Update 59
Soniya bhagg ke reception mein jaati hai.
Soniya: Varun kaha hai. Mera Varun kaha hai.
Receptionist: Ma’am shant hojaiye. Varun Sharma second floor OT.
Soniya bhagg ke second floor mein aati hai toh waha sab pehle se khade the. Woh Mehak ke paas aati hai.
Soniya: Buaa kaisa hai Varun. Uska accident kaise hua. Woh thik toh hai naa.
Mehak: Shant hojao sonu. Uska treatment horaha hai. Woh thikk hojayega.
Soniya ki toh jaan nikal rahi thi. Uska mann toh jor jor se rone ka kar raha tha. Par woh ro nhi sakti thi. Idhet Sangeeta ne toh ro ro ke apni halat bigaad li thi. Woh hospital mein mandir ke saamne baithi hui thi aur apne bete ke liye dua maang rahi thi.
Shalini: Bhabhi Sangeeta ji ko sambhaliye. Agar woh aise hi roti rahi toh unki tabiyat kharab hojayegi.
Sanjana: Unko kya bolu Shalini. Jab se unhe pata chala hai Varun ak accident hua hai woh sirf roye jaa rahi hai. Unhone toh khaana tak nhi khaaya hai. Subah sirf breakfast kiya tha.
Thodi der mein doctor OT se bahar aata hai.
Vijay: Hello doctor ab kaisa hai Varun.
Doctor: Oo hello doctor Vijay. Dekhiye Patient ke sir mein bahot buri tarah se attack hua tha. Uska sir steering wheel se bahot joro se takraya tha. Shayad usne seat belt nhi lagayi thi isiliye attack aur jyaada hua. Gaadi ke saamne ke kaanch tootne se ped ki ek daal uske andar ghuss gayi thi jo sidha patient ke seene ke bagal mein attack kiya.
Accident bahot pehle hua tha aur usko yaha laane mein bhi bahot late kiya jiske wajah se khoon hadd se jyaada beh gaya tha.
Sir mein chott lagi hai humne treatment kardiya hai agar usko 5 ghante ke andar hosh nhi aaya toh hosakta hai woh coma mein bhi jaa sakta hai.
Sab yeh sunke shock hojaate hai. Arushi Megha Radha aur Soniya toh rone lagte hai aur Sangeeta yeh sunke behosh hojaati hai.
Mehak: Sangeetaaaaaa.
Yash Sangeeta ko utha ke wahi pe rakhe ek stretcher pe sulata hai. Shalini usko check karti hai aur doctor se bolke ek injection mangwa ke usko laga deti hai.
Shalini: Kamjori aur shock ki wajah se behosh hogayi hai. Maine neend ka injection de diya hai. Kuch der soyengi toh aaram milega.
Ishant: Doctor hum usse bade se bade hospital mein shift kar dete hai.
Doctor: Dekhiye Agarwal Ji. Aapke saath toh doctor Vijay aur doctor shalini jaise experienced doctor hai. Aapdonk hi saare reports dekh lijiye.
Phir Vijay Varun ki saari reports dekhta hai Soniya bas usse aas bhari najro se dekh rahi thi. Ke Vijay bolde ke Varun thik hai.
Vijay: Bhaiya agar 5 ghante ke andar Varun ko hosh nhi aaya toh woh coma mein jaa sakta hai.
Soniya ki rahi sahi aas bhi yeh sunke toot jaati hai. Woh Varun ki hat ki zimmedaar khud ko maan rahi thi.
Woh soch rahi thi agar usne Varun ke saath waise behave naa kiya hota toh shayad aaj Varun sahi salamat hota. Woh bas waha baith ke roye jaa rahi thi.
Arushi aur Megha bhi roye jaa rahi thi. Aarav aur Avi unhe gale laga lete hai.
Aarav: Chup hojao Megha. Varun ko kuch nhi hoga. Woh thik hojayega.
Megha: Humara koi bhai nhi hai. Bachpan se Varun ko hi humne apna bhai maana hai. Har saal rakhi mein woh Radha ke saath humse bhi rakhi bandwata tha. Hum bhale hi harwaqt jhagra karte the. Par hum ek dusre se pyaar bhi bahot karte the. Agar usse kuch hogya toh... Yeh bol rone lagti hai.
Aarav: Kuch nhi hogaa. Bhagwan sab thik karenge.
Soniya toh jaise bas pathar ki murti bane baithi hui thi. Usko toh jaise koi hosh hi nhi tha.
Radha bhi Yash ke gale lagke rone lagti hai. Aakhir Varun uska ek lauta bhai tha.
Yash: Chul hojao Radha. Kuch nhi hoga Varun ko. Woh ekdum pehle jaisa hojayegaa. Shant hojao.
Radha bas roye jaa rahi thi.
Thodi der baad Sangeeta ko hosh aata hai toh woh Varun se milne ki jidd karne lagti hai.
Shalini Sangeeta ko andar leke jaati hai toh woh Varun ko dekhte hi rona suru kardeti hai.
Sangeeta: Varunnnn. Shalini yeh kyaa halat hogyi hai mere Varunnn ki. Please isse theek kardo Shalini tum toh doctor ho naa. Please mujhe mera beta pehla jaisa de do.
Shalini: Shant hojaiye didi. Varun thikk hojayegaa. Kuch nhi hogaa usse.
Sangeeta Varun ke paas jaake uske haatho ko apne haatho mein leti hai aur ek haath se uske sir mein dheere se haath fherne lagti hai.
Sangeeta: Uthh jaa naa betaa. Kyo apni maa ko rula raha hai. Tere bina teri maa ka aur koi nhi hai beta. Utha jaa beta. Mat tadpa apni maa ko. Teri maa tere bina nhi jee payegi. Tere papa ke baad toh maine jaise taise khud ko sambhal liya. Ab tujhe nhi khoo sakti. Mujh mein itni himmat nhi hai beta. Uthh jaa beta. Yeh bol woh jor jor se rone lagti hai.
Sangeeta ab waha aur naa baith saki. Woh apne bete ki aisi halat aur naa dekh saki woh waha se bahad nikal ke hospital ke mandir mein jaake bhagwan se apne bete ke liye dua maangne lagti hai.
Dekhte dekhte hai 3 ghante beet jaate hai par Varun ko hosh nhi aata. Sablog ek ek baar Varun ko dekh aate hai sirf Soniya ko chorr ke. Kyoki uski himmat nhi horahi thi Varun ko uss halat mein dekhne ki.
Thodi der baad sab waha baithe baithe apni aankhe band karlete hai. Par soya koi nhi tha. Soniya himmat karke Varun ke room mein jaati hai. Woh Varun ki woh halat dekh kar apne andar dabaye dard takleef ko aansu ke roop mein bahar laane lagti hai. Itni der se jo usne apna rona rokha hua tha woh ab aur naa rukh saka. Soniya wahi pe khadi hoke rone lagti hai.
Woh Varun ke kareeb jaake uske haatho ko apne haatho mein leke baith jaati hai.
Soniya: Uthh jaao Varun. Kyo sata rahe ho mujhe. Jiss din se mile ho uss din se sirf pareshan kiye jaa rahe ho. Tumhari har tarah ki badmaashi manjur hai pareshan karna manjur hai par pareshan karne ka yeh tareeka mujhe bilkul pasand nhi aaya. Please uthh jao. Main tumse bilkul bhi naraz nhi hu aur naahi tumse nafrat karti hu. Main tumse bahot bahot pyaar karti hu Varun. Nahi jee sakti tumhare bina. Uthh jao. Kya tum apni Soniya ko iss tarah rulaoge. Usko iss tarah tadpaoge.
Tumne mere liye uss Rohan ko maara tha na kyoki usne mujhe pareshan kiya tha. Toh ab tum mujhe pareshan kar rahe ho. Aur tumhe saza dene ka haq sirf mujhe hai. Kya tum mujhe saza bhi nhi dene hoge. Uthh jao naa Varun.
Abhi Soniya yeh sab bol rahi thi ke uske kandhe pe koi haath rakhta hai toh Soniya pichhe mudd ke dekhti hai toh Yash khada hota hai. Soniya ko Yash dekh kar hi aur jorr jorr se rone lagti hai aur baithe baithe hi uske gale se lag jaati hai.
Soniya: Dekho naa bhaii kis tarah mujhe pareshan kiye jaa raha hai. Isse bolo naa uthh jaaye. Jiss din se mila uss din se pareshan kar raha hai. Isse bolo naa main iss bilkul bhi naraz nhi hu. Isse bahot pyaar karti hu. Nahi jee sakti iske bina. Bolo naa isse. Dekho naa yeh meri baat tak nhi sunn raha hai. Subah toh mujhse baat karne ke liye tadap raha tha aur ab jab baat kar rahi hu toh kitna attitude dikha raha hai.
Varun maine jo tumhe thappad maara tha agar tum uske liye mujhse naraz ho toh I Am Sorry Varun. Chaho toh tum bhi mujhe maarlo. Par please mujhse baat karo Varun. Yeh bol uska haath mein apna sir rakh ke rone lagti hai.
Yash: Sonuuu. Chupp hojao. Mat ro. Kuch nhi hoga Varun ko. Woh theek hojayegaa. Dekhna bahot jald woh tumhe phirse pareshan karegaa.
Soniya kuch nhi bolti bas waise hi uske haath mein sir rakh ke baithi rehti hai.
Yash: Chalo bahar chalo Sonu.
Soniya: Nahi bhai aap jaao. Main kuch der Varun ke saath rahungi.
Yash bhi uski baat maanke bahar aajata hai.
Soniya wahi pe Varun ka haath apne haath mein leke baithi rehti hai aur uske haath mein kiss karti hai.
Soniya waise hi baithe baithe Varun ki shararat ke baare mein soch kar kabhi has deti toh kabhi usko rona aajata. Woh bas ektak Varun ke chehre ko hi dekh rahi thi. Par tabhi uske haath mein thoda pressure feel hota hai.
Pehle toh Soniya ko lagta hai uska veham hai par jab woh pressure thoda aur badh jaata hai aur uske haatho mein kisi ki ungliyon ka aihsaas hota hai toh woh jorr se chillati hai.
Soniya: Shalini buaaaaa. Yashhhhh. Buaaaaaaaa. Jaldiii aaiyeeeee.
Bahar sablog Soniya ki awaaz sunke darr jaate hai. Sablog andar bhagte hai.
Mehak: Kyaa hua Sonu. Tum itni jorr se chillai kyooo.
Soniya: Buaa buaa Varun ko hosh aaraha hai. Hosh aaraha hai Varun ko. Buaa aap check kijiyee please jaldi check kijiyeee.
Sab: Kyaaaaaa.
Soniya: Haaaa. Buaaa aaiye naa. Jaldi dekhiyee.
Shalini jaldi se Varun ke paas aake usko achhe se check karti hai. Paas mein rakhi machines pe najar ghumati hai toh woh khush hojaati hai.
Shalini: Bhaiyaa bhabhi Varun ab khatre se bahar hai. Isko thodi der mein hosh aajayegaa.
Radha yeh sunte hi bahar bhaagti hai mandir ki taraf jaha Sangeeta abhi bhi baithi hui thi.
Radha: Buaa ji buaa ji. Bhagwaan ne aapki sunn li. Varun ab khatree se bahar se. Usko kabhi bhi hosh aasakta hai.
Sangeeta: Kyaaa kyaaa tu sachh bol rahi hai. Meraa Varun ab thikk hai. Usko hosh aaraha hai.
Radha: Haaa buaaa jiii. Shalini buaa ne check kiya hai. Varunn ab thikk hai. Usko kabhi bhi hosh aajayegaa.
Sangeeta bhagwaan ke aage haath jorr ke. Aapka bahott bahot shukiriya bhagwaan. Tune ek maa ki pukaar sunnli. Mujhe mera beta wapas kardiyaa. Aapka bahot bahot shukriyaa.
Radha: Chaliye jaldi chaliye.
Sangeeta waha se sidha Varun ke room mein bhaagti hai. Jaha sab khadee thee.
Sangeeta: Varunnnn. Shalini mera Varun thikk hai naa ab.
Shalini: Haa didi ab Varun khatre se bahar hai. Bhagwaan ne ek maa ki pukaar sunnli. Ab Varun ko kabhi bhi hosh aasakta hai.
Sangeeta: Tumhara bahot bahot shukriya Shalini. Tumne aaj mujhe meri zindagi mere jeene ki wajah wapas de di.
Shalini: Maine kuch nhi kiyaa didi yeh toh ek maa ke pyaar ki shakti hai. Aur maa ke pyaar ke saamne koi shakti kaam nhi aati.
Sangeeta wahi Varun ke paas baith jaati hai jaha itni derr se Soniya baithi hui thi.
Vijay: Aap sab bahar chaliye. Yaha itne jann ka rukhna thikk nhi.
Shalini: Haaa sirf Sangeeta didi aap rukiye. Aur baaki sab bahar chaliye.
Phir sab bahar aajate hai. Soniya ka waha pe Varun ke paas hi rehne ka mann tha par woh bhi majburan bahar aati hai.
Vijay ne authority se baat karke 2 khaali patients cabin le liye the. Toh sab unn 2 cabins mein chale jaate hai.
Idher Sangeeta Varun ke paas hi baithi hui thi aur uske sir ko sehlaa rahi thi.