"arey ek cheez to dekhi hi nahi???"teeno me se ek bola
"Wo wo trishul ka nishan"doosra bola
"Dhatt tere ki.chalo wapas"teesra bola aur teeno wapas a gaye bholu ke ghar
Bholu unhe wapas dekh thoda chaunka.teeno hasmukh hokar khade rahe darwaze par
"Ek chota sa doubt clear kijiye "ek aadmi bola
"Kya???aur tum log wapas kyun a gaye??bataya to tha ki mai wo nahi jinhe tum dhoond rahe ho"bholu bola.lekin sab ne ye sunkar bhi ansuna kar diya
"Pandit ji ne kaha tha ki ek nishan check karna,apni peeth dikaiye"doosra aadmi bola
Bholu itne sakte me a gaya ki usne apni kameez ko thoda upar uthaya teeno ek saath us nishan ko dekhkar bole
"Aah ye to poora mil gaya,hai na hariya??"ek aadmi bola
Aur hariya namak aadmi ne sar hilaya.
"Dekhiye aap ekbar chaliye.wahan pehle jaisa rajpath nahi raha lekin abhi bhi rajmahal hai,naukar chakar gaadi sab hai.aap sirf saath chaliye"hariya bola
Bholu chupchap sochne laga .aaj waise bhi uska is ghar me akhiri din hai.kal sahukar aakar ghar dakhal kar lega fir kahan jayega wo???
"Thik hai chaliye"bol bholu ek choti si gathri lekar chal pada
-------------------------------------------------------------------------------GOVINDPUR
ek choti si jagah.yahan ek samay raja ji ka bada naam tha.lekin daaku bhavesh Chowdhury ke haathon mar diya gaya raja ji ko
Ye baat govindpur me bachha bachha jaanta hai
Bholu jab pohuncha to Shaam dhal kar raat ho gayi thi.
Mahal aalishan tha aur bholu lagbhag chakkar khakar girne wala tha
Gaadi aakar darwaze ke saamne ruki aur bholu utarkar tak tak dekhne laga us mahal ko
Apne kapde dekhkar sharm mehsoos ho rahi thi use
"Welcome welcome raja sahab"ek pagdidar 50-60 varshiya buzurg aakar saamne khade ho gaye .bholu unke pair choone ja hi raha tha ki unhone mana kar diya
"Ye kya kar rahe hai raja sahab??aap raja hai.aise har kisi ke pair me na giriye mera naam adiyanarayan pandit hai,in teeno ko maine hi bulaya tha"adiyanarayan bole
Bholu chupchap sunne laga
"Sabse pehle to ander aakar fresh ho jaiye,kal se aapki training shuru.jo ek raja karta hai wo sab kuch sikhaya jayega.aaj sirf rest kijiye "bol Panditji chale gaye
Bholu sabse pehle bathroom gaya fresh hone
Arey baap re ye to khud ek kamra hai.kitne saare sabun.kitne saare shampoo aur pata nahi kya kya.ek meethi meethi si Khushboo bhi a rahi thi
Bholu ko acha lagne laga.lekin abhi tak uske samajh me ye nahi aaya ki jab wo ek daaku ka beta hai.jaisa ki use bataya gaya tha to ye log kyun use raja banane par tule hue hain???
Khair fresh hokar usne naye kapde pehen liye.kapde poore fir ho rahe the.jaise ki uske liye hi banaya gaya ho
Raat ka khana bhi dumdaar tha
Shahi pulao,biryani,naan,kofta,mutton curry,chicken,salad , rasgulla,cham cham aur kheer
Zindagi me pehli Baar itna lazeez khana khaya usne
Sone ki jagah bhi kitni pyaari
Ek mote gaddedar bed aur makhmal sa.chadar.
Aaj to ghode bechkar soyega bholu
Lekin raat ke lagbhag 12 baje kisi ne bholu ko sote se uthaya
"Raja sahab uthaiye,raja sahab uthaiye"
Bholu turant uthkar baith gaya aur saamne dekhne laga
Ek Aadmi khada tha saamne
"K koun ho tum??"bholu bola.aise hi aaj itna sab kuch ho gaya.ise zyada tajjub nahi laga
"Ek praja apne raja se milne nahi a sakta raja sahab??"aadmi bola
"Haan lekin...."
"Lekin kya??mai to apne raja ji se milne aaya tha,bhavesh Chowdhury ka beta jinka..."us aadmi ko beech me hi rok diya bholu ne .
"Ek daaku tha mere pita.naam mat lijiye unka"bholu gusse se bola
"Brahmesh chowdhury tumhare dada ke dada raja the.angrez bhi unhe salam thokte the,pratesh Chowdhury tumhare dada ke pitaji first world war lade the,naresh Chowdhury tumhare dada ek raja hi nahi ek ache golf player bhi the,bhavesh chowdhury bhi ek ache raja the"wo aadmi bola
Sab sunkar bholu ko bohut ajeeb laga
"Kyun??mai jo bol raha hoon uspar yakeen nahi??"aadmi bola
"Yaaken karne layak ho to karu na"bholu bola
"Sabkuch sirf kaan ke bharose nahi chodna chahiye.kuch paise,ek shadyantra ,ek afwah aur peeth par chura
Sab khatam,chalta hoon do din baad aunga"bol wo aadmi jaane laga
"Are naam to batate jao"bholu peeche se bulaya
"Aur haan yahan bachkar rahiye,ye sab ek bade matlab ke liye aapko yahan lekar aaye hai,shubh ratri"bol aadmi chala gaya
Bholu ke aankhon se neend gayab ho chuki thi