Awesome update bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
bhai aapke update ki jitni tariff karoo utna hi kam hai,
aapke update ki sabse khaash baat ye hai ki har chij perfect hota hai, chahe vo shayari ho, kavita ho ya dialogue ho,
aaj ke update me jo kavita aapne dala hai,
usne dil ko chhu liya hai bhai,
raj nandani ke shaundarya ka aapne itna adbhut varnan prashtut kiya hai ki mai bata nhi sakta,
bhai prakriti varnan aur saundarya varnan me aapka koi jawab nhi hai,
aapki lekhani me chhayavaad ka spasht prabhav drishtigochar hota hai,
aapne gaav me azgar ki jis darindagi ko dikhaya hai, use dekh kar to kisi ki bhi rooh kaanp jayegi, aurato aur bachcho ke sath itna bura salook karne ka jald hi use dand milne wala hai,
kyonki jab dushtata apne charam par pahuch jati hai tab uska sanhaar avashya hota hai,
new characters ka entry dhamakedaar hai,
raj nandani ne deepa ko un gundo se bacha liya hai,
vahi dusri taraf aadi jin rishiyo ko nadi ke kinare mila hai, unke paas pahle se hi uska humshakl saalo se murchhit pada hai,
behad hi shandaar suspence aapne create kiya hai bhai,
dekhte hai ab aage kya hota hai,
Waiting for next update