Adhyay 04: Nilami-Ghar
[third party PoV]
Dono hotel se bahar nikal gaye. Dono der raat tak bahar ghumte rahte hai. Jab sham hui to we log ek dhabe par khana khane lage.
Waha unhe pata chala ki aaj raat ko shahar ke manika vyapar ghar me nilami hone wali hai.
Dono wahi bazar se do mukhauta kharid kar apne chehre ko dhak lete hai. We sidhe nilami ghar pahuchate hai. Yah vaishali shahar ka sabse bada nilami ghar tha. Har mahine ke shuru me yaha nilami hoti hai.
Arjun aur Ruhi dono vyapar ghar pahuch gaye. Waha unhone dekha ki bahut badi lambi katar gate par lagi hui hai. Aur side me ek line hai jaha par bahut hi choti line lagi hui hai. Unhone udhar kadam badhaye. Waha ek lady saman lekar kuchh likh rahi thi. Arjun ne dekha ki yaha deposit karne wali line lagi hui hai.
Arjun ko yaad aya ki uske paas janwar ki ek energy core padi hui hai. Harek dusre level se upar ke janwar ke paas energy core hoti hai jisme wah apni energy store kar ke rakhta hai.
Energy core ki energy ka istemal adhiktar high level ki davaiya banane keliye alchemist log karte hai. Iski kimat bhi kafi adhik hoti hai. Arjun ek chauthi level ke bagh se mila tha jiska shikar alisha ne kiya tha.
Arjun abhi to iska upyog nahi kar sakta tha. Arjun ne use bech kar kuch paise ikatha karna chaha. Jiska upyog wah aage kar sake.
Arjun jakar us leady se bola ki “miss hame apne saman ki nilami karwani hai. Uski entry kaha hoti hai.”
Lady Arjun ko upar se niche tak dekhti hai fir jawab deti hai, “mere piche aao”
Wah Arjun aur Ruhi ko bagal ke raste se andar ki or le jati hai. Ek kamre me aakar wah darwaja khatkhatai. Andar se ek bujurg admi ki awaj aai. “Kaun hai”
“Ji manager mai hu. Koi nilami karane keliye chij laya hai.” lady boli.
Andar se awaj aai, “gate khula hai. Andar bhej do.”
Lady arjun aur ruhi ko andar jane ka ishara ki uske baad wah waha se chali gayi. Andar jakar arjun ne dekha ki waha ek simple si chair aur table lagi hui hai. Chair ki ek taraf ek bujurg aadmi baitha hua hai. Paas me ek ladki khadi hai. Arjun aur Ruhi ke aate hi ladki do cup layi aur usme paani dala. Use Arjun aur Ruhi ke samne rakh diya. Dono ne dhanyawad kahkar pani piya aur fir glass wapas kar diya.
Bujurg bole, “bolo bachho kya laye ho nilami keliye.”
Arjun bujurg ko bola, “sir, mere master ne ek chauthi level ke janwar ka shikar kiya tha, jiska energy core ki mai nilami karwana chahata hu.”
Arjun ki baat sunkar bujurg ekdam se khada ho gaya. Wah arjun ki taraf gaur se dekhte hue bola, “dikhao to”
Arjun sir hilata hua apni jadui anguthi se ek energy core nikal kar bujurg ke samne rakh diya.
Bujurg energy core se nikalti roshni ko mahsus kar sakta tha. Arjun ko dekhte hue wah bola, “haa yah to chauthi level ki energy core hai. Tumhare master kaun hai bachhe.”
Arjun bola, “maaf karna sir, lekin master abhi ekantwash me hai aur kisi ko apna naam nahi batana chahte.”
Arjun ke aisa kahte hi bujurg samajh gaya ki arjun ka master koi ek bahut hi shaktishali vyakti hai, jo apna naam kisi ko nahi batana chahata.
Alisha ne arjun ko pahle hi bata diya tha ki kya bolna chahiye. Arjun bhi kahani bana diya tha.
Wah arjun ki or dekhte hue bola, “thik hai hum is energy core ki nilami kar denge.”
Fir bujurg apne bagal se ek card nikal kar deta hia, yah card bronze card tha. Wah arjun se bolta hai, “Dekho, tumhare energy core ke hisab se to mujhe gold card dena chahiye, lekin tum abhi bachhe ho aur tumhare paas adhik kimati chij hona khatarnak sabit ho sakta hai isiliye mai tumhe bronze card de raha hu, tum ispar apni khun ki bunde dalkar ispar apni pahchan uker sakte ho. Jiske baad se iska upyog kewal tum hi kar sakte ho.”
Arjun sir hilata hua apne anguli ko dant se katkar do bund khun us bronz plate par girata hai. Uske aisa karte hi wah us broze plate ko apne se juda hua mahsus kar sakta tha.
Arjun ko koi sikayat na karte dekh bujurg rahat ki sans leta hai. Wah ladki ki or mud kar kahta hai, “Urvi beta, inko tum room number 201 me le jao. Tum inka khas dhyan rakhna.”
“Ji” urvi itna kahkar arjun ko lekar room number 201 me chali jati hai. Yah kamra 20-25 logo keliye baithne keliye kaafi tha. Urvi arjun aur Ruhi ko kamre ke bare me aur nilami ke bare me batati hai.
Ruhi waha ki chahal pahal dekh kar kafi khush ho rahi thi. Arjun ne dekha ki yaha teen tarah ke room hai. Ground floor par aam log baithe hue hai.
First floor par personal kamra hai jisme log baithe hue hai. Second floor par khud un logo ka kamra tha. Aur uske upar ek aur floor thi. Urvi se puchhne par wah batayi. Tab jakar arjun ko samajh aya ki wah jis floor par hai wah silver card wale logo ke liye hai, uski niche wali floor bronze card wale logo ke liye hai aur uske upar wali floor par gold card wale log hai.
Word Count: 907
—THE END—