kaki mene hii kaha tha, achhe se taiyar ho ja…..thoda ghum k aate h
(raj ka yun .....baat ko samhalna seema ko kaafi pasand aata h.... Sath hii inka ye bond kallu kii maa v dekh paa rahi thi)
Tabhi meena chai chada kar bahar aati h …… subah to nahi dekh pai thi lekin raj ab uske saamne hi baitha tha…
Raj usko dekhte hii …..aaj rambihari kaka jab lautenge to.....m unke sath thoda bahut saaman aur bhijwa dunga..
Meena: hmm… lekin gaon me to kisi ko pata hii nahi h ……hmne yaha par dukaan khol rakhi h..
Raj: koi baat nahi dheere- dheere pata lag jayga
( Bass…. ek banner taiyar karna padega……jydatar log to padhe-likhe h nahi.....isiliye saaman ki photo k sath-sath... usme uska price aur name bhi likha hoga)
Kaki dopeher me kallu ko rambihari kaka k yaha saman lene bhej dena…
Kallu ki maa: thik h beta….
"tab tak meena chai leke aa jati h.."
(Thodi der yaha-waha ki baatein karne k pashchat... raj aur seema fir se nikal pade ….bade ghar ki or)
Raj darwaja khatkhatata h….
Thodi der baad, amma darwaja kholti h …aur seema ko dekhte hi ise kyun laaya h.??
Aur tu…. Raat me kaha mar gai thi??…. khana kyun nahi bheja??….
Haaaye ram!!!…Bhookh se to meri atadiya hii chipak gai..
Raj:bass, ab bohot ho gaya, amma……. Bade bhai aur mere alawa ……. Tera koi beta, tujhe ghar me rakhne ko taiyaar …… nii h…..ek seema hii h ….. jo teri itni parvah karti h…... aage se use...kuchh v karne se pehle 10 bar soch lena…
Amma(dant peeste huye): raaju..
"Abhi itni v boodhi, nhi.....hui ho……. Hath paon achhe se chalte h….. aur abse tumhari faltu ki nautanki band...
. din m do baar hii khana aayega ghar se….
Agar fir se preshani paida ki to…..
Amma raj ke gal pe... hath ferte huye "beta!!! Ye tu bol raha h???"
Raj hath ko jhatakte huye… dekh!! amma jb tak seema khush h, main khush hu….. agar tum nahi chahti ki m kuchh bura karu ….to thik se rhna sikh lo..
Samajh gai beta samajh gai…. iss dayan tujhe vash m kar liya h...
Raj: bohot se logo ko dhor bachheru charane ki fursat nahi milti ….. tum khali baithi rhti ho….. mai soch rha tha…
Amma: Nahi! Beta nahi!…… Mai kaha budhiya..... unke pichhe laathi leke daudti rhungi …. Mujhe aise hii chhod de..
Raj: 50 ki umar me, thode koi budha hota h ….
"Apni Bahu k pichhe latth leke daudne me tumhe aisi…..maut to nahi aati…."
Amma: nahi… mai nahi jaa rahi kisi k dhor charane… tu mujhe kheton m hi koi kaam de de….
Raj: thik h to shanti se pade rho ….. kallu waha sb samhal lega ….. jb jaroorat hogi …..tumhe bula lenga…
Chalo seema….
Raj fir seema k sath chabutre tak aata h……. “Batao bittu tumhe kya chahiye…”
Wo ruchi ke galo ko.... khinchte huye puchhta h…..par wo najre ferkar seema se chipak jaati h…
Raaj: thik h….ab tum ghar jao bus aa rahi h….. aur khabardar amma ko khana dene gai to…
Seema:jii
Raaj bus pakad ke nikal padta h …..baaki k sat hajar ka jugaad krne …
~~~
Shehar pahuchkar factory jaane se pehele wah tailor ke paas jaata h….. kapde ready ho chuke the..
Raaj…kapde pehnne k baad…. Hmmmm… badhiya kaam kiya h… (tailor uske kapde dekhkar.........lag to badhiya rahe h, lekin aisa pant kon pehnta h..)
Raj: chacha aise hii 4 jodi aur silwana h…. Kb tak sil doge..
Ek hafte baad mil jynge …..lekin pese??
"raj: hnn pese time pe mil jynge"
Tailor: fir to har dusre din aake ek-ek jodi lete jaana….
Raaj thik kehte huye ….. kapdo kii payment krne k sath …..kuchh advance jama krke nikal jaata h …..
~~~~
Raaj sara din yaha se waha bhatakta rha usne bohot sare kaam kiye ….. chahe wo kisi nai building k architecture, kaa idea ho….. nirajan das ki factory me instruction manual lagana ho ya chandrashekhar ki factory me ventilation kii jaanch… usne din bhar bhaga daudi kii…. Saabun ki factory m, ‘packing se lekar uski akarshak branding aur fragrance’ sambandhi ideas diye….. restaurent me jakar unke pricing system se lekar grahko ko di jaane wali sahuliyato ke baare m samjhaya iss dauran wah kahi bhi apni qualification na bata k ….. do jaghon se prapt advisor permit ka use krta….
~~~~
Wahi gaon me rambihari kaka ke ghar…. “kallu”
kaka!!!, raju ne kuchh bhijwaya h kya??
Hnn beta wo rahi bori…
Kallu: thik h kaka mai chalta hu….
(Raj ne..... aaj v bohot sara saman kharida tha…… aur jb kaka factory m maal utarne aaye …….to usne ye kehtey huye unse bori le jaane ko kaha…… ’dopahar m kallu aake….. ise le jayga’)
Kallu jo khet se lautkar seedha kaka k ghar….saman lene gaya tha….. bori uthakar apne ghar pahuch jaata h
Ghar me meena aur uski maa….. uski khatirdari m lag jaati h…. aakhir itna kaam krke jo aaya tha
Fir tino k bich khet se lekar dukaan, aur dukaan se lekar samaan ……”jo bori m aaya tha”………uske baare m charcha hoti h…
Unke ghar me….. iss tarah kii khushiya aaye, abhi kuchh hii din huye the…. Jiske pichhe ka karan raj tha...
Raj se mile kuchh pese kallu ne pehle hii meena ko de diye the taaki…… dukaan m ……chhutte paison ki koi dikkat na aaye..
Pehle bohot kaam krne k baad bhi kallu ko aksar……. mehnatana k roop m anaaj hii mila karta tha
Lekin ab naa sirf use raaj se pese mile, balki …..paise kaamne ka jariya…. dukaan v mili
Kallu lete-lete inhi sb ke baare m soch raha tha…k.…isi bich use halki nind aa gayi..
Thodi der baad meena ne use uthaya aur chai di…… chai pine ke baad kallu fir se khet or nikal gaya..
~~~
Wahi seema ghar m khush thi….. uska man kar raha tha, amma ko khana dene jane ka ….. lekin usne ant m raaj kii baat ko mana….
Wo nahi chahti thi….. iss nayi shuruwat m uski taraf se koi gadbadi ho….. “ek aisa jivan jiski usne kalpana tk nahi kii thi’
Salon ke mansik aur sharirik torture ke traume se wah bahar aa rhi thi…
Apni beti ki khushi ke sath-sath, wah khud k vyavhar me aaye badlavon k baare m sochti h…
Bhale hii ruchi, raj k pas jaane se abhi bhi darti h, lekin………usne raj ki aankhon m un dono k liye fikra aur pyar ko dekha h…
Khair, baagwani karne k baad…..aaj wah kaafi achha mehsoos kr rahi thi… sabjiyon ke sath usne kinaro par phool bhi ropit kiye the….
Darti to wo ab bhi thi lekin …… aaj wah raaj ke intezaar me thi….. kab wo aayen …..aur kab me unhe aaj k apne kaam k baare m bataun…
~~~
Din bhar m raaj ne karib 800 rupay jod liye the….. sham k 4 bajne wale the …..tabhi use aawaj aati h ….
Rajbhuwann!!!
Raj: jii aap kaun…??
"70s me popular mahindra cj series ki open jeep uske saamne khadi hui thi" …..
Raj: ab ye kaun h….. (use lag raha tha, honge kisi factory ke malik ….. jaroor koi kaam nikalwane aaye honge)
Raj: kaun ho tum log ….. aur m tumhara koi jija vija nhi hu…
Ranmat: ye, dharlo re isko..
Fir thakur ke aadmi aakar raj ko gher lete h unke paas bandooke thi isiliye raaj ki himmat nahi hoti …..k ……wo jara bhi virodh kare…
Use lag raha tha, jese dakuon ne use bandi bana liya ho ……
fir gaadi chal padi thakur k gao …..”jhirmila”
Aadmi 1: kyu be jija …..didi ko chhodkar bhagne ki teri himmat v kaise hui..??
Raj: main tumhari kisi v didi ko nahi janta…...k... chatak!!! ….ek thapad aake seedhe raj k gaal pe padta h
(Raj shant najre nichi karke… ab ye kya balaa h…bhagwan! adventure???”….. na use rote aa raha tha na hnste….. ab jo bhi hoga manjil par pahuchke hii pata chalega..... tab tak usne …..chup rhne m hii bhalai smjhi)
Aadmi 2: wese jija mana hamari didi khatarnak h ……lekin ab to shadi ho gai na…. to Bhaga kyun??
Raj ….kuchh nahi bolta..
Ranmat: are kya hua jija ….jor se lagi kya??….. ye suno re ab se koi jija pe hath nahi uthayega…aur fir se sabhi hansne lage
Raj kaa mood pehle hii niranjan kii factory me prabhari ne kharab kar diya tha …. Uper se inn sabka hansna..
[Factory me: prabhari ~ oho!! ab to sahab boriyan nahi uthaynge …… bina pagar ke karamchari jo ban gaye h…. …… ispar sabhi waha k kam karne wale hansne lage
Jb prabhari ne raj kii taraf dekha to uske chehre pr gussa tha…. tujhe kya lagta h …..naye kapde pehen k tu koi top ban gaya h…. ‘bin pagar ka majdoor’ sala!!!
raj: bina pagar ke hii sahi….. lekin…….. tune agar muh band nahi kiya to abhi accounts check karunga aur tere sare golmal jb seth ko pata chalenge...tb …..tujhe pata lag jayga ..,…ye bin pagar ka majdoor kya kar sakta h..
dono or khamoshi chha gai iske aage….. na raj ne kuchh bola ….na hii prabhari n….. aur raj apna kaam shanti se karke chala gaya]
Ranmat: are jija kuchh to bol….??
Raj:
Ranmat: thik h mat bol….. jab jiji tujhe chhilengi tab dekhta hu…. kaise nahi bolta
Raj: ye sb kya behanchod!!!….. kahi raaju ka koi aur kaand to nahi …. are nii nii ….. aisa kuchh nii h…. seema se shadi huye 6 mahine ho gaye ….. kahi iss bich raju ne…..
Sir jhatakte huye…. Agar ….kuchh hua v hota….. to mujhe yaad hota…
(Tabhi gaadi ek badi c haweli k aage jaake rook jaati h…)
Do aadmi raj ko pakadkar andar le jaate h…
Ranmat: didi!! didi!! dekho kaun aaya h???
Tabhi ek ladki bahar aati h… kaun h???
Jyoti: umra, 22 sal (Ranmat ki chacheri behen)
Jese hii uski najar raj par padi use gussa aa gaya…
Lagbhag 1 mahine pehle: ek din raju apne juari doston ke sath gaon se bahar (doosre gaon) nachaniyon ka nach dekhne gaya tha…. Raat ke 10 baj rahe honge …. ye log thak harkar……. ek khet me pade the……… tabhi ek gaadi aati h aur raju ko uthake le jaati h…
Aadmi : Ye Ladke;;; tera name kya h??
Ra.. Rajbhuwann…
Aadmi: Shaadi ho gai…??
""Dar k mare raju k muh se ‘nahi’ nikal gaya fir kya tha,,, unhone kam umra ka jaan k hi…… use uthaya tha""
ye to wakai kuwanra nikla jankar use ranmat singh ke pass le gaye..
Ranmat singh : raju ki chhhati m bandook rakhte huye….
“Sun chhore, aaj yaha…… tera byah hoga …..aur agar tune jyda chu-chapad karne kii koshish ki……. to”…… (hawa me fire) ….samjh gaye na
Raju: j..jii sarkar
Aur fir raju ki shadi …thakur ki behen jyoti se ho jaati h..
(Jab tak ranmat ke maa baap jinda the…..... Haweli me jyoti ka hukum chalta tha ….. lekin uske maa baap k jaate hii ranmat sara control apne hath me lena chahta tha……isiliye
na jaane kitne baar jyoti ki shadi tay hui lekin har baar ladke ki taraf se dar k mare mana kar diya jata…. Iss bar jo dulha tha use bhi jab jyoti ke rawaiye ka pata chala ....to wo bich m hii shadi se gayab ho gaya….
Ab ranmat to than hii chuka tha.... jyoti ko ghar se bhagana h…. Isiliye usne raju ko uthwa liya
Shadi ho jaane k baad raju ko ek kamre m rakha gaya…. lekin uski itni fat chuki thi….. wo fati me bhi kaise karke waha se bhag nikla)
Inke pass shadi ki photo aur raju ke naam “Rajbhuwann” k alawa………. uski koi aur pehchan maujood nahi thi…. Lagbhag 20 dino se ye......alag alag gaon me jaakar uski talaash kar rhe the..
Aisa nahi tha…… kii koi tola nahi tak pahucha ….. lekin photo m raju ko taiyar kiya gaya tha….. sath hii wo use thakuraine ka pati….. keh keh kar poonchh rhe the… aur gaon m logo ko pata tha raju kii shadi seema se ho chuki h…. Isiliye wo use dhoodh nahi paye
Back to present:
Jyoti ne jese hii raj ko dekha… use gussa aa gaya..
Kisne kiya ye??
Raj ne ek aadmi ki taraf dekha …… to jyoti ne ranmat se donali chhin ke uski chhati me laga di!!
Jine se man bhar gaya kya tera??
wo aadmi to uske pairo me hi gir pada… maaf kardo thakurine ….. hamkha maaf kari do….ham baal bachcha wala aadmi hu..
Jyoti: chal uth….. aur nikal ja yaha se isse pehle mera man badle…
wo aadmi to darke bhag gaya….
Wahi Jyoti ….raj ke charm ki wajah se thoda samvedanshil ho gai..
chaliye andar…
Raj ko kuchh galat hone ki aashanka thi isiliye wah
pehle hii bol pada….. mujhe kahi nahi jaana, mujhe jaane do
Jyoti raaj ko ghoorte huye
” andar chaliye”
Rajj kii fat rahi thi…
Jese hi wah andar gaya….. “dekhiye m wo nahi hu jo aap samajh rahe ho....
Tabhi ranmat uski or…… jyoti aur uski ki shadi kii photo fenkte huye…. Fir ye kya h ???
Raj photo ko gaur se dekhta h…..”black and white photo” …… usme bhi gale par waisa hii ‘til ka nishan’ …….maujood tha,,,,, jo same uske gale m tha
Raj(man me): lag gaye lode!!
Ranmat: kyu jija ud gaye na tote….tujhe kya laga…… ye huliya badalwa k mere samne aayega…. to m nahi......pehchan paunga….
Tabhi jyoti chai leke aa jaati h….. ab raj kya hii karta kanpte hatho se…. chai ka cup pakadta h..
(chai peete peete….Photo me to……m hii hu….. aur abhi to photoshop bhi nahi tha bc….matlab shadi to sach h….… Par….uper dekhte huye
Kyu …kyun….kyun??? bhagwan !!!Aaj hii to seema…. khush lag rahi thi…. Aur ye shadi huye abhi mahina bhi nahi hua ……. isko to yaad dila dete ..)
Tabhi ranmat…
To jija kya karte ho……??
Raj
m.m…majdoori
(Lekin aaj hii usne aise kapde pehne the...... jo uski baato se zara bhi mel nahi kar rahe the)
Ranmat:Kitni zameen h tumhare pass
Jii..Ek bhi nahi h
Ranmat hansne laga…..
Are jija tu bhi badi tedi kheer kheer h….. aur uska permit aur pasbook dikhate huye…. ye kya h..fir???
(Ab raj kya hii bole….. jab usko dhara gaya tha, tabhi thakur ne uska thaila le liya tha)
Jyoti raj k hath se…… wo document lekar dekhti h…
To Aap kaha tak padhe ho?
(… Agar isko sath lekar gaya to, seema….n…nn.nahi)
Are bawlipuchh….didi kuchh puchh rahi h
Jyoti(chillakar): ….ranmat!!
Ranmat: are didi m to ……"jyoti"…. chup bilkul chup ….
Bataiye na kaha tak padhai ki h??
Raj: jii m anpadh hu……. Ranmat: are! jija tu aise nhi manega!!
Isse pehle ki wo kuchh krta
Jyoti: tu chup beth chhote…..
Aur fir se raj ki taraf kagaj dikhate huye…. To fir ye sb kya h??
Raj: w..wo maine khud se padhai ki h..
Ranmat taali bajate huye kuchh bolne hii wala tha k .....jyoti ne use ghoor kar dekha…..to wah chup rh gaya
Jyoti: thik h ab se aap yahi rahoge…… yahi hamara ghar hoga
Thakur k hath kas gye…..wo kuchh bolne hii wala tha k raj hii bol pada…
meri shadi pehle hii ho chuki h….aur m iss shadi ko nahi manta…. Waise bhi do-do shadi karna kanoon k khilaf h…
“Aur yaha…. yaha to m bilkul nahi rahunga”
Ranmat: kya baat h jija!! Kya baat kahi h…… lekin yaha hamara kanoon chalta h… aur meri jiji se tumne shadi ki h
"bata marna pasand karega…… ya meri didi ko"
Raj: meri beti bhi h…. m unke bina kaise rahunga…??
Jyoti: ham sabko yahi bula lenge….
Raj: nahi, bilkul nahi…
“Hnn jiji ....agar ham aisa karenge to biradri m hmari kya ijjat reh jaygi…… aap jija k sath hii chale jao”
Raj: nahi bilkul nahi m….. inhe lekar kahi nahi jaunga…. Ye kaha mehlo m rhne wali …… mere pass to dhang ka ghar bhi nahi h…!!
Ranmat:(mai to kb se inhe maza chakhana chahta tha…. Bachpan se mujhe gadha smjh rakkha h…..ab jao….. jiji lo zindagi k maze)
Nahi jijaji….. didi bilkul waisi nahi h aap jis hal me rakkho ge ye reh lengi??
Jyoti ranmat ko ghoorte huye…. Tu Ye kya bakwaas kar rha h??
Ranmat: are! Jiji jija k pas do-do Factory me kaam h ….. aap ek bar unke ghar jaake to dekho…. (Aur Fir yaha wapis… kabhi mat aana)
Jyoti: tumne inki passbook nahi dekhi?? ….usme sirf 200rs h
Ranmat: thik h didi fir aap hii bata do aapko kitne paise dahej m chahiye…??
(Jyoti jo ab tk kaafi-sawal jawab kar chuki thi….. use raj ka nature ….. bahut pasand aaya….. sath hii use pata tha ….ranmat ab use haweli se bahar nikalna chahta h…….
….darasal ranmat ne apne mata pita k jaate hii dhadha-dhadh rishte dhundhne shuru kar diye the…..
Agar wo jald hii yaha se nahi gai to …….wo jaroor hii koi galat tarika apnayega……. bhale hii uski shadi uss ladke se nahi hui jisse hone wali thi ……. par wo iss rishte ko v samman dena chahti thi)
Jyoti: agar aap mujhe yaha se lekar nahi gaye to aap bhi yaha se kahi nahi jaa paoge…
(Raj ko to ab har ek baat dhamki lag rahi thi…… sath hii use ghar ka khyal aata h…sham dhal chuki h… seema ghar pe akeli hogi…. kya karu??)
Ranmat: itna mat socho agar yaha se bahar nikalna h to.... jiji ko sath leke hii jana hoga..
(Aisi haalat m raj ko kuchh samjh nahi aata…. itni der se usse sawal jawab jo ho rhe the….. fir bhi wo dhyan se iss bare m sochta h…. Kaand to ho hi chuka h…aur isne mere ghar ka pata bhi padh liya h…. Bhag nikal k bhi koi fayada nahi hone wala……..jyoti ki taraf dekhte huye…. meri wajah se iski jindagi barbaad hoegi…wo alag)
Raj: thik h, mai tumhe apne sath lekar jaunga…
Wahi ghar par….
Dopahar ko khana na milne se naraj budhiya …..seema k pass pahuchkar…. maar peet karne lagti h…..tu besharam kaisi bahu h… apni saas ko bhukha marne pe tuli hui h..
Tu aur teri ye manhoos beti …..sb jaanti hu m …..kala jaadu karne lagi h na…. ek baat dhyan se apni khopdi me baitha le….. agar kal se mujhe khana nahi bhijwaya .....to na tujhe chain se jeene dungi .....na teri iss beti ko..
Tabhi kallu waha aa gaya …… aur aate hi budhiya par barasne laga …. Amma chupchap yaha se chale jao, ye mat samajhna kii raju yaha nahi h to tum kuchh bhi kar sakti ho!!
Amma: are! tu h kon…….. kheton m kaam karne wala mamooli majdoor
Amma kallu ko mar to nahi sakti thi…. lekin beijjat bahut karti h… aur fir wapis ghar chali jaati h..
Kallu raj k yaha aane tak rukna chahta tha lekin seema use jabardasti ghar bhej deti h…
~~~
Ant m raj ka nirnay yahi tha …… wo jyoti ko ghar leke jyega… use bas waha baat ko samhalna tha…. Yaha to deewar m sir patak k koi fyda tha nahi..
Thodi der baad jyoti sara saman leke aa gai usne aaj yahi rukne k liya kaha tha lekin raj ne v.... jaane kii jid pakad li (use seema aur ruchi ki fikra thi)
Ranmat: ye bholu didi ko ghar chhodke aa…..
Raj: uski koi jarurat nahi h…. Ham bus se chale jayenge
(Wese hii uska mood kharab tha aur unhe gao le jakar..... wo bakheda khada nahi karna chahta tha)
Ranmat: thik h…. Bholu inhe bus adde tak chhod de..
Bus me raj aur jyoti dono baith k gaye…..poore raste dono m koi baat nahi hui…
(Wahi ranmat khush tha use jyda zor nahi lagana pada….. use pata tha uske maa-baap k pas jo aadhe se jyada sampatti thi …..wo jyoti ke pita ki hii den h)
Tola utarte hii…. Raj bag tange jyoti k sath sath chal raha tha…
.
.
.
ab Jyoti naam k toofan se raj ki zindagi m kya badlaw aane wala h??