Ranvijay, payal aur rishi jaise hi park me ghuse payal ne mehsoos kiya ki Ranvijay rishi ko Saath laane ki wajah se khush nahi hai
"aunty aunty dekhiye fish aquarium" rishi ne payal ka haath pakadkar aquarium ki aur dekhkar kaha to payal ke kuch bolne se pehle hi rishi ne payal ka haath pakadkar aquarium ki aur lekar chala gaya
"wow ye ye koun si fish hai aunty??" rishi ne poocha to payal ghabra gayi
Ye sab uske sar ke oopar hai use kya pata ki koun si fish hai ye??
Kambakt kuch description bhi nahi diya hua hai
"ye ek type ki sting ray hai" ye awaz ranvijay ki thi
Rishi aur payal chaunk kar ranvijay ki aur dekha
"ye sab to kuch nahi. Agar aur kuch poochna ho to befikr poocha sakte ho" ranvijay bola
"wow inhe itna kaise pata hai??" rishi hairan tha
"mai bhi wahi soch rahi hoon" payal boli
Ranvijay khush hua, bohut khush. Shayad itna khush bohut dino baad hua tha
Ek bright student ranvijay vardhan ki yaad a gayi use
Acedemics me top Rehne wala hua karta tha ranvijay
Koi khada bhi nahi ho sakta tha uske saamne
"wah kya jodi hai dono ki" ek vridh couple ne payal ko dekhkar bola
"are uncle aunty aap log??" payal ne namaste karke poocha
"bas yahi sab dekh rahe the, warna amusement park Me hamara kya kaam" vridh jode ne haskar bola
"tum log thodi door jakar sea seals dekho naya attraction hai" bol dono chale gaye
"chalo ranvijay" bol payal ne ranvijay ka haath pakda aur rishi ko Saath lekar chal padi sea seals ko dekhne
Family.....
Shayad yahi hota hai. Jo sabse zyada close hota hai
Aur family ke Naam par ghar me ab sirf sannata hai
Wo bhi bas us aurat ki wajah se
"kidhar kho gaye" payal ne haste hue poocha
"kuch nahi" ranvijay bola
"Sea seals ko bhi ranvijay ko dekh kar itni ghabrahat hui ko sab ke sab dubak gaye koi bahar a hi nahi raha" payal ne rishi ko bola to wo gussail ranvijay ko dekhkar hasne laga
Lekin is baat par ranvijay ka gussa gayab ho gaya aur wo bhi muskurane laga
Tabhi uska call aaya aur wo busy ho gaya
Tabhi payal ke kandhe par ek haath rakha kisi ne
"payal??"
"are??? Sandhya??" payal bohut khush hui aur achanak ek shaks ko dekh kar halki si hairan bhi hui
"cherian yaad hai na?? Ab hum Mr and Mrs cherian ho gaye hai" sandhya haskar boli
Payal muskurati, school days me crush hua karta tha cherian. Lekin fir school khatam hote hi engineering karne chala gaya
Baad me pata chala ki sandhya se Shaadi ho gayi hai uski
"chalein??" ranvijay ke aate hi cherian aur sandhya dono muskura uthe
"wow tu bhi settle ho hi gayi aakhirkar, nice choice. Kaafi chikna hai tera hubby" sandhya boli to sab has pade aur payal bhi muskura uthi
"OK reunion karte hai chal, apna. Number de" sandhya boli to payal ne apna number de diya aur sandhya chal padi cherian ke saath
Khub enjoyment hui. Kuch log mile aur ranvijay ke saath payal aur rishi wapas a gaye
"ranvijay??" vijay ke awaz ne hilakad rakh diya ranvijay ko
Vijay aise dekh raha tha kaise bhoot dekh liya ho
Jeans aur t shirt me tha ranvijay aur ek haath me kuch balloons bhi the
Vijay ko dekh fat se balloons chod diye usne aur wo hawa me Udkar gayab ho gayi
"w wo mai chalta hoon" bol bina kuch sune bina kuch dekhe chala gaya ranvijay
"sorry bhaiyya lagta hai sharma raha hai" payal boli to vijay ne payal ko dekha
Ek simple si ladki lekin simple hone ke bawajood ordinary nahi thi payal. Apne astitwa ka ehsas kara rahi thi
Vijay ko izzat bhi de rahi thi aur ye bhi bata rahi thi ki wo ranvijay se kisi bhi tarah paiso ki wajah se Shaadi me nahi fansi hai
"bohut suna tha tumhare baare me payal. Jitna suna tha usse badhkar paaya" vijay bola
"aur maine bhi suna hai ki Ranvijay jitna adiyal hai aap itna hi achhe ho bhaiyya" payal boli fir apna sar jhuka liya
"ha ha ha.by the way thanks payal" vijay rishi ka haath pakdte hue haskar bola
"bye champ" payal ne rishi ko bye bola aur vijay use lekar chala gaya
Saamne Park me ranvijay baitha hua tha. Shaam se raat hone ko aayi thi
Ek jhoole me baith gayi payal. Ranvijay ne dekha aur wahan chala gaya aur jhoola jhulane laga
"are ye kya kar rahe ho??" payal ghabra kar boli
Ranvijay kuch nahi bola aur muskurate hue jhoola jhoolane laga
Payal ne aankhen band karke jhoole ka maza lene lagi
Kabhi Kabhi bina kuch bole sab kuch Keh diya Jaata hai
Aaj is dhalti shaam me so dil shayad ek hone ke kareeb a rahe the
----------------------------------------------------------------------
Meera aaj chupchaap thi
Kuch karne ka man nahi tha aaj
"kya hua meera. Aaj itna gumsum hokar kyun baithi ho??" bhushan ne poocha
"bhushan kya hamne jo kiya tha wo sahi tha??" meera bol uthi
"kya matlab??" bhushan ne poocha
"matlab ye ki kya humne jo school ke. Last year me kiya tha wo sahi th??" meera ke is sawaal ne bhushan ka chehra peela kar diya
"jawab do bhushan" meera boli
"humne tay kiya tha ki is baare me koi baat nahi hogi meera 7 saal ho gaye is baat ko" bhushan bola
"bhushan baat to karni hi padegi, gin ginkar badla le raha hai wo" meera chilla uthi is baar
"wtf meera no insan Pagal khane se chootkar aaya ho, jo thik se baat nahi kar sakta tha, jo ek darpok chooha tha, wo kya itna sab yaad rakh payega??? Wo bhi Pagal hone ke baad??" bhushan bola
"I don't know bhushan meri company ki usne band bajakar rakhi hui hai, ab sirf company bachane ki sochni pad rahi hai. Yaad hai so saal tak mai thi entrepreneur of the year. Use usne mujhse cheen liya aur teen bar le gaya, young achiever of the award mila tha mujhe use teen baar mila wo. Pehle madman ko humne reject kiya usne wo khareeda aur use aisi buland tak ke gaya ki poocho mat. Fir dekhte hi dekhte 7 brand usne le liye ab udreams bhi le liya usne. Bacha kya mere Paas?? "meera rone lagi thi
Aur ye dukh se nahi ro rahi thi, ye tha darr ke maare rona
BHushan chup hokar dekh raha tha ye sab
Sapne me bhi nahi socha tha ki Ranvijay vardhan meera ka ye haal kar dega