CHAPTER 15
Devika aur amar dono do manzila ghar ki chhat pe apni apni chair par baithe huye the. December ki thand aur apna hath sekne ke liye kuchh lakdiyon se aag jalayi thi aur dono ke ek ek hath mein red wine thi.
Apni chuppi todate huye divika boli, ‘ amar tum yaha akele hi rehte ho?’
‘ha, mere maa papa mere bade bhai ke sath sheher mein hai, meri transfer bhi hoti rehti hai aur main duty par jyada time rehta hu to vo akelapan mehsus na kare isiliye bade bhaiya ke sath rehte hai,’ amar ne apni baat rakhte huye kaha.
‘aur tumhari biwi,I mean tumhari shadi to ho gayi hogi,’ devika ne puchha.
‘Ji, huyi thi, par abhi divorce ho chuka hai hamara,’ amar ne thande swar mein kaha.
Devika yah baat sunkar thoda chaunki kyuki amar me aisi koi galat baat nahi thi jisase usko koi chhod kar jaaye.
Tum batana chahoge kyu tumhara divorce hua, I am sorry main personal kar rahi hu baat ko,’ devika ne kaha.
‘Koi baat nahi devika, personal ki koi baat hi nahi hai, actually meri biwi radhika paison ki badi shaukeen thi. usne mere sath shadi hi shayad isiliye ki thi ki main police mein hu aur government job hai,’ amar ne kaha aur baat chalu rakhi.
‘sach kahu to vah chahti thi ki main apni position ka fayda uthau aur rishwat loon aur bahut saara paisa ghar mein lau, par maine kabhi police ki job isiliye ki hi nahi thi ki mein kisi ni-sahay ka faayda utha kar uske paison se apni jeb bharu’, amar abhi bhi bol raha tha. ‘par ye baat usko manzur nahi thi aur main bhi apne decision par kaayam tha. Main logo ki sewa karna chahta tha, sach kahu to rishawat lene walon se mujhe sakht nafrat hai to main kaise rishwat le sakta tha.’ Amar ne apni bat khatam karte huye kaha.
‘To tumne direct Divorce de diya,’ devika ne puchha.
‘nahi, maine usko kafi samjaya uske pariwar wale bhi mujhe uski baat manane ke liye mazboor kar rahe the. Aur jab main apni baat nahi maana to mere aur mere pariwar pe kayi aarop lagakar radhika ne hi mujhko divorce de diye,’ amar thoda nirash hot hua bola aur apni wine ki glass ek jhatke mein khatam kar di.
Devika ko uss par taras aa gaya, usko pata nahi chala ki vah amar ko kya kahe usne apna hath uske hatho par rakh diya aur boli, ‘ I am sorry amar for your loss, mujhe lag raha tha ki meri hi life mein itna dukh hai par tum bhi meri tarah dard ke sath har pal ladte aaye ho.’
‘it’s okay, abb aadat si ho gayi hai aise jeene mein devika, sach kahu to zindagi mein bahut kam mauke aate hai jaha par hum apne aap pe vishwas kar ke kuchh galat nahi karte. Meri life mein bhi vahi mauka tha apne aap ko sach saabit karne ka aur maine wahi kiya rishwat na lete huye.’ Amar bola
‘I think har policewala tumhari tarah sochne lage to desh badal jayega amar,’ devika boli.
‘desh nahi khud ko hi badalna chahiye desh apne aap badal jayega,’ amar ne apni awaz mein vishwas milate huye kaha.
Devika uske saamne dekh kar sirf muskurayi. Vah soch rahi thi ki kaha vikram aur kaha amar. Dono puri tarah alag hai. Vikram ko apni biwi ki koi fikar nahi hai vah sath mein hote huye bhi, aur amar ki awaz mein kitna dard hai apni biwi ko lekar, usne jo kiya vah sochkar.
Usne socha sirf mard hi galat nahi hote, kayi baar aurate bhi galat hoti hai.amar bhi ussi ki tarah akela tha, koi sahara nahi tha upar se divorce aur apne parivar pe lage galat aaropo ko bhi usne sahan kiya tha. Vah amar ki haalat ko dekh kar apna dukh bhul gayi thi.
‘abhi kaha hai radhika,’ devika ne puchha.
‘suna tha vah kisi bade businessman ke sath shadi karke USA mein settle ho gayi hai,’ amar ne kaha.
Devika kuchh nahi bol paayi.
‘ but you know devika, main khush hu uske liye usne jo sapna dekha tha usko usne pura kar hi liya,’ amar ne dukhi swar mein kaha.
Devika ne amar ko dekha uski ankhein thodi namm ho gayi thi vah dukhi hayi ki usne yah baat nikal kar amar ko dukhi kiya aur usne amar se maafi maangi ‘ sorry amar meri wajah se tumko dukh hua, tumne meri jaan bachayi thi amar aur tumne hi mera hausala badhaya hai. Mere jeene ka nazariya tumne hi change kiya hai. Uske liye thank you’ devika ne kaha.
‘It’s my duty devika, agar koi aur bhi hota to bhi main yahi karta, mujhe achha laga tum apne dukh se ladd rahi ho aur usase bahar nikal rahi ho,’ amar ne devika ki ankhone mein dekhte huye kaha.
Devika ne amar ka hath apne hathon mein liya aur kaha ‘thank you amar , aur hum dono ek hi dubti naav ke adhure musafir hai mujhe lagta hai hum agar ek ho jaaye to hamari dubti naav sahi salamat kinaare pe pahuch jaayegi.’ Devika ne kahte huye uske hatho ko chum liya aur uth kar neeche chali gayi.
Amar usko jaate huye dekhta raha, vah bhi thodi der ke baad neeche gaya. Devika apne bedroom mein thi, uski peeth amar ki taraf thi.
Amar ne pass jaa ke uska hath pakda to vah uski taraf ghum gayi. Devika ki ankhon me amar ne apne liye pyaar aur pyaas dono ko dekha.
Aage badhte huye amar ne apne honth devika ke pankhudi jaise mulayam aur raseele gulabi honthon par rakh diye.