India se dur Spain ke remote area me Raghav apne trekkers friends ke saath jwalamukhi parvat ke yaha gaya hua tha. Pahado pe chadhai uski hobby thi. Usne duniya ke kai pahaad aur junglo ki sair ki thi. Woh apne aap ko fit rakhne ke liye bahot jagruk rahta.
upload high quality photos
Nissar usse baat karna chahta tha par jaha Raghav gaya tha waha mobile range bilkul nahi thi. Usne haar maan li aur apne naseeb ko apne ammi ke hawaale kar diya.
Yaha mehmaano ko nyota chala gaya aur nikaah ki tayaari hone lagi. Sirf khaas logo ko hi bulaya gaya. Sara intezaam Shabana Abbas khud dekh rahi thi. Woh ek rusukh daar aurat thi par apne bahen Farzana ki har baat maanti. Farzaana yane Raghav ki maa ne bhale hi bhaag ke shaadi ki ho par usne hi apne bahen ko sambhala tha. Woh Farzaana ke aage kisi ko nahi rakhti thi.Shabana apni bahen ko khud lene gai kyuki ek accident me uski rid ki haddi toot gai thi.
Khair Nikaah ka din aa gaya, Nisaaar ready hua aur sehra baand ne ke liye uske rishtedaar aa gaye.
Waha Chaand bhi ready ho gai. Chaand laal jode me bahot hi khubsutat dikh rahi thi. Woh sirf 18 saal ki thi aajkal ki is hifi duniya se koso dur uski parvarish hui thi. Use aajkal ke kisi bhi electronics cheezo ke baare me jaada pata nahi tha. Use sirf upari cheeze pata thi par apni hasiyat nahi to cheezo se kyu dil lagaana ye sochkar usne khudko in cheezo se anjaan rakha tha.
Kaaji saahab aa gaye. Aur unhone ladki aur ladke ki rajamandi poochi. Sirf 1 lakh rupaye ki meher par Chaand ne Qubool h kaha. Nissar ne bhi Qubool h kaha. Nikaah naame par dono ne dastakhat kiye. Aur phir sheeshe me dono ne apne chehre dekhe.
Shabana khush thi ki uski bahu sab rishtedaaro me avval khubsurat h. Sarfaraz Ahmad khush the ke bina paise kharch kiye uski beti unche ghar me byahi gai, Chaand khush thi ke use itna padha likha shauhar mila aur Nisaar woh sirf chup tha.