- 429
- 518
- 109
Waiting for next update Bro???
waiting
thanks brothers update kuch hi der me.
Waiting for next update Bro???
waiting
good updateUpdate 25
Jawad ko jaise hi pata chalta hai ke do factoryon ko kisi ne bomb se uda diya hai toh who sabse pahle meer ko call kar ke iski khabar dedeta hai jise sunkar meer aag bagola hojata hai aur uss inspector ko call laga deta hai.
Meer in call :
Meer : madar***d kaha ga*d mara raha hai.
Inspector meer ko itne gusse me dekh kar dar jata hai.
Inspector : ( darte hue ) k…y….a h…ua hai sir aap itne gusse me kyun hai.
Meer : ( gusse se ) mai gusse me kyun hoon ye bhi mujhe hi batana padega kya. Tujhe kya sirf aram karne ke liye paise deta hoon. Tujhe ye bhi nahi maloom ke shaher me kya horaha hai ruk tu mujhe ek baar mil sale tere bheje me tere hi revolver ki 6 ki 6 goliya dalonga phir puchunga ke kya hua.
Meer ko itne gusse me dekh kar toh inspector ke pran hi sook jate hai use ab kya bole samhaj hi nahi araha tha.
Meer : ab kya hua bolta kyun nahi jaldi se meri xyz ki factory ke paas pohanch agar mere ane se pahle tu waha nahi raha toh tere purey khandan ko jaan se mardalonga.
Ye kah kar meer call cut kardeta hai.
Use samhaj nahi araha tha ke kon hosakta hai jisne ye kaam kiya hai. uski do factoryon ko bomb se udane ka matlab hai ke usne mujhse khuli dushmani mol li hai. meer sonch hi raha tha ke uska phone bajta hai toh meer call receive karta hai.
Meer : hello sir.
Unknown : meer kya mai jo sunraha hoon woh sach hai?
Meer : ji haan sach hai kisi ne meri do factory ko bomb se uda diya hai.
Unknown : kisne kiya kuch pata chala.
Meer : abhi kuch bhi pata nahi chala abhi toh bas yahi pata chala hai ke meri do factory ko bomb se uda diya hai. chodunga nahi jisne bhi ye kaam kiya hai. use woh maut dunga ke use apne paida hone per gham hoga.
Meer gusse me kahta hai toh samne wala kahta hai.
Unknown : meer gusse me kuch ulta seedha math kardena jisko hum sudhar ne sake mai dekhta honk is ne kiya hai pata lagata hoon. Tum bas shanth raho baqi sab mai dekh longa.
Meer : meri do factory ko kisi ne bomb se uda diya hai, mera coreron ka maal jalkar khak hogaya hai aur aap kah rahe hai ke mai chup rahun. Mujhe ke wajha bataiye ke mai chup kyun rahon.
Unknown : dekho meer mujhe pata hai ke tumko iss waqt bohat gussa araha hoga magar gusse me tum apna aur mera dono ka nuksan karoge. Ye math bhulo ke usne tumhare khilaf khadam uthaya hai toh woh koi mamuli toh nahi hoga. Isi liye thoda shant raho aur ye kaam mujhe karne do jisne bhi ye kaam kiya hai mai usko tumhare samne lekar aonga uske baad tum jo chahe uske sath karo. Magar iss waqt khamosh raho kuch bhi ulta seeha math karo.
Meer uski baat sunkar gusse se phone cut kardeta hai aur jawad ko call lagata hai jo iss waqt xyz factory ke paas pohcha tha.
Meer : kiya hua jawad ye kuch pata chala kisne kiya hai ye?
Jawad : nahi bhai abhi kuch pata nahi chala. Factory me kaam karne wale kuch duri per behoshi ke alam me mile hai agar unse kuch pata chala toh mai aap ko khabar karta hoon.
Meer : thik hai mujhe kisi bhi haal me unki jankari chahiye warna mai tumko bhi nahi chodunga. Jab maine tumhe waha ki zimmedari di thi toh tum kaha jhak marne gaye they. Agar woh log nahi milena toh tumhe mere gusse se koi bhi nahi bacha sakta. Aur haan woh kutta ( inspector ) wahan pohcha ya nahi?
Jawad meer ki baton ko sunkar dar jata hai.
Jawad : ( darte hue ) j…I bhai woh yaha per agaya hai aur maine use pahle hi boldiya hai ke apne use ye kaam jaldi se jadli karne ko kaha hai warna uske liye accha nahi hoga.
Meer : aur tere liya bhi.
Ye kah kar meer call cut kardeta hai aru apne ghar me bane mini bar me se ek scotch ki botel nikal kar neet hi peene lagta hai. aur kuch hi der me sharab ke nashe me wahin sojata hai.
Idhar ajju aur mahi side:
Dono iss waqt ek restaurant me lunch karrahe they.
Mahi : thank you ajju yahan ane ke liye.
Ajju : arey isme thank you kaisa. Ab dosti ki hai toh nibhani bhi toh padegi aur waise humari dosti ka ek usool hota hai dosti me no sorry no thank you samjhi.
Mahi : ye dialogue bohat purana hogaya hai kuch naya kahiye janab.
Ajju : dialogue chahe purana hogaya ho magar humari dosti ka toh yahi usool hai madam.
Mahi ajju ki baat sunkar kuch kahti usse pahle ek shaks awaz ati hai jise sunkar ajju ko pasina ajata hai.
Awaz : aur dosti ka ek usool ye bhi hai ke doston se koi bhi baat raaz nahi rakhte.
Mahi awaz sunkar uss taraf dekhti hai toh wahan do shaks they jinme se ek ye baat kahta hai jis ki baat ko sunkar use ghoorte hue kahti hai.
Mahi : ji aap kon hai jo humari baat ke beech me apni naak gused rahe hai. aap ko itni bhi tameez nahi hai ke dusron ki baton sunna ghalat baat hai.
Mahi ki baat sunkar woh shaks jo bhi tha ajju ko ghoor kar dekhta hai toh ajju apna thook nighalte hue kahta hai.
Ajju : arey mahi ye tum kaisi baat karrahi ho.
Mahi ko lagta hai ajju iss shaks se darker aisa kahraha hai kyun ke ajju ke chahre per iss waqt paseena aya hua tha.
Mahi : mujhe acche se ata hai aise logon se kaise baat ki jati hai tum ghabra kyun rahe ho.
Mahi abhi aur bhi kuch kahne wali thi ke uski baat ko kaat kar woh shaks kahta hai.
Shaks : mohtarma pahle mai aap ko apna intro dedeta hoon warna aap mujhe yaha per pitwa dogi.
Mahi : mujhe koi shauk nahi hai aap ke bareme janne ka.
Shaks : arey madam pahle meri baat toh suniye aap toh hawai ghode per hi swar hogayi ho.
Mahi uss shaks ki baat sunkar gusse me ajati hai use lagta hai woh shaks uske sath battamizi karraha hai.
Mahi : kya kaha tumne mai hawai ghode per hoon toh dekho mai bhi tumhe kaise hawalat ki hawa khilati hoon.
Ye kahkar mahi apna phone nikal kar usme police ka number dail karne lagti hai toh woh shaks mahi ke hath me se phone cheen leta hai.
Uss shaks hi iss harkat se toh mahi aag bagola hojati hai aur uth kar usko thappad marne hi wali thi ke ajju mahi ko pakad leta hai.
Ye sab itna jaldi hua ke agar ajju mahi ko nahi pakadta toh uss shaks ke gaal per mahi ke panch ke panch ungliya chap jati.
Mahi ajju ki pakad se chutne ki koshish karte hue kahti hai.
Mahi : ajju chodo tum mujhe mai iss ladke ka muh tod dungi iski himmat kaise hui mere hath se phone chinne ki. Chodo mujhe chodo.
Mahi ka aisa reaction dekh kar woh shaks ajju ko kahta hai.
Shaks : kaha se pakad kar laya yaar ajju tu issko ye toh puri teekhi mirchi hai.
Uss shaks ki baat sunkar mahi ajju ke paas se chutne ki koshish karti hai aur ajju bhi uss shaks se kahta hai.
Ajju : ab bas bhi kar na yaar kyun khali pili mahi ko gussa dila raha hai.
Phir ajju mahi se kahta hai.
Ajju : mahi shanth hojao ye mere bade bhai aur dost hai.
Mahi ajju ki baat ko sunkar ajju ki taraf dekhti hai jaise conform karna charahi ho ke ajju sach kahraha hai ya nahi. Jab use lagta hai ke ajju sach kahraha hai toh mahi shanth hojati hai. mahi ke shanth hote hi ajju ka bhai aur dost jo ke koi aur nahi alauddin aur nizam hi they.
Alauddin uski taraf pani ka glass badhate hue kahta hai.
Alauddin : ye lo pani piyo aur apne aap ko relax karo aur itna gussa karna sehat ke liye accha nahi hota.
Alauddin ki baat sunkar mahi uske hath se pani ka glass lekar pani piti hai aur sonchne lagti hai.
Mahi ( apne maan me ) : ye log ajju ke friends hai aur maine inke sath kitni battamizi ki. Najane ye mere bareme kya kya sonch rahe hoge kaisi ladki hai. mujhe bhi kya zarurat thi choti si baat ko itna bada banana ki. Accha khasa soncha tha aaj ka din ajju ke sath spend karongi ab kya karon jo hua so hua khair pahle inse maafi mang leti hoon .
Mahi : I am sorry mujhe pata nahi tha ke aap ajju ke friends hai warna mai aisa bikul bhi nahi karti.
Mahi ki baat ko sunkar nizam kahta hai.
Nizam : arey bhabhi ji isme maafi mangne ki koi baat nahi hai.
Nizam ki baat ko sunkar toh mahi shock hi hojati hai aur usse bhi ziyada shock ajju hota hai ke ye nizam kya kahraha hai. ajju abhi nizam ko kuch kahta alauddin usse bada bomb phodta hai.
Alauddin : kya yaar ajju tujhse aisi ummed nahi thi. Ye baat bhi koi apne doston se chupata hai. khair kuch bhi kaho bhabhi hai kamal ki aur inme dam toh aur bhi ziyada hai bohat acchi Jodi hai tum dono ki.
Ajju alauddin ki baat ko sunkar aur bhi shock hojata hai ke ye alauddin ko bhi kya hua hai. magar abhi ek aur dhamaka hona bakhi tha.
Ajju alauddin aur nizam ko kuch kahta usse pahle ek ladki ki awaz ati hai jise sunkar ajju apne sar per hath mar ke kahta hai.
Ajju : loh ab isi ki kami thi.
Ladki : kiski Jodi acchi hai bhaiya.
Us ladki ne abhi tak ajju ko nahi dekha tha. Who inlogon se kuch dur thi isliye aisa kahrahi thi.
Alauddin : arey nishath tu agayi mai abhi tujhe hi call karne wala tha. Idhar aa mai tujhe humari hone wali bhabhi se milwata hoon.
Ji haan ye ajju ki cousin nishath hi thi jo yahan per apne bhaiya ke sath ayi thi.
Nishath wahan ati hai toh alauddin mahi ki taraf ishara karke kahta hai.
Alauddin : nishath inse milo ye hai humari hone wali bhabhi aur inka naam hai…… arey mai toh naam puchna hi bhool gaya waise ajju bhabhi ka naam kya hai.
Alauddin ki baat sunkar ajju kuch kahta nishath usse pahle hi kahti hai.
Nishath : inka naam mahira hai.
Nishath ke muh se mahi naam sunkar alauddin aur nizam shock hojate hai aur unke sath sath ajju bhi shock hojata hai.
Teeno ko aise shock me dekh kar nishath mahi ka hath pakad kar kahti hai.
Nishath : arey aap log itne shock me kyun hai mai mahira ko pahle se janti hoon aur mai toh ajju bhaiya se bhi pahle inse mil chuki hoon bas mujhe ye nahi maloom tha ke yahi meri hone wali bhabhi hai. magar mujhe ye jaan kar bohat khushi hui ke mahira hi humari bhabhi hai. mai abhi sabko batati hoon, ye khabar sunkar sabhi bohat khush honge aur sabse ziyada toh afshan aur muneeza hongi kyun ke undono ko mahira sabse ziyada pasand ayi thi.
Nishath ek hi sans me sab kuch bolti hai aur apna phone kaan ko laga kar call mila deti hai aur yahan sabhi shock me they.
Kyun ke alauddin aur nizam toh ajju ki tang kheench rahe they isi liye woh log mahi ko jaan bujj kar bhabhi kahrahe they. Unhe bhi pata tha ke ajju alfisha se pyar karta hai. magar jab nishath ke muhse sunte hai ke woh mahi ko pahle se janti hai toh unhe khud hi shock lagjata hai.
Aur idhar ajju ki halath toh dekhne layak thi use toh samhaj hi nahi araha tha ke yaha ho kya raha hai. pahle alauddin aur nizam kya kaam they jo ye nishath khud kahrahi hai ke woh mahi ko janti hai aur sath me muneeza aur afshan ko bhi mahi pasand hai. use samhaj hi nahi araha tah ke yahan chal kya raha hai.
Sabse ziyada shock me toh mahi thi. Kahan woh apna aaj ka din ajju ke sath bitina chahti thi kyun ke kal use apni pahli salary mili thi toh apna ajj ka din ajju ke sath bitana chahti thi kyun ke ajju hi uska ek aisa dost tha jiske sath woh khul kar baat karti thi aur use apna best friend samhajti thi. Aur kahan yaha ye sabhi use ajju ki hone wali biwi bana rahe they. Use bhi samhaj nahi araha tha ke ye sab log aisa kyun kahrahe they.
Ye charon apni sonch me they ke unhe nishath ki baat sunkar hosh ata hai.
Nishath : maine sabhi ko boldiya hai aur sabhi yahan ane ke liye nikal gaye hai aur woh sabhi mahi se milne ke liye bohat excided hai.
Nishath ki baat sunkar ajju apna sar pakad kar baith jata hai. jise dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : kya hua bhaiya aap apna sar pakad kar kyun baith gaye?
Alauddin jo abhi nishath ki baat sunkar shock se bahar aya tha nishath se kahta hai.
Alauddin : arey nishath ye tune kya kiya, tujhe kisne kaha tha ye sab karne ke liye?
Nishath : kya matlab?
Alauddin : maltab ye ke hum toh sirf ajju ko satane ke liye mazak karrahe they aur tune sabhi ko bata diya.
Nizam : haan aur isi liye ajju apna sar pakad kar baitha hai. waise tumne kis kis ko batai hai ye baat ?
Alauddin aur nizam ki baat ko sunkar nishath ko samhaj ata hai ke usne excitement me akar kya kardiya hai.
Nishath : w…oh bhai….ya maine na family group me dala hai ke ajju bhaiya ne humare liye bhabhi dhundhli hai.
Nishath ki baat sunkar ajju ke sath sath alauddin bhi apna sar pakad kar baith jata hai. jise dekh kar nizam kahta hai.
Nizam : abbey ab tujhe kya hua? Tu kyun apna sar pakad kar baitha hai?
Alauddin : is liye ke family group ka sabhi bade aur choton tak ye baat pohanch chuki hai.
Alauddin ki ye baat sunkar nizam bhi pareshan hojata hai ke itne me ajju ko phone ring hone lagta hai.
Ajju phone nikal kar dekhta hai toh ye call uske mom ka tha. Ajju apne sath baithe alauddin ko apna phone dikhata hai aur alauddin nishath ko. Sab log samhaj jate hai ke call kyun araha hai. ajju call pick karta hai.
Ajju : hello mom.
Mom : hello ke bachche itni badi baat tune mujhse chupayi, tu jaha bhi hai seedhe ghar aja.
Ajju : mom jaisa aap sonch rahi hai waisa kuch nahi hai.
Mom : woh sab mujhe nahi pata tu jaldi se jaldi ghar aja aur haan sath me mahi ko bhi apne sath lekar ana.
Ye kah kar ajju ki mom call cut kardeti hai. aur ajju apna muh chota kar ke rah jata hai.
Ajju ki aisi halath ko dekh kar nishath kahti hai.
Nishath : sorry bhaiya mujhe aisa nahi karna chahiye tha. Magar mai kya karon mujhse apni khushi sambhali nahi gayi isi liye maine sabhi ko bata diya.
Ajju : arey tu sorry kyun kah rahi hai teri ghalti nahi hai. ghalti toh iss alauddin ke bachche ki hai jo bina kuch sonche samjhe usne aisa mazak kardiya. Khair chodo ab hume ghar chalna chahiye pata nahi wahan per kya khichdi pak rahi hogi.
Alauddin : sorry yaar mujhe nahi pata tha ke mera ek chota sa mazak itna lamba hojayega. Khair ghar walon ko toh hum kaise bhi karke sambhal hi lenge.
Ajju : chal chodh yaar doston me itna toh chalta hi hai. aur tu apna role tod raha hai dosti me no sorry no thank you.
Ajju ki baat sunkar sabhi ke chahron per phir se muskurahat ajati hai.
Ajju : chalo mahi hume abhi mere ghar chalna hoga.
Mahi jo itni der se sab kuch hota hua dekh rahi thi use samhaj nahi araha tha ke ye sab kya horaha hai.
Mahi : ajju mujhe samhaj nahi araha ke mujhe kya karna chahiye. Kyunke mai tumhari company me job karti hoon aur tumhare ghar wale ye baat jante hai aur jab unhe ye sab baten mere talluq se kya sonch rahe hai. bhale hi tum mujhe apna dost mante ho magar hoon toh mai tumhari assistant hi na. bas yahi sonch kar dar lag raha hai ke tumhare familye members mere bare me kuch ghalat na samhaj le.
Ajju mahi ki baat ko sunkar uski condition ko samhaj raha tha isi liye mahi ka hath apne hath me lekar kahta hai.
Ajju : mai samhaj sakta hoon tum iss waqt kaisa feel karrahi ho magar mera yakeen mano meri family me koi bhi tumhe ghalat nahi samjhega. Aur tum meri friend ho isse se bhi kisi ko koi aiteraaz nahi hoga. Bas mujh per bharosa rahko.
Ajju ki baat ko sunkar mahi bas haan me sar hila deti hai.
Phir nisahth sabhi ko call kar ke ajju ke ghar per hi ane ko kahte hai aur sabhi ajju ke ghar ko nikal jate hai.
Aaj ke liye itna hi agey janne ke liye mere sath bane rahe mere sath BE-INTEHA-ISHQ ke sath apka apna MAQ.
Written by MOHAMMED AZEEM QURESHI ( MAQ ).
update kaisa laga comment me zarur batana.
Chalo is majak ke bahane hi dono kareeb aayenge, aur ajju ke ghar Maahi ke kadam bhi padh jaayega.
Super update
Ek mazak kaha se kaha Chala gaya
Keep posting