london ka mausam bohut sakht tha. sardi se bachne ke liye overcoat aur dusre sardi se bachao wale kapde india se hi kharid liye the vasu ne. london karib aaya to plane ke bathroom me ghus vasu ne overcoat pahn liya. head face aur hathun ko bhi dhaanp lia tha.
"excuse me! kyaa aap hi vasu hain?."
airport lounge me bethe vasu ke kanon se ek sureeli awaz takrai to vasu sir utha kar dekhne laga. ek indian lady ke sath ek vyakti vasu ko apne saamne khade dikhai diya
vasu uth khada hua, abhi bhi kanp raha tha "ji main hi vasu hon"
lady chinta se boli "ohh aap ko to bohut thand lag rahi hai"
vasu kapkapata hua bola tha "ji aisa hi hai!."
lady apna aur apne sathi mard ka intro karwati vasu ko sath liye wahan se chal padi
lady ka naam sunaina tha, sathi mard uska pati bhaskar tha. aitport building se nikalne par vasu ki halat aur bhi adhik kharab hone lagi thi. thandi hawaen chal rahi thi. kanpta hua vasu gadi ke andr beth jhat se door band karta sukad kar beth gaya.
gadi ke andr heater ki garmi se vasu ko sukoon mila to rahat ki saans leta hua bola "london ki sardi se meri jaan nikal rahi han aap dono kaise sukoon se han?"
bhaskar aur sunaina dono has pade. bhaskar bola "vasu sir ek to aap age me kam han dusre aap pahli aaye han. yahan ki sardi hamare desh ki sardi se badhkar hai. kuch dino me aaj iske aadi ho jaayenge. pahli bar humen bhi sakht kathnaiyon ka saaamna karna pada tha"
vasu ko heat se sukoon mila tha, khamosh raha, ankhen band kar gaya. gadi ka 1 ghante ka safar vasu ke liye sukoon bhara raha. ye safar ek do manzila imarat ke porch me pohnchte hi samapt hua.
sunaina "vasu sir hum pohnch chuke hain apni manzil par"
vasu ne ankhen khol kar gadi se bahar dekha ek ped par nazar padi to sardi ko soch kar hi kanpta hua bola "bahar bohut sardi hai"
sunaina muskura kar boli "to fir is sardi se bachne ka best tarike ye hai, aap jaldi se gadi se nikalye aur bhaag kar hamare sath heated room me full garam bistar ke andr chhup jaaiye. wahin beth garma garm soop pijiyie. sardi aise bhaag jaayegi aap kapde utaar kar nachne lagenge"
pahli bar vasu muskuraya tha sunaina ke mazakia style par. sunaina khil uthi thi. vasu ne himmat kari aur door khol kar bina kuch bhi samaan uthaye cheekhta hua "haaaaaaaaaaye yeee sardiiiiiiii" bhaagta hua andr jaane laga. sunaina hasti bhagti uske peeche thi. bhaskar bhi hasne laga tha bhagte vasu ko dekh kar, diggi se vasu ka saman nikaal kar woh bhi andr jaane laga
sunaina vasu ko liye ek kamre me parvesh karti hui boli "ye hai vasu sir aap ka room"
kamra bohut garam tha, vasu ne overcoat head cover face cover gloves sab utaar kar wahi phenk diye. apni hatheli ko masalta hua aatish daan ke pass ja pohncha. dono hatheliyan zor zor se ragadta hua wahi mini stool par ja betha. fir dono hatheliyan aag par karte hue sekne laga. sunaina bhi karib aati hui boli
vasu "sir ab aap sukoon me hain, mai aap ke liye soop laati hon"
vasu " aap mujhe bar bar ye sir sir kyun bolti ja rahi han."
sunaina "ye house aap ke father ka hai, hum is house ke nigran han, aap bhi owner hue is house ke, us hisab se aap ko samman dena humpar farz hai."
vasu sunaina ko dekhne laga. uski maa ki umar ki thi sunaina..."aur kon kon rahta ha yahan"
bhaskar samaan lekar wahi aa gaya tha. saman rakh dono ke pass aa gaya
sunaina "yahan hum husband wife aur hamare teen bachhe rahte han, hamari do betiyan aur ek beta hai. ek beti aur ek beta school gaye hue han, ek beti apne kamre me aram kar rahi hai."
fir sunaina hichkichati hui boli "sir ek request hai aap se!"
vasu jo aag ke sholon ko dekhne me magan tha, sunaina ke minnat bhare lahje ko sunta chaunk kar usay dekhne laga.. "request?. main kuch samjha nahi!"
sunaina dukhi svar me boli "meri beti sanjana mansik rogi hai, memory loss ki patient bhi hai aur bohut shararti bhi. agar aap ko uski kisi shararat se, kisi bhi baat se koi pareshani ho to sir plz aap mujhe daant leejiyega, par meri sanjana ko kabhi kuch mat kahiyega."
sunaina dono hath jodti sisak padi!. bhaskar apne lab bhench gaya tha. vasu ek jhatke se utha aur sunaina ke dono hath pakadta hua bola "aap ko minnat karne ki koi zarurat nahi ha. aap chinta na karen, meri taraf se na hi sanjana ko na hi aap me se kisi ko koi preshani hogi. ye ghar bhale hi mere baap ke naam par hai. mere baap ne paison se ise banaya tha. par aap ne ise apni mohabbaton se ghar banaya hai. ek nazar me hi dekh kar maine jaan lia hai ye ghar bohut khoobsurat hai. ise khoobsurat banaya hai aap sab ne. ye ghar mere akele ka nahi hai aap sabhi ka bhi hai. khud ko kamtar aur mujhe maalik samjh kar behave mat kariyega. aaj se main aap ko aunty aur (bhaskar ko dekh kar) inhe uncle kaha karunga. aap mujhe mere naam se pukariyega."
sunaina bhaskar dono vasu ki sun hairan rah gaye the. dono khush ho gaye the
sunaina "aap bohut ache han vaaa suuu."
vasu muskura pada tha "aap abhi bhi jhijhak rahi han aunty"
suanina smile karti boli "ye jhijhak chali jayegi, bass thodi himmat ki zarurat hai. thoda sa samay dijiye aap humen"
vasu "chaliye aap ko samay dia, ab aap samay nasht na karte hue mere liye soop bana kar le aaiye. aise mausam me soop peene ka alag hi maza hota hai."
sunaina "main abhi laai aao bhaskar mere sath"
dono chale gaye vasu kamre ko ghum fir kar dekhne laga. ek ek chiz ko chhoo kar dekhne laga. khidki se bahar ka nazara dil dahla dene wala tha. bahar door door tak baraf se dhaki chhaten dikhai de rahi thi. dekh kar hi vasu ke andr sardi ka ahsas jaagne laga tha
sunaina soop le aai "le lijiye vasu aap ke liye garma garam soop"
vasu soop se bhara cup thamta hua bola "shukriya aunty!"
sunaina chahakti hui "my pleasure!"
sunaina chali gai vasu aatish daan ke saamne beth soop peene laga. kuch der wahi betha raha. fir cup wahi side rakh utha aur apne saman me se bag ko uthaye bed par rakh kholne laga. andr se kapde nikaal kar bed par dher karne laga. vasu ka irada tha kapde almari me hang karega dusra saman jahan rakhna hoga wahi rakh de ga. vasu ko apne kamre ki sajawat khud se karne ki adat thi.
kapde nikalte hue vasu ke hath se kuch takraya to vasu hairan hota hua jhatke se woh chiz nikaal kar apne hath me pakad dekhne laga
vasu surprised tha "diary?. ye diary kiski hai?. ye mere bag me kahan se aa gai?."
vasu diary khol dekhne laga. jaise hi first page par nazar padi usay hairat ka jhatka laga. first page par uski maa ki hasti muskurati tasveer thi. aisi hi eko tasveer bigger size me vasu ke kamre ki wall par latki hui thi. vasu ke khayal me ye uski maa ki sabse sundar tasveer thi. vasu apne bag se apni maa ki diary dekh jhatka khaaye ja raha tha
apni maa ko jis halat me chhod aya tha road kinare, najane woh jeevit bhi thi ke mar gai thi. ye baad bhul woh apni maa ke sundar mukhre ko dekh mohit hone laga. der tak dekhta raha, fir vasu ki nazar neeche likhi ek line par padi.
mere bohut payare bete vasu, meri jind meri jaan maa tujhpe kurban!.
first line ke bad kuch lines aur bhi likhi hui thi. lekin pahli line padhte hi vasu yaadon me doobta chala gaya.
dusri lines apne padhe jaane ka wait hi karti rah gai.