"kaan ke neeche dena tha" ek ladki ki awaz aayi aur payal ne mudkar dekha ek usi ke age ki ladki thi jo khadi thi
"oh sorry mera Naam jaya hai" ladki has kar boli
"aur mai payal susheela madam ki nayi personal assistant" payal muskurai
"mandy hai wo, khud ko princess samajhti hai yahan ki aur madam ke bete kailash je peeche padi hui hai" jaya boli
"hone do jaya hame kya!?? Hame apne kaam se matlab hona chahiye, hai na??" payal boli
"wahi to lekin ye chudail karne de tab na, khair mujhse ye zyada nahi ulajhti, ainda agay uljhe to bata dena" jaya tevar lekar boli
Payal has padi, ladki achi hai
"chalo lunch karke aate hai" jaya boli
"lekin...." payal ne bolna chaha lekin jaya haath pakadkar use cafeteria le gayi
"mera bhook nahi hai jaya lekin mai ek coffee zaroor piungi" payal boli aur jaya ke saath baat karne lagi
"kailash ka interview to aapko hi milega madam" ek Awaz aayi t o payal ne dekha Mandy kuch logo ke saath baithi hui hai kuch door
"aur nahi to kya madam ke alawa kailash kisi ko interview dega hi nahi" doosre staff ne kaha.
Mandy ye sab sunkar mand mand muskurane lagi
"dekh chudail kaisi khush ho rahi hai" jaya boli
"chodd na jaya chal chalte hai" bol payal uth khadi hui aur apne desk ki aur chal padi
"tu na bohut bholi hai yaar, tension mat le mai tere Saath hoon na, kuch nahi hoga tujhe" jaya boli
Payal muskurai, kuch mile na mile ek dost bana liya tha usne aaj
"who's payal vardhan??" ek aadmi ne jaya se poocha uske desk me jaakar
"what is the problem??" jaya ne poocha
US aadmi ne jo kaha use sunkar jaya khush ho gayi
Jaya ne payal ki aur dikhaya ishara karke
"mrs payal Mr kailash has agreed to give an exclusive interview to you,today by an hour, be ready" aadmi bolar chala gaya
"WOWWWW congrats congrats" jaya daudkar aate hue gale lag gayi payal ke
"kya ho raha hai??" Mandy ki awaz thi
"wo kya hai na Mandy madam, payal ko kailash ka interview mil gaya hai, isliye socha congrats de doon use. Koi problem hai kya??" jaya ne natak karte hue poocha
Interview?? W wo bhi is gawar ladki ko?? Kailash mehra ka dimag to theek hai
Mandy ko interview nahi mil paaya tha abhi tak aur ye do take ki ladki??
Gusse se kaampne lagi mandy
" madam kya hua?? Payal coffee pila rahi hai, aaj join karengi??" jaya ne poocha
"go to hell" bol gusse se mandy chali gayi
"mai ye interview nahi le paungi jaya, mera pehla job hai kuch gadbad na ho jaaye" payal gidgidate hue boli
"are?? Log is mauke ke liye mar rahe hai, tujhe interview ke liye mai taiyyar karungi" jaya boli
Payal ko tasalli nahi mili, wo susheela ke cabin me gayi
"sorry payal, kailash mera beta ho sakta hai. Lekin ye uska personal decision hai ki wo kise interview dega" susheela boli
Aur koi raasta nahi tha payal ko manna pada
------------------------------------------------------------------
Payal neend se jald uth gayi aur Pooja ke liye ready hone lagi, interview ki taiyyari bhi jaise taise ki usne.
Apne kamre se aate hue tabhi usne ek kamre me jai ko dekha
Jai chupchap baitha hua tha
"jai ??" payal ne awaz do to jay ne badi mushkil se muskurane ki koshish ki
"fir wahi chehra lekar baithe hue ho??" payal boli
Jai chup raha
"chalo" payal boli
"kahan??" jai ne poocha
"Pooja me" payal boli
"is haalat me Pooja?? Bhabhi is haalat me bhagwan ki kya Pooja karunga" jai bola
"chalo to" bol payal jai ko le aayi aur Pooja karne ke baad ek badi si kitab nikali
"ye..."
"bhagwat Gita" payal boli
"lekin ye kyun??" jai ne poocha
"Saare sawalo ka jawab yahan hota hai" payal boli
"lekin mere jaise hare hue logo ke liye nahi hai kitab" jai bola
"haara to Arjun bhi nahi tha jai, fir kyun unhone yudhh na ladne ka faisla kiya?? Ek shoorvir ko sahi raah par laya kisne?? Is murlidhar ne" payal en bhagwan ki aur dikha kar bola
"lekin...." jai fir bola
"karm karo jai karm...." payal boli
"lekin mai kya shuru karunga bhabhi mai to khud khatam ho chuka hoon??" jai bola
"agar ek daaku valmiki ban Ramayan likh sakta hai, ek buddhu aur mandbudhhi sa ladka bharadwaj ban sakta hai tum shuru kyun nahi kar sakte??" payal boli
Jai ne chalakte hue aansu se payal ki aur dekha, maa ko kho chuka tha wo.
Aaj payal ko ek maa ke roop me dekh raha tha wo
" bhagwan ka aashirwad lo jai, aur apne Naam ko sarthak karo"payal boli
Jai khada hua, to kya hua ek ladki ne use chodd diya ho, to kya hua uska Sapna chaknachoor ho gaya
Wo fir shuru karega, sab kuch fir se karega
Vardhan ka khoon hai uske Rago me