• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 185 83.3%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 14.9%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.5%

  • Total voters
    222

Satru

Hay baby m a hot man .
183
370
64
Aisa update do ke Damm nikal e jaaye
 
Sauravb

Victory 💯
8,104
14,284
174
Update - 28

N abbu : beta mere jane ke baad meri beti ka hath thaam lena usse nikah kar lena aur use hamesha khush rakhna nhi to wo kgud ko sambhal nhi payegi. Bohot bholi aur nadan hai meri beti noor.

Aabbb aaagggeee........

Reyansh : ye aao kya keh rahe hai ? Aisa nhi ho skta.
N abbu : kyu nhi ho skta beta kya meri beti sunder nhi ya usme koi kami hai?
Reyansh : aisi baat nhi par mai Noor ke kabil nhi hu. Noor mujhse kai guna better deserve karti hai aur na nhi mai ek acha insan hu.
N abbu : kisne kaha beta ki tum bure ho. Duniya dekhi hai inn akhon ne kisi ko bhi dekh ke bata sakta hu kon achcha hai aur kon bura aur tum to ander se bohot masum aur dare hua bachche ki tarah ho jo sirf pyar ka bhukha hai.

Jab noor ke abbu ne ye bate kahi to Reyansh unse najre churane laga kyuki unki kahi baat kahi na kahi sach thi. Wahi room ke kone me khadi noor bas asoon bahaye ja rhi thi. Ek to apni ammi ko khone ka dard upar se uske abbu ki bhi halat kafi kharab thi..

N abbu : Jawab Do Reyansh Kya tum Noor se Shaadi Karke Meri Aakhri Ichcha Puri Karoge.?

Noor ke Abbu ki Aakhiri ichcha Wali Baat sunke reyansh Soch Mein Pad Gaya Ki Ab vah Kya Karen Kyunki Mana karne ke liye Uske pass koi Badi vajah Nahin thi. Kuchh der bad Reyansh ne jawab Diya.

Reyansh : Agar aapki Yahi Aakhiri ichcha Hai To Main iska man rakhunga. Main nikah Ka Vada To Nahin kar skta per main Noor ko Khush rakhne ke liye Kuchh Bhi karunga.
N abbu : beta uski Khushi to tumhare sath hi hai aur Mujhe Tumse isi jawab ki ummid thi .

phir Noor ke Abbu ne kone me khadi noor ki taraf dekha aur ukhdi hui awaz me lambi sanse lete hue bole.
N abbu : beta noor idhar aao.

Noor ne jaise hi apne abbu ki awaj suni to wo hosh me aayi aur fir apne abbu ke paas aake rotw hue gale lag gayi.
Noor : ( hichkiya lete hue) AAAbbu maat hich.. Mat jaiye naa plzz hichh..
N abbu : ( dard me) nhi beta mai nhi ruk sakta. Agar bach bhi gaya to teri ammi be bina nhi ji paunga.

Phir N abbu ne Reyansh ki aur dekhte hue uska hath pakda aur noor ka hath uske hath me thama diya aur bole.

N abbu : ( atakte hue) aab se Nnoor tumhari jimedari hai bete Reyansh. Bolo nibaoge na meri beti ka sath bolo beta?
Reyansh : ( bina soche) hhhaan Uncle mai rakhunga Noor ka khayal.

Shayad Noor ke abbu reyansh ke muh se ye hi sunne ke liye abhi tak jinda the. Jaise hi Reyansh ne apni baat puri ki Noor ke Abbu apna sharir chod chuke the.

Beeeppp.........................

Iske sath hi reyansh chillaya
Reyansh : (lagbhag rote hue) doctor dekhiye na kya ho gya uncle kuch bol nhi rahe hai dekhina...
Noor : (rote hue ) dekhiye na doctor..... Hich kya ho gya mere abbu ko .

Itna sunte hi turant doctors bhagte hue aaye aur Noor ke abbu ko check kiya .

Doctor : sorry to say but he is no more.

Bass noor ne itna hi suna aur apne abbu se chippak ke rone lagi.
Noor : nhi... Nhi.. Aapp nhi jaa skte... Pehle ammi... Phirr aapp nhii....

Noor apne hosh kho chuki thi. Achanak wo ruki aur reyansh ki taraf mud gyi aur uske ekdam karib hoke boli.
Noor : (siskte hue) reyansh dekho na abbu uth nhi rahe mujhse baat bhi nhi kar rhe. Tum unhe bolo na wo to tumhari baat mante haina bolo na Reyansh.

Reyansh ke akhon me bhi halke aasun the par usne khudko sambhala aur noor ko samjhate hue bola.
Reyansh : (bhari mann se ) Noor ab wo hamare bich nhi rahe samajhne ki koshish karo.
Noor : nhi... Nhi... Sab jhut bolte haii nhi... Nhi....

Ye baat noor ne reyansh ke seene pe mukke marte hue kahi thi. Reyansh ne noor ko jabardasti gale laga liya aur shant karne laga par noor shant hone ki jagah phir se behosh ho gyi.
Reyansh ne noor ko durse ward ke bed pe litaya phir hospital ke reception pe aake sara bill clear kiya aur bodies ko claim kar noor ke ghar pohochane ko keh diya.
Reyansh ko uske ghar se nikle karib 7 ghante bit chuke the Itne me use ella aur ivy ka call aa gya.

-------In Call--------
Ella : kaha ho mr aur ab noor ke parents ki tabiyat kaisi hai.
Ivy : (bich me uchalte hue) aap kitni der me aaoge.
Reyansh : firstly let me speak.
Ella, ivy : hmmm.... ~
Reyansh : they are no more.
Ella, ivy : Who??
Reyansh : Noor ke parents.
Ella, ivy : sad to hear. Bechari noor.... 😢
Reyansh : aur shayad mai kuch din noor ke sath hi rahunga kyuki abhi use ek emotional support ke sakt jarurat hai.
Ella, ivy : hum bhi waha aa jaye hai.
Reyansh : nhi tum wahi raho kyuki Michael jab tak company handover nhi karta tabtak uspar nazar rakho.
Ella, ivy : okkk.... Take care & love you.... ~
Reyansh : bye 👋.

---------Call end----------
call khatam hone ke baad Reyansh us kamre ki aur bad rha tha jaha iss waqt noor thi. Reyansh ander hi ander apni himmat bator raha tha noor ka samna karne ke liye. Wo soch raha tha ki kaise noor ko sambhalega aur use aage badhne ki himmat dega. Iss sab ke sath sath reyansh noor ke abbu se kiye hue wade ke bare me bhi soch raha tha.

Reyansh (mann me) : kya kru noor ko bhi sambhalna hai aur antim sanskar ke baki kaam bhi mujhe hi dekh honge. Uper se noor ke abbu ko nikah ka wada bhi kar chuka hu par mai sach me noor ke layak nhi hu na hi wo pyaar karti hogi. Bhala ek anath se kon hi pyaar karega. Aisa karta hu noor jiske sath bhi shadi karna chahegi uske sath uski shadi karwa dunga isse uske abbu ka wada bhi reh jaye ga kyuki maine kaha tha "noor ki khushi ke liye kuch bhi karunga". Ha ye thik rhega.

Reyansh noor ke kamre me pohoch gaya jaha usne dekha noor bed pe baithi ghutno ke beech apna chehra chupaye ro rahi thi . Ye dekh ke Reyansh ko bohot dukh hua aur wo bed ke pass pohoch gaya aur noor ke kaandhe pe hath rakh dire se bola.
Reyansh : Noor..

Noor ne apna chehra upar karke reyansh ko dekha. Noor ka chehra dekh kar reyansh ka to mano dil hi dehel gaya tha pura chehra aason se bhiga hua tha ye dekh reyansh ne noor ko gale laga liya aur uski peeth sehlane laga. Noor ko bhi shayad isi ki jarurat thi aur wo bhi reyansh ke gale lag kar rote hue shikayat karne lagi.
Noor : dekho na reyansh pehele ammi mujhe chod kar chali gyi , phir abbu chale gye aur shayad ek din tum bhi mujhe chod kar....

Noor kuch aur bol pati usse pehele reyansh ne apni ungli Noor ke hotho pe rakh di.
Reyansh : sshhhh.... Aisa mat bolo noor ab to mujhe tumse bas maut hi juda kar sakti hai aur koi nhi.
Noor : ( reyansh ke muh pe hath rakhte hue ) aisa phir kabhi mat bolna. Mai pehele hi ammi abbu ko kho chuki hu ab timhe nhi kho sakti.
Reyansh : hmm.. Chalo ab ghar chalte hai abhi hume tumhare ammi abbu ko antim wida dena hai.

That's it for today..........

Review expect karta hu to de dena
Amazing update bhai
 
  • Like
Reactions: Naik

tpk

Well-Known Member
12,757
17,218
228
waiting for next update
 
Smith_15

Well-Known Member
8,985
18,184
173
Awesome👍👏
Update please
 
Roan

New Member
4
4
3
Awesome Story
Snl Reaction GIF
 
Naik

Well-Known Member
21,545
77,430
258

Noor or Reyansh k liye bahot bada khatka h dekhte h Reyansh kaise iss jhatke se khud or Noor ko nikalta h
Emotional update
 
Calm_777

Hum bewafa hargiz naa thee....
260
1,792
124
Aaj update aayega
 
Top