If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Koi batayega ki aaj kal ye kya ho raha hai is forum me. Achhe achhe writer yaha se gayab ho rahe hain. Musafir bro chutiya dr shubham bro Pritam ds bro. Kai aur bhi hain jo yaha par dikh nhi rahe.
Sab log apni apni life me busy ho gaye hain. Corona ka Sankat kuch kam hua hai to sab apne apne kaam par lag gaye hoge. Koi na koi vajah to hogi hi gayab hone ki. Mr. Pandit ji to naye saal me story continue karne ki baat kah gaye the lekin unka bhi pata nahi hai. Lagta hai jamini vivaad abhi tak thama nahi hai unka_______
Koi batayega ki aaj kal ye kya ho raha hai is forum me. Achhe achhe writer yaha se gayab ho rahe hain. Musafir bro chutiya dr shubham bro Pritam ds bro. Kai aur bhi hain jo yaha par dikh nhi rahe.
Ummid karta hu ki aap sab kushal mangal se hi honge. Khair, aap sab soch rahe honge ki main apni kahani ko bich me hi latka kar itne dino se kaha gayab hu.? Ye sawaal yakeenan apni jagah waajib hai. Darasal main apni tabiyat ke chalte hi gayab raha hu aur aage bhi ho sakta hai ki aana jana bahut hi kam ho. Do teen saalo se yaha aap sabke bich raha hu to zaahir hai ki aap sabse aur is forum se lagaav bhi ho hi jana tha. Aap samajh sakte hain ki aise me aap sabse is tarah door hona mere liye kitna dushkar hoga.
Ham sochte kuch hain aur ho kuch aur hi jata hai. Ham chaahte kuch hain kintu mil kuch aur hi jata hai. Yahi jiwan hai aur yahi maanav ki fitrat hai. Bade bujurg laakh samjhaye ki insaan ko apni ichhaao par kaabu rakhna chahiye magar chaah kar bhi aisa ho nahi pata aur yahi insaan ke liye dukh ka sabab ban jata hai.
Kahte hain ki man me dridh ichha shakti ho aur lagan ho to bahut kuch ho sakta hai par yadi is sabke liye insaan ka swaasthy hi thik na ho to.???? Kya us surat me kuch ho sakega.??? Khair, baat karte hain BEGUNAAH ki to ise zarur complete karuga. Doctor aur ghar walo ki hidaayat ke baavjud thoda thoda likhuga aur ise complete karuga. Asal me ek bimaari ye bhi hai ki zahen me 24hr kuch na kuch chalta hi rahta hai aur andar baitha koi shaitaan mujhe pressure deta rahta hai ki kuch likhu. Ab agar nahi likhta hu to bechaini si hone lagti hai. Achha hota agar ishwar mere andar ke is shaitaan ko nikaal deta to kadachit mujhe sukoon mil jata,,,,,
Dosto, is kahani ka naya update le kar hi aauga ab. Tab tak ke liye alvida,,,,,