• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 185 83.3%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 14.9%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.5%

  • Total voters
    222

Ashish Jain

कलम के सिपाही
265
446
79
Waiting
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
58,002
42,943
354
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

Jaisa ki aap sabko maloom hai abhi pichhle hafte hi humne USC ki announcement ki hai or abhi kuch time pehle Rules and Queries thread bhi open kiya hai or Chit Chat thread toh pehle se hi Hindi section mein khula hai.

Well iske baare mein thoda aapko bata dun ye ek short story contest hai jisme aap kisi bhi prefix ki short story post kar sakte ho, jo minimum 700 words and maximum 7000 words tak ho sakti hai. Isliye main aapko invitation deta hun ki aap is contest mein apne khayaalon ko shabdon kaa roop dekar isme apni stories daalein jisko poora XForum dekhega, Ye ek bahot accha kadam hoga aapke or aapki stories ke liye kyunki USC ki stories ko poore XForum ke readers read karte hain.. . Isliye hum aapse USC ke liye ek chhoti kahani likhne ka anurodh karte hain.

Aur jo readers likhna nahi chahte woh bhi is contest mein participate kar sakte hain "Best Readers Award" ke liye. Aapko bas karna ye hoga ki contest mein posted stories ko read karke unke upar apne views dene honge.

Winning Writers ko Awards k alawa Cash prizes bhi milenge jinki jaankaari rules thread mein dedi gayi hai, Total 7000 Rupees k prizes iss baar USC k liye diye jaa rahe hain, sahi Suna aapne total 7000 Rupees k cash prizes aap jeet shaktey hain issliye derr matt kijiye or apni kahani likhna suru kijiye.

Entry thread 7th February ko open hoga matlab aap 7 February se story daalna shuru kar sakte hain or woh thread 28th February tak open rahega is dauraan aap apni story post kar shakte hain. Isliye aap abhi se apni Kahaani likhna shuru kardein toh aapke liye better rahega.

Aur haan! Kahani ko sirf ek hi post mein post kiya jaana chahiye. Kyunki ye ek short story contest hai jiska matlab hai ki hum kewal chhoti kahaniyon ki ummeed kar rahe hain. Isliye apni kahani ko kayi post / bhaagon mein post karne ki anumati nahi hai. Agar koi bhi issue ho toh aap kisi bhi staff member ko Message kar sakte hain.


Rules Check karne ke liye is thread ka use karein — Rules & Queries Thread

Contest ke regarding Chit Chat karne ke liye is thread ka use karein — Chit Chat Thread



Prizes
Position Benifits
Winner 3000 Rupees + Award + 5000 Likes + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 1500 Rupees + Award + 3000 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 1000 Rupees + 2000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories)
3rd Runner-UP 750 Rupees + 1000 Likes
Best Supporting Reader 750 Rupees Award + 1000 Likes
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

Rony 007

Member
349
559
93
Update please ❤️🥺🥺
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE - 7

Mai ye sun raha tha meri aakh me aasoon the oar maine unhe rok liya kyuki kasam khai thi. Mai bhi sochne laga kal dekh hi leta hu ki ye log kitna niche gir sakte hai..

Abb ageee............

Mai waha se apne room me aa gya aur soch raha tha ki pichle janam me maine aise kaunse paap kiye jo aise maa baap mile hai .
Phir socha aaj saimaa maa aur Swara se jee bhar kar baat kar leta hu pata nhi kal ke baad rahu na rahu kyuki mujhe yakin hai ki kal wo log mujhe zeher khila hi denge. Phir mai utha aur saima maa ke pass chala gya aur jate hi unhe gale laga liya. Wo iss tarah achanak aate hi mere gale laga ne se chintit ho gyi aur pucha
Saima maa : kya hua beta. Kisine kuch kaha kya.
Mai : nhi maa.
Saima maa : phir aaise kyu gala laga hai
Mai : lag lene do maa kal kisne dekha hai kya pata hum rahe na rahe.
Saimaa maa : pagal kuch bhi bolta hai bhagwan kare tujhe meri bhi umar lag jaye.
Mai chup ho gya phir thodi der unse baat karke Swara ke room me chala gya.
Mai waha pocha aur darwaja khat khataya. Unsne darwaja khola aur mujhe dekh ke boli
Swara : aaj suraj kaha se nikla hai jo raja ji iss garib ke yaha padhare.
Mai : aree rani sahiba hum to aapke gulam hai aur aap aisi baate kar rhi hai.
Swara : anadar ayenge yaa darwaje par hi baat karenge.
Phir mai andar aa gya aur niche jamin pe baith gaya.
Swara : aree niche kyu baith gye
Mai : wo mujhe sofe pe ya bed pe baith ne ki adat nhi hai iss liye .
Ye sunke wo udas ho gayi par agle hi pal meri god me aake baith gayi
Mai : arree mere godh me kyu bith gayi
Swara : (ghur ke) meri marji .
Mai : achcha , mujh se promise kar mai tere pass rahu na rahu par tu aise hi khush rahegi.

Ye sunke use gussa aur aakhn me pani aa gya . Wo mera collar pakad kar mera muh apne paas le aayi aur meri aakhon me dekhte hue boli.
Swara : ye apne bola bhi kaise ki mai apke bina khush rahu. Jis din aap na rahe samaj lena ki maine bhi apna nata iss jindagi se tod liya.
Mai usse dur hua aur mahol halka karne ke liye bola.
Mai : kuch bhi bolti hai. Mujhe to dar lagta hai ke lahi to physco to nhi ho gyi.
Swara : aapne mujhe physco kaha

Aise hi kuch der halki fhulki baate hui phir mai apne kamre me aake let gaya aur kal ke baare me sochne laga. Kush tha agar kal mar gaya to kamse kam 2 log to yaad karenge hi.
Aise hi nind aagyi. Sabere utha to dekha ghar me sab taiyari kar rahe the aur aaj saima maa bhi nhi aayi thi. Mai naha do ke taiyaar ho gaya or bahar aa gya . Mujhe Swara dikhai nhi di wo dost ke yaha gyi thi.

Mai abhi bahar aya hi tha ki aaj pehli baar maa (shikha Rajput) ne mujhe awaj di.

Mom : Reyansh..
Mai : ji kahiye kya kaam hai
Mom : hum sab bahar ja rahe hai hamare jane se pehle ye khir kha lo..
(mai man me : chalo kuch bura hi sochkar aapne naam to liya mera)
Mai jaan gaya tha ki is khir me jahar milaya gaya hai phir bhi maine keh diya
Mai : thik hai

Mom waha se jaa hi rahi thi ki mai bola.
Mai : kya pehla niwala aap khila dengi.
Mom ke muh se koi shabd nhi nikal rahe the wo waha se apne room me chali gyi chachi bhi unke piche ho li.

In room

Chachi : kya hua bhabhi usne khir khayi ya nhi?
Mom : wo chahta hai ki mai use apne hath se khir hilau.
Chachi : to khila dijiye na konsi badi baat hai.
Mom: nhi ye mujhse nhi hoga mai apne haath se use zeher nhi de sakti
Chachi : agar aapne aisaa nhi kiya to plan fail ho jayega aur bhaisahab aap pe hi gussa honge.
Mom kuch nhi boli aur mere paas aakar chair pe baith gayi aur boli.
Mom : chola mai khila deti hu.
Mai : ji.
Mom ne khir se bhara chamach apne kapte hue hath se uthaya aur mujhe khilane lagi.
Mere aakhon me nami aa gyi kyuki aaj pehli baa mom mujhe apne hath se khila rahi thi zeher hi sahi par khila rahi thi. Mai ne asoon ko chalakne nhi diya aur khir khatam kar di phir sab jaldi se kahi bahar chale gaye.

Mai chupchap dadaji ke khursi ke paas jakar baith gaya aur ab apni maut ka intajar karne laga. Mujhe khushi thi kamse kam abb iss narak se azadi milegi aur mai apne dadaji se mil sakunga.
Thodi der baad mujhe pet me dard hone laga aur aakhon ke saamne andhera chane laga mai wahi zamin pe gir gaya mere muh se jhaag aane laga.
Tabhi Swara jo abhi dost ke yaha se lauti thi abhi upar apne room me hi jaa rhi thi uski najar mujhpe padi. Wo daudte hue mere paas aayi aur boli.
Swara : bhaiya kya ho gya aapko uthiye.... Uthiye na
Mai uth nhi rha tha ye dekh kar wo dar gyi aur jor jor se rone lagi. Achanak use kuch dhayan aya aur usne meri saans check ki saans abhi bhi chal rahi thi.
Usne jaldi se ambulance ko phone kiya. Thodi der me ambulance aagyi aur usme mujhe le jaya gaya sawara bhi sath hi aayi . raste bhar wo roye ja rahi thi aur bhagwaan se dua maang rhi thi ki mai bach jau.
Swara : aap mujhe chod ke nhi jaa sakte....
Aur rone lagi. Phir mujhe operation theater me le jaya gaya. 2 ghante ke baad doctor aaye aur bole
Doctor : shukr hai aap inhe sahi time pe le aaye nhi to ye bach nhi pate kyuki inhe bohot poisonous zeher diya gya tha.
Swara ye sunkar shock ho gyi phir boli
Swara mai kabtak unse mil sakti hu.
Doctor : Aap unse 2 ghate me mil sakti hai .
Swara : thank you Doctor so much.
Doctor : koi baat nhi ye to hamara kaam hai par inhe poison diya kaise gaya aur kisne diya.
Swara : pata nhi doctor
Swara ne bhi iss baat per abhi dhyaan nhi diaya tha phir wo kuch sochne lagi...


Dekhte hai aage kya hota haiii......
nice update
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE - 8

Doctor : koi baat nhi ye to hamara kaam hai par inhe poison diya kaise gaya aur kisne diya.
Swara : pata nhi doctor
Swara ne bhi iss baat per abhi dhyaan nhi diaya tha phir wo kuch sochne lagi...

Abb ageee.......

Swara bhi sochne lagi ke mai to ghar pe thi nhi bhai bhi itne sabere kahi bahar nhi jate. Hona ho ye kukaram karne wala ghar ka hi koi hai. Waise bhi gharwalo ka vyavhar bhai ke prati kuch thik nhi hai. Mujhe hi abb bhai ka dhyaan sakhna hoga. Wo soch hi rahi thi ki nurse aakar bolti hai ki
Nurse : mam aap ab patient se mil sakti hai.
Swara : thik hai.

Swara phir mere room me enter katri hai to mujhe fan ko ghurta hua pati hai. Aur daud ke aati hai aur gale lag ke rone lagti hai. Phir thodi der me normal hone ke baad bolti hai
Swara : ab tabiyat kaisi hai.
Mai : waisi hi hai jaisa tum chod kar gayi thi.
Swara : waise ye hua kaise, i mean kya aap ko pata hai ye kisne kiya ya kisi pe shak hai.
Mai : haa hai.
Swara : (serious tone) kispe?
Mai : apni kismat pe.
Swara : majak mat kariye yaha aap ki jaan ko khatra tha thodi der pehle aur aap majak kar rahe hai.
Mai : sahi hi to keh raha hu lagta hai uper wale ne shayad meri kismat hi " DARD " ki sihayi se likh di hai .
Swara : aisa nahi hai , waise mujhe lagta hai ye karne wala jarur ghar ka hi koi dhokebaj hoga.
Mai : ( dard bhari muskan ke sath) dhoke aur mai to milte hi rahte hai jaise we are dating.
Swara : (meri aakhon me dekhke) aisa mat boliye mai aapko kabhi dhoka nhi dungi .
Mai : logo ne dil pe itne zakhm kar diye hai ki ab to kisi se wafa ki bhi umeed chod di hai.

Ye bolte hue meri aakhon me asoon aa gye aur yaad ane laga ki kaise maa mujhe zeher khilate hue bhi nhi katrayi.
Phir swara se maine thodi der baat ki phir usne janvi didi ko phone karke abhi tak ki saari baat keh sunayi.
Janvi didi ne jaise hi ye baat suni unki aakhon se asoon ane lage phone unke haath se chooth gya aur wo zamin pe gir gyi. Girne ki awaj sun ke sab ghar wale janvi didi ke kamre me aagye. Maa janvi didi ko aise gira hua dekh ke maa aur dad ghabra gye aur maa ne unka sar apne god me liye unhe hosh me lane lagi. Thodi der baad janvi didi ko hosh aa jata hai to maa unse puchti hai
Maa : kya hua beti tu aise kaise gir gayi.
Janvi didi : (roote hue) maa kisine Reyansh ko zeher de diya tha wo to acha hua Swara sahi time pe ghar aa gyi aur use hospital le gyi warna pta nhi aaj kya ho jata.
Ye sunke sab ko saanp soongh gaya. Dad , chachi bhi pareshan ho gye. Mom ke reaction kuch tha hi nhi.

Inhe chodte hai yaha aur chalte hai reyansh ke paas.

Mai 2 din tak hospital me raha phir mujhe ghar jane ki permission mil gayi. Mai sachme ghar nhi jana chahta tha par kar bhi kya sakte the kyuki na 10th ki marksheet ab tak aayi thi na hi itne paise the ki apna gujara kar saku is liye majburi me ghar jana pada.
Jaise hi mai ghar pahucha saimaa maa ake gale lag gayi aur rone lagi phir boli.
Saima maa : kaisi abhagan maa hu mai jo apne bete ka thik tarike se khayal bhi nhi rakh saki.
Mai : nhi maa aap abhagan nhi hai balki kismat meri kharab hai ki mai aapke pet se paida nhi hua.
Saimaa maa : pagal kahika kuch bhi bolta hai.
Aise hi kuch der baate chali phir mai apne room me chala gya. Kuch din sab aise hi chalta raha ab swara mera kuch jada hi khayal rakhne lagi thi. Janvi didi mujhse baat karke mafi mangna chahti thi par mere samne aane ki unki himmat nhi ho rhi thi.
Aise hi kuch din baad mera 10th ka result aagya. Maine apne school me top kiya tha 96.8% ke sath. Swara aur saimaa maa ko chod kar isse kisiko faraq nhi pada. Mai kush tha kyuki maine padhai me bahut mehnat ki thi kyuki dadaji ne mujhse kaha tha "Knowledge is power and you should be politically knowledgeable "
Sab achcha chal raha tha par chachi se ye sab dekha nhi gaya phir ek din mai kitchen me pani pine gaya tha mai jaise hi pani pike palta aur bahar jane laga, mai chachi se takra gya aur mai aur chachi gir gye. Phir kya tha ho gya natak shuru.
Chachi : ooo ram mardiya kamine ne... Aaahh
Mai : chachi itne bhi jor se nhi lagi hai aur galti bhi aapki thi isme.
Chachi : haa kamine tu to yahi kahega apni manhusiyat to dikhti nhi tuje.
Mai aur kuch kehta usse pehele hi chachi jor jor se rone lagi aur chillane lagi. Mujhe kuch samaj nhi aya chachi ab ro kyu rahi hai. Chachi ki awaj sun kar sare ghar wale waha aa gye phir mai samajh gaya ki chachi ne jaan bujh ke kiya hai .
Chacha : kya hua Kamya? Aise niche kyo leti ho.
Chachi : iss manhus ne mujhe dhakka dekar itne jor se niche gira diya.
Dad : teri itni himmat ki tune mere ghar ke sadasay ko nuksan pohochane ki koshish ki aaj tujhe koi nhi bacha sakta.
Ye bolke dad apne room me chale gye aur apne sath ek mota danda lekar aagye. Jaise hi dad ne mujhe marne ke liye hath uthaya swara unke samne aa gyi aur boli.
Swara : koi mere bhai pe hath nhi uthayega. Mujhe to aap logo ka vyavhar dekhkar lagta hai bhai ko jeher bhi aap logo ne diya hai.
Dad : ha diya bhi ho to kya ab tu muhje sikhayegi ki mai kya karu ya kya nhi. Shikha iss apne kamre me le jao.
Mom swara ko waha se jabardasti le gyi. Phir kya tha dad ne mujhe pitna shuru kar diya. Chacha ki akhon me asoon the kyuki unko pta tha ki isme meri koi galti nhi hai. Dad mujhe mare ja rahe the kabhi pairo pe kabhi hathon pe kabhi pith pe tu kabhi chati pe. (saima maa ki tabiyat kharab thi isliye wo aaj nhi aayi thi) Aise hi aadhe ghante tak ye chalta raha bichme ek baar mere sar pe bhi lag gayi. Mai jamin pe gir gaya tha jab dad ka man bhar gya to wo bole.
Dad : ab tu mere ghar me nhi reh sakta. Mere aane se pehle tu is ghar se chala jana chahiye.
Aur wo chale gye aur reh gye mai aur chacha mera sharir khun se san gaya tha hoth fat gye the, sar fat gya tha, hath sine aur baki jagah nile nishan pad gye the. Chacha badi mushkil se mujhe mere room tak le gye aur mujhe lita ke bole. (janvi kahi bahar gyi thi)
Chacha : mai hath jod ke tumse mafi mangta hu beta ki mai kuch kar nhi saka. Mujhe pata hai isme tumhari koi galti nhi hai.
Mai : maafi mat magiye aap bade hai mujhse.
Chacha : thik hai beta ab tum aram karo.
Mai : an mujhse aram nhi hoga chacha ji aur na hi iss ghar me raha jayega.
Cahcha : ye kya keh rahe ho beta tum to iss ghar ke chirag ho.
Mai : kya aapne kabhi kisi baap ko apne ghar ke chirag ko bujhate dekha hai. Agr mai aur yaha ruka to ye log meri aatma ko noch ke kha lenge iss liye aap mujhe mat rokiye kyuki ab aur sehen nhi hota.
Chacha : thik hai beta mai samajh ta hu par ye kuch paise rakho kaam ayenge.
Maine bhi jada kuch nhi bola aur rakh liye chacha ji ke jaane ke baad jaise taise khud ko utha ke apne kuch kapde aur sare documents pack kiye aur bag me bhar ke bahar ki aur chal pada. Sidiyo se utar ke jab hall me pahucha tab waha koi nhi tha, tabhi mujhe meri princess ki yaad aayi par ab mai yaha reh kar kuch aur nhi seh sakta tha iss liye chup chap gate se ghar ke bahar aa gya. Mai abhi bhi khun se sana hua tha watchmen bhi meri ye halat dekh hairan tha. Mai usse bina kuch bole bahar aa gya aur bahar aake ghar ko dekhne laga. Phir waha se aage aagya mai bina kuch soche chala ja rha tha tabhi amit ne mujhe dekh liya aur meri halat dekh ke pareshan ho gya aur bhagte hue mere paas aagya bola.
Amit : naam bta us madarchod ka jisne tujhe hath lagane ki himmat ki. Sabo jamin ke 6 feet niche gad dunga.
Mai bina kuch bole uske sine lag ke rone laga. Meri ye halat dekh uski aakhon me bhi asoon aa gye. Wo khud ko sambhal ke bola.
Amit : ye rona band kar aur hospital chal.
Phir wo mujhe bike pe bitha ke hospital le gaya. Waha poch ke jab doctor ne mujhe dekha to uski aakhen phati ki phati rwh gayi aur wo bola.
Doctor : kis janwar ne inhe mara hai.
Mai : sir ye zakhm bhi apne hai aur dene wale bhi.
Doctor : god i can't believe ki koi kisi ko iss bedardi se maar sakta hai.
Phir unhone meri dressing ki. Hath me fracture tha. Phie hum hospital se bahar aa gye. Wo bola
Amit : ab bata ki kya hua hai
Phir maine use aaj ki saari baat bta di .
Amit : samaj nhi ata kaise maa baap hai tere acha hua jo tune ghar chod diya chal ab mere sath mere ghar.
Mai : nhi bhai mai nhi aa skta balki ab mai iss sheher me hi nhi rehna chahta
Amit : pagal ho gya hai kya ? Jaiga kaha khaiga kya.
Mai : kahi bhi jau par ab iss narak me nhi jii sakta. Aur tu mujhe nhi rokega tujhe meri kasam.
Jaise hi amit ne ye suna wo mere gale lag gaya aur rone lga maine bhi use kaske gle lga liya. Phir kuch der bad wo bola
Amit : thik hai mai tujhe nhi rokunga par wada kar mujhe kabhi nhi bhulega.
Mai : ye bhi koi bolne ki baat hai. Jab bhi kuch ban jaunga to tujhse jarur milunga.
Phir usne mujhe station chod diya. Mai bina soche jo train mujhe dikhai di usme chad gaya.



Dekhte hain ye safar ab kaha le jata haiiii.........
nice updated
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE - 9

Mai : ye bhi koi bolne ki baat hai. Jab bhi kuch ban jaunga to tujhse jarur milunga.
Phir usne mujhe station chod diya. Mai bina soche jo train mujhe dikhai di usme chad gaya.

Abbb aaggeee.........

Mai window ke paas wali jagah par baith gaya . Train chal padi saamne ek umar daraj aurat baithi thi jo mere ghaav dekh rahi thi aakhir usne puch hi liya.
Aurat : beta ye itni sari chote kaise lagi.
Mai : ji ye to wakt ki maar hai, bhar jayegi.
Aurat : beta jada dard to nhi hai.
Mai : ji ghaav to upri hai par rooh ke zakhm zaroor "DARD" de rhe hai.
Aurat : tumhari baato se lagta hai kismat ke sataye hue ho.
Mai : (dard bhari muskuraht ke sath) kismat ka kya hai ye bhi bakiyo ki tarah sath chod gyi , sath hai to bas "DARD" ye bakiyo ki tarah dhokebaaz nhi hai.
Aurat : tum akele ho, tumhare ghar wale kaha hai. Dikhne se to 11th - 12th ke student lagte ho.
Mai : (has ke) gharwale unhone hi to ghar se nikal diya hai.
Iske baad dono ke bich shaanti cha gyi. Aurat samajh gyi ki lafke ke saath kuch bohot bura hua hai.
Mai : waise ye train kaha tak jayegi .
Aurat : ye to Delhi jaa rhi hai, tum kaha ja rhe ho.
Mai : jaha manjil le jaye.
Aurat : mera naam nitya hai.
Mai : Nitya ji mera naam Reyansh hai. Nitya : nice name.
Mai : kya faida aise naam ka jise koi lena hi nhi chahta.
Nitya : tumhari baato se lagta hai nyi shuruwat karna chahte ho aur pta hai jab nyi shuruat karni ho to har purani aur kadwi yaado ko bhulana padta hai.
Mai : ye yaade ye to mere akas hai jab bhi bhulna chahta hu to saamne aake khade ho jaate hai.
Ye bolte hue mere aakhon me aasoon aa gye. mera jawab sun ke aur mere akhon me asoon dekh ke nitya ji ka dil tadap utha unse mujhe gale laga liya aur boli.
Nitya ji : mujhe nhi pta tumhe kaunsa gum hai par itnisi umar me itni gehri baate sun ke lagta hai jaise bohot si chizo se guzre ho.
Mai unse alag hote hue kaha.
Mai : ji ab jo ho gya so ho gya . Aap batayi ye ki aap kaha ja rhi hai .
Nitya ji : beta mai to mumbai jaa rhi hu.
Mai : chalo kuch der ke liye hi sahi apka sath to mila.
Aise hi safar kata aur nitya ji bhi mumbai me utar gyi aur reh gye mai aur meri tanhayi.
Khair train ka aur mera bhi akhri station aa gya Delhi mai bhi apna saman leke utar gya.
Bhuk lagi thi to aagya ek chote se hotel me . Khana khatam karke bahar aur bahar aa gya ab sawal ye tha ki raat kaha gujare room abhi le nhi sakta tha kyuki paise kam the aur room le leta to khata kya isliye ek park me aa kar wahi ek bench par let gaya aur aaj ke baare me sochne laga phir pata hi nhi chala kab nind aa gyi.

Wahi mere ghar... sorry sorry Mr. Raghuveer Rajpuj ke ghar me.

Mai nikl gya tha uske baad sab apne apne room me the. Swara ko uske room me band kar diya tha papa ne. Jab saima maa aai to kaam nipta ke jab mere room me aayi to mujhe nahi paya


Dekhte hai aggee kya hota hai.....
Wao amazing
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE - 10

Mai nikl gya tha uske baad sab apne apne room me the. Swara ko uske room me band kar diya tha papa ne. Jab saima maa aai to kaam nipta ke jab mere room me aayi to mujhe nahi paya

Abbb aaaggggeeeee.........

Ab kahani 3rd point of view se chalegi.

Jab saima ne Reyansh ko uske room me nhi dekha to. Unka maan vichilit ho gya kyuki reyansh aksar uske room me hi rehta tha. Usne bathroom me bhi check kar liya waha bhi nhi tha kitchen me bhi dekh liya. Ab saima ko dar lagne laga to usne badi himmat juta ke shikha rajput (so called maa) ke kamre me gyi aur boli.
Saima maa : malkin kya apko pta hai reyansh kaha hai sara ghar dekh liya kahi nhi dikh rha hai??
Mummy : mujhe kya pta acha hi ho agar ghar chod ke chala jaye to.

Saima maa chup chap room se nikal jati hai aur phir se ek baar sab ke rooms me check karti hai. Sab ke room me check karne ke karan sab ko pta chal jata hai ki Reyansh mil nhi raha hai. Jab swara ko ye sab pata chala to uski to mano duniya hi ujad gyi. Wo wahi jamin pe baith ke jor jor se rone lagti hai. Jab janvi ko ye pata chala to use bhi dil me tez dardsa ho rha tha aur guilt bhi lag rha tha kyuki usne reyansh ke sath kya nhi kiya tha.
Sara ghar dhundhne ke baad saima ka sabr ka band toot gya aur wo zor zor se rone lagi. Use itne zor se rota sun sab waha jama ho gye tabhi mom boli.
Mummy : kyu us manhoos ke liye aasoon bahati ho wo to tumhara saga beta bhi nhi tha.
Saima maa (gusse me) : bas bohot ho gya ab mere bete reyansh ke liye koi ek shbd bhi nhi kahega. Kaisi maa ho tum dhikkar hai tumhari mamta pe.
Mummy : naukar ho to wo hi raho samjhi.
Saima maa : mai to yaha sirf reyansh ke liye aati thi. Naukri to mujhe kahi aur bhi mil jati.
Ab yaha mera reyansh hi nhi hai to mai yaha reh ke kya karungi. Mai aaj se hi ye naukri chodti hu.
Ye keh kar saima waha se chali gyi. Reyansh ke ghar chod ke jane ki baat se chachi, mummy aur papa kush the. Swara ka to ro ro ke bura haal tha. Janvi bhi bohot udas ho gyi thi aur rone lagi thi apne pashyatap ke karan.

Ab chalte hai Reyansh ki taraf.......
(Reyansh ki point of view se)
Jab subhe meri aaken khuli mai bench par uthkar baith gya. Sochne laga ki aaj kaam doondh na padega nhi to guzara karna mushkil hoga. Phir mai uth kar chal pada market ki aor kaam ki talash me. Mai din bhar ghumta raha kaam to nhi mila lekin logo ki dhutkar aur galiya zaroor mili. Aise hi din nikal gaya raat ke waqt thoda kuch kha liya ab paise bhi khatam hone aaye the. Ab to kaam dhoondna bhot zaroori ho gya tha. Agla din aya paise the nhi nashta karne ke liye to aise hi nikal gaya kaam doondhne ke liye. Dophar tak kaam dhoondhne ke baad kuch log dikhai diye khudayi ka kaam karne jaa rhe the ab koi kaam to mil nhi raha tha to socha yehi kaam sahi. Mai unke paas pahucha air poocha.
Mai : kaka kya mai bhi ye kaam kar sakta hu aapke sath.
Wo admi : are ye kaam koi bachcho ka nhi hai beta tum nhi kar paoge bohot kathin aur mehenat ka kaam hai.
Mai : kaka please karne dijiye mujhe bohot zaroorat hai kaam ki.
Wo admi : aisi bhi kya zaroorat beta ki itna kathin kaam bhi karne ko taiyar ho.
Mai : bas aisa samajh lijiye kaka ki agar aaj kaam nhi mila toh raat ka khana nasib nhi ho payega.
Meri baat sunke us aadmi ke paas kuch kehene ko nhi reh gaya tha isliye usne bhi apne sath kaam pe aane diya.
Hum construction site pe pahuch gye yaha bohot kaam the majdoori ke . Ab tha to ___ saal ka ladka aur itne kathin kaam ki adat bhi nhi thi to jada kaam na kar saka jis karan paise bhi kam mile. Jisse raat ke khane ke samay pura to nhi par adha pet bhar gya. Phir kya wahi apne bech par jake so gya kyuki shareer itna dukh rha tha ki bta nhi sakta tha hath bhi chil gye the .

Aise hi 6 mahine nikal gye iss beech mijhe swara aur saima maa ki bahut yaad aati thi.
In 6 mahino me kaam aur thakan me hi din nikal rahe the kuch paise bhi bacha rha tha mai. Ab mere liye acha din wo hota tha jis din pet bhar khana milta tha jaise koi tyohar ho to ma*ndir me pet bhar kha leta tha, kabhi friday ko masji*d me to kabhi gurudwar*e me.


Aggee dekhte hai kya hota hai........
nice
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE -11

Ab mere liye acha din wo hota tha jis din pet bhar khana milta tha jaise koi tyohar ho to ma*ndir me pet bhar kha leta tha, kabhi friday ko masji*d me to kabhi gurudwar*e me.

Abbb aagggeee....


din aise hi nikal rahe the ab na khushi thi na gam , tha to bas akelapan. Thikane ke naam pe ek park ki bench thi bas.
Ek din bukhar ho gya jiss karan kaam pe naa jaa ska, mera khana pina sab rozi pe tha. Ab kaam pe nhi gya to khata kaha se. Duphar bhar to nikal li bina khane ke par shaam hote hote bhuk bardasht ke bahar hone lagi .
Aakhir bhuk itni bad gyi ki maine ek rassi ka tukda pet pe bandh liya. Phir bhi bhuk bohot lag rhi itni ki aankon se aasoon aa rhe the.
Aaj saima maa aur dadaji ki sach me bohot yaad aa rhi thi agar aaj saima maa yaha hoti to bhuke nhi rehene deti. Mai pet ko pakad ke zor se rone laga. Bhuk ke karan ab ruka nhi ja raha tha. Lag raha tha ki ab meri kahani khatam hone ka samay aa gya hai iss liye mai apne dadaji, saima maa aur swara ko yaad karne laga. Tabhi ek budha admi mere paas aya aur mere hath me bagwa*n ki prashad ki thali rakhte hue bola.
Aadmi : beta rote nhi. Jiska koi nhi hota unka bhagwa*n hota hai. Ye lo prashad aaj mandir me bat raha tha. Jada to nhi hai par tumhari bukh mit jayegi.
Aisa lag raha tha bhagwa*n ne mere dil ki pukar sun li thi. Maine us aadmi ke hath se thal liya aur sisakte hue bola.
Mai : ji.. Ji bohot boht shu.. Shukriya.

Isse jada mujhse bola nhi gya kyuki takat hi nhi bachi thi. Aadmi bhi ye baat samajh gya aur bina bole waha se chala gya. Maine thali ki taraf dekha khana jada nhi tha par mai iss wakt bohot jada bhuka tha aur roti ki kimat ek bhuka hi janta hai. Mai khana khane laga aur khate khate meri aakhon se aasoon aane lage.

Aise hi kuch din bite maine apne jama kiye hue paise se ek night school me 11th me admission krva liya. Pehele bich me admission dene se mna kr rhe the par mere percentage bohot achche the iss liye admission mil gya. Phir aise hi ek mahina aur nikal gya .
Iss bech mere andar ke feelings marti gyi logo ke rough aur bure bartav ke karan. Ek garib se vaise bhi kon achche se baat krega.

Udhar Mr. Raghuveer Rajput ke ghar pe ..
(3rd person point of view)

Mummy , dad aur chachi khush the mere jane aur ek saal bitne ke karan unhe yakin bhi ho gya tha ki ab mai wapas nhi aaunga. Swara ab kisi se jada baat nhi karti thi , raat me chup chup ke roti thi aur janvi bhi ab pehele ki tarah khush nhi rehti chup chup rehti , jab bhi aakhen band karti to Reyansh ka masoom chehera samne ata ab ye guilt ke karan tha ya kuch aur use samajh nhi aa rha tha. Divya ( chacha chachi ki beti) use to koi farak hi nhi pada kyuki use to bachpan se hi mujhse nafrat karna sikhaya gaya tha.
Saima us din ke baad raghuveer rajput ke ghar kaam karne nhi gayi. Saima kahi aur naukri karne lagi thi , wo kafi udas rehti thi, akele me roti thi aakhir usne reyansh ko bachpan se pala tha aur apni chati se doodh pilaya tha.

Khair aise hi iss ghar me din bit rhe the par yaha to tufaan ane wala tha jo kisiko pta nhi tha. Ek aise hi din sab dinning table pe baith ke breakfast kar rhe the ki koi darwaje se andar aya.
Dad : ji aap kon?
Aadmi : ji mujhe pandit ji ne bheja hai ye dene ke liye.
Usne ek letter dete hue kaha
Dad : pandit ji khud bhi to aa sakte the.
Aadmi : ji bade hi dukh ke sath kehna pad raha hai par pandit ji ab nhi rhe. Kal hi unka antim sanskar ho gya hai.
Dad : kaise hua ue sab?? Aur ye letter phir??
Aadmi : ji pandit ji ki mrutyu blood cancer ki wajahse hui hai aur ye letter pandit ji ne mujhe ye bohot pehele de diya tha aur kaha tha ki agar mujhe kuch ho jaye to ye chiththi Rajput ji ko de dena.
Dad : bura hua pandit ji ke sath.
Letter de ke wo aadmi ghar se chala gya. Sab dinning table pe baithe sab ye baat sun chuke the.
Mummy : bahot bura hua pandit ji ke saath.
Dad : haa shi kaha. Aao pehele nashta karlete hai phir ye padhlenge.

Phir sabne mil ke breakfast kiya. Phir hall me ikhattha ho gye sofe pe. Letter dad ke hath me tha. Unhone use khola aur padhna shuru kiya .

IN LETTER
(pandit ji ke words me)

"Raghuveer ji mujhe maaf kar dijiyega mai aapka gunhegaar hu maine paiso ki lalach me kuch aisa kar diya hai jo mai aapko jite ji nhi bata saka par ab bata sakta hu. Agar aap ye patr padh rahe hai to iss waqt mai jivit nhi houga. Jo paap maine kiya hai wo maafi yogya nhi hai aur na hi mai chahunga ki aap mujhe maaf kare, mai chahata hu ki aap mari ki hui galti sudhar de. Baat ye hai ki jab mai Reyansh ki janm kundali banane aya tha to maine jhut kaha tha ki Reyansh Manhoos hai aur aisa karne ke liye kisine mujhe paise diye the jise lalach me mai ye sab kar gaya.
Mai paise dene wale ko nhi janta kyuki wo
Hamesha mujhse nakab pehenke milta tha.
Aur jo apke business loss hue hai mujhe lagta hai wo bhi us aadmi ke karan hue hai.
Mujhse paap hua hai jiski saza bhi mujhe mil gyi jab maine ye paap kiya uske 3 saal baad hi mijhe pta chala ki mujhe blood cancer hai.
Mujhe pata tha ab jada ji nhi paaunga. bhagwaa*n ne mujhe meri karni ka phal de diya hai par aapke paas abhi bhi waqt hai aapne jo bhi Reyansh ke sath kiya hai uski maafi mang lijiye aur use itna pyaar dijiye ki wo sab bhul jaye. Mai bhi usse maafi mangna chahta tha par ye na ho saka aur na hi mere paas use dene ke liye kuch nhi hai . mai apne papo ka prayashchit karna chahta hu iss liye mai mere beti 'Avni' ki shaadi Reyansh se karana chahta hu aur iss aap meri aakhri ichcha samajh ke swikaar kare.
Aur ab meri beti ka khyal rakhiyega uska mere alava iss dunayi me koi nhi hai ( Avni ki maa bachpan me hi guzar gyi thi). Vo abhi uski nani ke yaha hai kal tak vo aapke ghar pohoch jayegi. Maine meri beti ko bhi marne se pehele iss bare me bataya tha vo bhi yahi chahti hai ki uske baap ke kiye paap ko sudhara jaye iss liye vo bhi Reyansh ki jii jaan lagakar seva karegi. Meri aapse akhri vinti hai ki ho sake to mujhe maaf kar dijiyega."

Iss letter ko sunne ke baad ghar me ghor sannata cha gya. Kuch hi second baad swara ki rone ki awaj se sab jaage. Swara jamin pe baith ke jor jor se rone lagi aur kuch badbadane lagi.

Swara : smmm.. Kaha tha maine bhai bekasoor hai par...
Aur sisak sisak ke rone lagi Mrs. Shikha Rajput ki aakhen bhi nam thi unhe sab yaad aa raha tha jo kuch unhone reyansh ke sath kiya tha uska wo masoom chehera unke samne aa rha tha. Janvi pe to ab guilt pori tarah havi ho gyi thi wo bhi rone lagi. Mr. Raghuveer Rajput bhi udas the par itne nhi. Kamya chachi ke expression kuch samajh nhi aa rahe the aur Divya ko koi farak nhi pada. Chacha ki akhon me gussa tha akhir wo bol uthe.
Chacha : maine kaha tha ki aap sab log galat kar rahe hai aur ab to wo ghar bhi chod kar jaa chuka hai.
Mummy : (rote hue) mujhe mera beta wapas chahiye mai usse maafi mang lungi.
Dad : mai kaise bhi karke use doondh lunga tum chinta mat karo.
Mummy : par kya wo hume maaf karega??
Dad : wo zaroor maaf karega, wo to umse baat karne ko tarasta tha jab hum khud usse baat karenge to wo zaroor maaf karega .
Swara : (cheekhte hue) bhai bhale hi maaf karde par mai aap sab ko kabhi maaf nhi karungi.
Kehete hue apne room me chali gyi.
Janvi didi : (utsukta se) haa papa Reyansh ko jaldi se dhundhiye.
Dad : mai abhi apne admi lagata hu jald hi uska pta chal jayega.
Mummy : haa jald se jald bas pata chal jaye Reyansh ka kyuki kal meri bahu bhi to aane wali hai.
Janvi didi : (chidte hue) mujhe nhi lagta Reyansh use accept karega. Kya pta kaisi shakal surat ho uski.
Dad : aise nhi bolte kal wo aane wali hai aur abse yahi rahegi. Pandit ji ne jo kuch bhi kiya uski saza unhe mil chuki hai. Aur us ladki ka ab humare alawa hai hi kon.
Mummy : sahi kaha apne.
Raghuveer ne apne sare aadmi laga diye reyansh ko dhudne ke liye.

Aise hi wo Din bhi nikal gaya. Agli subah sab dining table pe baithe nashta kar rahe the. Tabhi doorbell baji Mrs. Shikha ne darvaja khola to dekha samne ek sundar si ek ladki khadi hai.
Mummy : ji aap kon?
ladki : ji Auntie mai Avni Pandit ramcharan ki beti hu.


e75dd517-93b9-46a3-8f0b-0e2f350ce5e0
other animals emojis
Avni
Shikha darvaje se side hote hue boli.
Mummy : Aao beta andar aao hume pata hai aakhir hamari hone wali bahu jo ho.
Avni ke gaal laal ho jate hai ye sunke. Shikha ji use andar lati hai sab use dekh ke samajhne ki koshish kar rahe the ki kon hai.
Mummy : ye Avni hai pandit ji ki beti aur iss ghar ki hone wali bahu.
Avni aage badh ke sab bado ke pair chuti hai.
Par uski aakhen to kuch aur hi dhundh rahi thi aakhir usne puch hi liya.
Avni : ji.. Ji wo kaha hai.
Mummy : kon beta.
Avni : ji auntie ji Reyansh .
Mummy : wo.. Wo..
Avni : kya hua auntie kaha hai wo. Mujhe pata hai mere pitaji ke karan bohot dukh jhela hai unhone. Mai unke pair pakad ke unse maafi mangna chahti hu.
Mummy : (udasi bhari awaj me) be.. Beta wo ghar chod ke chala gaya.
Avni : (choukte hue) kkkyyyyaaaaa??????
Mummy : (rote hue) ye sab mere wajah se hua hai.
Phir mummy use rote hue sab bata deti hai. Sab sunne ke baad avni bhi naam aakhen liye boli.
Avni : jo kuch hua achcha nhi hua par ab hume unhe dhundh ke sab thik karna hoga aur unhe itna pyaar dena hai ki wo sab bhul jaye.
Swara : (jaldi se) haa mai bhai ko bohot pyaar dungi.
Janvi : (dhire se) mai bhi.
Dad : pehele use dhundh to le.
Avni : kya apke paas unki koi photo hai.
Dad : haa ye lo beta.
Dad ne apna phone dete hue kaha.


Top-20-Indian-Male-Models-of-2020-Updated-List
piggo emojis
Avni meri photo dekhte hue (maan me : hayyee kya body hai mere hone wale husband ki aur kitne hot hai. Mujhe pata hai ki aapko mere pita ke karan bohot kuch sehena pada par wada hai mera aapse bass ek baar mil jaiye phir dekhiye mai kaise aapko itna pyaar dungi ki aap apne sare dard aur takleef bhul jayenge.)

Swara Avni ko Reyansh ki tasveer aise ghurte dekh gussa ho gyi aur bol padi.

Swara : bas bhi kariye kya photo me se hi bhai ko nikal lengi.
Avni jhepn gyi
Dad : Shikha iss room dikha do
Mummy : dusra room kyu ye to Reyansh ke room me hi rahegi.
Swara : (gusse me) nhi bhai ke room me mere alava koi nhi jayega .
Mummy : kyu nhi jayega? Wo mere bete ka kamra hai.
Swara : kya mera beta? Ye mamta tab kaha gyi thi jab unko iss ki sabse jada zaroorat thi.
Avni :(baat sambhalte hue) are auntie ji chaliye mujhe koi aur kamra dikha dijiye.

Chaliye chalte hai Reyansh ki taraf....

Samay ka kata chal raha tha aur mera bhi 11th complete ho gya tha aur ab 12th me tha aur 12th ke board exam bhi ab karib the iss bich kuch khaas nhi hua wahi mehnat aur rukhi sukhi khana. Ab zindagi se koi umeed nhi reh gyi thi. Khair 12th ka exams bhi ho gye mai 97.8% se top kiya tha . 12th to ho gya par ab aage padhne ke liye paise nhi the. Aise hi 15 din bit gye. Kal tha mera 18th birthday par mujhe koi khushi nhi thi. Abhi raat ke 11:55 pm ho rahe the mera birthday shuru hone me 5 min baaki the .

Jaise hi 12 baje mujhe aajebh sa "DARD" hone laga aisa lag raha tha ki kisine mere sharir pe tezab phek diya ho. Mera sharir hawa me uthne laga. Thodi der baad jalan kam ho gyi aur sharir bhi niche aa gya. Jaise hi maine aakhen kholi kii......


Aage dekhte hai kya hota hai........ ...
well done nice
 

4love

New Member
45
30
18
UPDATE - 12

Jaise hi 12 baje mujhe aajebh sa "DARD" hone laga aisa lag raha tha ki kisine mere sharir pe tezab phek diya ho. Mera sharir hawa me uthne laga. Thodi der baad jalan kam ho gyi aur sharir bhi niche aa gya. Jaise hi maine aakhen kholi kii......

Aabb aaggeee...........

Jab maine aakhen kholi meri aakhen pori tarah se kali thi.

red
Agar mujhe koi aise dekh leta to pakka heart attack se mar jata. Mai dekh pa raha tha aas paas ka andhera mera andar ho raha tha. Mai hil bhi nhi paa rha tha bas sare andhere ko apne andar jata hua dekh pa rha tha. Jab sara andhera andar aa gya meri aakhen band ho gyi aur mai wahi jamin pe behosh ho gya.
Jab savere aankh khuli tab mai wahi jamin pe pada hua tha abhi koi savere ke 5 baje honge aas paas sab sunsan tha. Mai utha aur aas paas dekhne laga. Achanak mujhe raat ki saari baate yaad aa gyi maine apne aap ko hath laga ke sab check kiya aur paya meri t shirt gayab thi aur body bohot sakt ho gyi thi 6 pack abs ke 8 pack ho gye the.

How-To-Get-A-Six-Pack-In-One-Month
Ander ajeeb si takat mehsus ho rhi thi par kuch samajh nhi aa rha tha. Tabhi mere kano me ek sard awaj sunayi di.
Awaj : ajeeb mehsus ho rha hai.
Mai idhar udhar dekhne laga
Mai : k.. Kon hai. Aur kaha hai.
Awaj : darne ki jarurat nhi hai.
Mai : par ho kaha.
Awaj : tumhare andar.
Mai : kkkkkyaa?
Awaj : mai tumhara hi ek hissa hu.
Mai : kaise.
Awaj : mai hamesha se tumhare andar tha.
Mai : aaisa nhi ho skta.
Awaj : acha to ye batao jab tumhare pita tumhe pit te to tumhare ghav itne jaldi kyu bhar jate, haa wo mai hi tha jo ye karta tha.
Aur pandit ji ne sirf wo manhoos wali jhut kahi thi par usne ek baat sach kahi thi aur wo ye thi ke "Bachcha hamesha kali shaktiyo ki chatra chaya me rahega.
Mai : (chekhte hue) ye nhi ho skta.
Awaj : kyu nhi ho skta yaad karo jab sabne tumhe chod diya tha tab tumhare sath sirf mai tha! andhera tha!.
Mai : jab itne samay se shant the to ab kyu aae ho.
Awaj : kyuki ab tum 18 ke ho gye mujhe apnane ke yogya ho gye ho to mujhe swikaro kyuki ye takat tumhe abhi nhi mili hai ye to is janm ke pehele bhi tumhare paas thi.
Mai (man me : sahi hi to keh raha hai jab sabne thukra diya to hai hi kon ab parwah karne ke liye. Waise bhi ye mera hissa hai apna leta hu agar kuch ho bhi gya to peche waise bhi koi rone wala nhi hai.)
Mai : mujhe manzur hai.
Awaj : Mujhe apnane se pehele ek baat dhyaan se sun lo tumhara sharir abhi bhi iss takat ko nhi sambhal sakta iss liye tumhe apne aap ko aur taiyaar krna hoga.
Mai : (sard leheje me) mujhe swikaar hai.

Agle hi pal meri aakhen kali ho gyi rang aur safed ho gya sharir kisi lohe ke saman ho gya chehera aur akarshak ho gya . Thodi der baad akhen normal ho gyi par bhaki sab waisa hi raha.
Phir sabse pehele maine apne saman se nyi shirt peheni .ab sochne laga ki aage kya kiya jaaye kyuki shakti istemaak abhi nhi kar skte th kyu ki pehele uspe kabu pana tha. Ab sabse bada sawaal tha paise kaise kamaye jaye ? Kuch samajh nhi aa rha tha. Par kuch to karna tha hi aur ab kal ke baad ab bina power ke bhi mera sharirik bal aam logo se kayi guna bad chuka tha aur dimaag bhi. Sath hi sath mere chehere ka aur body ka akarshan bhi bad chuka tha ek pal ke liye to mai hi apne aap ko aine me dekh ke pehchan nhi pata. Khair mai nikal pada kuch paise kamane. mai ek gali se guzar hi raha tha ki mujhe ek ladki ki cheekh sunayi di mai samajh gaya kuch gadbad hai iss liye uss disha me badh gaya . Jaise hi mai waha pohocha dekha teen ladke ek ladki ko pakad ke kahi le ja rhe the iss liye mai bina der kiya waha pohoch ek punch ek admi ke pith pe jad diya. Iss karan baki do log mujhe dekh gusse me meri aur bhadhe isse pehele wo kuch kar pate maine ek round kick ghuma ke dono ko gira diya. Wo dono to wapas uth gye par jise mai pith pe punch mara tha wo utha hi nhi ye dekh wo dono dar ke waha se bhaag gye. Phir mai us ladki ki aaur badha wo mujhe hi ghur rahi thi par ye batana mushkil tha ki wo mere looks ki wajah se mujhe ghur rhi thi ya abhi jo hua uske karan. Maine usse pucha.

Mai : kyaa aap thik hai?
Mere puchne ke karan use hosh aya wo boli
Ladki : m..mai thik hu. Aapko kahi chot to nhi lagi.?
Mai : nhi mai thik hu ab mujhe chalna chahiye.

Dekhte hai aagee kya hota hai.......
Nice brother
 
Top