• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
CHAMATKAR
UPDATE- 101

FLASHBACK CONTINUES......

Vardan ke nashe me chur azgar har kisi par atyachar karne laga...jaha bhi koi pooja path karte dikh jata to unko utha kar ussi agni kund me phenk deta...striyo aur jawan ladkiyo ko uske sainik jabran ghar se sab ke samne nagn kar ke ghasit le jate aur raat din unka shosan karte rahte...unse paida hone wali santane bhi paap ke marg par chalne wali hoti..aise hi azgar ki kali sena badhti chali gayi....logo ne apne apne gharo se bahar nikalna tak band kar diya tha uske darr se.

Vahi dusri taraf priyamedh ki nauvi (9th) pidhi me ek balak ka janam hua...jiske sharir me adbhut tez tha..ussi gaon ke ek vidwan brahman ke hatho naam karan ke pashchat uss balak ka naam rakha gaya..Adiirishi

Uss vidwan brahman ke ghar uss din hi ek bahut hi sundar kanya ne janam liya...jiska naam rakha gaya..Rajnandini

Ab aage......

Adirishi ke mata pita sukhdev aur aprajita dono hi bade dharmik vicharo wale vyakti the....adirishi ko apne pariwar se hi dharm aur sanskaro ki shiksha apne mata pita se milti rahi samay samay par.

Adirishi jaise jaise bada hone laga uski gyan ke kshetra me vidwata sabke samne aane lagi....har baat me vo sabse aage rahta tha...phir chahe vo gyan ki baate ho ya phir koi aur vishay....uski ruchi yuddh kala me bhi thi.

Uske char dost bhi ban gaye the....chuttad, gangu, pangu aur nangu...halanki inke naam to kuch aur hi the lekin adirishi inhe yahi naam se bulata tha....uski dekha dekhi sabhi ke juban par ye naam famous ho gaye.

Udhar azgar aur kilwish ka aatank sir chadh ke bol raha tha.....jo ki din prati din badhta hi ja raha tha....isme uska bharpoor sahyogi ban gaye the tantrik kapali aur naravali.

Kapali aur naravali dono hi kali shaktiyo ke upasak the.....dono ne kayi tarah ki shaktishali siddhiya hasil kar li thi jinke dum par vo kilwish aur azgar ke kale samrajya ko din duna raat chouguna badha rahe the.

Priyamedh ki ab tak ki sabhi pidhiyo me adirishi hi aisa tha jiski ruchi gyan ke sath sath yuddh vidhya me bhi thi... kintu usko yuddh kala ki shiksha dene wala vaha koi nahi tha.

Vahi dusri taraf rajnandini bhi badi hone lagi dhire dhire.....jaise jaise vo badi hoti ja rahi thi vaise vaise uska roop soundarya bhi chandrama ki kalao ki tarah aur bhi nikharta ja raha tha.

Rajnandini me ek avgun jarur tha ki usko gussa bahut aata tha bachpan se hi....apni saheliyo me bhi agar koi uski baat manne se inkar kar deti ya galat thahra deti to vo gussa ho ke unko thok peet deti thi....chahe phir uski baat galat hi kyo na ho agar kisi saheli ne ye aur kisi ne kah diya ki aisa nahi hai to phir samajho ki uski shamat aa gayi.

Uske pita vidhyadhar poore gaon ke purohit the...isliye unka behad maan samman tha....pooja path kane ke baad vo poora din ved aur purano ke adhyayan me hi leen rahte the...uski maa shakuntala ek grahini thi....uske pita rajnandini ko bhi ladai jhagda na karne ki salah dete rahte the....unke samne to vo haa kah deti thi lekin jaise hi koi uski baato ko galat thahrata to bhool jati sab kuch aur ladna chalu.

Lekin aisa nahi tha ki usko sirf ladna hi aata tha....vo jab bhi free hoti to koi na koi dharmik kitab padhti rahti thi... uske mann me sabse prabhav dala tha durga maha puran ne....uska saatva aur aathva adhyay jo ki mata mahakali par adharit hai....usse vo behad prabhavit thi aur ye do chapter usko bahut pasand the...shayad kyon ki isme mahakali ne maar kaat kuch jyada hi ki thi..chand, mund aur rakta beez ka vadh karte samay.

Inn dono chapters ne uske mann me itna asar dala ki vo mann hi mann mahakali ko hi apni guru manne lagi... aur jab bhi kahi akeli hoti to vo unka dhyan karte huye astra shastra ka akele hi abhyas karne lagti.

Samay gujarta raha aur iss douran adirishi aur rajnandini dono kab bachpan se jawani ki dahleez par aa gaye unhe khud bhi pata nahi chala....

Jawan hone ke sath hi rajnandini ki sundarta aur youvan me char chaand lag chuke the...vo jis gali se bhi gujarti, log uski ek jhalak pane ke liye ghanto uss raste par taktaki lagaye baithe rahte....magar rajnandini thi ki apne sharir par makkhi tak ko nahi baithne deti thi.

Vidhyadhar prati din pratah kaal uth kar pooja archna kar ke aas paas ke gaon me bhiksha maangne ke liye nikal jata tha....tab tak maa beti dono mil kar ghar ka sara kaam kaaz niptati thi.....tatpashchat bhojan banati thi.... nadi se pani bhar kar lane ka kaam rajnandini hi karti thi.....vidhya dhar bhiksha maang kar vapis loutne ke baad shastra adhyayan me jut jata tha....vo apni putri rajnandini se bahut prem karta tha....aur uske jawan hone ke baad uske liye usne ek suyogya var ki talash bhi shuru kar di thi.

Idhar adirishi bhi bada ho gaya tha....vo dekhne me kisi se kam nahi tha...sajila, hatta, katta, khubsurat nav jawan ho gaya tha........lekin uske jawan hone se kuch saal pahle hi uski maa ek bimari ki chapet me aa kar parlok sidhar gayi.........adirishi jab bada hua to usko ek baat chubhne lagi ki ek paheli ka uttar uski poori aath pidhiya dene me asmarth rahi aur swargvasi ho gayi, parantu uss prashna ko puchne wala ab tak jinda hai....adirishi ne nishchay kiya ki vah iss prashna ka uttar dhoond ke hi chain lega.

Kintu kisi ko kya pata tha ki iss prashna ka uttar talash karne me adirishi ki jeevan dhara hi badal jayegi.....ye prashna usko kaha se kaha pahucha dega, tab ye baat koi nahi janta tha.

Ye prashna hi hai jisne ek rishi putra ke jeevan me prem ka sagar bhar diya, to kahi gyan ka amar deep jalaya, iss prashna ne hi usko kayi shaktiya pradan ki to issi prashna ne hi usko azgar ke samne la khada kiya.

Adirishi jab bhi apne charo dosto ki pandav mandali se fursat hota to aksar nadi kinare baith kar ghanto uss prashna ke baare me hi sochta rahta lekin uska koi uttar nahi mil pa raha tha...

Aise hi ek din vo nadi ke kinare kinare chalte huye ussi paheli ke vishay me sochne me khoya hua tha... vo apni soch me itna magan tha ki usko ye abhas bhi nahi hua ki vo kab apne gaon ko paar kar ke dusre gaon me pahuch gaya hai.

Tabhi uska dhyan kuch awaz se bhang ho gaya....usne jaise hi uss awaz ki disha ki taraf apni nazare ghumayi to bas dekhta hi rah gaya.....uski ankhe to jaise palak jhapakna hi bhool gayi.

Samne nadi par rajnandini apni ek saheli champa ke sath ghade me pani bharne aayi thi....ye awaz ghade ko pani me dubone se huyi thi.....kintu uski iss awaz ki dastak adirishi ko sidhe apne dil me mahsoos huyi....pahli hi nazar me rajnandini ki sundarta ne uske mann ko moh liya.

Vahi rajnandini ne ghade me pani bhar ke jaise hi usko pani se bahar nikalne ko huyi to uski bhi nazar nadi ke dusre kinare par khade adirishi ki nazaro se takra gayi.....rajnandini ki iss ek nazar ne adirishi ka jaise sab kuch hi loot liya tha.

Vahi rajnandini ne bhi aaj pahli baar apne dil ko dhadakte huye mahsoos kiya.....uske sath aisa pahli baar hua tha... kaha vo gaon ki alhad bebak gori jo baat baat par har kisi se ladne ko taiyar rahti thi....aaj kisi ko dekh kar uske dil me ek anjani si uthal puthal paida ho gayi thi.

Champa ke awaz dene se vo jaldi hi hosh me aa gayi aur turant apni nazaro ko jhuka liya...ye bhi shayad pratham baar hi tha ki rajnandini ne aaj sharam aur laaz ke karan usne apni ankho ko jhukaya tha....champa ke awaz lagate hi vo ghada le kar uth khadi huyi aur dhire se ek baar mud ke adirishi ki taraf dekha aur phir chupchap vaha se chali gayi.

Airishi usko tab tak bina palak jhapkaye dekhta raha jab tak ki vo uski ankho se ojhal nahi ho gayi.....kuch der tak aise hi vaha khade rah kar vo uss jagah ko dekhta raha jaise ki iss jagah ko achche se apne dil aur dimag par baitha lena chahta ho....phir vapis apne ghar ki oor mud gaya.

Aaj adirishi ka mann ashant tha....kaha vo kuch pane ki khoj me nikla tha ghar se aur kaha jab ghar louta to apni sabse keemti cheez bhi usse kho chuki thi.....vo gaya to tha uss paheli ka uttar pane ke liye ...uss paheli ka uttar to usko nahi mila magar uska dil jarur kho gaya.

Raat aise hi karwat badalte badalte mushkil se kati.....rajnandini ka hasin chaand jaisa mukhda uske dil aur dimag se ojhal hi nahi ho raha tha....subah hote hi usne jaldi jaldi nitya kriya poori ki aur bina kisi ko kuch bataye phir se uss jagah aa kar baith gaya, jaha kal usne rajnandini ko dekha tha....iss ummid me ki shayad vo subah bhi nadi me pani lene aati ho.... ?

Intazar karte karte subah se dophar ho gayi aur dophar se shaam....vo bina kuch khaye piye aise hi rajnandini ki ek jhalak ke liye tapti dhoop ki parwah kiye bagair yo hi baitha raha...uski gali me taktaki lagaye, asha ka ek deep jalaye.....magar rajnandini nahi aayi....aaj usko ehsaas hua ki intazar karna kya hota hai.... ? kisi ka intazar karna kitna taklifdeh hota hai.... ?

Vo subah se intazar karte karte nirash ho chuka tha...lekin phir bhi uske dil ke kisi kone me ye ummid thi ki shayad vo shaam ko aaye pani lene.... ? kahte hain ki sachche dil se nikli pukar ko sun kar to bhagwan ko bhi aana padta hai....aur uss din ye chamatkar bhi satya ho hi gaya.

Suraj dhalna shuru hi hua tha ki akhir rajnandini aaj phir champa ke sath hasi majak karte pani lene pahuch hi gayi nadi kinare....adirishi ko jaise naya jeevan mil gaya, rajnandini ko dekhte hi....lekin dono ko shayad aaj loutne ki jaldi thi...isliye jaldi se ghada bhar ke dono vaha se chal di....magar na jane kyo rajnandini ke dil me kal wali vahi tasveer achanak ubhar aayi.

Barbas hi uski nigahe uss taraf ghum gayi jaha adirishi aaj bhi ektak usko hi dekhe ja raha tha.....adirishi par nazar padte hi rajnandini ke dil ki dhadkan tez ho gayi.....vo chah kar bhi apni nazare hata nahi pa rahi thi...uske dil me ek mithi mithi chubhan uthne lagi thi.

Champa ne jab usko aise khade dekha to chounk gayi ki isko kya ho gaya... ? usne kayi baar usko naam lekar awaz kagayi magar uski awaz bahar hi dafan ho gayi….rajnandini apni sudh budh kho chuki thi…ant me champa usko hath pakad ke khich le gayi apne sath…. uske jate hi adirishi bhi gaon lout aaya.

Uske dosto ne jab usko gumsum dekha to usko pareshan karne lage….koi kuch kahta to koi kuch….halanki vo sab bhi usko aise chup dekh kar chintit hone lage the.

Chuttad—arey yaar kya baat hai, tu kal se itna shant shant kyo hai..... ?

Nangu—lagta hai ki hamare dost ko pyar to nahi ho gaya hai kisi se….? hahahaahaha

Adirishi—pyar….pyarrr….haann shayad ye pyar hi hai…

"Mohabbat Kab, Kis se aur Kaha Ho Jaye,
Iska Koi Andaza Hi Nahi Hota...
Ye Ghar Hi Aisa Hai Dost,
Jiska Koi Darwaja Nahi Hota."

Pangu—koun hai vo..... ?

Adirishi—pata nahi....

Gangu—kaha rahti hai.... ?

Adirishi—pata nahi

Chuttad—ye bhi pata nahi...vo bhi pata nahi....lagta hai ki ye bhi ishq ke rog me gaya kaam se

Adirishi vaha se uth kar ghar aa gaya...ab ye roj ka kaam ban gaya tha....vo subah uth ke vahi nadi kinare pahuch ke rajnandini ka intazar karne lagta....haan, iss douran ek badlav jarur aaya tha ki ab rajnandini bhi din me do teen baar nadi me pani lene aane lagi thi..aur ghanto vo bhi adirishi ko niharti rahti thi.

ek din rajnandini bade subah subah din nikalne se pahle hi nadi kinare pahuch kar adirishi ke aane ki raah dekhne lagi...ek ek pal usse badi mushkil se kat raha tha...din bhi nikal aaya aur dhoop bhi khil gayi thi lekin adirishi ko uskepita ne kuch meuljha diya tha to vo nahi aa paya tha ...idhar intazar karte karte rajnandini ko gussa aane laga tha...jab dophar tak vo nahi aaya to gusse me usne padosi ke ghade ko nadi ke pani me phenk diya aur tunk kar ghar lout aayi.

Rajnandini (gusse me khud se)-- kya samajhta hai apne aap ko...? nahi ayega to main marr jaungi kya usko dekhe bina...? mere hath pair jal gaye dhoop me baithe baithe, upar se maa ki daant khani padegi so alag....ab se main bhi nahi jaungi nadi.

phir ek ghante baad.....

Rajnandini (mann me)--ho sakta hai ki ab vo aa gaya ho....? vo bhi to meri raah dekh raha hoga....? agar main nahi gayi aur vo kal se nahi aaya to....? nahi..mujhe jana hoga...

aur vo chupchap khidki se kood kar dophar me hi nange pair nadi ki taraf bhag gayi....

Shayad dono hi ek dusre ke dil ki halat ko samajh rahe the....rajnandini ne ab kisi se ladna jhagadna bhi chhod diya tha....baat baat par gussa hone wali rajnandini ab shant rahne lagi thi.....uski saheliya aur gaon wale bhi hairan the ki ye chamatkar kaise ho gaya.... ?

Ab uski saheliya jab kayi baar usko chidati to bhi vo koi jawab nahi deti thi....ya phir sahi shabdo me ye kahna jyada uchit hoga ki usko apni saheliyo ki baate ab sunayi hi nahi deti thi....kyon ki uske dil, dimag, ankh, naak, kaan sab band the.....sab me adirishi ne kabza kar liya tha.

Rajnandini ko khud hi nahi malum ki kab aur kaise ye sab ho gaya....bas uske dil me yahi laga rahta tha ki kab subah ho aur maa usko nadi se pani lane ke liye kahe....kayi baar to vo nadi se khali ghada hi sir me rakh ke vapis aa jati thi....use pani bharne ka hosh hi nahi rahta tha.

Gaon walo ke sath sath uske maa pita bhi uski halat dekh ke chinta me the....kayi baar jab shakuntala usko pani lane se mana kar deti to vo chupke se padosiyo ke ghade le kar nadi me bhag jati thi...ab to uska jyadatar samay nadi kinare hi gujarta tha.

Prem dono taraf se tha, kintu moun tha......fasla kewal nadi ke do kinaro ka tha….aksar prem me aisa hota hai… jisko hum chahte hain, vo hamare paas hota hai, hamare sath hota hai….lekin phir bhi hum uske samne apna prem vyakt nahi kar paate….shayad dono hi ke dil me ye udhedbun chal rahi hoti hai ki “Kahi main aisa kuch na kah du ki vo mujhse naraz ho jaye."

Yaha bhi shayad kuch aisa hi tha.....bhay aur sankoch, ye do hi hain jo kisi insan ko moun rahne par majboor kar dete hain....ab inn dono ke dil me, bhay hai ya phir sankoch kahna mushkil hai.

Rajnandini (mann me)—ye mujhe kya ho gaya hai... ? mera mann kyo mere vash me nahi hai…? Vo kuch kahta kyo nahi hai…?

"Khwabo Ki Duniya Mein, Hum Khote Chale Gaye,
Na The Madhosh Par, Madhosh Hote Chale Gaye,
Na Jane Kya Baat Hai, Uske Chehre Mein ?
Na Chahte Huye Bhi, Unke Hote Chale Gaye…."


(2656 words)
 
Last edited:
Top