- 2,398
- 5,181
- 144
A cheater wife can make him pervert.

spoiler
ye kahani aek sidhe sadhe ladke ki hai ...kaise vivah ke baad uski life me toofan ate hai kya wo unse lad payega or haar man ke ghutne tek dega..
Last edited:
Matlab bhairav nikal liya Rolex ko to rok lenge ye log kya Salil mask man ko rok paeyngeEpisode 42.
Ting ting...door khula hua tha fir bhi ayan andar nhi jaa raha tha..
ajaye andar...itne me Geeta ne akar kaha..
ayan : maa ji ko bhej do kehna Mai bahar khada hon .
geeta : tum sabji bechte ho na..
ayan : tu to gharo me kaam karti hai...ab jao bhejo unhe..
geeta wapas mud gayi...andar aayi to andar mishi aarohi aur uski mummy teeno baithi thi..
geeta : wo sabje bechne wala salil ka dost apko bula Raha hai..
aarohi : oh aashiq..to aap chali jaogi..apne to kaha tha mere sath rahogi.
suhasini :nahi.. tum jao use mana kar Lao bhai hai tumhara..
aarohi : kis mooh se mummy..aur aarohi ka sar jhuk Gaya..
suhasini : jao sneha isse pehle wo chala jaye..
hami bharti hui aarohi room se nikal gayi..aur chalti Hui gate ke pass aayi..
andar nahi aaoge..aarohi ne ayan ko dekhte hi kaha..
ayan ne aarohi ko dekha fir ignore kar Diya..wo jane ko hua ki piche use suhasini ati dikh gayi..
aarohi : Mishra ki maut ka mujhe bilkul bhi afsos nahi...wo darinda mera baap hai isme meri kya galti..Mai so nahi pati hon ye sonckar ki wo Mera baap hai..
pass akar aarohi ne hath jod liye..
aarohi : kya mere liye mafi nahi hai..rote hue aarohi ne ayan ke pair pakad liye..
ayan ye dekh piche ho gaya..
aarohi : mera koi bhai nahi hai..wo darinda harsh usi darinde ka beta hai..sirf tum ho jise Mai apna keh sakti hon...tum chhod jaoge to kaise jiyungi..aarohi minnate karte hue boli..
ayan : uska kya jo tumne mere bhai ke sath me kiya...tumne dhoka Diya use..uski izzat thi tum...jhamela ke mooh se futne wale sabdo ko sunkar aarohi ki hichkiyan bandh gayi..
ayan : mujhe Marna chaha mere dushman ki beti ho isme tumhara kasur nahi agar tum uske jaisi nahi sab maaf ho sakta hai lekin ye nahi..Mai kabhi ye maaf nahi kar sakta mere bhai ki wife tumhare jaisi ho..
aarohi : Maine dhoka apne sath Kiya hai..mujhe is daldal me lane wali unhi ki bahan thi...tum rolex mujhe jo saza denge manjur hai..aarohi rote hue uthi aur pass akar usne jhamela ka hath pakad liya..
aarohi : Mai iski Kasam kha kar kehti hon ab kabhi Aisa kam nahi karungi jisse mere bhai aur mere pati ka sar jhuke..aarohi jhamela.ka hath pet par rakh kar boli
ayan : kya matlab.
suhasini : sneha ke pet me salil ka bacha hai..
Ayan apni maa ki baat sunkar pighal gaya..
suhasini : ayan ek bar maaf kar do ise..mere liye..ab isne Aisa kuch Kiya jisse Mera sar nicha ho to sonch lungi ye mar gayi hai mere liye..
na chahte hue bhi ayan ne aarohi ko dekh sar hila Diya...jo dekh aarohi uske gale lag gayi...
aarohi : apne Bhai ko pakar mujhe sare jahan ki daulat mil gayi...paglo ki tarah aarohi use chumne lagi...
suhasini : chalo andar chalte hai...
Teeno andar aye...
aarohi : tum baitho Mai tumhare liye coffee lekar ayi...
Mishi : servent ko bol do..
aarohi : apne Bhai ke liye Mai khud karungi....
mishi : ruko Mai bhi aa rahi hon...mishi ko dekh jhamela use pehchanne ki kosish kar raha tha...
jab mishi jane lagi tab usne dekha mishi langda kar chal rahi hai...
ayan : maa ye badal gayi hai na.
suhasini : agar apne baap ke jaisi hoti to mere ek bar kehne par bacho ko mere sath na bhejti...tujhe apni maa par to yakin hai na...
ayan : jaan se bhi jyada..
kuch der baad aarohi kai tarah ki mithai aur coffe lekar ayi aur sab usne table par ache se jhamela.ke.pass rakh di...
aarohi : chalo aao...hath pakad kar aarohi ne jhamela ko chair par bitha Diya... Fir khud uske pass baith gayi .coffe hath me jhamela ko thama kar wo khud sweet utha ke khilane lagi...
aarohi : sharmao mat chalo Khao..
suhasini : kisi ne dekha to nahi yahan ate hue...
Jhamela : nahi maa rumal bandh kar aya..police Wale dikhe to rasta badal Diya..
aarohi : itni sari army waha kyo ayi thi kya hua tha waha...
Ayan: wo salil ke liye ayi thi...Mai jab gaya to Maine police dekhi wo log mujhe andar nahi Jane de rahe they..fir Maine bataya Mai salil se Milne aya jab unhone mujhe dekha to arrest karne lage jis par Mai shyad badal Gaya tha..fir jhamela batane laga..
Ayan : wo Mera Bhai hai maa..aur meri maa bhi Zinda hai...meri chhoti maa..
suhasini : kya sach me..
jhamela sar hila deta hai...
suhasini : Mai bahut khush hon tumhe tumhare apne to mile...
ayan : bas pet bhar gaya waha se kha kar aya tha...
chair se uth kar jhamela fir bed par akar baith jata hai...
aarohi bed par akar baithte hue jhamela ka sar pakadne lagti hai..
aarohi : chalo ajao.mujhe apne Bhai ko pyar karna hai.jhamela ka sar jhuka kar aarohi apni gaodi me use lita leti hai..
jhamela : tu is tarah ke kapde nahi pehna kar bahan...aarohi gym dress me thi jisme uski body shape saaf dikhai de rahi thi.
aarohi : aap jaise kahoge vaise pehnugi...mujhe apne sath shopping par le chalna..kehte hue aarohi uska sar dabane lagi...
jhamela : Abe Mai mujrim hon azadi se ghum nahi sakta..
aarohi : Mai kosish karungi kisi tarah se..apko inoncent sabit krne ki .
jhamela : nahi tu kuch nahi karegi..tu pehle hi bahut galtian kar chuki hai...ham apni problems se khud nipat lenge...
aarohi : bhai..mujhe mere pati chahiye..aarohi ki ankh se ansu nikla aur jhamela ke chahere par gira..
aarohi : wo nahi mile to Mai mar jaungi...mujhe wo chahiye..
aarohi ki baat sunkar jhamela uth kar baith Gaya...
rote hue aarohi uske gale lag gayi...
aarohi : Mai mar jaungi Rolex ke Bina...
Jhamela : Mai baat karunga usse lekin jab salil hoga Rolex kabhi nahi ayega..wo dono alag hai aarohi..samjh is baat ko..
Aarohi : mujhe wo chahiye...bolte hue aarohi ke mooh se lar nikalne lagi..jo tab nikalti jab koi gham me ho...
Aarohi : apni bahan ka suhag agar tum na laye to Mai apni Jaan de dungi.
jhamela : tu rona band kar mai baat karunga usse...
aarohi : wada karo..aap laoge na..
jhamela : haa chal ansu poch...apne hi rumal se jhamela aarohi ke ansu pochne laga...
jhamela ka pyar dekh aarohi uske gale lag gayi..
aarohi : mummy apne mujhe duniya ki sabse badi khusi de di mujhe Mera Bhai dekar..Mummy Mai janti thi ye mera bhai hai mera bada bhai...mai inhe paise bhi deti thi jyada jab sabji lene jati thi..
jhamela : tu janti thi fir tune kyo nahi bataya...
aarohi : Mai sure nahi thi ki aap hi mere bhai ho sana ki tarah dikhte they bilkul isliye ye sab karti thi...
mishi : really great matlab sirf bhan ki tarah dikhta hai to itni meherban ho gayi...
aarohi : nikla bhi to mera hi bhai na..you know what jo ek maa ka dudh pite hai wo bhi sage bhai bahan hote hai bhale janm Dene wali maaye alag alag ho...
jhamela : sahi kaha tu mere liye aisi hi hai jaise Sana aur aashna..
jhamela ki bat sunkar aarohi aur usse sat kar baith jati hai..
aarohi : un dono ko kyo nahi laye..niharika to mere samne badi hui aur Sana bhi...niharika ek badi bahan ki tarah mera sath diya...uske sath jo hua sonch kar Dil jal raha hai bhai...
suhasini : kyo udas kar rahi hai use...
aarohi : Mai bhi na..kyo nahi laye dono ko...
Jhamela : wo India me nahi hai...
aarohi : fir kaha hai wo...
jhamela : khansaristan caiptan ziyan ke ghar par...
aarohi : ye kon hai aur ye khansaristan kaha hai...
jhamela : bhut lambi kahani hai tu bata baat karegi unse...
aarohi : haa aur Mai kahani bhi sunugi...
jhamela ne call laga di...kafi der tak aarohi baat karti rahi apni behno se....
aarohi: ab mujhe batao ye caiptan ziyan kon hai aur khansaristan kaha hai...aarohi ne call cut ho jane ke baad pucha..
jhamela ne mishi ko dekha fir aarohi ko..
jhamela : fir kabhi..
aarohi : ye meri bachpan ki dost hai mishi Don't worry bharose ki hai...ab ye mere sath rahegi ek darinda iske piche pada hai..to Maine apne pass rok liya..
jhamela : tumhe dekh kar aisa lagta hai jaise pehle dekha hai..han yaad aya mia Gupta...
jhamela ke kehte hi mishi aur aarohi dono ke chahero ke rang ud gaye...
jhamela : wo na ik number ki gadhi thi uske bhai ne apni galat adato ki wajah se suicide kiya wo kutia badla salil se lene agayi...
jhamela ki baat sunkar dono ek dusre ko dekhne lagi..
aarohi : aashiq bhai wo na...
ting ting..
itne me aarohi ka phone vibrate hone laga..
Aarohi ne number dekha fir apne Bhai ko..
Aarohi : bhai abhi ayi...kehte hue aarohi uthi aur room se nikal gayi.
mishi : Mai bhi ati hon..uthkar mishi chalte hue bahar aayi jahan aarohi kisi se gusse me baat kar Rahi thi...
mishi : kis par bhadak rahi hai .
aarohi : wahi Rohit hai...itne ache mood me thi Sara mood kharab kar diya...
mishi : use chhor vaise bhai se bhut chipak Rahi hai...
aarohi : shut up yar..
mishi : kyo wo mard nahi hai...
aarohi : kya matlab hai Tera..
mishi : meri setting Kara de green man se sattle ho jaungi yaar Teri tarah..
Aarohi : salil ne dekh liya tujhe to soncha hai kya hoga..chal ab..
mishi : to salil de de mujhe..
aarohi : rat bhar narbhachi ke sath aag bujha kar tu mujhse mere pati ko mang Rahi hai...aarohi gusse me ubalte hue boli.
mishi : uska pehla pyar mai hon..
aarohi : yahan rehna chahti hai ya nahi..Teri jal Rahi hai mujhse..
mishi aarohi ko dekhti reh jati hai lekin kuch kehti nahi...
aarohi : chal ab...
mishi : tu Jaa Mai surya sir ke pass Jaa Rahi hon..
aarohi : mere bhai ko pta na chale na mummy ko ki wo yahan hai..
mishi ne sar hilaya aur piche ko mud gayi...
aarohi chalte hue room me aayi aur jhamela se baten karne lagi ..
aarohi : yahan le aao sabko...Mai chupa kar rakhungi...
ayan : thik hai Mai baat karunga...
ting ting....itne me aarohi ka phone fir bajne laga...
aarohi : anu...number dekhte hue aarohi call pic kar leti hai...
aarohi : hello anusuiya...
anusuiya : aarohi...mujhe Teri zarurat hai ..mujhe Maharaj ne kaid kar liya hai...
aarohi : kya matlab kaid kar liya kisne kiya kaid...tujhe kon kaid kar sakta hai..
anusuiya : jiske liye Mai kaam karti thi...batane ka samay nahi hai tu base se mujhe nikal sakti hai..
aarohi : tune mujhe hi kyo call ki..
Anusuiya : mere sabhi log Maharaj ke log hai siwaye tere...tu ayegi ya nahi..
aarohi : Mai tere Bhai ke sath hon..
kon hai...suhasini se hat kar jhamela ne phone aarohi ke hatho se le liya...
aarohi : anusuiya hai use uske boss Maharaj ne kaid kar liya hai...
ayan : hello didi...
anusuiya : aashiq...tum..
ayan : kaha ho aap...
anusuiya : base par hon...
ayan : thik hai Mai aa raha hon...
aur jhamela ne phone aarohi ko de diya...
jane ke liye jhamela uth gaya...
aarohi : Mai bhi chalungi sath...
ayan : nhi tum maa banne wali ho..
Aarohi: sab taraf police hi police hai yahan se nikal deti hon...
suhasini : wo sahi keh Rahi hai..agar pakde gaye to der ho jayegi...
jhamela ne hami bhari aur dono sath me chal diye...
Aarohi ne car nikali jisme jhamela baith Gaya.....
*********************
Officials ki report ke baad Maharaj aur mohini udas baithe they...
aap dono ka mooh kyo latka hua hai..kyo bulaya mujhe..Mona andar ate hue boli...
maharaj : agayi tum...
mona : haa agayi...
mohini : 4 hazar se zyda faujio ko usne maar Diya hai aur itne hi buri tarah ghayal hue...
mona : kisne...
mohini: rolex wo agaya...
chatt..jhatke se Mona ke hath se phone gir Gaya...
mona : ye kaise hua...wo kaise aa sakta hai..
mohini: Mai usse hotel me mili..Surya na ata to wo Anu ko maar deta...fir mohini batane lagi...
mona : do hi dino me itne sare logo ko maar Diya..
maharaj : faujio ki jaan se badkar meri vish kanaye thi jinhe usne jala diya...
mona : anu kaha hai...
maharaj : wo randi kaid me hai...
mona : pagal ho Gaye ho..sabse bade hathiyar ko tumne kaid ne daal Diya ..
Maharaj : bewakoof ladki apne baap se kis tarah se baat kar Rahi hai...khaal udher dunga Teri...
mona : pita ji Mai keh rahi hon uski bahan hi hai Jo use kabu kar sakti hai..
maharaj : kuch der pehle charan ne kaha wo apne baap ke bare me Jaan gayi hai...tujhe lagta hai iske baad wo hamare kisi kaam ki rahi...
mona : ha pita ji...aap to jante hai apko kya karna hai...
mohini: kya matlab...
maharaj : samjh Gaya..abhi use uski post par bahal karta hon..
mona: abhi tak Mai uski dushman hon apna sach Jaan kar wo pita ji ko Marne ke liye pagal ho jayega...
maharaj :tum uske dimag me ghus sakti ho...
mona : dekhti hon...aur Mona ne ankhe band kar li..
mona : maharaj bhairav uncle ko bachao....Mona pareshan hote hue boli ..
mohini : kya hua....
mona : wo bhairav ke ghar jane wala hai....uski sonche reh reh kar bhairav ki taraf jaa rhi hai...
maharaj : tum control kar sakti ho..
mona : wo telekinesis janta hai uski soncho me chher chhar ki to wo pakar lega...
maharaj : mai bhairav ke ghar army bhejta hon...
**************************
ting ting....
drive karte hue dono jungle wale park me agaye they...ki itne me aarohi ka phone bajne laga...
aarohi : anusuiya hai...aarohi car rokte hue boli..jis par gate khol raha ayan ruk jata hai...
Aarohi : hello Anu...aur aarohi handsfree kar deti hai ..
anusuiya : tu mat aa Mai nikal aayi hon..
ayan : kaise...kya Rolex..
anusuiya : nahi aashiq...mulaqat hogi fir kabhi to bataungi..
ayan : maine pucha kaha ho abhi Mai lene aa raha hon..
anusuiya : tum mujh par hukm nahi chala sakte...
aarohi : ye tumhara saga bada cousin hai Anu...
Ayan : mujhe pata hai tumhe kaise line par lana hai ..jhamela ke swar me gussa agaya tha...
wahi aarohi ki bat sun anusuiya chup ho gayi thi...
anusuiya : kya tum bade papa ke bete ho..anusuiya bharaye swar me boli..
Ayan : han..
anusuiya : mujhe rolex rehne dega apne sath kya meri maa sach me Zinda hai...
ayan : mai Mila hon unse...
anusuiya : rolex mujhe Jaan se mar dega..
ayan : mai hon na mai bachaunga tumhe ...choti maa se nahi milogi...
anusuiya : Mai raat me apse akar milti hon aarohi ke ghar mera intezar karna...
ayan : abhi kyo nahi ..koi problem hai to Mai ajata hon na...
anusuiya : nhi bhai Mai thik hon promise Mai apse rat me akar milti hon...
aur anusuiya call cut kar deti hai...
aarohi : chalo ghar chalte hai wo ajayegi...
aur aarohi car muda deti hai ...
*****************************
raat ko anusuiya maharaj ke samne hajir hoti hai...anusuiya dekhti hai room me 2 guard aur guru Charan dad ke sath mona aur mohini bhi hai....
maharaj : to tumhe sab pata chal Gaya Maine tumhare pariwar ko mara...kehkar Maharaj anusuiya ko dekhne lagta hai Jo koi jawab nahi deti..
maharaj : badla Lena chahti ho..Anu fir koi jawab nahi deti ..
ye dekh Maharaj mohini ko ishara karta hai Jo Anu ke pass akar use gun thama deti hai ..
maharaj : chaho to apna badla le sakti ho...lekin pehle meri baat sun lo...
Anu ke hath gun pakde Kanp rahe they..
Maharaj : ye Mai nahi tha jisne tumhare pariwar ko mara ye tumhara nana tha..
charan das : jab Geeta tumhe sacchai bata rahi thi tab Mai uske dimag me baitha tha Mai chahta to rok sakta tha use..lekin Maharaj ke kehne par Maine Aisa nahi Kiya...wo chahte they tumhe sacchai pata chale..
Anusuiya : abhi bhi aap mere dimag me ho...
charan das : adat se majboor hon...
maharaj : mujhe Marne ke baad tum kya karogi Anu... Maine kaha jawab do..
anusuiya : mujhe nahi pata..I mean Mai apko nahi maar sakti ..Maharaj ke zor dene par Anu ke honth hile..
charan : ye sach keh Rahi hai ise afsos hai apno ko khone ka ..lekin apke liye gussa nahi...
maharaj : janta hon ye mujhse bhut pyar karti hai...iske liye Mai devta hon..
anusuiya : aap mere liye devta ho..
maharaj : sahi kaha meri bachi...Mai batata hon tumhe wo sach jo tum nahi janti...tum jis duniya me ji rhi ho isme wapsi nahi hoti...mera sapna mere sath mar jayega...tumhara bhai tumhe kabhi nahi apnayega wo kaise apnayega jiske samne tum dusre mardo ke sath intimate hui...ye zindagi jo maine tumhe di hai aish ishrat wali ye khatm ho jayegi..tum kya pehnogi kaha jaogi ye tum nahi wo decide karega..kya tum apni azadi khona chahti ho mujhe mar kar..bolo anusuiya ..chalo chaho to tum mujhe maar do...tumhe ek aur apna raz de raha hon mai..aur Maharaj apne face par se mask hata deta hai...
anusuiya : pandit Krishna narayen Murthy...anusuiya ke mooh se hairat se nikla...
maharaj : ha Mai ab tumhe asani hogi mujhe marne me...chalo chalao goli anu...
anusuiya gusse me apna nishana Maharaj ko bana leti hai...
maharaj : tum se mujhe tabhi pyar ho gaya tha jab tum Jawan Hui thi..tumhe koi ganda vyakti hath lagaye usse pehle maine tumhe shudd kar diya...meri bachi ye sapna hamara tha sambhidan ko badalna mere sath ye bhi khatm ho jayega ... Aur tum ye power ye fame sab kho dogi....Mai tha jisne tumhe sab kuch Diya...
anusuiya : aur iski kimat kya di Maine apne mera rape kiya....
maharaj : tumhe Aisa lagta hai to maar do mujhe....kar lo apna badla pura meri bachi...
chatttt..
anu ne rote hue trigger dawa Diya... nishna tha uska apna sar ...
jab goli nahi nikli to Anu dekhne lagi...
maharaj : tumhara test tha mujhe Marti to isme se goli nikalti...pass akar Maharaj ne gun Li aur uski magzine khol kar Anu ko dikha di...
maharaj : ab tumhe apni wafadari sabit karni hai ..
anusuiya : kaise karni hai..
maharaj : humare bagal Wale room me tumhara baap hai ...jao maar do use...Maharaj ne gun badal kar anu ko de di...
anu ne gun badalte hue dekh liya lekin kaha kuch nahi....gun lekar wo chal di...chalte hue wo ek room ke pass ayi...
uske aate hi room ki diwar ka ek chhota sa door khula jisne se sirf khana Diya jaa sakta tha...usme se anusuiya ek aadmi ko hairan pareshan baitha dekhti hai...jiski dahdi bhut badbi thi sar ke baal bhi....chahere par wakt ki maar thi...use dekh anusuiya ki ankho se ansuo ki lari behne lagti hai..
papa Mai kya banu bari hokar...nanhi anusuiya samar se lipatte hue boli...
meri ladli jo tum chaho..
apko kya pasand hai papa....
mai chahta hon tum doctor bano..khabardar jo ilaj ke paise liye...
kyo papa hamse to lete hai doctor paise...
Hmmm wo isliye ham unki tarah nahi...hamare Desh ki 50 carore ki abadi me se 15 caror log bhuke sote hai jinke pass ilaj ke paise nhi..ab samjhi Lugo ki help karna hi sabse bada dharm hai...
samajh gyi papa...
aaah meri sehzadi....
sab yaad ate hi anusuiya ka jism kanpne lagta hai...
maharaj : nahi hoga to wapas ajao..tum jaa sakti ho Anu....Maharaj piche se awaz dete hue bola...
charan : bhulo mat anu tum kya ho ..
mantri ji apko pure maze dungi...
are charo ko jhel lungi just fuck me babes...
mera bhai bhi agaya tab bhi nahi rukungi Mai zor se chodo vishnu..
sali randi...
faad do apni is randi ki chut....
charan das : kya hoga jab use pata chalega tum kya ho....tumne kya Kiya hai...iske bare me file thi jisme pada tha Maine ye bahut hi acha insan hai..coma se jagne ke baad jab ise pata chaleha uski beti banglore ki sabse badi high profile rand hai to kya guzregi us par...jite ji roz marega..
apni zindagi ko yaad karke anusuiya ankhe saaf karke ankhe band karte hue trigger dabane lagti hai..
Dhaye......
fire hota hai lekin goli nahi nikalti...
Mona : calppping tum fir pass ho gayi ho...
mona ki awaz sunte hi chota sa hole band ho jata hai jisme se anusuiya apne baap ko dekh rahi thi...
kuch na samjhte hue anusuiya Maharaj ko dekhne lagti hai...
maharaj : ye bhi test hi tha tumhara...
chalte hue anusuiya Maharaj ke pass akar gun use de deti hai...
maharaj : tumhe fir se tumhari madam queen ki post par bahal kiya jata hai ab tumhara access utna hi hai jitna Charan das ka hai...mona ke jitne meri bachi...
anushiya : mere papa...
maharaj : tum kya chahti ho wahi hoga unke sath...
anusuiya : Mai chahti hon wo is shaher se kahi door chale jaye...aur wo Zinda rahe...
maharaj : aisa hi hoga...lekin usse pehle tumhe Mera ek kaam karna hai Jo tumhe Mona samjhayegi...
anusuiya : Mai janti hon...
maharaj : thik hai ab tum jaa sakti ho...jald hi mujhe achi news dena...
anusuiya sar hila kar piche ko ghum jati hai..jiske sath Mona aur mohini bhi....
anusuiya : sona kaha hai...
mohini : apne room me aram kar rahi hai tere aane se pehle hi Maine use medicine di thi...
anusuiya: mujhe uske pas le chal...
mona : to is bar kya karna hai...jaaneman...
anusuiya : salil par ab bullet bhi asar nhi karti tu hi bata kya karun...Mai to use marna chahti hon...usne bhut si inoncent ladkio ko bedardi se mara hai..wo sab meri ankho ke samne Mari...
mohini : usne yahan bhi tabahi machai Kareeb 4k logo ko bhut buri tarah mara hai..Maharaj ne us par attack karaya tha...
mona : rolex ko sulaya to wo kabhi bhi wapas aa sakta hai use khatm krne ka ek hi upay hai use salil se alag kar Dena..uska brain operation.
anusuiya : ye kaise hoga...
mona : isse...kehte hue Mona bag se ek injection nikal ke Anu ko de deti hai..
mona : ise dene ke bad salil ki heartbeat bilkul slow ho jayegi uski body paralyze...wo bhi pure 5 dino ke liye...antitode nahi Diya to khel khatm..Maine doctor ki team tayar kar li hai tu bas ye de de...uske bad Mai uska opration kara dungi ..
mohini : is taraf...room kholkar mohini usme ghus jati hai uske sath hi mona aur Anu bhi...
anusuiya injection apne bag me rakh leti hai...
didi... sona anu ko dekh boli..
anusuiya : leti raho...pass akar anusuiya sona ka hath pakad leti hai ..
anusuiya : ab kaisi ho tum .. anusuya ke prashn par sona ki ankhe chalak padti hai aur wo apna sar apni bahan ki gaodi me rakh leti hai...
sona : didi mai jina nahi chahti...Sona fut fut kar rone lagti hai...
anusuiya : chal Ghar chalte hai....sahara dekar Anu Sona ko uthane lagti hai....
***************************
ayan aya nahi beta Mera Dil ghabra Raha hai bhut dekh kitni raat ho gayi...raat ke 10 baj rahe they....maaa ne upar akar kaha...
mai : maa wo ajayega bacha nahi hai...
pi...pi...itne me bike ke horn ki awaz ayi....
mai : aap log niche jaye mai dekhta hon...
jine se mai chhat par aya bahar dekha to bahar chikna khada tha khana liye...mai jump maar ke uske pas aya...
chikna : bhai khana...ham apni marzi se le aye hai...agli bar apni pasand ka kuch mangwana ho to bata do...
mai : nahi bhut hai ye..
chikna : thik hai Bhai subah milte hai...
mai : tu bike chhod jaa...raat me ksisi samay yahi se le jana...
chikna : aap abhi kahi jayenge...
mai : nahi sabko khana khilane ke baad..
chikna : thik hai tab Tak Mai yahi wait kar Raha hon...aaoge to fir le jana warna bike paar ho jayegi...
mai : thik hai ata hon...
khana.lekar mai andar aya fir sabke sath baithkar khane laga....
khana acha laya tha wo...roasted meet aur noodles pasta...sath me parathe bhi they jo salil ke liye laye they lekin mujhe paratho se elergy thi ...
baith kar ham sab khane lage..
aashna : maa Mai hostel chali jati hon...
maa : bewakoof ladki Tera Bhai itni musibat me hai ham chhupkar reh rahe hai aur tujhe hostel Jana hai ..
aashna : iski problem hai to ye dekhe na Mai kyo apni zindagi kharab Karu...
chattakkkk.....
maa ne thappad mara to wo gusse me uth gayi....
maa : khana chhodegi to bhut marungi...
aashna : maar do maa kam se kam habsio ki gandi nigaho se to bach jaungi ..kehkar wo room me ghus gayi..
mai : khila kar aya maa.
khana plate me lekar Mai uske pass aya..
mai : chal kha le...
aashna : tu Jaa yahan se....warna marungi...
mai : mujhe khud nhi pta Maine wo kaise kar liya..mujhe maaf kar de...
aashna : jo tune Kiya hai ye mafi ke layak nahi...thukenge log tujh par..
mai : tu thuk le...Mai bhut sharminda hon...Maine hath jod liye...
aashna : maaf to kar dungi lekin tu mujhse ab door rahega kabhi touch nhi karega...
mai : wada karta hon..chal.kha le...
mere manane par wo khane lagi...
apne kukramo ki wajah se meri bhuk mar gayi thi....
sabko khila kar Maine lita diya fir upar agaya....
half hour baad Mai basement me aya..
mai : sanjana..hey sanjana...
bhai aap...so nind se jagte hue boli...
mai : bhai kyo bol Rahi hai...
sanjana : aap meri bua ke bete ho isliye kaha...
mai: nahi Banna hai..chal uth...hath pakad kar maine use khada kar diya..
nind me hone ki wajah se khadi hote hi wo girne lagi to Maine use bahon me bhar liya mera hath uski kamar par use thamne ke liye chala gaya...uske lips mere galo par akar lage...
sanjana : sorry Bhai...
mai : Abe Bhai kyo bar bar bol Rahi...
wo ankhe masalne lagi...
chal aa...use lekar mai upar aya...
sanjana: kyo laye aap yahan...
mai : tune bhairav ka ghar dekha hai...
usne haa me dar hila Diya ...
mai : chal mujhe le chal...
sanjana : itni raat me...
mai : haa chal ab...use lekar Mai upar aya... Gate se bahar jana Maine thik nahi samjha...
mujhe nashe ki talab lag rahi thi lekin Maine bardast karna hi sahi samjha...
maine sanjana ko bahon me utha liya..
sanjana : ye kya kar rahe ho...
jawab diye Bina Maine jump maar di...
usne mujhe kaskar pakad liya..
acha ye hua wo chiki nhi...bahar hi mujhe chikna mil gaya...jisse Maine bike. Li aur sanjana ko piche bithaya...
Mai : mere ane tak yahi rehna koi andar jane na paye.....
chikna : befikr raho..
uska jawab sun Maine bike bhaga di....
fir sanjana mujhe rasta batane lagi aur Mai udhar hi chalne laga...
******************************
Ting ting.....Krishna Narayan Murthy so raha tha uska phone bhut der se baj raha tha...
phone ki awaz sun unse adhi nind me call pick karke phone Kano se laga liya...
maharaj : hello kon.....
udhar ki awaz sunkar Maharaj ka mooh khula ka khula reh Gaya...uski nind ud gayi....uske hath se phone bed par gir Gaya....
hosn me ane par usne well press ki...
sir aap thik hai..
ek naukar bhagta hua andar aya..
maharaj : jaldi se Mona aur mohini madam ko bhejo...
naukar hami bharte hue chala gaya....
maharaj kapde pahanne laga..
kuch der baad dono room me thi...
maharaj :mohini jet tayar karo mai jaa raha hon...
mohini : kaha Jaa rahe ho pita ji..
mona : ohh shit....
maharaj : mere dimag me ghusna band kar ladki...
mohini : Mumbai kis liye...
Maharaj : army high tech hathiyar sab istemal karke dekh liya lekin koi uska nahi bigad saka...agar Puri army bhi usse ladne Beji tab bhi wo Jeet jayega...
mohini: fir kya karenge...
Maharaj : hame koi uske jaisa hi chahiye hoga...siya ke bharose Mai nahi baith sakta...
mohini : uske jaisa lekin ye kaise mumkin hai...mere to course se hi bahar hai pita ji...
maharaj : samar se ladne me bhi meri help unhone hi ki thi charan das ko dekar..Shetty sir jo is desh ke asal karta dharta hai...16 salo me meri unse sirf ek baar hi baat Hui...pm.se bolo meri meeting karane ke liye..aur Mona tum mere ane tak yahan ki incharge ho...
maharaj ki baat sunkar dono behne hami bharti hai..wahi mohini call karne lagti hai....
Bilkul glat bat vro story kisi ko jhutlane ke liye nhi likhi Jaa Rahi hai..asal me kya hua ye to age hi pta chalega..दो बातें
एक, मेरे को झुठलाने के कारण अनसुईया को विलेन मत बनाओ भाई। कोई कितना भी भक्त क्यों न हो किसी का, पर उसके परिवार को मारने वाले और खुद उसका रेप करने वाले को कोई भी माफ नहीं करता कभी।
दूसरी, आरोही एकदम से कैसे सुधरी, और अगर जो वो रोहित की नहीं हुई तो वो सलिल की कैसे होगी?