Update 100- The Final one
Last update me hamne dekha ki ye jo kuch bhi hua vo to sab aman ki planning ke hisab se hua ab aage ..
Agla din, ab arjun singh murder mystry bahut jyada surkhiya bator chuki thi or court me case ki hearing ke liye logo ke aane ka tanta lag chukka tha .. kyoki sab jan na chahte thi ki actual me hua kya hai .. per jab court me logo ko arjun dikha to sabke hosh ud gaye …
Uske bad court me sab logo ne apni apni gavahi di or police ne bataya ki unhone kaise is case ko deal kiya .. court ne sari bato sun ne ke bad apna faisla sunaya ..
Taman sabuto or gavaho ko Madhya najar rakhte hue ye court apna faisla sonata hai ki is case me police ne jo kam kiya hai vo vakai kabil e tareef hai .. sath hi ye court aman khurana ko baizzat bari kerti hai or sath hi sath unse kanuni prakiya me sath dene ke liye dhayanwad bhi deti hai or avinash singh and ajay ko court umerkaid ko ye court gair jamanati (non bailable) umerkaid (life imprisionment) ki saja sunati hai .. Written order will be followed soon ..
Iske bad court ka session khatam ho jata hai or sabhi ghar wale , aman ke friends sabhi bahut khush ho jate hai ki ab aman is case se baizzat bari ho gaya tha .. or aman ka ghar per bade aache se swagat kiya jata hai or sham ko ghar per ek badi hi shandar party hoti hai jise ye sab bade aache se enjoy kerte hai ..
Isi tarah se ab inke last year ke college session ke bhi kuch hi din bache the vaha per inka vapas pahle wala masti majak shuru ho jata hai .. or fir exam ka time aa jata hai or uske bad results .. jisme ki ye sab log bade hi aache marks ke sath me pass ho jate hai ..
Exam pass kerne ke bad Rahul , riya , shivani , rishabh and divya sabhi ko aman apni hi organization join kerke ka offer deta hai .. kyoki use pata tha vo sab log milkar macha sakte hai .. or sab aage ki apni career opportunities ko dekhte hue aman ka organization join ker lete hai .. or nisha vo to pahle hi dad ka business dekh rahi thi .. or shadi ke bad bhi vo vahi per continue kerne wali thi kyoki dad akele the itne bade business ko sambhalne ke liye ..
Aj aman vapas se apne banglaw ke bahar garden me baitha tha or aman ke chahre per khusi saaf jhalak rahi thi .. vo aj se 2 saal pahle ke wakt ko soch raha tha .. jab vo socha kerta tha ki apne dream ke bare me college life ke dream ke bare me .. or vo dream usne pura ker liya tha ..
Aman soch raha tha .. mujhe mere do saal ki college life ne kya kuch nahi diya mujhe mera pyar diya .. kuch bahut sare jindgi me kabhi nahi bhulane wale pal diye .. kuch aise dost diye jo hamesha jaan chidakte the .. is college life me as a professor mujhe kuch aise students diye jinhe me jindgi me kabhi nahi bhool sakta hu .. college life sach me ek bada hi suhana pal hota hai jise ki mujhe jine ka mauka mila .. or mene ise itna enjoy kiya jise me kabhi nahi bhula sakta or mene apne college life – a dream ko college life – a successful dream me convert kiya ..
Aj aman vapas ye sab isliye soch raha tha kyoki aj convocation day tha college khatam ho chuka or aj final day sabko college jana tha … shayad kuch logo se jindgi me vapas milna nahi hone wala tha .. bas isi soch me aman college pahuch jata hai ..
Aj ke convocation ki sabse khaas bat ye thi ki aj arjun ne aman se request kari ki ye event vo organize kare or aman ne bhi khusi khusi use pura work de diya .. or arjun ne bhi is event ko bade aache se plan kiya .. or shayad ab arjun is pure incident ke bad badal chuka tha .. usne aman se or pure college se pichle kuch saalo me usne jo kuch bhi kiya uske liye maafi mangi .. or iske bad wakt aaya student of the year award ka ..
So guys student of the year award jata hai .. Mr. Aman khurana ko .. or isi naam ke announcement ke sath pura auditorium goonj uthta hai taliyo ki ek jordar gadgdahat ke sath .. fir aman ki college ke bare me apni kuch feelings share kerta hai .. or isi ke sath in sab logo ka convocation khatam hota hai .. or college me badi shandar party organize hoti hai .. jisme ki sab log bahut enjoy kerte hai ..
Or fir sab log ek dusre se vada kerte hai .. ki milte rahenge .. (or hum sab jante hai ki ye vada sirf vada hi rah jata hai .. sab apni apni jindgi me kuch is kadar busy ho jate hai ki ek dusre ko bhul jate hai .. )
Ab inka college khatam ho chuka tha .. or ghar wale isi firaq me the ki jaise hi dono ko college khatam hoga dono ki shadi kara di jayegi .. to bade hi dhoom dhaam se dono ki shaadi ki planning hoti hai or tay hota hai dono ki destination wedding hogi udaipur (rajasthan) me .. shadi ke din nisha and aman dono ki Jodi badi hi khoobsurat lag rahi thi .. dono ne shadi ki sari rashme ada kari or dono ki dhoomdhaam se shadi hui …
Or shadi ke tin din bad hi vo dono apne honeymoon ke liye ud gaye bali (wooohoooo) .. or vaha se aane ke bad unhone nisha ke pregnant hone ki khaber bhi sabko suna di … or ghar me ki sabhi khusiya double ho chuki thi .. chaliye ab hum nisha and aman ko yahi per chod chalte hai .. inka or hamara sath yahi tak tha .. iske aage ki jindgi aman and nisha ki apni jindgi .. kyoki writer ne dono ko 2 saal apni ungliyo per waise bhi bada nacha liya .. or ye sale writer hote hi kamine hai .. jab unhe kisi ki jindgi pakada do to sale puri jindgi me uthal puthal macha ker vapas normal ker dete hai .. maja aata hai unhe ye sab kerne me ..
To chailiye friends .. aman ka college life ka dream pura hua .. ek me sath me ek writer note likh rha hu niche .. jo ki bilkul dil se nikli hui bate hai .. ek bar ap se gujarish hai ki use jarur pade ..
The End