• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy CHAMATKAR (Completed)

Opinion Of the Story...

  • Good

    Votes: 229 96.6%
  • Bad

    Votes: 8 3.4%

  • Total voters
    237
  • Poll closed .

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,983
159
waiting
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
UPDATE-99

Uss samay kahi aas paas bahut sundar madhur geet baj raha tha....

"O...Re...Kanhaiyaaaa, Kis ko kahega tu maiyaaaa.....Kanhaiyaaa kisko kahega tu maiyaaa
Ek ne tujhko diya janam re, ek ne jeevan sanwaraaa....kanhaiyaaa kisko kahega tu maiyaaa"


Dono girte padte kisi se takra kar niche girne hi wali thi ki kisi ne unhe apni majboot bhujao me thaam liya.... vahi sab ki ankhe ashcharya aur hairat se khuli ki khuli rah gayi.

Ab aage……

Dono bhagte huye jiski baho me ja kar giri vo unka apna hi beta adirishi tha….adii ko samne dekh kar sabhi ki ankhe hairat se khuli rah gayi….unhe apni ankho par yakin hi nahi ho raha tha.

Magar kahte hain na ki ek maa ke hriday me teesri ankh bhi hoti hai jo apni aulad ko pahchanne me dhokha nahi khati….vo apni santan ki har dukh taklif bhookh aur pyas ko bina kahe hi bhamp leti hai…aaj bhi vaisa hi kuch hua jise sab unn dono ka pagalpan kah rahe the lekin vo to unki teesri ankh ka chamatkar tha jisne apni aulad ke aane ki aahat ko koso door se hi pahchan liya tha.

Yah shakti kewal ek maa ko hi prapt hai….shayad yahi vajah hai ki bhagwan ko bhi maa ki mamta ka anand uthane ke liye baar baar dharti par janam lene ke ko vivash hona padta hai.

“Maa…” mere muh se bas itna hi nikla tha ki dono bina mera chehra dekhe hi dono taraf ke gaalo ko betahasha chumne lag gayi….dono ki ankho se jhar jhar karte huye anshuo ki ladi lagi huyi thi kintu ye khushi ke anshu the.

Urmila (rote huye)—tu aa gaya….meraa adii aa gaya….ummmm….ummm…tu kaha chala gaya tha…itna naraz ho gaya ki apni maa ko hi bhula diya……ye bhi nahi socha ki main kaise jinda rahungi….tere bin….main tere bina nahi jee sakti…tu to meri jaan hai adii…mere lal…uuummmmmm

Megha (rote huye)—mera beta aa gayaaa…..uuummmmm….kaha kaha nahi dhoonda tujhe….koi mandir, koi masjid nahi bachi jaha tere liye matha na teka ho……aisa koi pal nahi jab tujhe iss maa ke dil ne yaad na kiya ho…. Ab tujhe kahi nahi jane dungiii….apne aanchal me chhupa kar rakhungi tujhe….ummmm

Dono rote huye badbadaye ja rahi thi aur dono galo aur sir ko chumte bhi ja rahi thi…..aur main chup chap khada unko rote dekh kar bahut koshish ki lekin khud bhi apne anshuo ko bahne se nahi rok saka.

Adii (nam ankhe)—sorry maaa,..mujhse galti ho gayiii…ab main tumhe chhod kar kahi nahi jaunga…mat ro maa..dekh tumhara beta aa gaya hai.

Hum teeno ko rote dekh vaha moujud sab ki ankhe bhig gayi….unhe bhi pata nahi tha ki unki ankhe kab unhe daga de gayi….?

Maine jhuk kar dono ke pairo me gir gaya…..ek hath urmila ke pairo par to dusra megha ke pairo par….dono ne jaldi se utha ke mujhe apni chhati se chipka liya jaise koi bandar apne bachche ko chipka leta hai.

Shree ab tak andar nahi aayi thi..vo gate se hi chhup kar sab dekh rahi thi…uski bhi ankhe dawadol thi…anand aage aane me sankoch kar raha tha, megha aur ajit ke samne…..

Ajit—adii beta hum bhi to hain….dono usko chhod bhi do ab…hame bhi to mil lene do

Megha—chup raho…..abhi hamara dil nahi bhara hai

Lagbhag ek ghante tak vo mujhse aise hi lipti chumti rahi..shikayte karti rahi aur roti rahi….badi mushkil se maine unhe shant karaya…..unke kuch shant hone ke baad maine ajit aur anand ke pair chhuye…unhone bhi apne seene se kafi der tak lagaye rakha.

Anand ke seene me maine pashchatap ke dard ko bhali bhanti mahsoos kar liya tha…..vaise bhi unhe saza dene ka adhikar megha maa aur urmila maa ko hai….ek baap ka farz nibhane me unhone koi kami nahi rakhi kabhi bhi.

Iske baad main apne sabhi dosto se mila….khatra ne mere aage aa kar apne hath jode to maine usko apne gale se laga liya.

Khatra—malik aap aa gaye…? Bahut talsh kiya maine apko…?

Adii—pagle main tera malik nahi balki dost hu..samjha…aur main sab janta hu.

Chitra—adiii…mujhe maf kar do…sab kuch meri vajah se hua hai

Adii—nahi chitra…sab upar wale ki marzi hai…..vahi har kadi ko ek dusre se alag bhi karta hai aur phir milata bhi vahi hai.

Ab akhiri me bachi agni aur margret…..dono ki hi ankho me anshu the….agni ne aage badh kar mere pair chhu kar apni maang me laga liya aur maine utha kar usko apne seene se.

Agni (anshu bahate huye)—aaj meri tapasya safal ho gayi….aap ne mujhe apni iss dasi ko charno me jagah to de di.

Adii—rote nahi agni…aur tum meri dasi nahi balki meri patni ho….tumne aisa koi kaam nahi kiya jiske liye tumhe sharminda hona pade….balki gunahgar to tumhara main hu, jo tumhare prem ko pahchan nahi saka aur usse door bhagta raha hamesha…..ho sake to mujhe kshama kar dena.

Agni—aap kshama maang kar mujhe paap me mat daliye…..aap mere pati bhi hain aur mere parmeshwar bhi…. Aap se bada devta mere liye iss poore brahmand me koi dusra nahi hai.

Adii—tumhe patni ke roop me pa kar main dhanya ho gaya agni….main bhi kitna bada agyani tha jo iss heere ko nahi pahchan paya…tum sach me bahut sundar ho agni..

Agni se milne ke baad main margret ki taraf gaya….to usne apne dono hath jod liye rote huye…maine usko bhi apni baho me bhar ke samjhane laga….kyon ki main janta tha ki vo bachpan se hi mujhe bahut chahti hai…galtiya har kisi se hoti hain….maine use maaf kar diya tha bahut pahle hi…vaise bhi ab mere alawa uska tha hi koun…uske pagal hote hi uski mummy ne suicide kar li aur dad to uske pahle hi gujar gaye the.

Usko bhi samjhane bujhane ke baad maine shant kiya…phir mera dhyan shree ki oor gaya…to maine shree ko andar bulaya…..shree ko yaha dekh kar sab chounk gaye.(agni, khatra aur chitra ko chhod kar)

Adii—kya hua…? Ye shree hai..pahchana nahi kya…?

Shree—agni, margret..tum log mujhe bhool gaye kya…?

Anand (shocked)—par ye to abhi ghar me thi, tumhare room me baith kar jor jor se ro rahi thi…itna jaldi yaha kaise pahuch gayi….?

Franklin (shocked)—agar ye shree hai to phir vo koun hai jo tere room me teri photo liye ro rahi thi….?

Agni—vo…vo….Rajnandini hai

Shree (full shocked)—whatttttttttttttt…….raaajjjjjnandiniiiiiii……..? ab samjhiiiii ye baat haiiii

Sab (shocked)—rajnandiniiii…..? lekin vo to bilkul shree jaisi hai.

Itna sunte hi mere dil ki bechaini badi tezi se badhne lagi……meri ankho ke samne jhil milane wala vo dhundhla chehra dhire dhire saaf hone laga aur jaise hi vo saaf nazar aaya to meri ankho se anshu chhal chhala uthe…meri chetna mere niyantran se bahar ho gayi.

Adiii (rote huye jor se)—Rajjjnandiniiiiii

Main turant vaha se paidal hi daud pada ghar ke liye…..sab mere iss pagalpan par hairan ho gaye….kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak mujhe kya ho gaya.

Urmila (jor se)—adiiiiiiii

Megha—betaaaaaaa

Agni—aaj unhe mat rokiye….ho jane dijiye do dilo ko ek aaj…..bahut intazar kiya hai rajnandini didi ne iss pal ke liye aaj unn do dilo ke beech me koi mat aaiye…meri sab se yahi vinti hai.

Ajit—akhir koun hai ye rajnandini jo hamari shree ki hamshakal hai…..?

Agni—Rajnandini vo hai jiske pyar ne inhe dubara jindagi di…….rajnandini vo hai jisne apne vishwash ke anshuo se kabhi inki dhadkan ko band nahi hone diya…..rajnandini vo hai jiski vajah se inki saanse chalti hain…rajnandini unka pahla pyar hai….hazaro saal sadiyo purana pyar hai ye…..hazaro saal se vo iss pal ka intazar hi kar rahi hain…

Sab (shocked)—kyaaa kahaaaa….hazaro saallllll….?

Khatra—hmmmm….yahi sach hai.

Urmila—jaldi mere bete ke paas mujhe le chalo…mujhe kuch nahi sunna…mujhe adii ke paas jana hai

Anand—hmmm chalo jaldi

Main bilkul badhawash ho kar road par bhage ja raha tha…bas bhage ja raha tha…..na to mujhe road par aane jane wale vahan dikhayi de rahe the aur na hi beech sadak me lage huye electric pole….kabhi kisi ki gadi se takrata to kabhi kisi pole se…mujhe kisi ki awaz tak sunayi nahi de rahi thi iss samay.

Agar mujhe nazar aa raha tha to vo tha kewal rajnandini ka anshuo me bhiga hua chehra…..main jald se jald uske paas pahuchna chahta tha….doudte huye main raste me na jane kis kis se bhidta raha….aise hi bhagte huye phir kisi se bhid ke niche gir gaya lekin phir se uth kar bhagne laga…mujhe iss baat ka hosh hi nahi tha ki main abhi jisse takraya tha vo mujhe jor jor se awaz lagaye ja raha tha.

Ye koi aur nahi balki chuttad tha jisse main takra kar gira tha…..mujhe dekhte hi vo hairan rah gaya….lekin mujhe to kuch dikhayi aur sunayi de hi nahi raha tha..to main bhag kar aage nikal gaya.

Chuttad (chillate huye)—rishiiiiiiiii……ruk ja rishiiiiiiiiii….rishiiiiiiii

Aur mere piche piche chuttad bhi chillate huye doud pada….baki teeno dost jo paas ke tapre me chaay pi rahe the…jaise hi unhone chuttad ko rishi..rishi kah ke chillate aur bhagte dekha to vo bhi chaay phenk kar doud pade chuttad ke piche.

Vahi market me yaha vaha saroj aur deepa charo ki talash me bhatak rahi thi ki tabhi murugan ki nazar bhagte huye chuttad par pad gayi.

Murugan (jor se)—vo…raha….chuttad…..kahi se muh kala kar ke bhag raha hai…..teeno bhi hain piche piche….

Saroj (shocked)—kaha..kidhar…? are haann…sahi hai….chal deepa bhag inke piche..aaj pakadte hain inko.

Deepa—sahi kaha…chalo bhago jaldi se

Murugan--Lagta hai pakka kisi ka rape kar ke bhag rahe honge…piche jarur police lagi hogi…mujhe chhod do.. nahi to mujhe bhi police pakad legi.

Deepa (bhagte huye)—arey chup....tujhe kyo police pakdegi….tu parrot hai koi admi nahi hai samjha….?

Murugan—arey tum nahi janti….ye India hai…..agar pakda gaya to bees saal to mujhe yahi sabit karne me lag jayenge ki main admi nahi tota hu.

Jabki udhar rajnandini abhi bhi meri tasveer liye roye ja rahi thi…kabhi usko chumti to kabhi seene se laga leti to kabhi kuch badbadane lagti.

"Tere Libas Se Mohabbat Ki Hai, Tere Ehsaas Se Mohabbat Ki Hai

Tu Mere Paas Nahi Hai Phir Bhi, Maine Teri Yaad Se Mohabbat Ki Hai

Kabhi Tune Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga, Maine Unn Lamho Se Mohabbat Ki Hai

Jinme Ho Sirf Teri Aur Meri Baate, Maine Unn Alfaaz Se Mohabbat Ki Hai

Jo Mahakte Ho Teri Mohabbat Se, Maine Unn Jazbaat Se Mohabbat Ki Hai

Tumse Milna To Ab Ek Khwab Sa Lagta Hai, Isliye Maine Tere Intazar Se Mohabbat Ki Hai"

Aur achanak tabhi jor se darwaja khula aur phir………
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,951
6,983
159
aj bhi update adhura rameh gaya.
 

Jitu kumar

Active Member
1,946
6,493
143
Awesome update anand bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
sab se milte julte hi aaj ka update nikal gaya,
sab ka aadi ke liye pyaar ek se badhkar ek hai,
sab ek dusre ke pichhe bhag rahe hain,
ye tota sach me had se jyada shaitan hai,
ab dekhte hai ki aadi jab rajnandani se milega to kya hoga,
Waiting for next update
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
aj bhi update adhura rameh gaya.
Thanks for Reading & Supporting
Update adhura rakhne ki vajah thi bhai kyon ki ab rajnandini ki love story ayegi jo ki thodi lambi bhi ho sakti hai akhir kahani ki main heroin hai vo....jo ki aaj likh pana poora possible nahi tha, isliye chhodna pada
Ab jo update ayega usme kewal dono ki love story hogi
Stay with us

Today's update is on page.....868
 

anandsngh12

Well-Known Member
28,992
64,485
173
Awesome update anand bhai,
behad hi shandaar, lajawab aur amazing update hai bhai,
sab se milte julte hi aaj ka update nikal gaya,
sab ka aadi ke liye pyaar ek se badhkar ek hai,
sab ek dusre ke pichhe bhag rahe hain,
ye tota sach me had se jyada shaitan hai,
ab dekhte hai ki aadi jab rajnandani se milega to kya hoga,
Waiting for next update
Thanks for Reading & Supporting
Shukriya Jitu Bhai for encouraging and motivating us
Tote ko bhi uski toti se milana padega bhai ab
Agle update me Rajnandini ka hi chapter rahega poora
Stay with us

Today's update is on page.....868
 
Top