update 36...
Neetu ki jab aankh khulti hai ...to wo bistar par padi thii...Rama devi uske paas baithi thii...jaise hi neetu ki aankh khulti hai ..Rama devi uske sir par pyar se hath pherte hue bolti hain....
Rama devi.....neetu tujhe kya ho gaya thaa ...pata hai ..tu dayaal sing ki haweli ke bahar behosh padi thii...wo to acch huwa ki suraj kisi kaam se haweli ke bahar nikla thaa..aur usne tujhe yahan pahuncha diya...
neetu ek nazar Rama devi ke taraf dekhti hai...magar kuch nahi bolti...neetu ko chup dekh kar Rama devi phir se bolti hain...
Rama devi.....neetu tu kuch bol kyun nahi rahi...kya tu ab bhi mujhse naraz hai..
neetu ki aankhon me paani thaa suraj ko hamesha ke liye khone ka paani....neetu dheemi aawaz me bolti hai...
neetu ....nahi maa ab main aapse naraaz nahi hoon...bilki main khush hoon ki meri maa ne itna accha kaam kiya...
Rama devi.....tu chahti thii ki main teri shaadi suraj se karwa dun ..main kal hi dayaal sing se teri aur suraj ki shaadi ki baat karti hoon....
neetu ....nahi maa ab dayaal sing se baat karne ki koi jarurat nahi hai....
Rama devi.....kyun neetu tune hi to kaha thaa...aur ab keh rahi hai ki koi jarurat nahi hai.....
neetu ....suraj madhu se pyar karta hai..aur bahot jald un dono ki shaadi bhi ho jaayegi .jab tak dillagi ki thii mujhe sab kuch mila thaa magar jab pyar kiya to mujhe kuch nahi mila ...mera pyar adhura reh gaya maa..
Ye kehte hue neetu Rama devi se lipat kar phoot phoot kar rone lagti hai....neetu ke aansu dekh kar Rama devi bhi rone lagti hain....
Rama devi......chup ho ja neetu duniya me naseeb se badhkar kuch nahi milta...jitna naseeb me likha hota hai wahi milta hai...shayad tere naseeb me suraj ka pyar nahi thaa..
Neetu ...maa kya kisi ko pyar karna gunaah hai..maine to pyar kya thaa..mujhe to pata hi nahi thaa ki pyar ko paane ke liye naseeb ki bhi jaroorat hoti hai ...
Rama devi....chup ho neetu..mujhse tere ye aansu dekhe nahi jaate...
magar aaj neetu ke aansu rukne ka naam nahi le rahe thee...
Neetu...maa ye aansu to ab shayad jindgi bhar behte rahenge ..
Rama Devi jyada der neetu ko aansuon ko nahi dekh saki aur uth kar dusre kamre me chali gayi...
Neetu bhi apne bistar se uthti hai ...achaanak uska ji michlaane lagta hai...aur wo bathroom me ghus jaati hai...
bathroom me ghuste hi neetu ko ultiyan hone lagti hai...ulti karne ke baad neetu acche se apne chahre ka saaf karti hai...aur bathroom se bahar nikal aati hai...
Neetu phir se apne bistar par baithti hai...phir kuch yaad aate hi phir se khadi ho jaati...
neetu ka dil ghabraane lagta hai...wo tezi se apne room se nikalti hai...aur apni gaadi lekar shehar ki taraf chal deti hai......
Neetu man me....he bhagwaan kahin ye sach to nahi hai...is baar mere peeriads nahi aaye hain...Maine suraj ke sath koi sefti to rakkhi hi nahi thii...
Neetu ghabraate hue shehar pahunch jaati hai...aur medical store se pregnancy check karne ki ek kit kharidti hai...
neetu jab check karti hai to wo ander tak kaamp jaati hai ..kyunki pregnancy kit me do laal nishaan is baat ka saboot thaa ki neetu pregnent hai....
neetu ke kuch samajh me nahi aa raha thaa ki wo ye baat suraj ko kaise bataye ..nahi nahi...main suraj ko kuch nahi bataungi main kisi ke pyar par daka nahi daal sakti ...
magar tab kya hoga jab sabko ye baat pata chalegi ki main pregnant hoon...log puchenge ki ye baccha kiska hai to main kya jawaab dungi...
neetu ke man me do awaazen gunjne lagti hai....
soch mat neetu bata de suraj ko ki tu uske bacche ki maa banne wali hai....
nahi nahi main nahi bata sakti ...uski madhu se shaadi hone wali hai...main kisi ka pyar nahi cheen sakti ....
neetu agar tune ye baat suraj ko bata di to tera pyar hamesha ke liye tera hoga ...madhu hamesha ke liye suraj ki jindgi se door ho jaayegi ...
main apne pyar ke liye kisi aur ki Bali nahi chadha sakti ...madhu ek acchi ladki hai...kya sochegi wo ..main itni bhi swarthi nahi hoon ...jo do pyar karne walon ko alag kar dun...
agar tune suraj ko kuch nahi bataya to tu jindgi bhar royegi ...aur phir isme swarth kis baat ka ..tu suraj se pyar karti hai..aur pyar me sab jayaj hai...
mujhe jindgi bhar rona manzoor hai ..magar main ye nahi kar sakti...kehte hain ki tyag karne wala bada hota hai..main bhi apne pyar ka tyaag karungi...
agar tune aisa kiya to log tujhpe hasenge aur puchenge ki is bacche ka baap kaun hai...sab is bacche ko haraami kahenge ..tab kya karegi tu...
isko koi haraami nahi keh sakta ye mere pyar ki nishaani hai...main jahan bhi jaaungi .jab bhi mujhe suraj ki yaad aayegi main apne bacche ko dekhungi. aur sochungi ki mera pyar mere sath hai...
tu kahin bhi jaayegi ye duniya wale jaroor puchenge ki iska baap kaun hai ..tab kya jawaab degi ...
iska ilaaz mere paas hai ..koi is bacche ko haraami nahi bol paayega ....
neetu ek kathor nirnay le chuki thii .....
neetu der nahi karna chahti thii...isliye wo jaldi se wapas ghar pahunchti hai ..aur Rama devi se bolti hai.....
neetu ....maa main shaadi karna chahti hoon ..tum jaldi se jaldi meri shaadi karwa do...
Rama devi.....magar tu to bol rahi thii..ki madhu aur suraj ki shaadi hone waali hai ..phir teri shaadi suraj se kaise ho sakti hai...
neetu ....main suraj ki baat nahi kar rahi ..tumko jahan bhi accha lage wahan se meri shaadi karwa do..magar jaldi karo..
Rama devi muskurate hue....
Rama devi...itni bhi jaldi kya hai ..teri shaadi bhi ho jaayegi...
neetu....maa agar main yahan ruki to main suraj ko bhool nahi paaungi...mera dil har taraf suraj ko hi dhundega...isliye main yahan se jana chahti hoon aur ek nayi jindgi shuru karna chahti hoon...
ye kehte hue phir se neetu ko aakhon me aansu aa jaate hain...Rama devi neetu ke aansu pochte hue bolti hain...
Rama devi.....chup ho ja neetu..tune bikul sahi nirnay liya hai...jo nahi mil sakta usko bhool jaana hi accha hai.....
neetu.....maa aapko meri shaadi ek hafte ke andar hi karwaani hai...main yahan aur nahi ruk sakti...
Rama devi.....theek hai main ek hafte ke andar hi koi accha sa ladka dekh kar teri shaadi karwa dungi...
Rama devi ki baat sunkar neetu apne room me chali jaati hai...aur phir se rone lagti hai .....
....................................................................
idhar ajay ek shehar se dusre shehar dusre shehar se teesre shehar bhaagta phir raha thaa....
Ajay ko pata thaa ki agar wo apne gaon ke nazdeek waale shehar me ruka to uska baap usko jaroor dhund lega....aur jaise hi wo apne baap ke haath laga uska baap usko jinda nahi chhodega....
Ajay ka sochna bilkul sahi thaa .dayaal sing ne apne kuch aadmiyon ko ajay ko dhundne bhej diya thaa....
..................................................................
Ye ittefaaq thaa ye kuch aur dayaal sing ne bhi suraj aur madhu ki shaadi ko ek hafte ke andar karwaane ka faisla kar liya thaa....
dayaal ne suraj se jaisa kaha thaa ki shaadi tak madhu se door rehna ....jaise hi suraj madhu ko ye baat bataata hai....madhu thoda udaas ho jaati hai...magar wo khush thii....
idhar Rama devi bhi neetu ki shaadi fix kar deti hain...suraj tak ye baat pahunchne me der nahi lagti ..ki neetu ki shaadi fix ho gayi hai....
suraj neetu se milne chala jata hai...jaise hi neetu suraj ko dekhti hai ...neetu ke dil me ek dard sa uthta hai...suraj se door jaane ka dard ...
neetu apne din ke dard ko apne chahre par nahi aane deti ...aur muskuraate hue suraj se baaten karne lagti hai...
suraj ....neetu maine suna hai tum shaadi kar rahi ho ..kya ye sach hai...
neetu.....haan suraj ye sach hai....waise tumse ek baat puchun...
suraj .....hmmmm
Neetu ....suraj tum mujhe bhuloge to nahi ..
suraj ....neetu main tumhe kabhi nahi bhool sakta..tumne mujh par bahot ehsaan kiye hain ...agar main bhi tumhare koi kaam aa sakta to mujhe bahot khushi hogi...
Neetu....suraj mujhe apne liye koi kaam nahi hai...wo kya hai ki mere jaane ke baad meri maa bilkul akeli ho jaayengi ..tum inka khyaal rakhna...
Suraj ....tum chinta mat karo main tumhari maa ka bilkul apni maa ki tarah hi khyaal rakkhunga...waise bhi meri maa nahi hain isi bahane mujhe bhi maa ka pyar mil jaayega...
Suraj ke muh se ye sunte hi neetu rone lagti hai aur rote hue suraj ke gale lag jaati hai....
Neetu.....suraj mujhe tumhari bahot yaad aayegi ..
kuch der aur baat karne ke baad suraj chala aata hai...
dheere dheere shaadi ka din aa jaata hai aur neetu vida hokar chali jaati hai....ab ghar me sirf Rama devi reh gayi thii...bilkul tanhaa bilkul akeli....
neetu ki shaadi ke ek din baad suraj aur madhu ki bhi shaadi ho jaati hai....
......................
.....................
doston kahani ke baare me apni rivew jaroor den...aur mujhe batayen ki neetu ka kya hona chahye....kya neetu ko bhi suraj ki jindgi me aana chahye ya nahi aana chahye........dhannywaad