AaRYaN8380
Kaal
- 1,204
- 3,128
- 143
Sahi hai. Mai bhi inko yahi kaheraha hu ki bhai jab bhedi ghar me hai to satark rahe na ki befikar. Aisa hoga to koi asani se koi bhi mar sakta hai. Yahi bat mai inse kar raha hu ki vilen ko khatarnak dikane ke chakar me hero ko hi bewkuf dikha rahe hai.Ghar mein bhedi hone ke baad bhi kayi jagah befikri dikhayi hai karan ne uspe bola hai maine. Jaisa ki apni behno ko kisiko kuch bhi batane se mana nahi kiya. Jiske chalte nageshwar ki souteli bahen ko harr baat pata hai.
Example ke liye ap dekho ki karan ko pata hai. Ghar me do bhedi hai. Ek use marna chahata hai. Aur ek bachana. Fir bhi usane gharvalo ko bachane ke alag alag jagah bhejne ka plan banaya taki nageshwar unko kidnap kar na sake ye bat nageshwar ko pata na chale ye ho nahi Sakta. Mai guess karu to age ke story me karan ko banda jayenga fir karan ke samane uski koi favorite
character tocher karenga fir karan ko gussa ayenga fir karan sabko marenga fir karan vs nageshwar khatam ho jayenga Par is aisi situation me nageshwar vs karan hoga to kaisa maja ayenga. Bhai first part me karan ke sath aisehi situation aithi Par Hume lag rahatha ki karan apne dimag se sabko bachalega par is part me jab use pata hai ki ghar me bhedi hai. Fir bhi wo nageshwar se pata karne nikala hai ghar ke bhedi ka. Kya logic hai bhai.
Bhai ap ye kahete ho ki story cchodne ke bad bhi q pad rahe ho to. Bhai mujhe story nahi character khich Lata hai. Mujhe character satisfy nahi kar raha hai to mai bolunga hi. Har bar bolunga ap mana karo ya na karo.