Abrar uddin khan ko ghar k sabhi bachche aur bahuein abbu ji bulaate aur bahar k log Nawab Sahab bulaate.
Kahani ki shuruwat yaha se shuru hoti hai .
Nawab abrar uddin khan 22 saal ki umr k the tab unke Abba Nawab shams Uddin Khan apni akhri saansein bistar par le rahe the . Unhone apne bade bete Abrar uddin khan , manjle bete Sarfaraz uddin khan aur chote bete qutub uddin khan ko apne kamre mein bulwaya ...
Nawab shamsi : darwaza lagaa do.
Ji Abba huzur
Teeno beto ne kahaa ..
Darwaza band hogaya..
Nawab shamsi : jaisa tumlog jaante ho main ab shayad Chand din ka mehmaan hoon to isse pehle k meri maut k baad jayedaad ko lekar tumlog mein apas mein jhagda ho aur tum ek dusre k khoon k pyaase hojao . Main kuch faisla karna chahta hoon.
Ji Abba huzur farmaaye aap jo kahenge bas wohi hoga . ..
Nawab Shamsi : agar dekha jaaye to mere baad mera waris aur nawab mera bada beta hoga. Par main tum teeno k saath insaaf karna chahta hoon. .
Uska Faisla bas ek cheez se kiya jaa sakta hai.
Jaisa hamare khandaan ki parampara hai ek nawab ko chunne k liye teen cheezo par Fateh ( victory ) hasil karni hogi
Ek jar
Dusra joru
Teesra jameen
To in teeno ko jo sabse pehle meri hasil kar lega wo meri gaddi ka haqdaar ban jaayega yani wo Nawab Shamsi II ban jaayega .
Jar aur jameen hasil karne k liye.
Kushti dangal
Ghodsawari ( horse riding )
Talwar bazi hogi ( sword fighting)
Aur joru hasil karna ek mard ko nahi sikhaaya jaata wo paida hi isi kaam k liye hota hai..
Kushti - sheher k teen naamwar pehelwan tum teeno se ladengey
Ghodsawari - teeno ka ek saath muqabla hoga
Talwar bazi teen behtreen talwar baaz tumse ladengey
Aur ye teen shart jeetne k baad joru jo pehle hasil karega wo mera waris ban jaayega..
Aur is dauran agar meri maut hojati hai tab iska faisla
Qazi ( judge) hamari badi begum Surayya Sultana karegi .
Manzoor hai ???..
Teeno bhaiyo ne haan kahaa .
Aur bahar nikal gaye.
Teeno bhai apaas mein Abba huzur ko maut k bistar par bhi entertainment chahiye .
Dono chote bhaiyo ne kaha.
Aap to aise hi kahenge aap chahte hai k bina kisi mehnat k aapko waris banaa de.
Abrar uddin khan - arey tumlog abhi se ladne Lage. Abba huzur ne bilkul sahi kiya ye imtehaan (exam) rakh kar
Warna tumlog to mera qatl hi kardete abba k Marne k baad .
.
Agle 15 din exam ki tayyari mein teeno bhaiyo ne jee tod mehnat ki.