- 1,101
- 1,945
- 159
Update#130
Aaj Aly ki Shadi Habiba k sath thi Sab bht khush they khaas kr k Habiba ki Family Aly ka nikah Habiba k sath ho gya rukhsati hui aur sab apney ghar ko aa gaey agley din Valeema us k baad Aly k nana g apney gaun ja chukey they Aly apney room main apni maa ki tasveer k aagey khada apni maa ko tasveer main deikhey ja raha tha.
Mein: Aaj aap ka sapna pura kr dia maa aap ne hi kaha tha na k mera Habiba se nikah ho deikho maa mein ne Habiba se nikah kr lia DD ka bhi nikah kr dia kash aap jahan hoti tou kitna acha hota aap deikh rahi hn na sab kitney khush hn.
Mein ne khud ko janwar bana lia lekin apni Family ki rakhsha aaj bhi kr raha hoon maa pata nai kiun mujhey aesi beemari lagi k mein janwar ban jata hoon maa mujhey aaj aap ki bht yaad aa rahi hai.
Aly ne itna hi kaha tha k kisi ne us k kandhey pe peechay se hath rakha Aly ne mud k deikha tou us ki behan Anisa thi us ki aankhon main aansu they.
Anisa: Kia hua bhai aaj khushi ka din hai aur aap dukhi hn.
Mein: Mein dukhi nai hoon DD bas maa ki yaad aa rahi hai aaj ager who zinda hoteen tou apni family ko khush deikh k kitna khush hoteen who.
Anisa: Haan bhai lekin hum kia kr saktey hn bhai uper waley ne jitni zindagi likhi thi maa ki utni hi who jee payen.
Mein: (gussay main) Nai DD utni nai kisi ne un ki zindagi cheen li maar dala humari maa ko mein usey zinda nai shodun ga bas ek baar pata chal jaey k who kon tha us k baad us ka who haal karun ga k duniya hi kanp uthey gi.
Anisa Aly ko gussay main deikh k darr gai Anisa ne Aly ko galey se laga lia Aly shant hua tou Anisa usey bahir le aaye yahan sab dinner pe us ka wait kr rahey they sab ne raat ka khana khaya aur apney apney room main chaley gaey aaj Aly k sath Ayesha k sath sath Habiba bhi thi.
Subhah sab nashtey k liey dining table pe ikhattha they aur sath sath baatein bhi kr rahey they ek haftey k baad election they usi pe baatein ho rahi theen nashtey k baad sab hall main ja k beith gaey.
Aadmi: Aly aaj waqt aa gya k jis kaam k liey tum ne mujhey bheija tha who tumhey btaun.
Mein: G dada mein tyaar hoon btaeye kia pata chala.
Aadmi: Mein tumhey btaun ga lekin us sey pehley tumhey bata doon k meri puri baat suno gey us k baad ho kch bolo gey beech kch bhi nai pucho gey.
Mein: Theek hai dada.
Aadmi: Es sey pehley mein tujhey kch btaun ek flashback hai who sun le.
Mein: G.
Flashback
Aadmi: Baat tub ki hai jab tumharey baba aur ami University main perhtey they tumharey baba ko tumhari ami k sath ek hi nazer main pyaar ho gya tha tumhari ami ko bhi tumharey baba pehli nazer main hi pasand aa gaey they lekin kabhi ziker nai kia.
Tumharey baba her roz tumhari maa ko deikhney ka koi na koi bahana banatey rehtey es baat se tumhari ami bhi anjaan nai theen un ko bhi maloom tha k tumharey baba un ko shup shup k deikhtey hn dheirey dheirey dono ek doosrey se pyaar krney lagey aur ek din tumharey baba ne tumhari maa ko propose kr dia jisey tumhari maa ne accept kr lia.
University main koi aur bhi tha jo tumhari maa se utna hi pyaar krta tha usey yeh maloom nai tha k tumhari maa ne tumharey baba ka pyaar accept kr lia hai kiun k who us din aaya hi nai tha uni agley din us ne irada kia k who tumhari maa ko propose kr k hi rahey ga.
Agley din who gya aur tumhari maa ko propose kr dia lekin tumhari maa ne yeh keh k inkaar kr dia k who kisi aur se pyaar krti hai esi beech tumharey baba aur us aadmi k dermyaan dushmani shuru ho gai aye din dono main jhagra hota rehta lekin tumhari maa ne tumharey baba k sath kabhi nai shoda.
Tumharey baba ki aur ami ki shadi ho gai nikah waley din bhi hangama hua tha who aadmi dhamki de k gya tha k who badla zaroor le ga aur aesa badla le ga k dono ne socha bhi nai ho ga kheir shadi ho gai dono khushi khushi rehney lagey us k baad Tum aur Tumhari behan es duniya main aaye dono ki zindagi main khushiyan hi khushiyan theen.
Ek din dono kisi restourent main khana khaney gaey wahan who aadmi bhi tha us ne waiter ko pesay de k tumhari maa k pani k glass main ek goli dulwa di aur pani tumhari maa pee gai dono ghar aa gaey us raat tumhari maa ko naak se khoon nikla jo us medicine ki wajah se hua tha tumharey baba ghabra gaey aur un ko hospital le gaey.
Us waqt Hospital main bhi who aadmi majud tha us ne Doctor ko pesay de k khareed lia tha doctor ne tumhari maa k test kiey aur ek khaber tumharey baba ko di k tumhari maa ko Blood Cancer hai aur bhi Last stage ab elaaj ka koi faida nai kiun k tumhari maa k pass ek hafta hi bacha hai dono hakka bakka ho k doctor ko deikhney lagey kiun k aesa pehley hua nai tha aur achanak kesay.
Tumharey baba toot chukey they kiun k who tumhari maa se bht pyaar krtey they doctor ne kch aesi medicine likh k di jis sey tumhari maa ki halat kch khraab si rehti takeh k un ko shak na ho phr din tumharey baba kisi kaam se bahir gaey they ghar main sirf tumhari maa, tum aur tumhari behan hi they.
Tumhari maa hall k sofey pe beithi thi tabhi who aadmi mask pehn k aaya aur tumhari maa ka muh daba k usey injection laga dia aur wahan se chala gya who injection drasal yeh tha k us sey insaan k dill ki dhadkan bht slow ho jati hai nabz na k braber chalti hai aur insaan behosh ho jata doosrey samjhtey hn k who mar gya hai.
Yehi tumhari maa k sath hua sab ne samjha k who mar gai hai tumharey baba ko pata chala tou who aur toot chukey they tumhari maa ko dafan kr k wapis aa gaey jab sab kabristaan se wapis aaye usi aadmi ne tumhari maa ki kaber khodi aur tumhari maa ko bahir nikal k usi trhah phr se kaber kr di.
Merey bhai tumhari maa zinda hai sahi salamat jis ka pata Meesum ko chal gya tha aur usey maar dia usi aadmi ne.