Chapter 3:- Entering the Spatial Kingdom
Brown kingdom mein raat ho gayi thi. Aur isi beech ek young lardka apne kamre mein bahut serious hokar betha tha. Yeh lardka koi aur nahi Arjun hi tha woh jahi soch raha tha ke kabh butler Ramesh uske kamre se nikle aur woh Spatial Kingdom mein enter kare.
Usi wakt butler Ramesh Black Plain ki yatra ki planing kar rahe the. Jo ki kuch ki dino mein ohno ne karni thi.
Jaise hai Arjun ko privacy mili usne bilkul v time nahi gaveya aur apni ring ko activate kiya aur apni jagah se gaeb ho gya.
Laghbagh usi hi wakt Arjun ek aisi jagah transport ho gaya jiska vatavaran bahut lubabna tha.
Yeh ek bahut hi vishal jagah thi jiski limit toh Arjun ko dikh hi nahi rahi thi. Halanki Brown kingdom mein is wakt raat thi lekin yeh jagah toh din ki tarah bright thi. Is jagah ki Spiritual Energy ki density toh Brown kingdom ki rajdhani se 1000 gunah jayda thi.
Is jagah mein 1000 se v jayda trees the ja keh sakte hi ki har ek tarah ka tree jo ki is world mein paeya jata hai woh sabhi is Spatial kingdom mein mojud the. Aur harek tree ka apna ek aura tha woh energy emit kar raha tha.lekin is energy ko differentiate karna abhi Arjun ke liye mushkil tha kyunki uski cultivation abh tak shuru v nahi huyi thi.
Vaise v jahan ek vardi jheel thi aur uske pass hi mojud ek khule elake mein ek bahut hi varda ghar ban huya tha. Aur yeh kaha ja sakta tha ki yeh khuli jagah cultivation karne ke liye ek dum perfect hai.
Kuch wakt chalne ke baad Arjun ne paeya ki jahan par bahut sari Spiritual medicine mojud hai jo ke ek Spiritual Sage ke istemal ke liye hai.
Abhi mujhe bahut ait karna hoga ki mein is medicine ka use kar sako.
Akhirkar Arjun phir jheel ke pass mojud ghar mein enter karta hai jo ke ek tarah beech house jaisa hi tha bahut khula aur varda ghar malum pardta tha.
Ghar mein dakhil hone ke baad jab Arjun ke ghar ka ache se jaeyja liya toh paeya ke is ghar mein takreeban 20 kamre hai aur sab ka alag alag washroom hai. Ek kamre mein toh varda sa table rakha huya tha jiske sath 10 chairs v rakhi huyi thi aur unme se 2 kamro mein sofas aur beth kar battein karne ki suvidah thi. Poora ghar hi bahut acha decorate kiya huya tha. Lekin ek kamra Arjun ki dikha jo uski attention kheech raha tha.
Uski memories ke mutabik jo ki usko inheritance se parapt huyi thi is kamre mein tin Spatial rings rakhi huyi hai jin mein Spiritual weapons,spiritual crystals, techniques specialized in cultivation, moving, attack, soul, healing, etc mojud hain.
Jitna ki mujhe gayan hai uske mutabik techniques ko v talent ke hisab se bhivajit kiya gya hai jaise ki: white, blue, black, silver, and golden aur in techniques ke beech mein yeh fark hai ki ek user ko kitni Spiritual Energy use karne ki jarurat hai ek Technique ko activate karne ke liye.
WHITE (40%)
BLUE(50%)
BLACK(70%)
SILVER(100%)
GOLDEN(200%)
Agar hum ek example ke tor par dekhe ki agar ek Blue talent ka person attack launch karta hai aur dusra person jo ke Golden talent ka hai woh attack launch karta hai toh Golden talent wale person ka attack Blue talent wale person se 4 guna jayda powerful hoga.
Ek aur baat techniques ko v agge alag alag phases mein divide kiya gaya maan lizeye ke do person hai same talent ke prantu ek ne sirf 5 phases hi master ki hai balki dusre ne 10 toh jisne 10 phases master ki hai uski efficiency aur power bahut jayda hogi dusre person se.
Is world mein aap ek stage par sirf ek hi technique ko sikh sakte hai isi liye sab apni technique ko varde dhiyan se chunte hai. Mostly people cultivation shuru karne ke liye jaydatar strong aur jayda phases wali technique hi choose karte hai. Kyunki agar uhno ne achi technique nhi chuni toh agge jab woh high level par pahunche ge tab unhe usse achi technique ko sikhne mein bahut pareshani hogi even ke aisa v ho sakta hai uska cultivation level bahut slow v ho sakta hai.
Technique ki harek phase ki alag alag viseshtaye hai. Man lejeye agar ek technique hai uski 5 phases hai toh jaise jaise cultivator 1, 2, 3 phases sikhe ga uski power ka area, power, accuracy sab increase hoti jaye gi.
Isi wajah se Arjun ko varde dhiyan se kisi achi techniques ko choose karna hoga upar se jitne v weapons Spatial Rings mein rakhe hai unko sirf Silver aur Golden talent wala person hi use kar sakta hai woh v tab jab uska level 60 ho jaye.
Sabhi Spatial Rings ko achi tatah dekhne ke baad Arjun ne ek technique khud ke liye chun li yeh ek Golden level ki technique thi jiske 11 phases the aur technique ka name hai "Solar God Breath". Yeh technique ko sikhne ki kuch bonus effect v the jaise ki user double speed se din mein Spiritual Energy collect kar sakta hai aur second jaise jaise user harek phase ko par karta jate ga kuch special rewards v mil sakte hai use.
Arjun ne kuch aur time lageya kuch low level ki cheeze ikatha karne mein jisse use cultivation mein help mil sake.
Arjun ne butler Ramesh ke liye v ek technique select ki aur khud beth gya cultivation mein.
Arjun ka goal tha ke woh utni der tak cultivation kare ga jab tak woh level 1 tak pahunch nahi jata.
**************
Agar meri progress isi speed se hoti rahi toh mein toh level 10 tak sirf ek mahine mein hi pahunch jayonga.
Agar mein jahan par mojud Spiritual crystals ka v istemal kar pata toh meri speed aur v jayda ho sakti thi. Lekin yeh crystal bahut hi high level ke hai. Jab tak mein Spiritual Saint ki stage tak nahi pahunch jata nahi toh meri body in crystal ki energy ko jhel nahi paye gi.
Abh Spiritual crystal ki baat hoi hai toh inke vare mein batan doon. Spiritual crystal ko v tin categories mein divide kiya gya hai low concentration , medium concentration and high concentration . Ek high level crystal 10, 000 times jayda concentrated hota hai low level crystal se. Aur ek medium level crystal 100 times concentrated hota hai low level crystal se.
Low garde crystal ka use level 20 - 49 ek beech ke cultivators karte hai, medium grade crystal ko use karte hai level 50 to 69 ke cultivators Aur cultivator jinka level 70 ja usse adhik hoga woh use karenge high grade crystals.
Jab Arjun level 10 par pahunch jaye ga toh woh beginning of transition ki stage tak pahuch jaye ga. Aur jab woh level 20 tak a jayega jo ke Spiritual beginner ki stage hogi tab use jarurat parde gi low garde crystals ki.
Lagta hai mujhe bahut samay ho gaya hai jahan par agar grandpa Ramesh mere room mein a gaye aur unhe mein room mein na mila toh mein kiya kahon ga unhe ki mein kaha tha. Aur apne sochne bhar se hi Arjun apne room ke bed par teleport ho jata hai.
Mujhe grandpa se poochna hoga ke hum kabh Black Plain mein sift ho rahe hai aur yeh v information leni hogi ki mere pita ji kitne crystal aur kiya kiya cheeze chordh kar gaye hai peeche.
Upar se mujhe Black Plain ki Spiritual energy ko v increase karna hoga. Yeh sab sochte huye Arjun grandpa ke pass chala jata hai aur unse sari battein karke vapis apne kamre mein akar so jata hai.
************
Poori raat Arjun so kar gujarta hai. Aur jab uski subah neend khulti hai toh use uske cook se pata chatla hai ke grandpa Ramesh kuch jaruri kaam niptane gaye hai aur ohno ne sab se kaha hai ki sab afternoon tak tiyar rahe. Kyunki hme Black Plain ki taraf jana hai..
Yeh world jayda technologically developed nahi tha log bahut simple treeke se rehte hai. Aur ek jagah se dusri jagah jane ke liye carts ka use karte jine keechne ke liye Spiritual beast ka use kiya jata tha.
Jahi reason tha ke grandpa Ramesh carriages ka intezam karne gaye the kyunki Arjun ki family ke pass itne carriage aur beast nhi the.
Arjun ke pita ke marne ke baad Arjun ke pass sirf 20 naukar the aur 10 guards. Sath mein lezane ke liye saman v itna nahi tha. Lekin phir v jitna v tha unko taransport karne ke liye rent par aur carriages lene ki jarurat thi.
************
Takriban 12 baje ke ass pass hi 12 carriages Brown Kingdom ki rajdhani se nikal kar city ke south ki taraf jane lagi. Kyunki Black Plain city capital se south ki direction mein hi tha.
Capital se Black Plain tak ki duri 4,000 km thi jise poora krne mein hafte se kam ka samye lagna tha. Kyunki Arjun ke kafile ka pass jo Spiritual beast the woh 3rd garde Spiritual beast the jo ke din mein lagbag 1,000 km tak ka fansla teh kar sakte the.
************
Isi beech Silva family ke palace jo ke Setting Sun ki city mein majood hai. Wahan palace ke ek kamre mein Silva family ke do elders majud the jo ke tea pete pete chess khel rahe the.
In dono elders ne silver colours ki robe pehni huyi thi jinme se ek ka nam Sarabjit Silva tha jiski lambhi shafed dardi thi. Sarbjit Silva hi is time Silva family ke head the jinka level 57 aur stage Spiritual King thi.
Aur dusra old age person tha Jayant Silva jo ke level 52 par tha. Aur jahi skashs tha jiska haath tha Arjun ke pita ji Avesh Singh ki death ke peeche.
Jayant Silva ko dekhne bhar se hi unse shite level ka cultivator dar ke baagh jaye. Jayant Silva ka dekh ke hi lagda tha ke yeh ek evil person hai. Aur uska pehrahva v vasia hi tha uske lambhe grey colour ke bal the aur usne grey colour ki hi robe pehni huyi thi.
Jayant ne apni chal chalte huye apne sahmne bethe head se bola. "Sarabjit ji" meine suna hai ke general Avesh ka lardka aaj apne sare naukar aur guards ko lekar Black Plain ke liye nikal gya hai. Abhi kal hi woh behoshi ki halat se utha hai aur sunne mein aeya hai ke woh ek dum fit hai. Agar aap ka hukam ho toh kiya use raste mein hi mar de.
Nahi…. Jayant, hame aisa action lene ki koi jarurat nahi hai. Vaise v woh 15 sal ka ho chuka hai usne abhi tak cultivation tak v shuru nahi ki hai upar se jis jagah woh ja raha hai wahan ki Spiritual Density itni kam hai ke woh toh asani se Spiritual warrior tak v nahi ban sakta hai. Aur 20 shote mote guards se woh hamara kuch bigard v nahi sakta hai.
Lekin Sarbjit ji, uska woh naukar Ramesh woh uska kiya, Jayant chai pete pete bolta hai.
Jayant tum uski v fikar mat karo woh toh ek doctor hai woh v hamara kuch nahi bigard sakta hai. Upar se us lardke ne agar humse badla lena v huya woh nhi le sakta. Kyunki usko toh apne pita ke level tak pahunchate hi 50 years se jayda lag jayen ge ja shahed jayda hi.
Upar se tab tak hamri power kitni grow ho jaye gi hum toh is wakt level 50 ke upar hai. Jayant tum uski chinta chordo apni rani bachayo. Le jo check aur mate.
Jayant jab haar jata hai toh woh pehle apne family ke head ko congratulate karta hai. Aur akre v kyun na family ka head hai uski toh chaplusi karne parde gi.
Phir dono kuch der aur battein karte hai aur Jayant waha se chala jata hai aur peeche reh jata hai akela Sarabjit room mein.
Sarabjit Silva ajj bahut khush tha kyunki Brown Kingdom ki Rajdhani Red velly abh uske kabje mein a gyi thi jo ke pore kingdom ki sabse jayda Spiritual density wala jagah thi. Apni vardi c shahi kursi per betha Sarabjit chai ki ek chuski leta hai aur evil hasi haste huye kehta hai abh toh woh sale Miller v mera kuch nahi bigard sakte hai.
Milte hai next update mein aur dekhte hai kiya milta hai Arjun ko us Black Plain mein. Jaan ne ke liye bane rahe kahani ke sath.
Thank you