vasu ka dada vikrant anath tha. kon tha, kahan se tha, kis caste ka tha na hi woh janta tha na hi koi aur. ek bade zamindar ke haan naukar hua toh bohut hi kam samay me zamindar ka moh chadha ho gaya. svabhav aur charitr se ek adbhut vyakti tha. shareer se balshali, soorat aur mann ka sundar, har ek ke kaam aane wala, kisi ke liye bhi mar mitne wale vikrant ne apne malik zamindar ke ghar ki izzaton ko bachate hue apne seene par goli khaai to zamindar ne khush hokar kai sau acre ki zameen uske naam kar di.
door ke ek ganv me (jahan ab vikrant ka parivar rahta ha) wahan haveli type ghar banwa kar dia. vikrant ki zindagi badal gai thi. vikrant ke achhe svabhav ke chalte hemlata se uska vivah karwa dia gaya. hemlata badi hi sundar susheel sanskari mahila thi. hemlata ke vikrant ki life me aane se vikrant ke saare dil dard door ho gaye. dimag wala tha prem bantna, prem pana hi uska sab se bada laksh tha. ganv ke har dukh sukh me sab se aage rahta vikrant.
vikrant ke dehant ke bad bhi pura ganv vikrant ke parivar ke maan samman me kami nahi aane di thi.
virkant ne apne betiyon ko khud se door karna uchit nahi samjha tha. aise larke talashe gaye the jo ghar jamai bankar rah saken. intro me diye sabhi patr parichay 4 canal ke area par bane haveli type house me rahte the.
haveli ka gate khula ek gadi bahar nikli. gadi ki front seat par vasu betha hua tha. back seat par uska bag aur dusra zaruri saman pada hua tha. gadi vasu ka chacha barun drive kar raha tha.
"vaaaaaaasuuuuuuuuu mere laaaaaaaaallll mujhe chhod ke mat jaaaaaaao"
gadi ganv se bahar jaane wale kachhe raste par daudti chali ja rahi thi. vanya bhi gadi ke peeche bahar bhagi thi. parivar ki sabhi mahilaen uske peeche thi. vanya phoot phoot kar roti hui gadi ke peeche bhaagti chali ja rahi thi.
"ruk jaao vasu. meri baat suno. mujhe chhod kar mat jaao. jana hai to mujhe bhi sath lete jaao. ruk jaao maa ki jaan"
"bhatije itna ghussa acha nahi hota. jaisi bhi ha tumhari maa hai. mat jaao mera kaha bhi nahi maan rahe ho tum. mujhse bhi door ja rahe ho tum. kaise rah paaonga main tumhare bina vasu beta" barun vasu ko dekhta hua bola tha
vasu ne apne chacha ko dekha to par uske chahre ke bhav narm nahi pade the
barun firse bola tha"kaho to gadi rok dun"
basu side mirror se gadi ke peeche bhagti apni maa ko dekhta hua bola"nahi gadi dhire kar lo chacha. karib aane do. woh jitna tadpegi mere dil ko utna hi sukoon milega!"
barun gadi dhire karta hua bola.."jaise tumhari marzi vasu beta"
gadi dhire hone par vanya khushi se khil uthi thi. usse bhaga nahi ja raha tha fir bhi jaan tod bhaagti chali ja rahi thi. gadi ki raftar dhire hone par vasu ke barabar pohnch vasu ko dekhti hui boli "gadi rok do vasu beta. neeche utar kar mere seene se lag jaao. mujhe chhod kar na jaao. nahi ji paaongi main tumhare bina"
vasu sheesha neeche gira chuka tha gadi ke sath sath daudti vasu ko dekhti vanya ko dekh vasu usse bola tha "main konsa zindagi ki talash me jaa raha hon. tum maro ke jiyo par main to mar chuka hon. bass saanson ki dor ka chakkar ha, beymaksad aur beymatlab ka rishta ha saanson ka aatma o shareer se. warna to tooney mujhse har rang har khushi chheen li ha. tere pass raha to saanson ka ye chakkar bhi samapt ho jaayega. tu ji apni zindagi apne hisab se. main meri zindagi mere hisab se jiyunga. tu le maze, badi chah ha na tujhe ek bete ke hote hue bhi jism ki bhuk mitane ki. tu kabhi khud ko rok nahi paayegi. bata kyaa tu rok sakti ha"
vanya vasu ki sunti barun ko dekh roti hui boli thi "mujhe kuch nahi sunna ha bass tu kahin mat jaa. mere pass rah jaa. ya fir mujhe bhi apne sath le jaaa"
vasu "chacha speed badhao. is aurat ko karib dekh kar meri ghutan badhne lagti ha. saans rukne lagti ha. dimag ghumne lagta ha
barun ne speed badha di
"vaaaaaaaaaasuuuuuuuuuuu rukkkkkkkk jaaaaaaaaaaoo vaaaaaaaaaasuuuuuuuuuu"
vanya firse badhti gadi ki raftar ke sath apni raftar bhi badha gai. ganv ke bahar nikal kar bhi 2km tak woh gadi ke peeche daudti rahi thi. vasu apni maa ko tadapta hua dekhna chahta tha. isliye kabhi gadi ki speed badhwata to kabhi kam karwata.
ek jagah vanya thokar khaa kar buri tarah se giri thi. par agle hi shan woh uth kar firse bhaag padi thi.
barun mirror me peeche dekhta hua bola tha "bhatije uske chot lag gai ha. khoon se chahra nahane lag gaya hai. mai gadi rok raha hon bahtije"
vaasu chillaya "chacha tooney gadi roki to main tujhe bhi hamesha ke liye chhod dunga"
barun majbur hua speed firse badha gaya. vasu bhi mirror se back dekhta ja raha tha. vanya cheekh cheekh kar vasu vasu vasu ki pukar karti daudti ja rahi thi
woh buri tarah se thak bhi chuki thi. ek bar firse jo thokar khai vanya ne ludhakti hui side kachhe me girti chali gai
barun ye dekh gadi ko turant break laga gaya tha
vaasu aur bhi zor se chillaya tha "chaaaaaaachaaaaaaaaa"
barun "woh mar jaayegi vasu beta"
vasu khuni lahje me bola tha "marti hai to marne do. chalo yahan se"
barun ne ek baar firse vasu ko samjhane ki koshish kari. par vasu ke tevar dekh chup raha. gadi speed se aage door hone lagi. giri padi vanya ko sakht choten aai thi. woh hathun pairon se reengti hui sadak par chadhne ki koshish kar rahi thi. ab uske andar takat jaise khatam ho gai thi. fir bhi pukaar woh kar rahi thi "vaasu mujhe chhod ke mat jaao. main majbur maa hon. bebas lachar maar hon. koi asra nahi mere pass tere siva.. laut aa vasu. laut aa.. na jaa vasu apni maa ko chhod kar naa jaa"
vanya hosh me nahi rah saki thi. wahi adhi tirchi road par adhi kachhe me ulti leti behosh hoti chali gai.