If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Mein: PM kesay bano gey hakumat tou kisi aur ki hai humari nai.
Zayn: Hukumat girayee bhi tou ja sakti hai na baba yeh tou aap k bayein hath ka kheil hai.
Mein: Haan mein aesa kr sakta hoon lekin es sey tumharey kayee dushman ban jaen gey jo k mein nai chahta mujhey hi deikh lo kab humla hota hai pata nai.
Zayn: Baba Aap mujhey banaen gey k nai.
Mein: Theek hai lekin tumhey 1 saal wait krna ho ga.
Zayn: Theek hai baba.
Mein: Theek hai phr tum Election ladney ki tyaari kro.
Zayn: G baba.
Zayn chala gya us k jatey hi sab Aly ko deikhney lagey jesay koi sawal krna chah rahey hoon Aly ne jab un ki traf deikh tou sab ko apni traf ghurtey paya.
Mein: G aesay kia deikh rahey hn aap sab mujhey.
Gudiya: Yeh sab kia hai bhaiya Zayn ko sysat main kiun la rahey hn.
Mein: Mein nai who khud aana chahta hai.
Gudiya: Aap manah bhi tou kr saktey they na.
Mein: Nai kr sakta us ne pehli baar mujh se kch manga hai ab wohi baney ga agla PM.
Aly ne Awais ko phone kr k apney ghar pe bulwaya Raat k khaney main Awais apni family k sath aaya sab ne mill k khana khaya aur hall main ja k beith gaey.
Awais: Mein yeh kehna chahta tha k meri tabiat ab bht khraab rehti hai dill ka mareez hoon doctor ne ab full rest ka kaha hai es wajah se mujh se ab syasat nai ho gi tou mein ne resign deney ka socha hai.
Mein: Hmmm drasal baat yeh hai k Zayn Syasat main aana chahta hai tou mein esi barey main baat krna chahta tha k kisi se resign dilwa k usey us hulkey se election ladwaun lekin aap hi resign kr rahey ho tou theek hai aap k hulkey se hi Zayn ko election ladwa detey hn.
Awais: Theek hai tou ab kia krna hai.
Mein: Kerna kia hai aap kal resign dein us k 40 din baad election hoon gey aap kisi ko party ticket dein who election ladey ga.
Awais: Tum tou keh rahey they k Zayn ko election ladwana hai.
Mein: Haan.
Awais: Tou kisi aur ko ticket kiun dena hai Zayn ko hi detey hn.
Mein: Nai woh aazad election ladey ga mein usey party ka chair man bnana chahta hoon.
Awais: Who tou wesay bhi ban sakta hai na party tou apni hai.
Mein: Opposition waley tana marein gey k virasat main milli hai aur mujhey yeh berdast nai k koi us k barey main aesa boley.
Nasir: Ab Kia krna hai Aly ka.
Haris: Kia krna hai yeh tou who hi bata saktey hn.
Nasir: Un ka phone kal se mila raha hoon lekin jawab nai de rahey pata nai kahan busy hn.
HARIS: Kis ki baat ho rahi hai.
Nasir: Aaye aaye hum aap k barey main hi baat kr rahey they.
HARIS: Hmmm mein thoda kaam k silsiley main kaheen gya tha abhi lota hoon.
Haris: Tou phr Aly ka kia krna hai.
HARIS: Kch bhi nai plan kr k hi kch kr saktey hn uska aur plan filhal bnaya nai es baar koi ghalti nai ho gi.
Haris: Aur koi hukam.
HARIS: Haan (Haris ko list detey huey) Development main en ko project deney hn kin ko kis main dena hai yeh sab es list main hai.
Haris: G theek hai.
Mein: Mein ne baat kr li hai tum jald hi election lado gey lekin us sey pehley tum Awais uncle k sath waqt biato aur samjho kia kia krna hai.
Zayn: G baba.
Mein: Ek baat dhyaan se sun lo muh se nikli koi bhi baat se mukerna mat ek baar jo keh dia usi pe datey rehna chahey us k liey koi bhi keemat kiun na chukani parey (call attend kr k) G DD.
Anisa: Kahan ho bhai khaney pe sab wait kr rahey hn.
Mein: Bas aa raha hoon DD Zayn k sath bahir aaya tha kaam se bas rastey main hoon.
Anisa: Theek hai bhai lein Ayesha aap se baat krna chahti hai.
Ayesha: Hello.
Mein: G jaan.
Ayesha: G who Broccoli letey aaye ga who khatam hn.
Mein: G aur koi hukam.
Ayesha: Nai aap bas jaldi aa jaen sab wait kr rahey hn.
Mein: Mein bas aaya.
Aly ne abhi yehi baat kahi thi k unki gari pe ek truck ne takker mari takker itni zor se thi k Aly ki gari udti hui gai aur kisi building se takra k neechay giri Aly ko bht choutein aayen us ne Zayn ki traf deikha tou who behosh para tha aur uska jism bhi chouton se bhara tha aur pura jism khoon se latpat tha.
Aly ne deir na krtey huey jesay tesay kr k khud gadi se bahir nikla aur phr muskil se zayn ko nikala bahir nikal k Zayn ko hosh main laney k liey koshish krney laga lekin Zayn ko hosh nai aa raha tha Aly ki aankhon main aansu aa gaey they zayn ko es halat main deikh k.