• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Corruption

Which story you like the most?


  • Total voters
    7

kINg_deVil

Active Member
1,101
1,945
159
Update#132
​
Aadmi: Hmmmm apna khyaal rakhna.

Mein: Mujhey apni perwa nai bas maa ko sahi salamat le aaun ager Israel ne kch bhi ghalat kia duniya k nuqsay se us ka wajud hi khatam kr doon ga.

Aly apney Plane main Austria janey k liey tyaar ho gya her traf news pheil gai thi k Austria main Ak Group of Company ki Factory ko Aag lagi hai Ghanton ki flight k baad Aly Austria pouncha wahan se who Factory gya wahan se roop badal k who wahan se ghaib ho gya.

Aly Factory se Dock pouncha wahan pe usey ek aadmi ne ek parcel dia usey le k Aly Austria main baney apney ghar aa gya ghar pounch k us ne parcel khola us main her ek detail thi kahan rakha gya hai security kitni hai Israelian Gov kitni support kr rahi hai.

Khatra bht tha Mosad bhi es main shamil thi aur Israelian Army bhi matlab bht bada kheil kheila ja raha tha mamla shaid us ki maa tuk ka nai tha kch aur bhi tha shaid Pakistan main honey waley Election.

Mein: Arey haan Election yeh mein kesay bhool gya matlab kch honey laga hai es election main kch bada ho ga ya tou apni pasand ki party layen gey ya kch aur ho ga jesa k ladayee jhagra, fasad, bomb blast wagheira kch bhi ho jaey mujhey pata lagana chaiey.

Aly ne kisi ko phone lagaya.

Mein: Meri baat dhyaan se sun mamla bht hi ghambeer hai mujhey kisi bhi halat main DG ISI se baat krni hai unhey bas yeh msg bheij de k Aly baat krna chahta hai who samjh jaen gey.

Awaz: G abhi msg bheijta hoon.

Aly ne apney bag se ek device nikali aur usey on kia yeh ek cell phone type device thi jo k na tou trace ho sakti thi na hi tape kch hi deir main usi device pe phone aaya.

Mein: Salam.

DG: W Salam kaho kia baat hai Aly sab theek hai na.

Mein: Kch bhi theek nai hai sir mujhey khaber milli hai k Israel main meeting ho rahi hn Pakistan main election ko le k usi silsiley main aap se baat krni thi.

DG: Haan mein janta hoon wahan meeting ho rahi hn tum kia kehna chahtey ho.

Mein: Sir aaj tuk kch nai manga hai mein ne bas jo kaha gya who kia hai Pakistan k liey Meri maa ko kidnap kr k Israel main rakha gya hai ek tou mujhey unhey bachana hai doosra mujhey yeh pata lagana hai k wahan aakhir chal kia raha hai kia plan kr rahey hn who.

DG: Mein janta hoon Aly k tumhari ami wahan qaid hn ek ghar main ek aesay ghar main jis k aas pass aesa khatra hai jesay us ghar pe Atom Bomb ko point kia gya hai same like that un ki fouj, Mosad aur High Trained Guards sab us ghar ko gheirey main le rakhey hn yeh btao mein kia kr sakta hoon tumharey liey.

Mein: You know sir 20 saal Apni maa k qatilon ko paglon ki trhah donndha hai lekin jab pata chala k who zinda hn tou ab raha nai ja raha unhey deikhney ko mein apni maa ko wapis lana chahta hoon sir I need your help.

DG: Tum ne kia nai kia Pakistan k liey tou kia itni si favour nai kr sakta bolo kia chahtey ho.

Mein: Apney koi aadmi hn wahan.

DG: Haan hn.

Mein: Bas un ka contact mujhey de dijeay baqi mein sab deikh loon ga.

DG: Mujhey tum pe sab se zyada bharosa hai Aly lekin tum jantey ho Israel ko hum ne kabhi accept nai kia as a country aur Israel ki back pe hai America zara si chuk sab berbaad kr de gi tum samjh rahey ho na.

Mein: Mein achi trhah se samjhta hoon sir bas aap mujh pe bharosa rakhein mein Apni maa ko le k wapis aa jaun ga.

DG: Theek hai mein tumhey esi pe msg krta hoon un k contact Best of Luck.

Mein: Thnx sir.

Kuch hi deir main Aly ko msg aaya Aly ne phr se kisi ko phone kis Pakistan main.

Mein: Jaldi se merey doston ko Cargo Plane k zariey Austria bheijo jitni jaldi ho sakey utni jaldi aur baat pheila do k Factory main kch intrument bheija ja raha hai jaldi.

Aly ne khana khaya aur sou gya jab sou k utha tou kch hi ghantey they Cargo Plane ko Austria main aaney k liey time beet gya Aly chal dia Airport wahan ja k us ne ek kamrey jitna box apney plane se nikalwaya aur kagzi karwayee k baad usey apney ghar le aaya container bus k zariey.

Box ko ghar rakhwa k bus ko rawana kr k Box khol dia us main jo bhi they who aram se ghar main chaley gaey us k baad Aly ek room main gya jo k ek special room tha wahan ja k us ne sarey kaprey utar diey siwaye underwear k aur remote se kch kia tou usey apney jism pe kch chubta hua mehsoos honey laga.

Us sey Aly ka gussa berhney laga us ka jism jo k gora tha ab pinkish honey laga aur kch time k baad laal Aly ki aankhein had se zyada laal ho gai theen Aly k chehrey pe sheitani smile thi aur sath main gussa bhi Aly jor se cheikhney laga aur kch hi deir main room normal ho gya aur Aly ab Aly nai raha.

Computer: Welcome Zevil.

Zevil: Im Back hahahahahahahaha.

Zevil ne kaprey pehney aur room se bahir nikal aaya aur study room main chala gya wahan ja k us ne fridge se bear nikali aur sofey pe beith k peeney laga aur plan bnaney laga plan bnaney k baad us ne Aadmi ko phone kia jo us k ghar pe reh raha tha.

Aadmi: Hello Aly.

Zevil: Guess who.

Aadmi Aly ki awaz aur es trhah se bolna pe shocked ho gya aur sofay se girta girta bacha who us awaz ko pehchanney ki koshish kr raha tha zehan pe zor dalney k baad ek naam us k Zehan main aaya aur us naam ko soch k hi us ka shareer Paseeney main naha gya us k chehrey pe darr saaf saaf deikha ja sakta tha Aly ki family us Aadmi ki herkat ko deikh k shocked thi.

Aadmi: (kanpti hui awaz main) Ze ze Zevil.

Zevil: Yo my boy.

Aadmi: (dertey huey) Kia kaam hai.

Zevil: Mein ab Israel rawana honey laga hoon wahan pounch k mein signal doon ga aur tumhey who krna hai jo ab mein tumhey btaun ga.

Aadmi: Theek hai.

Zevil: ***********************.

Anisa: Kia hua aap itna derey huey kiun hn.

Aadmi: Derney wali baat hai Aly ab apney Second last Roop main aa chuka hai.
 
  • Like
Reactions: RAAZ

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,957
7,161
159
Superb update bhai
 
Top