• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy DARD

Hero ko aage kya karna chahiye

  • Revenge lena chahiya

    Votes: 182 83.1%
  • Sabko maaf kardena chahiye

    Votes: 33 15.1%
  • Ya sabse dur chale jana chahiye

    Votes: 30 13.7%

  • Total voters
    219

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 29

Reyansh : hmm.. Chalo ab ghar chalte hai abhi hume tumhare ammi abbu ko antim wida dena hai.

Aabbb aaagggeee....

Noor : Reyansh ye mujhse nhi hoga..
Reyansh : tum fikr na karo mai huna...
Noor : hhmmm...

Ye bol noor ne reyansh ki baazu jor se pakad li.
Reyansh : to phir chale .
Ye bol reyansh bed se utha noor bhi uth gyi par jaise hi noor aage kadam badhane wali thi ki uske pair dagmaga gye aur wo girne wali thi lekin ain waqt par reyansh ne noor ko kamar se pakad kar use girne se bachaya aur uae khada kiya aur dat te hue bola.
Reyansh : dekha jada rone se kamjori aa jati hai aur tum ho ki abhi bhi roye ja rhi ho.
Noor : kyaa karu ammi abbu ki bohot yaad aa rahi hai.

Reyansh bhi chup ho gya kyuki wo iss bare me kuch nhi kar skta tha. Noor bhi mayus khadi thi ki reyansh ne noor ko apni bahon me le kar godh me utha liya.


Costurero-Real-Professional-Artisan-Crafter-Deviant-Art
Noor yeh dekh ke chok gyi aur hadbadate hue boli.
Noor : yeh kya kar rahe ho reyansh niche utaro mujhe sab hame hi dekh rahe hai.
Reyansh : nhi utar sakta nhi to phir se gir padogi.

Ye bol reyansh aage bad gaya hospital se bahar nikalne ke liye. Iss douran sare raste noor apna chehra reyansh ke seene me chupayi hui thi. Reyansh ne car ke pass pohochke noor ko niche utara aur driving seat ke baju wali seat pe bitha diya aur nikal pada noor ke ghar ki aur. Raste bhar noor bilkul chup thi. Thodi der me dono noor ke ghar pohoch gye car se bahar aake noor ne ek nazar ghar ko dekha aur sochne lagi.

Noor : (man me) ek din pehele tak kitna khushal hua karta tha hamra ye chota sa aashiyana .kitna masti karti thi mai ammi ke sath .iss jagah abbu ne mijhe chalna sikhaya tha par abb sab badal chuka hai... Ab apno ke naam par sirf Reyansh hai mere paas jise mai kisi kimat par khona nhi chahti.

Noor ye sab soch hi rahi thi ki reyansh ne pgur se use apni god me utha liya aur ghar ke ander aake use bed pe litaya aur sar pe hath firate samjhte hue bola.
Reyansh : Noor ab tum aram karo mai tumhare liye kuch banake lata hu.
Noor : (sapat leheje me) mujhe nhi khana hai.
Reyansh : dekho noor agar tum aise karogi aur khana nhi khaogi to bimar pad jaogi to kya tumhare ammi ko achcha lagega ki unke yaad me unki beti khana nhi kha rhi hai batao.
Noor ne ye sunke ser jhuka liya aur sirf itna boli .
Noor : thik hai.
Reyansh : tum khalo aur aram karlo. Kal subeh tak bodies postmortem ho ke aa jayegi to mai unhen mitti deni ki taiyari karwa leta hu agar tumhare koi rishtedaar hoto bata do mai unhe bula leta hu.

Phir bina kuch bole aur sune reyansh noor ke ghar ke kitchen me khana banane chala gya. Karib aadhe ghante me reyansh garma garam vegetable soup bana ke le aya aur bed pe jake noor ke bagal me baith gaya.
Reyansh : ye lo aur jaldi se ye soup pilo.

Par Noor soup Peene Mein Na nukur kar rahi thi . Jis Karan Reyansh Khud Apne Hath se Noor ko soup pilane Laga. Thodi der Mein Soup khatm Ho Gaya per Noor Kuchh Bol Nahin rahi thi Jaise use Sadma Lag Gaya Ho.
Is Tarah Noor ka Shant Rahana Reyansh ko Achcha Nahin lag raha tha per vah is situation Mein Kuchh Nahin kar sakta Kyunki usko Noor ki Ammi Abbu ko Aakhiri vidai Dene Ki Tarif karni thi aur Baki kam bhi use Hi sambhalna Tha.
Reyansh ko bhi Noor ke ammi Abbu ke Maut Ka Dukh tha lekin wo ye sab baya nhi kar raha tha. Reyansh itna gehra ladka tha ki Usko apne dard ko chipaane me maharat hashil ho chuki thi ...kam umra me jimmedari aane per aur bure halat ke chalte sab samajhdaar ho jaate hai uper se reyansh ko maa baap ka pyaar bhi nasib nhi hua jiske karan wo bachpan se tanha raha hai. Jab chot lagti to Reyansh Ghar per Aakar Rota tha lekin Kisi Ko uski Parvah Nahin thi na koi usko chup karata tha na hi Dilasa deta reyansh bus Rota aur fir Rote Rote gehri Nind mein chal Jata.

Aise hi thodi der Mein Raat Ho Gai reyansh bhi Hospital ki sari formalities nipta ke Noor ke room ki taraf badh gaya per Jab vah room mein pahuncha to Paya Noor bed ki ek Kone mein lete hue subak rahi. Jo Reyansh se na Dekha Gaya aur Reyansh ne Noor ke kareeb Jaakar Uske kandhe par hath rakha . Apne kandhe per Hath ka Ehsas Pakar Jab Noor palti to Dekha Samne Reyansh Khada tha Kuchh der tak Noor ne Reyansh ki Gehri Aankhon Mein Jhanka Jaise Kuchh dhundh rahi ho fir ekadam se Noor Aankhon Se Aansu nikalne Lage Aur vo Reyansh se Chipak gai aur Jor jor se Rone Lagi.

Noor : Reyansh mujhse wada kro tum ammi abbu ki tarah mujhe chod kar nhi jaoge wada karo reyansh.
Reyansh : (noor ke aasoon pochte hue) kya mere wada karne se tum shant ho jao gi ?
Noor : ye mai nhi janti lenkin ab iss duniya me mera tumhare alava hai hi kon.

Ye sunkar Reyansh ko noor ke abbu ko kiya hua wada yaad aa gya ki wo noor ko hamesha khush rakhega aur usne apne chehre par bohot samay baad ek badi pyaari muskan faila di jo noor bhi pehli baar dekh rahi thi. Uhi reyansh ne muskurate hue kaha.

Reyansh : agar tum yahi chahti ho aur isse khush ho to mai wada karta hu ki mai "Reyansh Rajput apni akhri saans tak tumhara sath nhi chodunga".


Noor ye sunker kuch shant hui aur reyansh ki godh me apna ser rakhe let gyi reyansh ne bhi uske bal sehlake sulane ka prayas karne laga kyuki usko pata tha ki iss waqt noor ko emotional support ki jarurat hai.
Sad update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 30

reyansh ne bhi uske bal sehlake sulane ka prayas karne laga kyuki usko pata tha ki iss waqt noor ko emotional support ki jarurat hai.

Aabbb aaagggeee.........

Noor reyansh ke godh me let to gyi thi par neend uski akhoon se koso door thi aur Reyansh bhi is baat ko janta tha iss liye uske baalo me hath fira raha tha taki noor jaldi se so jaye. Thodi der me noor ki aakhn lag gyi aur woh so gyi lekin reyansh ke chehre pe abhi bhi kathor bhav the.

Reyansh : (man me) mai noor ko kabhi dukhi nhi hone de skta aur maine uske abbu se wada bhi to kiya hai. Kal ka din ahem hai, kal noor ke rishtedaar bhi ayenge. Kya pata noor unke sath chali jaye. Par kya wo log noor ka khayal rakh payenge. Par mai noor pe jabardasti bhi to nhi kar skta apne sath rehne ki isliye Noor jo chahegi wahi hoga.

Phir reyansh ne noor ka sar dhire se urha kar baju me rakha aur uthkar niche chala gaya.
Niche aa kar reyansh ne gadi me se sharab ki botale nikali kyuki noor ke ammi abbu jane ka dukh use bhi tha fark bas itna tha ki noor ro kar apna dukh bata sakti thi par reyansh nhi kar skta tha isliye usne sharab ka sahara lena hi thik samjha. Noor to reyansh ke kandhe ko sahara bana kar roo leti par reyansh ko kiska sahara tha.

Reyansh sharab lekar noor ke room me agaya aur noor ke bed ke paas hi niche baith gaya. Aksar log gum, Dard aur dukh me pite hai aur reyansh ke paas DARD ki to kami hi nhi thi.
Reyansh ne ek neat ki bottle kholi aur pina shuru kar diya aur kuch hi der me khali kar di phir ek aur phir aur. Ye sil sila tab tak chala jab tak reyansh ko nasha na hua. Reyansh ko pine ki aadat samira ke bewafai ke baad se lagi thi . Reyansh ne nashe me apne jeb me hath dala aur usme se apna wallet nikala aur usme se ek shaks ki photo nikali aur use dekhte hue bolne laga.

Reyansh : ( nashe me khud se) dekho aaj tumhari chaht ne kitna barbaad kar diya hai mujhe ki sharab ka sahara lena pad raha hai.
Aaj tak ki zindagi me kar tarah ke gum mile par tera tum kuch aur hai. Aaj bhi chehre pe shikan nhi hoti chahe kitne piche waar ho na hi dushmano se harna manzoor hai par dil ke tukde tab hote hai jab dushmano me yaar ho.
Mera aaj jo hal hai na khuda na kare wo kal tera .dekh lena tu bhi kabhi chaht me bebas ho gi. Aur jo mai ye sharab pi raha hu ye sharab nhi nafrat ke ghut hai tere diye hue Samira...tere diye hue hai....

Yes wo photo samira ki hi thi She jush filled Reyansh's heart with hate.
Uhi bad badate hue 4 bottle neat khatam karne ke baad reyansh ki nazar noor ke room me rakhi hui ek photo pe gayi to reyansh jhumta hua utha aur ladkhada kar chalte hue
Photo ke paas gaya aur use hath me utha ke dekhne laga. Us photo me noor uski ammi ke sath baithi hui thi kafi khush nazar aa rahi thi.
Us photo ke taraf dekhte hue reyansh muskura diya aur khud se bola.

Reyansh : noor kitni kush nazar aa rahi hai ias photo me aur noor ki ammi bhi to kitna khayal rakhti thi noor ka aur kitna pyaar karti thi. Kash meri maa bhi aisi hoti....

Ye bolte hue reyansh ka gala bhar aya tha aur akhen bhi bhar ayi thi kyuki use apne bachpan se judi yaaden yaad aa ne lagi.

Flashback

Reyansh jab 5 th class me tha tab ek din jab wo school se wapas aya toh uske dadaji use papa ke sath bahar gye the. Usne apne room me jakar bag rakha aur khana lene kitchen me ja hi raha tha ki use waha Janvi mil gyi jo hall me khel rahi thi apne dosto ke sath. Reyansh bina unke tarf dekhe waha se nikal raha tha kyuki wo janta tha ki yaha rukne par uski bezzati ki jayegi.
Reyansh ke aane se pehle janvi ki ek dost ke hath se janvi ki mummy ka favorite flower vase gir gaya tha jo 12 lakh ka tha aur janvi ko uske dost ko uske mummy ke gusse se bachana ne ka koi upaye nhi such raha tha tabhi uski nazar reyansh pe gyi jo apne room se bahar aa raha tha aur use dekhte hue janvi ke chehre par muskurahat aa gyi.

Jaise hi reyansh waha se guzarne ko kua janvi ne use awaz di.

Janvi : Reyansh idhar aa.

Reyansh ne mud ke dekha halaki wo waha jana to nhi chahta tha lakin agar wo baat talta to janvi is baat ko namak mirch laga kar use papa ko batati jo phir reyansh ki pitayi karte. Isliye na chahte hue bhi reyansh janvi ke paas chala gaya.

Reyansh : (kapte pairo ke sath ) ji didi .
Janvi : tujhe kitni baar bola hai mujhe didi mat bola kar. Tu yaha ka naukar hai aur mai iss ghar ki owner to mam bola kar.
Reyansh : jjii
Janvi : sun idhar aa aur ye table sarka kar mere dost ka rumal nikal de uske niche gir gaya hai.

Reyansh bina kuch bole table sarkane laga. Jaise hi reyansh table sarkane laga janvi ne mauka pa kar tute hue flower vase ko dhakka de kar phir se gira diya. Jo tut kar aur pieces me bikhar gaya. Janvi ne bhi mauke ka fayda utha kar drama karna shuru kar diya.

Janvi : ye kya kiya haramkhor mummy ka favorite flower vase gira diya.
Reyansh : (darte hue) n nhi maine nhi kiya ye to phele se tuta huema tha.
Janvi : to mai kya jhut bol rahi hu hum sab ne dekha ki ise tumbe hi giraya hai.
Dost : ha ha humne dekha
Janvi : pata bhi hai wo flower vase pure 12 lakh ka tha. Jakar khud ko bhi bech aao to utne paise nhi milenge.
Reyansh : m m maine nhi k kiya ye.
Janvi : (chillate hue) mummy... Mummy dekho is kutte ne apka favorite flower vase tod diya.


Baki baad me.....
Blackmailing update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 31

Janvi : (chillate hue) mummy... Mummy dekho is kutte ne apka favorite flower vase tod diya.

Aaabbbb aaaaggggeeee......
(Flash back continuous )

Reyansh ko ye sunte hi dar sa lagne laga tha. Janvi ki awaj bhi Shikha Rajput (Mom) ke Kanoon Tak pahunch chuki thi aur flower pot tutane Ki Baat sunkar Shikha Rajput bhi jaldi mein hall mein pahuch gyi.
Hall Mein pahunchne ke bad Jaise hi usne flower pot ki or Dekha use Tuta Hua Mila Jise Dekhkar vah gusse mein Lal Pili Hone Lagi aur gusse mein chillake pucha.

Shikha rajput : (gusse me chilla ke) kis ne yah Behuda harkat ki hai??

Reyansh to uski maa ki ye gusse bhari awaz sunkar hi sehem gaya kyuki usko pata tha galti uski ho ya na ho par maar to use hi padegi uper se janvi ka jhut.

Shikha : Maine poochha kisne kiya yah?
Janvi : mom harkat isi kutte ki hai isi Ne aapka favourite flower pot Gira ke Tod Diya.
Shikha : (gusse se daat piste hue) Teri Itni Himmat Ki Tune Mera Itna mahanga flower vase Tod Diya.
Reyansh : nhi m maa maine nhi kiya ye pehele se hi tuta hua hai.
Shikha : yani tu bolna chahta hai ki meri beti jhut bol rahi hai. tujhe pata bhi hai vo flower vase kitne ka tha. Aaj mai batati hu tujhe jhut bolne aur itna mehnga flower vase todne ki kimat kya hoti hai.

Ye bol shikha rajput palti aur apne room me kuch dhoondh ne lagi. Reyansh bechara waise hi dara hua tha aur apni maa ke muh se ye shabd sunkar to dar se kapne hi laga ki ab aage kya hoga. Wo yaha se bhag bhi nhi sakta tha kyuki agar wo bhagta to ye baat aur badh jati kyuki phir ye baat uske baap ko bhi batayi jati jo reyansh ke liye achcha nhi hota is liye majburi me reyansh wahi dar se kap kapate hue khada tha.

Janvi : dekh ab tera kya haal hota hai.
Reyansh : didi ye aapne achcha nhi kiya.

Ye baat chote se reyansh ne akhon me mote mote asoon liye kahi thi. Reyansh aaj bohot hi bebas aur asahay mehsus kar raha tha. Aaj uski akhon me janvi ke liye nafrat jalak rahi thi. Kaisi ladki thi janvi jise apne chote bhai ki aakhon me asun nhi dikhai de rahe the, na hi use reyansh ki masumiyat dikhai de rahi thi.

Tabhi shikha apne hath me chamde ka belt liye room se bahar aayi aur gusse me bolne lagi.

Shikha : aaj ke bad tum yaad rakhoge ki galti karne ki saza kya hoti hai.

Ye kehte hue qo reyansh ke pass aayi aur use ek jor ka chata de mara
Ccchhhhhaaattttaaakkkkk.....
Jisse reyansh jamin par niche gir pada aur subakte hue aasun bahane laga. Par kisiko us bechare ke asoono ka koi mol nhi tha na hi uske dil ke masumiyat ka.
Shikha itne me hi nhi ruki aur jamin pe pade reyansh pe belt ke mar ki bauchar kar di
Sat... Sat... Sattt saattt
Reyansh bas chilla raha tha dard me uski akhon se nirantar asun beh rahe the.
Reyansh : aaahhh.... M maine kuch nhi kiya p plz mat maro aahhh...
Reyansh ab pet ke bal aa chuka tha aur shikha uske pith par belt barsa rahi thi. Anyasa hi reyansh ke muh se nikla.

Reyansh : aaahhhh maaaa.... DARD ho rha hai aaahhh maaaa...

Par bechara wo pukar bhi kise raha tha jo uapar belt barsa rahi thi. jab maa hi ye sab kare to bachcha ummid lagaye bhi to kisse. Janvi aur uske dost ye sab dekh kar enjoy kar rahe the na unhe iss baat ka dukh tha aur na hi pachtava.
Par reyansh ki ma ki pukar kisi aur ne sun li thi aur wo daudte hue awaz ki taraf aayi aur jab pohoch kar dekha reyansh per belt barsaye ja rahe hai to bhagte hue aayi aur reyansh ko cover kar liya aur belt ki maar khud khane lagi. Ye shaks aur koi nhi balki reyansh ki saima maa thi jo uske bachav me aa chuki thi. Shikha ko iss baat se bhi farak nhi pada aur wo saima pe bhi belt barsane lagi.
Jab reyansh ko belt lagni band hui to usne apni asun se bhari aakgen khol ke dekhi to usne paya ki use uski saima maa ne cover kar liya hai aur uske badle ki maar wo kha rahi thi.
Saima : (rote hue) aahh.. Malkin mat mariye reyansh ko aahhh.... Chod dijiye malkin

Par shikha to jaise pathar dil ho gyi thi uspe iska koi asar nhi hua. Par reyansh se ye sab dekha nhi gaya.
Reyansh : ( chikh chikh ke rote hue ) mat maro meri maa ko.
Ye bolte gue reyansh ne saima ko palat diya aur khud uper ki aur ho gaya jis karan uska muh saima ki aur tha aur pith shikha ki aur ab maar reyansh kha raha tha aur bas chup chap asun baha raha tha. Jab saima ne dekha to bol padi.
Saima : nhi betaa...
Shikha bas belt barsa rahi thi reyansh ki puri pith chotil ho gayi thi wo bas apni saima maa ki aur dekte hue shikha ki maar ko jhel raha tha. Reyansh ki halat adhmari ho chali thi. Saima bohot koshish kar rahi thi reyansh ko hatane ki par reyansh use hatane nhi de raha tha kyuki use pata tha agar wo hata to belt uski saimaa maa ko lagegi iss liye reyansh sirf chup chap asun bahate hue mar jhel raha tha .
Reyansh ne itne dard me bhi saima ki tarf dekha aur halka sa dard me muskurate hue bola.
Reyansh : m mere r rehte meri maa ko koi nhi marega..

Saima ye sunke chikh chikh ke rone lagi kyuki reyansh use palatne nhi de raha tha to wo kuch kar bhi nhi sakti thi.

Aaj reyansh ko janm dene wali shikha rajput ko keval flower vase tutne ki awaj sunayi di par aaj kuch aur bhi tuta tha wo use nhi sun payi aur wo tha chote se reyansh ka masum dil kyuki dil tutne ki awaj nhi hoti na. Reayansh aur maar na jhel paya aur saima ke uper hi gir kar apni akhen band karli . Reyansh ke yun akhen band karne se to jaise saima ka dil hi muh me aa gya usne turant reyansh ko palta .
Saima : (rote Hue)ye kya kar diya aap ne mere reyansh ke sath..

Reyansh ke behosh hone ke karan shikha bhi thodi dar gyi kahi mar to nhi gaya to usne marna band kiya aur boli.
Shikha : kuch nhi hua hai ise maar se bachne ke liye natak kar raha hai. Iss bar chood rahi hu agli bar aisa kiya to anjam isse bhi bura hoga ye bol wo waha se chali gayi.
Reyansh ki chachi aur beti bhi ye sab dekh ke muskura rahi thi. Janvi hi unhe yaha bula layi thi ye bol kar ki free ka action show chal raha hai.
Saima ne turant reyansh ka chehra apne god me liya
Saima : (subakte hue) uth na reyansh beta dekh teri maa ko koi nhi marega uthna... Betaaa... Smmm.. Smmm

Saima ko kuch suja nhi to usne reyansh ko godh me utha liye hospital jane ke liye .jaise hi usne reyansh ko godh me uthaya to dekha reyansh ki puri pith khun se sarabor thi puri pith chil aur udhad chuki thi. Sara khun riste hue saima ke pure kapde bhiga raha tha. Saima kisi tarah reyansh ko uthake ghar se bahar nikli aur auto dhudne lagi hospital jane ke liye par use auto nhi mil raha tha unki halat dekh kar. Saima jaise taise padal 8 km chal kar reyansh ko hospital le gyi aur uska ilaj kar waya.

Ek ye maa thi jo reyansh ke liye itna sab kuch kar rahi thi jo uska saga bhi nhi tha aur ek shikha thi jo sirf reyansh se nafrat karna janti thi.

(flashback end)


Baaki badme

Reviews dena tum sab padh ke chale jate ho aur like aur review nhi dete.
Emotional update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 32

Ek ye maa thi jo reyansh ke liye itna sab kuch kar rahi thi jo uska saga bhi nhi tha aur ek shikha thi jo sirf reyansh se nafrat karna janti thi.

(flashback end)

Aaabbb aaagggeee.....

(Present)


isi Tarah Reyansh Apne bite gamo Ko Yad Karta hua Sharab Peete Peete So Gaya. Yeh Raat Na reyansh ke liye acchi thi na Noor ke liye. Jaise Taise raat cut gai aur naya Savera aya Aaj bahut Kuchh Hona Tha Noor ki Jindagi Mein Par Noor ko is baat ki bilkul bhi Chinta Nahin thi Kyunki uska Reyansh uske sath Khada tha.
Khair nyi subah bhi aa gyi sabse pehle noor ki neend khuli .wo angdayi lete hue uthi to paya reyansh uske bed ke niche uske sir ke paas sir tikaye baitha hai. Use ye dekh kar reyansh pe bada pyaar aya ye soch kar ki reyansh uska kitna khayal rakhta hai. Par jaise hi wo bed se utri to dekha reyansh jaha ser tika ke baitha hai waha kafi sharab ki khali bottles padi hai. Pehele noor ko ye dekh ke gussa ata hai ki reyansh ne sharab pi par thodi hi der me use samajh ata hai ki wo to reyansh ka kandha liye ro li par reyansh kya karta. Ye sab sochte hue noor ko khud par hi bohot gussa ane lagta hai. Phir wo uth ke sidha niche kitchwn me chali jati hai aur nibu pani banane lagti hai. Nibu pani banane ke bad noor sidha apne bedroom me reyansh ke pass chali gyi aur use paas baith kar use uthane lagi.

Noor : (reyansh ko hilate hue) Reyansh uthiye naa subah ho gyi hai mehmaan aur hospital wale bho aaate honge.

Noor ke jagane se reyansh bhi kunmunate hue uth gaya aur apni aakhen kholten hi usne paya ki noor nibu paani liye uske paas baithi hai. To reyansh ne glass ki taraf ishara karte hue kaha.

Reyansh : ye kya hai.
Noor : (muh fulate hue) nibu pani hai.
Reyansh : aur wo kis liye.
Noor : (tana marte hue )ye jo maine itni sari sharab ki bottles pi hai kal raat to sir dukh raha hai iss liye apne liye layi hu.
Reyansh : ( sir niche jhuka ke) sorry raat ko control nhi hua.

Noor me jhat se reyansh ka chehra apne hathon me pakad liya aur utha ka uski aakhon me dekhte hue boli.

Noor : sorry bolne ki jarurat nhi hai galti meri hi hai ki mai aap ki tarah aap ka sahara na ban ski aur haa aaj ke baad ye ser kisi ke aage jhukna nhi chahiye mere bhi nhi samaje
Reyansh : (sar ko hilate hue) hmmm..

Phir thodi der me dono fresh ho gue aur nashta kar liya. Noor ye sab reyansh ke liye upri man se kar rahi thi andar se wo poori tarah toot kar bikhar chuki thi. Thodi der me hospital wale noor ke ammi abbu ki dead bodies lekar aaye jise dekhte hi noor ko phir se sadma lag gaya aur wo un bodies ke paas baith kar unhe niharne lagi .reyansh noor ke sath baith kar uska dard batna chahta tha lekin baki ke kaam bhi baki the thodi der me noor ke rishtedar aur mehman bhi aane wale the to reyansh ko uski bhi taiyari karni thi to reyansh akhri widayi ki taiyariya karne laga.

Thodi hi der me mehmaan ane lage aur iss ghatna pe apna shok vaykt karne lage. Aurate noor ke paas baith kar use dilasa dene lagi aur saare admi reyansh ke paas the usse baat kar rahe the aur puch rahe the ki ye accident kaise hua. Kuch hi waqt bacha tha janaza nikal ne ke liye tabhi ghar me entry hui 3 logo ki jo aate hi noor ke paas chal diye.
Inme 2 aadmi the aur ek aurat.

Aurat : (rote hue) beta ye sab kaise ho gaya.
Noor : ( subakte hue) chachi dekho na abbu uth nhi rahe hai... Smm.. Smmm.

Ji haa ye aurat noor ki chachi thi aur do aadmi noor ke chacha aur unka beta tha.

( aima baig (noor ki chachi) : 46 age hai. Dikhne me average gehua rang .nature aur niyat ka aage pata chal hi jayega.

Hafiz baig (noor ke chacha) : 49 age hai. Multi national company me job karte hai. Sidhe sadhe admi hai simple life jite hai.
Nature se bohot helpful hai.

Zafar baig ( noor ke chacha ka beta) : 25 saal age hai ye bhi apne baap ke sath usi company me job karta hai. Niyat se hi harmi hai. Hawas kut kut ke bhari hai. )

N Chachi : beta aise rote nhi himmat rakh.

Zafar uaki chachi ka ladka jo aaj noor ko pehli baar bina nakab ke dekh raha tha wo to jaise noor me kho hi gaya aur bas use ghure ja raha tha wo bola..

Zafar : haa noor chinta mat karo mai hu na.


Noor uske iss baat pe kuch na boli. Aur reyansh ki taraf dekhne lagi.
Sadly update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 33

Zafar : haa noor chinta mat karo mai hu na.

Noor uske iss baat pe kuch na boli. Aur reyansh ki taraf dekhne lagi.

Aabbb aaagggeee..

(reyanshs point of view)
Jab noor ne meri taraf dekha to mai bhi use dekh ke samajh gaya ki noor uske paas khade ladke ke sath comfortable nhi hai to mai noor ke paas chala gaya aur noor ko dekh kar bola.

Mai : noor baki rasmo ka samay ho gaya hai chalo.
Noor : hmm.

Ye bolte hue maine noor ka hath pakad liya aur bodies ke paas chala aya .mere hath me noor ka hath dekh zafar ki jal kar khak ho chuki thi aur noor ke chachi ke chehre par prashn utpann hone lage wahi noor ke chacha ko isse koi appatti nhi thi.

sari rasme nibhai gyi aur Thodi Hi der me wo bhi puri ho gyi. Phir bari aayi noor ke ammi abbu ko mitti dene ki, wo bhi ho gaya thodi der me phir log bhi apna dukh vyakt kar wapas jaane lage the. Lagbhag sab log ja chuke the ab bas mai, noor aur uske chacha ki family hi reh gaye the. Noor ke rishtedaar aa chuke the to ab maine bhi noor ke sath uske ghar jada der rehna munasib na samjha aur usse jane ki ijazat mangi.

Mai : noor ab mujhe bhi chalna chahiye.

Ye baat zafar ke kaano tak bhi pohoch gyi.

Zafar : ha ab tum bhi jao der ho gyi hai.
Mai : ha noor ab mai bhi chalta hu.
Noor : (bohot shant aur dukhi lehje me) reyansh mat jao na mujhe akela lagta hai.
Zafar : (kamini hasi haste hue)are aise kaise akela lagega abhi hum hai bhai.
Mai : haa noor tumhare chacha chachi bhi aa gye hai to tumhe ab akela nhi lagega
Noor : (aakhon me nami late hue) mat jao na Reyansh plz... Ssmmm
Mai : (use gale lagate hue) are tum to rone lagi acha nhi ja rha kahi chalo thik hai.
Noor : hmmm

( third person's perspective)

Reyansh ko aise noor ko gale lagate dekh zafar ki jal kar khak ho chuki thi iss liye wo waha se bina kuch bole hi chala gaya. Phir noor ne mujhe apne bagal wala hi room de diya rukne ke liye.

Wahi ground floor ke ek room me zafar aur uski maa bethe baat kar rahe the .
Zafar : ammi apko iss ladke reyansh aur noor ki dosti kuch zada gehri nhi lag rhi.
N chachi : haa beta lag to mujhe bhi raha hai ki dono ka rishta dosti se kuch Zayada hai.

Zafar (gusse me) : par ammi mai noor ko bohot pasand karta hu aur usse nikah karna chahta hu. Use kisi aur ka hone nhi de skta.

N Chachi : samajhti hu beta uper se uske abbu uske naam pe jo itni sari property kar gaye hai wo bhi to chahiye lekin ye sab dimag se krna hoga kyuki tumhare abbu noor se bohot pyaar karte hai aur uske sath jabardasti hone nhi denge aur agar tumne kuch ulta sidha kiya to tumhara nikah bhi Noor se nhi ho payga .

Zafar : lekin ammi uss ladke Reyansh ka kya.
Use aur noor ko to dekh ke lagta hai baat bohot aage ja chuki hai.

N chachi : use bhi dekh lenge beta. Mai khud uska kuch karti hu bas tum koi ulti sidhi harkat na krna.

Zafar (kamini hadi ke sath) : ji ammi.
______________________________________
Reyansh ke kamre me.

Reyansh iss wakt uske kamre me bane bade aine ke samne khada khud ke aks ko dekh raha tha.
Reyansh : kya yu hi sab mujhe chorr kar chale jayenge. Pehele apno ne chorr diya , phir dada ji, phir samira, aur phir jinhe apna samjha noor ke ammi aur abbu wo bhi chorr ke chale gye. Kya mai yu hi zindagi bhar khanabadosh (akela) hokar iss jahan ki thokare khata rahunga?
Log kehte hai kismat karmo ke hisab se banti hai to mai marne ke baad uper wale se sab itna puchna chahunga ki " mai itna kharab hu kya? "
Itna bol reyansh sharab pita gaya aur pita gaya. Uhi shikayat karte hue aur sharab pite hue reyansh so gaya.

Wo kehte hai na
Maut to yunhi badnam hai … marti to jindgdi hai …….
Aur kuch badnasibo ko nhi maar patai to unhe yesa jakham deti hai ki unki ruh tak chhalni ho jati . Reyansh ke sath bhi kuch aisa hi kiya hai zindagi ne na mar pa raha hai na jii pa raha hai.

Reyansh ke sath bite samay me bohot kuch ho chuka tha aur ab use jarurat thi thehrav ki... thehraav ......ye sabd jitna acha lagta h utna hi kathin h ...un logo ke liye ye galat h jo aage badhna chahte h ...aur unke liye sahi h jo rukna chahte h ...shaant rehna chahte hai ...Reyansh kya chahta h ye usko khud bhi nahi pata ...lekin kya uski jindagi usko rukne degi ...kab tak bhaagega vo apni takdeer se ....kya sukh uski jindagi me hai ...

______________________________________
Wahi Noor ke kamre me

Noor apne ammi abbu ke photo ko hath me liye aasun bahate hue unse baate kar rahi thi.

Noor : aap mujhe itni jaldi kyu chod kar chale gaye ammi abbu. Abhi to aapko apni noor ke sath kafi samay bitana tha par aap to mujhe bich hi chod kar chale gye. Kyu. ? Kyu..?.
Abhi to apko apni beti ke liye Reyansh ka hath magna tha uska nikah dekhna tha par aap to... Mmujhe.... Chorr... Karrr..smm... Chale gye....

Tabhi noor ke Zehen me uske abbu dwara kahi gayi baat aayi.
"beta kisi ke chale jane se zindagi nhi rukti. Mujhse wada karo ke mere jane ke baad tum mujhe aur apni ammi ko yaad karke rogi nhi balki hamare hath ki achi yaade yaad rakhogi aur muskuraogi ...wada karo beta ."

Ye yaad aate hi noor ka rona kam ho gya aur wo subakte hue kehne lagi.
Noor : haan ab mai aise nhi ro sakti maine abbu se wada kiya hai mujhe unki achi yaade liye aage badhna hoga. Abbu ko to apne akhri samay me bhi meri chinta thi jo wo mera hath reyansh ke hatho me de gye.

Aur Reyansh ka zikr aate hi noor ka chehra gulabi hone laga aur use reayansh ko dekhne ki lalak si hone lagi to wo uthkar dabe paav reyansh ke kamre ki aur chali gyi.

Thodi hi der me noor reyansh ke kamre ke saamne khadi thi, himmat karke noor ne dhadakte dil ke sath reyansh ke kamre ke darwaje ko dhakka diya. Reyansh ko waise bhi raat ko darwaja band karke sone ki aaadat nhi thi to darwaja bhi khulata chala gaya. Darwaja khulne ke baad noor ne dekha
Reyansh pet ke bal bed pe soya hua tha. Iss waqt reyansh ko aise dekh noor ko bada sookon lag raha tha. Noor apne kadmo ko badate hue reyansh ke karib jaa rahi thi ki uska pair kisi chiz se takra gaya jab usne dekha to niche kai sari sharab ki bottles pafi hui thi jinhe dekh noor ko kafi dukh hua wo bed pe reyansh ke sar ke karib baith gayi aur uske baalon me hath ferte hue khud hi se baat karne lagi.

Noor (udaas hote hue) : kyu karte hai Reyansh aap aisa kyu pite hai itni sharab .kya itne gum hai aapke ki aapne iss sharab ko aadat bana li. Nhi hum aisa nhi hone denge ab hum aapki zaroorat banenge aur aapki iss aadat ko khatam karenge.

Ye bol Noor reyansh ke baalo me hath ferne lagi. Pata nhi reyansh ko kya hua aur uske chehre par neend me hi halki si hasi ubhar aayi jise dekh noor bhi acha mehsus karne lagi aur reyansh ko pehli muskurata dekha tha usne halka sa hi sahi par reyansh muskura raha tha
Noor(man me): ooooooh god......He is looking so cute....so sweet ....so so so sweet ...plz god I want him ....Mujhe bas Reyansh hi chahiye ....mujhe bas wohi chahiye iske badle aap mera har cheez le sakta ho chaye jaan hi kyui nahi....plz God show me the way to his heart ♥ ....

Aaj ke liye itna hi.....
Review are expected
Like bhi kar dena. ☺

And suggestions are always accepted.
Lovely update
 

Tri2010

Well-Known Member
2,007
1,889
143
Update - 34

Noor(man me): ooooooh god......He is looking so cute....so sweet ....so so so sweet ...plz god I want him ....Mujhe bas Reyansh hi chahiye ....mujhe bas wohi chahiye iske badle aap mera har cheez le sakta ho chaye jaan hi kyui nahi....plz God show me the way to his heart ♥ ....

Abb aaaggggeeee.......

Khair jaise taise raat bhi tal gyi aur suraj ki kirno ne bhi apna parcham lehera diya tha.
Ye subah bohot kuch naya le kar aayi thi kisi ke liye nyi umeed to kisi ke liye vishwaas aur pyaar.

Abhi 5 baj rahe Noor ki neend bhi khul gyi to usne paya wo to abhi tak reyansh ke kamre me hi hai. Usne reyansh ko sote hue dekha tak jakar uski saans me saans aayi.

Noor : Reyansh aap na hame kisi din marwayenge. Acha hua hum aap ke pehele uth gye warna aap hame yaha dekh kar kya sochte. Waise galti hamari nhi hai aap hi sote hue itne cute dikh rahe the ki hum aap ko dekhte dekhte so gye. Khair ab hum chalte hai aap ke jagne se pehle.

Noor ab waha se uth kar ja hi rahi thi ki pata nhi use konsa khayal aya ki wo ruk gyi aur palat kar apne thartharte aur najuk honth reyansh ke aur badhane lagi. Aur badi mushkil aur aahiste se usne apne hoth reyansh ke gaal pe tika diye aur reyansh ki nazdiki ko mehsus karne lagi. Phir kuch der waise hi rehne ke baad uthi aur bina piche dekhte hue bhagti hui Reyansh ke room se nikal gyi.
________________________________________
Noor ke jane ke kuch aadhe ghante me Reyansh bhi uth gaya aur fresh hone laga. Fresh hone ke baad jab room me aya tab noor chai ka cup liye khadi thi.
Reyansh : are ise yaha lane ki kya zaroorat thi mai kgud le leta.
Noor : pehle to good morning aur Aap hamare mehman hai aur mehman ki seva krna hamara farz.
Reyansh : ye bhi sahi hai.

Noor : chaliye baki sab bhi uth te honge mai unke liye bhi chai bana du.

Ye bol noor waha se nikal gyi.
Reyansh chai khatam hi kar rha tha ki uska phone baja. Usne phone dekha to Ella ka tha.

-------CALL----------
Ella : aur janab kabhi aap bhi call kar liya kijiye.
Reyansh : mai yaha thoda busy tha.
Ivy : haan haan ab to humse man bhar gya hoga iss liye esa bol rahe hai.
Reyansh : subeh subeh nasha kiya hai kya jo aisi baatr kar rahi ho.
Dono : to aur kya bole 2 din se na khoj na khabar.
Reyansh : are... Are..ek ek katke bolo aur yaha ka mahool abhi bhi gumgeen hai aise me noor ko akela nhi chorr skta isliye call nhi kr paya
Ella : thik hai par ab sab ho gaya ho to ghar wapas aaiye.
Reyansh : kyu??
Dono : kyuki.
"thodi jaldi aaya kro milne ke liye
humara dil nhi bna
tumse door rhne ke liye"
Reyansh : ji mohotarma.
Dono: byeee 👋. Love you ♥ aur agar nhi aaye to hum dono aa jayenge.
Reyansh : hmm love you.

----------CUT-----------

Call khatam hone ke baad reyansh niche kitchen ki aur chala gay jaha sab dining table pat baithe nashta kar rahe the.
Noor : baithiye reyansh ji aap bhi nashta kar lijiye.
Zafar (bich me bolte hue) : Reyansh ji !! Itni ijjat kabhi hame bhi de diya karo.
Reyansh : izzat kamayi jati hai baithe bithaye hath me nhi milti.
Zafar : ladke apni zuban sambhal kar chalao.
N chacha (thodi uchi awaz me): dono aram se baith jao.
Reyansh kuch bolne hi wala tha lekin noor ne ishara kar chup rehne ke liye keh diya. Isliye reyansh bhi chup hi raha.
Reyansh abhi chair par baitha ho tha ke noor ki chachi ne ek aur sawal daag diya.

N chachi : beta sab kaam to khatam ho gaya tum kab wapis apne ghar ka rahe ho.

Iss sawal se Reyansh la jawab ko gaya aur use awkward lagne laga. Tabhi noor ne kaha

N chacha : Aima ye kya tarika hai kisi se baat karne ka.
Noor : chachi wo jab tak chahe reh skte hai wo hamare ammi abbu ke bete se kam nhi the.
N chachi : mera wo matlab tha..
Noor : koi baat nhi chachi. .

Aaj ke liye bas itna....
Kyuki aage ke scene me confuse hu..

Agle ke agle wala MEGA hoga to kasar waha complete ho jayegi aur readers ki ek sabse badi wish bhi.
Excellent update
 
Top