Komal chupchap baithi hui thi.baar baar apne phone ki aur uski aankhen ja rahi thi.
"Kya hi gaya beta??"mrs khurana ne aakhir pooch hi liya Komal se
"Kuch nahi mummy"Komal bebas hokar boli
"Kuch nahi to baar baar phone ki aur kyun dekh rahi hai??"mrs khurana ne komal ke sar par haath rakhte hue bola
"Pata nahi aunty"ek lambi saans lekar Komal boli.pata nahi ki aur kuch baaki bhi hai ya nahi,pata nahi ki ab kya hoga Komal aur yash ke rishte ka,pata nahi ki kabhi sab kuch thik ho bhi payega ya nahi
"Waise yash dikhta acha hai"mrs khurana boli
"Haan aur to aur uska business sense bhi kaafi acha hai mummy,wo na hamesha apne trips se mere liye kuch na kuch laate the,aur wo...."bolte bolte ruk gayi komal.mrs khurana ko muskurate dekhkar
"Jab us insaan me sab kuch acha hai to use choddkar kyun aayi??"mrs khurana ne poochha
Jawab nahi tha Komal ke paas.kaise batata ki kyun chodd aayi yash ko,kyunki yash ne kabhi Komal se pyaar kiya hai nahi.karta to aaj tak use propose nahi kiya usne.shayad sanchita ki jagah na le paaye wo
"Abhi bhi der nahi hui hai komal yash se baat karo"mrs khurana ne samjhaya
"Koi baat nahi hogi usse"bol gusse se Komal kamre se nikal gayi
Mrs khurana komal.ko bahar jaate hue dekhne lagi.pagal ladki,usko khud nahi pata ki kitna pyaar karti hai wo yash se
Idhar Komal ka phone baj utha
"Hello??"Komal ne poochha
"M madam y yash sir ka accident ho gaya hai,aap jaldi a jaiye hospital me"doosre aur se awaz aayi
Komal ka sharir jam gaya ,haatho se phone girne wala tha.jaise taise usne apne aapko sambhal liya
"K kahan??KOUN se hospital me??"Komal ne poochha
"Pink cross hospital me,jaldi aaiye "bol phone kat jaata hai
Komal ne jhat se bahar ek khade hue taxi waale ko dekha aur use hospital ki aur jaane ko bola
Gaadi shahar se hote hue halki si sunsaan jagah se hokar ja rahi thi ki tabhi
"Madam aage raasta jaam hai,mai dekhkar aata hoon"taxi wale ne bola
Aur wo bahar nikal gaya aur kaafi der tak wo nahi aaya to Komal bahar nikli.
Lekin jaise hi wo bahar nikli
"Ummm.....uggggnnnn"Komal ke naak ke paas kisi ne rumaal rakh diya aur jab tak wo kuch samajh paati wo behosh ho chuki thi
-------------------------------------------------------------------
Shehzi aaj bohut khush thi.aaj acha khasa paisa kama liya tha usne
Apne flat me.ghuste hi lights on kiya usne
"Lights ko kya hua, inverter se bhi bijli nahi chal rahi hai.maajra kya hai??"soch wo electrician ko phone lagane lagi
"Jiske dil.me.andhera ho use kamre ke andhere se dar nahi lagna chahiye"ek awaz ne use chaunka diya
"Koun hai??koun hai saamne aao,darti nahi mai kisi se"shehzi ke bolte hi
CHATAAAKKKKK
ek thappad ke saath nisha aur urvashi ko dekhte hi uske rang udd gaye
"M.m madam aap l l loggg yahan??"thar thar kaampne lagi thi shehzi
Chataaakkkkk
Ek thapppad pada urvashi ki aur se
"Ye mere bhabhi ke naam par"
Chataaakkkkk
Ek thappad pada Nisha ki aur se
"Mere didi ka ghar barbaad karne ke liye"nisha boli
Chataaakkkkk
Urvashi ne fir ek jad diya
"Ye mere bhai aur bhabhi ko door karne ke liye"
Chataaakkkkk
Nisha ne fir jada ek
"Ye sab khabar un shaitano tak pahunchane ke liye
"R ruk jaiye please,ruk jaiye"shehzi dono haath jod bheel maangne lagi
"Chal shuru ho ja aur sab kuch bol"nisha boli
Tote ki tarah sab kuch bol diya shehzi ne.
"Mujhe jaana hoga"andhere se ek awaz aayi aur shehzi chaunk uthi
Y yash sir ki awaz.doosre kamre se.yash gaya tha
"Maaf kar dijiye sir,paiso ki laalach ne andha bana diya tha mujhe"boli shehzi aur yash ke pair pakad rone lagi
"Maafi usse maangna jisko tumhari wajah se ghar choddna pada.ainda apni shakl na dikhana kabhi"bol yash wahan se chala gaya
"Nisha bhabhi yash bhaiya aise hi nikal gaye mujhe darr lag raha hai,rohan bhaiya kahan hai??"urvashi boli
"Rohan kuch important kaam ke liye gaya hai urvi tu tension na le sab thik ho jayega,yash bhaiya jo bhi karenge soch samajh kar karenge"nisha urvashi ko samjhate hue boli
Yash nikal pada,aaj yug apne purane andaz me lag raha tha
Ghabraya hua yash,dara hua yash
Lekin isse use koi fark nahi pad raha tha.aaj use komal ko wapas laga hoga har haal me
Chahe raaste me kitni bhi problem ho,wo Komal ko nahi khoyega