"aane ka mauka mil hi gaya??" ranvijay ne apni watch dekhte hue bola
"sorry Yaar, kya karta time hi nahi mila" muskurate hue apne dost ke gale mila...
"ankan, tujhe pata hai na maine kyun bulaya tujhe??" ranvijay ne poocha
"bakchodi karne" bol hasne laga ankan
Jab se ye India me do saal Kaat ke aaya hai poora badal gaya hai ankan ganguly
Wahi betuka mazak aur bachchon jaisa hasna
Koi seriousness hai ki nahi??
"mangesh kothari ke baare me to jaanta hi hai" ranvijay ne poocha
"hmm jaanta hoon aur ye bhi jaanta hoon ki kyun milna chahta tha mujhse" ankan bola
"to fir kya kehta hai??" ranvijay ne poocha
"sorry ranvijay, uske dad ke saath papa ka business hai isliye kuch nahi kar sakta" ankan ne apne haath khade kar diye. Aur ranvijay ka tension badha diya
"lekin indirectly mai help karunga ranvijay" ankan ne ranvijay ke kandhe par haath rakhte hue kaha.
Ranvijay ko pata tha ankan Saath kabhi nahi chodega uska saath
Mental hospital se jab ranvijay aaya tha tab anknan ko khoon ke ilzam me India Jaana pada tha aur isi dauran dhruv ke saath video chat karte karte ankan ko introduce karwaya tha dhruv ne ranvijay ko
Hi hello se shuru hui dosti ab gehri ho chali thi
Ranvijay Victor frame ko lead kar raha tah aur ankan restaurant aur night club division
"shaadi me nahi a saka sorry" ankan bola
"wo shaadi bhi to...." ranvijay ne aasman ki aur dekhkar kaha
"jo hota hai usme hamara haath nahi hota hai ranvijay, har kisi ko sachha pyaar nahi milta. Tere Saath dhoka hua tha aur isliye tu aisa soch raha hai, lekin mai..."bolte bolte ruk gaya ankan, shayad Zakhm kured diya tha usne anjane me
Ranvijay samajh gaya
" chal mil le payal se use acha lagega"ranvijay ne kandhe par haath rakhkar bola
"aaj nahi dost, waise bhi shaam ko flight hai wapas, waise ek baat. Mangesh itna easy nahi hoga heeralal ki tarah, tedhi kheer hai. Bye tc" bol ankan uthkar chala gaya
Ranvijay use dekhta reh gaya, Waqt insan ke swabhav ko uske Bolne ke dhang ko, uske maturity ko kitna change kar deta hai
Khair time ho raha tha wapas Jaane ka aur wo wait nahi kar sakta tha
------------------------------------------------------------------
"madam isme mai zyada kuch nahi kar sakta, ek to unki lawyer ki ek team hai jo aaj tak kambakht koi case nahi haari hai, doosri baat ye ki agar DNA test hoga to decision unke favour me jayega" ashmita ka lawyer bola
"kuch nahi ho sakta sir??" ashmita ek aas liye poochne lagi
"agar rishi khud ye bole ki wo apne mummy ke saath Rehna chahta hai tabhi possible hai, we can give them a good fight " lawyer bola
"thanks sir, rishi kya kahega mujhe pata hai" ashmita boli
"zyada khush mat hoiye madam, bachhe bhi kabhi kabhi palti maar jaate hai, maine aise bohut case dekhe hai" lawyer bola
"but is baar nahi rishi wahi karega jo mai kahungi" ashmita boli
"thik hai madam, mai chalta hoon" .bol lawyer chala gaya
Aur ashmita apni aankhen band karke sochne lag gayi
"a sakti hoon" payal ki awaz ne ashmita ko chaunka diya
"tumne wo lawyer ko bheja tha??" ashmita ne poocha
"Haan, Maine bheja tha, mujhe pata hai ki aap par kya beet rahi hai ashmita di" payal boli aur ghar ke Ander a gayi
Ashmita ne ek gehri Saans li
"kyun kar rahi ho meri help?? Agar vardhans ko pata chalega to?? Nayi nayi shaadi hui hai tumhari payal, use ek talwar ki nok par chala rahi ho" ashmita boli
"sabse pehle to mai ek aurat hoon ashmita di, aap jaisi, aur isliye shayad mujhse ek maa ko apne bete se bichadte hue dekha nahi gaya" payal boli.
"mak coffee bana kar laati hoon, waise breakfast me poori sabji bani hai chalega??" ashmita ne poocha
"daudega" bol payal sochne lag gayi ki ashmita ke saath dene ka anjam kya hoga.
Jo hoga wo seh legi, parivar ko ek karna hai
Kaise bhi ek karna hai