mashish
BHARAT
- 8,032
- 25,931
- 218
super duper updateBEGUNAAH
Update - 33
__________________________
Tempo ek jhatke se ruka to driver ke bagal se baitha saya jo ki avinash hi tha uski aankhe khul gayi. Sari raat wo sota raha tha. Driver ke puchne par usne raat me hi bata diya tha ki use kaha jana hai. Uske baad usne driver se kaha tha ki use raaste me kahi par bhi na jagaye, badle me wo use uske gantavya tak le jane ka paise ke roop me kiraya bhi dega. Avinash ki ye baat sun kar tempo ke driver ne haan me sir hila diya tha.
Avinash ne hadbada kar idhar udhar dekha to use apni isthiti ka ahsaas hua aur fir usne driver ki taraf dekha. Driver ne use bataya ki yaha se wo alag raaste par jayega is liye use yaha par utarna padega. Tempo driver ki baat sun kar avinash ne kaha thik hai bhai...yaha tak pahuchane ka shukriya. Ye kah kar avinash ne apne paint ke chor pocket se paise nikaale aur usme se kuch paise driver ko de diya.
Tempo se utar kar avinash ne idhar udhar dekha. Is waqt wo shahar ke baahar sadak ke T point par khada tha. Subah ho chuki thi aur suraj apni disha me upar uth raha tha. Sadak par ikka dukka waahan aate jate nazar aa rahe the. Avinash ne kisi auto ya taxi ki talash me idhar udhar nazre ghumaayi to kuch hi der me use ek auto dikha jise usne haath se ishara kar ke apne paas aane ko kaha. Thodi hi der me auto wala aaya to avinash ne usse Lohra chalne ke liye puchha to auto wale ne use baithne ka ishara kiya aur sath hi ye bhi kaha ki sahab saadhe chaar sau rupiya lagega. Auto wale ki baat sun kar avinash auto me pichhe baith gaya. Avinash ke baithte hi auto wala T point se left side ki taraf mud gaya.
"Sahab aapko kahi dekha hai maine." Kuch door aane ke baad raaste me auto wale ne back mirror me avinash ko dekhte huye kaha_____"Par yaad nahi aa raha ki kaha dekha hai aapko.?"
"Achha." Auto wale ki ye baat sun kar avinash ne chaunkte huye kaha_____"Matlab tum mujhe pahchaante ho.?"
"Nahi aisa to nahi hai sahab." Auto wale ne back mirror me avinash ki taraf ek nazar daalte huye kaha_____"Main byaktigat roop se aapko nahi pahchanta magar aree haan yaad aaya sahab. Maine aapko tv par dekha tha. Aapko tv par dikhaya ja raha tha aur ye bhi bataya ja raha tha ki agar kisi ko aapke bare me kuch pata ho to fauran police ko suchit kare."
"Ohh to is vajah se tumne kaha ki tumne mujhe kahi dekha hai." Avinash ne gahri saans lete huye kaha_____"Wo main hi tha bhai jiske bare me jaanne ke liye police ne news channel par meri photo daali thi."
"Ye kya kah rahe hain aap.?" Auto wale ne hairaani se kaha_____"Aapko kaise pata ki aapki photo news channel par police ne daali thi aur agar police ne hi daali thi to kya police ko aapke bare me pata nahi tha.?"
"Badi lambi kahani hai bhai." Avinash ne halki muskaan ke sath kaha_____"Jab police ne news channel par meri photo daali thi tab main police ke paas hi tha aur mazedaar baat ye thi ki mujhe khud hi apne bare me kuch pata nahi tha. Isi liye to police ne meri photo news channel par daali thi."
"Badi ajeeb baat kar rahe hain sahab." Auto wale ne ashcharya se kaha_____"Bhala ye kaise ho sakta hai ki aapko khud hi apne bare me kuch pata nahi tha.?"
"Yahi sach hai bhai." Avinash ne kaha_____"Asal me us wakt meri yaad daast ja chuki thi is liye mujhe apne bare me kuch pata nahi tha magar ab meri yaad daast waapas aa chuki hai aur main janta hu ki main kaun hu."
"Aapki kahani to ekdam se filmy lagti hai sahab." Back mirror me avinash ko dekh kar auto wale ne muskurate huye kaha_____"Filmo me bhi aise hi hota hai."
"Hota hoga bhai." Avinash ne kaha______"Magar meri kahani filmo ki tarah dikhaayi jane wali nakli nahi hai balki asli hai. Pichhle do saalo se main apne bare me janne ke liye dar dar bhatak raha tha. Beete do saal me maine kaise kaise dukh dard sahe hain ye sirf main hi jaanta hu."
"Zarur sahe honge sahab." Auto wale ne kaha_____"Filmo me maine dekha hai. Jis insaan ki yaad daast chali jati hai wo kya kya dukh sahta hai. Us insaan ko apna naam tak yaad nahi rahta...apne ghar pariwar ki to door ki baat hai. Khair to sahab fir kaise aayi aapki yaad daast.? Kya waise hi...mera matlab hai ki jaise filmo me dikhaya jata hai, jaise ki accident hota hai aur sir par chot lagti hai ya fir kisi ko dekh kar aankho ke saamne dhudhle se chitra dikhne lagte hain aur fir sab kuch yaad aa jata hai. Kya aise hi aapki yaad daast waapas aayi thi.?"
"Lagta hai filme bahut dekhte ho tum." Avinash ne halke se muskurate huye kaha_____"Par tumne sahi kaha bhai. Meri yaad daast accident par sir me chot lagne ki vajah se hi aayi thi. Ek tarah se ye achha hi hua jo mera accident hua. Agar mujhe pahle se pata hota ki accident se meri yaad daast waapas aa jayegi to main bahut pahle hi apna accident karwa leta. Kam se kam do saal se itne dukh to nahi sahta."
"Hahaha sahi kaha sahab." Auto wale ne haste huye kaha______"Par aksar aisa hi hota hai ki insan ko aisi cheezo ka pahle se pata nahi hota hai. Waise jab aapki yaad daast chali gayi thi tab kya aapke ghar pariwar wale aapke paas nahi the.?"
"Agar mere ghar pariwar wale mere paas hote." Avinash ne kaha_____"To kya main itne dukh dard sahta.? Main apne ghar walo se bahut door tha bhai."
"Aapke ghar wale bhi aapke liye bahut dukhi huye honge." Auto wale ne kaha_____"Kya unhe aapke bare me kahi se bhi pata nahi chala tha.?"
"Nahi bhai." Avinash ne bechaini se pahlu badla_____"Achha ab kuch mat puchna mujhse. Bas chup chaap Lohra le chalo mujhe."
Avinash ke kahne par auto wale ne thik hai sahab kaha aur chup chaap auto chalata raha jabki avinash auto ke khule huye bhaag se baahar ki taraf dekhne laga tha. Uske zahen me is waqt dher sare khayaal ubhar rahe the jinke bare me soch soch kar uske chehre par kayi tarah ke bhaav gardish karte nazar aa rahe the.
<>•<>•<>
Door bell baji to pratiksha ne ja kar darwaza khola aur samne khade jis shakhs par uski nazar padi use dekh kar uske chehre par pahle chaunkne ke bhaav ubhre aur fir wo khushi se chahakte huye aage badhi aur yaswant ke gale lag gayi.
"Yaswant bhaiya aap.?" Pratiksha yaswant ke gale lag kar boli to yaswant ne muskurate huye uske sir par pyar se hath fera.
"Kaisi hai gudiya.?" Pratiksha ko khud se alag karte huye yaswant ne kaha.
"Main to ekdam thik hu bhaiya." Pratiksha ne kaha_____"Par aap zara ye bataiye ki mujhe aaye huye aaj das din ho gaye aur aap mujhse milne aaj aaye hain. Jaaiye mujhe aapse ab koi baat nahi karna...haan nahi to."
"Aree aisa mat karna gudiya." Yaswant ne darwaze ke andar daakhil hote huye kaha_____"Asal me main tujhse milne itni deri se is liye aaya kyo ki dushyant ne mujhe apne kaam par laga rakha tha."
"Chaliye maaf kiya aapko." Darwaza band karne ke baad pratiksha ne kaha_____"Aap bhi kya yaad rakhenge ki kis ameerzaadi se pala pada tha aapka...haan nahi to."
"Achha ye bata gudiya." Yaswant ne dhimi awaaz me usse shargoshi karte huye kaha_____"Tujhe bhabhi pasand aayi ki nahi.?"
"Ab kya bataau aapko." Pratiksha ne is tarah kaha jaise use kisi baat ka behad afsos ho_____"Majburi thi is liye pasand karna hi pada. Warna aap to jante hain ki mujhe apne se zyada khubsurat ladkiya zara bhi pasand nahi aati hain. Ab kyo ki love matter ka maamla tha is liye maine bhi razamandi de di bhaiya ko..ye kah kar ki ja simran ja...ji le apni zindagi."
"Tune dushyant ko simran bana diya.??" Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Aur itna hi nahi uska gender bhi change kar diya...ye tune bilkul sahi kiya. I'm so proud of you gudiya."
"Heeeiinnn...lagta hai dialog bolne me galti ho gayi mujhse." Pratiksha ne ek hath se apna sir khujate huye kaha_____"Aree dialog to thik hi hai na bhaiya...bas gender hi change kar diya hai maine lekin koi baat nahi. Itna to chalta rahta hai. Ab aap mera muh kya dekh rahe hain. Andar nahi chalna hai kya aapko.?"
Pratiksha ki baate sun kar yaswant muskurate huye andar ki taraf chal pada. Kuch hi der me dono andar dring room me aa gaye. Dring room me dushyant aur vidhi sofo par baithe huye the. Yaswant ko dekh kar jaha dushyant ke hotho par halki si muskaan ubhar aayi thi wahi vidhi ne sofe se khade ho kar use namaste kiya jis par yaswant ne bhi jawaab me hath jod kar muskurate huye namaste kiya.
"Yu hi khaali hath aaye ho pyare." Dushyant ke bagal se jaise hi yaswant baitha to dushyant ne kaha_____"Ya apne sath baraat le kar bhi aaye ho.?"
"Baraat par to main jaauga teri." Yaswant ne muskurate huye kaha_____"Meri baraat me to abhi time lagega kyo ki vidhi ji jaisi ladki mujhe abhi mili hi nahi hai."
Yaswant ki baat sun kar jaha vidhi sharma gayi thi wahi pratiksha ke hotho par muskaan ubhar aayi thi. Usne sharaarat se vidhi ki taraf dekh kar kuch kahna chaha tha magar fir jane kya soch kar chup rah gayi thi.
"Milegi bhi nahi pyare." Dushyant ne do took bhaav se kaha_____"Khair main us baraat ki baat nahi kar raha tha."
"Haan main samajh gaya hu." Yaswant ne kaha_____"Puri taiyari ke sath hi aaya hu. Ab bas hame chalne ki der hai magar usse pahle bhabhi ji se mera taarruf to karwa de."
"Ye mera kaam hai bhaiya." Pratiksha ne tapaak se muskurate huye kaha_____"To ye hain meri pyari bhabhi vidhi aur bhabhi ye hain mere pyare bhaiya yaswant. Bhaiya ki tarah ye bhi police me hain aur ye dono ek sath hi khel kood kar aur padh likh kar bade huye hain. Ye dono hamesha ek dusre ki taang khichte rahte hain magar dono mujhse bahut pyar karte hain."
"Pata to mujhe pahle hi chal gaya tha bhabhi ji." Yaswant ne vidhi ki taraf dekhte huye kaha_____"Magar dushyant ne mujhse ek baar bhi ye nahi kaha ki yaha aa kar aapse mil lu. Pata nahi kya soch kar dar raha tha ye.? Mujhe to lagta hai ki ise dar tha ki kahi main iske haatho se aapko uda kar na le jaau."
Yaswant ki baat sun kar vidhi bas muskura kar rah gayi. Uske chehre par laaj aur sharm ki laali chha gayi thi. Jab usse kuch kahte na bana to wo ye kah kar uth gayi ki main aap sabke liye chaay bana kar laati hu. Vidhi ke jane ke baad dushyant ne yaswant ke kandhe par mukka maarte huye kaha_____"Maine tujhe yaha aane se kab mana kiya tha be.?"
"Mana nahi kiya tha." Yaswant ne kaha_____"Magar ye bhi to nahi kaha na ki bhabhi ji se aa kar mil lu. Isse puch gudiya ki isne aisa kyo nahi kaha mujhe.?"
"Isme bhaiya ke kahne ka intzaar kyo kar rahe the aap." Pratiksha ne has ke kaha_____"Aapko to bhaiya ke bina kahe hi yaha aa jana chahiye tha."
"Are main aa to jata gudiya." Yaswant ne kaha_____"Magar main ye dekh raha tha ki ye mujhse kahta hai ki nahi aur ab maine dekh liya hai ki iske man me isi baat ka dar tha ki kahi main bhabhi ji ko iske changul se uda na le jaau."
"Ye sab baate tum baad me kar lena pyare." Dushyant ne kaha_____"Abhi aur is waqt hame sirf avinash par focus karna hai."
"Tumhare kahe anusaar maine saari taiyari kar li hai." Yaswant ne kaha_____"Maine kuch police walo ko saade kapdo me charo taraf faila diya tha. Un sabki report yahi hai ki un sabhi jagaho se wo log ja chuke hain jin jagaho par kal tak wo chhup kar yaha ki nigraani kar rahe the."
"Very good." Dushyant ne kaha_____"Ye to unhe karna hi tha. Unhe sirf ye dekhna tha ki avinash yaha se agar nikalta hai to kab nikalta hai aur agar avinash yaha se nikalta hai to wo usi pal se uske pichhe lag jaye. Ab kyo ki avinash yaha se nikal chuka hai to zaahir hai ki wo log uska pichha karte huye uske pichhe hi lage chale gaye hain. Hamare liye ye achhi baat hai kyo ki ab yaha ki khabar naqab wale ko dene wala koi nahi rahega yaha."
"Naqab wale ka khabri bhanu singh majburi ke chalte uska khabri gaya tha." Yaswant ne kaha_____"Naqab wala uske bhatije ko target kiye huye tha. Us bhatije ko jo boarding school me padhta hai. Waise naqab wale ne chaal gazab ki chali thi. Usne bhanu singh ke apne bete ko target nahi banaya tha. Kyo ki usse hame fauran hi pata chal jata ki bhediya kaun hai. Halaaki naqab wale ne hamara dimaag ghumane ke liye khud hi bhanu singh ko saboot ke roop me mobile ke sath pakadwa diya tha. Wo jaanta tha ki ham log bhanu singh par khabri hone ka zara bhi yakeen nahi karenge aur agar karenge bhi to yahi sochege ki bhanu singh ne aisa shayad kisi majburi me kiya hoga aur uski majburi uske biwi bachche hi ho sakte hain. Ham jab uske biwi bachcho ko sahi salaamat dekhenge to hamara wo shak bhanu se hat hi jayega. Jab ki ham to ye soch bhi nahi sakenge ki bhanu singh ki majburi uske apne biwi bachche nahi balki uska apna bhatija ho sakta hai jo ki bina maa baap ka hai. Kahne ka matlab ye ki bhanu singh bhale hi saboot ke sath hamari pakad me aa gaya tha magar ham use naqab wale ka khabri maante hi nahi aur yahi samajhte ki use kisi ne fasaya hai."
"Naqab wale ka plan hamare dimag ko chakra dena hi tha pyare." Dushyant ne kaha_____"Ham sach ko sach maanne se inkaar karte jabki naqab wale ne hamare samne sach ko hi pesh kar diya tha. Dusri mahatwapoorn baat ye ki majburi me bhanu singh ne bhi us din hamse wahi sab kaha jo kahne ke liye use naqab wale sikhaya tha. Bhanu singh naqab wale ke viruddh jane ka soch bhi nahi sakta tha kyo ki uske bhatije ki jaan us naqab wale ki mutthi me qaid thi. Wo to shukar tha ki bhanu singh ne ishare se mujhe pichhle dino samjha diya tha aur tab maine vikrant ko bhej kar uske bhatije ko boarding school se yaha bula liya tha aur bhanu singh ki security ka prabandh kar diya tha."
"Bada shaatir khilaadi hai ye naqab wala." Yaswant ne gahri saans lete huye kaha______"Bahut bheja ghumaya hamara aur bahut chhakaya hame."
"Jurm ki umar zyada lambi nahi hoti pyare." Dushyant ne kaha_____"Thode dino ki zindagi me khoob uchhal kood karti hai aur fir waise hi shaant pad jati hai jaise kisi tufaan ke guzar jane ke baad har taraf gahra sannata chha jata hai."
Abhi ye dono baate hi kar rahe the ki tabhi vidhi haath me tray liye aayi aur center table rakh diya. Sabne ek ek cup apne liye utha liya. Chaay ke dauraan idhar udhar ki baate huyi aur fir dushyant aur yaswant sofe se uth khade huye. Dushyant ne pratiksha aur vidhi ko apna khayaal rakhne ko kaha to un dono ne bhi inhe apna khayaal rakhne ko kaha. Uske baad dushyant yaswant ke sath ghar se baahar aa gaya. Baahar porch me vidhi ki car khadi thi jiski driving sheet dushyant ne samhaali aur yaswant uske bagal me baith gaya. Yaswant jis car se aaya tha usme vikrant kuch police walo ke sath tha. Dushyant ne car ko porch se nikala aur sadak par dauda diya. Uske piche vikrant bhi car le kar chal pada.
<>•<>•<>