vasu apne chacha ke sath airport pohnch gaya. vasu ka mood off tha. woh sakht gusse me bhi tha. jhatke ke sath gadi ka darwaza kholta hua bahar nikla firlambe lambe qadam uthata hua andr airport ki building ke andr jaane laga
barun jaldi jaldi gadi ki backseat se vasu ka saman uthaye bhagta hua vasu ke pass jaa pohncha
"bhatije zid chhod do wapis chalo mere sath tumhe nahi rahna haveli mat raho. nahi dekhna tujhe bhabhi ka chahra, nahi dikhai dega. tumhare liye kahin aur intezam kiye deta hon. hamara desh konsa chhota desh ha. jis state, jis city me bhi kahoge wahan tumhare liye kothi kharid li jaayegi. wahin rah kar tum apni padhai bhi puri kar lena. ek option ye bhi ha bhabhi ko kahin aur shift kar dete hon. koi to baat maan lo bhatije. main bhi to tumhare bina nahi rah sakta."
vasu bina kuch bole chalta chala gaya
barun vasu ke saamne aa gaya tha "vasu beta tum kuch to jawab do. itna gusse sahat ke liye acha nahi hota. jahan tum ja rahe ho wahan ka mausam bhi bohut sakht ha. tum wahan bimar bhi pad sakte ho. mere liye tension kyu badha rahe ho bhatije. mat jaao, laut chalo mere sath. ya fir aisa karte han, sab ko malum hai tum bahar ja rahe han, mai bhi sab ko yahi bata dunga tum london chale gaye ho. lekin tum isi shahar me raho. main sab intezam kar dunga.."
vasu "nahi chacha ab koi chance nahi hai. ap ne hi mujhe sujhao dia tha london ka. ab aap hi kah rahe han, mai naa jaaun. nahi ab mai nirnay le chuka hon chacha. aap to jante hi han, mai kitna ziddi hon, iradon ka fauladi hon. ek baar jo commitment kar lun, fir usse kabhi wapis nahi palat ta. ab kuch bhi ho jaaye, hoga wahi jo main soch chuka hon"
barun chinta me aaye bola "ek tum dusre tumhari commitments. london jane ki baat aise hi mere moh se phoot nikli thi. bad me maine apni galati maan bhi to li thi. maan jaao, na jaao, mai koi nahi hon kyaa tumhara?. hon to mere kaha maan kyun nahi rahe ho!"
vasu idhar udhar dekhta hua bola "abhi mai kuch bhi sunne ke mood me nahi hon chacha. meri mansik health ko aap se bahtar koi nahi samjh sakta. bhavanaen mere andr mar chuki han. aap apne shabdon ko waste mat karen kuch hasil nahi hoga. mai kisi soorat nahi rukne wala ab!"
announcement hone lagi
good afternoon passengers. this is the pre-boarding announcement for flight ..... to london. we are now inviting those passengers with small children, and any passengers requiring special assistance, to begin boarding at this time. please have your boarding pass and identification ready. regular boarding will begin in approximately ten minutes time. thank you.
vasu ne apne chacha ko dekha aur bina kisi bhav ke bola "chalta hon chacha!"
barun saman neeche rakhta hua vasu se lipat gaya tha. subakta hua bola tha "tumhari zid tumhe wahan london me aur yahan mujhe bimar kar degi. kabhi tujhse door nahi raha bhatije. ye doori jaan le legi meri"
vasu apne chacha se alag hua saman bhare bag uthata hua bola "mere wapis laut aane tak us behaya aurat ko marne mat dena chacha"
barun "hum usay ghayal raste me chhod aaye the"
vasu "tab fir jald se jald wapis laut jaao chacha. mere wapis aane tak uska dhayan rakhiyega usay kuch hone mat dijiyega. bohut se hisab chukte karne han mujhe us behaya aurat se"
barun "bhatije ek baar firse kahunga mat jaao mere sath wapis chalo"
vasu ki ankhen khoon ugalne lagi thi. kuch yaad aa gaya tha usay. apne chacha se kuch aur bole bina boarding counter ki orr badh gaya
barun wahi khada vasu ko dekhta raha. jab tak vasu nazron se ojhal nahi ho gaya barun wahin khada raha. vasu ne ek bar bhi mud kar nahi dekha tha.
barun wapis muda to uske honto par vyangyaatmak muskan thi.
"log mujhe aise hi shatranj ka manjha hua khiladi nahi bolte. hahaha bhatije tu to fir bhi bachha hai kaise meri chalun ko samjh paayega, bade badon ke patte kaat diye maine."
car parking pohnch gadi me beth mobile nikal kar kisi ko call karne laga "suno 21 saal ke hone tak usay marne mat dena, bass woh kabhi svast na rahne paaye, aur dhayan se suno larka bohut tez dimag wala hai, jitna tez hai utna hai utna hi dimag ka garam bhi hai. sab saavdhani se karna"
call disconnect ki hi thi ganv se uske khas bande ki call aane lagi call pick karta hua bola "haan badal bol kya baat hai"
badal ki baat sun barun gusse se pagal ho utha "haramzade mai teri jaan le loonga. isi din ke liye tujhe khilata pilata aur ayashi karwata raha hon.. tujhpar aur tere chamchon par lakhon kharch karta raha hon.. sun.---------------------
---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------!!."
beinteha gusse se call cut karta hua mobile gadi ke andr phenk gaya. speed se gadi drive karta hua ganv ki taraf jaane laga "haramzade kahin ke, khate lakh ka han kam take ka nahi karte. main itni mahnat se chal par chal chalta ja raha hon aur ye.. mai inpar lakhon kadodo kharach kar ke inhe bhediye bana raha hon ye hain ke bhonkne wale kutte bante ja rahe hain."