• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Adultery Bungalow No. 13

Status
Not open for further replies.

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 37

"Kaise aana hua?" Mishra ne chaay ka cup mere saamne rakhte hue puchha
Us din court mein meri koi hearing nahi thi isliye poora din mere paas tha. Office jaane ke bajay maine Priya ko phone karke kaha ke main thoda der se aaoonga aur sidha police station ja pahuncha.

"Vo tujhe bataya tha na maine ke Bungalow 13 ke baare mein ek book likhne ki soch raha hoon?" Maine kaha
Mishra ne haan mein sar hilaya

"To main soch raha tha ke uske purane malik ke baare min kuchh pata karun aur vahan hue pehle khoon ke baare mein kuchh aur jaankari haasil karun" Maine kaha

Mishra ne sawaliya nazar se meri taraf dekha jaise puchh raha ho ke main usse kya chahta hoon.

"To main soch raha tha ke kya main Aditi murder case ki file par ek nazar daal sakta hoon?" Maine puchha

Mishra ne thodi der tak jawab nahi diya. Bas meri taraf khamoshi se dekhta raha.
"Pakka kitaab ke liye hi chahiye na information?" Usne puchha

"Nahi. Gade murde ukhadne ke liye chahiye. Aditi ke bhoot se pyaar ho gaya hai mujhe" Maine kaha to ham dono hi has pade.

"Puchha padta hai yaar. Classified information hai aur saale tu dost hai isliye tujhe de raha hoon. Aey karmakar idhar aa" Mishra ne ek constable ko aawaz di

Mishra ke kehne par vo constable mujhe lekar record room mein aa gaya. Aditi murder case bahut purana tha isliye vo file dhoondhne mein ham dono ko ek ghante se zyada lag gaya. File milne par main vahin ek desk par usko padhne beth gaya aur jo information mere kaam ko ho sakti thi vo sab alag likhne lag gaya.

Mujhe koi andaza nahi tha ke main ye sab kyun kar raha tha. Soni murder case ka is murder se koi lena dena nahi tha sivaay iske ke dono ek hi ghar mein hue the.

Soni murder par meri madad Rashmi Soni ko chahiye thi par Aditi murder case mein mujhse kisi ne madad nahi maangi thi aur itni purani files kholne ke mere paas koi vajah bhi nahi thi sivaay iske ke us Bungalow mein aksar raaton mein logon ne kisi ko gaate suna tha aur aajkal mujhe bhi ek gaane ki aawaz takreeban har roz sunai deti thi.

Aadhe ghante ki mehnat ke baad maine file band kar di. Jo information mujhe apne kaam ki lagi aur jo maine likh li vo kuchh yun thi.

Aditi kaun thi aur kahan se aayi thi ye koi nahi janta tha. Uske baare mein jo kuchh bhi files mein tha vo bas vahi tha jitna usne apne pati ko khud bataya tha.
Files ke mutaabik Aditi ke pati ne police ko bataya tha ke Aditi kahin kisi gaon se aayi thi.

Uske maan baap bachpan mein hi mar gaye the aur kisi rishtedaar ne usko paalkar bada kiya tha. Par vo uske saath maar peet karte the isliye vo vahan se sheher bhaag aayi thi taaki kuchh kaam kar sake.

Vo dekhne mein bala ki khoobsurat thi. Yun to police files mein uski ek black & white photo bhi lagi hui thi par usmein kuchh bhi nazar nahi aa raha tha. Bas ek dhundhla sa chehra.

Uski khoobsurati ki vajah se usko naukri dhoondhne mein koi pareshaani nahi hui. Bungalow 13 mein usne saaf safai ka kaam kar liya aur baad mein uske malik se shaadi bhi kar li.

Uske pati ke hisab se shaadi ki 2 vajah thi. Ek to uski khoobsurati aur doosra unke beech ban chuka najayaz rishta. Vo ghar mein safai ke saath Bungalow ke maalik ka bistar bhi garam karti thi.

Malik ek bahut hi shariff kism ka insaan tha aur usko laga ke usne bechari us ladki ka fayda uthaya hai isliye apne gunaah ko mitane ke liye usne ghar ki naukrani ko ghar ki malkin bana diya.

Uske pati ke hisaab se shaadi ke baad hi Aditi ke rang dhang badal gaye the. Jo ek baat Aditi ne khud hi uske saamne kabool ki thi vo ye thi ke vo pehle bhi kisi ke saath hambistar ho chuki thi par kaun ye nahi bataya aur na hi uske pati ne jaane ki koshish ki kyunki vo guzre kal ko kuredne ki koshish nahi karna chahta tha.

Aditi ka nature bahut violent tha. Vo zara si baat par bhadak jaati aur uske sar par jaise khoon sawar ho jata tha. Is baat ka pata police ko padosiyon se bhi chala tha.

Uske pati ne bataya tha ke shaadi ke baad ek baar khud Aditi ne ye baat kabuli thi ke uska kahin police record bhi reh chuka tha. Kahan aur kyun ye usne nahi bataya.

Aur sabse khaas baaten

Aditi ki laash police ko kabhi nahi mili. Uske pati ke hisaab se usne usko maara, phir kaatkar chhote chhote tukde kiye aur jala diya. Ye baat yekeen karne ke layak nahi thi kyunki har kisi ne us waqt is baat ki gawahi di thi ke Aditi ka pati bahut hi shaant nature ka aadmi tha.

Aditi ka khoon hua is baat ka faisla sirf is bina par hua tha ke uske pati ke jurm kabool kiya tha par aur vo hathyaar pesh kiya tha jispar Aditi ke khoon ke daag the.

Aditi gaati bahut achha thi. Uske pati ke hisaab se har raat uske gaane ki aawaz se hi usko neend aati thi.

Aakhri kuchh dino mein uske pati ko shak ho chala tha ke Aditi ka kahin aur chakkar bhi hai. Aditi ne aksar apne pati ko apne gaon ke ek dost ke baare mein bataya tha jiske saath vo sheher aayi thi par khoon ke baad police us aadmi ka kuchh pata nahi laga saki.

Uske pat ke hisaab se, Aditi ko uski jaankari ke bahar ek bachcha bhi tha, shayad ek beti kyunki use laga tha ke usne Aditi ko aksar kisi chhoti bahchi ke liye cheezen kharidte dekha tha.

Main police record room se bahar aaya to Mishra kahin gaya hua tha. Police station se nikalkar main apni gaadi mein aa betha aur office ki taraf badh gaya.


Police station se main office pahuncha to Priya jaise mere intezaar mein hi bethi thi.

"Kahan reh gaye the? Kahin date maarke aa rahe ho kya?" Mujhe dekhte hi vo bol padi

Maine ek nazar uspar daali to bas dekhta hi reh gaya. Ye to nahi keh sakta ke vo bahut sundar lag rahi thi par haan mujhe yakeen tha ke agar vo us halat mein sadak par chalti to shayad har mard palatkar usko hi dekhta. Usne blue color ki ek short shirt pehni hui thi aur neeche ek black color ki jeans.

Vo shirt zahir tha ke uski badi badi chhatiyon ki vajah se uske jism par kaafi tight thi aur saamne se kaafi kheench kar buttons band kiye gaye the. Usko dekhne se lag raha tha ke shirt ke button abhi toot jaayenge aur chhatiyan khulkar saamne aa jayengi.

Yahi haal neeche uski jeans ka bhi tha. Vo bahut zyada tight thi jismen uski gaand yun ubhar kar saamne aa rahi thi ke agar vo Priya ki jagah koi aur hoti to shayad main kisi janwar ki tarah uspar toot padta.

Mere dimag mein ab bhi Aditi ke baare mein vo baaten ghoom rahi thi isliye main bas usko dekhkar muskuraya aur jakar apni seat par beth gaya. Mere yun khamoshi se jakar beth jaane ki vajah se usko laga ke main kisi baat ko lekar pareshan hoon isliye vo meri desk ke saamne aakar beth gayi.

"Kuchh nahi aise hi" Maine usko kaha

"Tumne khana khaya?"

"Mood kharab hai?" Usne sawal kiya "Ya thake hue ho?"

"Nahi aisa kuchh nahi hai" Maine hasne ki fizool koshish ki jo shayad usse bhi chhup nahi saki.

"Main janti hoon ke aapki thakaan kaise door karni hai" Kehte hue vo uthi aur ghoomkar meri table ke us taraf aayi jidhar main betha hua tha. Ye uski aadat thi ke jab main thaka hota to aksar mere pichhe khade hokar mera sar dabati thi aur uski ye harkat asar bhi karti thi. Uske haathon mein ek jadu sa tha aur pal bhar mein meri thakaan door ho jati thi.

Par jaane kyun us waqt mera mann hua ke main usko rok doon isliye jaise hi vo meri taraf aayi maine apna chehra uthakar uski taraf dekha. Par us waqt tak vo mere kaafi kareeb aa chuki thi aur jaise hi maine chehra uski taraf uthaya to mera munh sidha uski ek chhati se ja laga. Lagna kya yun kahiye ke poora uski chhati mein hi ja ghusa.

"I am sorry" Maine jaldi se kaha.

"Ab sidhe bethiye" Usne aise kaha jaise usko is baat ka koi farak hi na pada ho aur mere pichhe aa khadi hui.

Thodi hi der baad main aankhen band kiye betha aur uske mulayam haath mere sar par dheere dheere massage kar rahe the. Kai baar vo massage karte hue aage ko hoti ya mera sar halka pichhe hota to mujhe uski chhatiyan sar ke pichhle hisse par mehsoos hoti.

Ye ek do tarfa takreena sabit hua meri thakaan utarne ka. Ek to uska yun sar dabana aur pichhe se mere sar aur gale par mehsoos hoti uski chhatiyan. Pata nahi vo ye jaan bhoojhkar kar rahi thi ya anjaane mein ya usko is baat ka ehsaas tha bhi ya nahi.

"Better lag raha hai?" Usne mujhe puchha to maine haan mein sar hila diya

Thodi der baad mera sar dabane ke baad uske haath mere forehead par aa gaye aur vo do ungliyon se mera maatha dabane lagi. Aise karne ke liye usko mera sar pichhe karke mera chehra uper ki aur karna pada. Aisa karne ka sidha asar ye hua ke mera sar jo pehle uski chhatiyon par kabhi kabhi hi dab raha tha ab sidha dono chhatiyon ke beech ja laga, jaise kisi takiye par rakh diya gaya ho.

Meri aankhen band thi isliye bata nahi sakta ke us waqt Priya ke dimag mein kya chal raha tha ya uske chehre ke expressions kya the par main to jaise jannat mein tha. Ek pal ke liye maine socha ke aankhen kholkar uski taraf dekhun par phir ye sochkar khyaal badal diya ke shayad vo phir sharma kar hat jaaye.

Doosri taraf mujhe khud par yakeen nahi ho raha tha ke meri vo secretary jise main ek pagal ladki samajhta aaj usi ko dekh kar main seduce ho raha tha.

Vo kaafi der se mera sar daba rahi thi. Aisa aksar hota nahi tha. Vo 5 ya 10 min mera sar dabake hat jaati thi par is baar 20 mins se zyada ho chuke the. Na is dauran maine hi kuchh kaha aur na hi usne khud hatne ki koshish ki.

Ab mera sar lagatar uski chhatiyon par hi tika hua tha aur beech beeche mein uske mere sar par haath se zor daalne ki vajah se chhatiyon par dabne bhi lagta tha. Aisa hone par vo mere sar ko kuchh pal ke liye yun hi dabake rakhti aur uski is harkat se mujhe shak hone laga tha ke vo ye jaan bhoojhkar kar rahi thi.

Jaane ye khel aur kitni der tak chalta ya phir kahan tak jaata par tabhi mere saamne rakhe phone ki ghanti bajne lagi. Ghanti ki aawaz sunte hi maine fauran apni aankhen kholi aur Priya mujhe ek jhatke se door ho gayi, jaise neend se jaagi ho.

"Hello" Maine phone uthaya. Priya vapis apni desk par jakar beth chuki thi.

"Mr Ahmed" Doosri taraf se vahi aawaz aayi jise sunkar main deewana sa ho gaya tha "Main Rashmi Soni bol rahi hoon"

"Haan Rashmi ji" Maine kaha

"Main soch rahi ke ke kya aapko Bungalow 13 se baat karne ka mauka mila?"

Main is baare mein bhool hi chuka tha.

Mujhe usko Bungalow dikhane le jaana tha.

"Main aapko shaam ko phone karta hoon" Maine kaha.

Phone rakhne ke baad main Priya ki taraf palta to vo muskura rahi thi.

"Rashmiiiiiiiii" Usne jaise gaana sa gaya

"Sirf client hai" Maine jawab diya

"To chehra itna chamak kyun raha hai uski aawaz sunke" Priya boli to main kisi nayi dulhan ki tarah sharma gaya.

Ye pyaar bhi sala ek ajeeb bala hoti hai. Vaisa hi jaisa Ghalib je apni ek ghazal mein kaha tha "Ye ishq nahi aasan bas itna samajh lijiye, ek aag ka dariya hai aur doobke jana hai". Mere saath bhi kuchh aisa hi ho raha tha.

Rashmi ka khyaal aate hi samajh nahi aata tha ke hasun ya ro padun. Dil mein dono tarah ki feelings ek saath hoti thi. Ajeeb gudgudi si mehsoos hoti thi jabki usse mile mujhe abhi sirf ek din hi hua tha. Uska vo masoon khoobsurat chehra mere aankhon ke saamne aate hi mujhe ajeeb sa sukoon milta tha aur usi ke saath dil mein bechaini bhi uth jaati thi.


To be continued....
 

RAJIV SHAW

Well-Known Member
5,084
10,157
188
Super update hai bhai waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Ravi
390
1,136
138
1st to congratulate to resuming this fantastic horror thriller, Ravi Bhai
Maine xp par ye padhi thi but incomplete thi
Kya yaha uske aage ke updates bhi hain.....?
This is a fabulous story
Just start reading
Detailed review will come after reading

maine bhi Ravi bhai se yahi pucha toh unhone kaha hai ke uske aage ke updates yahan par padhne ko milenge...
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Sorry to say bro lekin ye wahin tak hai jahan tak aap sab ne padh rakhi hai

Isliye ab is incomplete story ko aage chalu karne ka koi fayda nahin hai

Maine ye padhi huyi nahin thi aur aap logon ke saath hi isko padh raha tha

Lekin mujhe bhi parson pata chala iske incomplete hone ka

Sorry once again ki aap logon ka time and entertainment waste gaya
 
Status
Not open for further replies.
Top