Death Kiñg
Active Member
- 1,396
- 7,031
- 144
Urri baba estory khatam bhi ho gayi... Bahut bahut Jaguaar saahab ek aur kahani poora karne ke liye... Coming to some last updates... Raj aur Sonal ki prem kahani mein ek ke baad ek kayi mushkilen aayin jismein kabhi Sonal aur kabhi Raj ke Pyaar ka imtihaan hua par dono ne hi apne pyaar ki taqat se unn sabhi problems ka saamna kiya aur ant mein Krishna & Megha ke roop mein dono ko do behad hi anmol tohfe bhi praapt huye...
Ishita – Samar aur Aarav – Payal ki bhi jodiyan ban gayi aur wo bhi apne apne ghar mein settle ho gaye... Idhar Sonal ka apni beti ka naam Megha rakhna ek baar firse dil ko chhoo gaya... Ant mein Dono bachon ka Raj ko pareshaan karna aur unki mastiya bahut hi pyaari thi... Un dono ke zariye aakhir Kapoor House mein ek nayi hi khushi janam jo le chuki thi...
Khair, ek bahut hi khubsurat kahani ka ek bahut hi khushnuma ant jahaan Raj ko apne intezaar aur mehnat se Sonal mili wahin Sonal ko apne Bepanah Ishq ke chalte Raj... Kahaan to Raj apni zindagi se munh mod chuka tha aur kahaan aaj uske ghar mein do bachon ki kilkariyan goonj uthi...
Ye kahani Sonal ki hi to thi, Raj jo khushiyon aur Pyaar se apna naata tod chuka tha, Megha ke jaane ke gam mein shayad khud ko hi bhula chuka tha, usse ek naya jeevan diya Sonal ne... Apna patni hone ka har farz poora kiya aur kabhi badle mein Raj se kuchh nahi maanga... Nateejtan aakhir mein Raj bhi Sonal ke aage apna dil haar baitha... Wahin jab Sonal ki Memory gayi tab Raj ne apne Pyaar ki pariksha di aur poore ankon se usmein khara bhi utra...
Majorly Raj aur Sonal ke Prem Prakran par bani ye kahani kayi aur kirdaaron ko bhi saath lekar chali... Chahe wo ek achhi bahu, biwi aur Bhabhi ke roop mein Nandini ho, joki mera pasandida kirdaar bhi rahi story ka... Ya fir ek sache Dost ke roop mein Yash... Ya fir Mental Problems se jhoojhti Neha joki baad mein Vishal ke Pyaar ke dhaage mein bandh gayi... Aur bhi bahut se kirdaar aaye gaye jinmein se kuchh negative vibes bhi laaye... Par ant mein saari negativity ka khaatma hua, yahaan tak ki Vicky ka bhi hriday parivartan ho hi gaya...
Aapko bahut bahut congratulations Lekhak saahab, iss masterpiece story ko anjaam tak pahunchane ke liye... Daily ek update dena, aur weekend par do, apne aap mein bahut kathin kaarya hai par poori story mein aapne schedule banaye rakha jiske liye aapki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...
Pyaar, Gam, Khushi, Nafrat, aur bahut se Emotions ke rang mein rangi ek behad hi khubsurat kahani thi ye jisse apne lekhan ke jaadoo se aur bhi behatreen bana diya writer saahab ne...
Thanks fir completing this Excellent Story Bhai... Keep Writing...