Hoon main deewani uski, main kya karoon?
Hoon main paagal usmein, main kya karoon?
Piya ko maine jaana, toh kyun daroon?
Uske liye samajh se ladi, main na dari?
Kitna hi jhela Maine Dard, ab Kya hi kahun?
Tab jake woh Mila mujhe, main Kyu daroon?
Deewani hoon main uski, usmein hi rangoon.
Woh yeha hai nahi, fir bhi uski hi baatein karoon.
Na darr mujhe, na sharm, bas uska junoon,
Har pal uske sang mein, dil ka yeh safar sukoon.
jaanvi sen
Deewana hoon main tera, tu kya karegi?
Paagal hoon tere ishq mein, tu kya karegi?
Tujhe jaana maine dil se, ab kyun darun?
Tere liye duniya se lada, main na dara,
Kitna dard saha, ab kya bataun?
Tab jaake tu mili mujhe, ab kyun darun?
Deewana hoon main tera, tere rang mein rangun,
Tu yahan nahi, phir bhi tere khayalon mein jeeun.
Na darr mujhe, na fikr, bas tera junoon,
Har pal tere sang, yeh dil ka safar hai sukoon.