- 10
- 14
- 4
Update 2
Meghna aur Vijay taiyaar hokar sabse pahile shivji ke mandir jate hai,bahut sundar mandir hai mandir ke piche bane waterfall mandir ki sundarta ko bada deta hai,bahut pyara mandir hai.Meghna aur Arjun bahut saal pahile bache ke liye yahan mannat mangne aye the bhagwan ne bhi inki mannat Vijay ke roop mai ek kabil insaan ko inke naseeb mai dal diya.
Meghna bhagwan se prathna karte hue kehti hai
Meghna:Bhagwan,kai saal pahile mai apke paas ayi Vijay ke liye apka bahut bahut dhanyawaad apne mere aur unki manokamna puri ki aur mere naseeb mai vijay ko dal diya,aise hi apna ashirwaad banaye rakhna mere bete ko bahut sari khushiyan dete rahiye aur mujhe kuch nhi chahiye
Vijay bhi bhagwan se prathna karte hue kehta hai,
Vijay:bhagwan apse jo manga apne diya,aise mujhe Shakti dijiyega khub pad likhkar acha engineer ban saku aur apni maa ki seva kar saku aur unhe sab khushiyan dene ki kabil ban saku aur mujhe kuch nhi chahiye bhagwan.
Vijay aur Meghna dono maa bete bhagwan se prathna karne ke baad pandit ji ka ashirwaad lete hai aur wahan baithe logon ko khana dene lagte hai,uske baad mandir ke piche bane waterfall aur garden mai jakar baith jate hai.
Yeah wahi garden hai Jahan Arjun aur meghna ki pahili mulaqat hui thi yahan se inke pyaar ka aghman hua tha,Meghna ko jabhi Arjun ki yaad ati who vijay ko apne sath yahan le ati yadein taza karti.
Vijay ko bhi yeah garden bahut pasand hai yahan akar use bahut shanti milti hai,dusra maa ki bahut sare yadein hai yahan,Meghna jabhi yahan vijay ko lati Vijay yahan khelta waterfall dekhne mai maghna ho jata tha.Vijay ko yeah jagah bahut pasand hai.
Vijay udhar baithkar waterfall dekh raha tha tabhi meghna Vijay ke pass ati hai aur kehti hai.
Meghna:Bahut sundar jagah hai na beta yahan aakar bahut shanti milti hai
Vijay:Haan Maa bahut pyara jagah hai,aur mere liye bahut special bhi hai ,yahi par aap aur papa mile the,sahi kaha na maine
Meghna:Haan beta,bahut pyara din tha woh jis samay Unki aur meri mulaaqt hui thi ek dusre ko pahili baar dekhe the unke ankhon mai kho gyi thi ek pyara sa tapish tha unki ankhon mai jisse dekhkar puri duniya ka gham bhula gyi thi.Wahi tapish tumhari ankhon mai bhi hai beta,unki adatein bhi tumhare andar hai,logon ka samaan karna,kabhi kisi baat ka ghamand na karna,sabke dil jitney ki kalah tumhe unse hi mili hai.
Vijay:Papa ki bahut yaad ati hogi na,papa ki tarah aap mujhe kabhi chorkar toh nhi jaogi na,warna mai mar jaunga apke bina mai nhi reh paunga aisa bolkar vijay ki ankhon mai anshu ane lagte hai.
Meghna Vijay ka anshu pochkar bolti hai
Meghna:Beta,mai humesha tumhare pass rahungi,tumhe chorkar kahi nhi jaungi,kahan jaungi apne ladle bete ko chorkar humesha tumhare pass rahungi apne veer bete ke pass.
Vijay khush ho jata hai aur kehta hai
Vijay:Mai bhi apko kabhi nhi chorunga,padai khatam hone ke baad apka bahut khyal rakhunga puri duniya ka khushiyan apke samne launga.
Meghna:Mujhe malum hai beta,mujhe pura yakeen hai tumpar,ab chale hume aur bhi logon se milna hai
Vijay:Haan maa chalte hai.
Dono maa bete wahan se chale jate hai
Jaise hi woh ja rahe the wahan pani puri wala khada tha,jise dekhkar meghna khushi se vijay ko bolti hai
Meghna:chalo beta pani puri khate hai,bahut din ho gya hai,tumhe meri kasam mana kiya toh
Vijay:Kya maa aap kasam dekar mujhe rok deti ho,apko toh pata hai apki sehat kharab ho jayegi phir bhi jidd karti hai.
Meghna:Ek din khane se kuch nhi hota samjhe,mujhe bhi apni sehat ka tension hai,tu toh aisa karta hai maine bahut badi galti kar di ab mai tujhse kuch nhi kahungi tujhe jo karna hai kar gussa karte hue aur unki ankhon mai anshu aa jati hai
Maa ke ankhon mai anshu dekhkar Vijay ka dil baith gya
Vijay:Sorry Maa,ab aisi galti nhi hogi,please mujhe maaf kar dijiye mai bhul gya tha apko pani puri bahut pasand hai,please rona band kar dijiye mai bhi ro dunga
Meghna jab sunti hai khushi se uchal padti hai uska plan kamyaab ho gya tha woh janti thi aisa karne se Vijay jarur pighal jayega
Meghna:phir chalo pani puri khate hai
Vijay:thik hai maa,par aap jyada thika nhi khaogi wada karo
Meghna:Haan beta nhi khaogi ab chale
Vijay:Haan chalo
Vijay aur meghna pani puri khane chalte hai,thodi der baad pani puri khake dono wahan se chal dete hai
Meghna:thank you beta,bahut maza aya,kitne samay baad mujhe maza aya aur tumhe
Vijay:Mujhe bhi bahut acha laga maa,maa mujhe ek baat bolni thi kya mai puch sakta hun
Meghna:Haan puch na maine kabhi mana kiya hai
Vijay:Maa mai humesha tumhe yeah aur woh khane se rokta hun,apko bura toh nhi lagta na,apki tabiyat kharab ho jati hai isliye mai apko rokta hun,apka dil dukhane ka mera koi irada nhi tha mujhe maaf kardo bolkar ankh mai anshu aa jate hai
Meghna:Arey beta mai kyu naraz hungi,mujhe toh garv hai mujhe tumhare jaisi aulaad hui,jo meri itni parvah karta hai,bas kuch jyada hi karne lag jata hai isliye gussa hone ka natak karna padta hai jisse tu man jaye
Vijay:Matlab aap pahile natak kar rahe the,yeah galat baat hai maa,dekhna agli baar mai apki baat nhi manunga
Meghna:chal chor yeah batein,agli baar ka agli baar hai,baki logon se bhi milne chalna hai chale..
Vijay:Haan chalo…..
//Apna Like and Reviews jarur dijiyega
mai aaplogon ke pyar ke liye wait karunga//