- 1,101
- 1,945
- 159
Update#131
Merey bhai tumhari maa zinda hai sahi salamat jis ka pata Meesum ko chal gya tha aur usey maar dia usi aadmi ne.
Flashback End
Aadmi ki baat sun k Aly k sath sath us k ghar waley bhi heart se aankhein phadey usey deikh rahey they jesay us ne kch aesa bol dia hai jo k namumkin hai thodi deir k baad Sarfraz aur Anisa ki aankhon main khushi k aansu aa gaey baqi bhi sab khush they lekin Sadia ko darr tha k ab us ka kia ho ga Aly bas kisi soch main gum tha us ne kisi ko call milaya.
Mein: Meri baat dhyaan se sun Kalsoom Sarfraz duniya k kisi koney main hi kiun na ho mujhey bas pata chaiey mujhey nai maloom k naam badal dia hai ya nai mujhey who jagah maloom chalni chaiey tumharey pass ek din ka waqt hai kal esi time mujhey tera phone aa jana chaiey main tujhey un ka photo bheijta hoon.
Sarfraz: Ager us ne Kalsoom ka chahra hi badal dia ho.
Aadmi: Nai badla aur badley ga bhi nai kiun k who usi chehrey se pyaar krta hai.
Mein: Tou kia us ne meri ami k sath.
Aadmi: Nai us ne khud se wada kia hai k jab tuk tumharey baba ko maar nai deta who usey hath bhi nai lagaey ga lekin haan us ka khyaal bakhubi rakhta hai time pe khana deta hai baqi zaroorton ka bhi khyaal rakhta hai.
Aly ko Sadia kch preshan lag rahi thi who yeh bhi janta tha es ki wajah kia hai.
Mein: (Sadia se) Aap preshan na hoon jesa aap soch rahi hn wesa kch nai ho ga aap baba ki bv hn aap ka pura haq hai es ghar pe meri maa k aa janey se aap ki zindagi pe koi asar nai aaey ga.
Aly apney room main chala gya lekin baqi sab ab preshan they k jesa aadmi ne kaha tha Aly ka roop kiun nai badla aadmi bhi shaid esi baat ko soch raha tha.
Anisa: Aap ne kaha tha bhai aap ki baat sun k Guddu ban jaen gey lekin who tou wesay hi hn.
Aadmi: Mujhey aesa lag raha hai jesay koi bht bada tufaan aaney wala hai ab Aly apni maa ko wapis laney main kia kia krta hai koi soch bhi nai sakta mujhey lagta hai apni maa ko bachaney k baad hi shaid us ka roop badal jaey lekin us sey pehley jo nuqsaan ho ga us ka kisi ko maloom nai.
Aadmi ki baat sun k sab dar gaey k ab kia ho ga Aly apney room main tha aur idher udher tehal raha tha us ki aankhein laal theen us ka sir gussay main garam huey ja raha tha us k sir pe paseena nikal aaya tha AC main bhi paseena tou andaza lagaya ja sakta hai k gussay main kitna garam dimagh ho gya tha.
Aly ka sir dard se fata ja raha tha Aly apney dono hath sir pe rakh liey aur dabaney laga k shaid dard se nijat mill jaey lekin koi faida nai hua Aly dard ko berdast nai kr paa raha tha aur us k muh se cheikhein nikalni shuru ho gaen.
Anisa: Yeh bhai k room se kesi smell aa rahi hai.
Gudiya: DD yeh ciggrette ka dhuwan hai bhai smoke kr rahey hn.
Anisa: Oh no fir se.
Anisa ne duplicate key se derwaza khola tou pura room smoke se bhara hua tha samney kch nazer nai aa raha tha Anisa aur Gudiya hath ko lehraye aa gey berhney lageen aur Aly k bed k pass pounch gaen Aly bed pe laita smoke kr raha tha.
Anisa ne Aly k hath se ciggrette kheinch k dustbin main pheinkh di Aly ne jab samney deikha tou samney Anisa aur Gudiya gussay se Aly ko deikh rahi theen lekin dono agley hi pal dar gaen hua yun k Aly ki aankhein full laal theen aur Aly ka matha laal hua para tha.
Anisa: (dertey huey) Yeh kia hua bhai aap ko.
Mein: Kch nai sir dard se fata ja raha hai samjh nai aaye kia krun dard berdast se bahir hai.
Anisa: Chaliey aap merey sath bahir aayen Gudiya tu ja doodh garam kr k hall main le k aa.
Anisa Aly ko le k hall main aa gai aur sofey pe bitha dia aur apney room main chali gai wahan se medicine le k aaye tub tuk Gudiya doodh garam kr k le aaye thi Anisa ne Aly ko medicine di Aly ne doodh k sath medicine le li kch hi deir main Aly k sir ka dard hulka hua lekin khatam nai hua dard ab berdast ki had tuk theek ho gya tha.
Agley din sab hall main beithey baatein kr rahey they Aly bas khamosh tha usey intezar tha bas ek call ka thodi hi deir main usey call aaya us ne jhat se pehli ring pe hi utha lia.
Mein: Haan bol kaam hua.
Awaz: Jee sir kaam ho gya hai.
Mein: Bol kahan hn who.
Awaz: Pichley 15 salon se who Israel hn.
Mein: (shocked) Kia?
Awaz: Jee sir aur jo unhey wahan le gya tha who bhi aaj kal waheen hai kisi kaam ki wajah se wahan gya hai.
Mein: Israel main kahan.
Awaz: Sir yeh aap ko DOCK pe pata chal jaey ga.
Mein: Theek hai tumhey inaam mill jaey ga.
Dock ka suntey hi Aly ko maloom ho gya tha k mamla kch zyada hi serious hai.
Sarfraz: Kia pata laga kahan hai Kalsoom.
Mein: Israel.
Aly ki baat sun k sab shocked they Kalsoom Israel kia kr rahi hai aur wahan gai kesay.
Sarfraz: Lekin who wahan kesay gai.
Mein: Yeh tou mujhey bhi nai pata kal mujhey Israel jana hai apni maa ko leney.
Aly ne kisi ko phone kia.
Mein: Meri baat dhyaan se suno Austria ki factory main sab employee ko nikal k aur kch gundon ko daal k aag laga do abhi esi waqt samjh gaey baqi mein aa k deikhta hoon mein apney plane se nikal raha hoon factory main aag ki khaber puri duniya deikhey Pakistan se le k Canada tuk her koi news deikhey.
Aadmi: Tum krna kia chah rahey ho.
Mein: Merey aadmi ne jab btaya k Address Dock pe ja k miley ga es ka matlab hai k mamla bht hi zyada peichida hai mein koi risk nai lena chahta kisi ko bhi maloom nai perna chaiey k mein kaha ja raha hoon esi liey Austria main factory main aag lagwa di hai takeh un ko mujh pe shak na ho k mein Israel ja raha hoon.
Dock hamara code word hai Austria main location hai mein wahan jaun ga wahan ek aadmi mujhey address de ga waheen se mein khufiya tor pe Israel jaun ga.
Aadmi: Hmmmm apna khyaal rakhna.
Mein: Mujhey apni perwa nai bas maa ko sahi salamat le aaun ager Israel ne kch bhi ghalat kia duniya k nuqsay se us ka wajud hi khatam kr doon ga.