• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
UPDATE- 121

maine dekha ki chitra ki ankhe chhalak aayi thi...aaj pahli baar main bhi uske liye bhavuk ho gaya tha...maine usko samjhate huye apni baho me kas liya aur apne hoth uske hotho par rakh kar uske adhro ka raspan karne laga... dhire dhire usne bhi mujhe sahyog dena shuru kar diya..aur kuch hi der me hum dono ek dusre me samate chale gaye...

subah hote hi akhir vo din bhi aa hi gaya..amavasya ka din...ye koi nahi janta tha ki aaj ki amavas ki ye kali raat kya nayi ibarat likhegi... ? koi nahi janta tha ki iss raat ke baad ki subah hogi bhi ya nahi.... ? kis kis ki zindagi bachegi aur koun koun panch tatvo me vileen ho jayega, ye bhi nahi pata tha kisi ko... ? iska rahasya to sirf samay hi dega.

Ab Aage….

Subah neend khulte hi maine dekha ki chitra meri baaho me lipti huyi ankhe khole ek tak mujhe hi dekhe ja rahi thi. Uski ankho me ek soonapan nazar aa raha tha.

Adii—kya hua, chitra….? Tum raat bhar soyi nahi kya…?

Chitra—bas aaj tumhe jee bhar dekhne ka mann kar raha tha…main so kar iss mouke ko khona nahi chahti thi..phir na jane kab tumhara deedar ho…? bas iss darr se neend hi nahi aayi..

Adii—iska matlab ki mere so jane ke baad tum phir se dukh me doob gayi, hai na….?

Chitra—main to chudail du…raat hi mere liye din hai…magar shaam ke baad jab ye raat aati hai to kitna dard aur kitni taklife de jati hai hame, ye koi nahi janta…aur aaj ki raat to mere liye khushiyo ki saugaat ke sath sath judai ki bhi to raat thi…

“Tumne Dekha Hai Kabhi Ek Nazar Shaam Ke Baad,
Kitne Chupchap Se Lagte Hain Shajar (vriksh), Shaam Ke Baad,
Tum Suraj Ho, Tumhe Malum Kaha Hai, Raat Ka Dukh,
Tu Kisi Roz Mere Ghar Me Utar, Shaam Ke Baad.”

Adii—Jise tum judayi kahti ho,ye bhi to ho sakta hai ki vo milan ki taraf badhta hua ek kadam ho..isliye apne mann me dukh ko jagah mat do..

Chitra—mujhe ek baar aur apko pyar karna hai…

Adii—hmmm, aa jao..

Maine chitra ko apne agosh me samet kar ek bar phir se usko pyar karte huye kaam krida me nimagn ho ho gaya.. jab ye toofan shant hua to maine uske hotho par ek chumban ankit kar ke bistar se uth gaya….ab tak bahar suraj ki lalima khatam hone aayi thi aur vah har jagah apni roshni bikherne ko taiyar nazar aane laga tha……fresh hone ke baad bahar sab ke paas aa gaya.

Sabne ek sath nasta kiya….rajnandini ne mere room me ja kar chitra ko bhi utha diya..thodi der me vo bhi hamare sath aa kar baith gayi…sabhi ke chehro par ek anjana sa darr aur khauf chhaya hua tha….

Urmila—rajnandini beti, chitra ko poore dulhan ke shringar me taiyar kar dna aaj bhi…main chahti hu ki chitra mere ghar se ek suhagan ke roop me lal joda pahan kar hi vida ho..

Rajnandini—theek hai maa ji..

sabhi ka nasta khatam hone ke baad rajnandini ne chitra ko taiyar kar diya…phir main sab ko le kar bhagwan shiv ke ussi mandir me aa gaya.

Adii—aap sab me se koi bhi yaha se bahar nahi nikalega...aur kal maine jo jo baate kahi thi, vo bhulna mat..aap sab ko iss mandir se bahar nikalne ke liye vo shaktiya koi bhi chhal kar sakti hain kyon ki vo mandir me pravesh nahi kar sakti hain...ab main chalta hu..

Rajnandini—rishi, main bhi tumhare sath chalungi..

Adii—nahi, nandini…ye kaam mujhe hi karna hoga…inn sab ki suraksha ki jimmedari main tunhare aur khatra ke upar chhod kar ja raha hu…tum dono ko inn sab ka dhyan rakhna hoga….ye kaam bhi to mera sath dena hi to hua na..

Rajnandini—agar aisa hai to theek hai…

Khatra—aap nishchint rahe malik, mere rahte koi bhi inka kuch nahi bigad sakta…

Adii—chitra, kya tum mujhe ye bata sakti ho ki tumhara parthiv sharir kis jagah par hai….?

Chitra—hmmmm, main sath me chalti hu..

Adii—nahi iski jarurat nahi hai….tum bas vo jagah bata do..

Chitra—theek hai...nikaal gaon me jo kuwa bana hua hai....uske niche hi khandahar ho chuka hamara rajmahal hai....uss mahal ke aangan me ek bada sa chabutara bana hua hai...vahi par hai...

Chitra ki baat ne hum sab ko buri tarah se chounka diya....ye jaan kar ki uss kuwa ke niche ek rajmahal bhi hai.. shock lagna swabhavik hi tha.

Shree (shock)—iska matlab ki vo kuwa, mahal ke upar bana hai…?

Chitra—hmmmm

Adii—tab to kafi time lag jayega khudayi karne me….khair chalo main dekhta hu..

Urmila/ megha—beta apna dhyan rakhna…hame bahut darr lag raha hai..

Adii—tension mat lo..bas maine jo aap sabse kaha hai, vo jarur yaad rakhna..

Chuttad—theek hai yaar...

Maine apni dono maa ka ashirwad liya aur sab ko ek bar phir se samjha kar khudayi ka samaan uthaya aur chal pada chitra ki ashthiyo ko talash karne..

Mandir se bahar jaise hi maine kadam rakha…jo aas maan ab tak khula hua tha aur chahuor dhoop bikher raha tha, vahi achanak se usko ghane baadlo ne gherna shuru kar diya…har jagah din me bhi raat ke ghane andhakr jaisa prateet hone lag gaya.

Inn sab ki parwah kiye bagair hi main apne kartavya marg par chalta gaya…mujhe ab sabse pahle uss dharti ke andar dabe huye mahal tak pahuchna tha kisi bhi tarah aur vo bhi aaj hi jitna jaldi ho sake.

Kyon ki chitra kki dead body mil jane ke baad baki khudayi se nikli huyi asthiyo ka bhi antim sanskar karna jaruri tha jisse ye jagah phir se logo ke rahne ke qabil ban sake.

Nikaal gaon ke uss kuwa ke karib pahuch kar maine dhyan dwra apni shaktiyo ko jagrit kiya aur apne charo taraf ek suraksha kawach bana liya phir uss kuwe ke andar kood gaya…usme kafi pani tha aur dusri baat ki bahut ghana andhera tha vaha…shayad uss kuwe ki gaharayi bahut jyada thi.

Maine apni shaktiyo ko jagrit avastha me kar liya tha isliye mujhe uss andhere me dekhne ke liye jyada pareshani mahsoos to nahi ho rahi thi kintu uss kuwe me jeev jantu bhi kafi tadaad me the jo mujhe apna aahaar banane ko vyakul huye ja rahe the.

Lekin mere charo taraf bane suraksha kawach ke prabhav se vo mujh tak pahuchne me asmarth ho rahe the..aur ye pani tha ki kam hone ka naam hi nahi le raha tha..ant me maine apni shaktiyo ki madad se uss pani ko sukha diya.

Pani ke sukhte hi main tezi se niche gira….main ab uss kuwe ki talahti me pahuch chuka tha…niche sirf jamin hi nazar aa rahi thi…mahal ka kahi koi surag nahi dikhayi de raha tha.

Maine vaha ki jamin ko hi khodna shuru kar diya…jaise jaise mere khodne ki speed badhti ja rahi thi..vaise vaise bahar ka mousam aur bhi khatarnak hota ja raha tha.

Khudayi karte huye mera fawda ek jagah par aa kar kisi cheez se takra ke phans gaya…maine usko bahar nikalne ki bahut koshish ki magar kamyab nahi hua..tab maine apni divya talwar ka smaran kiya aur uske hath me aate hi maine talwar ko uss sthan par laga kar jaise hi niche ki taraf thoda jor diya to vaha ki jamin fatne lag gayi..usme badi badi daraare aa gayi…maine talwar ko aur idhar udhar ghumaya hi tha ki vo jamin toot kar bikhar gayi aur uske sath hi main bhi andar samata chala gaya.

Jamin ke sath hi main andar pani me ja gira…maine dekha to vaha charo taraf malba phaila hua tha…main samajh gaya ki chitra issi mahal ki baat kar rahi thi jo ki ab poori tarah se khandahar me badal chuka hai…lekin vaha itna malba bikhara hua tha ki ye andaz laga pana behad kathin tha ki aangan ka hissa koun sa hai…?

Ye pata lagane ke liye main vahi par dhyan laga kar baith gaya…kuch hi der me poori tasveer aaine ki tarah saaf ho gayi meri ankho ke samne…main jis jagah par gira tha, uss malbe ke niche hi vo chabutara tha.

Tasveer saaf hote hi maine ankhe khol kar apna phawda dhoondne laga..vo mujhe ek taraf pada dikh gaya to maine usko uthaya aur vaha ka malba alag karne laga…malba alag hote hi vo chabutara bhi dikhayi dene laga…to maine usko todna shuru kar diya.

Maine todna start kiya hi tha ki itne me vaha moujud sabhi adrishya paraloukik shaktiyo me khalbali mach gayi… bahti shant hawao ne achanak bhayanak toofan ka roop dharan kar liya…sath me bahut hi darawni aur dil dahla dene wali bhayanak cheekhe vaha goonjne lagi.

Main inn sab baato ko darkinar kar ke apne kaam me laga raha…akhir main apni manzil ke karib pahuch hi gaya.. chabutara jaise hi toota vaise hi kisi adrishya shakti ne mujhe utha kar door phenk diya.

Main dubara uth kar vaha gaya aur malba hatane ke liye jhuka to phir se vahi hua…maine kayi bar koshish ki, natiza vahi nikla..mere jhukte hi koi utha kar door phenk deta…aisa lag raha tha ki vo aatmaye behad kroadh me aa chuki hain…

Udhar bahar ka mousam aur bhi bhayanak ho chuka tha…tez hawao ke sath sath ghanghor barish bhi hone lag gayi thi…mandir me sabhi pareshan aur chinta me doobe huye the…ki tabhi ek cheekh ne unke kaan khade kar diye..

“Rajnandiniiiii…..bachaaoooooo…….maaaaaaa…..bachaooooooo....aaaaaaaaaaaaaa.....mummyyyyyy”

Ek Update Abhi Aur Bhi Ayega Subah 6 AM Tak
 
Last edited:
Top