UPDATE-4
Aise hi samay bitta gya ab janvi didi school jane lagi thi. Maa ki maar chalti rehti thi unhe maa pukarne pe aur chachi aur janvi mujhe paresha karti rehti par dadaji ke piche. Mai ye sab dadaji ko nhi batata tha kyuki mai nhi chahta tha ki mere karan dadaji ke rishte kisise kharab ho.
Abb aggeeee.......
Aise hi din bite, mahine bite aur saal bita. Mujhe jada kuch to samaj ta nhi tha par maar ke karan maa ke pass jane se darta tha isiliye mai jadatar dadaji ke kamre me rehta tha taki kisi ke samne na jana pade aur bina wajah dhulayi na ho jaye. Jab mai maa aur papa ko janvi didi aur swara ko pyaar karte Dekh ta to mera bhi mann hota ki wo mujhe bhi pyaar aur dulhaar dihaye par aisa nhi hota .ab saima hi mere liya maa thi aur dadaji bhi bohot pyaar karte the.
Abb mai 3 saal ka ho chuka tha, abb bari aayi mere school jane ki to papa ne saaf keh diya ki unke pass kisi aur ke liye koi paise nahi hai. Dadaji pass bhi jada paise nhi the aur na hi unke naam pe jamin jayejad thi siway ek khet ke. Jaise taise unhone mera admission janvi didi ke school me karaya kyuki unka manna tha ki abb mai sirf achche se padhne likhne ke baad hi apni jindagi sudhaar sakta hu . Admission to unhone karra di par ab sawal tha ki mai jaunga kaise kyuki school harare ghar se karib 5 km dur thi to saima maa ne kuch paise de kar mujhe bus lagwa di.
Kal mere school ka pehla din tha mai bohot jada khush tha. Mai soo gaya, agli subah muhje dadaji ne uthaya. Mai jaldi se taiyar hone gaya par jab mai uniform pahenne laga tab mujhe tie bandhna nhi aa rha tha to mai dadaji ke pass jane laga tabhi janvi didi dikhi to maine socha inhi se pooch loo .
Mai : didi kya aap mujhe bataingi ki tei kaise bandhte hai? (totli awaj me)
Jaise hi didi ne mujhe uniform me dekha usne mummy ko awaj lagayi.
Janvi didi : mummmyyy.... Mummmyyyt..
Mom: kya hua beta? Kyu chilla rhi hai?
Janvi didi : Mom kya ye kutta bhi mere school me jaega?
Mom : haa beta pta nhi kyu tumhare dadaji iss manhus per paisa kharch kar rhe hai.
(Janvi phir meri taraf gusse se dekhte hue)
Janvi didi: sun kutte tu mere school to aa rha hai per mujhe didi mat kehena nahi baat krna.
Mai : par didi mai to aapka chota bhai hu na.
Janvi didi : tu aur mera bhai teri aukat to ek kutte ki bhi nhi hai.
(didi ne bhi aaj whi kaha jo aksar mummy ya chachi mujhe kehti thi)
Meri aakhen bhar aayi thi mai roote hue dadaji ke kamre me bhaga.
Dadaji ne mujhe roote dekh pucha.
Dadaji : kya hua beta kyu roo rha hai.
Phir maine dadaji ko sab roote hue bta dia. Dadaji ko bhi kaafi bura laga par mujhe sambhalne ke liye wo bole.
Dadaji : beta aukat paidaishi nhi milti use banana padta hai. Isi liye maine tumhara naam bade school me dala taki tum padh likh kar bade aadmi bano.
Mai : bada aadmi kyu dadaji? ( utsukta se)
Dadaji : beta kyuki bade aadmi ke bhut dhan sampatti hoti hai aur uske saamne sab jhukte aur uska samman karte hai.
Mai bas unhe chup chap dekh rha tha. Dadaji phir bole.
Dadaji : beta meri ek baat hamesha yaad rakhna " Is duniya mei aadmi se jada kimat paiso ki hai ".
Dadaji ki ye baat mere zehen me ghar kar gyi aur maine kaise bhi bas bada admi banne ki thani.
Khair dadaji ne phir mujhe tie bandhna sikhaya phir mai bus me baithkar school ke liye nikal gya. Kuch der me Bus school pahuch gyi, Jab mai bus se utra aur school ke gate tak pahucha tabhi mere dad ki car aayi aur usme se janvi didi utri. Mai unhe dekhte hi unki baat yaad aa gyi to mai jaldi se apni class me bhag gya jab mai class me pahucha to mujhe sirf ek jagah khali dhikhi to mai waha baith gya. Mere sath ek ladka baitha tha par mujhe usse baat karne jhijhak ho rhi thi. Mai soch hi rha tha tabhi wo bola.
Ladka : hello mera naam amit hai? Tumhara naam kya hai.
Mai : hii, mera naam Reyansh hai.
Amit: kya tum mujhse doati karoge.
Mai : haa bilkul aaj se hum dost. ( totli awaj)
Amit : are ye kya tum to tutlate ho.
Mai : haa bachpan se mai aise hi bolta hu.
Amit : koi baat nhi tum dhire dhire sahi bolna sikh jaoge.
Phir teacher aagye phir padhai shuru ho gyi. Mai mann laga kar padh rha tha kyuki ab mujhe bada aadmi banna tha. Phir aise hi school khatam ho gya mai ghar wapas aa gya. Aaj mai bohot khush tha kyuki aaj maine ek dost banaya tha jiske sath mai baat kar skta tha khel sakta tha.
Aaise hi samay nikalne laga. Iss beech meri aur amit ki dosti badhti gyi .mai ab 6th class me tha aur janvi 7th me. Janvi jada baat nhi karti thi. Aur abb meri princess swara aur chachi ki beti divya bhi badi ho gyi thi wo bhi hamate sath school jati thi. Maa mujhe swara se dur rakhti thi, kabhi kabhi maa se chup ke uske sath baat kar liya karta tha. Chachi to bachpan se divya ko sikha rahi hai ki mai manhus hu mujhse dur rhe to wo to mujhse waise bhi dur rehti thi.
( aap to jante hi hai ki bachcho ki soch bachpan me kaisi hoti hai jaisa akar use do waisa wo banjati hai.)
Chacha ko mujhse bohot humdardi thi par wo papa aur chachi ke saamne kuch nhi kar sakte the. Maa to jaise bhul hi gyi thi ki unka koi beta bhi hai jise maa ki mamta ki jaroorat hai , par unki nazar me haisiyat ek kutte se bhi kam thi Yaha tak ki wo mujhe kisise beta kehkar bhi nhi milwati thi jise pata na ho ki mai kon hu. Jab koi ghar ata aur puchta ki mai kon hu to wo bolti ki " ye hamare ghar kaam karne wali naukrani ka beta hai " ye unke dil me DARD to hota tha par ye kafi had tak sach bhi tha kyuki unhone mujhe sirf janam diya tha par saima maa ne mujhe apna doodh pilaya tha jab maa ne pilane se mana kar diya tha aur unhone mujhe pal pos kar bada kiya.
Khair ab samay badal gya tha ab mai 4th me tha to mere padhai ka kharcha badh gya tha to dadaji ne bus band karwa di thi ab mai school paidal jaya karta tha. Kabhi kabhi school pohochne me late ho jata to teacher dat deti thi par teacher ko bhi pta tha ki mai paidal ata hu to jada kuch nhi bolti thi.
Jab kabhi bhi parents teacher meeting hoti to sab ke parents aate par mere sath sirf dadji aate ye dekh mujhe dukh hota kyuki janvi didi aur swara ke sath mom dad aate the par mere sath nhi. Maa baap ke pyaar ki kami ke karan kabhi kabhi dukh hota to mai akele me baith kar ro liya karta tha.
Jaise taise din kat rhe the phir ek din mai school se wapas aya tab dadaji kahi bahar gye the. Mai saima maa ke pass jakar baith gaya aur unse baat karne laga.
Mai : maa aaj school me mujhe amit ne laddo khilaya. Sach me bohot hi achchi tha. Aaj maine pehli baar khaya.
Saima : beta ek din aisa aayega mai tujhe dher sare laddo khilaungi..
( ye kehte hue saima rone lagi. Wo soch rhi thi kaise maa baap hai itne masoom aur pyaare bachche ko maa baap hote hue bhi anath ki jindagi jine ke liye majboor kar diya hai.)
Mai : maa aap roo kyu rhi hai.
Saima : kuch nhi beta meri aankh me kuch chala gya tha. Tu yaha baith mai tere liye khana lekar aati hu.
(ek baat batana chahunga maa ko lagta tha mai manhus hu isliye unhone mera khana apni rasoyi me banwane se mana kar diya tha. Is wajah se saima maa mere liye apne ghar se khana bana kar lati thi.)
Saimaa maa khana le aayi phir mai kahana khane laga.
Mai : maa apke hath ki daal bohot achi lagti hai mujhe.
Saima maa : beta har roj ek hi dal kahata hai aur roj yehi kehta hai aisa kyu?
Mai: kyuki aap isme dher sara pyaar dalti ho.
Unhone mujhe apane sine se laga liya.
( wo man me boli : dhanya ho gyi mai aisa beta mujhe mila hai. Ek garib ke ghar ki dal roti kha kar bhi roj kehta hai ki "isse tasty kuch bhi nhi ho sakta". )
Aise hi khana khatam ho gya phir mai bhar khelne chala gya. Shaam ko jab wapas aya to dekha dadaji abhi bhi nhi aaye the. Mai jaise hi apne room me jaane laga dad gate se andar aaate dikhe.kafi gusse me dikh rhe the. Wo mummy ke room me gye.
Mummy : kya hua bohot pareshan dikh rahe hai?
Dad: meri important deal cancel ho gyi.
Mummy : kyaa?
Dad : haa , mujhe pakka yakeen hai ye us manhus ke karan hua hai.
Chachi bahar khadi ye baat sun rhi thi . Tabhi aag me ghi dalne ke liye wo boli.
Cahchi : haa bhai sahab mujhe bhi yahi lagta hai ki ye zarur usi ke karan hua hai.
Dad: hai kaha wo manhus aaj koi use mujhse nhi bacha skata.
Dad bahar aaaye aur mujhe doodhne lage.
Aage dekhte hai kya hota haiiii.. ....
Kaise maa baap h ek masoom sa bachcha kaise manhoos ho sakta h ab ek deal cancel ho gayi tow isme iss bachche ka kia haath
Dada ji n bahot sahi seekh di h paisa h tow sab kuch h
Ab Reyansh ko apni padhai per dhian dena chahiye or dikha de inn sabko ki m manhoos nahi hu
Baherhal dekhte h aage kia hota h